Ek baat kehna chahta hu main aap sabhi se. Padhne ke baad vichaar rakh kar he bataiyega.
Dekhiye ye thread mera akele ka nahi hai aur na pyaar
bar. Pehle he din se jab kisi ek vyakti ne apna like ya comment kiya tha tabhi kahani sanjhi ho gayi thi. Dekhte he dekhte 60-70 update tak pehla mel-jol chal nikla aur ek agyaatvaas se agar main wapis lauta toh uski wajah bas aap sabhi log the. Main nahi jaanta ki main itna kaabil hu ya pyaar ka haqdaar lekin ye manch jarur ab mere dil ke bahot kareeb hai, aap sabhi ki wajah se.
Sirf kahaani ki update dene he nahi aata balki aap sabhi se baatchit karna bhi ek niyam hai.
Kabhi kabhi hum log uttejit ho jaate hai aur kabhi thoda pareshan lekin aisa har samay nahi hota. Haan iska nidaan jarur kar sakte hai aapas me baatchit karke.
Kehne ka matlab yahi hai ki jab hum ek adrishya pariwar ke jaise ban chuke hai toh sabhi ko apni baat bhi rakhni chahiye aur dusre ki samajhni bhi. Jaha aapatti ho ya tark lage udhar prashan bhi karna laajmi hai.
Ab kisi vyakti ko ekaant me bhojan ki aadat hoti hai toh kisi ko sabke sath mil kar khaane me maja aata hai aur aisa he sahitya ke sath bhi hota. Antarmukhi charcha nahi karte aur bahumukhi sawaal uthane ke sath sath aapas me vichar bhi prakat karte hai. Galat toh koyi nahi kyonki swaad neeji maamla hai.
Aap sabhi log kabhi bhi nakratmak vichaar mat laaye aur agar galti se bhi uttejit baat kare toh usko najarandaaz kijiye ta fir report. Lekin hamesha apne vichaar rakhiye aur aisa bilkul nahi ki hansi majaak nahi kar sakte. Kahani se sabhi jude hai aur ye bhi aap sabhi ka ijhaar ka ek tarika hai toh isko rok kar khaane ke baad wale meethe se prithak mat kijiye. Ye charcha aur hansi majaak jo kahani ke kirdaaro se juda hota hai wahi kahani ki jaan hai. Aksar log comments aur reviews gehraai se padhte hai chahe wo silent reader ho.
2800 panne aur 28000 comments me kahani toh 220 comments me he hogi, jo index me seedha uplabdh hai. Lekin baaki ke vichaar aur pyaar he wajah hai is vishaal antheen yatra ke. Bas aapsi mook taalmel jarur banaye jab koyi antarmukhi kisi bahumukhi se bhent kare toh. Index meri jimmewari hai jo hamesha sahi milega. Ye aapka manch hai aur sabhi yaha vichar rakh sakte hai, jubaan meethi rakh kar.
Haan koyi baat buri lagi ho toh usko dil par jarur lijiyega kyonki tabhi hum halaat badal sakte hai. Shayad ye ek behtar tarika hota hai jiwan me adhik sudhaar laane ka lekin himmat rakh kar sabhi ke sath shamil hone se he badlaav aate hai. Akela Enigma toh is kahani ko 4 panno par liya bhatak raha tha. Bura laga tabhi toh idhar aaya.
Dhanyavaad aap sabhi ka
Aapka
Enigma