• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

Sameer Garg

Banned
670
2,710
123
Arthur Conan Doyle, Ian Fleming, Edgar Allan Poy, Raymond Chandler aur Agatha Christie wo bade naam hai bhai jinke upanyas jasoosi jagat ka encyclopaedia hai. James Bond, Sherlock Holmes, Black Mask series swarnim upanyas hai aur khushkismat hu ki mujhe ye padhne ka mauka mila. Sidney Sheldon, Dan Brown bhi ullekhniya lekhak hai jinki dream series, Angels and Demons, Vinci code, inferno, bloodlines, tell me your dreams, other side of midnight bahot he umda kitabe hai. Aap ek adhyaaye padhte hai aur fir agle wale ke liye sateek anumaan lagate hai lekin wo dhara ka dhara reh jata hai jab aap khudko he us rachna aur jaal ka hissa paate hai. Master of the game aur midnight memories aisi he rachnaye thi. Wahi Dan Brown aapko aise safar par le jaate hai jo samaaj me ho kar bhi samaaj ke khilaaf ek rehasya jaisa hota hai. Har parat kholne par ek aur nay parat jisme pehle se adhik jokhim.. ant tak toh kirdaar khud he gumnaam ho jata hai 😅😅.
Lekin maine inke sath Marry J Putney, Ayaan Rand, Nora Roberts, Nicholas Spark, Mary Burton, Linda Howard ko bhi kaafi padha hai. Unki kritiyaan itni khoobsurat aur marmsparshi hai ki aksar aap aadhi pustak tak he aansu baha dete hai. Romance, thriller aur social/natural impacts inse behtar shayad he koyi dikha paya ho isliye Erich Segal ki Love Story aur Only love kaisi adhbhutt rachnaye main inke baad he rakhta hu. The obsession, cut and run, the fountainhead, the notebook jaisi kitaabe apne aap me ek khajana hai. Hindi rachnakaro ke baare me pehle bata chuka isliye aaj inka ullekh kiya.


images-q-tbn-ANd9-Gc-Q0-Q27-GUYZGLSt-NKs-Zk-T22-Rt-J29-YEE-RJQ-usqp-CAU
 
Status
Not open for further replies.
Top