• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,928
173
Update 202 (2)
Pariksha Purv


"Ye mall-yudh ka akhada nahi hai musafir. Ye snayu-tantra aur panch indriyon ke pashchaat tumhare paas atirikt kya hai, iski pariksha hai. Is dhooni me swayam panchtatvo ke sath aneko tap ka phal shamil hai hamare karmath shishyo evam guruo ka. Siddheshwar urf Sreedhar apne pratham shikshakaal me ek lalakvaan aur samarpit shishya tha hamare guru ji ka. Ab isme utarne se pehle gurudakshina swaroop wo bhent karo jisne tumhe yaha ki raah dikhai.", Aghori baba Vajranand apne jataayen samet kar sahi se sar par bandhne ke baad lohe ke trishul ko liye khandhar ke peeche bane is akhadenuma sthaan par chale aaye jaha unke dono pramukh shishya akhaade ke bhitar ja chuke the. Arjun sirf kamar par wahi ek vastra lapete the jo langot se kahi adhik chota tha. Ab jis gurudakshina ki Vajranand ji ne baat kahi thi Arjun sar hilata hua apne vastro ki taraf badh gaya. Patloon ki jeb se wahi sikka bahar nikala jisne ghor andhkaar me Arjun ka maarg prashast kiya tha.

"Aapko yakeen tha ki ye mere paas hoga baba?", Arjun ne ghutna modd kar jis tarah se ye sikka unke sammukh kiya tha wo is tarah muskuraye jaise Arjun se abhi sahi parichaya prapt na hua ho. Filhal unhone bas wo dakhshina apne hath me lete hue aankhe band karke us sikke ko tatola.

"Ye us hatthi raja ke bhi paas tha musafir jo sahi 51 baras pehle prabhu ko lalkaarne aa pahucha tha. Aseem bal, krodh aur peeda se funfkarta wo insaan swami Bhootnath ke us bhujang samaan tha jo ve swayam he shaant kar sakte hai apne gale me haar ki tarah dharan karke. Pehle waha kapaat the jinhe apni thokar se dhwast karte hue wo samadhan ki jagah is jagah ko he mitana chahta tha. Gurudev ke maatra halke prahaar se wo bhoomi par gira toh chakshu khulne he the. Yaha koyi kisi ka anisht nahi karta aur aisa sochna bhi samast tapasya vyarth karna hai. Ye mudra (sikka) uske hath se he giri thi jisko dikha kar wo aise sawaal kar raha tha aise swami bhi uske gulaam ho. Jawaab kaise mil sakta tha? Parantu yahi prateek hai Siddheshwar aur is sthal ke sath uske ateet me bann kar toote rishtey ka.", Arjun bade gor se sab sunn raha tha aur dono vyakti is golakar ghere ke bahar aa ruke toh Arjun ne bhitar jaane se pehle ye ekmatra sawaal poocha.

"Iski he wajah se wo raaj-darbar me sewak bann paya tha na baba?"

"Tab ye sthal itna khamosh aur viraan nahi hota hai musafir. Aghor tap par jaane se pehle vyakti ko is sansaar me apna samajik yogdaan dena aavashyak hota tha. Maansik, sharirik aur aatmik shiksha ke pehle charan purn karne ke baad inko samaaj me apni ruchi anusaar prakat karne ke liye bhraman karna padta tha. Shiksha ka sahi auchitya toh yahi hai ki isko grehan karne ke baad vistaar karna. Siddeshwar ki ruchi gehre evam ansulhjhe vishayo par adhik rehti thi parantu sharirik shiksha me bhi uske samaan naam-matra he shishya the gurudev ke. Swayam maharaja ne uska chayan rann-niti aur bhed-chakra ke jaankar hone ki wajah se darbar me aantarik suraksha pramukh ke taur par kiya tha. Kuch varsh baad wo wapis lauta jaisa ki anivarya tha parantu 8 baras baad wo jab nikla toh darbaar me pad-aaseen hone ke sath maharaja ka niji sewak bann baitha. Ye mudra dharohar hai is sthal ki aur ab Siddeshwar ka yaha se koyi rishta nahi raha iske wapis lautne par. Jao aur jaisa humne kaha tha apni khaasiyat pehchano wo is dhooni me rami hogi. Samarth hue toh swayam wo tumhe dhoond legi. Aatma tum bhi abhed ho musafir lekin wo dono aksar hume hairaan karte rehte hai apni lagan aur tapasya se.", Jiwa baba ne Arjun ke charno aur hatho ko ek baar fir se nehlaya jab uske kadam us pavitra raakh par jaane lage the.

"Gurudev ye abhyaas pariksha niyamanusaar nahi dikh rahi.", Ghere se bahar Jiwa Vajranand ji se aashankit swar me poochne lage jab bhitar jaane par Arjun ne us akhaade ki saleti-kaali raakh dono hatho me masalne ke baad pehle Taaraknath ki taraf mall-yudh ka aahvaan kiya. Samaan kadd lekin Taaraknath ka jism kuch jyada he bhaari aur chuada tha apne pratidwandi ke ispaat se maansal chharhare sharir ke saamne.

"Tumhe abhi manan pariksha uttrin karni hai Jiwa aur uske baad tum Tarak aur Kapil ke samkaksh ho paoge. Parantu ye jeev jo abhi tumhare saamne hai ye bhoot-saadhak hai, jo tum teeno ki shiksha me agla padaav hoga manan praiksha samapt karne ke pashchaat.", Bhitar dono daityakar jism aapas me daso ungliyan uljhate hue sharirik bal ki jaankari jutane me lage the. Kapileshwar panje modde ghutno ke bhaar bade dhyaan se dono par taktaki lagaye tha.

"Bhoot-saadhak? Gurudev ye toh sadharan musafir hai beshak laalach aur ghamand se pare ek majboot yuvak. Ye bhoot-saadhak kaise ho sakta hai wo bhi bina shiksha ke aur itni kam-umar me.?", Taaraknath ne apna bal badhate hue Arjun ki bhujayen peeche karni shuru kar di thi. 50 inch ke laghbhag chauda unka seena ab jyada bhayankar dikh raha tha aur wahi Arjun ke jism ki har maanspeshi apna akaar badhati lagi. Jald he Arjun ka ek paanv peeche hone ke sath agla ghutna jhukne laga tha jaise Taaraknath uspar haavi ho chuke ho.

"Swayam jaan jaoge Jiwa. Wo Taarak ki kshamta jaan chuka hai lekin Taarak ke sath hum swayam nahi dekh pa rahe ki is musafir ke adhbhutt bal ka strot kya hai. Wo jo iske bhitar hai ya us se adhik bhitar jinse bhoot bhi saadh liya hai. Baaye kandhe me adhik bal badh raha hai jo aksar kamjor hota hai. Ye Taarak se he khel raha Jiwa, usko kasht nahi dena chahta.", Bhitar sachmuch Taaraknaath ab ugra hone ke sath poora dum jhonk chuke the, aankhon me laali atyadhik badh kar bhayankar swaroop dikha rahi thi in baba ka aur yahi Arjun ne apni urja ka bejod namuna dikha diya jab khud par chhaaye pratidwandi ko uske he jor lagane ki disha me apne jism ke upar se gujaar kar peeth ke peeche fenk diya. Taarak iske liye bhi tyaar tha jo palti khaane ke bawjood peeth na lagne dete hue panjo aur hath ke bal bhoomi par aise khade hue jaise unchai se girne ke bawjood ek surakshit bilaav.

"Adhbhutt. Taaraknath ji aksar hume 100 ki ganana se pehle parajit kar dete hai gurudev lekin ye inka sabse behtar suraksha daav tha jabki musafir toh jaise prabhavheen hai unke bal se."

"Ye gunn le raha hai Jiwa, ye Taarak ke gunn grehan kar raha hai. Is musafir ki najar Taarak se pehle uske girne aur sambhalne ki disha me thi. Dekho ab jism garma raha hai musafir ka. Ab ye taqat pradarshan karega.", Bhitar thik waisa he hua tha. Arjun Taaraknath ke sath thik prarambh wali sthiti me hatheli se hatheli bhidaye jor laga raha tha lekin is baar bhujayen pratidwandi ki peeche ja rahi thi. Arjun ko jyada samay nahi laga Taaraknath ke ghutne bhoomi se lagwane me lekin tabhi ek taraf baithe Kapileshwar baaj ki tarah Arjun par jhapte aur kamar ki taraf se pakad kar usko poori taqat se peeche uchaal diya. Wo gira lekin thik waise he jaise Taaraknath sharir ko palti khilane ke baad panjo aur hath ke bal bhoomi par santulan bana gaye the. Ab saamne 2 pratidwandi the aur Arjun ke bhitar bhi toh 2 he the jisme se abhi tak ugra swaroop toh bahar aaya he nahi tha.

"Ye atyadhik prashikshit hai parantu itni c aayu me gurudev?"

"Kuch shiksha janam se he hum sath liye aate hai Jiwa aur is musafir ka abhi tak ka jiwan saral nahi prateet hota hume. Dukh, peeda, partyaag aur akelepan ko kam-umar se he apna shatru na bana kar un par vijay prapt ki hai isne. Ek se adhik aatmik guruo ke saayen me raha hai parantu bhoot-saadh sakne ke liye toh mahirsh-yogi he sarvopari hai. Jitna humko gyaat hai pichle 25 baras me humne kisi mahirsh yogi ke baare me nahi suna jo samaaj me sewaniyukt ho. Adhbhutt..", Apni baat beech me he rokte hue unhone wo drishya dekha jaha Kapileshwar se saamna karte Arjun ko uski peeth se jakadte hue Taarak ne uchalne ki jagah jameen se uthate hue ek taraf patakhni di. Hua fir ummeed se viprit jaha Taarak swayam peeth ke bal us raakh me gire the, Arjun aur Kapileshar ke jism sath he uthne ki wajah se aur unki bagal me Kapileshwar. Dono ke madhya baitha Arjun apni ungli par raakh mal raha tha, dard ki wajah se.

"Ye abhyaas nahi kar raha gurudev. Aur ab aap he sikhaye isko.", Dono apna josh aur gussa bhula kar muskurate hue uth khade hue. Arjun ke chehre par atche se wo mulayam raakh paut di thi Taaraknath ji ne, gussa jo shaant kar diya tha unhe thak kar Arjun ne.

"Ye mudra aur kamandal pakdo Jiwa. Aaj akhade me sachmuch he bada jeew chala aaya hai jisne pehle toh hume dhyaan-shivir se bahar bulwa liya aur aaj 10 baras baad abhyaas ghere me. Dekhe jara ab ye musafir khelta hai ya ye swayam ki pariksha lena chahta hai.", Jiwa ke sameep he ab baaki dono baba aa baithe the. Vajranand ji ko jaise jal-abhishek ki jarurat nahi thi aur wo sadhe kadmo se Arjun ke sammukh aa khade hue. Ye lambai me asadharan hone ke sath he kahi adhik tejasvi aur thehre paani se shaant the. Apni seedhe hath ki hatheli se unhone jhukte hue Arjun ko mallyudh jaari karne ka ishara diya aur inse hatheliya milate he Arjun ko aisi garmahat mehsoos hui jaise uski pakad me koyi garam kiya hua chatak patthar he aa gaya ho. Chehre se shaant lekin itna atyadhik sharirik bal wo bhi umar ke aise padaav par. Bahar baithe hue teeno saadhu bahot gehraai se is pal ko dekh rahe the jaha pehli baar unhe Arjun ke mastak par bal padte dikhe aur unke gurudev apna bal badhate hue inch dar inch Arjun ko peeche dhakelte ja rahe the. Wo peeche khisakna ek samay par ruka aur ab jaise dono he dhurandaro ke paanv inke sharirik bal ki shamta se raakh me dabte gaye.

"Kapileshwar ji aap dekh pa rahe hai jo hum dekh rahe hai? Aisa lagta hai jaise 2 bahot badi urja ke strot apne sthaan par theharne ke baad uska prabhaav bahar gira rahe rahe. Gurudev nischit roop se is baalak se kahi atyadhik saksham hai aur wo iski adhbhutt urja ke antim kann tak jaan ne ka prayatan kar rahe hai. Parantu ye musafir yuwak itna kamtar bhi nahi hai.", Taaraknath ki baat sunn kar Jiwa ne bhi apni sehmati di parantu Kapileshwar ji toh naa me sar hilate hue saamne he dekhte rahe.

Arjun ke peeth par ubhar aayi asankhya sooksh paseene ki boonde bata rahi thi ki usko bhi aaj he apni samast shmata ka pata chalne wala hai. Chehra purn-tarah se apne se paun foot lambe aur aseem taaqat se bhare us shaksh par tha jiske chehre par jyada bhaav nahi the lekin mastak par bal toh padne shuru ho chuke the. Jis tarah se Arjun ka daaya paanv behad he dhime prabhaav se unki aur badh raha tha, thandi raakh me se maano halka jwalan dhuan sa uthne laga. Is samay me Arjun ke seene ke kataav aur ubhaar atyaadhik phool kar uske jism ka pehli baar itna utkrisht varnan karte dikhe jaisa na kabhi kisi vyayamshala me hua tha aur na kisi mukable me. Varjranand ji ke panje ne bhi Arjun ki taraf thik waise he rukh kiya jaise diyasalaai haule se ragadti hui jalne se pehle dhuan karti ho. Dono ki peshani se paseene ki motti motti bunde rakh me tapak kar girti hui waisa drishya dikha rahi thi jaise baarish ki ruki hui bunde thehre hue paani par girti usko chhalkane lagti hai.

"Yaaaaahhhhhh..", Aur is udhghosh se bahar wale teeno ke sath sath swayam Vajranand ji ke bhi kadam ukhad gaye aur unhone dekha wo bhoot jisko Arjun saadh chuka tha. Lekin ye pehle sirf muskurata tha apne dushman se bhidte samay. Aaj isne visphot karte hue Vajranand ko ek taraf ghuma kar aise uchaal diya tha jaise maahir palledar kanak se bhari sawa mann ki bori ko trolly me fenkte hai, sahi jagah. Raakh par 15 feet dur jaa kar girte Vajranand ji ke paanv tak jaise swayam ke wajan aur raakh ki ragad me jhulas uthe the. Unka ek hath jameen par aur dusra thik us trishool par tha jisko bhitar aane se pehle unhone ghere ke bahar gaada tha. Chehre par bhaiye aur hairaani ke sath krodh tha us tapasvi ke saamne jo abse pehle baraf manind shant tha. Trishul ki madhya nok se ungli par chira lagate hue Vajranand ne pehli boond pavitra raakh par tapkaai, dusri apne lalaat par lambvat tilak ki tarah ek kaan se dusre kaan ki disha me aur hath ko jhatakte hue kisi kushal dhaavak ki tarah Arjun ki taraf lapke. Wo sachmuch jaise ek buchaal he tha, 7 feet se lamba bhuchaal khuli jataaon ke sath us taraf daudta jaha unhe tinke ki tarah uchalne wala dridh bargad ke vriksh sa khada tha. Ye sab second ke aadhe hisse me hua tha jisko sadharan chakshu toh darj he na kar paate apne maastishk me.

"Aaahhhh... Bholenath..", Arjun ke daaye kandhe par majboot mushti prahaar karne me safal rehte hue bhi Vajranand swayam ko bacha na sake is musafir ke jordaar pratiuttar se. Raakh ka gubaar sa uth gaya tha poore akhaade me aur usme lipte antmim chhor par ja ruke Vajranand ji ne ghutno ke bal hote hue hath khade kar diye.

"Shaant musafir.. Shaant. Tumhe tumhari manzil par pahuchne se koyi nahi rok sakta.. Koyi bhi niyam se chalne wala maharathi tumhare sammukh nahi tik sakta. Hume abhaas ho gaya tha jab tumne waha khade reh kar hume 2 baar vibhinn vyaktitva se dekha tha. Humne bharsak koshish ki usko sakshaat dekhne ki parantu asafal rahe. Humne bas shamta jaanchne ke liye tumhe maansik kasht pahuchane ka dussahas kiya, uske liye maafi chahte hai.", Vajranand ji ke aisa kehte he Arjun ghutno ke bhaar dhamm se raakh ki satah par gir gaya. Hath uske jude hue the aur uske baad sar bhi raakh pe rakhta wo apni galti ki kshama maang raha tha, beawaaj. Vajranand ji uth kar ladkhadate hue uske kareeb aaye aur uska chehra uthate hue bade sneh se sar sehalya jaha sirf aansu aur raakh thi.

"Saamne toh koyi 51 baras se he nahi aaya phir ab kaise mumkin hai baba? Main Arjun Sharma unhi ka vanshaj hu jo aapke dwaar par talwar liye madad ki aas se aaye the, bas unhe madad maangni nahi aati hogi. Main jaha bhi andhere me wo toote dhaage dhoond kar kisi disha me badhne nikalta hu, aage aur andhkar milta hai jaha pehla dhaga toota hua aur aur aage ek aur naya sira jiska parinaam bhi pehle wale jaisa. Bahot bojh badh chuka hai is antarmann par lekin main haarna nahi chahta. Meri maa ne hamesha yahi kaha hai ki sahi gyaan he tooti kadiyon ko mila sakta hai. Aap jodd sakte hai un bikhre hue adhure dhaago ko?", Vajranand ji ke shishya jaha pehle uttejit thi ab wo alag he dard mehsoos kar rahe the jab ye ladka unke guru ki jaangh par sar tikaye pasra hua tha.

"Hum toh sirf khudko parmatma se jodne ki koshish me lage rehte hai putra parantu tumhari maa ne jo kaha hai aur jis shradha se hamare paas aaye uska anaadar hum aghori bhi nahi kar sakte. Bholenath aur maa he toh sarvesarva hai. Hume bhaan hua tha ke tum us vriksh ki he majboot shaakh ho jo yaha uttejjana me chala aaya tha aur wo suraksha-prehri apne kartavya me ye bhool kar baitha ki samadhan ke liye samarpan jaruri hai. Isliye toh wo haar gaya aur tum in dhaago tak pahuch gaye. Jisne tumhe aatmik gyaan aur apni dusri pehchaan ko saadhna sikhaya kya usne madad nahi ki?"

"Unka vachan sirf ek daayre ke raksha me aur mujhe sanwarne tak he simit hai baba. Khud ko maine nahi mere he behtar sanskaran ne sadha hai. Wahi mujhe sikhati hai hai bahar se jyada andhkar bhare apne antarman se jodd banana. Uske sammukh toh main aaveshit ho bhi jau toh sparsh matra se nishkriya ho jata hu. Is manzil par wo sath nahi baba hai, ye meri virasat hai sirf meri."

"Dhanya ho prabhu. Is bache ko virasat bhi saunpi gayi toh athaah dukh aur vedna se bhari. Itni jung toh 9 maas garbh me rehne wala navjiwan bhi nahi ladta jisko duniya me laane ke sabhi virudh ho siwaye maa ke. Tumhara uddeshya wahi Shridhar urf Siddheshwar ke anushthaan ke kaale itihaas se juda hai beta?", Arjun ne aankhen jhapka kar haami bhari. Chehre par wo raakh aansuo ke wajah se jamm kar gehri ho gayi thi. Ab aansu bhi thamm chuke the aur wo aag bhi.

"Taaraknath, putra ko gyaan dene ka waqt hai aur tum swayam ashaant ho. Garbh sangam sthal nahi le jaoge apne mitra ko? Arjun, hum dhaage nahi jodd sakte kyonki humara bahari duniya se judaav simit hai. Ye tumhari khandit virasat hai jisko kaayam tumhe he karna hoga. Khaali hath nahi bhejenge hum apne is mohak musafir ko. Us anushthaan se kisi vishipt tantrik aur aayojak ko kuch haansil nahi hota, siwaye haivaniyat aur asuri pravarti ke. Tumhe jo haansil hai wo phal toh aise insaan se he mil sakta hai jo is anushthaan ko purntaya ki dehleej par khandit kar chuka ho. Tum aisi baaton par vishwas nahi karoge parantu jis tarah bure karam vansh badhne ke sath dosh aage badhate hai waise he punya karmo ka phal bhi ateet se bhavishya tak us sahi vyakti ko hansil hota hai jiska judaav raha ho. Ye dhaga hum nahi suljha sakenge, maa madad karengi. Ho sakta hai ye hamara vichar sanshaya maatra ho lekin insaan tum asadharan ho jo virasat me kuch amulya gunn bhi liye hai. Taarak, tumhe kuch shanka toh nahi hamare is musafir par?", Arjun ko samjhane ke sath ek nayi uljhan bhi de daali thi Vajranand ji ne jo kahi se bhi pareshani wali nahi thi. Taaraknath ji bhi ghere ke bhitar aa chuke the.

"Toh kya wo anushthaan ateet me karne ki koshish satya hai gurudev? Humne sirf ye suna tha parantu is baalak ki shamta suchak hai ki ye bhi prehri hai aur peedit bhi. Tumne humare sath krida-abhaas kiya hai isliye mitra samaan ho hamare parantu aaj chintit mehsoos kar rahe hai swayam ko.", Taaraknath dwara bhoomi par baithe Arjun ka sar dularna bhi alag he drishya tha.

"2 baar ye pryaas hua hai Taarak, Siddheshwar itna gyaan nahi rakhta tha is anushthaan ke baare me aur prathm ghatna ke samay toh wo duniya me he nahi aaya tha. Sarvpratham aisa dussahas jisne kiya tha uska antt thik karam anusaar he hua parantu wo asur 99 akshat garbh aur taruni us anushthan me bhent kar chuka tha antt samay tak. Antim aahuti garbhvati tanuja ki di jaani thi aur fir bholenath evam maa jagjanani ki bhi sehan-shamta khatam ho gayi. Aayojak ke pahuchne se pehle he tanrtik Mrikswami aur uske 3 sahayko ke sar wahi garbh me dhad se alag kar diye swayam us garbhvati tanuja ne jisko murchhit karke dhokhe se waha laya gaya tha. Vann me sthit us anushthaanshala aur garbhgrah ko swayam us devi ne agni ke supurd kar diya tha jisko ye nar-pishaach sirf ek kamjor garbhvati stree samajhne ki bhool kar baithe the.", Khamoshi se ye katha sunta Arjun apne kaano par vishwas karne ke liye khudke ke sar pe thappad jadne laga toh uska hath Vajranand ji ne hanste hue pakad liya.

"Gurudev agar anushthan antim aahuti par khandit kiya jata hai toh uske dand swaroop aisa phir se dohrana padta hai usi aayojak ko. Sehasra-Vipaash garbh anushthaan ke khandit hone par pachasvi aahuti me tantrik ki jagah aayojak... aayojak apni nasl ke sath kukarm karne ke baad bali deta hai. Aur ye mamla us ek he ..", Taaraknath ko ishare se beech me he Vajranand ji ne khamosh karwa diya.

"Kuritiya aksar aise he barkarar rakhi jaati hai. Inke niyam aise banaye gaye hai ki inku punravriti na ho toh dosh aur patan ka darr aayojak ke dimaag me baitha kar usko todd diya jata hai. Mrikswami ka wo eklauta chela he Siddeshwar ka guru bana tha, tantra ki duniya me. Gurudakshina swaroop usne Siddeshwar ko yahi anushthan un aayojak ke liye dohrane ka vachan liya aur dusht toh hamesha he aise avsaro ke liye tayaar rehte hai. Parantu is baar samay pehle jaisa nahi tha aur nayi peedhi me kuch sajag prehri bhi the. Jaisa Arjun ne kaha 57 bhent ke pashchat he vighna me vighneshwar aa padhare. Wahi jo hamare dwaar par aaye the tantriko ki talaash aur apne sawaalo ke jawaab lene. Sankhya 57 thi ye jyada iska hume bhaan nahi lekin dono vyaktiyon me marmik sanvednaye aur dard bhara tha un bekasoor deviyon ka jinhe tarun jiwan poora karne se pehle he nasht kar diya gaya. Aksar istarah ki muthbhed ke parinaam bahot bure hote hai aur waisa hua bhi hoga, yakinan bahot se apne khoye honge. Yahi toh virasat me mila hai is dhool me sane kamal ko. Ab tum isko hamari hasiyat mutabik garbh-gyaan dene ki koshish karo Taarak, ham dhyaan ki tayaari karte hai. Musafir jaane se pehle apni shiksha ka pramaan patra lete jana.", Vajranand ji inse pehle he utha kar chal diye aur unke dono chele bhi peeche. Arjun ke kandhe par hath rakhe aur dusre hath me trishul uthaye Taaraknath ji is dopehar ke aakhir samay me ghane vriksho ki kataar se judi nadi tak aa pahuche. Arjun ke kuch kehne samajhne se pehle he unhone trishul wahi jameen par gaad kar Arjun ki aankho par angrakha baandh diya.

"Chalo, garbh me kuch dikhaai nahi deta. Mehsoos karna padta hai aur yaha par hum tumhari mata ka sthaan le rahe hai, jagatjanani ki ijajat se.", Chhapaak ke tej awaaj ke sath wo Arjun ko jakde hue vishaal chattan ki tarah gehre paani ma gir gaye, haan thik jaise gira jata hai sharir ko dheela chhod kar. Ye antim sabak tha Arjun ki shiksha ka uski aanewali pariksha purv.
.
.
"Maa ji, aapke aur pita ji ke kapde rakh diye hai 2 din ke hisaab se aur Roshni ki bhi packing ho gayi hai. Sath aur kaun ja raha hai? Shankar bhai sahab ya bade jeth ji?", Krishna ji ne istree karne ke baad apne saas-sasur ke kapde ek attachi me laga diye the. Pehle jaha sirf aana jana he karna tha ab ye log Roshni aur Anjali ko bhi unke ghar chhodne ja rahe the. Bahot kuch waha bhi dekhna tha aur Roshni aise he toh yaha aa gayi thi. Beti ka college aur ghar sambhalna jaruri tha. Kuch fainsle liye gaye the jin par wahi vichar kiya jana tha. Rameshwar ji toh apni bhabhi ko lene gaye the aur ab wapis lautne wale he the.

"Komal ko bol de Krishna, 2 jodi kapde wo bhi rakh legi raat me pehan ne walo kapdo se alag. Leke toh main us nakchadhi ko jaane wali thi jo 3 baar phone milane ke baad bhi santusht nahi hu. Tere pita ji ki ek khuraak nikaal de baaki sath he rakh de kapdo ke. Shankar kuch keh ke gaya tha ke kab tak aayega aaj? Inder ka toh phone aa gaya tha ki wo der raat ka laut aayega.", Kaushalya ji mann me asankhya vichar chal rahe the. Unhe haweli se pata chala tha ke Arjun college wale kaam se nikla tha subah par Arjun ne yaha kuch aur bataya tha. Ab 4 bajne wale the aur uski koyi khabar tak nahi thi. Wo laparwaah nahi tha fir bhi Kaushalya ji ki uske sath daadi paute se alag khaas mamta bhi thi aur unke liye wo hamesha se munna he tha, bailbudhi.

"Jeth ji toh hai he maa ji ghar. Shankar bhaiya chahe aaj na aaye ya Naren ko deri ho jaaye, aap log toh subah he nikalne wale hai. Waise Komal se behtar aap Ritu ko he le jaaye. 2 din ki toh baat hai aur ye ladka usko jaanboojh ke pareshan karta hai toh aise me wo padhne se rahi."

"Na Krishna, Komal jaayegi toh Ritu vyast rahegi aur Arjun kar lega thodi der tak phone. Usko chain kaha milta jitne Ritu se pravachan na sunn le. Inder ya Shankar me se koyi sath chalta toh jyada behtar rehta, pata nahi kyun lekin lag raha hai ki koyi anisht na hone paaye waha. Baaki Satish ja he raha hai toh dekha jaayega. Rekha ko neend ki dawa di thi tumne dopehar ke khaane ke baad? Wo pagli raat ko so nahi rahi aajkal, Ritu ne bhi bataya aur maine khud bhi dekha 3:45 hue the subah jab main jaagi thi aur Rekha kuch padhne me lagi hui thi Ritu ko bagal me sulaye.", Kaushalya ji ki chinta bhi vyarth na thi. Aaj wo bhi samay se kuch pehle he uthi thi aur unhone dekha tha Rekha ke kamre ka aadha khula darwaja aur lamp ki roshni me kuch padhti hui apni bahu ko.

"Wo aisi he toh hai maa ji. Bolti nahi hai lekin kal se kuch pareshan hai wo. Arjun ne phone kiya toh kehalwa diya ki araam kar rahi hai, kal baat kar legi. Uski bechaini dikhti nahi lekin itne baras sath rehte hue usko atche se samajhti hu. Toh aap log Roshni ko ghar pahuchane ke baad aayenge ya rukna hoga kuch waqt?"

"Nahi kal toh sara samay inhone gaanv me rehne ka kaha hai aur parso subah bakhat se Roshni ki taraf nikal lenge. Purnima alag bechain si hai jaise Rajeshwari ne bataya aur ye bhi raat ko aajkal sone ka naatak karte rehte hai. Ghar ke ladke pehli baar sabhi baahar aaj aur ye bhi. Yahi sab soch kar mujhe bhi inhone bechaini de di. Arjun tujhse toh khul kar baat karta hai Krishna. Kahi wo kisi aur he masle me toh nahi juta hua?", Is baar toh Krishna ji ke paas swayam jawaab na tha chahe Arjun pehle unhe sab bata bhi deta tha, jitni jaankari honi chahiye.

"Nahi maa ji us se shaadi ke mahol me baat he kaha ho saki lekin inhone chinta jataai thi ki Arjun jo karne ja raha hai wo sirf dargaah wale mele ki sadharan si kushti nahi hai. Aur iski ghoshna Arjun ne jis tarah se karwaai hai matlab wo khud ye baat jitni dur ho sake utni dur pahuchana chahta tha. Mere papa ko toh kisi ne nahi bataya aur na Kundan chacha ko, lekin aap socho ki unhe ye baat pata chal gayi. Ho sakta hai apne he jaankar ne bataai ho aur aadhat-kisani ke kaam me ek dusre ki taraf bhi vyapari dost hai par wo aisa kyun kar raha hai aur Naren kabhi chintit nahi hote aur agar ho toh fir wo uske liye prayaas karte hai. Is baar baat bhi Arjun ki hai toh wo is sabse dur apne he business me vyast hone ka dikhawa kar rahe hai."

"Usko pata hai na ke tere pita ji hai Arjun ke sath toh wo aur uska bhai kyon beech me padne lage. Lekin akhade me toh bas 16 gaanv ke chune hue khiladi he bhaag le sakte hai na aur Arjun Maalti ke saand jaise bete ko dhool chata sakta hai toh koyi thoda tagda bhi hua toh wo sambhal lega. Ye binawajah ki garmi kyon badha rakhi hai in sabhi ne? Mujhe aur tension de rahe hai.", Kaushalya ji ne apni dawa ka dibba bhi Krishna ji ko thama diya, attachi me rakhne ke liye.

"Ye bata rahe the ki raj-darbar ke pehle wale mulajimo ke sath vartmaan ke bhi akhaade me Arjun ko chunoti de sakte hai, gaanv walo se jeetne ke baad. Waha jab koyi hai he nahi toh ye pareshan kyun hai? Keh rahe the ke agar koyi shahi pariwar ke he rishteydar aa nikle toh Arjun ke jeetne ke bawjood baat badh sakti hai. Wo hai toh sirf gram-pramukh he. Haar ka badla kahi..."

"Bas kar beta aisa kuch nahi honewala. Wo Saundarya ke hath se khana kha raha hai ab aur Mahendra usko bhatije ke sath apne khaas dost ke roop me dekhta hai tabhi Vinod ko wo Nepal wale apne bade hotel ko dekhne bhej raha hai. Haan aisa ho sakta hai jo log raj-pariwar me sirf 3 chehro ko dekh kar kuch ahit karne ka soch rahe ho unhe Arjun ke roop me jariya dikh raha hoga. Aur us pavitra bhoomi par goli-hathiyaar toh dur, police tak ki manaahi hai. Akhade me jo aayega usko saamne se he mukabla karna padega aur Arjun ke kareeb uske dada daadi maujhood honge poore gaanv ke sath. Inder is maamle me jis wajah se darta hai wo ye chunoti nahi uska pyaar hai Arjun ke liye. Dekh lagta hai tere pita ji aur Purnima aa gaye.", Bahar gaadi ke bhitar aane ki awaaj ke sath he Krishna ji attachi band karti hui khadi hui toh Aarti aur Alka thoda samaan liye andar dakhil hui.

"Bhool gayi thi ki ye dono bhi haweli ghoomne gayi hai apne dada ke sath. Haan unki Lakshmi kuch kahe toh fir wo kaha mana karne wale. Motti tu bhi apni baari se bach ke nikal gayi thi iske sath?", Kaushalya ji ne Aarti ko chhedte hue kaha toh wo mooh banati hui unke saamne he dhamm se baith gayi. Wo har tarah Ritu jaisi he thi siwaye bhari hui jangho aur kuch ubhre hue gaalo ke. Lekin ye uspar janchte bhi the, punjabi jhalak dikhti thi masoom chehre par.

"Aise phere shuru karwaye hai Kaushalya ki ek din udhar toh agle din idhar. Krishna jara paani pila beti.", Purnima ji jab kamre me daakhil hui toh unke hath me wo taambe ka dhakkar laga kalash dekh Kaushalya ji ne achanak he baaki sabko jaane ka ishara diya. Paani unhone khud he stool par aundhe rakhe kaanch ke gilaas me bhar kar apni is sakhi ki taraf badha diya. Alka bhi mooh chidhati hui nikal gayi apni daadi ko jis par unhone khaas tavajjo na di. Rameshwar ji baithak me he kiwaad laga kar kapde badalne lag gaye the joote khol kar.

"Phere toh tere aise he lagte rahenge, ghar tera he hai ye. Par inke phere tu kyu lagwa rahi hai aaj? Kahi tu wahi karne ka toh nahi soch rahi jaisa mujhe lag raha hai.?", Kaushalya ji ne wapis gilas le kar ek taraf rakhne ke baad 2 takiye Purnima ji ki taraf badha diye. Kalash ab kaanch ki baari me unhone rakh diya tha.

"Pata nahi Kaushalya 2 din se bada ajeeb sa lag raha hai aur inki he baatein sunaai deti rehti hai jab jab hall me baithti hu aur ye asthiyaan najar aati hai. Jiwanbhar unhone kabhi ghar me koyi anuchit baat nahi kahi thi aur bacho ko toh jhidakne ki jagah bhadava de kar khush he rahkhte the. Fir unhone aisa kya keh diya tha devar ji ko ki ye aajtak visarjit na hui? Maine aaj pooch he liya toh kehne lage ki sath le chalo. Aur Umed ko bhi inhone phone mila diya ki chahe jitna bhi jaruri kaam kar raha ho kal subah gaanv me dikhna chahiye. Main udhar jaane ke liye hamesha tayaar rehti hu par tumhare devar waha sirf apne tau ji ke he paas jaate the milne. Kyun wo sab ab yaad aa raha hai kuch dino se? Shaadi me unke liye paath karne ke baad se toh nahi aisa ho raha?"

"Nahi bhabhi, Raghu kabhi aapse dur hua hai kya jo aap aisi wajah bata rahi hai? Wo toh aaj tak mujhe apne sath he mehsoos hota hai. Kal Saundarya ne he Umed se phone karke maafi maangi jab usko pata chala ke Raghuvir kis wajah se fir kabhi mehal nahi gaya tha. Mehal kya wo sehar he nahi gaya tha uske baad. Umed jaan gaya tha ke uske pita ka apmaan raja Balwinder se anjaane me ho gaya tha us haadse ki wajah se. Dono he peedit aur sadme me the wo ghatna hone ke baad. Raghu aur maine behan khoyi thi aur uska jaayaj sawaal tha iski kanooni jaanch karwane ka. Pita ji waha rehte toh waisa nahi hone wala tha lekin durghatna ho jaati hai aise halaat me. Rani Saundarya ne sab jaan ne ke baad swayam he Umed se kaafi der tak baat ki aur Umed ne maafi swikaar karte hue Raghu ki aakhiri itcha poori karne ka mujhe vaada diya hai. Umed bhi jaanta tha Raghu ki antim itcha lekin wo apni zidd par kaayam tha aur hume wo galat bhi nahi lagta.", Rameshwar ji ne toliye se chehra saaf karne ke baad kursi ki pusht par he taang diya.

"Aisi kya antim itcha thi jiski wajah se ye itne baras tak mukti na pa sake devar ji? Maine jab jab ye sawaal kiya aapne aur Umed ne ek jaisa jawaab diya ki sahi samay par aisa hoga, intjaar kar sakte hai bas."

"Itcha toh wo likh kar he gaya tha bhabhi jo aajtak mere pas surakshit hai. Main wajah toh nahi pooch saka waisa karne ki lekin Raghuvir ki ajeeb si chahat thi. Jaha wo paida hua tha, us ghar me diya jalane ke baad sabse badi santaan ke sath in asthiyon ko aap aur Rani Saundarya aadha wahi nadi me pravahit kar de aur aadha hissa main hamari khaas jagah par, jaha hum dono ka bachpan aur jawani ka khusnuma samay eksath gujra hai. Us jagah mere sath Arjun ko bhi jana hoga. Hain na kuch jyada he ajeeb si antim itcha bhabhi?", Purnima ji toh thandi he padd gayi thi ye sab sunn kar aur sabse jyada prabhav hua tha Rani Saundarya ke shamil hone wali baat ka.

"Meenakshi ji ka bhi prem-pyaar tha Saundarya ke sath aur Raghuvir bhai sahab ko lagta hoga ki us pariwar me sirf wahi baaki reh gayi hai toh unhe ye na lage ki unka pariwar nahi hai. Pita ji ne thoda bahot toh bataya tha mujhe bhi unki badi behan ke baare me. Purnima agar itne baras baad Umed aur Saundarya ke beech bhi sthti sudhar gayi hai toh aisa karne me harj he kaisa? Haan ye Arjun mere palle yaha bhi nahi pada.", Abhi wo baat aage karti us se pehle he phone ghanghana utha jiska number dekh kar he Rameshwar ji samajh gaye ki ye mehal se hai.

"Saundarya ka he phone lagta hai.", Handle uthate hue unhone apne aansu paunchti Purnima ji ko dekha. Kuashalya ji ne hath se he unhe baat khud karne ka kaha.

"Oye khote tu waha kya kar raha hai?", Awaaj sunte he unhone anumaanit jawaab diya kyonki ye Arjun tha dusri taraf. Uski baat ko sunte hue aage Rameshwar ji bas sar hilate rahe huh haan ke sath. Aur phir phone apni biwi ki taraf badha diya kal aane wali baat bata kar. Daadi paute me bhi khati-meethi naukjhok ke baad thoda vartalaap hua jisko Kaushalya ji ne laghu-viraam dete hue Ritu ko awaaj laga di. Ghanti bajne ke baad se he wo darwaje ke dusri taraf khadi thi aur apna naam sunn kar kuch pal intjaar kiya aur andar dakhil hote he shuru ho gayi.

"Haan daadi, main padh rahi thi. Kuch kaam tha kya?", Kaushalya ji samajh gayi ki ab baat Arjun ko daant-dapat kar he shuru hone wali.

"Ye Arjun ka phone hai tere liye, market me time lag gaya tha isko tere liye rajkumari wali dress lene me. Ab tujhse he baat karni hai, mujhe toh saaf keh diya ke ye mera time nahi hai uski didi ka hai."

"Huh..", Ritu phone unke hath se lete he baithak me ja ghusi aur agle 3-4 minute bas uske he barasne ki awaaj aati rahi jiske saamne Purnima ji bhi dard bhool kar muskura uthi. Arjun ko 10 minute se upar he lag gaye isko manane me aur jab phone wapis rakhne aayi toh is baar usko Purnima ji ne daboch liya.

"Tu badi bhi hogi ya hamesha wahi bachi rehne wali hai jiska khilona dikhaai na de toh milne par todd kar he hat-ti thi. Itna laayak ladka hai aur tera sabse jyada khayaal rakhta par tu toh us se seedhe mooh baat he nahi karti."

"Ohhh... daadi aap uski tarafdari kar rahi ho? 12 baje phone karna tha usne lekin dekho 5 baj rahe hai. Aur koyi masoom nahi hai wo, aapne sirf meri sunn kar aisa kaha. Mujhse jyada toh wo bol raha tha. Waise daadi aapne kaha ki mere liye phone kiya tha fir 18 minute baat kaise hui aur wo bhi ghar wala number nahi tha. Wo awaragardi karta ghoom raha hai lekin aap ulta usko bachati nahi thak rahi. Bau ji, aap bologe kuch?", Ritu ne kamar par hath rakhte hue ab Pandit ji ki taraf mooh kiya toh unhone hath he jodd diye

"Ek baar ke liye tere baap se baat kar sakta hu par mujhe baksh de Kaushalya junior. Arjun ko suna diya matlab mujhe bhi mere hisse ka mil gaya. Ye teri daadi dekh le kya karti fir rahi hai.?", Ab jaise unhe bhi mauka mil gaya tha apni biwi se badla lene ka. Kaushalya ji ne unke saamne he bataya tha ke Komal bhi aa rahi hai.

"Main bol raha tha ke 2 din se koyi farak nahi padta Ritu ki padhaai se par ye Komal ko leke ja rahi hai. Kehti hai ke tumhe thodi saja milni chahiye Arjun se aise baat karne ke liye.", Ritu unki baat sunti hui apni daadi ko he dekhe ja rahi thi.

"Na aag lagao bau ji, aisa maine kaha tha daadi ko jab inhone mujhse poocha tha. Haan Komal didi ka munna kamjor ho gaya hoga isliye wo pareshan hai toh unka jana samajh me aata hai. Dekh lo daadi ab aap he. Main chalti hu aur jo rajkumari wali dress usne li hai wo aapke liye li hai.", Ritu aankh maarti hui apni daadi ko hansa ke he gayi thi jabki Rameshwar ji toh apni jagah se he uth khade hue.

"Nikal liye thaanedar sahab. Chalo is case ki sunwaai toh wahi karenge aapke sath."
.
.
Jab Arjun mehal pahucha tha toh wo jaise kisi nayi urja se bhara tha. Chehre par khaas chamak jaise jaane kya he paa liya ho aur mann aaj itne dino baad purntaya shaant. Kumar Mahendra aur unke manager ke sath Vinod ki meeting me shamil hone ki jagah usne apna samay sirf Kumari Amrita ke kaksh me bitaya tha, halka nashta aur juice peene ke sath. Ek ghante se adhik samay waha bitane aur Kumar Mahendra ke faarig hone par he wo Goel ji wali mulakat aur charcha karke seedha gaanv ke liye nikal chala. Aaj Aghori Vajranand baba ne usko wo garbh gyaan de diya tha jis se agar sabhi dhaage nahi judd sakte the toh kuch mehtvapurn ghatnaye toh wo suljhane he wala tha. Kal ke baad wo masoom cheekhen uske kaan me nahi goonjne wali thi aur Arjun ne pavitra raakh me jaise kuch aur bhi prapt kiya tha jiska alag he tej tha nadi wali shiksha dharan karne ke baad aur us viraane se nikalne ke baad. Poore 15 minute baad wo thik usi jagah ja pahucha tha jaha usne Minakshi ki sahayata se Laali se mulakaat karni thi.

"Shukriya yaha aane ke liye Minakshi ji. Laali, kshama chahta hu aise aapko baat karne ke liye bulwaya. Bas thoda jaruri tha aur Minakshi ji ne aashvasan diya hai ki aap inki sabse khaas hai aur raajdar bhi. Aasha karta hu ki ye barkaraar rahega bhavishya me bhi.", Mehndi se bhi kuch gehre rang ka saaf suthra salwar kameej pehne, patli charhari Laali kahi se bhi us mahol ki jhalak nahi deti thi jaisa basti ke baare me Arjun ne suna tha. Minakshi jarur badli badli si lagne lagi thi kuch samay se aur ab wo aadhi baah ki dhili safed tshirt aur neele track pant ke sath apne khelne wale joote pehne thi. Baalo ko sirf ek rubber se sar ki taraf baandhe. Arjun ke kareeb aate he uski rangat kuch gulabi dikhti aur ek jhijhak jaise wo har baar apni baat kehte kehte khudko he rok leti ho. Laali jaise bataya gaya tha thik waisi he thi.

"Didi ne toh pehle he bata diya tha aur aap toh aise baat kar rahe hai jaise sarkari baabu ho. Laali poore 85 gharo ki khabar rakhti hai chahe jyada didi ke ghar he kyun na rehti ho. Waise aap he naye pradhaan ji ho na aur aapki jameen par he mere baba chowkidari karte hai. Isliye aapki har baat maan na toh mera bhi farz hai. Waise badi amma un nikhattu Mukandi kaka ko bematlab paise deti rehti hai aur mere baba ki pagaar 5 saal se 45oo hai, haan pradhan ji unhe kharchi aur anaaj sabji dete rehte hai. Wo bhale aadmi hai.", Arjun bas iski baatein sunta hua muskurata raha. Mann keh raha tha ke itni masoom si chanchal ladki ka upyog na kare par agar koyi ye kaam kar sakta tha bina shak toh bas yahi ladki thi.

"Minakshi ji, aap bhi gor se suniyega jo main kehne wala hu.", Arjun ne najre niche kiye badminton ka balla ghumati Minakshi ka dhyaan idhar dilaya toh wo ek kadam aage aati hui Laali aur Arjun ke kareeb he aa khadi hui.

"Laali, tumhari umar jaan sakta hu?"

"18 poore kiye hai maine mukhiya ji pichli diwali par. Ab batao agar umar uchit lagi hai toh.", Ye sachmuch tikhi he thi lekin saafdil.

"Haan baba ab tum sahi ho is kaam ke liye. Waise tumne bataya ki basti me 85 pariwar rehte hai toh abaadi hogi 250 ke aaspas?"

"Uhhh.. itne log toh sirf khet me he kaam karte hai mukhiya ji. Aur jyadatar unme aurate he hongi. 200 se jyada toh gaanv-shehar me mistri majduri aur chowkidari ke kaam karte hai. 15 kachi dukane chalate hai aur 150 se jyada bache toh yahi ke school me padhne aate hai. Fir wo sookhe talaab ki taraf baajigaro wali basti hai jisme 50 se jyada pariwar aur 400 log honge. Unke udhar jyada ladkiyan he hai aur jo ladke hai wo idhar kam he rehte hai. Matlab maan ke chalo ki 1000 log se jyada he honge, 8 tak toh main bhi padhi hu.", Laali umar aur ummeed se jyada he jaankari rakhti thi aur unse toh mukhya naam bhi bata diye the jinki dukaan, lohar aur aise he apne kaam the.

"Bahot atche. Mukandi kaka kaise aadmi hai?"

"Wo toh unko bhi nahi pata hoga ji. Daru pee kar toh talaab kinare bhi soye pade rehte hai kayi baar aur waise wo dalali khaate hai 50 se jyada majduro se jo uke liye kaam karte hai. Unki 3 betiya aur 1 chota bacha hai. Dusre wali beti ek mahine se apne nanihaal gayi hui hai jabki naani toh khud unke ghar rehti hai. Ab batao koyi kya jaan sakta hai aise aadmi ke baare me? Kuch khaas pata karna hai?"

"Kal toh tumhari kaam se chutti hogi mele ki wajah se? Koshish karna ye pata chale ki aisi kitni ladkiyan hai jo kuch mahine se apne rishteydaro ke yaha gayi hui hai. Agar tumhe pehle se he pata hai toh apni Minakshi didi ke ghar baith kar sabke naam kaagaj par likh lena. Filhaal humko yaha se alag alag nikalna hoga. Shaam ko yahi milenge thik is waqt. Aur tumhare baba ki tankhwah aaj se 2 hajaar badh gayi hai. Anaaj aur baaki sab bhi behtar milta rahega.", Laali ki toh badi badi aankhen khushi se aur bhi badi ho gayi jisko dekh Arjun ne ishare se usko shaant rehne ka kaha.

"Tumhari Minakshi didi jald he tumhe shehar ghumane wali hai. Ab shaant rehna aur ye baat apne baba se bhi matt kehna. Khud pradhan ji unhe bata denge. Ab jidar se aayi ho wahi se aap dono jao. Main yaha Jagtar bhaiya ki taraf ja raha hu.", Arjun dono ko dhanywaad kehta hua nikal chala toh bebaak si Laali ne ab Minakshi ko he lapak liya.

"Didi ye Arjun bhaiya toh bade bhale aadmi nikle aur aap itni chup kyo rahi? Dinbhar toh aapki amma ji aapko chup rehne ka bolti rehti hai aur mere sath bhi aap itna bata rahi thi, samjha rahi thi ki kaise baat karni hai kaise nahi. Dekho ye toh koyi akdu nahi dikhe jaise aapne bataya tha aur na he gusse wale."

"Haan thik hai thik hai. Lekin tum ya toh unhe bhaiya bulao ya fir mujhe didi."

"Oh.. Aap he didi thik ho fir toh. Bhaiya ajeeb lagta hai bolna mukhiya ji hai aakhir. Lekin wo aapko aap aur aap unhe aap bula rahi thi. Aise toh aapki mummy ji aur papa ji baat karte hai na didi?"

"Tu chal Laali yaha se aur jubaan teri kainchi jaisi chalti rehti hai. Mujhe bhi deri ho rahi hai aur tu bhi samay se pahuch ja.. Kaam saavdhani se, baat jimmewari hai Laali, teri didi ki ijjatt ka sawaal hai."

"Wo toh aap bhaiya ji ko he dena.. matlab mukhiya ji ko jinhe aap aur jo aapko aap kehte hai. Do not borry, Lalta can handle."

"Wo worry hota hai shaitaan aur chal ab tu idhar se ja, main chali khelne.", Minakshi apna sar jhatakti hui sharam ke maare jyada jwaab bhi na de saki lekin Laali ne uski atchi taang khinchai kar di thi jo batata tha ke inka paraspar pyaar jaat-paat aur ameeri-gareebi se kahi jyada he pare tha. Arjun inse kahi pehle haweli ke aangan me rani ko khada karke mooh hath dhone me laga tha. Vinod chacha bhi bahar he apne pita ke sath baithe hansi majaak karte hue apne bete se khelne me lage the aur inke liye chai Anamika chachi laayi thi. Devaki pashuo wali taraf Meena se kaam karwati hui jaise apne gusse ko khatam karne me juti hui thi. Aaj Arjun ko toliya dene Aanchal aayi thi aur uska ye daba chhupa hontho ka ishar dekh Arjun jhempta hua apne kamre me he chal diya kapde badalne.

"Aanchal, Arjun ke dhule hue kapde bister par rakhe hai. Wo pakda dena usko.", Anamika ki awaaj kitne dino baad he suni thi is haweli ke aangan ne. Wo doodh ki balti lene chal di thi Aanchal ko anjaane he ye badhiya avsar deti hui. Raat ko Jasleen se nibatna toh abhi dur tha, Arjun filhal Aanchal ke he changul me fans gaya tha apni chachi ki is bholi galti se.
 

PLEASE

Banned
133
501
63
एनिग्मा भाई ये क्या कर दिया??? दादा आपके अपडेट पढ़ कर रात भर नींद नही आती। इतना ज्ञान सिर्फ कल्पना मात्र नही हो सकता। में कई बार आपकी लेखनी की हृदय की गहराइयों से तारीफ कर चुका हूं पर जबसे अर्जुन को गांव में भेजा है आपकी लेखनी में एक अलग धार आ गयी है। आप इसको कितना एन्जॉय कर और एक एक पात्र और घटना को सोच कर विस्तृत रूप से सांझा करते हो कि महाभारत का संजय याद आ गया। मेरे पसंदीदा लेखक रहे है स्वर्गीय आचार्य चतुरसेन जी उनकी याद दिला दी आपने। उन्होंने अपने एक रचना वयम रक्षामं को लिखते हुए माफी मांगी थी adultry content के लिए पर कहानी के हिसाब से ज़रूरी था वो। पर उनकी लेखनी को में संजय की दृष्टि ही मानता था। आज के अपडेट में भी आपने झटके पर झटके दिए वो भी बिना मोतीलालजी के पत्र के। आज समझ मे आया कि क्यो मोतीलालजी ने जुगलाल जी से जुड़ी सभी यादे नाम फ़ोटो सब हटा दी। एक विकृत या विक्षिप्त मानसिकता के व्यक्ति के साथ ऐसा ही होता है। मोतीलाल जी का दर्द शायद हर पाठक के सीने में चल रहा होगा जैसे मै महसूस कर रहा हु जैसे कहानी का हीरो अर्जुन महसूस कर रहा है। यही आपकी लेखनी की जीत हो जाती है कि जो आप लिख रहे हो वो पाठक महसूस करता है उसे दर्द होता है वो रो लेता है वो खुश होता है।
1. आज के अपडेट का आरंभ मीनाक्षी से करके आज आपने मेरे पिछले सवाल का जवाब भी दे दिया कि मीनाक्षी क्यो ज़रूरी है अर्जुन क्यो उस और बढ़ रहा था।
2. अघोरी गुरु के साथ संवाद दिल को सुकून दे गया। में हमेशा अर्जुन और आचार्य के शास्त्रार्थ या संवाद को मिस करता था। आपकी इस रचना में आचार्य जो, फ़क़ीर बाबा, घरपर आये स्वामी जी, ये अघोरी गुरु और उनके चेले और योगी संभव इनसे चर्चा और इनसे अर्जुन का मिलन देखने के लिए में हमेशा उत्सुक रहूंगा सो आगे भी इन पत्रों को इनका सहायक कही न कही ज़रूर बनावे।
3. देवकी को अर्जुन के द्वारा जो घेरने की शुरुवात हुई है उसकी तारीफ के लिए मेरे पास शब्दों की कमी हो रही है। देवकी अनामिका संवाद, विनोद देवकी संवाद, कृष्णेश्वर जी और देवकी का संवाद गज़ब का था पढ़ कर बहुत ज्यादा खुशी हुई कि बदलाव की शुरुवात हो चुकी है। कुमार अर्जुन उर्फ रुद्र उर्फ अपना बाघ उर्फ खोजी का character आपने इतना बड़ा बना दिया है कि इसकी जितनी तारीफ करे कम है।
अब और क्या तारीफ कर बड़े भैया आप भी सोचोगे की यह बामन आधी रात को क्यो पागल हो रहा है पर मैं अपने आप को कमेंट करने से रोक नही पता हु।
शुभ रात्रि
Enigma sir.......
मे बिट्टू भाई के माध्यम से पूछना चाहुंगा
प्लीज,कृपया ये बताये आप खुद साधक हैं या
आप किसी साधक की सानिध्य मे उन साधक महानुभाव की ये स्मुर्तिया लिखं रहे हैं...
चाहे तो personal massage कर के बता दे कृपया....
क्यू की इतना गेहरा ज्ञान हो ही नहीं सकता
आगर ये आपक कल्पना मात्र हैं तो आप साधारण मनुष्य नहीं है
हो ही नहीं सकते ....
मा की ऐसी परिभाषा नही कोई साधारण व्यक्ती नही दे सकता
 

firefox420

Well-Known Member
3,371
13,846
143
Update 202 (1)
Pariksha Purv


"Aapne itni jaldi aane ke liye kyu kaha tha? Waise toh ghar pe kisi ne kuch poocha nahi lekin pehli baar mujhe jhoot bolna pada.", Abhi samay hua he kitna tha jaha shehar me market bajaar thik se khule he nahi the. Minakshi gol chowk se pehle he tempu se utar kar Arjun ki pratiksha kar rahi thi jisne jyada intjaar na karwaya. Ghadi me sava 8 he baje the aur ye jagah surakshit nahi thi jaha unki taraf se shehar aane wale log dekh bhi sakte the.

"Aisa karwane ke liye maafi chahta hu Minakshi ji lekin main kisi aur se madad nahi le sakta tha. Aap chehre par dupatta kar lijiye, filhaal yaha se nikalna jaruri hai.", Minakshi jhijhakte hue dono paanv ek taraf footrest par rakhte hue Arjun ke peeche baith gayi. Jaisa usne kaha tha thik waise he chehra dupatte se dhankti hui aur bag apni goad me liye. Arjun ko bas saamne nahi jana tha aur is jagah se parichit na hone ki wajah se behtar laga Minakshi se chalte hue he jaankari li jaaye.

"Dekhiye aap bilkul bhi matt dariye aur main class ke samay se pehle he aapko center chhod dunga. Waise ye XXXX aashram kaha hai kuch pata hai aapko?", Arjun ki baat sunn kar Minakshi bhi bechani ke bawjood dhime se muskurayi aur jo pata wo pooch raha tha uske baare me log baat karne se bachte he the.

"XXXX gaanv ki taraf jo sadak jaati hai bas uske aage he ye aashram hai Arjun ji. Lekin ye pata toh aap kisi se bhi pooch sakte the. Kya aap mujhe bhi udhar leke jaane wale hai?", Halki pareshani jarur ho rahi thi is ladki ko lekin Arjun ke sath jaise wo waha bhi jaane ko tayaar thi.

"Main itni badi bewkoofi kaise kar sakta hu Minakshi ji? Aur yahi wajah bhi hai ki maine iska jikar kisi se nahi kiya. Mujhe aapse kuch aur bhi jaankari leni thi. Kya hum aaspas kisi aisi jagah par baith sakte hai jaha disturb karne wala koyi na ho? Mera matlab hai ki baat thodi khaas hai aur ye bhi agar main kisi aur se pata karunga toh shayad jawab ki jagah kuch aur ho jaaye.", Pehle toh Minakshi ki dhadkan he band hone lagi thi akele me samay bitane ki baat sunn kar lekin fir Arjun ke gambhir chehre ko aaine me dekh wo kuch sehaj ho gayi.

"Main shehar ke baare me toh jaanti hu lekin aise kabhi nahi aayi pehle. Maa papa ke sath he aana hota hai nahi toh college aur center ke baad sidha ghar. Ye yaha ek park hai udhar aage lekin idhar jana thik hoga ya nahi?", Is dauraan Minakshi ka jism pehli baar halka sa Arjun ki peeth se chhua tha. Arjun ko toh iski bhanak tak na thi lekin ye yuvti jaise is par he sharma gayi. Arjun ne dekha ki ye park waisa nahi tha jaha wo apne shehar me ghoomne jata tha. Idhar toh jagah jagah jhaad aur ghane vriksh se the lekin akaar kahi jyada he bada aur dur tak faila hua. Motorcycle lagate samay usne ye bhi dekha ki idhar toh dur dur tak andar koyi nahi hai. Shuruaat me he 3-4 hare rang ke lohe ke bench the laal phulo wale wo ghane gulmohar ke vriksh har taraf. Arjun kuch shankit sa hua itne bade shehar me aisa park viraan dekh lekin us lohe ke ghoomne wale dwar se wo andar dakhil hua toh bag kandhe par taange Minakshi dhime kadmo se uske peeche.

"Badi ajeeb baat hai, idhar itni atchi jagah par log nahi hai. Waise atcha he hai jab baat bhi jaruri karni ho toh is se atcha mahol kya milega? Aao hum ye chhaya wale bench par baithte hai.", Arjun toh us aur chal diya lekin Minakshi ke kadam toh aise uth rahe the jaise un par 20-20 kilo ka wajan bandh diya ho. Wo jaise taise bench tak pahuchi toh Arjun ko apna ek hath peeth wali taraf bench par failaye dekh wo bas khadi rahi.

"Oh sorry. Hath thoda seedha kar raha tha. Aap baithiye aur chahe toh distance par baith sakti hai.", Minakshi ko atcha laga tha ke Arjun uske prati sajag tha. Ye choti choti baatein he ek purush me aisi ladkiyan dekhti hai. Wo abhi bhi goad me bag liye the aur Arjun ne baat shuru ki.

"Wo nichli taraf majduro ki basti jaisa gaanv hai Minakshi ji, mujhe pata laga ki udhar ke khet aapke hai.", Arjun ne ummeed se bilkul he alag baat shuru ki thi par Minakshi ko ye bhi manjoor tha. Dupatte se sirf uski wo gehri chamakdar aankhe he dikh rahi thi aur Arjun ko jawaab dene ke liye ab ye dupatta hatana jaruri ho gaya tha. Itne kareeb se aur wo bhi aisi ladki ko jo kabhi akeli kisi ladke ke sath college me bhi nahi mili thi, aaj sunsaan jagah thi. Jhijhak, satarkta aur mansik dwand abhi tak dikh raha tha Minakshi ke bhole se chehre par. Kal shaam toh waha chanchalta thi.

"Ji wo jameen hamari hai lekin usko sambhalte aur kheti Mukundi kaka karte hai. Saal me 2 baar wo dada ji ko 2 hisse dete hai aur baaki ek wo khud rakhte hai. Basti ke pramukh bhi hai wo ek tarah se, aapke idhar toh unka aana jana kahi jyada hai toh ye baat aap unse he pooch sakte the.", Arjun dekh aur samajh raha tha is yuvti ki haalat aur usko thoda maja bhi aa raha tha is pal me.

"Kaha na ke main kisi aur se pooch nahi sakta tha isliye toh aapko anjaan insaan se bhi dur leke yaha baitha hu. Toh kaisa vyakti hai ye Mukund kaka aur maine toh abhi tak dekha nahi isko haweli par."

"Parso toh jab main khel-ghar ja rahi thi tab wo haweli ki taraf se aa rahe the shayad aur daadi (Devaki) ji bhi unke sath kuch baat karti hui ja rahi thi lekin wo sabse baat kar leti hai. Uske baad wo Seerat didi ke ghar chali gayi thi aur Mukandi kaka ko ram ram keh kar main apni practice ke liye. Aap bhi toh wahi aaye the thodi der baad. Kuch thik nahi hai kya Arjun ji?", Ab Arjun samjha tha ke kyon Devaki uske hath me doodh dekhte he nikalti thi aur us se pehle sewak nikal jata tha. Lekin ab Minakshi ke sawaal par usko bhi jawaab toh dena he tha.

"Haan basti me kuch toh thik nahi hai jaisa mujhe pata laga hai Minakshi ji lekin aap galti se bhi basti ya hamari baat ka jikar kisi se matt kijiyega. Aapki jameen hai isliye maine ye baat aapse jaan ni chahi aur agar main ye aapke dada ya kisi aur se poochta toh Mukandi tak baat jarur jaati. Maamla bigad sakta tha isliye aapko chuna. Maaf kijiyega mere is swarth par."

"Aap keh kar toh dekhiye ek baar Arjun ji, aapko bhi basti par najar nahi rakhni padegi aur jo jaan na chahte hai wo main pata karke de sakti hu. Baaki agar mujhe us aashram bhi chalne ke liye kahenge toh main tayaar hu.", Minakshi ka is tarah sehyog bhaavna darshana phir se Arjun ko thoda pareshan kar raha tha. Ye masoom thi aur jiwan me jyada anubhav usko nahi tha. Lekin iska samarthan usne hanste hue naa me kiya.

"Nahi us jagah toh bas mujhe he jana hoga jiska naam tak batane me logo ke chehre badal jaate hai. Ye basti ke baare me kaise pata kar ke de sakti hai aap?"


"Laali 10 se 6 baje tak hamare he ghar kaam karti hai aur pichle 5 saal se. Mujhse 2 saal choti hai lekin samajhdar aur pyari ladki hai Laali. Basti me Mukandi kaka ke baad uske he pita thoda naam hai. Pehle wahi pramukh the lekin ab bas wo aapke he kheto me chowkidari karte hai, Sheebu kaka kehte hai unhe. Aur ye Laali meri sabse jyada vishwaspatra hai bas thodi jyada hansmukh hai kyonki usko basti se jyada toh hamara ghar apna lagta hai. Bataye kya poochna hai, main baat kar lungi uske sath aur wo nahi bhi pata hoga toh pata kar degi.", Arjun vichaar kar raha tha Minakshi ki baaton par aur kahi dusri taraf se ye school aur college jaane ki umar wale 6-7 ladke unse kuch he duri par wicket gaadne lage. Chhuttiyan chal rahi thi aur aisi chhayadar jagah se behtar cricket kaha khel sakte the. Unhe najarandaaj karte hue Arjun ne Minakshi ki taraf dekha toh ab wo thoda chintit dikh rahi thi. Arjun ne bas hath ke ishare se he nishchint rehne ka kaha aur khud thoda peeche ho gaya, pehle he dono ke beech ek aadmi se jyada jagah thi

"Aap aisi galti matt karna bhoole se bhi. Agar mumkin ho sakta hai toh kya Laali ko uske ghar lautne ke samay se thoda pehle aap waha talaab ki taraf leke aa sakti hai? Baat aisi hai Minakshi ji ki yaha kuch logo ki zindagi ka sawaal hai lekin main unhe bhi nahi jaanta par wo yakinan basti aur sath lagte banjaro/lohar wali basti se bhi ho sakte hai. Aur unka bura karene me kaun shamil hai ye bhi sahi se kehna mushkil hai. Ek chook aur aap ya main bahot badi mushkil me fans sakte hai. Aur sorry maine wo ladki kal aapke ghar dekhi thi jo daadi se baat karne ke baad chali gayi thi. Laali, yahi naam bataya na aapne? Wo maine udhar bhi dekhi thi jidhar hamare khet hai lekin thoda samay se pehle."

"Haan kyonki waha uske pita chowkidari karte hai aur Laali hamari taraf aane se pehle unhe khana dene jaati hai. Kya sachmuch isme itna bada jokhim hai Arjun ji? Phir toh aapko bhi dur rehna chahiye is sabse. Pehle he parle pind wale kuch ladke dusre raste se basti me galat kaam ki wajah se ghoomte rehte hai aur banjaro wali basti se aage toh thoda bura maine bhi suna hai. Lekin itna nahi ki police ya panchayat tak baat aaye. Ya aati nahi hogi paise aur taqat ki wajah se. Aapka ye basti wala matter aur ye aashram kahi link toh nahi aapas me?", Minakshi apni baat poori he kar rahi thi ki Arjun teji se uske chehre ke saamne aa gaya lekin najre baayi taraf. Wo laal rang ki gend Arjun ne ek hath doori par he pakad li thi jo seedha Minakshi ke chehre par lagti.

'Sorry paah ji. Munde ne bahro sutti c. Bhabhi ji sorry.", 17-18 saal ka ye yuvak kuch seham sa gaya tha aur uske pryaas ko Arjun ne bhi dekha tha gend lapakne ke liye. Par Minakshi toh ghabra he gayi thi aur uske baad us ladke dwara bhabhi kehna.

"Koyi baat nahi bhai, hum he thoda galat jagah baithe hai. Stumps ki nishaan he bata rahe ke ye aap logo ke khelne ki jagah hai. It's alright.", Arjun ne khade hote hue is wale ki jagah ball ko udhar fenka jaha se dusra ladka bowling kar raha tha. Hath ke isharo se he ek dusre ka abhivadan hua halki muskaan ke sath.

"Haan toh hum kaha the Minakshi ji?"

"Bhabhi par.", Uske is masoom se jawaab par Arjun ki saari gambhirta gayab ho gayi. Aur Minakshi ko jab samajh aaya ki wo kya bol gayi hai, bechari najre tak na mila saki.

"It's alright. Darr kisi bhi wajah se lag sakta hai jaise ekdum se mera aapke saamne aana aur wo ball. Waise main keh raha tha ke aap bas shaam ko 5:30 baje ke baad aur 6 se pehle Laali ko talaab ke pas leke aane ki koshish kar dijiye. Wo ladki he mujhe jaankari de sakti hai aur us jagah sab surakshit rahenge. Ab shayad is gabrahat ko aap apni saheliyon ke beech dur karna chahengi? Laali aati hai ya nahi, wo sab baad ki baat hai. Aapko kuch nahi hone dunga aur aap is sabse dur bhi rahengi. Rahengi na Minakshi ji?", Wo toh bas sar 2-3 baar hilane ke baad chalne ke liye khadi he ho gayi.

'Janaab ek panchiyaan da joda ithe bhi hai. Chalo tussi laila-majnu, hun janaab karaande tuhanu aashqui.', Ye ab naya bawaal utha khada hua tha jaha park ki bhitar wali patri pe 2 hawaldar ladka ladki ki jodi ko dur se lete hue aaye the aur ab unme se ek yaha Arjun aur Minakshi ke paas chala aaya tha. Minakshi toh jaise yahi soch rahi hogi ki din shuru hua nahi aur pareshaniyan aaj he honi thi. Wo ghabrahat me Arjun ke peeche he ja khadi hui, chehra dupatte se dhankte hue.

"Bula he lo fir apne janaab ji ko yaha bhai. Aashqui ke sath thoda kanoon ki charcha bhi kar lete hai. Araam se baitho Minakshi, main hu."

"Tu kithe da SHO lageya? Fuddi-deya chup-chaptie oh gypsy vich ja ke beh ja, chhad dena tenu aur teri mashook nu ghar deya nu bulaan de baad.", Ye sipahi ya hawladar jo bhi tha, tha thoda kadiyal.

"Vardi na hoti tumhare jism par toh paka wahi daal deta jaha se nikle ho. Ladki ke saamne baat karne ki tameej hai ya randwe ho? Ek aur baar mooh se apshabd kaho, jism se vardi utarwane ke baad wo haal karunga ki dubara mooh kholne se pehle mera chehra yaad rahega.", Ab sachmuch he mahol garam ho chuka tha aur Arjun jis tarah se is vyakti ke saamne khada tha, kabhi bhi uska dharya jawaab de sakta tha. Cricket khel rahe un ladko me se bhi 2-3 Arjun ki umar ya kuch bade yaha chale aaye the. Padhe likhe aur samajhdar the.

"Ruk tu kaka, tere toh patte vi main he laau. Bas ek baar janaab ji nu tu tera kanoon samjha de. Saale dhande waaliyan..", Bas yahi keh kar is vyakti ne apni shaamt bula li thi aur aaj Arjun ne vardi par dusri baar hath dala tha lekin ye wala jordar. Thappad ke sath he ye lamba mulajim gaal par dono hath rakhta usi bench par ja pasra jaha thodi der pehle ye dono baithe the. Uska sathi bhi harkat me aata idhar dauda aur bahar se driver ke sath inke janaab bhi, bahar nikli tond ke sath hanfte hue.

"Jinder, fadd saale nu. Kanoon teh hath chukkeya tu kaka? Tu nahi bachda.", Wo ladke Arjun ke kuch kehne se pehle he saamne add gaye.

"Tuhadi maa behan ne je assi gala diye, tussi mana karo fer hor jyada diye.. Paani he hona uncle ji tuhade khoon vich je tussi taah bhi chup raho. Paah ji bharjaai de naal apni gallan kar rahe c teh ehna nu je tuhada banda paise de badle galat kamm wali keh ke bulave taah? Main taah gatta he la dena c je meri bhen ja maa baare koyi ehda bol dave, paah ve fer vadda commissioner he kyun na hove.", Khiladi tha aur baat ke sath jism me utni he akad.

"Ehna nu vi pao andar. Parcha banu saareya teh.", 4 policewale aur yaha 4 yuvak. Mamla garam toh ho he chuka tha lekin Arjun ne us yuvak ko ijjatt ke sath shaant rehne ka kehte hue ab in janaab ka rukh kiya.

"Duty ke waqt aap aur ye sath jo khada hai, dono he nashe me ho. Lady police honi chahiye agar kahi aisi jagah chhapa maar rahe ho jaha mahila hone ke chances hai, jo aap logo ke aaspas bhi nahi khadi reh sakti dekh kar he pata chalta hai. Circle inspector ne naake ki list me ye bhi bataya hoga ki asamajik tatvo ko agar pakadna hai toh unki nishandehi ya record jarur ho? Ye public place hai aur udhar bhi aapne jin dono logo ko pakda wo vyask aur shayad kanoon se darne wale log hai. Nashe me public place par ladki ki ijjat par hath daalna wo bhi apne adhikari ki maujdgi ke sath sath aadesh par, saja suspension se aage badh chuki hai Gurpal Ji, yahi naam hai na aapka jo likha hai? Ye bagal me jo sipahi khada hai driver hai aur iski jeb se bahar kuch note jhalak rahe hai matlab naake se bohni karke ab college aur padhne wale yuvako-ladkiyon ko dara dhamka ke kamaai badhani thi jisme vyavdhan aa gaya kyonki aaj bahot galat din tha iske liye. Disciplinary action toh liya he jaayega aapke khilaf Gurpal ji lekin tatkaal prabhaav se suspension aur aadha darjan charge alag lagne wale hai.", Arjun dwara aage badhte ek sipahi ko wahi rok kar in janaab ko unki vastvikta se parichit karwana he chaaro ke liye bhari padd gaya tha.

"Menu sab pata lekin tu hune jaanda ni ki SI Gurpal Singh, bande nu banda ni rehan denda."

"Civil lines thaane me he milna mujhe abse thik 20 minute baad. Fir dekhta hu kaun kisko banda banata hai. Minakshi inke naam aur belt number note karo. Batao Gurpal ji, oh ye toh saamne he hai.", Arjun ne ab asli policiya bhasah prayog ki thi jisko sunte he hawaldar aur sipahi apen janaab ko dekhne lage. Wo ladke wahi the aur unki pakad bat-stump par poori kasi hui. Jaise koyi bhi agar galat harkat karega toh jawaab jordaar dene wale ho.

"Chalo oye."

"Hilna bhi matt.. Pehle apne is chele se kaho ki maafi maange is masoom ladki se.", Ye aajkal kayi baar hone laga tha jab Arjun ke chehre ke bhaav badal jaate the aur uski majboot pakad apni baaju par dekh SI wahi jadd ho gaya. Aankhon me alag he khauf tha jab wo Arjun ke chehre ko dekh kar apne us abhadra sipahi ki taraf sar hilane laga.

"Bhen ji, keha sunyea maaf hove. Main tah galti mann layi lekin aapde laagdar ji de vichar nahi lagde. Hath uthaya na mere te.", Ye sachmuch he kadiyal insaan tha jiski maafi bhi waisi he thi.

"20 minute me thaane nahi mile toh wireless jarur utha lena. Nahi toh sabko sunaai dega ki fajihat kaise hoti hai. Ya toh yahi ghutne ke bal nahi toh jitna jor lagana hai apni vardi bachane ka utna laga lo. Koyi madad nahi karne wala jab pata chalega ki kaand kya kiya gaya aur witness ke sath victim apna bayaan Sandhu ji ko khud dega. Ab Gurpal ji, aap isko nashe ya apni dhons ki wajah se hajam nahi kar pa rahe lekin aisa hone wala hai. Thanks bhai, fir milta hu. Chalo Minakshi ji.", Arjun aage badhne laga toh is SI ne apni akdi hui jubaan kholi.

"Naa ki bataya tu apna kaka?"

"Wahi poochna chahiye tha sabse pehle lekin chalo bata deta hu, Kumar Arjun. Rani maa ka phone ab kiske paas jata hai, ye aap sochiye lekin vardi .. wo dekhte hai.", Arjun jis tarah se muskuraya tha wo hansi ek teekh prahaar thi. Jaise filhal uske saare kaam ek taraf aur ab in SI sahab ki sehat durust karwani sabse jaruri. Minakshi toh bahar nikalne tak he sadme se bahar aa chuki thi.

"Ae ki bol ke gaya mittheya?"

"Kumar Arjun matlab raaje da munda janaab. Oh tah vyahe nai jinna mai suneya. Teh Rani maa hoyi maharani ji, munda lagda vi tich c janaab. Vekhyo main driver banda ha maalko."

"Oh janaab ji, Parshad Abhishek Sharma ji de praah da sala hai munda teh saure paase apni rani ji da parwar teh otthe da mukhmantri vi aaye hoye c ehna de vyaah vich. Ehne bhare vyaah vich commando kutt tah c fer tussi tah shakal toh he amli ho. Haan SSP Pandit ji hai ehde dada ji. Sochya bata deva tuhanu, bhaave badne tussi saare maade he ho. Chalo baai, match shuru karo. Khedan aala khed gaya, hun bowling karega oh teh wicket ehna di khadku.", ye wahi tagda yuvak tha jo Arjun ke paksh me khada hua tha.

"Meetheya pehancho gaddi nikaal teh vekh kitthe gaye ho. Sachi naukri gayi ve lagda. Ae Satwant SI de pind da nava maalak c Arjan. Suneya c lekin khaati peeti vich yaad vi ni reha. Tussi dove ehdar he bund marwao.", Janaab toh gusse aur darr me fufkaarte hue baaki dono sipahiyon ko jhaad lagate driver se bhi tej apni gypsy ki taraf badhe aur peeche se ye dono bas yahi keh sake., 'Par janaab'

Arjun ab nikal chuka tha Minakshi ko center chhondne aur waha pahuchane se pehle uska mann halka karwana bhi jaruri tha. Aise haadse aksar masoom ladkiyon par gehra asar kar jaate hai. Abhi dono ke paas he kuch samaya tha aur Minakshi ki dasha dekh kar Arjun ne taja phalo ke juice counter ke saamne break laga diye.

"Yaha kyun?"

"Bas waise he. Socha itni mehnat ki aapne unhe waha dhamkane me toh gala sookh gaya hoga. Ab class bhi lagani hai toh thodi taqat toh rehni chahiye na? Bhaiya 2 mix laga do, meetha bilkul nahi.", Arjun us badi laal chhatri ke niche Minakshi ke sath khada tha aur phalo par motti dhoop lagate hue juice wale ne bhi muskura kar haan kaha. Hatho ko dhone ke baad wo badi he safaai se apne kaam me jutt chuka tha, ye pehle grahak the abhi uske. Aur Minakshi ab khud he waha jo hua usko yaad karke jhemp rahi thi, apne dabbu aur darpok vyavahaar ki wajah se.

"Wo.. aisa kabhi hua nahi aur wo policewale the. Thoda suna tha ki wo park badnaam hai lekin jisne bhi bataya tha wo dopehar aur shaam ka jikar kar rahi thi. Maa aur papa ko wo log inform karte toh.."

"Shhh.. Aap sahi keh rahi ho aur har insaan is vardi se darta hai, aakhir raub he aisa ban chuka hai na mann me. Lekin adult logo ko kahi baithne se toh kanoon bhi nahi rok sakta aur jis wajah se wo park badnaam hua hoga usme couples ki galti nahi hai lekin 2-3 galat log mahol kharab kar dete hai toh shikayat hone par police apna kaam toh karegi par sirf pooch-tach tak. Waise jab pata tha toh bata dena chahiye tha na."

"Bolne se pehle he toh aapne uljha diya tha aur upar se pehli baar main kisi ke peeche baithi thi, darr toh lagega he na? Aur suna sirf dopehar aur shaam ke bare me tha. Itni subah thodi na.. Waise aap sachmuch unki report karne wale hai? Aise toh unki family par bhi asar hoga na Arjun ji. Aur wo rani maa wala kya jabardast fenka na aapne. Hahaha.", Arjun jaise is hansi ke he intjaar me tha aur Minakshi ko ab khush dekh kar jaise wo bhi apni galti samajh raha tha.

"Nahi waisa kuch nahi karne wala main. Jaisa aapne kaha kya sahi fenka toh maine bas thoda josh me aise he bol diya. Mere ghar ke log toh fir bhi jyada kuch nahi kehte lekin aapke pariwar wale bade he saral log hai aur baat gaanv ki. Toh bas yahi sab dhyaan rakh kar waisa karna pada. Ab khud he socho Punjab me koyi na koyi toh Sandhu hoga he police me, isliye maine wo bhi jodd diya. Hahaha..", Juice se bhare wo 2 laal gilaas tray me yuwak ne aage badhaye toh pehle Arjun ne gilass Minakshi ko thamaya. Wo hairat se usko dekh kar fir se hansne lagi.

"Aap toh sachmuch bahot pahuche hue ho aur atchi baat hai ki confidence bahot hai. Waise D.S. Sandhu ji DIG hai yaha ke. Ab co-incidence dekh lo ya fir aap pakka unhe jaante honge. Lekin us sipahi par jab aapne hath uthaya toh mujhe laga ki ab sab khatam. Waisa nahi karna chahiye tha aapko. Ye policewale kisi ke nahi hote aur inse dushmani matlab poore department se. Ab wo badla jarur lenge."

"Baat jab sammaan aur kisi bhi aurat ki ijjatt ki ho na Minakshi ji, phir wo sirf baat nahi rehti. Aur ye jyada badh jaati hai jab aap swayam surakshakarmi ho. Rahi baat unke badle ya department wali toh wo ab tak jaan chuke honge ki main kaun hu aur yakeenan wo station ke bahar he khade intjaar kar rahe honge ki mujhe andar jaane se pehle rok kar baat khatam kar le. Dalbir Singh Sandhu ji dada ji ke atche dost hai aur shaadi me main mila bhi tha unse. Ab aap nischint ho kar bas juice peeye aur class ke baad ghar ja kar araam se Laali se baat kijiyega.", Minakshi ne gilas abhi aadha he khali kiya tha aur Arjun toh mooh paunch kar paise bhi de kar faarig tha.

"Main le aaungi Laali ko aur wo waisa he karegi jaisa aap kahenge. Aur jab Sandhu ji wali baat sach hai toh matlab rani maa wali bhi jhooth nahi hogi."

"Ab jaanti hai toh bas bol diya unke saamne. Kumar lagane se Arjun Shankar Sharma wahi rahega jo hain. Arjun Shankar Sharma. Aur ab ye 'aap' aur 'ji' se mukti dijiye na."

"Wo nahi mil sakti ji. Waise yaha se aage main chali jaungi. Aur jaha aap jaane ka vichar bana rahe hai, wo jagah public park se kahi jyada khatarnaak hai. Log isliye uske baare me baat tak nahi karte."

"Isliye toh maine logo se baat nahi ki Minakshi ji. Aur itni dur sath aa gaye hai toh aapko manzil tak bhi chhod deta hu. Wahi se toh aage jana hai, XXXX wale raste par.", Arjun ka pratikaar toh jaise ye ladki kar he nahi sakti thi. Wo pehle jhijhak rahi thi kisi wajah se par motorcycle chalu hote he wo goad me bag rakh kar jab is baar peeche baithi toh ek hath Arjun ke kandhe par tika tha. Aaine me uska wo sharmila chehra dekh kar Arjun sar halke se jhatakta hua udhar chal diya jaha kal wo Aanchal ke sath aaya tha. Aaj bhi kuch aur ladkiyon ke sath sath kal wali teeno wahi khadi thi aur Arjun ki motorcycle se Minakshi ko utarte dekh kar Jeenat-Sakshi toh bas ek dusre ko he dekhti reh gayi aur Arjun bina samay lagaye Minakshi ko hath hilata hua seedha apni is anjaan si manzil ki taraf nikal chala.

"Waah.. Ye toh 24 ghante me he tasvir badal gayi Sakshi. Mini madam toh kal tak dost bhi nahi thi aur aaj pehli bar kisi ladke ke peeche baith kar aayi hai, wo bhi jiske sath kuch bhi aisa waisa nahi tha.", Jeenat ungli me apni car ki chabi ghumati hui Minakshi ke saamne he aa khadi hui jo naa me gardan hilati hui teeno se hath milati hui safaai dene me jutt gayi.

"Arjun ne shehar he aana tha jaruri kaam se aur pichle chowk par he wo mil gaye aur idhar drop kar diya. Aisa kuch bhi nahi, jaisa tum soch rahi ho Jeenu. Waise aaj toh tum log casual me ho?", Jeenat toh Sakshi ko aankh maar rahi thi lekin Minakshi ne baat badal di aur thik unke peeche he wo police gypsy aa ruki jisme se SI Gurpal bina mahol dekhe Minakshi ke he paas aa khada hua, dono hath jodte hue.

"Biba ji, park vich jo vi hoya os teh mitti pao ji. Kumar sahab kithe ne? Ohna nu sado (bulao), Gurpal aap toh vi maafi maang reha hai teh ohna de saamne vi dhon (Gardan) nivi he rahegi. Naka tah chhado ji asi laila-majnu park val vekhna vi nai. Sandhu sahab ne tah suspend he karna biba ji, mehal aale tah pata vi ni karan ge. Bula di biba ji aap de sartaaj nu.", Ab toh khasa majma he lag gaya tha is hairat-angez drishya ko dekhte hue. Vardi me ek SI is ladki se guhaar laga raha tha lekin Minakshi sehmi hone ke bawjood samajhdar ladki thi. Gurpal Singh ke jude hue hath dekh usne khud he hath jodd diye.

"Uncle ji, maine pehle he unhe bol diya tha ki wo aisa kuch nahi kare. Aap logo ki bhi families hai aur jo ho gaya wo hoga na uncle ji? Wo bhi apne kaam se chale gaye hai, complaint nahi karenge wo. Ye mera center hai uncle ji aur log dekh rahe hai.", Ab Gurpal ne pehle ladki ko dekha aur fir halaat ko. Kuch sambhalta hua sehaj hone ka dikhawa karta hua wo jhoothi muskaan dete hue bole.

"Maaf karna biba ji, oh baste de upar naa si es jagah da lekin main bhull gaya c ke hor vi bache padhan aunde hune tuhade naal. Eh gall pakki hai na ji ke oh report nahi karan wale? Pariwar aali he gal hai biba ji. Bhul-chook hoyi ohde liye.. Baaki tussi jawaan log change ghar toh ho, hun pareshani nahi honi.", Minakshi ne bhi hath jodd kar ye mulakaat khatam karni chahi aur jaate jaate Gurpal ek baar aur bhi wahi baat dohra gaya. Uske jaate he ab Minakshi ek baar fir se ghir chuki thi lekin ab jawaab dene ki himmat toh usme jara bhi nahi thi.

"Ye log park bhi chale gaye aur satraaj? Balle oh tere Mini billo. Gagan dekh le teri gwandi nu, shehar di kudiyan tah ankhaan bichaai reh gayi ae park vi ghoom aayi."

"Jeenu, oh osdi life hai yar. Jarur koyi hor gal honi, vekhya na oh disturb si aur polcia aap he tah hath jodd reha c. Matlab ohna ne kuch galat kitta hona. Appa nu tah yaar apni friend da khayaal rakhna chahida."

"Sahi baat hai Gagan, chal dekhte hai aur lagta hai baat badi he hogi kuch. Nahi toh Mini kabi kisi ladke ke peeche nahi baithti aur aise policewala maafi maang raha tha matlab usne kuch galat kiya aur Arjun ne policewale ke khilaf koyi action lene ki baat ki hogi. Jaan gaye hongi ki ladke ki atchi pahuch hai. Gaanv ka maamla hai aur Arjun mukhiya bhi toh bana hai jaisa Mini ne bataya. Jeenu, situation samjha kar tu bhi.", Sakshi jaane ab isme kya faayeda dekh rahi thi lekin Minakshi ke liye uske dil me kuch galat nahi tha aur na Jeenat ke.
.
.
Ye jagah toh sachmuch aisi thi ki jaise koyi aur he duniya ho. Arjun ko yaha tak pahuchne me he ek ghante se upar lag gaya tha aur jab wo is nirjan jagah pahucha toh thik wahi nadi idhar se bhi gujarti thi jo kaali haweli ke peeche thi. Bahar ki laal eent se bani diwar toh jyada purani nahi thi lekin jaise he usne bhitar kadam rakha 2 purane khandhar si imaarat jinka bahar wala hissa bas aangan jaisa tha aur jagah jagah peepal aur neem aadi ke virksh. Kahi kahi kache kund se uthta dhooni ka dhuan aur vriksho par bandhi gol matkiyan. Yaha nadi wali taraf toh diwar he nahi thi. Abhi wo ye sab dekh he raha tha ki 2 desi shwaan buri tarah se bhonkte uski taraf lapke aur unki ugrata dekh Arjun ke kadam swayam he pravesh karne wale khule dwar se peeche ho gaye. Kaale rang ke wo don he kutte jaise junglee he the lekin gale me unke jo dhaga bandha tha matlab unka bhi koyi maalik jarur tha.

"Tum kahi ke bhi maalik ho sakte ho par is sthaan par pravesh karne se pehle parichaya dena anivarya hai. Shaant.", Hath me saaf paani se bhara kamandal liye ye majboot jism aur ghani daadhi-jataaon wale sadhu ke prakat hote he dono shwaan ek taraf hatt gaye aur Arjun ne bhi sar jhuka kar hath jodd diye.

"Main koyi jagirdar ya rajwade ka maalik nahi baba. Bhatka hua musafir ho jiski adrishya manzil in sadharan najro se wo dekh nahi pa rahi.", Arjun ke samkaksh he kadd tha unka lekin jism kuch jyada chauda aur eksar bhara hua. Aise insaan ki umar ka he kya andaja lagana jo khud iska chaahvan na ho. Arjun ke chehre ko dekhne ke baad inhone bhitar aane ka rasta de diya.

"Jab koyi chahat ya maksad ho, toh har ohda tyaagna he padta hai. Bhatke hue toh nahi ho musafir. Is manzil par aksar hawa ke siwa koyi nahi aata. Bagal waale ghaat par jarur logo jiwan poora karke nayi manzil ki aas me jism swaha karwate hai, apno se ya anjaan se. Lo jal grehan karo aur apne joote yahi utaar do.", Arjun ne waisa he kiya aur bina suraksha wali jagah aise he un mehnge joote ki jodi utarne ke baad hath dhote hue chulu se wo nirmal jal grehan kiya. Dono kutte ab jaise Arjun se koyi vasta nahi rakhte the jo daud lagate hue aage ghane jungle ki taraf khelte hue vileen ho gaye. Ye saadhu baba Arjun ke sath he us taraf badh rahe the jaha wo bada sa khandahar jaisa khula hall tha. Idhar bhi gili mitti aur vriksh ke niche kuch kutte araam se so rahe the jinhe kisi ki parwaah nahi thi.

"Prayojan nahi bataya tumne musafir?", Aangan me bina he darwaje ka bas ek he bada kamra tha jidhar padmasan ki mudra me jo insaan baitha tha uski daadhi tak me jataon jaisi gaanthe thi aur lambai farsh tak. Kesh itne lambe ki jameen par faile hue bhi utne he lambe jitne sar se jameen tak. Jism par vastra ke naam par bhabhuti he lipti thi aur jannanang ke upar safed kopin.

"Tantrik Vajranand ji se milna tha baba."

"Hahaha... Sachmuch tum galat sthaan par aaye ho baalak. Yaha tantra nahi hote, prabhu bhootnaath ki sadhna hoti hai. Yaha manushya jiwan ke kaale karam apna ratti bhar astitva nahi rakhte aur tum yaha tantrik ki khoj me aaye ho? Ya toh tum nadaan ho baalak ya bewkoof. Dwar udhar hai.", Hath ka ishara udhar he tha jidhar se Arjun yaha tak aaya tha.

"Maaf karna sambodhan galat ho gaya baba. Jis parchhaayi ke peeche bhag raha hu wo dikhta aghori hai lekin bataya tantrik jata hai. Bahot pareshani me hu baba, aap mujhe baba Varjranand ji se milwa dijiye. Agar aap he hain toh ek baar fir kshama chahta hu, mera irada aapke swabhimaan ko thes pahuchane ka nahi tha.", Arjun abhi hath jodd kar ghutne modta jhukne he laga tha ki baba ne usko waisa karne se rok liya. Khandhar ke pichli taraf se 2 aur saadhu sirf kamar par bhagwa lapete hue geele badan idhar chale aaye. Itne he vishaal aur gehre rang ke. Aankhen nahane ki wajah se laal thi ya kaise pata nahi, aur aangan me us garam dhooni ko pranaam karte hue unhone apni jataaon me wo malne ke baad mastak aur baahon par bhi lagaai.

"Ye baalak kaun hai Jiva? Guru ji abhi saadhna me hai aur tum isko unki dehleej par le aaye?", Ye saadhu jaise pehle wale se anubhav aur shiksha me upar tha, aise he toh sthaan badhta hai inke jiwan-sangat me.

"Guru ji ne he kaha tha ke mehamaan aaya hai usko aangan me le aaya jaaye. Prashn ka jawaab mile aur kohil-mohil se ye na dare toh wo milna chahenge is se.", Ab Arjun hairaan tha ke ye vyakti jo bhitar baitha tha saadhna me usne Arjun ko darwaje par aane se he pehle bhaanp liya tha. Aur aankhen abhi bhi band thi, dono hath ghutno par dhyaan mudra me failaye.

"Hmmm.. Vishesh ho tum bacha. Kapileshwar aagantuko ka abhyast nahi hai aur hain toh sabhi iske jaise lekin isko panchiyon ki awaaje aur jungle ka sangit sunn na pasand hai. Tumhari wajah se ye nadi se shighra bahar aa gaya. Aao bhitar, prabhu charno me baith kar charcha karte hai.", Teesre saadhu maharaaj, dhooni ke bhitar se wo jalta bada angara chimte se khoj kar uthate hue ek chote chokor patthar par rakhne ke baad us par kuch sookhe lakdi ke burade ko daalne ke sath Arjun se bhi baat kar rahe the. Palbhar me he ek alag si mehak bhar uthi thi is mahol me. Dimag aur dil ko sukoon dene wali alag si meethi mehak.

"Maaf karna baba aapko mere aane se vyavdhan hua. Aur aapne prabhu charno me nimantrit kiya uske liye dhanyavaad lekin main waha jaane me asamarth hu.", Arjun dwara mana kiye jaane se ab ye teesre wale ki bhi bhrukuti khinch gayi thi. Ek Aghori ko jaise ye sabse nagawaar lagta tha jab unki he jagah koyi aane ke baad unka aamantran aswikaar kar de. Arjun ke liye he toh unhone waha ki dhooni ke mehak ko khatam karke ye sugandh bhari thi.

"Ye aisa he hai Taaraknath, humko he bahar bula liya isne aur mehmaan ki baat kabhi kabhi maan leni chahiye. Toh kahiye jajmaan, ye boodha tantrik Vajranand aapke liye kya kar sakta hai?", Arjun toh in guru ji ko dekh kar hairat se aankhen upar uthaye kuch pal jadd he ho gaya. Ye toh itne lambe the ki Arjun ko najre utha kar dekhna padd raha tha. Sharir utna bhaari nahi tha lekin majboot aur wo jatayen 7 feet unchaai se bhi kache fars par aadha feet bichi hui thi. Aur unki sunn ne ki kshamta itni adhik hogi wo bhi itni jyada umar me, ye toh Arjun ki soch se bhi pare tha.

"Aasan lagaaye guru ji?", Jiva ne hath jodd kar inse jaan na chaha toh baba ne hath utha kar muskurate hue mana kar diya.

"Aap yaha baith kar bhi utni dur ki awaaj sunn pa rahe the baba? Aur aapko kaise pata ki main aapki dehleej par aaya hu aur iski koyi thos wajah hogi? Jaise mere andar kamre me aane se mana karne ka bhi aapko pata chal gaya?", Arjun ki baat sunte hue wo 2 kadam duri par he us peepal ke vriksh ki chhaya me bane chabutare par he baith gaye. Baaki teeno toh ye dekh kar wahi kache par he aasan laga baithe. Arjun ko ishare se apni bagal me bula kar baithate hue unhone jo jawaab diya tha wo uske sabhi sawalon se alag tha.

"Barso pehle tum jaisa he koyi musafir aaya tha, jo khud ko wajir bata raha tha. Ek hath se jyada lambi talwar liye parantu sawaal chehre par wahi the jinke samadhan ki talaash me tum yaha aa pahuche. Sanyog toh nahi ho sakta isliye vidhata ki marji maan lete hai. Tum naram ho, isliye sammaan ke haqdar bhi. Wo hatthi tha aur sakht bhi, jaise durghatna se charitra he badal gaya ho. Isliye toh tumhe aana pada beta, sakht aksar asafal rehte hai. Wo adrishya vaayu, akaarheen jal, sajeev agni aur bhoomi ki vivdhta ka gyaan kho chuka tha aur ek-matra tatva ke sath paryaye hal nahi hote bas samay nikal sakta hai. Behtar insaan halaat se ghirne ke baad simit ho jata hai lekin tum kiske shishya ho jo sanyamti bhi ho aur haavi bhi? Hume kisi ne aise bahar aane par vivash nahi kiya.", Aise insaan ko insaan toh kaha bhi nahi ja sakta tha jisko dekhne maatra se sadharan insaan kaanp uthe lekin muskurahat itni vinamra jaise tesu ka phool khili roshni me.

"Maa.. wo nirakaar hai, uchit shiksha aur thehrav liya antarman vaayu se kahi adhik adrishya jiska ehsaas vaayu ki tarah turant nahi ho jata, agni se adhik sajeev hai vachan jo bahri prakrti par nirbhar nahi rehte aur unme bandha vyakti isko vansh dar vansh jiwat rakh sakta hai. Bhoomi se vividh hai charitra, jo har paridrishya se bhinn dikhta hai parantu hota bhoomi ki tarah sthir he hai. Jo aapke sammukh aaye the wo vyathit the aur maansik dwand majboot insaan ko bhi samajhdari se prithak kar sakta hai.", Arjun ne guru ka bhi varnan waise he diya jaise in baba ke sawaal the. Paas he tangi matki ko utha kar unhone usme bhara jal tabtak peeya jabtak wo samapt na ho gaya.

"Uttam.. Toh Bhootnath ki bhoomi par aa sakte ho lekin unke sammukh nahi? Kaho kis tantrik se vyathit ho kar yaha pachuche ho?", Ye saaf spasht sawaal tha aur yahi bahot tha inki dur-drishti samjhane ke liye.

"Sidheshwar aur Kalpatru. Kaun the ye log? Aghori- taantrik ya shaitaan?", In 2 naamo ko sunn kar toh saamne baithe teen saadhuon me se 2 ek dusre ko hairat se dekhne lage. Arjun ke mukh se in naamo ki unhe koyi aasha na thi.

"The? Wo aaj bhi hai lekin aghori keh kar ye ghor dard hume matt do beta. Tapovan me hritu, prakriti, paristhiti se pare aur insaan ki laalsao ko tyaag kar us Bhole Bhootnath ki sharan me rehne wale aghor dusht nahi hote. Krodhit aur ugra ho sakte hai, yadakada astra uthane ki bhi chook bhi ho jaati lekin amavasya ki ratri me bhi japp bholenath ke siwa kisi ka nahi karte. Sidheshwar na insaan hai na aghor, ek andh saadhak aur upasak hai us kaali shakti ka jiska astitva hamare jehan me toh nahi hai. Kahi ye ishara toh nahi kisi takraav ka?"

"Thik kehte hai aap baba, wo log pishaach aur haivaan tak ko sharminda kar chuke hai aur karte bhi honge. 1947 ke aaspas 57 akshat baalikaon ki asmat lene ke baad sabko maar diya usne aur uske 4 shishyo ne jisme se ek Kalpatru bhi tha. 55 ke toh shav dur, jism ka hissa tak nahi mila. Isme kuch bade log bhi shamil the aur mujhe yakeen hai ki aisa kuch abhi bhi chal raha hai lekin pata nahi jyada is baare me. Haan us haweli me haadse ki jagah dekhne ke baad main un awaajon ko aise sunn sakta hai jaise main bas wahi baitha hu. Sidheshwar ko uchit dand dene ke sath sath main un sabhi ko mukt karna chahta hu lekin koyi sambhavna he nahi dikh rahi. Ye kaisa anushthaan raha hoga baba jisme masoom bachiyon ki .. ", Arjun aage bol tak na saka aur uski haalat dekhte hue in baba ne uske sar par hath rakhte hue apne shishya se sawaal kiya.

"Taaraknath, kaisa anushthaan hai ye jisme itna vibhats kritya anjaam diya jata hai?"

"Sehasra-Vipaash garbh anushthaan gurudev. 99 akshat komarya jo taruni se adhik na ho, unhe anushthaan sthal ke garbh grah me dushit karne ke pashchaat bhoomi aur jal ki sandhi me vileen kar diya jata hai, jaise paani me namak. Is aayojak swayam tantrik nahi ho sakta gurudev parantu baalak ne sankhya uchit bataai hai. Ek pramukh aur kaaljayi tantra vidhya ka gyata he isko anjaam de sakta hai jisme 4 anya tantrik kriya karte hai, arthart dushkarm. Baalak ne sankhya galat bataai hai, 57 sahi yog nahi hai. 49 aur 50 par aayojak ko apne rakt se utpann taruni arthaart apni beti ya pautiyon ko akshat komarya aur bali me bhent karna padta hai. 99 se pehle ye kram jode me rehta hai aur 99 ke sath is se bhi vishipt aahuti di jaati hai, garbhvati stree ki. Is tarah se ganana 101 ho jaati hai. Aisa dusht kritya hamare sangyaan me toh koyi bhi vyakti karne me samarth nahi ho sakta parantu Sidheshwar is anushthaan ki purti ke liye 60 se jyada baras se bhatak raha hai jitni charcha humne suni hai. Kaha jata hai ki ek samay wo isko purn karne ke kareeb he tha parantu vighna padne ke sath uske 3 sahayak bhi naraklok padhaar gaye. Itni sankhya me 10-15 baras ki kanyaye toh sirf koyi raaj-pariwar he juta sakta hai parantu aisa kukarm toh wo bhi karne se pehle hajaar baar vichar karenge aur fir bhi swikar nahi karenge. Hume is baalak ki baat par yakeen hai ki aisa hua hoga aur ye wahi ghatna bhi hai jiski charcha kumbh me Naga Gunn-naath ne ki thi. Wo bhi Sidheshwar se bhidd chuke hai purv me aur uska ghaav aaj tak unke jism par ek hath ki gair-maujdgi ke roop me hai. Wo shaitan, pischaach ya tantrki ke paribhasha se bhi badh kar hai. Ye baalak saamna nahi kar sakta us haivaan ka gurudev.", Arjun ke sath Jiwanath aur Kapileshwar tak hairaan the. Arjun toh apni he 2 bachhiyon ko sammilit karne wali baat sunn kar sadme jaisi sthiti me pahuch chuka tha.

"Aur iska prayojan Taaraknath? Vishwa me is se ghinona kritya asambhav hai parantu aisa hai toh karne ke peeche mansha kya rehti hai is anushthaan ki? Ye prashn hamare musafir ka hai, hamara nahi.", Ab Arjun jaise hosh me lauta jab peeth par thapki padi.

"Ji. Aisa karne ki kya wajah ho sakti hai baba?"

"Ye pramanit nahi hai prantu jo wajah bataai jaati hai us hisaab se aayojak apne vansh aur us se bahar sehsra garbh-daan karne me samarth ho jata hai, sabhi maujood purush evam unki nar santano ko kaal-garbh bhej kar. Chahe wo putra ho ya pautra. Spasht shabdo me kahu toh kaamdev ka ek gehra swaroop jiski chhaya me aani wali har taruni, tanuja, praagadh mahila aur yaha tak ki banjh bhi is vyakti ke samipya me swayam ko aamantrit kar leti hai. Insaaniyat toh anushthaan me he bhoo-tal se niche reh jaati hai parantu anushthaan purn hone ke baad vikrit maansikta ka aisa aayojak har naari ko chahe wo swayam ke rakt se utpann santaan ho ya anya, sabhi me apne ansh ko ropit kar deta hai. Is se kahi badhkar prayojan rehta hai is ghrinit anushthan ki siddhi karne wale tantrik ka, 99 akshat bhog aur antim sansarg ek garbhvati ke sath karne ke baad uski bali de kar wo kaaljayi hone ki prapti ka maarg maanta hai. Aparajaye aur amaratva ke samaan. Humne pehle he bataya hai ki iska pramaan nahi hai aur aise amaratva se toh mrityu behtar. Siddheshwar 80 varsh ka ek maansik roop se vishipt haivaan he hai jiska kukarmiyon ke beech prabhu-tulya sammaan hai. Kshama bholenath. Ek prachalit vritaant hai is tantrik ke baare me. Paanv ki thokar martra se is baalak se adhik samarth yogi ka meru jism se bahar nikaal diya tha. Anushthaan satya se pare hai parantu uski maansik aur jismani taaqat ki koyi ikaai nahi hai. Apni kaali duniya se wo jab jab samaaj me lauta hai, suraksha ghere aur pehle se adhik vehshi bann kar aaya hai. 4 baras pehle hum aashram se bahar nikle the us samay gyaat hua tha ki wo Sujaangarh me ekaant akhada lagaaye hai pichle 6-7 baras se. Kalpatru uska varnak hai jo duniya ki har khabar apne is haivaan-guru tak pahuchata hai. Filhaal wo bhi marusthal me kahi daba hoga, ratrichar din me nahi nikalte aur jab nikalte hai toh niyamo se khel kar bhumi par lahu bikher kar he wapis laut-te hai. Agar aisa anushthaan hone bhi ja raha hai toh filhaal 48 kishoriya ekatrit karni hongi unhe, vartmaan me ye naumkin he hai.", Taaraknath ko jiwandarshan ka khasa anubhav tha aur ye baat unke sath pehli bhent me he Arjun samajh chuka tha jab unhone krodhit hone ki jagah uska swagat he kiya tha. Aur Arjun is khulase se ab Bhupendra Singh aur Juglal ji ko Siddheshwar se bhi bade pishach ke roop me dekh raha tha. Matlab jo shadyantra me ladd-bhidd kar apni jaan ganwa gaye the ya dur hue, wo khud mohre the in 2 kukarmiyon ke.

"Prabhu bholenath in durachariyon ko apne samipya me bulaye aur behtar saja de. Taaraknath-Kapileshwar, jism se dhooni tyaag kar aao. Shastrarth gyaan bahut hua, ab sharirik bal ka gyaan darshane ka samay hai. Prajwalit surya evam mamtamayi bhoomi ke sehan me hamare is naram musafir ko bhi gyaan ke baad is abhyaas ki atyadhik aavashyakta hai. Jiwa, angvastra do hamare mehmaan ko. Sharir nirmal karne ke paschat ye isko dhaaran karke apne samarthya ko saabit kare ki hum iska margdarshan karke bhool toh nahi kar rahe.", Taaraknath ke chehre par asmanjas ke bhaav the wahi Kapileshwar jaise ugra swabhav ki wajah se isme dilchaspi le rahe the. Arjun gyaan ki khoj me aa toh gaya tha par itne vishaal aur anubhavi 2-2 aghoriyon ke sath mukable se sandeh me tha. Jiwa baba swayam he Arjun ko sath liye nadi ki aur chal diye. Gurudev apne sthaan par he baithe hue ab dusri haandi se bhojan nikaal kar in aadha darjan shwano ki bhukh shant karte hue prabhu naam kaa jaap karne me vyast.
.
.
"Dopehar ke 2 bajne wale hai bahu aur ye Arjun abhi tak nahi lauta. Kuch bata kar gaya tha kya kaha ja raha hai? Damini ke bukhar aaya hua hai, ab ulte seedhe samay nahati rahegi toh ye toh hona he tha.", Devaki ji abhi Meena se rasoi ka kaam karwane ke baad Anamika ke kamre me dakhil hui thi. Anamika khana banane ke baad snaanghar se naha kar vastra pehan kar apne bete ko dudh he pilane lagi thi aur saas ki sawaal jawaab par thoda soch me padd gayi.

"Shehar me college ka kuch kaam bataya tha Arjun ne aur ye baat toh pitaji ko bataai thi maa ji isliye mujhe itna he pata hai. Badi didi ki main maalish kar deti hu, baabu ko doodh pilane ke baad. Araam milega bukhar dard me.", Anamika ne ye baat apne se he kahi thi jabki Arjun ne toh bas yahi kaha tha ki wo jaldi laut aayega shehar se. Aur college ka jikar usne kal shaam ko kiya tha jab dono ne ratri-bhojan sath kiya tha. Damini jaise taise savere Arjun dwara di dawa khaane ke baad apne kamre me aayi thi lekin uske baad usne apni maa se bhi baat nahi ki thi. Aanchal ko bhi Arjun samjha kar gaya tha ke wo apni maa ke sameep he rahe jitna ho sake. Devaki ko sahi lachaar kiya tha aisa karke.

"Maalish toh main he kar deti hu, tum jara Aanchal bitiya ke sath Arjun ka kamra vyavasthit kar do. Badi jiji ne kaha bhi tha ke ye ladka bada bedhyana hai kamre me har cheej vyavasthit rakhne ke maamle me. Meena se maine isliye nahi kaha ke waha uska koyi mulyavaan samaan bhi ho sakta hai aur wo doordarshan wali machine bhi lagi hai jiski taar hilne se inten (internet) nahi aata.", Devaki ki is chaal ke aage Anamika ab bebas ho gayi thi aur jubaan se toh usne aajtak kabhi kisi kaam ko naa nahi kaha tha.

"Main he kar deti hu maa ji, Aanchal ko didi ke paas he rehne dijiye. Garmi me wo bewajah pareshan hogi."

"Ghar ke kaam sasural me bhi karne padenge usko, chahe garmi ho ya megh barse. Dekh rahi hu tu is ladke ke aane ke baad kuch jyada he jawaab dene lagi hai. Jaisa kaha jaaye waisa hona chahiye. Gaanv ka mukhiya banaya hoga in budho ne usko, yaha ki mukhiya main hu. Savere jata hua bol gaya ki tujhe sone du, pareshan na karu. Kal ka paida hua ladka hukum chalane laga hai wo bhi tere liye aur mere khasam ke saamne. Aayi baat samajh me?", Anamika ka toh chehra he utar gaya tha ye sunn kar lekin ab ek aur awaaj sunaai di jiski wajah se Devaki ko jaise saanp he sungh gaya.

"Meri biwi se jubaan sambhal ke baat kiya karo maa. Aurat hai wo koyi bhed-bakri nahi ki bajaar se kharid ke le aaye aur ab jabtak dudharu hai khoon chooste raho aur nakara ho gayi toh katwa di kasaai se. Baabu raatbhar sone nahi dega toh 2 ghadi araam bhi nahi kar sakti ye? Anamika, mere kapde nikaal do jara wo meeting wale. Maa, ab is bache ko toh sambhal sakti ho thodi der ya ye doodh pilati hui mere kaam kare?", Vinod ke tewar dekh kar toh Devaki dang he reh gayi. Wo jis tarah aangan se kamre tak khari khoti sunata kamre me dakhil hua tha Devaki se toh jawaab dete na bana lekin laadla tha wo aur aisa akele me bol leta tha apni maa se par aaj wo biwi ke saamne suna raha tha usko.

"La de isko mujhe aur kar de is raja ko tayaar. Thoda araam se bol liya kar mujhse, maa hu main teri.", Bacha lene wo aage badhi toh ye bhi Devaki se Aanchal ne he le liya.

"Rehne do naani, isko pyaare baby ko main khila leti hu. Abhi sone wala nahi ye.. Chalo Arjun bhaiya ke kamre me gaane sunte hue khelte hai Nikku baabu.", Devaki aur Vinod ko ye atcha laga jis tarah se Aanchal ne Niketan ko itne prem se goad me lete hue uske gaal ungli se sehlaye aur wo mama ko namastey karti hui chali gayi. Anamika toh waise bhi parda karke he stannpaan karwa rahi thi. Vastra thik karke wo Vinod ko uske bataye kapde nikaal kar dene lagi thi.

"Thik hai tum karo apna kaam, main Damini ke paas baithi hu. Kahi jaruri jana ho toh bahu aur bete ko bhi sath le jana."

"Damini ke paas jija hai, bukhar ka bataya tha maine isliye chale aaye mere sath. Udhar ghar pe pakki kaamwali lagwa di hai Damini ke liye aur wo leke he ja rahe hai usko, mere sath.", Ye toh Vinod ne aakhiri keel thok di thi Devaki ki ummeed ke taboot par aur uske Damini sang samay bitane ki aas pe.

"Yahi toh zindagi hai meri, sabko bas apne apne sukh ki chinta hai. Kaha se banau fir jiji ke waha jaisa sansar? Kareeb raho kabhi aur sukh-dukh pcho toh ye budhiya kuch chain me rahe."

"Oh maa, taai ki barabri karne ki jagah bas 2 bol pyaar ke sabse bol lo toh ek ki jagah 10 hath na khade rahe tumhare paas? Tumhare sath toh hamesha se papa rahe lekin jab unko he nahi samjha tumne toh humse kya shikayat? Taai ke sath toh tauji bhi na the jabki idhar toh mere hone tak dada-daadi tak sath the lekin itne log bhi haweli me 2 sukoon se bhare pyaare kamre na bana sake. Aur ek kamre se safar shuru karne wali akeli taai ne aaj bhara-poora pariwar aur is gaanv se 50 guna bada shehar apne sukh-dukh ka sathi bana liya. Unko sirf dena aata hai chahe pyaar ho ya shiksha, liya hai toh sabka dukh aur Roshni saboot hai iska. Ab kaha gaya aapka Netram bhai aur wo jo mara gaya uski toh aapne is ghar me khabar tak na di. Bhai ne toh behan ko bataya hoga na ke Pooran nahi raha? Wo insaan jo apne kamre me abhi abhi aaya hai usko paani na pooch lena aap. Papa kuch nahi kehte iska matlab aap unka haalchal bhi nahi logi?", Vinod ke khamosh hote he Devaki paanv patakti hui kamre se nikal kar udhar he chali gayi jaha Krishneshwar ji aane ke baad ab saans le rahe the. Aaj Devaki ki aankhon me aansu the jinme gussa aur naummedi badi wajah thi. Swayam Krishneshwar ji ne he matke se thanda paani apni biwi ki taraf badhaya jisko ek saans me peene ke baad wo mooh dhak kar wahi kursi par palthi maar baith gayi.

"Jubaan ladana sarasar galat hai aur Vinod hamesha se aisa he toh hai Devaki. Phir aaj tumhe itni peeda kyun ho rahi?"

"Arre peeda na hogi toh fir kya hoga? Aap toh umarbhar nandlal bane rahe aur inke khoon me maine he garmi bhari thi lekin aaj ye mujhpe nikaal raha hai. Isliye isko maine duniya ka saamna karna sikhaya tha?", Devaki aansu saaf karti hui buri tarah aahat swar me bol rahi thi lekin Krishneshwar ke chehre par wahi saralta.

"Duniya ka saamna tej awaaj bolne se nahi hota jitna humne dekha baaki tumne 2 logo se jiwan ke udaharan liye aur unhi dono ke nakratmak pehluo ko mishran grehan kar liya. Haan Chandro devi ji aur badi bhabhi ke maamle me ghamand swabhimaan me badal jata hai. Aur unhe saahsi kaha jata hai dussahasi nahi. Tumne toh kuch nahi khoya Devaki lekin unhone bahot kuch khone ke bawjood apne pariwar ko har paristhti se nikal kar majboot kiya. Wo tej nahi bolti hain kabhi, unke gunn bolte hai. Vinod ne kya galat kaha? Ek thooth se kamre unhone apna grehasth jiwan shuru kiya tha aur rani tak unke naam ke sath ji laga ka sambodhit karti hai. Tumhe toh pita ji ye haweli aur poora gaanv de kar gaye the, isko bhi bade bhaiya sambhalte rahe aur aaj umar hone par unhone us ghar ka sabse mulyavaan sadasya yaha bhej diya. Tum shikayat tab kar sakti thi jab Vinod laayak hota aur bhaiya uski andekhi karte hai. Aaj pehli baar laga hai ki Vinod koshish kar raha hai aur sahi sangat me raha toh ek din wo jarur tumhara hamara naam samaaj me lene laayak banayega. Beti ja rahi hai aur damaad ke sath uska shagun karna jaruri hai.", Uthte hue unhone apne kurte ki jeb se 500-500 ke 2 note nikalne ke sath ek ek ke sikke bhi Devaki ki taraf badha diye. Devaki majboot aurat thi jo baat ko yahi khatam karti uth khadi hui.

"Aanchal na ja rahi wapis?"

"Naati hai hamari aur uske avkaash hai abhi. Tabhi toh kitabe kapde laayi thi yaha aur Arjun padha raha hai jo wo center par padhti thi. Bachi pehli baar toh sahi se nana naani ke ghar rehne ke liye aayi. Chalo, thaali tayaar karo itne main damaad ji se mil leta hu.", Devaki ko toh dur dur tak ye aashanka nahi thi ki is haweli ko swayam Arjun ne sudharne ka theka utha liya. Aaj jo bhi Devaki ke sath hua tha aur hone wala tha sabki wajah Arjun he tha. Wo Devaki ko uske he mohro se gher raha tha aur Roshni ke ghar bhejne ke peeche bhi sunishchit roop se uska he hath tha. Mukhya pariksha se purv wo apni kaksha se 2 kaksha aage ki tayaari karke rehne wala yuwak inke samajh nahi aane wala tha.

Enigma bhai meri is pratikirya ko ek neutral mind se dekhna .. na ki ek lekhak ke taur par ...

shuruaat se he Arjun ko behtar banane ki koshish jaari hai .. aadhyaatmik darshan, lok-vyavahaar .. kintu sabse jyaada shaaririk pragadhta par shuruaat se he sabse jyaada focus raha hai .. aisa kyon .. aatmik bal ya fir maansik bal par itna jor nahi raha .. aur jo tikhan buddhi ka Arjun ne ek do jagah accha udhaaran pesh kiya wo bhi sirf .. bhotik shiksha tak he simit raha .. sirf gyaan arjit karne tak he simit sa rakha .. jiska ek udharan kucch update pehle RAmeshwar ji aur Pramod shashtri ji ki baato se bhi jaahir hua .. aakhir mein aa kar Shashtri ji bhi badle ki bhaavna se grasit he dikhayi diye .. unko bhi Saarang ke bhai se apni beti ke liye uske kukurmo ka hisaab kitaab lena tha .. to fir shuruaat se jo unhone abhi tak Arjun ko sikhlaya wo sab to ek tarah se paakhand he raha .. jab baat apne upar aayi .. to unki soch bhi ek aam insaan waali he rahi .. dvesh aur moh se lipt ...

well waise ye baat kahani ke mool se vipreet disha mein chali jaati hai .. kyonki kahani ka saar manoranjan karana aur utaar-chadhaav se paripoorn to hota he hai .. kyonki is-se prithak to jaa kar fir kahani he kaha rahegi .. yaha mere sawaal iss kahani aur iske paatro par prashann chinh nahi banate hai .. magar ye kahani un 2 adrashya lakeero ke madhye dolti rahi hai .. jo ki bilkul he alag alag hai .. pyaar aur dvesh .. waise to ye dono stambh bilkul he ek dusre ke anti hai .. magar jeevan mein in dono ka choli-daaman ka saath hai .. jaha pyaar hoga waha dvesh hona laajami hai .. kyonki pyaar jitna gehra aur saccha hoga .. wo utna he virodhabhaasi bhi ho jaata hai .. aur iske saath pakshapaat bhi parchaai ke samaan ghar kar leta hai .. kaayde mein to prem ki sacchi paribahasha pyaar lena nahi dena sikhaati hai .. Pyaar beshak niyamo se pare aur samaaj ke aadambaro se kahi uccha hai .. magar jo iske ehsaas se abhibhoot hote hai .. unke mann to itne moh se lipt hote hai .. jo dene ke saath paana bhi chahte hai .. aur yahi ek wajah hai ki prem hamesha se he dvesh se lipt raha hai ...

kehne ko to ek Maa ka nischal prem uski santaan ke prati jitna swacch aur nishkapat hota hai utna to ek saadhak ka apne isht ke sammukh bhi nahi hota .. kitnu dekha jaaye to ek maa bhi apni he santaano mein farak karti hai .. ye kaise sambhav hai .. aur aakhir kyon .. kya moh aur swaarth iske doshi hai .. khair ispar bahut he gehen charcha ki jaa sakti hai .. par na he to main itna vishisht yogi hu jo ispar nishpaksh charcha kar saku aur na he aap par itna samay hai ...

********

to aate hai kahani ki aur .. Pyaar aur dvesh se paripoorn aur 100% kadvi chaashni (prem kund waali) se susajitt ... :hehe:

waise wo Kaushalya ji kyon Shankar par itna pyaar lutati hai .. jabki wo 4ro santaano mein sabse kaabil hai .. kya uska sabse taqatwar aur sabse kamjor hona iska kaaran hai .. khair pita Rameshwar ji he kyon na ho .. par unka jhukaav unki sabse sashakt santaan ki aur he hai .. Dr. Shankar Ramkaushal sharma ...

kahani ko chalte hue paune 2 saal hone ko aaye hai .. aur 200 ++ updates ke bhi paar jaa chuki hai .. magar abhi tak to theek se Ramme-kaushalya ki aulado ki khicchdi nahi suljhi thi .. magar lekhak ne uljha diya daada-pardaada mein .. ab karlo kya kar sakte ho .. in pandato ka .. ek aadha ho to dekha bhi jaaye .. magar yaha to kayi peedhi ki enigma ulhi hui hai .. wo bhi Pandato ki .. kisi se sulajhti ho to suljaha lo .. pandat khud he fail ho gaye .. chahe unme Chaanakya ho ya Parshuraam (waise to ye mahamaanush paida shatriye kul mein hue magar gyaan ke aadhar par pandit thehre :y: .. jinke the 3 shishye .. bhishm, dron, karan .. karan ko shaap diya, dron ne shiksha di .. us shika ka prayog kiya kul naash ke liye, bhishm (inka to bhagwaan maalik .. inko shaadi nahi karni thi .. magar praja ko sukhi rakhna inka daayitv, raja nahi ban-na .. magar sihasan ki surakha inka daayitv, bacche nahi paida karne the .. magar 18000 ki paandav sena ko pel diya) .. chalo wo sab chhodo .. apne dron hue apne Pramod shashtri ji .. saari duniya ko seekh dete fir rahe hai .. dronachary ji ki tarah inko bhi badla lena hai .. Karan ke jaise hue apne Kumar Saarang ji .. shaapit .. Juglalji aur Bhupinder ji se trained .. Bhishm hue apne Motilal ji .. kisi ko bacha na sake aur darjano log kaat daale .. upar se saari jindagi rona-rote rahe .. baap harami mila uske liye, beta jyaada active tha to uski maar li, jo bahu pasand thi usko dur bhaga diya, piddi ki chamiya pasand nahi aayi .. to usi ke haath ki roti khaayi .. ab bhala batao koi milega inse mast character .. aur afsoos-afsoos mein 2 aulaad najaayaj paida kar daali .. kya kar sakte hai .. kucch bhi nahi .. kyon .. kyonki Pandat hai .. aur ek Pandat humein mila hua hai .. UNGLIMAL 👿 .. ye hamare baccho ke peeche pada hai banda .. paida hone se pehle he shaheed karwane ka aaye din upkaram jo kar dete hai maharaj .. latest Daamini ...

chalo ab thodi bakchodi kar li jaaye .. to ab tak kya upar satyenarayan katha chal rahi thi .. :lol: .. sangati ka asar babu-bhaiya ...

Rameshwar ji aur Arjun ne duniya sudhari .. par in dono se apna haathi na sudhar raha .. Dr. saab .. dekho badhakna mat .. main aapka fan .. Romela peeche se muzhe bhi pasand hai .. aur ek aur kaali bhed ko bhi XLNC .. jo kaat-ta nahi dasta hai ... hiss-hiss

Juglal ji ne un paakhandi taantriko se aushthaan karwaya .. uska asar unke pauto par dikhta hai .. Shankar, Inder aur Vinod-daamini :what3: .. aur agli peedhi par bhi Arjun, Ritu-Alka .. bas itna he bahut hai .. kyonki 1,00,000 ki limit mere liye nahi hai .. kaash mere daada-pardada bhi aise hote ...

Preetam-vaidahi ke seeng aapas mein lade .. Preetam ke kari ungli uski judwa ne .. bhai ke tha khada baal usne tode baasan .. par ye choda mast pichwaade wala santosh kiska ansh hai .. in dono bhai-beheno ke na hai aage kucch ...

waise abhi tak us anusthan ka asar raj-mehal ke baashindo mein sirf inderjeet aur uske chacha mein dikha ...

raghubeer singh kiske bete the .. koi khaas to raha hoga Hukumat mein ...

'Ji' ne li Raani ki hawa par bach gayi jeep ki sawari karne se .. par lagi chingari 2 sakhiyon ke ...

chote pandat ka shikaar karne ki taiyaari hai .. guru-chele ki .. ek teer aur kayi shikaar .. asar Motilal tak ...

aaj hoga Arjun ka hawan nadiya mein .. lega training khusti ki 7 foote yogi se .. thodi kami reh gayi thaanedaarni ke laddoo mein .. nahi badha pauta upar ko par badh gaya khunta neeche ko ...

chadi jawani Aanchal ko dekh maa bhin-naayi .. Devki ke Arman he thande magar Piddi ne garmayi .. Anamika ke bharjaai aaye .. Jasleen ki muniya paniyaayi .. aaya time laddoo ka asar dikhane ka .. par pehle akhada jama jatayu sang ...

aaye kaha se Mahendra aur Amrita gaud mein Raani Saudarya ke .. hua kya us pyaar ka jo kiya Raghu ne chanchal Diya se ...

********

kaisa laga pandat bhai .. review nacheej naapak jaat ka ...

padhna upar ki panktiyon ko rhyme mein .. koshish kari bahut dino baad jab hum aaye aapki dar pe ...

by the way thanks Raja chouhan bhai for such a lovely update .. :lol1: aapki dono he kahaniya muzhe bahut pasand hai ...

********

ardh-Viram .. 202 A
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,928
173
Super fantastic update Bhai
Iss department me to alt balaji ke shows ke directors ko inse training Leni chahiye 🤣🤣
Just joking Enigma bhai
Ek hi update diya meko do ki ummid thi
Zabardasti update
Bhai ji aghoriyon ke shat ldhai jrurur dhikhana
Super update.
Bhai ladayi nahi abhyaas hoga.
bahut khoob ek baat samajh nahin aayi yeh aghori kaun hai or arjun iske paas kyon gaya hai
एक भरापूरा संतुलित जीवन का उदाहरण है अर्जुन जो सिर्फ दूसरो के लिए जी रहा है
अद्भुत अविश्‍वसनीय अकल्‍पनीय😱😱
bhai akshat kunwario ka hi prayog is anusthan ke liye kiya gaya hain... toh wo pauti kaun ho shakti haih... ek matra naam rajjo aata hain... baaki toh aur koi pauti na thee unki... anamika ke pehle se hi sambandh the... aur raani jyotsana toh apne betio ke saath london mein thee.... aur waise bhi jo bhi larkiya us anusthan mein bhaag lee ya toh wo maari gayee ya phir jo sridhar ne kandhe pe le ke bhaga tha... shayad wo hi ho rajpariwar kee wo kanya....
bhai baki dekha jay toh j sari shaktia toh arjun ke pass hai jin shaktio k liy j sab hua hai wooh v bina kush kie kya j sirf coincident hai
Kisi ko toh baksh do bhai.
Jordar update brother
aasan grahan kariye Maharaj

images-q-tbn-ANd9-Gc-TIYMGmd4k-OL9f-RXOzchdo-Byh34-C9-M7-LXnp6-A-usqp-CAU
Nice update...
Lajawab update bhai
Bahot khoob shaandaar zaberdast
I will read surly
Dekh rahe ho engima bhai sab aapki rah chal rahe
Aap soniya ji ki kathinayiya dur karte ho aur raghav bhai kareenaji ki
Lagta hai id badlni padegi
Lage raho
Just kidding😜😜😜
To mera sawaal aapse ye bata deo hamko jab wo bawa ji antaryami hain jinko ghar ma baithe baithe sab pata chal jata koi aawa hai aur wo khas hai to fir unko arjun ka imthaan lene ki kya jarurat pad gayi unko dusri baat ab wo usse kusti ya pahalwani ke danv panch dekhengen usme ya ek majbut ichcha sakti dekhni hai unko kyunki arjun kitna bhi balsali sahi lekin pichle update me ek baba ji ne uska hath kisi normal aadmi ke hath jaise rok liya tha padha tha hamne ye log sidh purush hain apaar saktiyan inke pass aise me kitni der inke samne tikega arjun..hamko hamare masoom sawaal ka reply kar dena dhanybaad
Abb lag raha hai pura balndar isi kaand ke liye hai wonderful update bhai..
Bhout hi sunder update brother.
Agle update ka intejar hai besabri se🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Ye wahi tantrik toh nahi jis ko shankar ne registan main dhul chatai thi...is hisab se toh shankar ki takat ka toh kya kahana..
Aaj update Kab aayega bhai
Kya sach me aaj bhi update denge kya sir'......???
Waiting for next one
behtarin story hai bhai maine padhi hai. aaj tak jitni bhi extraterritorial story padhi hai usmain avval hai. Writing style bhi lajawab hai. Must read....................
Bohat he zabardast dhamakedar update tha besabri agly update ka intazaar rahy ga
Sherni ka badla
Timing 28:45 😜😜😜
Plz watch on YouTube 😂😂😂
Aaj Update aayega kya Sirji...
Thoda Bahuut...🌝
Aap sabhi se ek prashn hai,
Is update me jis yogi ko wo tantrik thokar marta hai khi wo yogi sambhav to nhi hai
Nahi kyuki tantrik ne thokar mar kar us yogi ka gurda nikal diya tha
Garda udaye hue Ho enigma bhai aap to back to back dono kahaniyo pe ek crore views... Badhi ho aapko...
phirse congratulation :congrats:



brett-garwood-uvvv-Kne-Sp-U-unsp-1200x3024
अपडेट की प्रतीक्षा है दोस्त
Waiting for update
Marvelous update
Bhai update kab tak aayega
Aaj update aaega kya?
Enigma bhaiya waiting
Aaj ka update page number 3067 par de diya hai dosto. Ab kal ek update ke baad akhaade wala update Shaniwar ko dunga. Index bhi update kar diya. Shubhratri. Kal milte hai kuch khatte meethe pyaar bahre lamho aur Motilal ji ke patra ke sath.
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,928
173
Enigma bhai meri is pratikirya ko ek neutral mind se dekhna .. na ki ek lekhak ke taur par ...

shuruaat se he Arjun ko behtar banane ki koshish jaari hai .. aadhyaatmik darshan, lok-vyavahaar .. kintu sabse jyaada shaaririk pragadhta par shuruaat se he sabse jyaada focus raha hai .. aisa kyon .. aatmik bal ya fir maansik bal par itna jor nahi raha .. aur jo tikhan buddhi ka Arjun ne ek do jagah accha udhaaran pesh kiya wo bhi sirf .. bhotik shiksha tak he simit raha .. sirf gyaan arjit karne tak he simit sa rakha .. jiska ek udharan kucch update pehle RAmeshwar ji aur Pramod shashtri ji ki baato se bhi jaahir hua .. aakhir mein aa kar Shashtri ji bhi badle ki bhaavna se grasit he dikhayi diye .. unko bhi Saarang ke bhai se apni beti ke liye uske kukurmo ka hisaab kitaab lena tha .. to fir shuruaat se jo unhone abhi tak Arjun ko sikhlaya wo sab to ek tarah se paakhand he raha .. jab baat apne upar aayi .. to unki soch bhi ek aam insaan waali he rahi .. dvesh aur moh se lipt ...

well waise ye baat kahani ke mool se vipreet disha mein chali jaati hai .. kyonki kahani ka saar manoranjan karana aur utaar-chadhaav se paripoorn to hota he hai .. kyonki is-se prithak to jaa kar fir kahani he kaha rahegi .. yaha mere sawaal iss kahani aur iske paatro par prashann chinh nahi banate hai .. magar ye kahani un 2 adrashya lakeero ke madhye dolti rahi hai .. jo ki bilkul he alag alag hai .. pyaar aur dvesh .. waise to ye dono stambh bilkul he ek dusre ke anti hai .. magar jeevan mein in dono ka choli-daaman ka saath hai .. jaha pyaar hoga waha dvesh hona laajami hai .. kyonki pyaar jitna gehra aur saccha hoga .. wo utna he virodhabhaasi bhi ho jaata hai .. aur iske saath pakshapaat bhi parchaai ke samaan ghar kar leta hai .. kaayde mein to prem ki sacchi paribahasha pyaar lena nahi dena sikhaati hai .. Pyaar beshak niyamo se pare aur samaaj ke aadambaro se kahi uccha hai .. magar jo iske ehsaas se abhibhoot hote hai .. unke mann to itne moh se lipt hote hai .. jo dene ke saath paana bhi chahte hai .. aur yahi ek wajah hai ki prem hamesha se he dvesh se lipt raha hai ...

kehne ko to ek Maa ka nischal prem uski santaan ke prati jitna swacch aur nishkapat hota hai utna to ek saadhak ka apne isht ke sammukh bhi nahi hota .. kitnu dekha jaaye to ek maa bhi apni he santaano mein farak karti hai .. ye kaise sambhav hai .. aur aakhir kyon .. kya moh aur swaarth iske doshi hai .. khair ispar bahut he gehen charcha ki jaa sakti hai .. par na he to main itna vishisht yogi hu jo ispar nishpaksh charcha kar saku aur na he aap par itna samay hai ...

********

to aate hai kahani ki aur .. Pyaar aur dvesh se paripoorn aur 100% kadvi chaashni (prem kund waali) se susajitt ... :hehe:

waise wo Kaushalya ji kyon Shankar par itna pyaar lutati hai .. jabki wo 4ro santaano mein sabse kaabil hai .. kya uska sabse taqatwar aur sabse kamjor hona iska kaaran hai .. khair pita Rameshwar ji he kyon na ho .. par unka jhukaav unki sabse sashakt santaan ki aur he hai .. Dr. Shankar Ramkaushal sharma ...

kahani ko chalte hue paune 2 saal hone ko aaye hai .. aur 200 ++ updates ke bhi paar jaa chuki hai .. magar abhi tak to theek se Ramme-kaushalya ki aulado ki khicchdi nahi suljhi thi .. magar lekhak ne uljha diya daada-pardaada mein .. ab karlo kya kar sakte ho .. in pandato ka .. ek aadha ho to dekha bhi jaaye .. magar yaha to kayi peedhi ki enigma ulhi hui hai .. wo bhi Pandato ki .. kisi se sulajhti ho to suljaha lo .. pandat khud he fail ho gaye .. chahe unme Chaanakya ho ya Parshuraam (waise to ye mahamaanush paida shatriye kul mein hue magar gyaan ke aadhar par pandit thehre :y: .. jinke the 3 shishye .. bhishm, dron, karan .. karan ko shaap diya, dron ne shiksha di .. us shika ka prayog kiya kul naash ke liye, bhishm (inka to bhagwaan maalik .. inko shaadi nahi karni thi .. magar praja ko sukhi rakhna inka daayitv, raja nahi ban-na .. magar sihasan ki surakha inka daayitv, bacche nahi paida karne the .. magar 18000 ki paandav sena ko pel diya) .. chalo wo sab chhodo .. apne dron hue apne Pramod shashtri ji .. saari duniya ko seekh dete fir rahe hai .. dronachary ji ki tarah inko bhi badla lena hai .. Karan ke jaise hue apne Kumar Saarang ji .. shaapit .. Juglalji aur Bhupinder ji se trained .. Bhishm hue apne Motilal ji .. kisi ko bacha na sake aur darjano log kaat daale .. upar se saari jindagi rona-rote rahe .. baap harami mila uske liye, beta jyaada active tha to uski maar li, jo bahu pasand thi usko dur bhaga diya, piddi ki chamiya pasand nahi aayi .. to usi ke haath ki roti khaayi .. ab bhala batao koi milega inse mast character .. aur afsoos-afsoos mein 2 aulaad najaayaj paida kar daali .. kya kar sakte hai .. kucch bhi nahi .. kyon .. kyonki Pandat hai .. aur ek Pandat humein mila hua hai .. UNGLIMAL 👿 .. ye hamare baccho ke peeche pada hai banda .. paida hone se pehle he shaheed karwane ka aaye din upkaram jo kar dete hai maharaj .. latest Daamini ...

chalo ab thodi bakchodi kar li jaaye .. to ab tak kya upar satyenarayan katha chal rahi thi .. :lol: .. sangati ka asar babu-bhaiya ...

Rameshwar ji aur Arjun ne duniya sudhari .. par in dono se apna haathi na sudhar raha .. Dr. saab .. dekho badhakna mat .. main aapka fan .. Romela peeche se muzhe bhi pasand hai .. aur ek aur kaali bhed ko bhi XLNC .. jo kaat-ta nahi dasta hai ... hiss-hiss

Juglal ji ne un paakhandi taantriko se aushthaan karwaya .. uska asar unke pauto par dikhta hai .. Shankar, Inder aur Vinod-daamini :what3: .. aur agli peedhi par bhi Arjun, Ritu-Alka .. bas itna he bahut hai .. kyonki 1,00,000 ki limit mere liye nahi hai .. kaash mere daada-pardada bhi aise hote ...

Preetam-vaidahi ke seeng aapas mein lade .. Preetam ke kari ungli uski judwa ne .. bhai ke tha khada baal usne tode baasan .. par ye choda mast pichwaade wala santosh kiska ansh hai .. in dono bhai-beheno ke na hai aage kucch ...

waise abhi tak us anusthan ka asar raj-mehal ke baashindo mein sirf inderjeet aur uske chacha mein dikha ...

raghubeer singh kiske bete the .. koi khaas to raha hoga Hukumat mein ...

'Ji' ne li Raani ki hawa par bach gayi jeep ki sawari karne se .. par lagi chingari 2 sakhiyon ke ...

chote pandat ka shikaar karne ki taiyaari hai .. guru-chele ki .. ek teer aur kayi shikaar .. asar Motilal tak ...

aaj hoga Arjun ka hawan nadiya mein .. lega training khusti ki 7 foote yogi se .. thodi kami reh gayi thaanedaarni ke laddoo mein .. nahi badha pauta upar ko par badh gaya khunta neeche ko ...

chadi jawani Aanchal ko dekh maa bhin-naayi .. Devki ke Arman he thande magar Piddi ne garmayi .. Anamika ke bharjaai aaye .. Jasleen ki muniya paniyaayi .. aaya time laddoo ka asar dikhane ka .. par pehle akhada jama jatayu sang ...

aaye kaha se Mahendra aur Amrita gaud mein Raani Saudarya ke .. hua kya us pyaar ka jo kiya Raghu ne chanchal Diya se ...

********

kaisa laga pandat bhai .. review nacheej naapak jaat ka ...

padhna upar ki panktiyon ko rhyme mein .. koshish kari bahut dino baad jab hum aaye aapki dar pe ...

by the way thanks Raja chouhan bhai for such a lovely update .. :lol1: aapki dono he kahaniya muzhe bahut pasand hai ...

********

ardh-Viram .. 202 A
Adhbhutt. 😅😍
Aaj dikhaai diye hamare purane munivar. 🙏🌱
 

Billi420

Well-Known Member
2,526
13,179
158
Update 202 (2)
Pariksha Purv


"Ye mall-yudh ka akhada nahi hai musafir. Ye snayu-tantra aur panch indriyon ke pashchaat tumhare paas atirikt kya hai, iski pariksha hai. Is dhooni me swayam panchtatvo ke sath aneko tap ka phal shamil hai hamare karmath shishyo evam guruo ka. Siddheshwar urf Sreedhar apne pratham shikshakaal me ek lalakvaan aur samarpit shishya tha hamare guru ji ka. Ab isme utarne se pehle gurudakshina swaroop wo bhent karo jisne tumhe yaha ki raah dikhai.", Aghori baba Vajranand apne jataayen samet kar sahi se sar par bandhne ke baad lohe ke trishul ko liye khandhar ke peeche bane is akhadenuma sthaan par chale aaye jaha unke dono pramukh shishya akhaade ke bhitar ja chuke the. Arjun sirf kamar par wahi ek vastra lapete the jo langot se kahi adhik chota tha. Ab jis gurudakshina ki Vajranand ji ne baat kahi thi Arjun sar hilata hua apne vastro ki taraf badh gaya. Patloon ki jeb se wahi sikka bahar nikala jisne ghor andhkaar me Arjun ka maarg prashast kiya tha.

"Aapko yakeen tha ki ye mere paas hoga baba?", Arjun ne ghutna modd kar jis tarah se ye sikka unke sammukh kiya tha wo is tarah muskuraye jaise Arjun se abhi sahi parichaya prapt na hua ho. Filhal unhone bas wo dakhshina apne hath me lete hue aankhe band karke us sikke ko tatola.

"Ye us hatthi raja ke bhi paas tha musafir jo sahi 51 baras pehle prabhu ko lalkaarne aa pahucha tha. Aseem bal, krodh aur peeda se funfkarta wo insaan swami Bhootnath ke us bhujang samaan tha jo ve swayam he shaant kar sakte hai apne gale me haar ki tarah dharan karke. Pehle waha kapaat the jinhe apni thokar se dhwast karte hue wo samadhan ki jagah is jagah ko he mitana chahta tha. Gurudev ke maatra halke prahaar se wo bhoomi par gira toh chakshu khulne he the. Yaha koyi kisi ka anisht nahi karta aur aisa sochna bhi samast tapasya vyarth karna hai. Ye mudra (sikka) uske hath se he giri thi jisko dikha kar wo aise sawaal kar raha tha aise swami bhi uske gulaam ho. Jawaab kaise mil sakta tha? Parantu yahi prateek hai Siddheshwar aur is sthal ke sath uske ateet me bann kar toote rishtey ka.", Arjun bade gor se sab sunn raha tha aur dono vyakti is golakar ghere ke bahar aa ruke toh Arjun ne bhitar jaane se pehle ye ekmatra sawaal poocha.

"Iski he wajah se wo raaj-darbar me sewak bann paya tha na baba?"

"Tab ye sthal itna khamosh aur viraan nahi hota hai musafir. Aghor tap par jaane se pehle vyakti ko is sansaar me apna samajik yogdaan dena aavashyak hota tha. Maansik, sharirik aur aatmik shiksha ke pehle charan purn karne ke baad inko samaaj me apni ruchi anusaar prakat karne ke liye bhraman karna padta tha. Shiksha ka sahi auchitya toh yahi hai ki isko grehan karne ke baad vistaar karna. Siddeshwar ki ruchi gehre evam ansulhjhe vishayo par adhik rehti thi parantu sharirik shiksha me bhi uske samaan naam-matra he shishya the gurudev ke. Swayam maharaja ne uska chayan rann-niti aur bhed-chakra ke jaankar hone ki wajah se darbar me aantarik suraksha pramukh ke taur par kiya tha. Kuch varsh baad wo wapis lauta jaisa ki anivarya tha parantu 8 baras baad wo jab nikla toh darbaar me pad-aaseen hone ke sath maharaja ka niji sewak bann baitha. Ye mudra dharohar hai is sthal ki aur ab Siddeshwar ka yaha se koyi rishta nahi raha iske wapis lautne par. Jao aur jaisa humne kaha tha apni khaasiyat pehchano wo is dhooni me rami hogi. Samarth hue toh swayam wo tumhe dhoond legi. Aatma tum bhi abhed ho musafir lekin wo dono aksar hume hairaan karte rehte hai apni lagan aur tapasya se.", Jiwa baba ne Arjun ke charno aur hatho ko ek baar fir se nehlaya jab uske kadam us pavitra raakh par jaane lage the.

"Gurudev ye abhyaas pariksha niyamanusaar nahi dikh rahi.", Ghere se bahar Jiwa Vajranand ji se aashankit swar me poochne lage jab bhitar jaane par Arjun ne us akhaade ki saleti-kaali raakh dono hatho me masalne ke baad pehle Taaraknath ki taraf mall-yudh ka aahvaan kiya. Samaan kadd lekin Taaraknath ka jism kuch jyada he bhaari aur chuada tha apne pratidwandi ke ispaat se maansal chharhare sharir ke saamne.

"Tumhe abhi manan pariksha uttrin karni hai Jiwa aur uske baad tum Tarak aur Kapil ke samkaksh ho paoge. Parantu ye jeev jo abhi tumhare saamne hai ye bhoot-saadhak hai, jo tum teeno ki shiksha me agla padaav hoga manan praiksha samapt karne ke pashchaat.", Bhitar dono daityakar jism aapas me daso ungliyan uljhate hue sharirik bal ki jaankari jutane me lage the. Kapileshwar panje modde ghutno ke bhaar bade dhyaan se dono par taktaki lagaye tha.

"Bhoot-saadhak? Gurudev ye toh sadharan musafir hai beshak laalach aur ghamand se pare ek majboot yuvak. Ye bhoot-saadhak kaise ho sakta hai wo bhi bina shiksha ke aur itni kam-umar me.?", Taaraknath ne apna bal badhate hue Arjun ki bhujayen peeche karni shuru kar di thi. 50 inch ke laghbhag chauda unka seena ab jyada bhayankar dikh raha tha aur wahi Arjun ke jism ki har maanspeshi apna akaar badhati lagi. Jald he Arjun ka ek paanv peeche hone ke sath agla ghutna jhukne laga tha jaise Taaraknath uspar haavi ho chuke ho.

"Swayam jaan jaoge Jiwa. Wo Taarak ki kshamta jaan chuka hai lekin Taarak ke sath hum swayam nahi dekh pa rahe ki is musafir ke adhbhutt bal ka strot kya hai. Wo jo iske bhitar hai ya us se adhik bhitar jinse bhoot bhi saadh liya hai. Baaye kandhe me adhik bal badh raha hai jo aksar kamjor hota hai. Ye Taarak se he khel raha Jiwa, usko kasht nahi dena chahta.", Bhitar sachmuch Taaraknaath ab ugra hone ke sath poora dum jhonk chuke the, aankhon me laali atyadhik badh kar bhayankar swaroop dikha rahi thi in baba ka aur yahi Arjun ne apni urja ka bejod namuna dikha diya jab khud par chhaaye pratidwandi ko uske he jor lagane ki disha me apne jism ke upar se gujaar kar peeth ke peeche fenk diya. Taarak iske liye bhi tyaar tha jo palti khaane ke bawjood peeth na lagne dete hue panjo aur hath ke bal bhoomi par aise khade hue jaise unchai se girne ke bawjood ek surakshit bilaav.

"Adhbhutt. Taaraknath ji aksar hume 100 ki ganana se pehle parajit kar dete hai gurudev lekin ye inka sabse behtar suraksha daav tha jabki musafir toh jaise prabhavheen hai unke bal se."

"Ye gunn le raha hai Jiwa, ye Taarak ke gunn grehan kar raha hai. Is musafir ki najar Taarak se pehle uske girne aur sambhalne ki disha me thi. Dekho ab jism garma raha hai musafir ka. Ab ye taqat pradarshan karega.", Bhitar thik waisa he hua tha. Arjun Taaraknath ke sath thik prarambh wali sthiti me hatheli se hatheli bhidaye jor laga raha tha lekin is baar bhujayen pratidwandi ki peeche ja rahi thi. Arjun ko jyada samay nahi laga Taaraknath ke ghutne bhoomi se lagwane me lekin tabhi ek taraf baithe Kapileshwar baaj ki tarah Arjun par jhapte aur kamar ki taraf se pakad kar usko poori taqat se peeche uchaal diya. Wo gira lekin thik waise he jaise Taaraknath sharir ko palti khilane ke baad panjo aur hath ke bal bhoomi par santulan bana gaye the. Ab saamne 2 pratidwandi the aur Arjun ke bhitar bhi toh 2 he the jisme se abhi tak ugra swaroop toh bahar aaya he nahi tha.

"Ye atyadhik prashikshit hai parantu itni c aayu me gurudev?"

"Kuch shiksha janam se he hum sath liye aate hai Jiwa aur is musafir ka abhi tak ka jiwan saral nahi prateet hota hume. Dukh, peeda, partyaag aur akelepan ko kam-umar se he apna shatru na bana kar un par vijay prapt ki hai isne. Ek se adhik aatmik guruo ke saayen me raha hai parantu bhoot-saadh sakne ke liye toh mahirsh-yogi he sarvopari hai. Jitna humko gyaat hai pichle 25 baras me humne kisi mahirsh yogi ke baare me nahi suna jo samaaj me sewaniyukt ho. Adhbhutt..", Apni baat beech me he rokte hue unhone wo drishya dekha jaha Kapileshwar se saamna karte Arjun ko uski peeth se jakadte hue Taarak ne uchalne ki jagah jameen se uthate hue ek taraf patakhni di. Hua fir ummeed se viprit jaha Taarak swayam peeth ke bal us raakh me gire the, Arjun aur Kapileshar ke jism sath he uthne ki wajah se aur unki bagal me Kapileshwar. Dono ke madhya baitha Arjun apni ungli par raakh mal raha tha, dard ki wajah se.

"Ye abhyaas nahi kar raha gurudev. Aur ab aap he sikhaye isko.", Dono apna josh aur gussa bhula kar muskurate hue uth khade hue. Arjun ke chehre par atche se wo mulayam raakh paut di thi Taaraknath ji ne, gussa jo shaant kar diya tha unhe thak kar Arjun ne.

"Ye mudra aur kamandal pakdo Jiwa. Aaj akhade me sachmuch he bada jeew chala aaya hai jisne pehle toh hume dhyaan-shivir se bahar bulwa liya aur aaj 10 baras baad abhyaas ghere me. Dekhe jara ab ye musafir khelta hai ya ye swayam ki pariksha lena chahta hai.", Jiwa ke sameep he ab baaki dono baba aa baithe the. Vajranand ji ko jaise jal-abhishek ki jarurat nahi thi aur wo sadhe kadmo se Arjun ke sammukh aa khade hue. Ye lambai me asadharan hone ke sath he kahi adhik tejasvi aur thehre paani se shaant the. Apni seedhe hath ki hatheli se unhone jhukte hue Arjun ko mallyudh jaari karne ka ishara diya aur inse hatheliya milate he Arjun ko aisi garmahat mehsoos hui jaise uski pakad me koyi garam kiya hua chatak patthar he aa gaya ho. Chehre se shaant lekin itna atyadhik sharirik bal wo bhi umar ke aise padaav par. Bahar baithe hue teeno saadhu bahot gehraai se is pal ko dekh rahe the jaha pehli baar unhe Arjun ke mastak par bal padte dikhe aur unke gurudev apna bal badhate hue inch dar inch Arjun ko peeche dhakelte ja rahe the. Wo peeche khisakna ek samay par ruka aur ab jaise dono he dhurandaro ke paanv inke sharirik bal ki shamta se raakh me dabte gaye.

"Kapileshwar ji aap dekh pa rahe hai jo hum dekh rahe hai? Aisa lagta hai jaise 2 bahot badi urja ke strot apne sthaan par theharne ke baad uska prabhaav bahar gira rahe rahe. Gurudev nischit roop se is baalak se kahi atyadhik saksham hai aur wo iski adhbhutt urja ke antim kann tak jaan ne ka prayatan kar rahe hai. Parantu ye musafir yuwak itna kamtar bhi nahi hai.", Taaraknath ki baat sunn kar Jiwa ne bhi apni sehmati di parantu Kapileshwar ji toh naa me sar hilate hue saamne he dekhte rahe.

Arjun ke peeth par ubhar aayi asankhya sooksh paseene ki boonde bata rahi thi ki usko bhi aaj he apni samast shmata ka pata chalne wala hai. Chehra purn-tarah se apne se paun foot lambe aur aseem taaqat se bhare us shaksh par tha jiske chehre par jyada bhaav nahi the lekin mastak par bal toh padne shuru ho chuke the. Jis tarah se Arjun ka daaya paanv behad he dhime prabhaav se unki aur badh raha tha, thandi raakh me se maano halka jwalan dhuan sa uthne laga. Is samay me Arjun ke seene ke kataav aur ubhaar atyaadhik phool kar uske jism ka pehli baar itna utkrisht varnan karte dikhe jaisa na kabhi kisi vyayamshala me hua tha aur na kisi mukable me. Varjranand ji ke panje ne bhi Arjun ki taraf thik waise he rukh kiya jaise diyasalaai haule se ragadti hui jalne se pehle dhuan karti ho. Dono ki peshani se paseene ki motti motti bunde rakh me tapak kar girti hui waisa drishya dikha rahi thi jaise baarish ki ruki hui bunde thehre hue paani par girti usko chhalkane lagti hai.

"Yaaaaahhhhhh..", Aur is udhghosh se bahar wale teeno ke sath sath swayam Vajranand ji ke bhi kadam ukhad gaye aur unhone dekha wo bhoot jisko Arjun saadh chuka tha. Lekin ye pehle sirf muskurata tha apne dushman se bhidte samay. Aaj isne visphot karte hue Vajranand ko ek taraf ghuma kar aise uchaal diya tha jaise maahir palledar kanak se bhari sawa mann ki bori ko trolly me fenkte hai, sahi jagah. Raakh par 15 feet dur jaa kar girte Vajranand ji ke paanv tak jaise swayam ke wajan aur raakh ki ragad me jhulas uthe the. Unka ek hath jameen par aur dusra thik us trishool par tha jisko bhitar aane se pehle unhone ghere ke bahar gaada tha. Chehre par bhaiye aur hairaani ke sath krodh tha us tapasvi ke saamne jo abse pehle baraf manind shant tha. Trishul ki madhya nok se ungli par chira lagate hue Vajranand ne pehli boond pavitra raakh par tapkaai, dusri apne lalaat par lambvat tilak ki tarah ek kaan se dusre kaan ki disha me aur hath ko jhatakte hue kisi kushal dhaavak ki tarah Arjun ki taraf lapke. Wo sachmuch jaise ek buchaal he tha, 7 feet se lamba bhuchaal khuli jataaon ke sath us taraf daudta jaha unhe tinke ki tarah uchalne wala dridh bargad ke vriksh sa khada tha. Ye sab second ke aadhe hisse me hua tha jisko sadharan chakshu toh darj he na kar paate apne maastishk me.

"Aaahhhh... Bholenath..", Arjun ke daaye kandhe par majboot mushti prahaar karne me safal rehte hue bhi Vajranand swayam ko bacha na sake is musafir ke jordaar pratiuttar se. Raakh ka gubaar sa uth gaya tha poore akhaade me aur usme lipte antmim chhor par ja ruke Vajranand ji ne ghutno ke bal hote hue hath khade kar diye.

"Shaant musafir.. Shaant. Tumhe tumhari manzil par pahuchne se koyi nahi rok sakta.. Koyi bhi niyam se chalne wala maharathi tumhare sammukh nahi tik sakta. Hume abhaas ho gaya tha jab tumne waha khade reh kar hume 2 baar vibhinn vyaktitva se dekha tha. Humne bharsak koshish ki usko sakshaat dekhne ki parantu asafal rahe. Humne bas shamta jaanchne ke liye tumhe maansik kasht pahuchane ka dussahas kiya, uske liye maafi chahte hai.", Vajranand ji ke aisa kehte he Arjun ghutno ke bhaar dhamm se raakh ki satah par gir gaya. Hath uske jude hue the aur uske baad sar bhi raakh pe rakhta wo apni galti ki kshama maang raha tha, beawaaj. Vajranand ji uth kar ladkhadate hue uske kareeb aaye aur uska chehra uthate hue bade sneh se sar sehalya jaha sirf aansu aur raakh thi.

"Saamne toh koyi 51 baras se he nahi aaya phir ab kaise mumkin hai baba? Main Arjun Sharma unhi ka vanshaj hu jo aapke dwaar par talwar liye madad ki aas se aaye the, bas unhe madad maangni nahi aati hogi. Main jaha bhi andhere me wo toote dhaage dhoond kar kisi disha me badhne nikalta hu, aage aur andhkar milta hai jaha pehla dhaga toota hua aur aur aage ek aur naya sira jiska parinaam bhi pehle wale jaisa. Bahot bojh badh chuka hai is antarmann par lekin main haarna nahi chahta. Meri maa ne hamesha yahi kaha hai ki sahi gyaan he tooti kadiyon ko mila sakta hai. Aap jodd sakte hai un bikhre hue adhure dhaago ko?", Vajranand ji ke shishya jaha pehle uttejit thi ab wo alag he dard mehsoos kar rahe the jab ye ladka unke guru ki jaangh par sar tikaye pasra hua tha.

"Hum toh sirf khudko parmatma se jodne ki koshish me lage rehte hai putra parantu tumhari maa ne jo kaha hai aur jis shradha se hamare paas aaye uska anaadar hum aghori bhi nahi kar sakte. Bholenath aur maa he toh sarvesarva hai. Hume bhaan hua tha ke tum us vriksh ki he majboot shaakh ho jo yaha uttejjana me chala aaya tha aur wo suraksha-prehri apne kartavya me ye bhool kar baitha ki samadhan ke liye samarpan jaruri hai. Isliye toh wo haar gaya aur tum in dhaago tak pahuch gaye. Jisne tumhe aatmik gyaan aur apni dusri pehchaan ko saadhna sikhaya kya usne madad nahi ki?"

"Unka vachan sirf ek daayre ke raksha me aur mujhe sanwarne tak he simit hai baba. Khud ko maine nahi mere he behtar sanskaran ne sadha hai. Wahi mujhe sikhati hai hai bahar se jyada andhkar bhare apne antarman se jodd banana. Uske sammukh toh main aaveshit ho bhi jau toh sparsh matra se nishkriya ho jata hu. Is manzil par wo sath nahi baba hai, ye meri virasat hai sirf meri."

"Dhanya ho prabhu. Is bache ko virasat bhi saunpi gayi toh athaah dukh aur vedna se bhari. Itni jung toh 9 maas garbh me rehne wala navjiwan bhi nahi ladta jisko duniya me laane ke sabhi virudh ho siwaye maa ke. Tumhara uddeshya wahi Shridhar urf Siddheshwar ke anushthaan ke kaale itihaas se juda hai beta?", Arjun ne aankhen jhapka kar haami bhari. Chehre par wo raakh aansuo ke wajah se jamm kar gehri ho gayi thi. Ab aansu bhi thamm chuke the aur wo aag bhi.

"Taaraknath, putra ko gyaan dene ka waqt hai aur tum swayam ashaant ho. Garbh sangam sthal nahi le jaoge apne mitra ko? Arjun, hum dhaage nahi jodd sakte kyonki humara bahari duniya se judaav simit hai. Ye tumhari khandit virasat hai jisko kaayam tumhe he karna hoga. Khaali hath nahi bhejenge hum apne is mohak musafir ko. Us anushthaan se kisi vishipt tantrik aur aayojak ko kuch haansil nahi hota, siwaye haivaniyat aur asuri pravarti ke. Tumhe jo haansil hai wo phal toh aise insaan se he mil sakta hai jo is anushthaan ko purntaya ki dehleej par khandit kar chuka ho. Tum aisi baaton par vishwas nahi karoge parantu jis tarah bure karam vansh badhne ke sath dosh aage badhate hai waise he punya karmo ka phal bhi ateet se bhavishya tak us sahi vyakti ko hansil hota hai jiska judaav raha ho. Ye dhaga hum nahi suljha sakenge, maa madad karengi. Ho sakta hai ye hamara vichar sanshaya maatra ho lekin insaan tum asadharan ho jo virasat me kuch amulya gunn bhi liye hai. Taarak, tumhe kuch shanka toh nahi hamare is musafir par?", Arjun ko samjhane ke sath ek nayi uljhan bhi de daali thi Vajranand ji ne jo kahi se bhi pareshani wali nahi thi. Taaraknath ji bhi ghere ke bhitar aa chuke the.

"Toh kya wo anushthaan ateet me karne ki koshish satya hai gurudev? Humne sirf ye suna tha parantu is baalak ki shamta suchak hai ki ye bhi prehri hai aur peedit bhi. Tumne humare sath krida-abhaas kiya hai isliye mitra samaan ho hamare parantu aaj chintit mehsoos kar rahe hai swayam ko.", Taaraknath dwara bhoomi par baithe Arjun ka sar dularna bhi alag he drishya tha.

"2 baar ye pryaas hua hai Taarak, Siddheshwar itna gyaan nahi rakhta tha is anushthaan ke baare me aur prathm ghatna ke samay toh wo duniya me he nahi aaya tha. Sarvpratham aisa dussahas jisne kiya tha uska antt thik karam anusaar he hua parantu wo asur 99 akshat garbh aur taruni us anushthan me bhent kar chuka tha antt samay tak. Antim aahuti garbhvati tanuja ki di jaani thi aur fir bholenath evam maa jagjanani ki bhi sehan-shamta khatam ho gayi. Aayojak ke pahuchne se pehle he tanrtik Mrikswami aur uske 3 sahayko ke sar wahi garbh me dhad se alag kar diye swayam us garbhvati tanuja ne jisko murchhit karke dhokhe se waha laya gaya tha. Vann me sthit us anushthaanshala aur garbhgrah ko swayam us devi ne agni ke supurd kar diya tha jisko ye nar-pishaach sirf ek kamjor garbhvati stree samajhne ki bhool kar baithe the.", Khamoshi se ye katha sunta Arjun apne kaano par vishwas karne ke liye khudke ke sar pe thappad jadne laga toh uska hath Vajranand ji ne hanste hue pakad liya.

"Gurudev agar anushthan antim aahuti par khandit kiya jata hai toh uske dand swaroop aisa phir se dohrana padta hai usi aayojak ko. Sehasra-Vipaash garbh anushthaan ke khandit hone par pachasvi aahuti me tantrik ki jagah aayojak... aayojak apni nasl ke sath kukarm karne ke baad bali deta hai. Aur ye mamla us ek he ..", Taaraknath ko ishare se beech me he Vajranand ji ne khamosh karwa diya.

"Kuritiya aksar aise he barkarar rakhi jaati hai. Inke niyam aise banaye gaye hai ki inku punravriti na ho toh dosh aur patan ka darr aayojak ke dimaag me baitha kar usko todd diya jata hai. Mrikswami ka wo eklauta chela he Siddeshwar ka guru bana tha, tantra ki duniya me. Gurudakshina swaroop usne Siddeshwar ko yahi anushthan un aayojak ke liye dohrane ka vachan liya aur dusht toh hamesha he aise avsaro ke liye tayaar rehte hai. Parantu is baar samay pehle jaisa nahi tha aur nayi peedhi me kuch sajag prehri bhi the. Jaisa Arjun ne kaha 57 bhent ke pashchat he vighna me vighneshwar aa padhare. Wahi jo hamare dwaar par aaye the tantriko ki talaash aur apne sawaalo ke jawaab lene. Sankhya 57 thi ye jyada iska hume bhaan nahi lekin dono vyaktiyon me marmik sanvednaye aur dard bhara tha un bekasoor deviyon ka jinhe tarun jiwan poora karne se pehle he nasht kar diya gaya. Aksar istarah ki muthbhed ke parinaam bahot bure hote hai aur waisa hua bhi hoga, yakinan bahot se apne khoye honge. Yahi toh virasat me mila hai is dhool me sane kamal ko. Ab tum isko hamari hasiyat mutabik garbh-gyaan dene ki koshish karo Taarak, ham dhyaan ki tayaari karte hai. Musafir jaane se pehle apni shiksha ka pramaan patra lete jana.", Vajranand ji inse pehle he utha kar chal diye aur unke dono chele bhi peeche. Arjun ke kandhe par hath rakhe aur dusre hath me trishul uthaye Taaraknath ji is dopehar ke aakhir samay me ghane vriksho ki kataar se judi nadi tak aa pahuche. Arjun ke kuch kehne samajhne se pehle he unhone trishul wahi jameen par gaad kar Arjun ki aankho par angrakha baandh diya.

"Chalo, garbh me kuch dikhaai nahi deta. Mehsoos karna padta hai aur yaha par hum tumhari mata ka sthaan le rahe hai, jagatjanani ki ijajat se.", Chhapaak ke tej awaaj ke sath wo Arjun ko jakde hue vishaal chattan ki tarah gehre paani ma gir gaye, haan thik jaise gira jata hai sharir ko dheela chhod kar. Ye antim sabak tha Arjun ki shiksha ka uski aanewali pariksha purv.
.
.
"Maa ji, aapke aur pita ji ke kapde rakh diye hai 2 din ke hisaab se aur Roshni ki bhi packing ho gayi hai. Sath aur kaun ja raha hai? Shankar bhai sahab ya bade jeth ji?", Krishna ji ne istree karne ke baad apne saas-sasur ke kapde ek attachi me laga diye the. Pehle jaha sirf aana jana he karna tha ab ye log Roshni aur Anjali ko bhi unke ghar chhodne ja rahe the. Bahot kuch waha bhi dekhna tha aur Roshni aise he toh yaha aa gayi thi. Beti ka college aur ghar sambhalna jaruri tha. Kuch fainsle liye gaye the jin par wahi vichar kiya jana tha. Rameshwar ji toh apni bhabhi ko lene gaye the aur ab wapis lautne wale he the.

"Komal ko bol de Krishna, 2 jodi kapde wo bhi rakh legi raat me pehan ne walo kapdo se alag. Leke toh main us nakchadhi ko jaane wali thi jo 3 baar phone milane ke baad bhi santusht nahi hu. Tere pita ji ki ek khuraak nikaal de baaki sath he rakh de kapdo ke. Shankar kuch keh ke gaya tha ke kab tak aayega aaj? Inder ka toh phone aa gaya tha ki wo der raat ka laut aayega.", Kaushalya ji mann me asankhya vichar chal rahe the. Unhe haweli se pata chala tha ke Arjun college wale kaam se nikla tha subah par Arjun ne yaha kuch aur bataya tha. Ab 4 bajne wale the aur uski koyi khabar tak nahi thi. Wo laparwaah nahi tha fir bhi Kaushalya ji ki uske sath daadi paute se alag khaas mamta bhi thi aur unke liye wo hamesha se munna he tha, bailbudhi.

"Jeth ji toh hai he maa ji ghar. Shankar bhaiya chahe aaj na aaye ya Naren ko deri ho jaaye, aap log toh subah he nikalne wale hai. Waise Komal se behtar aap Ritu ko he le jaaye. 2 din ki toh baat hai aur ye ladka usko jaanboojh ke pareshan karta hai toh aise me wo padhne se rahi."

"Na Krishna, Komal jaayegi toh Ritu vyast rahegi aur Arjun kar lega thodi der tak phone. Usko chain kaha milta jitne Ritu se pravachan na sunn le. Inder ya Shankar me se koyi sath chalta toh jyada behtar rehta, pata nahi kyun lekin lag raha hai ki koyi anisht na hone paaye waha. Baaki Satish ja he raha hai toh dekha jaayega. Rekha ko neend ki dawa di thi tumne dopehar ke khaane ke baad? Wo pagli raat ko so nahi rahi aajkal, Ritu ne bhi bataya aur maine khud bhi dekha 3:45 hue the subah jab main jaagi thi aur Rekha kuch padhne me lagi hui thi Ritu ko bagal me sulaye.", Kaushalya ji ki chinta bhi vyarth na thi. Aaj wo bhi samay se kuch pehle he uthi thi aur unhone dekha tha Rekha ke kamre ka aadha khula darwaja aur lamp ki roshni me kuch padhti hui apni bahu ko.

"Wo aisi he toh hai maa ji. Bolti nahi hai lekin kal se kuch pareshan hai wo. Arjun ne phone kiya toh kehalwa diya ki araam kar rahi hai, kal baat kar legi. Uski bechaini dikhti nahi lekin itne baras sath rehte hue usko atche se samajhti hu. Toh aap log Roshni ko ghar pahuchane ke baad aayenge ya rukna hoga kuch waqt?"

"Nahi kal toh sara samay inhone gaanv me rehne ka kaha hai aur parso subah bakhat se Roshni ki taraf nikal lenge. Purnima alag bechain si hai jaise Rajeshwari ne bataya aur ye bhi raat ko aajkal sone ka naatak karte rehte hai. Ghar ke ladke pehli baar sabhi baahar aaj aur ye bhi. Yahi sab soch kar mujhe bhi inhone bechaini de di. Arjun tujhse toh khul kar baat karta hai Krishna. Kahi wo kisi aur he masle me toh nahi juta hua?", Is baar toh Krishna ji ke paas swayam jawaab na tha chahe Arjun pehle unhe sab bata bhi deta tha, jitni jaankari honi chahiye.

"Nahi maa ji us se shaadi ke mahol me baat he kaha ho saki lekin inhone chinta jataai thi ki Arjun jo karne ja raha hai wo sirf dargaah wale mele ki sadharan si kushti nahi hai. Aur iski ghoshna Arjun ne jis tarah se karwaai hai matlab wo khud ye baat jitni dur ho sake utni dur pahuchana chahta tha. Mere papa ko toh kisi ne nahi bataya aur na Kundan chacha ko, lekin aap socho ki unhe ye baat pata chal gayi. Ho sakta hai apne he jaankar ne bataai ho aur aadhat-kisani ke kaam me ek dusre ki taraf bhi vyapari dost hai par wo aisa kyun kar raha hai aur Naren kabhi chintit nahi hote aur agar ho toh fir wo uske liye prayaas karte hai. Is baar baat bhi Arjun ki hai toh wo is sabse dur apne he business me vyast hone ka dikhawa kar rahe hai."

"Usko pata hai na ke tere pita ji hai Arjun ke sath toh wo aur uska bhai kyon beech me padne lage. Lekin akhade me toh bas 16 gaanv ke chune hue khiladi he bhaag le sakte hai na aur Arjun Maalti ke saand jaise bete ko dhool chata sakta hai toh koyi thoda tagda bhi hua toh wo sambhal lega. Ye binawajah ki garmi kyon badha rakhi hai in sabhi ne? Mujhe aur tension de rahe hai.", Kaushalya ji ne apni dawa ka dibba bhi Krishna ji ko thama diya, attachi me rakhne ke liye.

"Ye bata rahe the ki raj-darbar ke pehle wale mulajimo ke sath vartmaan ke bhi akhaade me Arjun ko chunoti de sakte hai, gaanv walo se jeetne ke baad. Waha jab koyi hai he nahi toh ye pareshan kyun hai? Keh rahe the ke agar koyi shahi pariwar ke he rishteydar aa nikle toh Arjun ke jeetne ke bawjood baat badh sakti hai. Wo hai toh sirf gram-pramukh he. Haar ka badla kahi..."

"Bas kar beta aisa kuch nahi honewala. Wo Saundarya ke hath se khana kha raha hai ab aur Mahendra usko bhatije ke sath apne khaas dost ke roop me dekhta hai tabhi Vinod ko wo Nepal wale apne bade hotel ko dekhne bhej raha hai. Haan aisa ho sakta hai jo log raj-pariwar me sirf 3 chehro ko dekh kar kuch ahit karne ka soch rahe ho unhe Arjun ke roop me jariya dikh raha hoga. Aur us pavitra bhoomi par goli-hathiyaar toh dur, police tak ki manaahi hai. Akhade me jo aayega usko saamne se he mukabla karna padega aur Arjun ke kareeb uske dada daadi maujhood honge poore gaanv ke sath. Inder is maamle me jis wajah se darta hai wo ye chunoti nahi uska pyaar hai Arjun ke liye. Dekh lagta hai tere pita ji aur Purnima aa gaye.", Bahar gaadi ke bhitar aane ki awaaj ke sath he Krishna ji attachi band karti hui khadi hui toh Aarti aur Alka thoda samaan liye andar dakhil hui.

"Bhool gayi thi ki ye dono bhi haweli ghoomne gayi hai apne dada ke sath. Haan unki Lakshmi kuch kahe toh fir wo kaha mana karne wale. Motti tu bhi apni baari se bach ke nikal gayi thi iske sath?", Kaushalya ji ne Aarti ko chhedte hue kaha toh wo mooh banati hui unke saamne he dhamm se baith gayi. Wo har tarah Ritu jaisi he thi siwaye bhari hui jangho aur kuch ubhre hue gaalo ke. Lekin ye uspar janchte bhi the, punjabi jhalak dikhti thi masoom chehre par.

"Aise phere shuru karwaye hai Kaushalya ki ek din udhar toh agle din idhar. Krishna jara paani pila beti.", Purnima ji jab kamre me daakhil hui toh unke hath me wo taambe ka dhakkar laga kalash dekh Kaushalya ji ne achanak he baaki sabko jaane ka ishara diya. Paani unhone khud he stool par aundhe rakhe kaanch ke gilaas me bhar kar apni is sakhi ki taraf badha diya. Alka bhi mooh chidhati hui nikal gayi apni daadi ko jis par unhone khaas tavajjo na di. Rameshwar ji baithak me he kiwaad laga kar kapde badalne lag gaye the joote khol kar.

"Phere toh tere aise he lagte rahenge, ghar tera he hai ye. Par inke phere tu kyu lagwa rahi hai aaj? Kahi tu wahi karne ka toh nahi soch rahi jaisa mujhe lag raha hai.?", Kaushalya ji ne wapis gilas le kar ek taraf rakhne ke baad 2 takiye Purnima ji ki taraf badha diye. Kalash ab kaanch ki baari me unhone rakh diya tha.

"Pata nahi Kaushalya 2 din se bada ajeeb sa lag raha hai aur inki he baatein sunaai deti rehti hai jab jab hall me baithti hu aur ye asthiyaan najar aati hai. Jiwanbhar unhone kabhi ghar me koyi anuchit baat nahi kahi thi aur bacho ko toh jhidakne ki jagah bhadava de kar khush he rahkhte the. Fir unhone aisa kya keh diya tha devar ji ko ki ye aajtak visarjit na hui? Maine aaj pooch he liya toh kehne lage ki sath le chalo. Aur Umed ko bhi inhone phone mila diya ki chahe jitna bhi jaruri kaam kar raha ho kal subah gaanv me dikhna chahiye. Main udhar jaane ke liye hamesha tayaar rehti hu par tumhare devar waha sirf apne tau ji ke he paas jaate the milne. Kyun wo sab ab yaad aa raha hai kuch dino se? Shaadi me unke liye paath karne ke baad se toh nahi aisa ho raha?"

"Nahi bhabhi, Raghu kabhi aapse dur hua hai kya jo aap aisi wajah bata rahi hai? Wo toh aaj tak mujhe apne sath he mehsoos hota hai. Kal Saundarya ne he Umed se phone karke maafi maangi jab usko pata chala ke Raghuvir kis wajah se fir kabhi mehal nahi gaya tha. Mehal kya wo sehar he nahi gaya tha uske baad. Umed jaan gaya tha ke uske pita ka apmaan raja Balwinder se anjaane me ho gaya tha us haadse ki wajah se. Dono he peedit aur sadme me the wo ghatna hone ke baad. Raghu aur maine behan khoyi thi aur uska jaayaj sawaal tha iski kanooni jaanch karwane ka. Pita ji waha rehte toh waisa nahi hone wala tha lekin durghatna ho jaati hai aise halaat me. Rani Saundarya ne sab jaan ne ke baad swayam he Umed se kaafi der tak baat ki aur Umed ne maafi swikaar karte hue Raghu ki aakhiri itcha poori karne ka mujhe vaada diya hai. Umed bhi jaanta tha Raghu ki antim itcha lekin wo apni zidd par kaayam tha aur hume wo galat bhi nahi lagta.", Rameshwar ji ne toliye se chehra saaf karne ke baad kursi ki pusht par he taang diya.

"Aisi kya antim itcha thi jiski wajah se ye itne baras tak mukti na pa sake devar ji? Maine jab jab ye sawaal kiya aapne aur Umed ne ek jaisa jawaab diya ki sahi samay par aisa hoga, intjaar kar sakte hai bas."

"Itcha toh wo likh kar he gaya tha bhabhi jo aajtak mere pas surakshit hai. Main wajah toh nahi pooch saka waisa karne ki lekin Raghuvir ki ajeeb si chahat thi. Jaha wo paida hua tha, us ghar me diya jalane ke baad sabse badi santaan ke sath in asthiyon ko aap aur Rani Saundarya aadha wahi nadi me pravahit kar de aur aadha hissa main hamari khaas jagah par, jaha hum dono ka bachpan aur jawani ka khusnuma samay eksath gujra hai. Us jagah mere sath Arjun ko bhi jana hoga. Hain na kuch jyada he ajeeb si antim itcha bhabhi?", Purnima ji toh thandi he padd gayi thi ye sab sunn kar aur sabse jyada prabhav hua tha Rani Saundarya ke shamil hone wali baat ka.

"Meenakshi ji ka bhi prem-pyaar tha Saundarya ke sath aur Raghuvir bhai sahab ko lagta hoga ki us pariwar me sirf wahi baaki reh gayi hai toh unhe ye na lage ki unka pariwar nahi hai. Pita ji ne thoda bahot toh bataya tha mujhe bhi unki badi behan ke baare me. Purnima agar itne baras baad Umed aur Saundarya ke beech bhi sthti sudhar gayi hai toh aisa karne me harj he kaisa? Haan ye Arjun mere palle yaha bhi nahi pada.", Abhi wo baat aage karti us se pehle he phone ghanghana utha jiska number dekh kar he Rameshwar ji samajh gaye ki ye mehal se hai.

"Saundarya ka he phone lagta hai.", Handle uthate hue unhone apne aansu paunchti Purnima ji ko dekha. Kuashalya ji ne hath se he unhe baat khud karne ka kaha.

"Oye khote tu waha kya kar raha hai?", Awaaj sunte he unhone anumaanit jawaab diya kyonki ye Arjun tha dusri taraf. Uski baat ko sunte hue aage Rameshwar ji bas sar hilate rahe huh haan ke sath. Aur phir phone apni biwi ki taraf badha diya kal aane wali baat bata kar. Daadi paute me bhi khati-meethi naukjhok ke baad thoda vartalaap hua jisko Kaushalya ji ne laghu-viraam dete hue Ritu ko awaaj laga di. Ghanti bajne ke baad se he wo darwaje ke dusri taraf khadi thi aur apna naam sunn kar kuch pal intjaar kiya aur andar dakhil hote he shuru ho gayi.

"Haan daadi, main padh rahi thi. Kuch kaam tha kya?", Kaushalya ji samajh gayi ki ab baat Arjun ko daant-dapat kar he shuru hone wali.

"Ye Arjun ka phone hai tere liye, market me time lag gaya tha isko tere liye rajkumari wali dress lene me. Ab tujhse he baat karni hai, mujhe toh saaf keh diya ke ye mera time nahi hai uski didi ka hai."

"Huh..", Ritu phone unke hath se lete he baithak me ja ghusi aur agle 3-4 minute bas uske he barasne ki awaaj aati rahi jiske saamne Purnima ji bhi dard bhool kar muskura uthi. Arjun ko 10 minute se upar he lag gaye isko manane me aur jab phone wapis rakhne aayi toh is baar usko Purnima ji ne daboch liya.

"Tu badi bhi hogi ya hamesha wahi bachi rehne wali hai jiska khilona dikhaai na de toh milne par todd kar he hat-ti thi. Itna laayak ladka hai aur tera sabse jyada khayaal rakhta par tu toh us se seedhe mooh baat he nahi karti."

"Ohhh... daadi aap uski tarafdari kar rahi ho? 12 baje phone karna tha usne lekin dekho 5 baj rahe hai. Aur koyi masoom nahi hai wo, aapne sirf meri sunn kar aisa kaha. Mujhse jyada toh wo bol raha tha. Waise daadi aapne kaha ki mere liye phone kiya tha fir 18 minute baat kaise hui aur wo bhi ghar wala number nahi tha. Wo awaragardi karta ghoom raha hai lekin aap ulta usko bachati nahi thak rahi. Bau ji, aap bologe kuch?", Ritu ne kamar par hath rakhte hue ab Pandit ji ki taraf mooh kiya toh unhone hath he jodd diye

"Ek baar ke liye tere baap se baat kar sakta hu par mujhe baksh de Kaushalya junior. Arjun ko suna diya matlab mujhe bhi mere hisse ka mil gaya. Ye teri daadi dekh le kya karti fir rahi hai.?", Ab jaise unhe bhi mauka mil gaya tha apni biwi se badla lene ka. Kaushalya ji ne unke saamne he bataya tha ke Komal bhi aa rahi hai.

"Main bol raha tha ke 2 din se koyi farak nahi padta Ritu ki padhaai se par ye Komal ko leke ja rahi hai. Kehti hai ke tumhe thodi saja milni chahiye Arjun se aise baat karne ke liye.", Ritu unki baat sunti hui apni daadi ko he dekhe ja rahi thi.

"Na aag lagao bau ji, aisa maine kaha tha daadi ko jab inhone mujhse poocha tha. Haan Komal didi ka munna kamjor ho gaya hoga isliye wo pareshan hai toh unka jana samajh me aata hai. Dekh lo daadi ab aap he. Main chalti hu aur jo rajkumari wali dress usne li hai wo aapke liye li hai.", Ritu aankh maarti hui apni daadi ko hansa ke he gayi thi jabki Rameshwar ji toh apni jagah se he uth khade hue.

"Nikal liye thaanedar sahab. Chalo is case ki sunwaai toh wahi karenge aapke sath."
.
.
Jab Arjun mehal pahucha tha toh wo jaise kisi nayi urja se bhara tha. Chehre par khaas chamak jaise jaane kya he paa liya ho aur mann aaj itne dino baad purntaya shaant. Kumar Mahendra aur unke manager ke sath Vinod ki meeting me shamil hone ki jagah usne apna samay sirf Kumari Amrita ke kaksh me bitaya tha, halka nashta aur juice peene ke sath. Ek ghante se adhik samay waha bitane aur Kumar Mahendra ke faarig hone par he wo Goel ji wali mulakat aur charcha karke seedha gaanv ke liye nikal chala. Aaj Aghori Vajranand baba ne usko wo garbh gyaan de diya tha jis se agar sabhi dhaage nahi judd sakte the toh kuch mehtvapurn ghatnaye toh wo suljhane he wala tha. Kal ke baad wo masoom cheekhen uske kaan me nahi goonjne wali thi aur Arjun ne pavitra raakh me jaise kuch aur bhi prapt kiya tha jiska alag he tej tha nadi wali shiksha dharan karne ke baad aur us viraane se nikalne ke baad. Poore 15 minute baad wo thik usi jagah ja pahucha tha jaha usne Minakshi ki sahayata se Laali se mulakaat karni thi.

"Shukriya yaha aane ke liye Minakshi ji. Laali, kshama chahta hu aise aapko baat karne ke liye bulwaya. Bas thoda jaruri tha aur Minakshi ji ne aashvasan diya hai ki aap inki sabse khaas hai aur raajdar bhi. Aasha karta hu ki ye barkaraar rahega bhavishya me bhi.", Mehndi se bhi kuch gehre rang ka saaf suthra salwar kameej pehne, patli charhari Laali kahi se bhi us mahol ki jhalak nahi deti thi jaisa basti ke baare me Arjun ne suna tha. Minakshi jarur badli badli si lagne lagi thi kuch samay se aur ab wo aadhi baah ki dhili safed tshirt aur neele track pant ke sath apne khelne wale joote pehne thi. Baalo ko sirf ek rubber se sar ki taraf baandhe. Arjun ke kareeb aate he uski rangat kuch gulabi dikhti aur ek jhijhak jaise wo har baar apni baat kehte kehte khudko he rok leti ho. Laali jaise bataya gaya tha thik waisi he thi.

"Didi ne toh pehle he bata diya tha aur aap toh aise baat kar rahe hai jaise sarkari baabu ho. Laali poore 85 gharo ki khabar rakhti hai chahe jyada didi ke ghar he kyun na rehti ho. Waise aap he naye pradhaan ji ho na aur aapki jameen par he mere baba chowkidari karte hai. Isliye aapki har baat maan na toh mera bhi farz hai. Waise badi amma un nikhattu Mukandi kaka ko bematlab paise deti rehti hai aur mere baba ki pagaar 5 saal se 45oo hai, haan pradhan ji unhe kharchi aur anaaj sabji dete rehte hai. Wo bhale aadmi hai.", Arjun bas iski baatein sunta hua muskurata raha. Mann keh raha tha ke itni masoom si chanchal ladki ka upyog na kare par agar koyi ye kaam kar sakta tha bina shak toh bas yahi ladki thi.

"Minakshi ji, aap bhi gor se suniyega jo main kehne wala hu.", Arjun ne najre niche kiye badminton ka balla ghumati Minakshi ka dhyaan idhar dilaya toh wo ek kadam aage aati hui Laali aur Arjun ke kareeb he aa khadi hui.

"Laali, tumhari umar jaan sakta hu?"

"18 poore kiye hai maine mukhiya ji pichli diwali par. Ab batao agar umar uchit lagi hai toh.", Ye sachmuch tikhi he thi lekin saafdil.

"Haan baba ab tum sahi ho is kaam ke liye. Waise tumne bataya ki basti me 85 pariwar rehte hai toh abaadi hogi 250 ke aaspas?"

"Uhhh.. itne log toh sirf khet me he kaam karte hai mukhiya ji. Aur jyadatar unme aurate he hongi. 200 se jyada toh gaanv-shehar me mistri majduri aur chowkidari ke kaam karte hai. 15 kachi dukane chalate hai aur 150 se jyada bache toh yahi ke school me padhne aate hai. Fir wo sookhe talaab ki taraf baajigaro wali basti hai jisme 50 se jyada pariwar aur 400 log honge. Unke udhar jyada ladkiyan he hai aur jo ladke hai wo idhar kam he rehte hai. Matlab maan ke chalo ki 1000 log se jyada he honge, 8 tak toh main bhi padhi hu.", Laali umar aur ummeed se jyada he jaankari rakhti thi aur unse toh mukhya naam bhi bata diye the jinki dukaan, lohar aur aise he apne kaam the.

"Bahot atche. Mukandi kaka kaise aadmi hai?"

"Wo toh unko bhi nahi pata hoga ji. Daru pee kar toh talaab kinare bhi soye pade rehte hai kayi baar aur waise wo dalali khaate hai 50 se jyada majduro se jo uke liye kaam karte hai. Unki 3 betiya aur 1 chota bacha hai. Dusre wali beti ek mahine se apne nanihaal gayi hui hai jabki naani toh khud unke ghar rehti hai. Ab batao koyi kya jaan sakta hai aise aadmi ke baare me? Kuch khaas pata karna hai?"

"Kal toh tumhari kaam se chutti hogi mele ki wajah se? Koshish karna ye pata chale ki aisi kitni ladkiyan hai jo kuch mahine se apne rishteydaro ke yaha gayi hui hai. Agar tumhe pehle se he pata hai toh apni Minakshi didi ke ghar baith kar sabke naam kaagaj par likh lena. Filhaal humko yaha se alag alag nikalna hoga. Shaam ko yahi milenge thik is waqt. Aur tumhare baba ki tankhwah aaj se 2 hajaar badh gayi hai. Anaaj aur baaki sab bhi behtar milta rahega.", Laali ki toh badi badi aankhen khushi se aur bhi badi ho gayi jisko dekh Arjun ne ishare se usko shaant rehne ka kaha.

"Tumhari Minakshi didi jald he tumhe shehar ghumane wali hai. Ab shaant rehna aur ye baat apne baba se bhi matt kehna. Khud pradhan ji unhe bata denge. Ab jidar se aayi ho wahi se aap dono jao. Main yaha Jagtar bhaiya ki taraf ja raha hu.", Arjun dono ko dhanywaad kehta hua nikal chala toh bebaak si Laali ne ab Minakshi ko he lapak liya.

"Didi ye Arjun bhaiya toh bade bhale aadmi nikle aur aap itni chup kyo rahi? Dinbhar toh aapki amma ji aapko chup rehne ka bolti rehti hai aur mere sath bhi aap itna bata rahi thi, samjha rahi thi ki kaise baat karni hai kaise nahi. Dekho ye toh koyi akdu nahi dikhe jaise aapne bataya tha aur na he gusse wale."

"Haan thik hai thik hai. Lekin tum ya toh unhe bhaiya bulao ya fir mujhe didi."

"Oh.. Aap he didi thik ho fir toh. Bhaiya ajeeb lagta hai bolna mukhiya ji hai aakhir. Lekin wo aapko aap aur aap unhe aap bula rahi thi. Aise toh aapki mummy ji aur papa ji baat karte hai na didi?"

"Tu chal Laali yaha se aur jubaan teri kainchi jaisi chalti rehti hai. Mujhe bhi deri ho rahi hai aur tu bhi samay se pahuch ja.. Kaam saavdhani se, baat jimmewari hai Laali, teri didi ki ijjatt ka sawaal hai."

"Wo toh aap bhaiya ji ko he dena.. matlab mukhiya ji ko jinhe aap aur jo aapko aap kehte hai. Do not borry, Lalta can handle."

"Wo worry hota hai shaitaan aur chal ab tu idhar se ja, main chali khelne.", Minakshi apna sar jhatakti hui sharam ke maare jyada jwaab bhi na de saki lekin Laali ne uski atchi taang khinchai kar di thi jo batata tha ke inka paraspar pyaar jaat-paat aur ameeri-gareebi se kahi jyada he pare tha. Arjun inse kahi pehle haweli ke aangan me rani ko khada karke mooh hath dhone me laga tha. Vinod chacha bhi bahar he apne pita ke sath baithe hansi majaak karte hue apne bete se khelne me lage the aur inke liye chai Anamika chachi laayi thi. Devaki pashuo wali taraf Meena se kaam karwati hui jaise apne gusse ko khatam karne me juti hui thi. Aaj Arjun ko toliya dene Aanchal aayi thi aur uska ye daba chhupa hontho ka ishar dekh Arjun jhempta hua apne kamre me he chal diya kapde badalne.

"Aanchal, Arjun ke dhule hue kapde bister par rakhe hai. Wo pakda dena usko.", Anamika ki awaaj kitne dino baad he suni thi is haweli ke aangan ne. Wo doodh ki balti lene chal di thi Aanchal ko anjaane he ye badhiya avsar deti hui. Raat ko Jasleen se nibatna toh abhi dur tha, Arjun filhal Aanchal ke he changul me fans gaya tha apni chachi ki is bholi galti se.
😘 😘 😘 Enigma bhaiya 1 hi swaal hy aaj kya Purnima ji ko raghuvir ji k pehly pyar k bary mn arjun btay ga 🙄 oor kya raghuvir ji ki shadi rani diya k sath nh hony ki wjh wo apman tha Jo raja ji NY unka kiya tha 🙄
Oor khee motilal ji NY hi too jagulal ji oor raja ko qtal to nhi kiya tha onka raaz janny k baad 🙄🙄
 
Status
Not open for further replies.
Top