THIS STORY IS WORK OF FICTIOUS ANY PLACES CHARACTER HAVE NO RELATIONS WITH
REAL WORLD AND PEOPLES OR MAYBE IF SAME SO THAT WOULD BE CO-INCIDENTAL...
MERCILESS - A MAN WITH NO SOUL
FRIENDS KAAFI DINO BAAD STORY PESH KAR RAHA HOO KAHANI SHURU KARNE SE PEHLE
MAIN YE HIDAAYAT DE DOO KI YE STORY BHI PICHLI POST KI TARAH KOI COPY STORY
NAHIN HAI YE MERE KHUD KI IMAGINARY STORY HAI AUR ISMEIN KOI SHAK NAHIN AB
STORY KI TARAF BADHAA JAAYE
Khadhakti dhoop aur charo taraf garmi ka mahoul tha garmi se taap ki leher aaram se dur
se hi dikh sakti thi charo taraf bas raitili mitti aur dhool ke siwaa kuch nahin thaa naa koi
insaan naa hi koi jaanwar kutto ki haddi paas mein hi road ke duriyo pe parri thi jisse ye
saaf tha ki bhook aur pyaas se inki jaan gayi thi woh shaks dheere dheere kadmo se
saamne ki or jaa raha tha woh raaste mein paidal thaa aur chilchialti dhoop mein tap rahe
oos shaks ke aankho mein kuch aur bhi dikh raha tha woh shaks sidhe raaste ki or hi chale
jaa raha tha ooski nazar paas hi ke cottage par parri jo ki shayad kisi rest room ka tha aur
bikul dhool se woh cottage puraa kaala paddh chukaa thaa shaks tez nazro se paas jaane
lagaa ooske zehan mein koi khauf nahin tha chehre par gusse aur badle ka naqaab odh
rakhaa tha woh baar baar apne daanto ko bheejta aur paas jaane lagaa
tez dhoop mein loo chal rahin thi aur oosne darwaje pe dastak dene ki bajaaye ek zor daar
laat maari dhadddhhhh
aye kaun hai tu?.....andar se ek aadmi ne zor se khadhe hote huye kaha
isse pehle woh samajh paata oos shaks ne apne daayne jaangh ke upar lage myaan se woh
talwaar nikaali aur sidhe hawaa mein maarta huyaa ooske jism ko chuuu ke nikal gaya woh
aadmi wohin chillakar gir gaya aur oos khare shaks ke saamne ab ooski laash padhi thi
ooske gale ke nas ko kaattey huye talwaar aarpaar ho chuki thi shaks ke aankhen ab aur
laal thi aur charo taraf farsh par khoon thaa woh dheere dheere sidiyo ki taraf aakar
chadhne lagaa tabhi piche se ek botal laa rahe oos shaks par ooski nazar parrii oosne
talwaar nikaali aur ek hi haath se botal ko pakadte huye ooske pait mein talwaar ghusedd dalli khacchhhh...aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhh
Quote Reply
Report Edit