• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Pondy

Member
458
768
108
Update # 16


Vaidya ji ne Raftaar ki kalaai ko pakad kar uski naadi ko bareeki se jaancha parkha . Uski band palko ko baar baar bal poorvak khol kar aankhon ko dekha aur uske bhinche huye jabdon ki ore ishara karte huye Karoon se bole ,


Vaidya ji - kya hua isko ?


Karoon - aap hi dekhiye , waise shikar karne gaya tha aur .......


Vaidya ji - aur khud shikar ho gaya .

Vaidya ji ne vyangatmak lahje me Karoon ki baat poori ki ji shayad Karoon ko ajeeb laga .


Karoon - matlb kya hai aap ka ?


Vaidya ji - basti gaya tha ye ?


Karoon - uttar ke junglon me hi gaya tha , abb hosh me aaye to pata chalega kahan tak gaya tha .

Karoon ne safaai se jhooth bola .


Vaidya ji - basti ka ek aadmi gayab hai . Maine pahle bhi roka hai aap logon ko par aap log hain ki mante nahi . Abb halaat pahle jaise nahi rahe hain . Sab kuchh badal chuka hai . Ye sab karna khatarnaak hai sabhi ke liye .

Abb tak khamosh Chandrika kisi ghayal sherni ki tarah dahaad uthi .


Chandrika - dawa dijiye gyan nahi . Gyan bahut hai hamare paas wahi nahi samhal raha hai upar se aap aur updesh dene lage .


Vaidya ji - umar ka josh bol raha hai aap ka par hamara anubhaw aap ki umar se jyada sayana hai . Is rog ki koi dawa nahi hai . Do booti de raha hoon isi ka ras mila kar pila dijiyega uthna hoga to uth jayega . Rohan ko to Karan ne na jane kaise theek kar liya tha , dekhta hoon poonchh kar bata dega to theek warna aap log khud gyani hain .



Chandrika - kya hua tha use ?


Vaidya ji - uski bhi avastha bilkul aisi hi thi par Karan ne na jane kya jadu kiya ki Rohan murda se jeevit ho gaya .


Chandrika - kaun Karan ?


Vaidya ji - usi vaigyanik ka beta jise aap log utha kar laye the pooranmasi ko.


Karoon - ham to kisi ko 6 mahine se nahi laye the .


Vaidya ji - agar aap sach bol rahe hain to kuchh to gadbad ho rahi hai aaj kal .

Vaidya ji soch me pad gaye jabki Chandrika Karoon ko ghoorne lagi .



----------


Swara ko khari khoti sunane ke baad Karan tez kadmo se apne ghar ki ore badh gaya , usne Swara ki pratikriya ke baare me ek baar bhi janne ki koshish nahi ki . Karan ghar pahunch kar seedhe apne room me chala gaya . Gusse se uska sir fata chala ja raha tha .


Karan - samjhati hai mujhe ullu banati rahegi . Are masoom shakl bana kar kisi aur ko ullu banaye mai nahi fasne wala is chudail ke changul me .


Swara - kitni baar batau ki mai chudail nahi hoon pari hoon .

Swara ne ek baar fir Karan ke samne pakat hokar use chaunka diya to wo darr se cheekh pada .


Karan - aaaaaaaaaaaaa yaarrrrr


Swara - chillaiye mat koi sun lega .


Karan- mere mana karne ke baad bhi room me kyu aayi ?


Swara - mai kahan jaun ? (Sadly)


Karan - kahi bhi jao par mera peechha chhod do .


Swara - meri baat to suno , Kavya ke paas jaao abhi ,

Swara ne chintit swar me kaha .


Karan -kkk..kk kya hua use ?


Swara - hua nahi hai par hone wala hai .


Karan - Kavyaaaaa .....


Kavya - kya hai kyu chilla raha hai , khud to koi kaam karta nahi hai mujhe bhi nahi karne deta .

Dono baat kar hi rahe the ki Jor ki awaaj ke saath rasoi me dhuan hi dhuan fail gaya .


Karan - ye kya hua ?


Kavya - pressure cooker fat gaya (shocked)


Karan - mai ise chhodunga nahi .

Karan badbadata hua room ki taraf bhaga to hairaan Kavya bhi sath ho li .


Kavya - ye pagal ho gaya hai kya ? Cooker ko nahi chhodega .

Kavya Khud se baat karti huyi karan ke peechhe uske room me aati hai .jahan Karan deewal ki ore dekh kar jor jor se bahas kar raha tha . Kavya ko dekh kar Karan room se bahar chala gaya jabki Kavya jakar Karan ki jagah par khadi ho gayi aur haath aage badha kar boli kaun ho tum ?

Kavya ne sirf andaje se ye baat kahi thi par iska asar behad chaunkane wala tha .
Mast update bhai,
Ab chandrika ayegi basti mein aur Karan ki help legi badhiya romanchak ban rahi hai kahani
Waise sabse bada suspense ye hai ki Karan ke papa jinda hai abhi tak? Ya mar gaye?
Aur idhar kavya ko bhi ab swara dikhne lagegi jabardast ja rahi hai story bas daily update diya karo
 

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Awesome fantastic Mind-blowing update Bhai...
Karan ko khud nhi malum wo rohan ko thik kais Kiya. .
Chandrika Umar SE kuch jayda hi tej bn rhi hai.aisa na ho tej clne ke chakr Mai sbka isse sath hi chuth jyae
Karan swara PR believe nhi kr rha hai.
Kavya ki Jan jate jate bachi...iska v dosh Karan swara PR hi lga Diya..
Next update ka wait rahega ..
chandrika ek kabeele ki eklauti rajkumari aur hone wali aka hai to uska bartaaw bhi apne khooni aur nirdayi kabeele walo jaisa hai upar se Raftaar se wo prem karti hai . Basti me tabahi na macha de chandrika ki amad .
Karan kya kisi ko bhi aise halaat me Swara par yajeen nahi hoga bhai kyu ki na hi Swara sabit kar rahi hai ki wo ek Angel hai balki sare halaat me bure jadu ka asar hai . Dekhiye baat saaf hai ki pahle swara ko yakeen dilana hoga karan ko ki wo ek pari hai tab kahi jake karan uski aur apni sahayta kar ke us rakshas ko khoj payega . Abhi manjil bahut door hai aur rasta bahut katin .
Thanks for reading bhai:yo:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
oh to Vaidya ko malum hain ki kabile wale kiya karte hai basti walo ke sath...
Btw karan ke bade mein batana nahin chahiye tha.... ab yeh kabile wale kahin karan ko hi na utha laye...

ish karan ko kya problem hain... madad karo toh bhi problem na karo toh tab bhi problem...
Sayad swara ab visible hone wali hain kavya ke samne
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
  • Like
Reactions: Aakash.
Top