- 42
- 55
- 18
4000 saal baad… (aaj ka samay)
Ab chalte hai professor Ashutosh Vyaas ke paas…
Ashutosh chupchap SP khan ke saath jaane lagte hai… kuch door chale hi the ki peeche se awaaz aayi “Ashutosh” rukiye….Nisha ne awaaz di
Nisha: aap chinta na kare… shaayad aap jante nahi mere Auncle Ravi Pandey mashoor Criminal lawyer hai… mein unko aapka case ladne ko khaungi. Mujhe bharosa hai woh sab kuch theek kar denge… lekin filhaal aapke paas inke saath jaane ke ilaawa koi dusra vikalp nahi hai… (itna kehkar maine ashutosh ke gaal par ek kiss kar di)
Gaal pe kiss hote hi Ashutosh ko achha toh laga lekin is waqt ashutosh ke aas paas ghat rahi ghatnaaye se uska dimakh kharaab tha… usse samajh nahi aa raha tha ki yeh sab kya ho raha hai… woh toh banaras mein Lal Singh ke saath apni aakhri mulakaat ko yaad karne ki koshish kar rah tha…
Kuch dino pehle Ashutosh ko ek call aaya…call Lal Singh ka tha
Lal Singh: aaj kal kya kar rahe ho professor sahab?
Ashutosh: bas sir mein toh apne class mein busy rehta hoon… aap ke jaise field work toh hai nahi mere paas… bas samay kaat raha hoon(haste hue kaha)
Lal Singh: hmmm chalo tumhari life mein kuch excitement laate hai…
Ashutosh: matlab sir?
Lal Singh: kal subah hum log banaras ke liye nikal rahe hai…
Ashutosh: lekin sir…
Lal singh: kal subah matlab… kal subah… that’s my order…
Ashutosh: Ji Sir mein aapko station mein milta hoon…
Next Morning
Gaadi apni raftaar se chal rahi thi… andar 1st AC mein Ashutosh aur Lal Singh aapas mein baat kar rahe the… abhi unko benaras pahunchne mein 5 ghante the…
Ashutosh: hum log Benaras kyun jaa rahe hai… aisa kya hai wahan?
Lal Singh: (haste hue) ab samay aa gaya hai ki tum itihaas phir se likho… .
Ashutosh: (confuse hote hue) Sir aap kabhi koi baat seedhe kyun nahi karte hai… army mein bhi aap aise hi kiya karte the
Lal Singh(ek document Ashutosh ke dete hue kehte hai) yeh ISRO ke satellite se mila ek dum thos saboot hai… kai hazaar saal pehle ek shakti shaali nadi----jisse vedo mein Saraswati Nadi kaha gaya hai… woh himalaya ki god se nikalti hui arab saagar mein jaa kar milti thi…
“ Toh saraswati nadi koi kalpanik nahi thi… jaise kuch mashoor itihaas kaaro ka kehna hai????” Ashutosh ne shararat se poocha, yeh jaante hue ki Lal Singh is baat se chid jaayyenge…
Lal Singh (chidte hue) tumhe kya lagta hai, yeh sab jhoot hai??? Agar aisa hai toh kyun hum log kehte hai Allahabad mein Teeno nadiyon ka Sangam hota hai???
Ganga----Jamuna----Saraswati
Ashutosh
unko aur thoda chidaate hue) Sir yeh toh hum bachpan se sunte aayein hai ki Allahabad mein Teeno nadiyon ka sangam hota hai… yeh kitna sach hai ya jhoot yeh nahi pata…
Lal Singh: ( chidte hue) tumhe aisa kyun lagta hai… wahan jaakar tumne nadi nahi dekhi kya?
Kya tumhe Ganga aur Jamuna kalpanik nadi lagti hai?
Ashutosh: Sir mein yeh nahi keh raha ki Ganga aur Jamuna kalpanik nadi hai… lekin aap yeh bataao sangam mein aapko saraswati nadi kahan dikhai deti hai…
Ek taraf se Ganga aur dusre taraf se Jamuna ka paani ka milan hota hai… lekin saraswati nadi ka koi saboot nahi hai… toh mein kaise yakeen kar loon ki wahan saraswati nadi ka bhi vajood hai… ???
Lal Singh
krodh se dekhte hue Ashutosh ke haath se document lete hue kehte hai) yeh koi maamuli docs nahi hai… isse ISRO ke sateellite se nikala hua poranik Map hai…
Isko gaur se dekho…ek bahut hi shakti shaali nadi himalaya se nikalti hui, Bhadrinath ke ek parvat se saraswati nadi ka nikaas ho raha hai aur aagey ki taraf bhadkar Uttar Pradesh ke Allahabad city se hoti hui Rajasthan ke taraf inka rukh hua hai…
Yaani aaj se 4 ya 5 hazaar saal pehle Rajasthan mein sukha maidaan(desert) nahi tha… wahan hariyali aur baarish ka bharpoor mausam hua karta tha…
Ashutosh: (man mein khushi aur aacharya dono tha….phir bhi berukhi se kehte hai…. ) sir aap kehna chahte hai ki Saraswati Nadi Ganga aur Jamuna nadi se bhi shakti saali thi???
Lal Singh: haan haan Ashutosh ek dum sahi kaha… yeh dono nadiya unke saamne kuch bhi nahi thi…
Ashutosh: toh sir iska kya proof hai… humaare paas?
Lal Singh: (confident se) Mohenzadaro!!!
Ashutosh ( muskraate hue… apne man mei kehte hai… wah sir wah maan gaye aapko)
Mohenjodaro kai hazaar saal pehle ek bhayankar paani ke baadh mein tabah ho gayi thi… aisa maana jaata hai ki wahan par saraswati nadi ka hi prakop tha…
Ashutosh: (kuch sochte hue) sir mere do sawaalon hai?
Lal Singh: kya??
Yeh dekho Ashutosh saayad tumhe kuch samajh aa jaaye??
Ashutosh ne usse hath mein liya aur dekha toh box ke andar 30 mm ki chhota sa coin rakha hua tha… usko dekh ashutosh ka dil utshah se dhadakne laga… aur lal Singh ko dekhkar kaha…
Ashutosh: Sir yeh aapko kahan mili?
Lal Singh: “mere ek mitra Dr Nithin Kashyap, jo saraswati nadi ka addhyan kar rahe hai… toh unke team ko “Bhadrinath”ke Ek jagah se yeh mudraayein mili hai… yeh mujhe bhej di saayad unhe lagta hai ki mein in muddeayein ka sahi arth nikaalne mein saksham hoon…
“Is coin mein pahad( mountain) bana hua hai” ashutosh ne kaha…
Lal Singh: bilkul sahi isme pahad, shiv ling, aur vishnu bhagwaan ki chhavi hai… iska arth samajhte ho Ashutosh(excitement se sawaal poocha)
Ashutosh: nahi sir kuch samajh nahi aaya??
Lal Singh: jaise maine kaha ki mera friend Dr Nithin Kashyap saraswati nadi ka addhyan Bhadrinath mein kar rahe hai…
Ashutosh: haan haan mujhe pata hai… aagey boliye…
Lal Aingh: toh phir tumhe yeh bhi pata hoga…Bhadrinath mein sirf ek jagah hi Saraswati nadi ko dekha jaa sakta hai aur woh jagah hai “MANA VILLAGE”(jo India ka aakhri village hai) … wahan par ek pahad se saraswati nadi ka nikaash hai…phir aagey chalkar unka koi astitva nahi hai…
Ashutosh: haan mujhe maalum hai….aagey chalkar saraswati nadi ka paani kahan jaata hai iska koi pata nahi hai… aagey bhadiye… (sawaaliya nazro se kaha)
Lal Singh: Toh phir tumhe yeh bhi pata hoga ki Mahabharat ki Rachna Shree Ganesh Bhagwaan ne Saraswati Nadi ke paas hi kee thi… aur… (beech mein ashutosh ne tokte hue kaha… )
Ashutosh: haan… haan… Rishi Ved Vyaas ji ne hi Ganesh Bhagwaan ko mahabharat ki katha likwaayi thi… aur jab Ganesh ji katha likh rahe the toh us samay Saraswati Nadi bahut hi tez awaaz karke beh rahi thi… jisse unhe Rishi vyaas ki awaaz spasht roop se sunaai nahi de rahi thi…
Unhone ek baar Saraswati Ji se kaha ki tera paani ka shor bahut ho raha hai… mujhe is mahan gatha ko likhne mein takleef ho rahi hai…
Lekin nadi apne ghamand mei hi beh jaa rahi thi.. Unhone bhagwaan Ganesh ki baaton ko ansuna kar diya tha… jisse unko krodh aa gaya aur aur unhone hi...Saraswati Nadi ko shrap diya ki tujhe apne swachhta aur prachandta par ghamand hai naa… aaj se tu is dharti pe lupt rahegi… tera wajood koi nahi dekh paayega…
Yehi kehne waaley the naa??? Ashutosh ne muskraate hue poocha
Lal Singh: haan yehi kehne waala tha…
Ashutosh: toh sir aap chup kyun hai… aagey bhadiye…
Lal Singh(jhaalate hue) tum meri baat poori kyun nahi sunte ho… mujhe beech mein tok dete ho…
Ashutosh: sorry Sir mein thoda excited ho gaya tha… ab mein aapko diturb nahi karunga…
Lal Singh: achha suno….yeh pahad jo dekh rahe ho( coin kee taraf ishara karte hue kaha) woh “Arhint” parvat hai…
Ashutosh: “Arhint” Parvat yeh kahan hai?
Lal Singh( gusse se ashutosh ko dekhte hue kaha) let me complete!!!!
Ashutosh: oops sorry sir!!!
Lal Singh: yeh Arhint parvat hai…jahan se Saraswati Nadi ka nikaas hai… aur yahan Shiv ling Bana hai aur Side mein Vishnu bhagwaan ki pratima hai…
Iska matlab hai ki 4 hazaar saal pehle ek Raaja ne Arhint parvat ke paas jaakar Shiv Ji ki Tapasya ki thi.... Woh tapasya kai saalon tak chali… aur jab mahadev unki tapasya se khush hokar saamne aaye toh Raja ke hosh ud gaaye… kyunki waha par sirf Mahadev hi nahi balki unke saath Saraswati ji aur Vishnu ji the….
Unhe teeno saktiyon ka aashirvaad mila tha…
Ashutosh: kaun hai yeh bhagyashali Raja?
Lal Singh: “BHADRAPRATAP”
Ashutosh: aap itne sure kaise hai ki Raja ka naam “Bhadrapratap” hi hai??
Ab chalte hai professor Ashutosh Vyaas ke paas…
Ashutosh chupchap SP khan ke saath jaane lagte hai… kuch door chale hi the ki peeche se awaaz aayi “Ashutosh” rukiye….Nisha ne awaaz di
Nisha: aap chinta na kare… shaayad aap jante nahi mere Auncle Ravi Pandey mashoor Criminal lawyer hai… mein unko aapka case ladne ko khaungi. Mujhe bharosa hai woh sab kuch theek kar denge… lekin filhaal aapke paas inke saath jaane ke ilaawa koi dusra vikalp nahi hai… (itna kehkar maine ashutosh ke gaal par ek kiss kar di)
Gaal pe kiss hote hi Ashutosh ko achha toh laga lekin is waqt ashutosh ke aas paas ghat rahi ghatnaaye se uska dimakh kharaab tha… usse samajh nahi aa raha tha ki yeh sab kya ho raha hai… woh toh banaras mein Lal Singh ke saath apni aakhri mulakaat ko yaad karne ki koshish kar rah tha…
Kuch dino pehle Ashutosh ko ek call aaya…call Lal Singh ka tha
Lal Singh: aaj kal kya kar rahe ho professor sahab?
Ashutosh: bas sir mein toh apne class mein busy rehta hoon… aap ke jaise field work toh hai nahi mere paas… bas samay kaat raha hoon(haste hue kaha)
Lal Singh: hmmm chalo tumhari life mein kuch excitement laate hai…
Ashutosh: matlab sir?
Lal Singh: kal subah hum log banaras ke liye nikal rahe hai…
Ashutosh: lekin sir…
Lal singh: kal subah matlab… kal subah… that’s my order…
Ashutosh: Ji Sir mein aapko station mein milta hoon…
Next Morning
Gaadi apni raftaar se chal rahi thi… andar 1st AC mein Ashutosh aur Lal Singh aapas mein baat kar rahe the… abhi unko benaras pahunchne mein 5 ghante the…
Ashutosh: hum log Benaras kyun jaa rahe hai… aisa kya hai wahan?
Lal Singh: (haste hue) ab samay aa gaya hai ki tum itihaas phir se likho… .
Ashutosh: (confuse hote hue) Sir aap kabhi koi baat seedhe kyun nahi karte hai… army mein bhi aap aise hi kiya karte the
Lal Singh(ek document Ashutosh ke dete hue kehte hai) yeh ISRO ke satellite se mila ek dum thos saboot hai… kai hazaar saal pehle ek shakti shaali nadi----jisse vedo mein Saraswati Nadi kaha gaya hai… woh himalaya ki god se nikalti hui arab saagar mein jaa kar milti thi…
“ Toh saraswati nadi koi kalpanik nahi thi… jaise kuch mashoor itihaas kaaro ka kehna hai????” Ashutosh ne shararat se poocha, yeh jaante hue ki Lal Singh is baat se chid jaayyenge…
Lal Singh (chidte hue) tumhe kya lagta hai, yeh sab jhoot hai??? Agar aisa hai toh kyun hum log kehte hai Allahabad mein Teeno nadiyon ka Sangam hota hai???
Ganga----Jamuna----Saraswati
Ashutosh
![Frown :( :(](/uploads/smilies/frown.gif)
Lal Singh: ( chidte hue) tumhe aisa kyun lagta hai… wahan jaakar tumne nadi nahi dekhi kya?
Kya tumhe Ganga aur Jamuna kalpanik nadi lagti hai?
Ashutosh: Sir mein yeh nahi keh raha ki Ganga aur Jamuna kalpanik nadi hai… lekin aap yeh bataao sangam mein aapko saraswati nadi kahan dikhai deti hai…
Ek taraf se Ganga aur dusre taraf se Jamuna ka paani ka milan hota hai… lekin saraswati nadi ka koi saboot nahi hai… toh mein kaise yakeen kar loon ki wahan saraswati nadi ka bhi vajood hai… ???
Lal Singh
![Frown :( :(](/uploads/smilies/frown.gif)
Isko gaur se dekho…ek bahut hi shakti shaali nadi himalaya se nikalti hui, Bhadrinath ke ek parvat se saraswati nadi ka nikaas ho raha hai aur aagey ki taraf bhadkar Uttar Pradesh ke Allahabad city se hoti hui Rajasthan ke taraf inka rukh hua hai…
Yaani aaj se 4 ya 5 hazaar saal pehle Rajasthan mein sukha maidaan(desert) nahi tha… wahan hariyali aur baarish ka bharpoor mausam hua karta tha…
Ashutosh: (man mein khushi aur aacharya dono tha….phir bhi berukhi se kehte hai…. ) sir aap kehna chahte hai ki Saraswati Nadi Ganga aur Jamuna nadi se bhi shakti saali thi???
Lal Singh: haan haan Ashutosh ek dum sahi kaha… yeh dono nadiya unke saamne kuch bhi nahi thi…
Ashutosh: toh sir iska kya proof hai… humaare paas?
Lal Singh: (confident se) Mohenzadaro!!!
Ashutosh ( muskraate hue… apne man mei kehte hai… wah sir wah maan gaye aapko)
Mohenjodaro kai hazaar saal pehle ek bhayankar paani ke baadh mein tabah ho gayi thi… aisa maana jaata hai ki wahan par saraswati nadi ka hi prakop tha…
Ashutosh: (kuch sochte hue) sir mere do sawaalon hai?
Lal Singh: kya??
- Saraswati nadi Mahabharat ke samay se beh rahi hai… ?
- Aapke kahe anusaar… agar Saraswati itni shakti shaali nadi thi.. Jo Hindustan ke himalaya se behti hui aaj ke Pakistan tak behti thi? Toh phir aaj unka wajood kahan hai???