suruwat se leke abhi padhne baad yahi lage ki Kahani hai Aarush aur priya ki.....
jaha ek taraf priya ek gareeb ghar se belong karne wali ek swabhimaani aur sharmili ladki, jeevan mein kayi tarah ke dukh dard sahti aa rahi thi...
Btw priya apne mann mein kitna kuch samete huyi hai isiko
komalkh ne shabdon mein khoob roopantaran ki hai. Jaise wo kirdaar jivant ho ...yeh kitni badi khoobi hai lekhika ki... ki wo readers ko kahani ke paatr ke sath judne ko majbur kar de ,,,, jab bhi priya ke atit ki kahani read karu lage ki priya kitni gahri peeda samete hai. par chehre pe us peeda ya dard ko kabhi aane na di... hamesha ek muskuharat ke sath jeene ki koshish ki.... par jis tarah atit ke panno itna kuch anhoni ghatanaye ghati uske sath , jo ek kabhi na bhoola na paane wali peeda de gayi hai priya ko, jo aaj bhi uske dil mein peeda deti hai... us peeda aur dard ko shabdon mein bayan karna mumakin hai ,bas mehsoos kar sakti hun. Jaise ek udaas shaam ka ant ho.... dard ki barshat mein bhigi kuch bhooli bichhidi yaadein ho uski.....
atit ke panno mein ho ya vartmaan mein jo hota aa raha hai priya ke sath jaise uski jindagi ko hi jhanjhor ke rakh diya tha... Jise ehsaas kar dil mein gahrayi mein ek tees si utarti jaaye...pita se leke pati tak sabhi ne uske dhokha hi diya ushe...
Lekin aaj... Aaj jaise jaise khushiyon ki saugaat leke aaya ho uski jindagi mein aarush.... aarush ke aane se jaise kaali andheri raat khatam hoke ek nayi subhah ki kiran uske jivan bhikhad di ho....
ek sabse aham baat ye bhi hai ki me bahot hi dharyashil aur sahanshil hai.
Wohi dusri taraf aarush ek amir gharane belong karta hai jiskne bahot chhoti umar apni mom ko kho diya.... pita business man, hamesha busy rahta hai taaki apne gum ko bhoola sake.... haalanki aarush ko apne pita ka sath zyada na mila ho par usko bhi gyat hai ki kyun uske pita khudko itne busy rakhte hai.... dekhne achha khasha smart look wala aarush sapno ka rajkumaar tha kayi ladkiyon ke liye.... Lekin dil de baitha apni school teacher priya ko...... haalanki ye dil se chaahne to laga tha lekin hawas bhi barabar tha priya ke jishm ko leke.... bole to laad tapaktaa tha
sabse important baat bhale hi insaan kisi se bhi chupa le koi bhi baat lekin apni mom se nahi chupa sakta....
priya aur aarush ke mamle mein bhi wohi hua.... priya ki mom ko pata chal gaya ki indono ke bich kya gul khil raha hai

indirectly sahi unhone dono ko ye bata di ki unko koi problem nahi undono ke rishte se, in fact wo to khush hai priya ko itne dino baad khush dekhkar....
chath pe bejh diya kapde laane ...Jab ki chhath pe koi kapda tha hi nahi sukhne ke liye
Waise ye priya aur aarush ke bich umar ka fark hai, par pyar kaha umar dekhe...
waise hai dono hi ek duje ke liye hawasi

sath hi respect bhi karte hai ek duje ko bahot...
Khair aate hai hum is story ke kuch kamine kirdaar ki taraf...
Ankur...... ye itna swarthi hai ki ye jaante huye ki agar soniya ke sath us party mein priya akeli gayi to uske sath kuch ho sakta hai.... phir ushe jor jabardasti kiya phone karke jaane ke liye...
aur us party prashant aur soniya milke jo karne wale the uske sath.... shayad priya muh dikhane ke kabil na rehti... wo to sukar hai aarush ne phone karke apne dosto ko us party bhej ke priya ko bacha liya....
Ye ankur to apni naukri bachane ke liye kuch bhi kar sakta hai... bada kamina story character hai ye to
.........
usse bhi bada kamina to priya ka sautela baap hai us priya ko hi bech diya das lakh rupaye ke liye ankur ke haatho...
waise is shaadi ka matlab hi kya hai... Priya divorce kyun nahi le leti ankur se .. kissa hi khatm kar diyo.. Phir aarush se shaadi kar liyo.... Simple
aapki ye khubsurat manoram lekhni ... Kuch karwi sachhai, to kuch emotions shabdon mein , to kuch khushi aur dukh bhare pal.. , . ...jo hum readers ko kirdaaro aur kahani ke jariye le jaaye wahan...Jahan ho Kirdaaro ke kuch yaadon ka bashera ho ... Jahan kirdaaro bhumika nibhaye har situation ke sath...khaskar priya..
likhe gaye har shabd hawaon mein bhi ek nasha bikhed de... ki padhte waqt thoda sa ye nasha yun readers pe bhi chaa jaaye ....Haan.. ishi wajah se to har update padhne mein readers ko aaye maza...Aap jis tarah likhti hai har mod aur pehlu ko dhyan mein rakhte huye, readers ko baithe bithaye kirdaaro ke bhaavnao ko gehrayi se mehsoos aur ehsaas karne ke liye majbur kar de .. ... Kahani ka har ek shadb jaise pehli barish ki bunde ki tarah hai..... padhte waqt lage ki kirdaar jaise ankhon ke samne bhumika nibha rahe ho.... Sach mein jis tarah se realistic roop mein role nibha rahe hai kirdaar, readers ko majboor kar de unke sath judne ke liye... yahin to aapki lekhni ka jaadu hai....
Kahani ko padhte waqt lage ki aapki kahani har ek shabd ki khud ki ek kahani hai....
waise kuch sakaratmak kirdaaro ke sath sath negative kirdaar ke baare mein, unki gatividhiyo ke bare mein bhi ek details mein explanation the....
Sabse Pasandida kirdaar?
kahani kayi Pasandida kirdaar hai lekin isme koi do ray nahi ki sabse zyada favorite to priya ki mom hai aur rahengi...... Kahani ek jariye kayi sikh de gayi hai ye ki jindagi mein muskilein aur musibat ka samna karna padta hai insaan ko.... lekin kuch aise musibat bhi hote hai ki insaan ko hi tod ke rakh de.... Lekin haar nahi maanna hai....haar bhi jaao to apne mann ko majbut kar uth khada hoke samna karna chaahiye tab tak, jab ki wo musibat aapke saamne ghutne na tek dein....
Kahani ki khubi...
lekhika ne har ek kirdaar, har ek pehlu aur har ek mod ke baare soch ke kahani aur update ko Kalpanasheel aur varnantmak roop mein pesh ki hai, jishe padhte waqt sach mein aanand mile....
Kya kahani ke positive characters ek dusre ki ahmiyat samjhte hai.. .?
Haan... of course... Kyunki maine aise kayi kahaniya padhi hai jaha kirdaar aapach mein hi bair rakhte hai... jo apne paas hai unki hi ahmiyat nahi samajhte... aur jab tak samajh paate hai weh itne door chale jaate hai ki wo chaah kar bhi unko pa nahi sakte....priya aur aarush ..dono ke bich aapach mein understanding, apanpan, hawas

,ahmiyat , pyar mein wafa ye sabhi hai...
Romance, action, revenge, action aur suspense/thrill ka level ..?
Well.... action, revenge na dikhi kahani mei...
Baaki unki lekhni dekh kisi bhi reader ke mann mein yahi khayal aaye ki is writing jagat mein wo kaafi experienced holder hai.....
jish tarah se sathik taal mel ke sath likh rahi thi ye kahani...meri nazar mein to ,Romance, , erotica ka level sach mein enjoyable aur bemisaal hai... ..
khair
..let's see what happens next
brilliant story line with awesome writing skills