• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery PYAAR KI BHOOKH ( COMPLETE)

Sk94

Member
246
340
78
I am confused. Did Sadiya deserve to die? I forgot about her. Or is she now a victim of this mess? And at this point, I thought Ankit was Aazad. But who the hell is the new entry now?
And again does every update has to have so many questions left at the end everytime? I know its for suspense. But sometimes its tiring. I know everything is clearing up. But still....Thanks for the update. You left two huge questions behind. So, now my mind is a mess. Thanks for that.
I will be waiting for the next update. And they are hesitating so much to kill one person.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,626
37,213
219
ankit bhai......................ab aa hi gaya aapke sath.......................

kahani mein apne bahut sare changes kar diye........... ankit ki hatya aur...........haveli mein pahunchkar sabka azad se samna hone ke beech
lekin ye kafi informatic aur logical raha

bahut kuchh pata chala...........raj khule

keep it up.......................... isi waqt ka kitne saal se intzar tha
 
346
719
108
Update - 300


Apni baat khatm kar ke madan thahaka lagane laga to aazaad ka khoon khoul gaya.....

Aazaad(gusse se)- chhuuuuppppp....saale...tujhe apne kiye ka koi bhi pachhtawa nhi...hai na....

Madan- nhi....bilkul nhi....pachhtawa to sirf ek baat ka hai....kaash tujhe bhi maar diya hota to aaj yaha na hota....

Aazaad- huh...maar deta...saale....halwa hai kya....khair...ab ye bhi bata de ki tu jinda kaise bacha....teri to car jal gai thi...aur uske andar ek jali hui laash mili thi....

Madan- oh haa..asal me wo mera hi plan tha....maine apne ek aadmi ko bola ki wo mere kapde aur mera saamaan le kar meri car se nikle...taki main dushman ka dhyaan bata saku....wo bechara baaton me aa gaya....fir maine dusre aadmiyon ko bhej kar uska accident karwa diya aur khabar faila di main mar gaya...

Aazaad- par kisliye....tum duniyan se chhipna kyo chahte the...tumhe kis baat ka dar tha.....

Madan- are aazaad...tum bhi na...tum saayad bhool gaye ki teri wajah se meri factory jala di gai thi....aur uske chakkar me mere uper laakhon ka karja ho chuka tha....agar main nhi marta to meri saari jaayjaad neelaam ho jati....isliye maine ye natak kiya.....aur double fayda kamaya....ek taraf karjdaaron se chhutkara...aur dusri taraf insuranse ka paisa...hua na double faayda...haha....

Aazaad(chilla kar)- cchhuuppp....tujh jaisa kameena jinda rahne layak nhi...tujhe to main....

Aur aazaad ne gusse me aa kar gun nikaal kar madan ki taraf taan di......jise dekh kar madan ghabra gaya......

Madan(ghabra kar) - nhi...nhi aazaad...nhi...

Par isse pahle ki aazaad goli chala kar madan ki jaan le....akash ne aazaad ko rok diya.....

Akash- nhi papa.....abhi nhi.....

Aazaad- nhi....ye jinda rahne layak nhi....

Akash- main janta hu.....aur ye marega bhi....par abhi nhi.....

Aazaad- nhi....ye abhi marega...main ise abhi maar duga....

Madan(beech me)- to maar na....maar...kiska intzaar hai...haa....

Akash(aazaad se)- nhi....meri baat mano....abhi ise jinda rakhna hoga....aap samjho....

Akash ki baat sun kar aazaad ne gun neeche kar di....aur yaha akash ki baaten sun kar kai log paresaan ho gaye.....

Aazaad- madan.... tune meri iksha puri ki na...ab mujhe bhi teri iksha puri karni hogi....hai na....to teri ye marne ki iksha jaroor puri hogi....par abhi nhi...abhi mujhe kuch sawaalo ke jawaab chahiye....bolo....jawaab doge....

Madan- haa...kyo nhi....pucho...ab kya janna chahte ho....

Aazaad- jaggu ki family ko kisne mara....

Madan(gusse se)- ye kaisa sawaal hai...ye to tujhe pata hoga na....mujhe kya pata....

Aazaad- tujhe nhi pata...jane de...ye bata ki salini ko beti aazaad ki beti thi....

Madan(has kar)- kya...kya kaha tune.....tujhe nhi pata ki wo teri beti thi ki nhi....haa...

Aazaad- are nhi...mera matlab... kya bolna tha...are haa...salini ki beti ka kya hua....kaha hai wo....

Madan- aisa puch na....salini ki beti ka naam mohini tha......jo ki kuch waqt pahle hi mari gai...sath me uski beti bhi maari gai....kya naam tha...haa..mona...un dono ko kisi ne goli maar di thi.....

Aazaad- kisne...???

Madan- ye main nhi janta....par isme mera koi hath nhi.....

Aazaad- hmm..samjh gaya....ab ye bhi bata do ki jaggu ko kisne mara....kya tumne....

Madan- nhi...bilkul nhi.....main kyo maruga use.....mujhe lagta tha ki use tumne hi mara hai....

Aazaad- nhi....maine kisi ko nhi mara....are maine to use us din ke baad dekha tak nhi.....to maruga kaise....

Madan- agar tumne nhi mara...to use mara kisne.....

Aazaad- pata nhi...par ye pata to lagana hoga.....pata to chale ki use mara kisne...aur kyo....

Madan- ye baad me sochna.....abhi ye batao ki aur koi sawaal hai......haa...wo kya hai na...ki jo bhi puchna hai wo puch le...kyoki tere paas waqt bahut kam hai...

Aazaad- waqt kiske paas kitna hai...ye to waqt hi batayga....filhaal tum chup raho....abhi mujhe apne ek khas mehmaan ki khatirdaari karni hai.....

Aazaad ki baat sun kar madan chup ho gaya aur sochne laga ki aazaad kis ki baat kar raha hai....baki sabka bhi madan ki tarah hi haal tha.....sab ek-dusre ko dekh rahe the.....

Aazaad- samrat singh....kaise ho mere dost.....

Samrat(chounk kar)- huh...to tumhe abhi tak yaad hu main...haa...

Aazaad- bilkul.....aazaad kabhi apne dosto ko nhi bhoolta...aur na hi dushmano ko....

Samrat- acchi baat hai....to batao....ab mujhse kya puchna chahte ho.....

Aazaad- hmm...seedhe mudde ki baat....ye baat mujhe pasand aai....

Samrat- ab kaam ki baat karoge....

Aazaad- haa...tumse bhi wahi sawaal karuga jo baki sabse kiya tha....par usse pahle main ye jaroor janna chahuga ki tumne apne bete ko dusre naam se rahne ko kyo kaha....haa...

Samrat(samar ko dekh kar)- ise maine nhi kaha tha....aur na hi mujhe is baare me pata tha.....ye baat to mujhe kuch samay pahle hi pata chali ki samar, pramod naam se rah raha hai....

Aazaad- accha...to fir tumne ye janne ki kosis nhi ki....

Samrat- maine pucha tha...par usne bataya nhi....usne bas itna bola ki ye sab mere maqsad ke liye hi kar raha hai....bas...

Aazaad- tab to iska jawaab samar se puch looga.....ab tum bolo....tumhara maqsad kya tha....

Samrat- mera mqsad bada seedha sa hai aazaad...mujhe bas tumhari doulat chahiye......aur uske liye main kuch bhi kar sakta hu...kuch bhi.....

Aazaad- kuch bhi....par kyo...aakhir meri hi doulat kyo....kyo mere piche pade...kyo......

Samrat- kyo....to kya ab ye bhi main batau....tumhe pata nhi...haa....

Aazaad- nhi...nhi to...

Samrat(has kar)- are chhodo bhi ye natak....tum sab jante ho....sab kuch....

Aazaad- main kuch nhi janta....tabhi to tujh se puch raha hu.....

Samrat(ghoor kar)- accha....mere saamne aane ke baad bhi tu bol raha hai ki tujhe kuch yaad nhi...haa....tab to....

Aazaad(beech me)- bakwas nhi....mujhe wajah janni hai...wo bol....

Samrat- accha...to tujhe wajah jaan ni hai....par pahle ye to bata ki wajah jaanne wala tu hota koun hai....haa...

Aazaad- kya matlab...main aazaad hu....

Samrat(has kar)- tu aazaad hai....huh...accha ab sach bol...koun hai tu....

Aazaad(gusse se)- saale bola na....main hu aazaad....

Samrat(chilla kar)- abe chup...aazaad...aazaad...aazaad....kabse bas yahi bake ja raha hai.....maine pucha ki tu koun hai.....tu apna naam bata....koun hai tu....

Samrat ka yu badla hua roop dekh kar aur uski baat sun kar waha moujood har saksh sakte me aa gaya.....

Kisi ko bhi samjh nhi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai...samrat aazaad se baar-baar ye kyo puch raha hai ki wo hai koun....

Wahi aazaad bhi thoda paresaan ho kar akash ko dekhne laga.....

Akash- samrat...ye kya bakwas laga rakhi hai....tum nhi jante ki ye koun hai....haa...

Samrat- haa...main ye nhi janta ki ye koun hai...par main ye acchi tarah se janta hu ki ye aazaad nhi.....

Akash- ye kya bakwas hai...

Samrat- ye koi bakwas nhi....atal satya hai....

Akash- ohh...atal satya...kya baat hai....itne bade-bade sabd bhi aate hai tumhe....good......par isse koi fark nhi padta.....sach to yahi hai ki ye mere pita aazaad malhotra hai....

Samrat- are haatttt...ye aazaad nhi...koi bahrupiya hai....jo aazzaad ka mukhota pahne baitha hua hai...

Madan(hairani se)- ye kya bol rahe ho....ye kaise ho sakta hai....aur tum ye kaise kah sakte ho.....

Samrat- madan....maine aur aazaad ne ek lamba waqt sath me gujara hai.....aazaad ko acche se pata hai ki humare beech aisa kya hua tha ki hum alag ho gaye...aur humare beech ek kadwahat paida ho gai.....par ise to kuch yaad nhi....kaise...

Madan- ho sakta hai ki bhool gaya ho...aakhir budapa hai...

Samrat- nhi madan....main ye nhi manta...ye jaroor koi bahrupiya hai...jo aazaad ban kar humara sach jaanne ki kosis me laga hai....

Madan- ye kaise ho sakta hai..ye aazaad hi hai....hum bhi acche dost the....aur ise mere baare me sab yaad hai...to fir...

Samrat- nhi madan....saayad tumne dhyaan nhi diya....jab tum jaggu ki kahani suna rahe the...tab ye presaan sa dikh raha tha.....tab maine socha ki saayad purani baaten ise paresaan kar gai....par ab...ab to ise mere baare me kuch yaad hi nhi....ye azaad nhi....jaroor ye koi bahrupiya hai....

Akash(joor se)- ye kya bakwas laga rakhi hai...ye mere pita hai...samjhe...

Samrat- nhi bacche....ye ek bahrupiya hai...bilkul tumhari tarah....

Akash- kya....matlab kya hai tumhara....aur ye bak kya rahe ho...aisa bhi kabhi hota hai...haa...

Samrat- bilkul hota hai...jaise humne tumhe aksh banaya....waise hi kisi ne is bahrupiye ko aazaad bana diya hoga....hai na...

( Ye sun kar kuch log akash ko hairani se ghoorne lage...)

Akash(gusse se)- bakwaas band kar saale.....

Madan(beech me)- abe chuupp...bilkul chup....samrat....kya tum sach bol rahe ho...

Samrat- haa....aisa lagta hai ki kisi ne humari chaal hum par hi chal di....par samjh nhi aa raha ki koi aisa kyo karega...

Madan- par main samjh gaya....mujhe lagta hai ki koi hum sab ki sacchai sabke saamne lana chahta hai...aur agar aisa hai to is ghar me camera jaroor lage hoge....pakka...ye ek jaal hai samrat...jaal....

Samrat(ghabra kar)- par aisa karega koun....

Madan- koi bhi ho sakta hai....koi aazaad ka wafadaar....akash ya ankit ka kareebi....ya koi gaddar...jo humare sath hote huye bhi aazaad ka bhala chahta ho....ho sakta hai tera damaad ho....

Samrat- are nhi...wo apne pita ko jaroor chahta hai....par akash se use nafrat hai...aur fir usme itna dimaag nhi ki itna sab kar sake....ye koi aur hi hai....

Akash- ye kya bakwas laga rakhi hai....saale thodi dheel kya de di....bakwas hi kiye ja rahe ho....bhoolo mat...tum sab bandook ke nisaane par ho....aur ek isaare me hi mout ka swaad chak sakte ho....samjhe....

Madan- mout ka khouf mat dikha....mout ka dusra naam madan hai....samjha..

Akash- wo to abhi pata chal jayga....ye samrat....ab bolna suru karta hai ki nhi....

Aazaad- ha samrat....jaldi se suru ho jao....mujhe batao....kya wajah thi jo tu mera dushman ban gaya....bol....

Samrat- saale bahrupiye.....agar main majboor nhi hota na...to sabse pahle tujhe jaan se maar deta.....

Tabhi ek aawaaz aai.....

""Ye kaam main kar deta hu...""

Aur fir ek goli chali aur aazaad tadapta hua neeche gir gaya......

Aazaad ki haalat dekh kar sab sakte me aa gaya....akash joor se chillata hua aazaad ke paas pahucha....

Aur jaise hi akash ne aazaad ko check kiya to wo gusse se boukhla gaya.....

Ajash(aadmiyon se)- bhoon daalo sabko....kisi ko bhi mat chhodna...sabko maar dalo....sabko....

Akash ka aadesh sun kar har koi ghabra gaya....sabko aabhash ho gaya ki unki mout saambe aa gai hai.....

Mout ko saamne dekh kar har kisi ki aankho me khouff chha gaya.....

Par tabhi kisi ke joor se thahaka maarne ki aawaz aai.....

Aawwaz sunte hi sabne najren us taraf ghumaai to dekha ki ye to wahi saksh hai jisne aazaad ko maara hai...aur ab thahaka maar raha hai.....

Par koi bhi us saksh ko pahchaan nhi paya...kyoki usne mask lagaya hua tha.....

Ye dekh kar akash bhi chounk gaya tha....to wo joor se chillaya....

Akash(aadmiyon se)- saalo sunaai nhi deta kya...maar dalo sabko....

""Ye teri nhi sunege....ye sab mere aadmi hai....""

Ye sunte hi akash chounk gaya...aur tabhi usne dekha ki saare aadmiyon ne apni bandooke usi par taan li hai.....aur tabhi fir se us saksh ki aawaaz aai.....

""Tera khel khatm...""

===============================


SAHAR ME...EK RESTAURANT ME.......


Waha gaon me kuch log jindagi aur mout ke beech fase the aur yaha sahar me sadiya ek restaurant par khadi kuch parcel karwa rahi thi......tabhi uska phon baja...ye ziya ka call tha.....

( Call Par )

Sadiya- ha ziya...kya hua....

Zoya- aunty....main bol rahi thi ki aap momos jaroor le aana.....

Sadiya- ziya....maine pizza aur paav-bhaji pack kara li hai....ab momos....kha paygi itna....

Ziya- are aunty....aap bhi na....main akele thode khane wali hu....wo to ruby se pucha to badi muskil se usne bola ki use momos pasand hai....

Sadiya- ohh..theek hai...karati hu....aur kuch....

Ziya- nhi...ab kuch nhi.....

Sadiya- nhi...abhi kuch bacha ho to bol de....nhi to tu fir se time lagwaygi....

Ziya- nhi..kuch nhi...aa jao..bbye...

Ziya ne jaldi se phon rakh diya aur ziya ki harqat par sadiya muskura di....

Fir sadiya ne momos ka order diya aur wait karne lagi....

Tabhi sadiya kisi ko dekh kar chounk gai....wo uth kar us se milne aai...par wo saksh car me baith chuka tha....

Sadiya(car dekh kar)- ye car to....par ye iske paas kaise....

Kuch soch kar sadiya ne apni car li aur teji se us car ke piche chal di.....

Aage ja kar sadiya ko car dikh gai...aur wo uska picha karte huye ek colony me aa gai....

Aage wali car rukte hi...sadiya bhi kuch doori par piche ruk gai....

Fir usne dekha ki car se nikal kar us saksh ne apne sath khane ka saamaan liya aur andar chala gaya...,

Sadiya- ye itna khana le kar ja kaha raha hai...aur ye ghar kiska hai....pata karna chahiye....aakhir ho kya raha hai yaha....

Sadiya ne car side ki aur us ghar me chal di....

Jaise hi sadiya ghar ke andar hall me pahuchi to usne dekha ki wo saksh ek room se nikal kar uper ki taraf nikal gaya....

Sadiya(man me)- us room me light on hai...ho sakta hai yahi kuch pata chale....

Sadiya turant us room me gai...to saamne dekhte hi chounk gai...

Sadiya ke saamne do log kursi se badhe baithe the...unka sirf ek hath khula tha...jisse wo khana kha rahe the....

Sadiya unme se ek ko pahchaan gai...ye poonam thi....(rajni ki beti )

Sadiya- poonam....tum yaha...aisi haalat me....kisne kiya ye...kisne....

"" Maine kiya...""

Tabhi piche se aawaaz aai....to sadiya palat kar use dekhne lagi aur dekhte hi chounk gai.....

Sadiya(hairani se)- tumne....par tumne kyo...kisliye...aur tum yaha kar kya rahhhhhhhhhhhh....aaaahhhhhhhhh.....

Sadiya baat bhi puri nhi saki uske pahle hi saamne khade saksh ne sadiya ki garden par chhura maar diya...

Sadiya tadapte huye us saksh par jhapti...aur uska girebaan pakadne lagi...par usne sadiya ko jaldi hi dhakka de kar piche gira diya.....

Aur thodi der me hi sadiya tadapte huye mar gai.......




Updates posted frnds.......

I hope u'll like it.........

Thanks & Enjoyeeeeeee...........
Badhiya updates Ankit bhai ab yah sala naya character Kaun a Gaya jisne Azad ko nipta diya. Aur yah Kaun hai jisne sadiya ko bhi nipta diya aur kyon Punam ko bandh Rakha hai abhi bhi bahut sare raste chupe hue hai.
 

Sweet_Sinner

Member
181
616
109
Ankit
Dost...sabse pahle to ye kahuga ki aap jaise readers ki wajah se hi story ko intresting banane me maza aata hai...Thanks

Ab aapka qus.....wo aourat new character nhi....old hi hai...story me aa chuka hai...but naam nhi bata sakta...aap samjhte hoge is baat ko...

Ye aourat last tak sath rahegi....aur haa..iska relation rakesh se nhi...

Rakesh ki kahani alka se judi hui hai....

Aur rahi baat alka-akash ki story ki....to ye dheere-dheere saamne aaygi...jaise alok ne bataya tha...aage koi aur batayga.....

Bas ek baat boluga,....agle kuch updates me kafi dushmano ka sach saamne aayga aur unka khatma bhi hoga....bas kuch hi rah jayge...ok

keep reading.....

Thanks buddy......
Ankit ji ....mast update tha....

Last scene se toh yahi lagta hai ki wo aurat ragini ( rajni ki behan) hai kyonki poonam ragini ke pass gai thi....

Aur mene aap se kaha bhi tha ki poonam kaha gayab hogai toh ab clear hai ki us ko ragini hi bandh ke rakha tha ...kyonki aur koi use kidnap karta toh uski mausi yah baat kisko toh baati ki uska kidnap ho gaya hai....aur wo aadmi ya toh uska pati ho sakta hai jo uske saath bandha tha ...

Aap ki kahani bahaut hi aachi jitni tarif kare kam hai ...par ek baat mujhe hamesh buri lagi jo ki mein phele bhi kaha tha...

ki aap hamesha ankit ki family ke log ko sahi sabit kartey jabki aazaad kitni dosto family ki aurato ke saath sex kiya...

Ab aap kahege ki aazaad unke saath jabardasti ya blackmail nahi karta tha ..auorat khud uske pass aati thi....

Par mera maana hai har jagah use nirdosh kahna sahi nahi hota ...

kyonki ye toh aisa hua ki koi chor aapke pass aake kahe ki chalo chori kartey...toh aap uske saath chori karney chal diye....

Aur jab policy ne aap ko pakda toh... aapne kah diya ki ye chor khud aaya tha mere pass mein thodi ise chori karne ka kaha tha..

isliye mein begunaah hu.....
 

Ankitshrivastava

Well-Known Member
3,946
11,203
159
  • Like
Reactions: Aakash.
Top