Update 30
Ramakant jab aman se baat kar liye tab wo alag se fir annu se bhi baat kar liye aman ka admission apne college me karane ke liye jo annu bhi chahti thi...to koi dikkat nahi aayi lekin ab sirf ek problem thi wo thi aman ke padhayi ka pisa koun dega...kyonki niraj ramakant aur annu tino taiyar the uska paisa dene ke liye magar aman sayad lene ko taiyaar nahi hota isliye tino sochne lage to annu boli- mai kuch kar ke use mana lungi..aaplog tension mat lijiye...
Aur fir isi tarah aaj ka din nikal gaya...naina to bahut has has kar aman se baat kar rahi thi bich bich me use gale bhi laga le rahi thi jo dekh dekh kar annu ko apne aap par aur naina par gussa aa raha tha...aur shaam me jab naina jaane lagi sabse milkar to annu ek baar naina ko sabse thodi door le gayi aur gusse me boli - dekh naina mere pati se door rah isi me teri bhalayi hai nahi to fir mai ye maan lungi ki tum mere personal matter me ghis rahi ho jo na tumhare loye achha hoga na mere liye...
Naina - agar aap itna hi aman ko chahti hai to aapko apne pyaar par bharosa hona chahiye...aaj aap mujhe darakar unse door kar dogi...lekin aap kitno ko aman se door karogi...
Ye sunte hi annu ko bahut boora laga lekin wo khud ko sambhalte hue boli tu door rah bas....
Aur annu chali gayi...
Idhar jahan naina khush thi wahi annu pareshan thi naina ki baton se...aur wo gusse me nikita aur niraj ke room me ghus gayi...
Annu - bhabhi ye sab kya chal raha hai...aapko pata hai mai apni galti maan rahi hoon to fir bhi aap naina ki shaadi aman se kyon karana chahte hai...
Nikita - tu agar apni galti maan rahi ho to tumko gussa hone ki kya jarurat hai...aman ko is baat ka yakin dilao...aur use fir se hasta khelta hua banao...usse pyaar karo itna pyaar karo ki tumko mujhse , naina se darne ki jarurat na pade balki tumhe apne pyaar par bharosa ho...