UPDATE 27
Isi tarah kuch din beet jaate hain……Priya ke papa bhi ab thode theek ho jaate hain…… Ek din Priya ki maa kehti hai……
PM – beti ab tumhe waapis shehar chale jaana chaahiye……yeh ab theek hain…..main aur anu hain inka dhayaan rakhne ke liye…….
Priya – lekin maa……
Priya ki maa beech mein hi tokte hue……
PM – lekin wekin kuch nahi……wahaan par bhi tumhaara ghar band pada hai kitne dino se……aur apna nahi to is aman ka to soch……iske ghar waale bhi to iski raah dekh rahe honge……
Priya ko apni maa ki baat sahi lagti hai……kaafi din ho gaye the dono ko yahaan aaye…… Priya kehti hai…..
Priya – theek hai maa……aap theek keh rahi hain……..main Aman se baat karke bataati hoon ke kab jaana hai…….
Priya ki maa uski baat sunkar muskuraakar haan mein sir hilaa deti hai…….phir Priya Aarush ke paas jaati hai jo ke upar apne room mein tha……Jaise hi Priya ander jaati hai…..Aarush use apni baahon mein bhar leta hai aur kehta hai……
Aarush – I Love You My Love Jaan………
Priya – main jaanti hoon Mere Aarush……(yeh kehte hue uske gale se lag jaati hai)
Aarush – kya hua…..aap udaas lag rahi ho…….
Priya – maa ka kehna hai ke ab hamein waapis chale jaana chaahiye…..isliye tumse puchhne aayi hoon ke kab chalna chaahte ho tum waapis…….
Aarush (uski peeth par haath pherte hue) – aap rehna chaahte ho abhi to koi baat nahi…….kuch din baad chale jayenge……..
Priya – nahi maa bhi theek hi keh rahi hai……ab papa theek hain……hum jaa sakte hain……phir kuch dino mein school bhi khul jaayenge…….
Aarush – theek hai jab aap kaho hum yahaan se nikal jaayenge……..
Phir dono kuch der baat karte hain…..aur agle din jaane ka programe banaate hain…….Priya phir niche aakar apni maa ko yeh baat bata deti hai……din aise hi gujar jaata hai…… PRiya saari packing kar leti hai…….Raat ko dinner karne ke baad jab Priya sone ke liye apne room mein jaane lagti hai to PRiya ki maa kehti hai……
PM – Priya aaj tum mere room mein sona……kal to tu chali jaayegi…..Aman beta tum aaj iske papa ke paas so jaana…….
Priya – theek hai maa…….
Ghar ke saare kaam karke Priya apni maa ke room mein sone chali jaati hai……Priya jab bed par baithti hai to Priya ki maa kehti hai…..
PM – idhar aa meri god mein apna sir rakhkar so aaj…….bahut din ho gaye jab se teri shaadi hui hai tu meri god mein nahi soyi hai…….
Priya apni maa ki baat sunkar muskuraate hue uski god mein sir rakhkar let jaati hai…… phir dono kuch der tak idhar udhar ki baatein karte hain……phir Priya ki maa kehti hai…..
PM – ek baat bata tu is ladke ko kab se jaanti hai…….
PRiya – yeh koi 2 saal se……kyun aap aise kyun puchh rahi hain aaj uske baare mein……
PM – tumne sahi kaha tha yeh ladka kaafi achha hai aur samjhdaar bhi hai…….
Priya – aap uski baat kyun lagaakar baith gayin ab……
PM (muskuraakar) – bas aise hi……kyun tujhe uske baare mein baat karna achha nahi lagta kya……
Priya – kya keh rahi ho aap maa…..main samjhi nahi…….
PM – kuch nahi……tu rehne de…….waise tu itni bhi nasamjh nahi hai……
Priya – phir wahi…..aap saaf saaf baat kyun nahi karti…..bas apni gol mol baatien karke muskuraane lagti hain……
Priya ki maa rote hue pyar se uske sir par haath pherte hue kehti hai……
PM – main kya saaf saaf baat karoon……..jab se teri shaadi hui hai tu mujhe bataati kahaan hai kuch bhi……apni gum tak to tune mujhse chhupa kar rakhe hain aaj tak……shaadi ke baad to tune mujhe ek dum se praaya kar diya hai……kehte hain shaadi ke baad betiyaan praayi hoti hain lekin yahaan to meri beti ne mujhe hi praaya kar diya……
Apni maa ki baat sunkar PRiya ka dil bhi thoda bhar aata hai lekin woh khud ko sambhaalte hue kehti hai……..
Priya – maa tum yeh kya keh rahi ho……main to bahut khush hoon shaadi ke baad……. Ankur bahut khayaal rakhte hain mera…….aap bekaar hi chinta karti hain……
PM – main teri maa hoon……tu meri maa nahi……samjhi…….kab tak jhooth bolegi tu apni hi maa se…….main jaanti hoon tujhe shaadi ke baad koi sukh nahi mila hai……phir bhi tu bina kuch kahe……bina koi sawaal kiye……. is rishte ko nibhaaye jaa rahi hai…… tu is rishte se alag kyun nahi ho jaati……….
Priya apni maa ki baatein sunkar shocked ho jaati hai…….woh kehti hai…..
Priya – aapko yeh sab kisne bataaya maa…….
PM – kisine bhi nahi…….lekin main teri maa hoon……tujhe nau mahine apni kokh mein paala hai…….har maa ki tarah maine bhi tere bina maange kab tujhe kya chaahiye yeh jaana hai…….to kya tere jeevan ki itni badi baat nahi pata lagegi mujhe agar tu nahi bataayegi to…….
Apni maa ki baat sunkar Priya ka sabr bhi toot jaata hai aur woh apni maa ke gale lag kar rone lagti hai……….dono maa beti kaafi der tak roti rehti hain…….phir Priya ki maa uske sir par haath pher kar kehti hai……..
PM – tu is shaadi se nikal kyun nahi jaati……talaaq le sakti hai tu……..
Priya – nahi maa…….main apni taraf se kabhi bhi aisa nahi karungi…….papa ki ijjat ka kya hoga……abhi anu ki bhi shaadi honi hai…….
PM – tujhe abhi bhi us insaan ki padi hai jisne kabhi teri kadr nahi ki…….kabhi tujhse pyar ke do meethe bol nahi bole…….tu abhi bhi unki ijjat ke baare mein soch rahi hai……
Priya – maa jaise bhi hain……….woh mere papa hai aur aapke pati………aapki bhi to ijjat kharaab hogi……..main nahi chaahti ke meri maa ko kuch bhi ulta siddha sunana pade meri wajah se………
PM – koi baat nahi yeh sab waqt par chhod dete hain………ek baat puchhoon tu sach sach bataayegi mujhe……
Priya – haan maa…..puchho…….
PM – tu is baar jab se aayi hai bahut khush lag rahi hai…….tere chehre ki muskaan bataati hai ke tu bahut khush hai…….kya main is khushi ka kaaran jaan sakti hoon…..
Priya ko samjh nahi aata ke kya kahe……..
Priya – maa aisa kuch nahi hai…….aapko aise hi lag raha hai……main bhi to is baar bahut dino baad aayi hoon na……..
PM – tu nahi bataana chaahti to koi baat nahi……..lekin main ek baat tujhse kehna chaahti hoon…….
Priya – woh kya maa kaho………..
Priya ki maa uska haath apne haath mein pakad leti hai aur usko gale lagaakar kehti hai…….
PM – meri bachchi…….. teri har khushi mein…. tere har gum mein…… main tere saath hoon……..apni maa se aaj ke baad kabhi kuch mat chhupaana…….teri ek khushi ke liye main saare jamaane se lad sakti hoon…….jarurat padi to tere papa se bhi………apni beti ki khushi se badkar kuch nahi hai mere liye………..samjhi tu meri bachchi………..
Priya – maa tum yeh kya keh rahi ho…….aaj aisi baatein kyun kar rahi ho……….
PM – isliye taaki jo tere jeevan mein khushiyaan aayi hain un khushiyon ko kisiki nazar na lage……bhagwaan hamesha tere saath rahien……bas meri bachchi itna hi kehna hai mujhe……..
Apni maa ki baatein sunane ke baad Priya ko kuch shaq hota hai isliye woh apni maa se kehti hai…..
Priya – maa aapko kya pata hai…….
PM (muskuraakar) – mujhe kya pata hoga…..tu mujhe is laayak samjhti kahaan hai…….jab tak tu mujhe bataayegi nahi tab tak mujhe kaise pata hoga kuch bhi………
Priya apni maa ki baat sunkar man hi man ek faisla leti hai aur uska haath pakadkar kehti hai…….
Priya – maa utho…….chalo mere saath lekin chupchaap savdhaani se………
Priya ki maa muskuraane lagti hai……..Priya apni maa ka haath pakadkar use Aarush ke room mein le jaati hai……Aarush so raha hota hai…….Priya uski taraf dekhkar dhire se apni maa se kehti hai…….
Priya – maa tumne puchha tha na ke main is baar bahut khush dikh rahi hoon……meri is khushi ka kaaran kya hai…….
PM – haan bata…..kya kaaran hai teri khushi ka……..
Priya apni nazarien niche karke kehti hai…….
Priya -meri har khushi ka kaaran yeh ladka hai……..jab se yeh ladka merei jindagi mein aaya hai tab se maine sirf aur sirf khushiyaan hi paayi hain…….
Yeh sab kehte hue Priya ki aankhon mein aansoo the aur uska chehra jhuka hua tha kyunki usko lag raha tha ke uski maa uske pyar ko nahi samjhegi aur use galat samjhegi……Priya ki maa uski baat sunkar muskuraate hue kehti hai…….
PM – tu ro kyun rahi hai…..kahin tu isse pyaar to nahi karne lagi hai……..
Priya – haan main isse bahut pyar karne lagi hoon……..aur iska naam Aman nahi iska naa……
Priya ki maa beech mein tokte hue……
PM – yeh tera Aarush hai……yehi na…….main jaanti hoon…..
Priya apni maa ki baat sunkar hairaani se chehra uthaakar uski taraf dekhti hai to use muskuraata hua paati hai…….Priya ki maa muskuraate hue uske paas aakar use apni baahon mein bharkar uske sir par haath pherte hue usse kehti hai…….
PM – tu najarien jhukaakar kyun jawaab de rahi hai…..tune koi galat kaam thodi kiya hai……. sirf pyar hi to kiya hai……..main jaanti hoon jeevan mein tujhe pehli baar pyar hua hai…….aur agar tujhe isse pyar hua hai to kuch to khasiyat hogi isme………hain na……..
Priya haan mein gardan hila deti hai……..
PM - main yeh bhi jaanti hoon ke yeh bhi tujhse bahut pyaar karta hai……..
Priya phirse hairaani se apni maa ko dekhne lagti hai……
PM – aise kya dekh rahi hai…….uski aankhien kehti hain ke woh tujhse bahut pyar karta hai……..itne dino se dekh rahi hoon tera kitna dhayaan rakhta hai……..tera hi nahi tere se jude har shakhs ka kitna samaan kar raha hai…….tere papa ka bhi kitna dhyaan rakha hai isne itne din……..
Priya – lekin maa tum yeh sab kaise jaanti ho…….
PM – chal pehle niche chalte hain…..ise sone de……
Phir dono niche apne room mein aa jaate hain…….Priya phir puchhti hai……
Priya – maa batao na…….tumhe kaise pata chala…..tum sach mein bilkul bhi naraaz nahi ho mujhse……
PM – tujhse naraaz kyun houngi main…..jab ke mujhe pata hai ke meri beti kabhi koi galat kaam nahi karti……….
Priya phirse najarien niche karke kehti hai……..
Priya – hum dono ke baare mein jaanane ke baad bhi aapko yeh lagta hai ke maine koi galat kaam nahi kiya………..
Priya ki maa uska chehra upar uthaati hai aur kehti hai……..
PM – sabse pehle to tu yeh najrein jhukaana band kar…….. mujhe pata hai ke tu yeh sab kyun bol rahi hai……..isliye na ke tujhe lagta hai ke tum dono ki umar mein kaafi antar hai…….woh tujhse bahut chhotta hai isliye tujhe lagta hai ke tum dono ka rishta galat hai………yehi wajah hai na teri najrein jhukaane ki…….
Priya haan mein sir hila deti hai……..
PM – ek baat bata kya tu uske saath apni jismaani bhookh mitaane ke liye hai…….
Priya (rote hue) – maa yeh tum kya bol rahi ho……..tum yehi sochti ho apni is beti ke baare mein…….
PM – nahi main jaanti hoon meri beti kabhi galat nahi ho sakti…….lekin tu pata nahi kyun khud ko galat samjh rahi hai……tu usse sach mein dil se pyar karti hai na……
Priya – haan maa……
PM – yeh bhi tujhe dil se chaahta hai…….yeh to main uski aankhon mein pad chuki hoon………
Priya – par maa duniya kya kahegi……..
PM – Duniya kaun hoti hai tum dono ke rishte ko judge karne waali…….. tum dono ek dusre se pyar karte ho……..aur pyar karna koi gunaah nahi hai……..sirf aakarshit nahi ho ek dusre se……..main jaanti hoon agar tujhe usse pyar hua hai to koi to khaasiyat hogi usme jo usne tere dil mein jagah bana li……nahi to tujhe to itne sundar teri umar ke kitne hi ladkon ne propose kiya tha jab tu padti thi lekin tune kabhi is or dhyaan nahi diya…….
Priya – maa tum theek keh rahi ho…….isne mere dil mein apni jagah bana li hai hamesha ke liye……..main chaahkar bhi use bhula nahi paungi kabhi bhi…….
PM – mujhe nahi bataayegi kaise hua yeh sab…….
Priya apni maa ki baat sunkar use shuru se lekar ab tak ki saari baatein bata deti hai apne aur aarush ke baare mein…….ke kya kaaran tha ke woh majboor ho gayi uske pyaar ko apnaane ke liye…….Priya ki baat sunkar uski maa ki aankhon mein bhi aansoo aa jaate hain…….. yeh jaankar ke yeh ladka uski beti ko bachaane ke liye apni jaan tak daav par laga chuka hai…….yeh sab sunkar Priya ki maa usse kehti hai…….
PM – beti main nahi jaanti thi ke yeh ladka itna bahadur bhi hai……isne tera pyaar kaamaaya hai meri bachchi……..maine kaha tha na ke tu galat nahi ho sakti…….jisne teri ijjat apni jaan par khelkar bachaayi hai……. jo teri jaan bachaane ke liye khud maut ke munh mein gaya hai……….. usse agar tujhe pyar ho gaya to isme galat kya hai……..maine uski najar mein bhi tere liye koi galat bhawna nahi dekhi…..uski aankhon mein tere liye sirf pavitr pyar hi najar aaya mujhe har baar………jab bhi teri koi baat usse ki maine uski aankhon mein aise chamak aa gayi jaise uske favourite topic par baat ho rahi ho…….
Priya apni maa ki yeh baat sunkar sharma jaati hai…….
PM - mujhe tum dono ke rishte mein koi galat baat nahi lagti……mera aashirwaad tum dono ke saath hai…….tum dono ka pyaar aise hi bana rahe hamesha……..aur tu duniya ki parwaah karna chhod de…….apne pyaar par bharosa rakh……..
Priya apni maa ki baat sunkar uske gale se lag jaati hai…….tabhi Priya ko kuch yaad aata hai…….woh kehti hai……..
Priya – maa lekin tumne yeh to bataaya hi nahi ke tumhe kaise pata laga hum dono ke baare mein……..
PM – jab us din woh sirf touliye mein tha……..aur tu uski god mein baithkar ek chhotti gudiya ki tarah sharma rahi thi……jab woh tere gaalon ko chum raha tha……..maine dekh liya tha tum dono ka pyar bhara yeh pal……..jab main chhat se utar kar niche aa rahi thi tab…….
Priya apni maa ki baat sunkar buri taraf se sharmaa jaati hai aur apne chehre par takiya rakh leti hai sharm ke maare……..Priya ki maa uske chehre se takiya hataati hai aur uska sir apni god mein rakhkar uske baal sehlaate hue usse kehti hai……
PM – jab tum dono ke mann ek dusre ke ho chuke hain…….. to tan kaise dur rahenge… mujhe bas yehi darr hai ke tum use khud se dur kab tak rakh paogi…….
Priya – maa ab bas bhi karo…….(sharmaate hue palatkar apna chehra apni maa ke pet mein chhupa leti hai….)
Priya ki maa bhi hanste hue uske saath let jaati hai……aur uska maatha chum leti hai……
PM – main majaak kar rahi thi…..tum dono jo marji karo saath mein mujhe kya…… main to bas itna chaahti hoon ke tu jo bhi kare usme teri khushi shaamil ho……main tum dono ke saath hoon……duniya ki chinta tu mat karna…….yeh baat hamesha yaad rakhna ke tu kuch bhi galat nahi kar rahi hai…….agar Ankur ne tujhe patni ka darja diya hota to baat alag thi…..lekin tu shaadishuda hokar bhi single hai…….isliye ab apni jindagi apne hisaab se jee……samjhi kuch ya nahi tu…….
Priya - maa samjh gayi…..koshishi karungi main…….ab so jaayein mujhe neend aa rahi hai…….
Apne sir par haath maarte hue Priya ki maa kehti hai……….
PM – hey bhagwaan kya karoon main is ladki ka……itna samjhaane ke baad bhi…… samjhti kyun nahi hai yeh kuch bhi…….isse to mujhe koi umeed nahi hai isliye us Aarush ko hi thodi akal dena prabhu……..ke iska khayaal rakhe woh……
Apni maa ki baatein sunkar Priya bas muskura deti hai…..usko muskuraata dekhkar Priya ki maa kehti hai……
PM - chal theek hai…… ab tu so jaa……. phir kal din mein tujhe apne shehar bhi nikalna hai apne aarush ke saath……..
Priya hairaani se apni maa ko dekhne lagti hai…….Priya ki maa usko apni baahon mein bharkar usse kehti hai……..
PM – aise hairaani se kya dekh rahi hai mujhe……..tu use Mere Aarush kehkar hi to bulaati hai……..tere munh se achha lagta hai sunane mein……… main tere liye bahut khush hoon meri bachchi……..tu hamesha aise hi khush raha kar……chal ab so ja subah uthna bhi hai……..
Priya – I Love You Maa…….
Yeh kehte hue Priya bhi apni maa ko apni baahon mein bhar leti hai aur dono maa beti ek dusre ko baahon mein bhare hue hi so jaate hain…….Priya aaj bahut khush thi kyunki uske dil se ek bahut bada bojh utar gaya tha…….uski jindagi ke sabse khaas sakhs ne uske aur Aarush ke rishte ko apni manjoori de di thi……..Priya ko ab kisiki chinta nahi thi…….