• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai

kingkhankar

Multiverse is real!
6,385
14,208
188
Update 37
Aaj se aman ka college suru ho gaya .. aman bade man se padhne laga aur lunch time me wo store room jakar wahan ka bhi kaam dekh aaya....ek class uski annu bhi leti thi...aur uske college ka karwa saath hi jindagi ka bhi karwa chal pada...ab aman aur annu aur bhi najdik aane lage...lekin jyadatar kosise annu hi karti thi...aman bas annu ki khubsurati ko niharta aur fir apne kaam me lag jata...aise hi ek mahina bit gaya....
Annu sochi agar is raftaar se uska romance chala to suhaagraat tak pahuchte pahuchte jindagi nikal jayegi...kyonki itne dino me use aman se ek kiss bhi nahi mili....uski akhiri kiss aman ke ghar me hui thi...jo uski pahli kiss bhi thi...
Annu sochi ab bahut ho gaya ye chupam chaupayi ka khel..aaj to mai direct hi use pakad ke pyaar karungi....use jo bolna hai bole....aur aaj raat usne tay kar liya jo hoga dekha jayega...aur jab saare kamo ke baad raat me annu aur aman bed par lete hi the ki annu aman ke upar chadh gayi...aur use chumne lagi.....
Aman - dekhiye ruk jaiye....ye galat hai...
Jab annu ne suna ye galat hai..to rook gayi...
Annu - akhir kyon galat hai...aap mere pati hai mai aapki patni hoon...pati patni me pyaar kahan se galat ho gaya....itne din ho gaye...humne aaj tak suhaagraat bhi nahi manaya hai...aur kitne din aise hi chalega....aap mujhe pyaar nahi karte to mujhe kabhi kabhi dukh bhi hota hai...kabhi kabhi lagta hai kahin mai aap par koi julm to nahi kar rahi...kahi aap sirf mere khushi ke liye bas is riste me to nahi hai.
Ye bolte hue annu ki ankhon me ashoon aa gaye...
Aman apne hathon se annu ke ashuon ko pochte hue bola - dekhiye aapne hi to kaha tha na jab tak mai aapke layak na ho jau aap mujhse door rahna chahte hai...ab aap hi bataiye kya ye sahi hoga agar mai apna promise poora kiye bagair aapke saath ye sab karoon....
Annu - wo to maine tab bola tha na....ab mai bol rahi hoon mai taiyar hoon...
Aman - lekin mai taiyar nahi hoon...jaruri nahi ki is riste me sirf mere hi sapne poore ho....mujhe ghar mil jaye ..mera bike mil jaye....mujhe noukari mil jaye....ye sab to sirf mujhe milega...aapko kya milega...aapne bhi to sapne dekhe the ki aapka pati padhne me bahut achha ho....bahut tej ho...aur videsh me well settle ho...
Annu - mujhe ab videsh nahi jana ...mai yahi rahna chahti hoon...aur khabardaar jo ab videsh ki baat bhi ki to...
Mai -lekin baaki sapno ka kya...isliye mai chahta hoon humari suhaagraat tab hi ho jab mujhe ek achha sa job lag jaye....
Annu ab kya bolti usne to kabhi socha hi nahi tha ki aman us se kitna pyaar karta hai aur kitni door ki soch rakhta hai....
Annu - thik hai agar aap yahi chahte hai to ye hi sahi lekin kam se kam kiss to mil hi sakta hai mujhe...ye bolkar apni anshuon se bhare palko ke saath aman ke upar aa gayi aur use kiss karne lagi...aman ne bhi usko thode der kiss kiya....is kiss ke douran annu bas roti hi rahi aur uparwale ka sukriya karti rahi...kyonki itna achha itna sachha aur itna pyaar , care karne wala pati use mila hai...fir dono so gaye....
Fir agle din se regular kaam suru hua dono ka bas ab kabhi kabhi aman ko bhi jab annu pe pyaar aata tha to use kiss kar leta tha thodi bahut masti annu ke saath kar leta tha...aur aise hi do saal bit gaye...in do saalon me dono saal aman poore college me top aaya jo dekh kar annu ko bhi kafi khushi hui...uske baad aman aur annu dono ne ek sarkari officer ke post ke liye form bhara aur dono pati patni saath me taiyari ki aur dono ka hi selection bhi ho gaya...ab dono ka interview hona tha...annu jahan bahut confident thi wahi aman dara hua tha...khair dono ka interview ho gaya ab do mahine baad result aana tha..sab chije achhi ja rahi thi lekin annu ko bas ek afsos tha ki aman ab pahle ke jaisa nidar nahi tha...jo aaj ke interview me bhi dikha aur aise hi din bitne lage.....idhar aman ne man lagakar kaam karke store room me bhi kaafi improvement karwa diya tha aur ab aman ke under 10 log kaam karte the...aman ki salary bhi 25 hazar se 50hazar ho gaya tha aur abhi hi kuch din pahle niraj aur nikita bhi isi sahar me shift ho gaye the aur niraj bhi amam ka haath batane laga tha papa ki business me ....aur fir aaya result jisme 1st thi annu aur 2nd tha aman...
Aman ko to bas is baat ko khusi thi uska selection ho gaya wahi annu ko is baat ka dukh tha ki aman interview me dar gaya tha is liye uske kam number aaye aur wo 2nd aaya....
Aman - chaliye aaj party karte hai...pawan ko niraj bhaiya aur nikita bhabhi ko bhi bula lete hai..
Annu - thik hai...
Uske baad annu aur aman bike par chal diye hotel....abhi pawan bhi aa gaya tha....aur ye log niraj aur nikita bhabhi ka wait kar rahe the ek table par ...ki tabhi bagal se 4-5 manchale ladke gujar rahe the....wo log jab annu ke dekhe to bina comment kiye nahi rah paye...
Ladka 1 oyeee hoyeee kya mast pataka hai...
Ladka 2 oye madam humare saath chalo maze kara dunga...
Ye sunte hi pawan abhi khada hone hi wala tha ki aman pahle khada ho gaya...
Aman - dekhiye mai aap sab se vinti karta hoon please hume preshan mat kijiye...ye humari patni hai...
Ladka 3 patni hai to kya hua maal to hai bhej de humare saath....
Abhi ladkka ne itna hi kaha tha ki annu uthi aur chattakkkkkkk se ek chata jad di us ladke ke gaal par....
Tabhi ek aur ladka aaya aur annu ka haath pakad liya aur mod diya...
Annu ke haath me dard hone laga... .ye dekhkar aman ka khoon khoulne laga...akhir khoule bhi kyon na...jo kabhi anjaan ladkio ke liye bhi lad jata tha...aur gaav se lekar college tak na jane kitne logo se lada hai .... khoon to khoulega hi... koi uski patni ko dukh de...
Aman gusse se us ladke ko dekha aur bola - tune galti to kar si beta....ab dekh mai kya karta hoon..
Idhar pawan bhi uth kar taiyar ho gaya tha...aur dhammmm dhammmmm karke do awaze aayi....pahla laat mara pawan ne ek ladke ko jo door jakar gira aur dusra mara tha aman ne....jisse wo jo annu ka haath pakda tha piche wale table se takra kar gira...
Aman aage badha aur gire hue ko uthaya aur uska haath mod diya aur gaali dete hue bola - dekh mai kya karta hoon tera...ye bolkar table par rakhe pani ke jug ko uthaya aur uske kandhe par mara....aut wo jor se chikha...idhar pawan apna favourite kaam me lag gaya ... pepsi ki bottle utha utha kar bakio ki sar par tod raha tha...aur aman idhar us lounde ki jam kar thukayi ki...fir aman ek baar belt kholkar pancho ki thukayi ki...aman gaaliyan de de kar pancho ko bajaya...bich bich me pawan bhi haath saaf kar liya...ye dekhkar annu bahut khush thi...aur un manchale ladko ka man me sukriya ada kar rahi thu...kyonki annu ko pata chal gaya tha uska purana nidar aman mil chuka hai use....fir wo pancho annu se maafi mange aur chale gaye...dihar niraj aur nikita bhi aa gaye...sab milkar party kiye aur annu aman ke saath ghar aa gayi...
Superb update writer ji.?
 

Vikram Bhosle

...................
1,647
3,187
159
Lovely Story

:heart:
 

kingkhankar

Multiverse is real!
6,385
14,208
188
One of the best stories in this forum.
Likhne ka style and the pace of the story were unique.
Kudos to the writer for this excellent story
:bow::bow::bow:
 

Riverman

Member
259
3,295
123
,zx
 

tpk

Well-Known Member
12,757
17,218
228
pl continue
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
34,590
151,168
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hind section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top