• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143

Update # 4

Karan - Tujhe ho kya gaya mere bhai . Papa ko khojte khojte tu kahan uljh raha hai . Hoti hongi sundar mujhe ghanta se fark nahi padta mujhe to Papa ko khojne se matlab hai bas .

Karan bol to gaya ye par use bhi nahi pata tha ki agla pal uske liye kya laane wala hai . Saare din Karan aur Rohan raat ke liye tarah tarah ke plans banate rahe . Rohan ne apne ghar par bata diya tha ki abb kucc raaton ko wo Karan ke ghar hi rukega jis par kisi ko koi aitraaj nahi tha .

Raat me jab Karan aur Rohan chori se ghar se nikalne lage Saloni ke ghar ke liye tabhi maa apne kamre se baahar aa gayi .

Maa - are tum dono kahan jaa rahe ho is wakt ?

Maa achambhe se boli .

Karan - maa darsal Rohan to yahan rukne aa gaya par book lana bhool gaya . Ham dono book lene jaa rahe hain.

Maa - kyu kya tumhari book se padhne me koi dikkat hai ?

Karan - maa iski books me hi to answers mark kiye gaye hain , to use lana hi padega na .

Maa - koi jarurat nahi hai kahi bhi jane ki kamre me jao aur aage se koi bhi bahana mat banana tum dono .

Maa ne main door ko andar se lock kiya aur chabhi lekar apne kamre me chali gayi . Karan aur Rohan wapas room me jakar bahar jane ke tareeke khojne lage par koi bhi tareeka nahi soojh raha tha .

Rohan - abb kya karna hai ?

Karan - kuchh samjh nahi aa raha hai .

Tabhi Kavya room me aa gayi aur gussa hote huye boli ,

Kavya - ek bhi kaam theek se hota hai tum dono se , abb kya karoge ? Maa ne chabhi apne gadde ke neeche rakh li hai . Abb koi nahi nikal sakta hai chabhi .

Karan - kya karte yaar maa aa hi gayi achanak samne .

Rohan - tu bada gussa ho rahi hai , tu hi bata de koi tareeka ?

Rohan ki baat sun Kavya soch me pad gai . Thodi der sochne ke baad boli ,

Kavya - chalo chhat par .

Rohal - yaar ladki tu rahne de . tere ghar se nahi dikhega kuchh .

Karan - wo kah rahi hai to chalo na .

Teeno chhat par chale gaye . Bagal me hi ek bada ped tha par thooda door . Kavya ne chhat ke kone me rakhi Lakdi ki seedhi ko ( gaon me frequently istemaal ki jati hai ) us ped ke tane se tikaya aur Karan aur Rohan ko ishara kiya .

Pahle Karan aage badha aur darte darte us seedhi ke sahare ped par pahunch gaya . Rohan ko bahut dar lag raha tha par Kavya ke samne wo apni beijjati nahi kara sakta tha kyu ki wo Rohan ka childhood Crush jo thi . marta kya na karta wo bhi usi seedhi ke dwara ped par pahunch gaya .

Kavya ne seedhi hata li aur jaldi kaam ko anjaam dene ki hidayat de kar chali gayi . Dono dost ja pahunche Saloni ke tree house par aur aaj door been laga kar kuchh aisa pata kar liye jisase unke chehron ki pareshani to gahri ho gayi par aankhein achambhe se chsudi bhi ho gayi .

#######

Charon taraf behad ghane jungle jinke kuchh bhagon me to suraj ki roshni bhi kafi mashakkat se pahunchti thi . Unke beechon beech bahut si jhopadiyan bani huyi thi . Kuchh to ped ke upar bhi bani huyi thi . Kuchh aurtein jinhone khud ko janwaron ki khal se bane agaunchhon aur kuchh dupatte jaise kapdon se dhak rakha tha jab ki aadmi aur bachche adhnangi haalat me ghoonm rahe the par sirf chand log hi .

Thandi hawaayein wahan jal rahe alaaw ki garmi ko beasar kar rahi thi . Shayad thand ki hi wajah se kam log najar aa rahe the . Achanak hi sabse bade alaaw ( bonfire ) ke charo taraf log ikatthe hone lage . Sabhi sir jhuka kar haath hawa me hilate huye na jane kaun sa mantra bole ja rahe the .

Ghane Pedon ke jhur mut ke peechhe se teen log samne aaye . Beech me ek lamba chauda adhed tha jisne janwar ki chhal ka bana kapda pahna hua tha aur uske chehre par thodi gambheerta thi aur haath me haddi se bana koi ajeeb sa aujaar liye huye tha . Us adhed aadmi ke ek ore 19 - 20 saal ki ek ladki khadi thi jo sawali bhale thi par beinteha khoobsurat thi , uske badan me madakta koot koot kar bhari thi aur chehre par gurur virajmaan tha . Aur doosri ore ek ladka tha jo haule haule koi kagaj ko padhe ja raha . Us ladke ke kandhe par ek khoonkhar baaz baitha tha . Usne jab paper poora padh liya to wo ladki unn aadwasiyon ke paas aayi aur haath utha kar jaise kisi sabha ki shuruaat ki uske baad to wahan jashn ka mahaul chha gaya .

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,282
304
Ab in dono ne kya dekh liya joh itne hairan padechan ho gaye dono hi.....

yeh kabile wale bade ajib hain....sayad woh adhed mukhiya hain us kabile ka aur sath mein sayad beta aur beti...
Kamal hain bina wajah jashn karne lag gaye..... strange....
Khair.......
Let's see what happens next
Brilliant update writer sahab..... Great going
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update # 3

Karan - Rohan kyu na kal subah dadi se kahani suni jaye kya pata usme hi koi clue chhipa ho .

Rohan - kar sakte hain .

Saloni - kal tum mere ghar aaoge Karan ? ( pyaar se sharmate huye )

Karan - itna ovar acting kyu kar rahi hai , abhi bhi tere hi ghar aaye hain ham . ( very rudely )

Saloni - huh ( tunak kar )

Teeno ne kal Saloni ki dadi se milna pakka kar liya aur wapas apne kaam me vyast ho gaye . Subah 10 baje hi Karan aur Rohan Saloni ke ghar pahunch gaye . Pahunchte hi Karan ne poonchh taachh shuru kar di .

Dadi - Are ye sab kaun daal deta hai tum sab ke dimaag me ?

Karan - Dadi halaat hi aise ban gaye hain khair aap se kuchh nahi chhipayenge . Ham log papa ki talaash kar rahe hain to ye baat dimaag me aa gayi .

Karan ne apna plan aur kal raat ki baat Dadi ko bata di .

Dadi - tum sab abb samjhdaar ho gaye ho isliye rokungi nahi par haan itna jaroor kahoongi ki apna khayaal rakhte huye kaam karna . Samay theek nahi hai shayad hamaare beech me hi koi gaddar baitha hua hai .

Udaas swar me boli dadi .

Karan - ji Dadi poora dhyaan rakhte huye karenge ham log ye kaam .

Rohan - abb to bataiye na dadi kya sach me bhoot hote hain aur kya wakayi Pariyan hamare gaon aati hain ?

Dadi - haan bachchon hoti to hain buri shaktiyan . Unse ladna insaan ke liye lagbhag asambhaw hota hai jiski wajah se hi shayad Pariyan aur farishte jameen par aate hain .

Rohan - Dadi kya hamare gaon me bhi aisa kuchh hai ?

Dadi - haan hai to .

Karan - kya aap ne kabhi dekha hai ?

Dadi - ek tarah se haan . Kiya hai maine mahsoos unki upasthiti ko kayi baar .

Rohan - please bataiye na kab aur kahan dekha hai aap ne ?

Dadi - Tumhi logon ki hi umar ki thi jab mai yahan byaah kar aayi thi . Tumhare Dada Akele rahte the par Mai bhi tum logon ki tarah bahadur thi . Ek baar tumhare dada ko kisi kaam se shahar jana pada . Unhone bola ki wo raat me laut aayenge par laut nahi paye . Bahut kali , andheri , Darawni raat thi .

Mai darti to nahi thi par thodi hi der me mujhe lagne laga ki jaise koi hai mere aas - paas . Kabhi rasoi se bartano ki than - than to kabhi bahar ke kamre se samaan ke khad khad ki awaajein aati . Kabhi aangan me kisi ke koodne ki to kabhi darwaajon ko kharonchne ki awaaj aati . Tab bijali ki katauti bahut hoti thi to mombatti jal rakhi thi maine . Sab ki sab ek saath bujh gayi . Hadd to tab ho gayi jab mujhe jane kahan se aakar ek billi ne ghoorna shuru kar diya . Meri dar se haalat kharab ho gayi to mai bas jaan chhuda kar ghar se nikal kar samne waalon ke ghar chali gayi . Shukar hai ki Wahan kamta kaki thi . Maine unko apna dar bataya . Unhone mujhe apne ghar me rukne diya .
Subah hote hi tumhare dada ji aa gaye . Mai bahut dar gayi thi bukhar bhi aa gaya tha . Maine rote rote unko sari baat batayi . Unhone jara bhi der nahi ki aur wo wala ghar chhod kar iss ghar me aa gaye .

Karan -- par aap ne bhoot kahan dekha ?

Dadi - Dekha na , Kamta kaki jisne mujhe panaah di thi wo to meri shadi ke 10 saal pahle hi marr gayi thi .

Karan - hay bhagwaan matlab aap ko bhoot ke darr se bhoot ne hi bachaya tha . Mere to rongte hi khade ho gaye .

Dadi - ye to ek baar ki ghatna hai . Aisi kayi ghatnaayein hoti rahti thi lekin ham logo ki raksha ke liye bhagwaan kisi na kisi ko bhejte rahte hain jise tumlog Pari aur Farishta bolte ho .

Rohan - Pari bhi dekhi hai aap ne ?

Dadi - nahi dekhi par unki maujoodgi ka ehsaas sabhi ko rahta hai iss gaon me . Kayi baar anhoni ghat ho jati agar ek tez neeli roshni nahi faili hoti to . Par aaj tak uss neeli roshni ki raj koi nahi jaan paya hai.

Dadi ne isase jyada kuchh bhi batane se sakht mana kar diya aur haan Dadi ne ye bhi bola ki jungliyon ke ilaake me bhool kar bhi mat jana . Dono ladke wapas Karan ke ghar jakar uske room me baith kar aaj raat ki strategy banane lage .

Rohan - Karan tujhe kya lagta hai kya sach me Pari hoti hai ?

Karan - kya pata par dadi ki baat se to aisa hi lagta hai .

Rohan - janta hai log kahte hain ki badi sundar hoti hain Pariyan .

Karan - Tujhe ho kya gaya mere bhai . Papa ko khojte khojte tu kahan uljh raha hai . Hoti hongi sundar mujhe ghanta se fark nahi padta mujhe to Papa ko khojne se matlab hai bas .

Karan bol to gaya ye par use bhi nahi pata tha ki agla pal uske liye kya laane wala hai .

Nice update sir
 
Last edited:

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update # 4

Karan - Tujhe ho kya gaya mere bhai . Papa ko khojte khojte tu kahan uljh raha hai . Hoti hongi sundar mujhe ghanta se fark nahi padta mujhe to Papa ko khojne se matlab hai bas .

Karan bol to gaya ye par use bhi nahi pata tha ki agla pal uske liye kya laane wala hai . Saare din Karan aur Rohan raat ke liye tarah tarah ke plans banate rahe . Rohan ne apne ghar par bata diya tha ki abb kucc raaton ko wo Karan ke ghar hi rukega jis par kisi ko koi aitraaj nahi tha .

Raat me jab Karan aur Rohan chori se ghar se nikalne lage Saloni ke ghar ke liye tabhi maa apne kamre se baahar aa gayi .

Maa - are tum dono kahan jaa rahe ho is wakt ?

Maa achambhe se boli .

Karan - maa darsal Rohan to yahan rukne aa gaya par book lana bhool gaya . Ham dono book lene jaa rahe hain.

Maa - kyu kya tumhari book se padhne me koi dikkat hai ?

Karan - maa iski books me hi to answers mark kiye gaye hain , to use lana hi padega na .

Maa - koi jarurat nahi hai kahi bhi jane ki kamre me jao aur aage se koi bhi bahana mat banana tum dono .

Maa ne main door ko andar se lock kiya aur chabhi lekar apne kamre me chali gayi . Karan aur Rohan wapas room me jakar bahar jane ke tareeke khojne lage par koi bhi tareeka nahi soojh raha tha .

Rohan - abb kya karna hai ?

Karan - kuchh samjh nahi aa raha hai .

Tabhi Kavya room me aa gayi aur gussa hote huye boli ,

Kavya - ek bhi kaam theek se hota hai tum dono se , abb kya karoge ? Maa ne chabhi apne gadde ke neeche rakh li hai . Abb koi nahi nikal sakta hai chabhi .

Karan - kya karte yaar maa aa hi gayi achanak samne .

Rohan - tu bada gussa ho rahi hai , tu hi bata de koi tareeka ?

Rohan ki baat sun Kavya soch me pad gai . Thodi der sochne ke baad boli ,

Kavya - chalo chhat par .

Rohal - yaar ladki tu rahne de . tere ghar se nahi dikhega kuchh .

Karan - wo kah rahi hai to chalo na .

Teeno chhat par chale gaye . Bagal me hi ek bada ped tha par thooda door . Kavya ne chhat ke kone me rakhi Lakdi ki seedhi ko ( gaon me frequently istemaal ki jati hai ) us ped ke tane se tikaya aur Karan aur Rohan ko ishara kiya .

Pahle Karan aage badha aur darte darte us seedhi ke sahare ped par pahunch gaya . Rohan ko bahut dar lag raha tha par Kavya ke samne wo apni beijjati nahi kara sakta tha kyu ki wo Rohan ka childhood Crush jo thi . marta kya na karta wo bhi usi seedhi ke dwara ped par pahunch gaya .

Kavya ne seedhi hata li aur jaldi kaam ko anjaam dene ki hidayat de kar chali gayi . Dono dost ja pahunche Saloni ke tree house par aur aaj door been laga kar kuchh aisa pata kar liye jisase unke chehron ki pareshani to gahri ho gayi par aankhein achambhe se chsudi bhi ho gayi .

#######

Charon taraf behad ghane jungle jinke kuchh bhagon me to suraj ki roshni bhi kafi mashakkat se pahunchti thi . Unke beechon beech bahut si jhopadiyan bani huyi thi . Kuchh to ped ke upar bhi bani huyi thi . Kuchh aurtein jinhone khud ko janwaron ki khal se bane agaunchhon aur kuchh dupatte jaise kapdon se dhak rakha tha jab ki aadmi aur bachche adhnangi haalat me ghoonm rahe the par sirf chand log hi .

Thandi hawaayein wahan jal rahe alaaw ki garmi ko beasar kar rahi thi . Shayad thand ki hi wajah se kam log najar aa rahe the . Achanak hi sabse bade alaaw ( bonfire ) ke charo taraf log ikatthe hone lage . Sabhi sir jhuka kar haath hawa me hilate huye na jane kaun sa mantra bole ja rahe the .

Ghane Pedon ke jhur mut ke peechhe se teen log samne aaye . Beech me ek lamba chauda adhed tha jisne janwar ki chhal ka bana kapda pahna hua tha aur uske chehre par thodi gambheerta thi aur haath me haddi se bana koi ajeeb sa aujaar liye huye tha . Us adhed aadmi ke ek ore 19 - 20 saal ki ek ladki khadi thi jo sawali bhale thi par beinteha khoobsurat thi , uske badan me madakta koot koot kar bhari thi aur chehre par gurur virajmaan tha . Aur doosri ore ek ladka tha jo haule haule koi kagaj ko padhe ja raha . Us ladke ke kandhe par ek khoonkhar baaz baitha tha . Usne jab paper poora padh liya to wo ladki unn aadwasiyon ke paas aayi aur haath utha kar jaise kisi sabha ki shuruaat ki uske baad to wahan jashn ka mahaul chha gaya .

Fantastic update sir
Waiting for next update
 
Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138

Hmmmm......
Good update.....
Karan and rohan pata karne nikle hai....
Dekhte hai kya hota hai....
Anyways
Good update
Thanks
 
Hellohoney

Well-Known Member
3,420
8,249
159
Nice update aaj apne jangli kabile valose milvahi diya waiting for next update
 
Top