Mahesh bhai jaisa maine parichaya me bataya tha ki Anahita aur Tilottama sagi behne thi jinme Tilottama kuch varsh badi thi Anahita se. Unka pariwar kitna sampann tha iska andaja toh aap sirf is baat se he laga sakte hai ki Basant Baag aur Sunanda ji ki athaah sampatti jo pehle Anahita ki thi, baad me Mahima ji ko mili aur aage Sunanda ji ko. Wo sampatti sirf thoda he bhaag hai jabki us se jyada ko Anahita desh chhodne se pehle he bech chuki thi. Ye sab unhone sirf apni behan ki nishaani ke swaroop pariwar me rakha tha. Aur jitni sampatti akele Anahita ki thi, utni he Tilottama ke hisse rahi hogi jisko paane ke liye Juglal/Bhupendra ne Tilottama ko apni sharan me liya hoga uske mata pita ke anurodh par. Santaan ko duniya ke liye toh maar diya par sachmuch maarna unke liye bhi mumkin nahi raha hoga. Daulat aur sampatti saunpne se agar unki beti jiwit rehti toh unhe yahi uchit laga beshak samaaj me Tilottama marr kar Anuradha ne janam liya ho. Wo dono bhai bhi kamjor shasak the doobte raajpaat ke aur shayad mard bhi nahi honge jinhone ek mahila ko sanrakshan ke badle bas apna he ullu sadha. Mard hote toh Bhupendra ki biwi ka jikar rehta kahi na kahi. Aur aage bhi santaan hoti us mahol ko dekhte hue jabki yaha toh Motilal aur Balwinder tak unka rakt nahi the. Wo anushthan ek udaharan hai iska agar aapne gor kiya ho toh.
Baaki itna aashvast karta hu aapko ki aane wale samay me Anahita ke pariwar aur maujooda peedhi ka bhi khulasa hoga.
Yaha main
aka3829 bhai ki bhi dono sawaalon ke Jawaab deta chalu.
Ritu ka kehne ka matalab tha ki Basant Baag me jo tehkhana tha uske neeche bhi ek aur tehkhana hai.
Aur Juglal/Bhupendra Singh ki mrityu ke waqt toh Motilal ji khud bache byaahne wale the aur unki mata ji toh unhe bachpan me he chhod chal basi thi. Matlab Anuradha ji aisa kar he nahi sakti thi jab unhe gujre 39-40 baras ho chuke the