Bhai is baare me main jo bhi batane ja raha hu wo jaankari jutaane ke baad he keh raha hu. Log is baare me kya raaye dete hai ya unka whatsapp aur Facebook google wala gyaan jyada behtar hai toh main par tippanni nahi dunga.
Saadhu matlab wo vinamra vyakti jo khaas saadhna me jiwan ko mohmaya se prithak karta seedhi raah chalta hu. Jiwan ko prabhu ki saadhna aur jankalyan me vyatit karta hai. Isnke paraspar milne aur gyaan baantne ke aashraya/thikane ko he aashram kaha gaya. Ye mukhyata naari sangat se alag rehte hai matlab dampatya jiwan mumkin he nahi.
Hrishi- Aksar hum inke sath Muni bhi jodd dete jo thode bhinn hai kyonki wo adhikaansh manan karte hai aur vishaya, sambhavnao aur prabhutva jaankari rakhte hai. Hrishi gyaan Arjit karne ke sath usko wapis pradaan karte hai un kam-umar shishyo ko jinme shiksha ki lalak rehti hai. Scholars jyada behtar shabd hai. Shiksha/gyaan sirf shivir evam simit seema tak he na reh jaaye isliye hrishiyon ne he granth/lekh aadi likh kar uska astitva banaye rakhne ke sath pahuch bhi badhai. Inme dampatya jiwan ki mehta rahi hai jis se shiksha aur gyaan sucharu reh sake. Vinamrata, uchit evam niyantrit bhasha prayog ke sath samaaj me sucharu yogdan dene ki wajah se ye paryaye bane.
Mahrishi athva maharishi jaise naam se pata chalta hai ki inka ster upar hai jiski wajah hai inka shiksha gyaan aur uski vibhinnata. Shastra, shaastra, lipi gyaan, rann nipunta ke sath brahm gyaan aur astitva ant ki gehri samajh rakhne wale. Adkitar swaym he gyaan ki khoj me rehte hai koyi ek nirdharit thikana nahi. Swabhaav me bhi har rang paristhiti anukool. Hrishi jaha vinamrata aur ahimsa ke prateek hai wahi Maharshi sarvochta, sudhar, shakti evam yudhkala ke srijan ka. Bahar ki prakriti aur mausam se prabhavheen jo him (barf) se marusthal tak ek samaan rehte hai. Ye kisi ek prateek ke upasak nahi hote. Yog, dhyaan yog, naadi yog, chikitsa vigyan, shastra astra ka astitva, vigyaan, sangyaan ityaadi me inka he pramukh yogdaan raha hai. Aage chal kar inki bhi prithak shakhaye ho jaati hai parangata aur ruchi anusaar jis se ye samaaj me yogdan de sake. Udaharan ke liye Maharshi Sushrata- Chikitsa, Maharshi Dayanand Saraswati- Vedic sahitya evam yog guru, Maharshi Atri-Rigveda .. main 50 aur udaharan de sakta hu. Lekin is par jitni jyada charcha ho utna kam hai. Main sirf udaharan aur thodi saral vyakhya de raha hu.