• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
so us saitaan ke wajah se raftaar ke ke sath sath uske sath aaye ladake bhi behosh ho gaye the....
ye chandrika kisko pakad kar layi hai bali ke liye....??
........
hmm lagta hai karan pagal ho gaya hai...
aur sawra ko bhi kya padi hai usko bachane ki... marne ke liye kyun nahi chhod deti us stupid karan ko..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Waah bhai aate se hi update par update de diye badiya h. Wese abhi to story to simple chal rahi par lagta h ki aage achchha khasa action dekhne ko milega
Thanks bhai for reading :D Koshish poori rahegi action likhne ki aur aap sabhi ka sahyog aur sujhaw apekshit hai :yo:
 
  • Like
Reactions: Aakash. and Pondy

Pondy

Member
458
768
108
Yep maine bola tha ye shaitaan koi aur hoga aur waisa hi hua, interesting hota ja raha hai update aur bhi, kyunki ab chandrika aayegi ganw me aur tab dekhna hoga ki kya karti hai wo,
Idhar inki baatein shayad dadi sun rahi hogi, aur kabile waalo ka kya hoga aur us saitaan se kabile waalo ko dikkat hai toh wo saitaan ganw me kya kar raha hai? Bahoot sawal hai aise dekhte hai aage aage update me kya kya jawab nikal ke aata hai, badhiya update tha agle ka intejar rahega
 
  • Like
Reactions: Naina and Aakash.

Last benchers

Well-Known Member
3,049
6,819
158
Prologue
-----------------------


" Aww kya pariyan sach me hain ? "


" Bilkul nahi jana hai wahan par tumko nahi pata wahan par bhoot hain ."


" Ghane jangal me kale bhoot rahte hain jisase vandevi hamari raksha karti hain . "


" Aadi raat ke baad bhoot aate hain . "


Doston aise saikdon rahasyamayi dialogues se shayad hi kisi ka bachpan mahroom raha ho . Bade hokar bhale hi ham ise andh vishwash ka naam dain par us umar ka sabse bada research topic hi yahai hota tha . Nani ki pariyon wali kahaniyan aankhon me gajjab ki chamak la deti thi to wahi school ke washroom me bhoot hone wali kahaniya raaton ki neende uda deti thi par kya kabhi socha hai ki in baaton me kitni sachchai hoti thi ? aur agar ye baatein poiri tarag jhooth hoti hain to inka continuously jikra hi kyu hota hai .

Log kahte hain ki kalpna se pare kuchh bhi nahi hota hai lekin insan itna dheeth hai ki isne har jagah apne dimagi ghode dauda rakhe hain . Lekin phir bhi aisi ek duniyan ya dimension maujood hai jo insano ki khurafaat se koson door hai . Jara sochiye kaisi hogi wo rahasyamayi duniya jo insani dimag ko maat deti hogi ? Kaise honge wahan ke log aur kaisi hogi unki jindgi jinki kalpna matra hi romanchit kar deti hai .


Kabhi socha hai ki agar ham log wahan pahunch jayein ya wo yahan aa jaayen to kya hoga ? Kaisi kaisi ghatnaayein pesh aayeingi hamare sath . Kya wo duniya khoobsurat hogi ya khaufnaaq ? Kya sach me pariyan sitaaron ki sawari karti hain aur kya rakshas bahut hi bure hote hain ?


Chaliye ek aisi hi kahani ka jikra karte hain jisme kuchh apni dharti ki baat karenge to kuchh baatein kisi aur duniya ki . Kuchh baatein jadu aur khuchh jikra ishq ka . kyu ki ishq hi wo shay hai jiski dakhal har jagah hoti hai . Ishq ke aage farishte bhi jhuk jate hain .


Ye Kahani poorn roop se kalpnik hai jise mere dimag ne racha hai . Iske patra aur ghatnaon ka kisi jinda ya mrit insaan aur kisi ghatna se koi bhi lena dena nahi hai .
Awesome writing skills bro...
Aapka kahna bilkul Sach hai bhale hi kahaani dimag ki upaj hai. Khte hai na kahanni v aise nhi bnti kuch na kuch sachai jrur hoti hai ..
Aise v kiska bachpan hoga Jo pari bhoot preet ki kahaani Sune Bina bada hua hoga.
 
Top