kya baat hai
Enigma bhai .. lagta hai aap bhi aaj kal Bournvita wala doodh pee rahe ho ? .. din b din update ka size bada hota jaa raha hai .. meri maano to sala ek do liter doodh aur peena start kar do .. extra paise hum readers mil kar de denge ..
.
.
aaj to waqai gazab kar diya .. bhai aapne .. itne bade update mein to kayi lekhako ko kahaniya khatam ho jaati hai .. ek baar ko to main bhi sochne par majboor ho gaya tha ki kahi main usi update ko dubara se to nahi padh raha .. khatam he nahi hoke de raha tha .. bahar haal kahani ki aur rukh karte hai .. ye bakchodi to chalti rehti hai ...
magar ye bhi to samajh mein nahi aa raha ki kis bindu se main is addayatan par apni pratikirya pesh karu .. kyonki jaisa update mila hai uske heesab se to mera review bhi mega-review hojayega .. shut-up you lomdi .. kaam ki baat kar .. faltu bakchodi nahi .. sala jab dekho apni theory jhadni start kar deta hai .. OH! sorry .. to kaha the hum .. oh yaad aaya .. kahani ka review ... ummm ok let's start ....
.
.
saal 1998 ...
Menaka Singh se shuruaat hui .. well jab Arjun ne jaane ki baat kahi aur Menaka se khada nahi hua gaya aur usko iss halat mein dekh kar .. Arjun ka usko aise chhod kar jaana muzhe ajeeb sa laga .. kyonki abhi tak .. kabhi aisa nahi hua ki Arjun ne ladki ko bajaya aur chupke se nikal liya .. kyonki wo to har baar jitne pyaar se apne pyaar ka aagaaz karta hai utni he shiddhat se uska samagam bhi karta hai .. aur uske upraant utni hi shiddhat ke saath apni sambhogini ka upchaar bhi bilkul ek prem-pujari ki tarah karta hai .. par fir jab usne dekha ki Menaka darwaaza lagane mein e-samarth hai to usne usko bahut delicately look after kiya .. fir waha se nikalte he 9 do 11 ho gaya .. aur seedha park mein apne aadhyatimik 6'2" foote guru Acharyaji se pata nahi kaunsa secret gyaan arjit kiya ...
Ghar par aate he Tara ko daboch liya .. jiski pichle kuch dino se uske chahne walo ki uska prem-krida dekhne ke liye demand uth rahi thi .. so bathroom mein ja kar dubara se nahane aur nehlane ka upkram chala .. uske baad neeche breakfast par victim card play kiya hamesha ki tarah .. magar aaj baaji ulti pad gayi .. Ritu/Alka ki .. aur moohfat taiji ne apne lalla ko tang karne ke aivaj mein ghar bhar ki saari chudailo ko kaam par laga diya .. aur sone pe suhaaga to Kaushalya ji ne kar diya .. Preeti bhi sahi kabje mein aayi .. ye dogli aankho wali chaalu naar bhi aaj pandito ke jaal mein fas gayi ...
School mein to kuch khaas nahi hua .. keval ek naye kirdaar se aaj Arjun ke bahane hum sabka saamna hua .. aadarniya Pradhanacharyaa shrimati Singla devi ji se .. magar ek baat ye sochne wali hai ki unhone iss par vishesh tippani kyon nahi ki .. ki ek teacher ki chutti ki arzi ek chaatrr le kar aaya hai .. ? .. chalo iss par jyaada nahi sochte .. waise iss baat par Ms. Annu walia ke kaan khade hue .. ki Menaka aayi nahi aur Arjun uski leave application le kar aaya hai .. ye aur Menaka to saath mein aati hai na ...
well school ke baad Annu ne apni saari vyatha suna daali aur aage ka bhi Arjun ke saamne apna farmaan suna diya .. aur Arjun ne bhi poore 8 dino ke liye haami bhar li .. jab tak Annu London ke liye nahi nikalti .. waise usne wajah nahi batayi .. par uske waha jaane ka bhi Arjun ko dono tarah se faayada he hai .. ghar-school dono jagah he Arjun ke paas jyaada time bachage Annu ki anupastithi mein aur shayad jab Annu laut kar aayegi to shayad akeli na laute .. well that's different .. aur abhi iss update se uska koi khaas matlab bhi nahi hai ...
waise aaj din ka samay badhiya nikla Arjun aur Renuka bua dono ka .. aur sab jo chal raha hai .. wo to theek hai .. but aaj-kal bacche ka sunn kar Arjun bade josh mein nazar aa raha hai .. Renuka ka to samajh aata hai .. ki ye baccha usko uss saksh se praapt hua hai jisko wo dil se chahti hai .. kyonki maa to wo pehle bhi bani thi .. magar usne apna pehla baccha .. apne marhoom pati ke pariwaar ko he saup diya tha .. unke waaris aur unke eklaute bete ki aakhri nishani ke roop mein ...
well aur sab ke saath jo Arjun ka love scene chal raha hai wo to theek hai magar waha school mein uski ye billori aankho wali nayi-naveli mehbooba ka pyaar kuch jyaada he parwaan chadhta jaa raha hai .. kahi ye uske aur Arjun ke beech dukh aur Grihna ki deewaar na khadi kar de .. kyonki uske liye Arjun uska pehla pyaar hai .. jisko abhi Arjun ke baare mein kuch khaas nahi pata .. aur wo Arjun ko andho ki tarah pyaar karti hai .. aur na he shayad wo abhi itni mature hui hai .. ki wo Arjun ki situation ko itne aaraam se aur cool way mein samjh kar uske heesab se apni feelings ko adapt kar paayegi .. magar dekhte hai .. ki apne quaint boy ne usko kis tarah se handle karne ka socha hai ...
par fir ghoom fir kar baat Annu walia par he rookti hai .. kyonki wo kabhi - kabhi kuch aisi baat kar jaati hai .. ki uske mann ke andar ki insecurities ubhar kar saamne aa jaati hai .. beshak he wo kitni he maturely behave kare .. ya wo kitni he apne aapko apni feelings ko detach karke dikhati ho .. kintu muzhe aisa abhaas hota hai .. ki jo shabd uske mookh se nikalte hai .. wo purntya unpar khari nahi utregi .. khair ye to aane wala samay he bataayega ki kaun kiss hadd tak is Pyaar - 100 baar mein tik paata hai ...
waise aaj yaha 2 bahiyo ka aapas mein ek anutha he pyaar aur ek dusre par alag he darje ka vishvaas dekhne ko mila .. dono he bhaiyo ka ek dusre ke prati samarpan .. aur apni bhaavnaao se badh kar ek dusre ke liye sam-maan aur uss-se bhi bhadhkar ek dusre ka apne swaarth se upar jaa kar dusre ke liye accha karne ke bhavna rakhna .. ye bahut he anootha, advitya aur maarmik bhavnaao ka atulniya charitarth tha ...
aur sabse badi baat .. dono bhaiyo mein kya gazab ki understanding dikhayi hai .. bina bole he ek dusre ke mann ki baat jaan lena .. waise to ye Sanjeev bhiya aur Arjun ke beech mein bhi dekhne ko milta hai magar abhi inke beech uss darje ki jugalbandi dekhne ko nahi mili .. shayad umar ka farak bhi kaha jaa sakta hai ...
.
.
Saal 1974
Iss addayatan ka sabse jyaada aham hissa tha .. aur aage ke liye bhi ye kahani mein bahut aham disha nirdharit karega ya karta aaya hai ...
kyonki yaha sirf 2 naujawaan ladko ki dileri he nahi dikhti .. balke unka apne pita-pariwaar ya fir unke sanrakshan ki chaanv mein rehne waalo ke ke khilaaf jo bhi khada hoga .. uske saath kya ho sakta hai ye aaj jaane ko mila aur iski ek jhalak abse 1 hafte pehle ghatit wo Roshan mattu wali akalpniya ghatna .. ispar bahut he vistaarpurvak prakaash daalti hai .. ki jisne bhi Pandit Rameshwar ji ke chahne walo par buri nazar rakhi uska kya hashr hua ...
waise aaj ke iss upkrram se ek Menaka singh v Bijender pehelwaan ke bhootkaal se sambandhit kaafi baate khul kar saamne aa chuki hai .. kyonki waha sirf un 4 logo ki nirmam hatya sirf isi liye nahi ki gayi thi ki unhone Pandit Rameshwar ji par goli chalayi thi .. balke unka itna bura hashrr isliye hua kyonki unhone kisi aisi abla naari ke saath bahut he bura durvyavahaar kiya tha .. jo ki Rameshwar ji ke parichay ya jiski suraksha ki jimmewaari ka unhone aashwaasan diya hua hoga .. kyonki jis abhagin ka operation theatre mein specially Senior Dr. Sangwan jaise mashoor doctor jinke 10yo hospitalo mein pata nahi kitna bada staff kaam karta hoga .. magar fir bhi ve khud operate kar rahe the .. to wo koi khaas he mahila hogi .. waise ye samajhna ab koi jyaada badi baat to hai nahi ki uske prati uske pati ke pariwaar waalo ka itna bura vyavahaar kyo tha .. waise to dear lekhak ji kahenge ki itna aage ki main kyo baat kar raha hu .. magar mere reviews ko mere aur 2-3 bhai log bhi padhte hai .. to unki utsukta bhi badhi rehti hai ...
waise to ye saara jhamela Menaka ki Maa ke saath hui maar pitaayi ya fir us-se bhi badh kar ki gayi ghinoni harkat ke liye hua tha .. aur Shankar ji ne jis aurat ki surgery ki wo mere khayaal se pakka Menaka singh ki maa thi .. aur isi liye wo 23-24 saal ka ladka Menaka singh ki maa ka haath pakad kar baitha tha aur har mahine 10,000 rupye dene aata tha (waise ye clear nahi ki ye ladka 5'10" ka hai ya us-se 2" lamba) .. hone ko to ye saara maajra 1 aadmi (swargwaasi Rammehar singh) ke marne ke baad uski pehli patni ki insecurities ke chalte 2sri patni ke prati ghrina ko lekar tha .. magar jab isme pehli patni ka bhaai Sombir singh bhi khood pada aur usne isko jitni buri tarah tackle kiya .. uski wajah se he uske saath ye sab hua .. shayad Sombir ke saamne uski patni ka balatkaar aur uske pariwaar ke sarvnaash mein uske khud ka aur uski behan (bijender pehlwaan ki maa) ki jyadtiyo ka parinaam tha ...
magar iss sab matter mein Shankar ji aur Narender ji se alag Umed singh ka kya role tha .. wo kyon iss matter mein directly involve tha .. kya wo Menaka singh ka kuch lagta hai as in blood relation or something along the line ...
waise itna hone ke baad abb ye baat bhi samajh mein aati hai ki kaise aur kyon Manjubaala ki shaadi Menaka Singh ke bhai se hui .. kyon ki yaha beecholiye ek he the ...
waise pichle kuch update ke dauran kuch mitro ne ye sawaal kayi baar dohraya tha ki Menaka singh ne Manju aur Rishabh ki shaadi mein Shankar ji ko kyo nahi pehchana .. may be pehchan liya ho .. but uski jhijak aur koi past memory ki wajah se wo Shankar ji ka saamna karne se katra rahi ho .. khair wo to kuch dino mein agle kuch updates aane ke upraant sab clear kar diya jaayega lekhak ji ke dwaara ...
ab aate hai Arjun ke chacha ji Narinder singh aur unki patni Krishna devi ke milan par .. yaha kuch bhi kaho .. inn dono ko ek karne mein jo sara credit jaata hai .. uski asli hakdaar to thanedaarni ji hai .. kyonki jiss bebaaki aur adhikaar se Kaushalya ji ne ye kar dikhaya .. isko safal karne ka poora shrey sirf inko hai .. baaki to koi aisa kar bhi nahi sakta tha .. Rameshwar ji bhi nahi .. waise kuch bhi kaho hai to Inder ji bhi pure chupa rustam aur dono ne apni testimony itni jabardast taiyaar ki thi .. ki koisa policewala uska pratikaar bhi nahi kar paya ...
.
.
Saal 1998
Pehle hua to sab kuch bahut acche se he tha .. magar bechare Narinder ji ki patni ki sehat itni kaise bigadi aur unki aisi halat kya ek akasmaat ghatna hai .. ya ye in dono bhaiyo ke karmo ka phal .. jo Krishna ji aur unke saath samast Pandit pariwaar bhugat raha hai .. philhaal to ab inka ilaaz U.S.A mein hoga .. jo shayad 2 mahine se bhi lamba chale .. aur apne bhai ki guzaarish par apne dear Shankar ji bhi saath mein jaane ko taiyaar ho gaye hai .. so dekhte hai ki unki anupastithi mein ghar aur bahar mein kaisa mahool banta hai .. shayad ghar ke andar to koi khaas farak dekhne ko naa aaye .. magar ghar se bhar ke mahol mein jaroor kuch thoda badlaav aaye .. waise to Sanjeev bhiya, Dr. Sangwan, Gulati ji to hai he ...
Stadium mein aaj sabki he hawa tight kar di Arjun aur uski sherniyo ne .. bina kuch kiye he .. Arjun ne to Balbir ke saath-saath Vikas poonia ki bhi bolti band kar di .. kyonki jis starr ki bench Arjun maar raha tha .. us level tak pahuchne mein 5-6 saal lag jaate hai .. aur phir bhi itni kushalta aur urrja ke saath koi nahi kar pata .. ab tak to Arjun ke fan uske Coach sahab he the magar abb unki beti Charul aur bhatiji Simmi bhi ban gayi hai .. aur rahi sahi kasar Charul ki haalat bhotik vigyaan ki lalima liye komal anngo wali adhyaapika Annu walai ne kar di .. apni harkato aur baato se .. aur shayad 2-3 dino baad to ye bechari Charul singh ka apni baato se katal he kar de ...
well Lekhak ji aaj ka din Thursday tha na .. so kal friday hoga .. friday bole to Ms. Vini ji ki surprising mulakat mascular aur handsome gardner se hogi .. i would say quiet shokingly ...
Renuka ji nall bhi chalwaya .. aur apni daadi ji se daant bhi khaayi .. aur Ritu didi ke saath milkar Priyanka didi ki taang bhi keechi .. magar din ke aakhir mein Madhu bua baazi maar gayi .. aur aage ke liye apni peeche wali bhoori se milne ke liye Arjun ko manjoori bhi de di .. de bhi kyon na ab to inke calander mein Tuesday jo bookmarked hai .. courtsey of Moohphat bhabi
magar ye bilkul last scene mein kya dikha diya Arjun ko zero watt ki roshni mein .. mere khyaal se pakka Ritu ne dhawa maar liya hoga .. ye ek no. ki chaalbaaz chudail hai ...
.
.
well bhai aaj ke update mein shuruaat se lekar ant-tak sab kuch bahut he romanchkaari tha .. har starr par bas Krishna ji ke baare mein jaan kar bura laga .. bimaar hai ye to pata tha .. magar itni jyaada daiyniya istithi mein hai .. iska nahi pata tha .. khair jo bhi ho .. iska ek parinaam to ye nikalta hai ki jab tak inke swaasthye mein sudhaar nahi aa jaata .. jab tak Priyanka didi aur Aarti dono he yaha par rukne wali hai .. baaki apne bhai aur uski patni ka dhyaan rakhne aur uspar jo karcha aayega uske liye apne samaaj sevak Dr. saab to hai he ...
.
.
kramash ?