- 4,125
- 57,970
- 173
Aap batao bade bhai ki wo kaise vishnu ko shaamil kar sakte hai is sab me? Matlab wo abhi toh lauta hai aur thik se samjha tak nahi hai mahol ko aur usko ye dono behtar jiwan dena chahte hai na ki aur lafdo me shaamil karna.Mera ek masoom sawal he ki jab inder aur shankar dono ko pata tha ki shankar par aaj jaan lewa humla hone wala he to un dono ne Vishnu ko apne sath kyu nahi liya. Kya usaki kshamta par shaq tha ya fir use in sab se dur hi rakha jayega.
Na to inder ji use apne sath le gaye aur na hi shankar ji ne use apne sath rakha. Kam se kam use farmhouse to le jate apne sath.
Aur mujhe ye bhupi ka character kuch rahashmaye lag raha he. Aur ye tab se he jab se iske bete ko mar padi thi ritu ki wajah se. Aur shankar ne ise saaf mana kar diya tha.
Bhuppi ka beta nasamajh aur galat raah par tha jabki Bhuppi shuru se karmath aur mehnati insaan hai. Asal me Dharamveer ji ka samarpit shagird.