• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
Lekhak mahoday sayad kuch jyada hi ghar ke kamo me vyast ho gaye lagta he jo mere pichale 3 rebu ka nato koi jawab diya na hi unme puche gaye mere chand masoom sawalo ka. Khair koi na hum to apna farz ada kare is update ka rebu dekar. Fir chahe iska bhi koi jawab na mile.
Antim Ichha ke is dusre bhag ki suruat jaha shankar and cop. ko ghar wapas jaate hue dikhayi jaha shankar ji komal ko arjun ke kaan khichati bhi dikhi aur fir badi bahan ka pyaar dete bhi. Ritu dwara unhe bataya gya ki arjun nehi Abhishek ji ko yaha aane se mana kiya tha. Unlogo ke jane ke baad neele ne arjun ko saam ko aone ghar khane ka nyota bhi de diya. Yaha bahar nikalte hi dipa bhabhi ne arjun ko gher liya aur sham ko apne ghar bula liya jis par arjun ne ha kardi.
Mujhe lagta he ki dipa bhabhi ji ka sawa yahi hoga ki jan Dilbag ko mela khatam hone tak apne kheto se bahar nahi aana tha to kyu arjun ne use ghar aane diya jaha dilbag ne dipa bhabhiko naye jakham diye aur isake liye wo arjun ko jimmewar tehra sakti he. Aur sayad arjun ko apne naye aur purane jakhmo se ru ba ru bhi karwa de. Jisake baad sayad Dilbag arjun dwara sudhara jaye.


"Suchha Singh, tu Satwant bhai ke sath un mujrimo ko leke gaya tha na? Kaha band kiya un dono ko?", Kewal Singh in sub inspector sahab se josh se milne ke sath apne samkaksh sarpanch se hath milata hua ek taraf ho gaya tha. "Band kiya? Wo toh khuli duniya me ajaad hai ab Kewal bhai. Maine toh unhe udhar chaupal me hath bandhwa kar band karwaya tha lekin abhi dekhne gaya toh janaab bhi sath the aur inse he pooch lo ke kya hua?", Kewal Singh ke maathe par bal padd gaye the ye sunn kar. "Oh bhai Satte, kya bhaag gaye kya wo dono?" "Upar pahoch gaye Kewal bhai. Dono ke 3-3 goliyan maar di kisi ne lekin awaaj jara bhi na aayi. Kamra bhi band he tha taale se. Ab idhar vardi me toh hu nahi aur ye maamla kahi report me bhi nahi aaya hua jo main pata karu. Suchha bhai arji dete hai toh main idhar wale station se baat kar leta hu ki aise 2 naami badmaash koyi chaupal wale kamre me maar kar chala gaya, Sarpanch Suchha Singh ji ki panchayat me." "Oh bhai baksho mujhe aur meri sarpanchi ko. Main na report karta aur na mera aur panchayat ka is se koyi lena dena. Waise bhi toh unka L conter karte na tum log?" "Encounter bhai sahab. Aur aapko pata hai main bande ko maarne nahi sudharne me yakeen karta hu. Lekin kuch sipahi mere se alag soch rakhte hai jo saja dene me waqt nahi lagate. Rabb ka he koyi banda inko de gaya hoga mukti. Ab aap hamare he bhai ho aur Daar ji ke bache jaise apne Kewal bhai sahab hai. Aap pe baat nahi aane denge aur usko band he rehne dena, andhera hote he saaf safaai ho jaaygi us jagah ki. Dekho aapko wo Vilayat Khan ji bula rahe hai, jaane se pehle milna hoga.", Satwant ji ki baat sunn kar Suchha Singh gadgad hota unke hath ko dono hath me pakad shukriya adaa karta gaya. "Toh kya samjhe ki Shankar ya Inder?", Kewal Singh ne bahot dhimi awaaj me muskurate hue poocha tha. "Shankar bhai ji saaf safaai me yakeen nahi karte Kewal. Aur in nishano ko main atche se jaanta hu jo goli khaane wale ko cheekhne ka mauka nahi dete. Waheguru Inder paah ji ko aise he bhale kaamo me lagaaye rakhe. Chalo pind chalte hai fir main duty pe nikalna. Waise toh Arjan se bhi milna tha lekin banda demand hai toh fir sahi."
Yaha par kin 2 apradhiyon ki baat ho rahi he jinhe indre ne upper pahucha diya aur abhi tak kisi ko kuch bhi khabar nhi he.

"Toh kya aadesh hai maharaaj? Ye khel bhi aapka he racha hua dikhta hai jiske baare me na bhogi ko pata hai na rogi ko. Naajuk nabz pe paanv rakhne se pehle jara dobara soch lena beta.", Rameshwar ji jaise usko cheta rahe the kyonki unhe sab manjoor tha bas Krishan ko dukhi nahi dekh sakte the aur uske pariwar ko salamat rakhna jimmewari thi. "Khel toh bahot purana hai dada ji aur uske rachnakaar khud duniya me nahi rahe. Bas bhatke hue bahot se mohre aaj bhi jaane kis khoj me jute hai aur kya unki chahat hai ye khud wo nahi jaante. Aapke he usool aur niyam ka paalan hoga, yakeen rakhiye. Bas dil jara majboot rakhiyega aur baat sirf main karne wala hu andar.", Rameshwar ji ne bas mook swikriti de di thi jaise wo bhi utsuk the ki ye kaunsa khel aur kaunse mohre hai. Bhitar aate he Arjun ne darwaje ki chitakni chadha di aur us safed bister ke sirhane tek lagaye baithi Devaki apne jeth ko dekh ghoongat dhoondne lagi. "Koyi jarurat nahi hai choti daadi, chot ke upar ghoongat na he le toh sahi rahega. Waise ab behtar mehsoos kar rahi hai ya dard jyada hai? Baithiye dada ji, bhagwan ka shukar hai ki Meena ne sirf dande se vaar kiya daadi par. Udhar toh darati, kassi aur gandasi tak the jo usko najar nahi aaye. Ab 4 lakh 38 hajaar ke badle jaan bach gayi bahot hai.", Arjun us steel ke golakar stool ko Devaki ki taraf khinchta hua unka hath pakad kar wahi baith gaya. Devaki ko vatanukulit kamre me paseena aane laga tha uski baat sunn kar. "Main thik hu beta.. wo.. wo bas chook ho gayi thi thodi Meena ko samajhne me. Kameeni soodi chipkali thi jiska pata na chala mujhe. Bas sar pe vaar hua aur fir mujhe yaad nahi kuch. Hosh aaya toh idhar thi aur Shankar beta dusre doctor ke sath mera ilaaj kar raha tha. Jeth ji, paise ka hisaab ye dekh lenge.", Rameshwar ji sookh chuke hontho ko kholte band karte ajeeb si pashopesh me the kyonki Arjun ko paise ka poora pata tha aur Devaki ke sar par dande se vaar hua ye bhi jaanta tha. "Paise aani jaani cheej hai chodi daadi aur Meena bechari jab haweli se bahar he nahi nikalti thi toh fir kaha bhaagti? Meri choti daadi par vaar kiya tha na usne toh mera bhi kuch farj banta hai. Aap hamare liye hamesha pariwar ki eham sadasya rahi hai wo alag hai ki.. khair chhodo ye sab lekin aapko ye yaad nahi tha ki Shabbir mere kabje me tha Indu ke bhai Satvir ke sath? Seerat ki maa se aap kal shaam ke baad nahi mili thi toh kaise pata chalta jo main unhe raat ko bata ke aaya tha.", Arjun ke gambhir chehre par ab halki mayoosi aa chuki thi lekin jaha Rameshwar ji uljhan me the wahi Devaki ke chehre ka rang ab peela padne laga tha. "Mujhe kuch samajh nahi aa raha beta tu kaisi baatein kar raha hai aur wo Meena he thi jisne mujhe mara. Iske siwa mujhe kuch nahi pata ki tu Shabbir aur Satvir ko kabje me kyun liye hai. Mera unse koyi lena dena nahi." "Thik hai maan leta hu ki koyi lena dena nahi hai. Meena mere kabje me hai, kismat se. Wo sab bata degi ki usne kiske kehne par ye sab kiya tha aur Mukandi ko aapne 4 ladkiyon ke badle 4 lakh rupaye diye iska pramaan bhi mil jaayega. Netram ki pauti Meena ke sath aksar 3-4 baje he toh mulakaat hoti thi aapki ya kahun uske aane ke baad aap phone karti thi aur wo najar rakhti thi. Aaj savere aisa nahi ho paya kyunki neend ki goli ne badhiya kaam kiya tha aur aakhiri mauke par jab baat nahi ho paayi toh khel thoda ulajh gaya. Saboot toh bhijwa diye aapne apne bhai ke paas jo lene aaya tha aapko. Maharaaj baba Kelam urf Tantrik Kalpatru ke sath. Waise meri maa aur mujhe marwane ki koyi thos wajah de sakti hai ya aap bhi bas ek nirdeshit pyada maatra hai?", Arjun kya bol raha tha wo sunn kar Rameshwar ji toh uske kandhe se hilate uthne ka bolne lage lekin usne naa me sar hila diya jab Devaki ki aankhen buri tarah faili dikhi. "Jeth ji ye ladka paagal hai, aap nahi jaante ki iski najar.." "Haan meri najar galat hai aapke us masoom mohre par jisko aap he mere paas bhej rahi thi. Usne he meri maa ki hatheli kaati jabki kaatne wo unki naadi lagi thi. Andhere aur shaadi ke shor me us jagah ek bebas si bahu aapki ummeed se thodi majboot nikli aur ye mohra itna kamjor jiski agar aap aur khaal utarne lagi toh aap khud maafi laayak nahi bachne wali. Main toh bas itna he kehne aaya tha ke aapse meri daadi baat karegi aur unhone sirf ek halka sa ishara diya na toh fainsla graam pramukh Arjun Rekha Sharma karega, kanoon aur gram mukhiya ke hisaab se. Ab aap najarband rahengi haweli me kal subah tak. Aatma-manthan ya chintan jo bhi karte rehna lekin ab aur aise khel nahi honge jisme masoom log mohre bane aapki adrishya ungliyon par naachte phire aur aap saboot jama karke unhe qaid rakhe. Shrimati Kaushalya Kanshiram bann ne ke liye tapasya karni padti hai, sabko prem me baandh ke. Shadyantro aur apno ki laash par kadam rakh kar sirf gunehgar he bana ja sakta hai. Chaliye dada ji, bahar gaadi aa gayi hai inhe lene ke liye.", Arjun khada ho kar unhe chetawani bhi de chuka tha ke ab koyi bhi gatividhi na hone paaye. Devaki ab khud shikaar ban chuki thi us yuvak ka jisko wo raaste se hatane me lagi thi. Galiyare me he ek surakshakarmi aur nurse inka intjaar kar rahe the. Arjun dwara sab samjhane ke baad wo log badi saavdhani se Devaki ko idhar se le chale jisne jara bhi pratirodh na dikhaya, aankhon me aansu jarur the par unka rang abhi saaf na tha. Rameshwar ji khamoshi se Arjun ke sath unke peeche chalte rahe jabtak ki ye dono jeep aur wo log us kaali car me na baith gaye.
Hospital me jaha pandit ji krishan se meena aur mukandi ke bare me janana chahte the lekin bechare krishan ko kya pata tha ki netram ki pauti aur mukandi khud devaki ke sath kaam kar rahe he. Yaha arjun ke aisa kehne par ki jaha devaki ko danda mara gya waha aur bhi khatarnak hatyar rakhe hue the meri baat sahi sabit karte he ki devaki ne khud ko janbujhkar ghyal karwaya tha taki agar pakde bhi jaye to wo khud ko bachane me safal ho sake aur aage bhi kalpatru ki madad kar sake. Prantu Arjun ne usake sabhi irado par pani fer diya use saf 2 gunhear sabit karte hue nazarband karke. Aur ye shabbir aur satvir ka kya raj he ye bhi batao. Yaha Pandit ji kuch dohre rup me dikhe jab kanun unke ghar ki chaukhat par dastak dene laga lekin ya arjun ne Motilal ji ki siksha ka dhyan karwa kar hum readers ke beech is mudde ko fir se hawa dedi ki kya Motilal ji ne khud apne hato se apne pita juglal aur raja ko kaat kar ped se tanga tha ya ped se tang kar apne paltu amavas se katwaya tha jaise Sambhav ne Sridhar ke sath kiya. aur apne dada ji ko duwidha me dekte hue hi arjun ne faisla apni dadi dwar karne ke liye keh diya.

Arjun ne ek aur raz khola ki Krishan aur Sombir apas me sadu bhai he wo alag baat he ki apne pita ki tarah lalchi aur ghamandi swabhav hone ke karan devaki ki chandro dadi se bolchal band thi. Ab ye raz khulne se is baat ki sambhavna bahut badh jati he ki maniram ya lajjo ne is taraf se bhi pandit ji ke pariwar ko ghrne ke liye hi lalchi aur abimani devaki kisadi bhole krishan ko faswa kar karwa di ho. Ya ye bhi ho sakta he ki wo log to sadi karwana hi nahi chahte honge balki krishan ko devaki se jabardasti karne ke arop me kanun ya mahal me apradhi bana kar le jana chate honge aur sakht saza dilwana chahte honge. Lekin Motilal ji ki patni ke sadi ke prastav ko Devaki ka lalchi pita thukra hi na paya ho. Aisa mera manana he.

Udhar poornima dadi ji ne apne pati ki antim ichha ke rup me chupi hui unki ek aur ichha ko pura karte hue Smbhav aur Rani Divya ko saal me ek baar unke sath rehne ke liye razi kar liya. Jisame Smbhav ne bhi Shankar se bachane ke liye bol diya jise unhone sire senakar diya.

Gao me sham ko Arjun fir se meenakshi se usi sthan par mila jaha kal lali ke sath mila tha. Parantu lali to aaj bhi meenakshi ke chehre par virajmaan rahi jab jate hue usake man ko padhte hue arjun ne usaki bhi ichha ko pura karte hue usake labo ka ras pee liya.

WAITING 4 NEXT UPDATE.
 
Status
Not open for further replies.
Top