Vikram singh rana
Active Member
- 509
- 3,075
- 138
WooooooUpdate # 3
Karan - Rohan kyu na kal subah dadi se kahani suni jaye kya pata usme hi koi clue chhipa ho .
Rohan - kar sakte hain .
Saloni - kal tum mere ghar aaoge Karan ? ( pyaar se sharmate huye )
Karan - itna ovar acting kyu kar rahi hai , abhi bhi tere hi ghar aaye hain ham . ( very rudely )
Saloni - huh ( tunak kar )
Teeno ne kal Saloni ki dadi se milna pakka kar liya aur wapas apne kaam me vyast ho gaye . Subah 10 baje hi Karan aur Rohan Saloni ke ghar pahunch gaye . Pahunchte hi Karan ne poonchh taachh shuru kar di .
Dadi - Are ye sab kaun daal deta hai tum sab ke dimaag me ?
Karan - Dadi halaat hi aise ban gaye hain khair aap se kuchh nahi chhipayenge . Ham log papa ki talaash kar rahe hain to ye baat dimaag me aa gayi .
Karan ne apna plan aur kal raat ki baat Dadi ko bata di .
Dadi - tum sab abb samjhdaar ho gaye ho isliye rokungi nahi par haan itna jaroor kahoongi ki apna khayaal rakhte huye kaam karna . Samay theek nahi hai shayad hamaare beech me hi koi gaddar baitha hua hai .
Udaas swar me boli dadi .
Karan - ji Dadi poora dhyaan rakhte huye karenge ham log ye kaam .
Rohan - abb to bataiye na dadi kya sach me bhoot hote hain aur kya wakayi Pariyan hamare gaon aati hain ?
Dadi - haan bachchon hoti to hain buri shaktiyan . Unse ladna insaan ke liye lagbhag asambhaw hota hai jiski wajah se hi shayad Pariyan aur farishte jameen par aate hain .
Rohan - Dadi kya hamare gaon me bhi aisa kuchh hai ?
Dadi - haan hai to .
Karan - kya aap ne kabhi dekha hai ?
Dadi - ek tarah se haan . Kiya hai maine mahsoos unki upasthiti ko kayi baar .
Rohan - please bataiye na kab aur kahan dekha hai aap ne ?
Dadi - Tumhi logon ki hi umar ki thi jab mai yahan byaah kar aayi thi . Tumhare Dada Akele rahte the par Mai bhi tum logon ki tarah bahadur thi . Ek baar tumhare dada ko kisi kaam se shahar jana pada . Unhone bola ki wo raat me laut aayenge par laut nahi paye . Bahut kali , andheri , Darawni raat thi .
Mai darti to nahi thi par thodi hi der me mujhe lagne laga ki jaise koi hai mere aas - paas . Kabhi rasoi se bartano ki than - than to kabhi bahar ke kamre se samaan ke khad khad ki awaajein aati . Kabhi aangan me kisi ke koodne ki to kabhi darwaajon ko kharonchne ki awaaj aati . Tab bijali ki katauti bahut hoti thi to mombatti jal rakhi thi maine . Sab ki sab ek saath bujh gayi . Hadd to tab ho gayi jab mujhe jane kahan se aakar ek billi ne ghoorna shuru kar diya . Meri dar se haalat kharab ho gayi to mai bas jaan chhuda kar ghar se nikal kar samne waalon ke ghar chali gayi . Shukar hai ki Wahan kamta kaki thi . Maine unko apna dar bataya . Unhone mujhe apne ghar me rukne diya .
Subah hote hi tumhare dada ji aa gaye . Mai bahut dar gayi thi bukhar bhi aa gaya tha . Maine rote rote unko sari baat batayi . Unhone jara bhi der nahi ki aur wo wala ghar chhod kar iss ghar me aa gaye .
Karan -- par aap ne bhoot kahan dekha ?
Dadi - Dekha na , Kamta kaki jisne mujhe panaah di thi wo to meri shadi ke 10 saal pahle hi marr gayi thi .
Karan - hay bhagwaan matlab aap ko bhoot ke darr se bhoot ne hi bachaya tha . Mere to rongte hi khade ho gaye .
Dadi - ye to ek baar ki ghatna hai . Aisi kayi ghatnaayein hoti rahti thi lekin ham logo ki raksha ke liye bhagwaan kisi na kisi ko bhejte rahte hain jise tumlog Pari aur Farishta bolte ho .
Rohan - Pari bhi dekhi hai aap ne ?
Dadi - nahi dekhi par unki maujoodgi ka ehsaas sabhi ko rahta hai iss gaon me . Kayi baar anhoni ghat ho jati agar ek tez neeli roshni nahi faili hoti to . Par aaj tak uss neeli roshni ki raj koi nahi jaan paya hai.
Dadi ne isase jyada kuchh bhi batane se sakht mana kar diya aur haan Dadi ne ye bhi bola ki jungliyon ke ilaake me bhool kar bhi mat jana . Dono ladke wapas Karan ke ghar jakar uske room me baith kar aaj raat ki strategy banane lage .
Rohan - Karan tujhe kya lagta hai kya sach me Pari hoti hai ?
Karan - kya pata par dadi ki baat se to aisa hi lagta hai .
Rohan - janta hai log kahte hain ki badi sundar hoti hain Pariyan .
Karan - Tujhe ho kya gaya mere bhai . Papa ko khojte khojte tu kahan uljh raha hai . Hoti hongi sundar mujhe ghanta se fark nahi padta mujhe to Papa ko khojne se matlab hai bas .
Karan bol to gaya ye par use bhi nahi pata tha ki agla pal uske liye kya laane wala hai .
Very good update.....
Mostly....daadi's sequence with kaanta....
Good......
Jungliyon ka ye ho sakta hai ki.....may be....un logo ne khud hee apne baare mai galat baate faila rakhi ho....sab jagah....
Taaki koi bhi un tak na pahuch sake....
OR wese bhi ye aadiwaasi log bahar I logo se contact rakhna jyada pasand nahi karte....
Thanks...