- 17,679
- 60,574
- 244
Update 74Aryan apna gussa shant karke jaldi se apni team ko call karke apne paas aane ko bolta hai.
Thodi der baad uski team waha aajati hai.
Aryan: Krish jaldi se jaldi inn aadmiyon ki height weight ke same aadmi ko jama karo.
Krish: Yess sirr.
Aryan: Avinash inko abhi ke abhi thikane laga do.
Avinash: Yes Sir.
Aryan: Radha jaldi se 9 bullet proof jacket ka arrange karo. Size Bhaiya,bhabhi Ritika, Meera soniya, Didi,Raj,mummy,papa
Radha: Yes Sirr.
Krish: Sir aadmi kuch der mein aarahe hai hai.
Aryan: Okk. Kiran jaldi se commandos bomb squad ko contact karo aur unko bolo bomb plant hochuka hai. Unko bolo Red Fort aur uske aas paas ke ilaake mein Kutubminar aur yaha ke 4 sabse bhidd wali jagah pe jaayee bomb wahi pe hai.
Kiran: Sir baaki jagah toh thik hai par Delhi mein bahot saari bhidd bhaad wali jagah hai kaha kaha bhejenge.
Aryan: List banao saari bhidd wali jagah ki. Aur har jagah pe bhejo. Blast parade start hojayega tab hoga. Radha koshish karo abhi agar PM se baat ho sakti hai toh.
Kiran aur Radha: Yess Sirr.
Thodi der mein Krish ke aadmi aajate hai. Toh Aryan apna Black Beast ka mask pehen leta hai.
Aryan: Krish inko iss address pe gun ke saath terrorist ke look mein apna chehra chipa ke bhejna hai. Tum taiyaari karo.
Aur aaplog waha pe bilkul terrorist jaisa hi behave karenge. Aur iss address se innlogo ko kidnap karenge( Apni family ki dikhate hue.). Aur waha pe le jaake innsab ko baandh denge. Sivaay isko chorr ke(Suraj ki photo dikhate hue) aur inn sab ko koi bhi takleef nhi honi chahiye. Aur haa iss aadmi ki saari baate maani hai yeh jaisa kahe waisa karna. Aur jab tak waha pe yeh ladka(Aryan) ishara naa kare natak jaari rakhna hai.
Aryan: Toh aaplog samaj gaye kya karna hai.
Aadmi: Haa sir hum samaj gaye. Hum sambhal lenge aap tension mat le.
Aryan: Thikk hai. Aap sab 9 baje kidnap karenge.
Aadmi: Okk Sir. Phir saare aadmi waha se nikal jaate hai.
Krish aur Avinash tumlog waha cover safety dogee. Hosakta hai kuch aur aadmi bhi waha ho. Aur hosakta hai inmein se bhi koi usse mila ho aur haa innsab ko nakli goliya wali gun dena aur inko pata mat lagne dena humhe inpar shak hai. Aur apne sabse vishwaas waale aadmi ko lekar hi waha jaana.
Dono: Okk Sir.
Radha: Sir PM sir call mein hai.
Aryan: Sorry Sir aapko itni raat ko disturb kiya but its an emergency.
PM: Mr. Aryan desh ke liye hum harwaqt ready hai. Aap bataiye hum kya kar sakte hai.
Aryan: Sir kal parade start hoga tab blast hoga. Toh sir meri aapse request hai jab tak bombs milte nhi aur unko dispose nhi kiya jaata aap President Sir, VIPs, Ministers Red Fort naa aaye. Meri team aapko inform kardengi usske baad aaplog aaye.
PM: Mr. Aryan. Hum waha humari laakho ki janta ko khatre mein kaise chorr sakte hai.
Aryan: Sir unko kuch nhi hogaa. Kyoki agar aap aaplog aagaye toh flag hosting,function, parade start hojayega tabhi saari jagah ek saath bomb blast hoga. Isiliye aapse request hai jab tak meri team aapse contact naa kare aaplog naa aayee. Aur kal hi uss group ke boss ko khatam karengee.
PM: Okkk. Mere kisi bhi desh wasi ko kuch nhi honaa chahiye aur uss deshdrohi ko buri se buri maut dijiye. Best of Luck.
Aryan: Thank You Sir. And HAPPY INDEPENDENCE DAY Sir.
PM: Jab aap kal uss deshdrohi ko khatam kar saare desh ko uske aatank se mukt karayenge tabhi INDEPENDANCE DAY hogaa Mr. Aryan. Mujhe aur saare desh ko intezaar rahega aazadi kaa.
Aryan: Jarur sir. Good Night Sir.
Phir call cut hojaata hai.
Kiran: Sir saare bomb squad aur army, commandos har jagah pahonch gaye hai aur saari jagah pe achhe se khoj start hogyi hai.
Aryan: Good. Unko bolna agar bomb dispose naa ho toh unnsabko pichli baar ki tarah aisi jagah le jaaye jaha agar blast hota bhi hai toh kisiko koi nuksaan naa ho.
Kiran: Okk Sir.
Radha: Sir bullet proof jacket ke liye aapko humare base pe chalna hoga.
Aryan: Thik hai chalo phir wahi se main ghar nikal jaungaa. Krish aur Avinash kal tumlog time se waha pahonch ke cover karnaaa. Kyoki mujhe aisa lag raha hai innlogo mein se koi usse mila hua hosakta hai.
Dono: Okk Sirr.
Aryan: Kiran commandos army bomb squad sabse connect raho aur har pal ki info mujhe deti rehna.
Kiran: Okk Sir.
Phir Aryan aur baaki sab nikal jaate hai. Aryan base mein jaata hai aur bullet proof jacket leta hai aur ghar aajata hai.
Aryan jab ghar aata hai tab bhi andhera hi thaa par woh chupte hue hi andar jaata hai. Woh sabse pahle apne room mein jaata hai toh dekhta hai Meera aur Ritika so rahi hai. Dono behene ekdusre se chipak ke so rahi thi. Aryan ko unko dekh kar bahot pyaar aata hai woh jaake unko kiss karta hai. Jisse unke chehre mein neend mein hi ek muskaan aajaati hai. Phir Aryan fresh hoke hone jaata hai.
Jab Aryan fresh hoke aata hai toh Kiran call karke batati hai 4 bhidd wali jagah mein se 1 jagah safe hogayi hai aur aadmi ko pakad liya hai. Usse pata chalta hai har jagah blast ke liye aadmi hai.
Aryan ko yeh news sunke ek relieve milta hai. Phir woh jaldi se Radha ko call karta hai.
Aryan: Radha dekho Suraj Malhotra iss waqt kya kar raha hai aur mere saath connect raho.
Radha: Sir iss waqt bed pe leta hua hai.
Aryan: Thik hai. Agar apne kamre ke bahar aaye toh mujhe turant bolna main jaldi se sabko jackets de deta hu.
Radha: Okk Sir.
Nice update bhaiUpdate 71Agle din plan ke mutabik Aryan ne Ankit ko ek jagah ka address msg kardiya aur unko waha laane ko bola.
Ankit aur Ragini bhi plan ke mutabik unko waha le jaane lagte hai.
Neha: Bhaiya bhabhi bataiye naa aaplog humhe kaha le jaarahe hai.
Rashmi: Haa beta bolo naa.
Ragini: Bas kuch waqt rukh jaaiye aaplogo aaj bahot kuch milne wala hai.
Kuch der baad woh log Aryan ki batayi jagah pe aajate hai.
Wohlog ek ghar ke andar aate hai. Ghar mein puri tarah se andhera tha. Tabhi waha ek projector chalta hai jisme Vikram Rashmi aur Neha ki Aryan ke saath Happy Moments ke tasveer dikh rahi thi.
Woh teeno yehsab dekh ke pahle toh shock hote hai phir jaise jaise projector aage chalta hai waise waise unki aankho se aansu girne lagte hai. Unko Aryan ke saath bitaye har ek pal yaad aane lagta hai. Usme Aryan ki unke saath bachpan se lekar 17 saal tak ki har tasveer thi.
Achanak se lights onn hoti hai aur unke saamne Aryan Meera aur Ritika khade the. Waha khade sabhi ke aankho mein aansu the.
Aaj Rashmi se control nhi hota woh jaake Aryan ke pairon mein girne lagti hai toh Aryan usko pakad ke apne seene se laga leta hai.
Aryan: Yeh aap kya kar rahi hai Mummy. Yeh sab karke mujhse ek aur paap mat karwaiye. Pahle hi bina wajah aaplogo se nafrat karke aaplogo se badtameezi karke ek paap karchuka hu. Mujhe maaf kardijiye mummy main ek achha beta nhi ban saka.
Rashmi: Kya bola tune mujhe. Wapas bol. Taras gayi hu tere muh se yeh sabd sunne ke liye. Please beta wapas bol.
Aryan: Mummy Mummy Mummy.
Rashmi rote hue Aryan ke seene se lag jaati hai. Aryan bhi unko seene se laga ke rone lagta hai. Aaj kitne saal baad maa bete gale mile the. Unka rona rukh hi nhi raha tha. Waha khade sabhi ke aankho mein aansu the.
Rashmi: Aryan mera beta. Mujhe maaf karde beta main ek achhi maa nhi ban paayi. Mujhe apne bete pe bharosa karna chahiye thaa. Mujhe maaf karde. Yeh bol woh wapas rone lagti hai.
Aryan: Nhi mummy isme aaplogo ki koi galti nhi thi. Woh haalaat hi aise hogye the. Aap mujhe maaf karde maine aap ke saath bahot badtameezi ki. Kya kya nhi kaha aapko. Please mujhe maaf karde.
Rashmi: Nhi beta tune kuch galat nhi kiya tha. Maine jo kiya tha uski yahi saza thi. Tu maafi mat maang. Yeh keh ke wapas uske seene se lag jaati hai.
Neha: Bhaii kya mujhe maaf nhi karegaa.
Aryan: Didi. Yeh bol woh apne baahe faila deta hai.
Neha rote hue daud ke aati hai Aryan ke seene se lag jaati hai.
Neha: Tere muh se yeh didi sunne ke liye taras gayi thi. Mujhe maaf karde bhai. Main bahot buri hu. Maine tujhe kitna maara kitna rulaya. Aur sabse bada paap toh yeh kiya maine tujh par kitna ghinona ilzaam lagaya. Mujhe maaf karde bhai.
Aryan: Nhiii didi. Aisa naa bolo. Aap meri sabse achhi didi ho. Aur aapne kuch nhi kiya tha. Aur aap bhi mujhe maaf karde maine aapke saath bahot bura kiya. Aapko kitna kuch bola aur toh aur aapko maara bhi tha. Please mujhe maaf karde didi.
Neha: Nhi bhai. Tune bilkul sahi kiya thaa mujhe maar ke. Agar tune mujhe pahle hi maara hota toh shayad yeh din naa aata.
Yeh kehke dono bhai behen ek dusre ke gale lagke rone lagte hai.
Phir Aryan waha se Vikram ke paas jaata hai jiske aankho mein bhi aansu thee.
Aryan: Papa. Aryan ne itna hi bola tha ke Vikram ne usse jhatt se gale laga liyaa.
Vikram: Mujhe maaf karde mere bete. Main ek achha baap nhi ban saka. Ek baap apne bachho ka saath kabhi nhi chorta. Par maine toh tera saath uss waqt chora jiss waqt tujhe sabse jyaada jarurat thi. Mujhe maaf kardee.
Aryan: Nhi papa. Aap bade hai. Aap aisa naa bolee. Aaplogo ne koi galti nhi ki thi. Yeh sab toh humhe alag karne ke liye kisine sajish ki thi. Aur woh usme kamyaab bhi hogya. Isme aaplogo ki koi galti nhi thi. Aap mujhe maaf karde. Maine apne papa ke saath badtameezi ki. Jab maine aapke saath badtameezi ki tabhi aapko mujhe maarna chahiye thaa mujhe chote bade ka fark dikhana chahiye thaa. Mujhe maaf kardijiye papa.
Rashmi: Kya kaha kisi ne Sajish ki thi humhe alag karne ki.
Aryan: Haa mummy. Aur bahot jald main usko uske kiye ki saza dungaa.
Vikram: Kisne kiya yeh kaam beta. Main usko chorunga nhi.
Aryan: Abhi mujhe shak hai papa par bahot jald mujhe saare proof mil jaayenge.
Vikram: Woh kaun hai.
Neha: Mr. Suraj Malhotra.
Aryan: Didi aapko kaise pata.
Neha: Bhai yaha pe sab hai sivaay unke. Aur unko tere ghar chorne ka koi dukh nhi thaa. Tere nafrat karne se koi fark nhi padha.
Vikram: Kyaa yeh sab Suraj ne kiyaa hai.
Aryan: Maine kaha naa papa mujhe shak hai.
Rashmi: Toh kya Meenakshi bhi.
Aryan: Pata nhi mummy unka kuch keh nhi sakte. Isiliye unke saamne main aaplogo se nafrat hi karunga. Kyoki agar woh innsab ke pichhe hai toh shayad wapas kuch kar sakte hai.
Rashmi: Ab humse aur sehan nhi hogaa betaa. Hum ab tere se durr nhi reh sakte.
Vikram: Aryan sahi bol raha hai Rashmi agar humhe humesha saath rehna hai toh humhe yeh karna hi hogaa.
Aryan: Meera Ritika yaha aao.
Meera aur Ritika waha aate hai sabse pahle toh dono Rashmi Vikram aur Neha se haath jodd ke maafi maangte hai. Kyoki inndono bhi unke saath bahot badtameezi ki thi.
Rashmi aur Neha toh dono ko gale laga leti hai aur Meera ko congratulate bhi karte hai.
Ankit: Kyaa ab mujhe bhi thoda sa maa papa aur behen ka pyaar aur maafi milegi.
Teeno Ankit ko gale lagate hai.
Rashmi: Vikram aaj humara parivaar pura hogyaa. Humhe mere bachhe wapas mil gaye. Humhe dada dadi banne ka sukh mila.
Vikram: Sahi kaha Rashmi. Aur innsab se humhe ek sikh bhi mili. Humesha pahle apno par vishwaas karna chahiye. Warna rishte tootne mein time nhi lagta.
Aryan: Mummy aaplog Meera ka dhyaan rakhiyegaa. Kyoki hosakta hai humare bachhe ko nuksaan pahochane ki koshish kar sakta hai.
Neha: Jo mere bhatije ya bhatiji ki taraf aankh utha kar dekhega usko wahi jaan se maar dungi.
Ragini aur Ritika: Sahi kaha jo humare bete ko takleef dega usko chorenge nhi.
Rashmi: Tum chinta mat karo beta hum humare khandaan ke warish ka aur bahu ka pura khayal rakhenge.
Aryan: Bas aaplog kuch din tak iss nafrat ke natak ko sehan kijiye bahot jald sach sabke saamne aajayega.
Ankit: Chaliye ghar chalte hai. Papa aap maa aur Neha ko leke jaaiye. Main Ragini ke saath aata hu.
Vikram: Thik hai. Chalo.
Phir sablog ghar ki taraf nikal padhte hai.
Ghar pahonch sab pahle ki tarah hi behave karte hai bas issbaar Rashmi aur Neha Meera ka kuch jyaada hi dhyaan rakhte hai.
Meera: Mummyji pahle hi innlogo ne itna khilaya hai aur ab aaplog bhi wahi kar rahi hai.
Rashmi: Meera iss haalat mein bachhe ko taqat uski maa se hi milti hai. Tum jitna apna khayal rakhogi bachha utna fit rahega isiliye chup chap khao. Aur Ragini Ritika tumlog kab good news de rahe ho.
Ragini aur Ritika: Mummyji humne aisa kuch socha nhi hai abhi tak.
Rashmi: Aree toh jaldi socho.
Meera: Khaate hue. Haa jaldi socho phir aaplogo ke saath isse bhi jyaada karungi main.
Sablog hasne lagte hai. Tabhi waha Suraj Malhotra aajata hai. Jisko dekhte hi sabki aankho mein gussa utar aata hai. Sabse jyaada toh Rashmi Neha aur Aryan ke. Par woh control karte hai.
Raat ko khaane ke baad sab apne apne kamre mein chale jaate hai.
Ab dekhna to devil BAHI k hat me wo kB dekhty hinAb dekhte hai Aryan ka game plan sahi hota hai yaa galat
Update 75Aryan jaldi se Neha ke kamre mein jaake knock karta hai.
Neha neend mein hi door kholti hai aur apne saamne Aryan itni subah dekh kar shock hojaati hai.
Neha: Bhai tum itni subah sab thik hai naa.
Aryan: Haa didi sab thik hai pahle andar chaliye kahi koi dekh naa le.
Phir Aryan andar aata hai aur Neha ko uska jacket deta hai.
Aryan: Didi aaj Suraj Malhotra ka khel khatam hoga. Aur humsab ko kidnap karega include me and my wifes.
Neha: Kyaaa. Toh bhai humhe police mein bol dena chahiye.
Aryan: Don't worry didi. Aap tension naa lo. Maine sab handle karliya hai. Aap bas yeh jacket chupaka pehen lena. Aur aaj jaisa bhi hota hai hone dena jab aap sabka kidnap hoga toh aisa react mat karna ke aaplogo ko sab pata hai.
Neha: Bhai mujhe darr lag raha hai. Agar kisi ko kuch hogya toh. Upar se Meera ki halat.
Aryan: Didi bola naa tension matlo. Maine sab handle karliya hai. Aur Suraj Malhotra bhi humlogo ke saath hi kidnap hone ka natak karega jab tak humlog uski jagah mein naa pahonch jaaye.
Neha: Thikk hai bhaiii.
Aryan: Main mummy papa aur baaki sabko bhi de deta hu. Aur aap tension bilkul mat lena. Suraj Malhotra lo lagega sab uske hisaab se horaha hai par game maine badal diya hai. Usko range haatho pakad ke maarna hai isiliye yeh natak karna hai. Aur mere aadmi waha hongee woh kisi ko kuch nhi hone denge.
Neha: Thikk hai bhaii. Bas tu sambhal lena. Kisi ko kuch mat hone denaa.
Aryan: I Promise kisi ko kuch nhi hoga aur aajke baad humsab eksaath hongee.
Phir Aryan waha se apne bhaiya bhabhi phir mummy papa ke paas jaake unko bhi jacket deta hai.
Radha: Sir Suraj Malhotra apne room se bahar aaraha hai.
Aryan: Thik hai. Main dekhta hu ab tum call rakh sakti ho.
Aryan jaldi se apne parents ke room se nikal ke kitchen mein chala jaata hai. Suraj Malhotra bhi wahi aata hai. Woh Aryan ko dekh kar hi aag babula hojaata hai. Phir kuch soch kar ek kamini muskaan ke saath puchta hai.
Suraj: Kya baat hai Aryan itni subah subah yaha pe.
Aryan uski hasi dekh leta hai par uski baat ka koi jawaab nhi deta aur waha se nikal jaata hai.
Suraj: Bas kuch ghante aur phir tu humesha ke liye chup hojayegaa yeh bol woh hasta hai. Phir paani leke apni kamre mein chala jaata hai. Uske jaane ke baad Aryan Soniya ke room mein jaata hai.
Aryan jab Soniya ke room mein jaata hai toh woh dekhta hai woh ek gudiya ko apne seene se laga ke sorahi hai. Aryan ko uski masoomiyat pe bahot pyaar aata hai. Woh jaake usko kiss karke uthata hai.
Soniya: Apni aankhe band karke hi. Kya hua bhaiya abhi kyo uthaya abhi toh subah bhi nhi hui aur aaj toh chutti bhi hai mujhe sone do Good Night yeh bol woh wapas so jaati hai.
Aryan: Gudiya utho tumse jaruri kaam hai. Utho gudiya.
Soniya: Rote huee. Kya baat hai bhaiyaa sone do naa. Bahot neend aarahi hai.
Aryan: Gudiya please meri baat sunlo. Phir so jaana.
Soniya: Apne aankhe khol ke. Boliye kya hua.
Phir Aryan usse sab samjhata hai achhe se. Aur usko uska aur Raj ka jacket deta hai.
Soniya: Bhaiyaa kuch hoga toh nhi naa. Mujhe bahot darr lag raha hai.
Aryan: Aree tum toh meri bahadur gudiya ho aur daro mat. Main hu naa. Main kuch nhi hone dungaa. Aur Raj ko kuch mat batana woh darr jayega bas usse yeh jacket kaise bhi karke pehna dena aur aisa pehnna jisse koi dekh naa sakee. Thik hai.
Soniya: Thik hai bhaiyaa.
Phir Aryan waha se apne kamre mein aata hai toh dekhta Meera aur Ritika uth chuki hai aur baith ke baate kar rahi hai.
Ritika: Kaha gaye the. Aur ghar kab aaye.
Aryan: Bas aajki taiyaari karne gaya tha tumlog kab uthi.
Meera: Hum abhi abhi uthe hai aur kaisi taiyaari. Aur sab kuch thik hai naa.
Aryan: Abhi kuch keh nhi sakte. Bomb squad commandos army apne apne kaam mein lage hue hai abhi tak bas ek bomb hi paaya gaya hai. Baaki ka kuch pata nhi. Aur aaj yaha pe bhi bahot khatra hai.
Ritika: Yaha pee. Yaha pe kya khatra hai.
Aryan phir unhe sab batata hai. Jisse sunn woh bhi thoda tension mein aajati hai.
Meera: Aryan kuch hoga toh nhi naa. Humhe kuch hojaaye parwa nhi par humare bachhe ko toh kuch nhi hogaa naaa.
Aryan: Meera ko gale lagate hue. Nhi Meera kuch nhi hogaa main hu naa main humare bachhe ko aur humare parivaar ko kuch nhi hone dungaa. Tum daro mat. Bas jaisa plan kiya hai waisa hi karna. Baaki sab main sambhal lunga. Aur please tum koi action mat karna. Ritika iska dhyaan rakhna yeh koi action naa kare.
Ritika: Tum tension mat lo. Main didi ka aur humare bachhe ka pura dhyaan rakhungi. Waise nikalna kab hai.
Aryan: Ab yeh toh Suraj Malhotra decide karega. Humhe toh pahle nhi jaane ka natak karna hoga. Aur woh humhe kisi bhi halat mein leke jayega.
Tabhi Aryan ko Kiran ka call aata hai.
Kiran: Sir aur 2 jagah se bombs mil chuke hai. Par Red fort aur uske aas paas ke jagah aur Kutubminar ke waha se nhi milaa.
Aryan: Kiran unko bolo aur achhe se search kare. Agar bombs nhi mile toh sabkuch tabah hojayega. Humari saari mehnat barbaad hojayegi.
Kiran: Woh apni puri koshish kar rahe hai sir. Aur toh aur CBI special police force bhi PM ke order pe humhe join karchuki hai.
Aryan: Thats great. Bas ekbaar saare bombs dispose hojaaye phir iss Suraj Malhotra ko bataunga. Tumlog bhi apna dhyaan rakhnaa. Aur ek medical team ko har jagah appoint karo.
Kiran: Okk sir.
Phir call cut hojaata hai.
Ritika: Aryan tum puri raat nhi soye kuch der so jaao. Tumhare calls hum sambhal lenge.
Aryan: Abhi mujhe neend nhi aayegi Ritika. Jab tak situation normal nhi hojaati.
Meera: Tum sona mat bas kuch der aaram karlo. Maana tumhe takawat nhi hogi. Par phir bhi thoda rest karlo. Calls hum dekh lenge.
Aryan: Thikk hai.
Phir Aryan thodi der aaram karne ke liye bed pe let jaata hai. Uska phone Ritika ne le liya.
Update 72Aryan sabke sone ke baad Neha ke kamre mein jaake usse baate karta hai par jab woh waha se nikal ke apne kamre mein jaata hai tab Suraj Malhotra usse dekh leta hai.
Suraj: Oo toh bhai ka pyaar wapas jaag raha hai behen ke liye. Issbaar kuch aisa karunga ke humesha ke liye hi yaha se nikal dunga. Ekbaar yeh yaha se nikle phir humesha ke liye hi isko iss duniya se nikal dunga. Aur yaha mere saare saathi pata nhi kaha chale gaye. Iss Black Beast ne toh mujhe barbaad kardiya. Koi bhi isse panga lena nhi chahta. Aur naahi kabhi kisi ne iska chehra dekha hai. Maarne ki koshish bhi ki toh har baar bach nikla. Aur woh Scientist bhi pata nhi apna formula kyo nhi bana rahe hai. Unka pura ghar chann mara naa koi data mila aur naahi kisi formula ke traces mile.
Lagta hai maut ke darr se banana chorr diya hai. Lekin ab main ek final attack karunga jisme woh Black Beast jarur phasega. Ekbaar woh Black Beast khatam hojaye phir innko dikhaunga.
Suraj gusse mein sab bolta jaaraha tha aur udher Base pe baith ke Radha sab sunn rahi thi. Kyoki jab Aryan ko Suraj ke baare mein pata chala tabhi usne ghar ke har kone mein Camera aur microphone chippa diye the. Jisse woh ghar mein harwaqt Aryan uski harqat pe nazar rakh sake.
Radha ne fauran Aryan ko call karke bata diya ke Suraj ne usse Neha ke room se nikalte dekh liya aur issbaar yeh koi final attack karne ka soch raha hai par kya yeh nhi pata.
Aryan bhi sochne lagta hai aakhir ab yeh kya karega. Iske drugs ka pura dhandha barbaad kardiya. Iske weapons smuggling ko bhi barbaad kiya. Infact iske saare dhandhe barbaad kiye hai. Aryan apna dimaag lagane lagta hai par uske dimaag mein kuch nhi aaraha tha. Woh yeh sochte sochte hi so jaata hai.
Agli subah woh uthta hai aur nichhe aata hai toh dekhta hai Suraj Malhotra bade gaur se TV dekh raha hai.
TV mein Independence day ki news aarahi hoti hai. Suraj woh news dekhta hai aur muskura raha hota hai.
Aryan jab yeh dekhta hai toh uski dimaag trigg karta hai.
Aryan man mein sochta hai. Kahi yeh Independence Day pe toh kuch karna nhi chahta. Kyoki ussdin Delhi mein saare Ministers,PM,President har bade se bada officer,lakho common people , media aur naajaane kitne police eksaath honge. Yeh sochte hi woh jaldi se nashta kar waha se nikal jaata hai base pe.
Aryan: Krish jaldi se apne khabri ko call karo aur usse bolo Suraj Malhotra ki ab pal pal ki report humhe de. Shayad uska final attack Independence Day ke upar hosakta hai. Aur use yeh pata lagane ko bolo uske paas aisa kaun sa weapon hai jisse agar woh yeh karna chahe toh kar sakta hai.
Krish: Yes Sir.
Aryan: Radha jaldi se Raw Cheif se contact karke yeh news unhe do aur unhe bolo PM se baat kare aur unse bolo woh Army se contact kare aur humhe join karne ke liye bole. Agar woh humare saath aaye toh bahot badi baat hogi. Kyoki usdin Red Fort pe Army hi sabkuch sambhalegi. Toh usse humhe bahot madad milegi aur hum waha pe apna jaal bichha payenge.
Radha: Okk Sir.
Sab apne apne kaam mein lag jaate hai.
Aryan: Avinash apne kuch aadmi jo bharose mand ho unhe meri family ki security ke liye 24 hrs unke pichhe laga do aur unse bol do agar kuch bhi garbar lage sidha action le. Aur uske jitne bhi aadmi abhi azaad hai sabpe nazar rakho. Ab unko uthana nhi hai sabko thokna hai.
Avinash: Okk Sir.
Aryan: Kiran tum Malhotra Group of Companies mein jao as a PA of Ankit Malhotra aur waha pe har chiz pe nazar rakho. Kuch bhi galat lage toh usko sambhal lena.
Kiran: Thik hai sir.
Krish: Sir aapka andaza sahi tha yeh log bahot din se Independence day ko leke baat kar rahe hai. Aur abhi inke paas bahot jyaada amount mein RDX hai. Jisse yeh pure Delhi ko udaa sakte hai. Par woh aisa karega nhi kyoki yaha pe woh bhi rehta hai. Aur uske aadmi bhi. Isiliye shayad yeh Red Fort aur uske agal bagal ke area ko hi blast karna chahega. Aur shayad famous places mein bhi.
Aryan: My God. Ek kaam karo saare bomb disposal squad ko Delhi ke famous jagah jyaada bhidd wali jagah aur Red Fort ke charo taraf rehne ko bolo. Aur unhe aise rehne ko bolna jisse public mein koi problem naa ho.
Krish: Okk Sir.
Radha: Sir Raw Cheif se baat hogyi hai. Aur unhone Army se bhi baat karli hai. Aur woh humare saath hai. Aapko unka call aayega. Aap unse baat karlijiyega.
Aryan: Okk. Main nikal raha hu. Aur Suraj Malhotra ke har harqat pe nazar rakho koi bhi problem ho toh mujhe bolna aur haa Meera Ritika ke upar bhi dhyaan rakhna hosakta hai koi unko harm kare.
Isbaar iss group ko puri tarah se khatam karenge.
Phir Aryan waha se nikal ke Harish ko call karta hai aur unko bhi alert rehne ko bolta hai aur Sanjay Sanjana ki Safety ka bhi dhyaan rakhne ko bolta hai.
Phir usko Army Cheif ka call aata hai woh unse baat karke sab final karta hai aur best commando ko civil form mein pure Red Fort aur uske aaspaas rehne ko bolta hai.
Phir woh office jaata hai waha thoda bahot kaam dekhta hai aur wapas ghar aata hai. Meera aur Ritika bhi college se wapas aachuki thi.
Meera Ritika Aryan ko tension mein dekhti hai toh usse baat karne ka sochti hai.
Woh apne room mein aake.
Meera: Kya baat hai aaj humara sherr tension mein hai.
Aryan: Haa isbaar khatra bahot jyaada hai. Suraj Malhotra ne isbaar bahot bada plan kiya hai.
Ritika: Kyaa kiya hai usne issbaar.
Aryan usko sab batata hai. Jisse sunn Meera Ritika bhi tension mein aajati hai.
Dono: Toh ab kya karne ka socha hai.
Aryan: Maine taiyaari toh karli hai. Army se bhi baat hogyi hai. Par ek choti si galti bhi sab tabah kardegi. Aur agar pichhe se usne yaha kuch kardiya toh pata nhi kya hoga upar se ab tumhari halat bhi thik nhi hai.
Meera: Aryan humhe apni kamzori nhi taqat samjho. Tum bhool rahe ho humare andar bhi wohi hai jo tumhare andar hai. Infact humare bachhe se andar tumse jyaada hai. Isiliye humari fikr choro aur iss paapi ko khatam karo. Issbaar isse chorna mat.
Aryan: Issbaar yeh iska last plan hoga. Uske baad yeh kabhi kuch nhi kar payega.
Phir Aryan thoda rest karta hai phir nichhe aake dinner karta hai. Neha bhi Aryan ko tension mein dekhti hai par kuch keh nhi paayi.
Raat ko sabke sone ke baad Neha khud Aryan ke room mein jaati hai.
Ritika: Aree didi aap itni raat ko sab thik hai naa.
Neha: Wahi toh main tumse puchne aayi hu Ritika sab thik hai naa.
Ritika: Main samjhi nhi didi.
Neha: Aaj bhai itna tension mein kyu hai.
Ritika: Aree woh woh toh usko thoda sir dard tha aur didi ko leke bhi aajkal thoda tension mein rehta hai isiliye aapko laga hoga.
Neha: Kyaa bhai ko sir dard hai. Ab kaisa hai woh.
Ritika: Ab thik hai dawai leke thodi der pahle hi soya hai.
Neha: Achha thik hai sone do. Kal mil lungi. Tum bhi so jao ab. Good night
Ritika: Good Night didi.
Phir Neha apne room mein aake so jaati hai.
Subah jab Aryan nichhe aata hai toh Meenakshi waha nhi thi aur Suraj toh pahle hi nikal chuka tha.
Rashmi: Beta Neha bata rahi thi kal tera sir dard kar raha tha ab kaisa hai.
Aryan ek nazar Ritika ko dekhta hai phir jawab deta hai.
Aryan: Ab thik hai mummy. Raat ko dawai li thi jisse ab thik hai.
Neha: Par bhai achanak aise sir dard kaise hua.
Aryan: Pata nhi di. Shayad garmi ke wajah se hogya ho.
Phir yeh log nashta karte hai. Aryan Ritika aur Meera college chale jaate hai. Pichhe se Rashmi aur Neha bhi college aajate hai.
Yeh log jab college aate hai tab dekhte hai Rishi kisi ladki ka haath pakad ke baitha hai aur has has ke baate kar raha hai.
Yeh dekh Aryan Ritika aur Meera ke chehre pe hasi aajati hai.
Meera: Yeh kya horaha hai Devarji.
Rishi: Aree bhabhiyon aap. Aap kab aayi.
Meera: Hum jabhi bhi aayi pahle aap yeh bataye ki yeh kya horaha hai.
Rishi: Wohh bhabhi woh. Yeh iska naam Kajal hai. Aur hum ekdusre ko pasand karte hai.
Ritika: Achha toh humari devrani khoj li aur humhe bataya tak nhi. Yeh toh galat baat hai Devarji.
Kajal yehsab sunn ke sharma rahi thi.
Aryan: Kyaa bhai baat itni aage nikal gayi aur tune kuch nhi bataya. Gudiya ko batau teri yeh baat.
Rishi: Aree bhai marwayega kya. Usko pata chala toh mujhe jaan se maar degi. Main aaj hi uske school jaake usko sab bataunga. Warna agar kahi aur se pata chala toh woh shaadi ke pahle hi maar degi.
Aryan: Dekhte hai woh shaadi hone deti hai yaa nhi. Pahle mujhe isse baat karne de. Tumko yeh gadha kaise pasand aagaya.
Kajal: Woh yeh mere pichhe padha tha kuch waqt se. Phir mujhe bhi dheere dheere pasand aane laga.
Aryan: Ghar mein bata diya.
Kajal: Nhi abhi tak nhi bataya hai.
Meera: Toh jaldi bata do. Yeh toh kuch batayega nhi. Iske liye humhe hi jaana hoga. Tum apne ghar mein bata do. Kahi woh tumhare liye kahi aur naa soch rahe ho.
Kajal: Ji. Thik hai main jaldi hi bata dungi. Waise kya aap teeno married hai jo yeh bhabhi bol raha hai.
Ritika: Haa. Humari shaadi ko 1 saal hone wala hai.
Kajal: Kyaa aap dono ne 1 se hi shaadi karli aur kuch jyaada jaldi nhi hogyi
Aryan: Ab kya kare hogyi galti.
Meera: Kuch kaha kyaa tumne. Maine thik se sunna nhi jara phir se bolna toh.
Aryan: Hadbada ke aree main keh raha tha ke mujhse raha nhi gaya tumdono ke bina isiliye jaldi karli. Aur hum teeno ek dusre se bahot pyaar karte hai. Aur inndono ko ekdusre se koi problem nhi thi isiliye shaadi hogyi.
Rishi aur Kajal hasne lagte hai.
Kajal: Toh uss hisaab se toh aap meri jethaniyan hongi. Toh kya main aapko didi keh sakti hu.
Meera: Ofcourse keh sakti ho. Chalo ab class mein chalte hai. Aur aap jaake gudiya se milwa dena. Warna woh kya karegi mujhe bhi nhi pata.
Rishi: Haa bhabhi college ke baad sidha uske paas hi jaunga.
Phir yeh log class karte hai. College baad Aryan Ritika aur Meera office Rishi aur Kajal Soniya ke paas chale jaate hai.
Dekhte dekhte 15th August nazdeek aaraha thaa. Aur sabka tension badh raha tha.