• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Priyaarush_A Love Story_Romantically Erotica

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,672
144
Bhai iski category change kardo kyunki jis taraf tumhari story ja rahi hai wo ROMANCE nahi ADULTERY hai.
Rony2020 ji kisne kaha ki adulatry me romanch nehi ho sakta maine abhi tak to kuch pada nehi sirf apna tark de raha bura n manna
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,672
144
Disclaimer : - All Pics & Gifs used in this story are taken from internet…….

This is my first attempt to write a story.......I will continue the story if i get positive response....if there is any mistake in story pls forgive and let me know....

Will try to give updates after 2-3 days always........

Introduction of Characters

Yeh kahani ek young beautiful teacher ki hai…

d

Priyambada Sharma (Nickname-Priya) (25yrs, 5ft 8 inch, Fig.-34-26-34) – Dikhne mein bahut hi khubsurat hai…..iske gulab ki pankhudiyon se najuk juicy lips hain…. iski khubsurati heroines ko bhi fail karti hai…..yeh sanskari, sharmilee, caring aur emotional hai…yeh apne emotions kisi ko bata nahi paati hai….Suit aur Saree pehanana pasand karti hai….. 2 saal ho chuke hain shaadi ko…..

Ankur (35yrs, 5ft 10inch)- Yeh iska husband hai… Yeh ek MNC company mein badi post par hai…isliye jyadatar bahar tours par hi rehta hai…… isko paisa kamaane ki hi padi rehti hai…aur kaafi paisa bana chukka hai ab tak…..sharaab bahut pita hai….sharaab pine ke baad yeh hosh mein nahi rehta…nashe mein isko kuch bhi yaad nahi rehta hai… kis se kya baat hui aur kya hua…iski ankhon ke samne bhi kuch hua ho woh bhi subah isko yaad nahi rehta…..

Reema – Ankur’s Mother and Priyambada’s Mother In – Law, is a normal Housewife. She never did any job.

Anil Sharma – Rakesh’s Father and Priyambada’s Father-in-Law. He was retired from govt. job.

Seema – Ankur’s Sister, Married about 8 months back and lived in Mumbai.

………………

Prologue…..

Priyambada ka birth ek garib orthodox family mein hua hai….iske maa baap purane khayalat ke the…..Isliye iski padai bhi girls school mein hui hai…Yeh padne mein achhi thi isliye isne teaching ki padai kari hai…iske father bahut strict the….unhone iski shaadi ankur is isliye karayi….taaki beti sukhi rahegi…..paise wala ghar hai….

Priya bahut khush rehti thi shaadi se pehle…..shaadi ko lekar isne bahut se sapne sajaye the har ladki ki tarah….shaadi hone ke 2 saal baad bhi abhi tak virgin hai….kyunki iske pati ne suhagraat ko hi keh diya tha…. usne apne baap ke darr ki wajah se yeh shaadi ki hai… yeh isko pyar nahi kar payega….. ….aur woh kisi aur se pyar karta hai…..

Priya ke shaadi ko lekar saare sapne toot chuke the…..shaadishuda hone ke baad bhi woh akeli thi… Shaadi se pehle bhi iska relationship status single raha hai….shaadi se pehle yeh job karti thi….baad mein chhod di thi qki paise ki koi kami nahi thi isko apne pati ke ghar mein….woh isko paisa kharch karne se nahi rokta tha…aur na hi kabhi hisaab mangta tha paise ka….yeh apni life se ek beinteha pyar karne wala pati chahti thi…..lekin isko aisa pati nahi mila jo isse pyar karta ho…..yeh apni life se samjhota kar chuki thi……iski life mein pyar ki kami hai…. isliye ab phir isne ek reputed bade school mein job join ki hai…. March mein as a Physics Teacher…She teachs class 10th to 12th…

Iski raatein akele hi gujarti hain…..iska jism ab tak unchhua hai…..Iske ander aag badti hi jaa rahi hai…..Is sabke ke bawjood… in guzre 2 saalon mein iske mann mein kabhi bhi kisi ko lekar koi galat vichar nahi aaye hain the….. apne sharmile nature ki wajah se yeh kisi se is baare mein baat bhi nahi karti hai..…. jis wajah se dhire dhire yeh depression mein jaane lagi hai.….. kabhi kabhi to suicide ke bhi khayal aa jata tha iske mann mein……apni aisi niras jindagi ko dekhkar…….

Phir isse overcome karne ke liye hi isne school dobara join kiya……ki mann kahin aur lage to shayad achha feel ho…..

Baaki ke characters agay add honge….Let’s start….Priyambada’s journey after joining new school….
Priyambaada shrmili type ki ladki hain jo maan ki bato ko maan me dava kar rakhti hai. Baap ke pasand ke ladke se shadi kar liya lekin pati se shadi ke bad sab kuch mila lekin vah sab nehi mila jo ek ladki ko milana chahiye. Jis karan priyambaada depression का seekar ho gayi hain.

Ankur is kahani me ek gajab ka kirdar banne wala hai jiske liye paisa hi sab kuch hain.paise kamane me din rat laga rahta hain lekin bibi se rati bhar bhi pyaar nehi karta karan ye ki usne shadi baap ke dar se kiya tha.are ghochu jab shadi ho hi gaya hi to priyamnaada ki life ki band bajane par kyu tula hai talak de de vichari ko bhi chutkara meel jayegi aor apni life enjoy kar payegi.

Masla aa akta hain ma bap ke soch ka jahan priymbaada ki ma bap ne sirf dhan dautal ki chamak dhamak dekhkar beti ko biyaha kara diya ek paal bhi nehi socha uski beti ko vo sukh meelega jo use chahiye aur ankur ke ma bap ne bhi nehi soch ki ankur ko ladki pasand ayega ya nehi vo kisi aor ladki ko pasand to nehi karta. Khair jo bhi ho dono ke life ki lag chuki hai acchi wali aab to priyambada ko koshish karna chahiye pati ke maan me apne liye pyaar paida kare. Jo uske liye muskil hoga.

Any me bas itna kahunga kahani ke pahla update padkar mujhe bahut acha laga mera openion ye hai iss kahani me romance and adultery ka ek behtar combination ban sakta hain. Baki apko jo theek lage vaisha hi kijiye aap iss kahani ka prifix change na kare jis prifix me hai isi me hi rahne de.

Adbhut atulniue update
 
Sirajali

Active Member
1,881
4,825

Komalkh ji.... main janta hoon ki roj roj update mangna galat hai .. magar kahani itni acchi hai ke update mange bina chain nahi milta ........ update please
 
  • Love
  • Like
Reactions: SZK and Destiny

park

Well-Known Member
11,786
14,031
228
UPDATE 27

Isi tarah kuch din beet jaate hain……Priya ke papa bhi ab thode theek ho jaate hain…… Ek din Priya ki maa kehti hai……

PM – beti ab tumhe waapis shehar chale jaana chaahiye……yeh ab theek hain…..main aur anu hain inka dhayaan rakhne ke liye…….

Priya – lekin maa……

Priya ki maa beech mein hi tokte hue……

PM – lekin wekin kuch nahi……wahaan par bhi tumhaara ghar band pada hai kitne dino se……aur apna nahi to is aman ka to soch……iske ghar waale bhi to iski raah dekh rahe honge……

Priya ko apni maa ki baat sahi lagti hai……kaafi din ho gaye the dono ko yahaan aaye…… Priya kehti hai…..

Priya – theek hai maa……aap theek keh rahi hain……..main Aman se baat karke bataati hoon ke kab jaana hai…….

Priya ki maa uski baat sunkar muskuraakar haan mein sir hilaa deti hai…….phir Priya Aarush ke paas jaati hai jo ke upar apne room mein tha……Jaise hi Priya ander jaati hai…..Aarush use apni baahon mein bhar leta hai aur kehta hai……

Aarush – I Love You My Love Jaan………

Priya – main jaanti hoon Mere Aarush……(yeh kehte hue uske gale se lag jaati hai)

Aarush – kya hua…..aap udaas lag rahi ho…….

Priya – maa ka kehna hai ke ab hamein waapis chale jaana chaahiye…..isliye tumse puchhne aayi hoon ke kab chalna chaahte ho tum waapis…….

Aarush (uski peeth par haath pherte hue) – aap rehna chaahte ho abhi to koi baat nahi…….kuch din baad chale jayenge……..

Priya – nahi maa bhi theek hi keh rahi hai……ab papa theek hain……hum jaa sakte hain……phir kuch dino mein school bhi khul jaayenge…….

Aarush – theek hai jab aap kaho hum yahaan se nikal jaayenge……..

Phir dono kuch der baat karte hain…..aur agle din jaane ka programe banaate hain…….Priya phir niche aakar apni maa ko yeh baat bata deti hai……din aise hi gujar jaata hai…… PRiya saari packing kar leti hai…….Raat ko dinner karne ke baad jab Priya sone ke liye apne room mein jaane lagti hai to PRiya ki maa kehti hai……

PM – Priya aaj tum mere room mein sona……kal to tu chali jaayegi…..Aman beta tum aaj iske papa ke paas so jaana…….

Priya – theek hai maa…….

Ghar ke saare kaam karke Priya apni maa ke room mein sone chali jaati hai……Priya jab bed par baithti hai to Priya ki maa kehti hai…..

PM – idhar aa meri god mein apna sir rakhkar so aaj…….bahut din ho gaye jab se teri shaadi hui hai tu meri god mein nahi soyi hai…….

Priya apni maa ki baat sunkar muskuraate hue uski god mein sir rakhkar let jaati hai…… phir dono kuch der tak idhar udhar ki baatein karte hain……phir Priya ki maa kehti hai…..

PM – ek baat bata tu is ladke ko kab se jaanti hai…….

PRiya – yeh koi 2 saal se……kyun aap aise kyun puchh rahi hain aaj uske baare mein……

PM – tumne sahi kaha tha yeh ladka kaafi achha hai aur samjhdaar bhi hai…….

Priya – aap uski baat kyun lagaakar baith gayin ab……

PM (muskuraakar) – bas aise hi……kyun tujhe uske baare mein baat karna achha nahi lagta kya……

Priya – kya keh rahi ho aap maa…..main samjhi nahi…….

PM – kuch nahi……tu rehne de…….waise tu itni bhi nasamjh nahi hai……

Priya – phir wahi…..aap saaf saaf baat kyun nahi karti…..bas apni gol mol baatien karke muskuraane lagti hain……

Priya ki maa rote hue pyar se uske sir par haath pherte hue kehti hai……

PM – main kya saaf saaf baat karoon……..jab se teri shaadi hui hai tu mujhe bataati kahaan hai kuch bhi……apni gum tak to tune mujhse chhupa kar rakhe hain aaj tak……shaadi ke baad to tune mujhe ek dum se praaya kar diya hai……kehte hain shaadi ke baad betiyaan praayi hoti hain lekin yahaan to meri beti ne mujhe hi praaya kar diya……

Apni maa ki baat sunkar PRiya ka dil bhi thoda bhar aata hai lekin woh khud ko sambhaalte hue kehti hai……..

Priya – maa tum yeh kya keh rahi ho……main to bahut khush hoon shaadi ke baad……. Ankur bahut khayaal rakhte hain mera…….aap bekaar hi chinta karti hain……

PM – main teri maa hoon……tu meri maa nahi……samjhi…….kab tak jhooth bolegi tu apni hi maa se…….main jaanti hoon tujhe shaadi ke baad koi sukh nahi mila hai……phir bhi tu bina kuch kahe……bina koi sawaal kiye……. is rishte ko nibhaaye jaa rahi hai…… tu is rishte se alag kyun nahi ho jaati……….

Priya apni maa ki baatein sunkar shocked ho jaati hai…….woh kehti hai…..

Priya – aapko yeh sab kisne bataaya maa…….

PM – kisine bhi nahi…….lekin main teri maa hoon……tujhe nau mahine apni kokh mein paala hai…….har maa ki tarah maine bhi tere bina maange kab tujhe kya chaahiye yeh jaana hai…….to kya tere jeevan ki itni badi baat nahi pata lagegi mujhe agar tu nahi bataayegi to…….

Apni maa ki baat sunkar Priya ka sabr bhi toot jaata hai aur woh apni maa ke gale lag kar rone lagti hai……….dono maa beti kaafi der tak roti rehti hain…….phir Priya ki maa uske sir par haath pher kar kehti hai……..

PM – tu is shaadi se nikal kyun nahi jaati……talaaq le sakti hai tu……..

Priya – nahi maa…….main apni taraf se kabhi bhi aisa nahi karungi…….papa ki ijjat ka kya hoga……abhi anu ki bhi shaadi honi hai…….

PM – tujhe abhi bhi us insaan ki padi hai jisne kabhi teri kadr nahi ki…….kabhi tujhse pyar ke do meethe bol nahi bole…….tu abhi bhi unki ijjat ke baare mein soch rahi hai……

Priya – maa jaise bhi hain……….woh mere papa hai aur aapke pati………aapki bhi to ijjat kharaab hogi……..main nahi chaahti ke meri maa ko kuch bhi ulta siddha sunana pade meri wajah se………

PM – koi baat nahi yeh sab waqt par chhod dete hain………ek baat puchhoon tu sach sach bataayegi mujhe……

Priya – haan maa…..puchho…….

PM – tu is baar jab se aayi hai bahut khush lag rahi hai…….tere chehre ki muskaan bataati hai ke tu bahut khush hai…….kya main is khushi ka kaaran jaan sakti hoon…..

Priya ko samjh nahi aata ke kya kahe……..

Priya – maa aisa kuch nahi hai…….aapko aise hi lag raha hai……main bhi to is baar bahut dino baad aayi hoon na……..

PM – tu nahi bataana chaahti to koi baat nahi……..lekin main ek baat tujhse kehna chaahti hoon…….

Priya – woh kya maa kaho………..

Priya ki maa uska haath apne haath mein pakad leti hai aur usko gale lagaakar kehti hai…….

PM – meri bachchi…….. teri har khushi mein…. tere har gum mein…… main tere saath hoon……..apni maa se aaj ke baad kabhi kuch mat chhupaana…….teri ek khushi ke liye main saare jamaane se lad sakti hoon…….jarurat padi to tere papa se bhi………apni beti ki khushi se badkar kuch nahi hai mere liye………..samjhi tu meri bachchi………..

Priya – maa tum yeh kya keh rahi ho…….aaj aisi baatein kyun kar rahi ho……….

PM – isliye taaki jo tere jeevan mein khushiyaan aayi hain un khushiyon ko kisiki nazar na lage……bhagwaan hamesha tere saath rahien……bas meri bachchi itna hi kehna hai mujhe……..

Apni maa ki baatein sunane ke baad Priya ko kuch shaq hota hai isliye woh apni maa se kehti hai…..

Priya – maa aapko kya pata hai…….

PM (muskuraakar) – mujhe kya pata hoga…..tu mujhe is laayak samjhti kahaan hai…….jab tak tu mujhe bataayegi nahi tab tak mujhe kaise pata hoga kuch bhi………

Priya apni maa ki baat sunkar man hi man ek faisla leti hai aur uska haath pakadkar kehti hai…….

Priya – maa utho…….chalo mere saath lekin chupchaap savdhaani se………

Priya ki maa muskuraane lagti hai……..Priya apni maa ka haath pakadkar use Aarush ke room mein le jaati hai……Aarush so raha hota hai…….Priya uski taraf dekhkar dhire se apni maa se kehti hai…….

Priya – maa tumne puchha tha na ke main is baar bahut khush dikh rahi hoon……meri is khushi ka kaaran kya hai…….

PM – haan bata…..kya kaaran hai teri khushi ka……..

Priya apni nazarien niche karke kehti hai…….

Priya -meri har khushi ka kaaran yeh ladka hai……..jab se yeh ladka merei jindagi mein aaya hai tab se maine sirf aur sirf khushiyaan hi paayi hain…….

Yeh sab kehte hue Priya ki aankhon mein aansoo the aur uska chehra jhuka hua tha kyunki usko lag raha tha ke uski maa uske pyar ko nahi samjhegi aur use galat samjhegi……Priya ki maa uski baat sunkar muskuraate hue kehti hai…….

PM – tu ro kyun rahi hai…..kahin tu isse pyaar to nahi karne lagi hai……..

Priya – haan main isse bahut pyar karne lagi hoon……..aur iska naam Aman nahi iska naa……

Priya ki maa beech mein tokte hue……

PM – yeh tera Aarush hai……yehi na…….main jaanti hoon…..

Priya apni maa ki baat sunkar hairaani se chehra uthaakar uski taraf dekhti hai to use muskuraata hua paati hai…….Priya ki maa muskuraate hue uske paas aakar use apni baahon mein bharkar uske sir par haath pherte hue usse kehti hai…….

PM – tu najarien jhukaakar kyun jawaab de rahi hai…..tune koi galat kaam thodi kiya hai……. sirf pyar hi to kiya hai……..main jaanti hoon jeevan mein tujhe pehli baar pyar hua hai…….aur agar tujhe isse pyar hua hai to kuch to khasiyat hogi isme………hain na……..

Priya haan mein gardan hila deti hai……..

PM - main yeh bhi jaanti hoon ke yeh bhi tujhse bahut pyaar karta hai……..

Priya phirse hairaani se apni maa ko dekhne lagti hai……

PM – aise kya dekh rahi hai…….uski aankhien kehti hain ke woh tujhse bahut pyar karta hai……..itne dino se dekh rahi hoon tera kitna dhayaan rakhta hai……..tera hi nahi tere se jude har shakhs ka kitna samaan kar raha hai…….tere papa ka bhi kitna dhyaan rakha hai isne itne din……..

Priya – lekin maa tum yeh sab kaise jaanti ho…….

PM – chal pehle niche chalte hain…..ise sone de……

Phir dono niche apne room mein aa jaate hain…….Priya phir puchhti hai……

Priya – maa batao na…….tumhe kaise pata chala…..tum sach mein bilkul bhi naraaz nahi ho mujhse……

PM – tujhse naraaz kyun houngi main…..jab ke mujhe pata hai ke meri beti kabhi koi galat kaam nahi karti……….

Priya phirse najarien niche karke kehti hai……..

Priya – hum dono ke baare mein jaanane ke baad bhi aapko yeh lagta hai ke maine koi galat kaam nahi kiya………..

Priya ki maa uska chehra upar uthaati hai aur kehti hai……..

PM – sabse pehle to tu yeh najrein jhukaana band kar…….. mujhe pata hai ke tu yeh sab kyun bol rahi hai……..isliye na ke tujhe lagta hai ke tum dono ki umar mein kaafi antar hai…….woh tujhse bahut chhotta hai isliye tujhe lagta hai ke tum dono ka rishta galat hai………yehi wajah hai na teri najrein jhukaane ki…….

Priya haan mein sir hila deti hai……..

PM – ek baat bata kya tu uske saath apni jismaani bhookh mitaane ke liye hai…….

Priya (rote hue) – maa yeh tum kya bol rahi ho……..tum yehi sochti ho apni is beti ke baare mein…….

PM – nahi main jaanti hoon meri beti kabhi galat nahi ho sakti…….lekin tu pata nahi kyun khud ko galat samjh rahi hai……tu usse sach mein dil se pyar karti hai na……

Priya – haan maa……

PM – yeh bhi tujhe dil se chaahta hai…….yeh to main uski aankhon mein pad chuki hoon………

Priya – par maa duniya kya kahegi……..

PM – Duniya kaun hoti hai tum dono ke rishte ko judge karne waali…….. tum dono ek dusre se pyar karte ho……..aur pyar karna koi gunaah nahi hai……..sirf aakarshit nahi ho ek dusre se……..main jaanti hoon agar tujhe usse pyar hua hai to koi to khaasiyat hogi usme jo usne tere dil mein jagah bana li……nahi to tujhe to itne sundar teri umar ke kitne hi ladkon ne propose kiya tha jab tu padti thi lekin tune kabhi is or dhyaan nahi diya…….

Priya – maa tum theek keh rahi ho…….isne mere dil mein apni jagah bana li hai hamesha ke liye……..main chaahkar bhi use bhula nahi paungi kabhi bhi…….

PM – mujhe nahi bataayegi kaise hua yeh sab…….

Priya apni maa ki baat sunkar use shuru se lekar ab tak ki saari baatein bata deti hai apne aur aarush ke baare mein…….ke kya kaaran tha ke woh majboor ho gayi uske pyaar ko apnaane ke liye…….Priya ki baat sunkar uski maa ki aankhon mein bhi aansoo aa jaate hain…….. yeh jaankar ke yeh ladka uski beti ko bachaane ke liye apni jaan tak daav par laga chuka hai…….yeh sab sunkar Priya ki maa usse kehti hai…….

PM – beti main nahi jaanti thi ke yeh ladka itna bahadur bhi hai……isne tera pyaar kaamaaya hai meri bachchi……..maine kaha tha na ke tu galat nahi ho sakti…….jisne teri ijjat apni jaan par khelkar bachaayi hai……. jo teri jaan bachaane ke liye khud maut ke munh mein gaya hai……….. usse agar tujhe pyar ho gaya to isme galat kya hai……..maine uski najar mein bhi tere liye koi galat bhawna nahi dekhi…..uski aankhon mein tere liye sirf pavitr pyar hi najar aaya mujhe har baar………jab bhi teri koi baat usse ki maine uski aankhon mein aise chamak aa gayi jaise uske favourite topic par baat ho rahi ho…….

Priya apni maa ki yeh baat sunkar sharma jaati hai…….

PM - mujhe tum dono ke rishte mein koi galat baat nahi lagti……mera aashirwaad tum dono ke saath hai…….tum dono ka pyaar aise hi bana rahe hamesha……..aur tu duniya ki parwaah karna chhod de…….apne pyaar par bharosa rakh……..

Priya apni maa ki baat sunkar uske gale se lag jaati hai…….tabhi Priya ko kuch yaad aata hai…….woh kehti hai……..

Priya – maa lekin tumne yeh to bataaya hi nahi ke tumhe kaise pata laga hum dono ke baare mein……..

PM – jab us din woh sirf touliye mein tha……..aur tu uski god mein baithkar ek chhotti gudiya ki tarah sharma rahi thi……jab woh tere gaalon ko chum raha tha……..maine dekh liya tha tum dono ka pyar bhara yeh pal……..jab main chhat se utar kar niche aa rahi thi tab…….

Priya apni maa ki baat sunkar buri taraf se sharmaa jaati hai aur apne chehre par takiya rakh leti hai sharm ke maare……..Priya ki maa uske chehre se takiya hataati hai aur uska sir apni god mein rakhkar uske baal sehlaate hue usse kehti hai……

PM – jab tum dono ke mann ek dusre ke ho chuke hain…….. to tan kaise dur rahenge… mujhe bas yehi darr hai ke tum use khud se dur kab tak rakh paogi…….

Priya – maa ab bas bhi karo…….(sharmaate hue palatkar apna chehra apni maa ke pet mein chhupa leti hai….)

Priya ki maa bhi hanste hue uske saath let jaati hai……aur uska maatha chum leti hai……

PM – main majaak kar rahi thi…..tum dono jo marji karo saath mein mujhe kya…… main to bas itna chaahti hoon ke tu jo bhi kare usme teri khushi shaamil ho……main tum dono ke saath hoon……duniya ki chinta tu mat karna…….yeh baat hamesha yaad rakhna ke tu kuch bhi galat nahi kar rahi hai…….agar Ankur ne tujhe patni ka darja diya hota to baat alag thi…..lekin tu shaadishuda hokar bhi single hai…….isliye ab apni jindagi apne hisaab se jee……samjhi kuch ya nahi tu…….

Priya - maa samjh gayi…..koshishi karungi main…….ab so jaayein mujhe neend aa rahi hai…….

Apne sir par haath maarte hue Priya ki maa kehti hai……….

PM – hey bhagwaan kya karoon main is ladki ka……itna samjhaane ke baad bhi…… samjhti kyun nahi hai yeh kuch bhi…….isse to mujhe koi umeed nahi hai isliye us Aarush ko hi thodi akal dena prabhu……..ke iska khayaal rakhe woh……

Apni maa ki baatein sunkar Priya bas muskura deti hai…..usko muskuraata dekhkar Priya ki maa kehti hai……

PM - chal theek hai…… ab tu so jaa……. phir kal din mein tujhe apne shehar bhi nikalna hai apne aarush ke saath……..

Priya hairaani se apni maa ko dekhne lagti hai…….Priya ki maa usko apni baahon mein bharkar usse kehti hai……..

PM – aise hairaani se kya dekh rahi hai mujhe……..tu use Mere Aarush kehkar hi to bulaati hai……..tere munh se achha lagta hai sunane mein……… main tere liye bahut khush hoon meri bachchi……..tu hamesha aise hi khush raha kar……chal ab so ja subah uthna bhi hai……..

Priya – I Love You Maa…….

Yeh kehte hue Priya bhi apni maa ko apni baahon mein bhar leti hai aur dono maa beti ek dusre ko baahon mein bhare hue hi so jaate hain…….Priya aaj bahut khush thi kyunki uske dil se ek bahut bada bojh utar gaya tha…….uski jindagi ke sabse khaas sakhs ne uske aur Aarush ke rishte ko apni manjoori de di thi……..Priya ko ab kisiki chinta nahi thi…….
Nice and superb update...
 
  • Like
Reactions: SZK

parkas

Well-Known Member
28,446
62,759
303
UPDATE 28

Agle din subah Anu jab Aarush ko chai dene jaane lagti hai to Priya ki maa kehti hai……

PM – Anu tu idhar aa jara…..mujhe kuch kaam hai…….Priya tu jaakar use chai de aa……

Priya ki taraf muskuraate hue dekhkar kehti hai…..Priya apni maa ki baat sunkar sharmaa jaati hai aur apna munh dusri taraf karke kehti hai……

Priya – maa Anu hi de aayegi……main abhi kuch kaam kar rahi hoon……ja Anu tu de aa chai……

PM – lekin tujhe jaane mein kya problem hai……mujhe kuch kaam hai isse……

Priya – jo bhi kaam hai woh main kar deti hoon……Anu tu chai de aa……

Anu chai lekar chali jaati hai…….Priya apni maa ki taraf dekhne lagti hai jo ke use dekhkar khilkhilakar hansne lagti hai…….Priya bhaagkar apni maa ke gale lag jaati hai…….

PM – kya hua tu kyun nahi gayi use chai dene…….use achha lagta…….

Priya – maa…..kyun tang kar rahi ho mujhe tum…….

PM (dhire se) – maine kahaan tang kiya…….main to bas yeh keh rahi thi ke apne Aarush ko chai de aa…..aur maine kya kaha…….

Priya apni maa ki baat sunkar apne kamre mein bhaag jaati hai…….dopahar ke time dono teyaar hokar jab nikalne waale hote hain……..Priya ki maa kehti hai…….

PM – Priya……Aman kahaan hai…..

Priya – maa woh upar room mein teyaar ho raha hai….abhi aa jayega……

PM – achha theek hai……..tum dono bahnein samaan gaadi mein rakho……main jara Aman se kuch baat kar loon……..

Priya apni maa ko dekhne lagti hai lekin Anu ke saamne kuch keh nahi paati…….Priya ki maa muskuraate hue upar Aarush ke room ki taraf chal deti hai……. Room ke baahar jaakar Priya ki maa kehti hai………

PM – kya main ander aa sakti hoon……

Aarush – haan aunty ji…..aap aa sakte ho……..aapka hi to ghar hai…….isme puchhna kaisa……….

PM – mujhe tumse kuch jaruri baat karni hai Priya ke baare mein………

Aarush muskuraate hue kehta hai……

Aarush – aap yehi kehna chaahti hain na ke main unka dhayaan rakhoon shehar mein…..main aapse waada karta hoon ki main unka dhyaan rakhunga…..

PM – mujhe pata hai tum uska bahut khayaal rakhoge…….main to tumhe thanks kehne aayi thi……

Aarush – woh kisliye aunty ji………

Priya ki maa apne dono haath uske saamne jod kar emotional hote hue kehti hai……

PM – kyunki tumne uski ijjat aur jindagi dono bachaayi hain……main kin sabdon mein tumhaara shukriya ada karoon……mujhe samjh nahi aa raha hai…….

Aarusho thoda shocked hote hue…….

Aarush – yeh aap kya keh rahi hain aunty ji…….

PM – Priya ne mujhe sab bata diya hai tum dono ke baare mein…….mujhe sirf itna kehna hai ke main apni Priya ko tumhaare haathon mein sounp rahi hoon…….main jaanti hoon tum dono ek dusre se pyar karte ho…….main pehle hi jaan gayi thi tum dono ke pyaar ke baare mein…….isliye hi tumhe maine uske baare mein sab kuch bata diya taaki agay chalkar tum use galat na samjho…….

Aarush – main yeh us din mandir mein hi samjh gaya tha ke aap hum dono ke baare mein jaan gayi hain…….lekin aapse is baare mein puchne ki himmat nahi hui…….par mere mann mein bas yehi sawaal baar baar aaya ke aap agar jaan gayi thi to aapko hum dono par gussa nahi aaya……..kyun……

PM – nahi……kyunki main jaanti hoon meri beti ne kabhi koi galti nahi ki hai……..woh tumse pyar karti hai yeh jaanane ke baad bhi mujhe apni beti par utna hi garv hai jitna pehle tha………main jaanti hoon tum dono ki umar mein bahut antar hai…….tum usse bahut chhotte ho…….lekin phir bhi woh tumse pyar kar baithi kyunki pyar sochkar nahi kiya jaata bas ho jaata hai………tumne jo uske liye kiya woh usne kabhi socha bhi nahi hoga ke koi uske liye apni jaan ki baaji lagaayega……. Usne to sirf taane hi sune the saari umar aur maar hi khaayi thi…….yahaan tak ke usne to shaayad ek baar marne ki bhi koshish ki thi……agar us waqt main samay par nahi pahunchti to woh to nadi mein kood chuki hoti………

Yeh kehte hue Priya ki maa rone lagti hai……Aarush agay badkar unko gale se laga leta hai aur kehta hai……

Aarush – aap royiye nahi aunty ji……..aap rote hue achhi nahi lagti hain………

PM – beta maine agar jeevan mein kisike liye khushiyaan maangi hain to woh Priya hai…… ab tum uske baare mein sab jaante ho…..ab yeh tum par chhodti hoon ke…….tum uska saath kab tak doge…….

Isse pehle ke Aarush kuch keh paata Priya kamre mein aa jaati hai……

Priya – kya baatein kar rahe ho aap dono…….chalo jaldi hamein ab nikalna chaahiye……nahi to raat ho jaayegi pahunchte pahunchte…….aur yeh maa ro kyun rahi hai…….tumne aisa kya keh diya meri maa ko jo yeh rone lag gayin………..

Aarush (hanste hue) - arre maine to kuch bhi nahi kaha inhe…….ab samjha aap baat baat par ro kyun deti ho…..yahin se aaya hai aap mein yeh talent………. (Priya ki maa ki taraf ishara karte hue kehta hai)

Uski baat sunkar teeno hanse lagte hain…….phir Aarush Priya ka haath pakadta hai aur uski maa ke saamne hi use apni baahon mein bharkar kehta hai…….

Aarush - aap chinta mat kijiye inki……main inka poora khayaal rakhunga shehar mein……

Aarush ko aisa karte dekhkar Priya ki maa muskuraane lagti hai aur Priya sharmaane…. unko muskuraata dekhkar woh Priya ki maa ko bhi apni baahon mein bhar leta hai……. dono hi maa beti uski is harkat par sharma jaati hain…….phir teeno alag hote hain aur Aarush Priya ka haath pakadkar niche jhukte hue Priya ki maa ke pair chhute hue kehta hai……

Aarush – aap apna yeh pyaar aur sneh hum dono par hamesha banaaye rakhiyega……

PM – mera pyar aur sneh to hamesha tum dono ke saath hai….chalo ab niche chalte hain…..nahi to Anu bhi upar aa jaayegi…….

Phir teeno niche aa jaate hain…….Priya phir rote hue apni maa aur behan ke gale lagti hai……usko rota dekhkar Anu aur uski maa bhi rone lagti hain…..

Anu (rote hue) - didi aap apna dhyaan rakhna……

Priya – theek hai rakhungi…..tum bhi apna aur mummy papa ka khayaal rakhna…..koi problem ho to mujhe bata dena phone karke…….main aa jaungi…….

Phir teeno ek dusre se alag hote hain……Aarush phirse jhuk kar Priya ki maa ke pair chhuta hai……Priya ki maa use ashirwaad deti hai…….phir dono gaadi lekar shehar ke liye nikal jaate hain……..

Gaadi drive karte hue Priya note karti hai ke jab se dono ghar se nikale hain Aarush sirf use hi dekhe jaa raha hai…….yeh dekhkar Priya kehti hai…….

Priya –kya hua mere aarush…….aise kya dekh rahe ho……jaise pehli baar dekh rahe ho…..

Aarush (muskuraate hue) - kuch nahi…..bas aise hi…….aapke munh se mere aarush sunane ko mere kaan taras gaye the wahaan par…….

Priya - sorry jaanu……wahaan ke haalaat to tum jaante hi ho…….isliye nahi keh paayi…….

Aarush - haan jaanta hoon…….waise aapne aunty ji ko sab kuch bata diya hum dono ke baare mein…….aapko darr nahi laga…….

Priya – maa ne kal raat ko puchha hi aise ke mujhe unse jhooth bolna ya chhupana sahi nahi laga….. aakhir woh meri maa hain…….

Aarush – aapne bataane se pehle yeh bhi nahi socha ke agar woh aap par gussa ho jaati ya aapke papa ko bata deti to kya hota……aapko kitna kuch sunana padta meri wajah se……

Woh ab gaon se kaafi dur aa chuke the…….aur yeh kacha raasta tha jo gaon ko highway s jodta tha…….isliye is raaste par jyadat sunsaan hi rehta tha…….isliye Priya gaadi ko side mein rok deti hai……aur Aarush ki taraf pyar se dekhte hue kehti hai…..

Priya (muskuraate hue) – isme tumhaari kya galti hai Mere Aarush…….pyar to mujhe bhi hua hai tumse……..ab maa ne to hamaare rishte ko manjuri de di hai na…….phir in baaton ko karne ka kya fayda……bhool jao sab kuch……..shayad tumhe sunane mein bura lage………..main apni jindagi mein apni maa ko sabse jyada pyar karti hoon……isliye unse jhooth nahi bol sakti…….woh mere liye meri bhagwaan ki tarah hain……..

Aarush (muskuraate hue) – isme bura lagne waali kya baat hai My Love Jaan…….maa to maa hoti hai……uski jagah kaun le sakta hai kisiki jindagi mein………mujhe bilkul bhi bura nahi laga……….

Priya uski baat sunkar muskuraa deti hai……usko yun muskuraata dekhkar Aarush apne honth agay bada deta hai…….Priya yeh dekhkar sharmaakar apna chehra jhuka leti hai…..

Aarush – kya hua…..aapne chehra kyun jhuka liya…..

Priya – tum yeh kya kar rahe ho beech sadak mein……..mujhe sharm aati hai…….

Aarush –kamaal hai……kabhi aap khud hi kiss kar lete ho…..kabhi aap sharmaane lag jaate ho……aisa kyun karte ho aap…….

Priya - tumhe pata to hai……main aisi hi hoon……phir bhi puchh rahe ho……..

Aarush – lekin aapne kaha tha ke yeh gulaab ki pankhudiyaan meri hain……phir……

Priya uski baat sunkar sharmaakar apni aankhein band karke apne honth aagay badaate hue kehti hai…..

Priya – haan…..to theek kaha tha maine……yeh gulaab ki pankhudiyaan tumhaari hi hain……khud le lo na…….main kab mana kar rahi hoon tumhe……

Aarush (masti karte hue) – nahi……aap khud doge to hi lunga aaj main…..nahi to nahi……

Priya – pls Mere Aarush……yeh kaisi jid hai……le lo na khud hi tum…..pls…..

Aarush – no means no……aap khud do…..nahi to rehne do…….

Priya uski baat sunkar apni aankhein khol deti hai aur agay badkar uske honthon ko apne honthon mein lekar chusne lagti hai…….

me-and-you-car

Priya itne jor se uske honth chusne lagti hai ke Aarush ki haalat kharaab hone lagti hai…….kuch der baad Priya apne honth uske honthon se alag karti hai aur uski taraf gusse se dekhte hue kehti hai……

Priya (gusse se) – ab khush……….

Aarush muskuraane lagta hai…….

Aarush – aap gusse mein kitni hot lag rahi ho my jaan…….

Isse pehle ke Priya kuch samjh paati…..apni baat kehkar Aarush agay badkar abki baar khud Priya ke honthon par apne honth rakh deta hai aur use apne upar khinch leta hai…… jis wajah se Priya apni seat se nikalkar Aarush ke upar aa jaati hai uske khinchne se……ab is position mein dono seat par aadha let se jaate hain ek dusre ke upar……. jisme Priya Aarush ke upar aadhi leti hui awastha mein aa jaati hai….. Aarush ab Priya ke honthon ko chusne lagta hai dhire dhire pyar se aur saath mein uske baalon mein apne haath firaane lagta hai……..

b

Aarush ke pyar ko mehsus karte hue Priya bhi uska saath dene lagti hai kiss mein….. ek dusre ke honthon ko chuste hue ab dono ek dusre mein doobne lagte hain…….tabhi unke paas se ek gaadi gujarti hai horn bajaate hue…….jisse dono hosh mein aate hain…….woh dono kiss mein itne kho gaye the ke…….dono ko itna bhi dhyaan nahi raha tha ke woh sadak ke kinaare yeh sab kar rahe hain…….horn se jab dono ko hosh aata hai to Priya jaldi se uthkar driving seat par sidhe hokar baith jaati hai…….Aarush bhi siddha ho jaata hai…..phir dono ek dusre ko dekhne lagte hain……..dono ke najrein milti hain aur dono ke chehre par muskaan aa jaati hai……..

Priya – I Love You Mere Aarush………

Aarush – I know that My Love Jaan………..aapko darr to nahi laga…….

Priya – nahi……jab tum mere saath hote ho to mujhe kisi cheez se darr nahi lagta hai Mere Aarush…….

Aarush – achha ji…….itna bharosa hai mujhpar……..

Priya – khud se bhi jyada……..

Aarush - ab hamein chalna chaahiye…….nahi to late ho jaayenge……….

Priya uski baat sunkar muskuraate hue gaadi agay bada deti hai…….raaste mein dono ek dhaabe par ruk kar khaana khaate hain aur phir agay chal dete hain……..ghar pahunchte pahunchte raat ke 9 baj jaate hain…….Dono jab Priya ke flat mein enter karte hain to dekhte hain ke ghar kaafi ganda ho rakha hai……yeh dekhkar Aarush kehta hai…..

Aarush – jaan……aap jaakar pehle nahaakar fresh ho lo…….phir baaki ka dekhte hain……

Priya – ok…..theek hai……

Priya phir apne bag se apne kapde nikaalkar nahaane chali jaati hai…….Priya jab naha kar aati hai to dekhti hai ke Aarush ne uske room ko saaf kar diya hai……yeh dekhkar woh muskuraate hue hall mein aakar Aarush ko dekhne lagti hai……

Priya – mera room tumne saaf kiya…….

Aarush – haan jaanu…..baaki ki safai kal subah kar lena aap…….abhi sona bhi to hai na bed par……. (aankh maarte hue )

Priya uski harkat par sharma jaati hai……phir kehti hai……

Priya – haan sona to hai…….

Yeh kehkar Priya room mein jaane lagti hai…….

Aarush – aap pehle gate to band kar lo……

Priya hairani se palat kar Aarush ko dekhte hue…….

Priya – kyun tum kahin jaa rahe ho kya abhi…….

Aarush – haan main apne ghar jaa raha hoon……aap ander se gate achhe se band kar lo……

Priya – raat bahut ho gayi hai……abhi tum jaakar kya karoge……yahin so jao……subah chale jaana……..

Aarush agay badkar Priya ko apni baahon mein bharkar kehta hai…….

Aarush –nahi jaan…….main ne amma ko phone karke bata diya tha ke main raat ko ghar pahunch jaunga…..woh pareshaan ho rahi hongi mere liye……aap bhi thak gayi hongi……saare raaste drive karte hue…….aap bhi aaraam kijiye abhi…….

Priya uski baat sunkar thoda udaas ho jaati hai……..usko udaas dekhkar Aarush kehta hai…..

Aarush – aap udaas kyun ho gayi……aap kya chaahti hain……..

Priya – main to bas tumhari khushi chaahti hoon……

Aarush – aur main hum dono ki khushi chaahta hoon……aapke chehre par thakaan aur aankhon mein thakaan ki wajah se neend saaf najar aa rahi hai…… isliye aapko ab ek achhi neend ki jarurat hai……..aap ander se gate band kar lijiye aur so jaayiye……subah uthkar bahut se kaam bhi karne hain aapko……

Priya uski baatein sunkar muskuraate hue uski baahon mein sama jaati hai……kuch der baad Aarush use khud se alag karta hai aur kehta hai………

Aarush – ok jaan…..ab main chalta hoon…….gud night and have naughty dreams of me and you…….I Love You…….

Yeh kehte hue Aarush uske honthon par ek halka kiss karta hai aur ghar se baahar nikal jaata hai………Priya bhi ander se gate ko achhe se band karke sone chali jaati hai…….sone se pehle woh apni maa ko phone karti hai

PM – hello…..Priya pahunch gayi ghar……theek se……

Priya – haan maa……main ghar theek se pahunch gayi hoon…….Aarush abhi chhodkar gaya hai ghar mujhe…….aap chinta mat karna meri…….

PM – achha theek hai…….waise ek baat bata…….

Priya – haan maa puchho…….

PM (hanste hue) – raaste mein tere Aarush ne tujhe tang to nahi kiya na……..

Priya – kya maa tum bhi…….jao main tumse baat nahi karti……

PM – achha….achha……sorry……main to majaak kar rahi thi……

Priya – nahi kiya tha tang usne……achha ab main sone jaa rahi hoon…….I Love You meri achhi Maa…..Gud Night……..

PM – I Love You too meri bachchi…….gud night……so jaa ab thak gayi hogi…… bye……apna dhyaan rakhna…….

Yeh kehkar Priya ki maa phone rakh deti hai……Priya bhi phir bed par let jaati hai…..thaki hone ki wajah se Priya ko letate hi neend aa jaati hai…….
Bahut hi badhiya update diya hai komalkh ji...
Nice and lovely update...
 
dhparikh

Well-Known Member
10,544
12,175

Nice update...
 
  • Like
Reactions: Sirajali
Top