Update 9
Bookie: Thik hai chal agar aaj tune uss Undertaker ko maar diyaa toh aaj yaha ki jitni bhi kamayi hogi woh sab teraa.
Aryan: Manzur hai. Chal ab jaldi naam announce karwa.
Bookie: Rukh jaa bachhe mujhe pata hai tujhe marne ki jaldi hai abhi 1 match baaki hai uske baad tera naam aayegaa. Tab tak ke liye apne bhagwan ko yaad karle aur bol de ke tu unke paas jaaraha hai. Tab tak ke liye aakhri baar apna naam bata de.
Aryan: Likh Black Beast.
Bookie: Naam toh achha hai. But kisi kaam ka nhi hai. Yeh naam aaj pahli aur aakhri baar main hi bolungaa. Uske baad humesha ke liye yeh naam kho jayegaa. Meri taraf se best of luck.
[ Aryan jab se yaha aaya thaa tab se usne apna mask pehna hua thaa isiliye bookie ne uska chehra nhi dekha hai ].
10 minutes baad Aryan ka naam announce hota hai.
Aryan ring ke andar jaata hai toh usko dekh kar Undertaker hasne lagta hai aur chilla kar uss bookie ko bulata hai.
Undertaker: Kyo be tere paas aadmi khatam hogye hai kyaa jo iss bachhe ko aaj death to death khelna bhej diya hai.
Bookie: Bhai maine isse bahot samjhaya par ise hi marne ka shock chadha hai toh main kya karu.
Aryan jo itni der se inki baate sunn raha tha woh bolta hai
Aryan: Suna hai koi bhi tere samne 3 mins se jyaada tikk nhi paaya hai. Chal main tujhe aaj 5 mins deta hu. Mujhe maar ke dikha. Agar tune mujhe 5 mins ke andar maar diya toh thik warna uske agle hi min mein main tujhe maar dungaa.
Waha lagbhag hazaro aadmi thee jo Aryan ki yeh baate sunke jor jor se hasne lagte hai. Koi bolta hai yeh pagalkhane se bhagg aaya hai toh koi bolta hai yeh aaj apna aakhri din yaha pura karne aaya hai.
Undertaker uski baate sunke jor jor se hasta hai. Aur bolta hai
Undertaker: Are bachhe 3 mins toh durr ki baat hai. Main toh tujhe 1 min mein maar dungaa. Tujhe aaj marna hi hai toh chal aaja
Phir match start hota hai.
Undertaker Aryan ke muh pe ek jordaar punch marta hai. Aryan durr jaake girta hai. Yeh dekh waha sab Undertaker ke naam ki hooting start kardete hai.
Undertaker: Abhi bhi time hai wapas chala jaa bachhe. Main tujhe chorr deta hu.
Aryan khada hote hue 4 mins 10 sec.
Undertaker yeh sunn gusse mein uske pet mein ek laat mar deta hai jisse woh wapas udd ke durr jaa girta hai.
Aryan phir khada hote hue 3 mins.
Issbaar Undertaker usko punch marne aata hai toh Aryan uske punch ko block kar usko punch maar deta hai( Jorse nhi)
Punch lagte hi Undertaker thoda pichhe hojaata hai. Jisse uska gussa bahot badh jaata hai. Woh bolta hai
Undertaker: Abhi tak toh tere saath bachha samaj ke khel raha thaa. Par ab aur nhi.
Yeh bol woh Aryan ko marne aata par Aryan uske waar ko duck kar uske peeth mein ek mukka marte hue aaj tera recore toot gaya aur kuch der baad tu humesha ke liye toot jayegaa.
Waha khade hazaro log shock mein thee jab maine Undertaker ke record ko todd diya. Ab waha pe unki taraf se koi awaaz nhi aarahi thii.
Undertaker apne record tootne se bahot jyaada hairan aur gusse mein hota hai.
Woh aake Aryan ke gardan ko pichhe se apne bazuyon mein jakar leta hai. Aryan apne sir ko jor se uske chest mein marta hai. Toh uska balance bigadta hai aur Aryan uski pakad se azaad hojaata hai.
Aryan usko dekhta hai aur bolta hai tere paas aur 40 second hai maar sakta hai toh mar le.
Woh daud ke aata hai toh Aryan uske right ribs mein apni aadhi taqat se ek punch marta hai toh uske ribs ke tukde hojaate hai.
Phir woh uske left ribs ke saath bhi same karta hai.
Phir pichhe se uske spinal cord ke upperside ke saath bhi same karta hai aur uske saamne aake uske aankho mein dekh kar bolta hai Time Up
Undertaker ko Aryan ki aankho mein ab apni maut nazar aati hai.
Aryan apni puri taqat se uske heart wale hisse mein ek waar karta hai jisse Undertaker ke muh se khoon nikalta hai aur uska dil wahi pe dhadkna band kardeta hai. Aur wahi pe humesha ke liye girr jaata hai.
Kuch der baad koi aata hai aur Undertaker check karta hai toh usko shock lagta hai. Aur woh usko death finalize kar deta hai. Waha saare log shock mein khade hote hai kisi ke muh se koi awaaz nhi nikal rahi hoti hai.
Aryan chup chap ring se bahar aake uss bookie ke paas jaata hai.
Bookie usse shock aur darr se dekhne lagta hai. Uski toh ab bolti hi band hochuki thii.
Aryan: Kya bol raha tha tu. Mujhe uss waqat samaj nhi aaya thaa jara phir se bolna.
Bookie: Mujhe maaf kardo bhai. Maine aapko kam samaj liya. Mujhe chorr do. Mere parivaar mein mere alawa aur koi mard nhi hai agar mujhe kuch hogya toh woh raste mein aajayenge. Pls mujhe chorr do.
Aryan: Chal bata kitni kamayi hui hai aaj.
Bookie: Bhai pure 120 crore ki kamayi hui hai.
Aryan: Itna kaise huaa.
Bookie: Bhai yeh Undertaker ek match ka crores leta thaa aur aaj usne kul 10 fights ladhi thi. Toh uske hue 80 crore. Aur jitne bhi uske opponents the uske mila hue 40 crore.
Aryan: Samjha. Chal ab bata isme tera commission kitna hua hai.
Bookie: Rehne do bhai. Mujhe kuch nhi chahiye.
Aryan: Black Beast kabhi kisi ka hakk nhi marta. Kitna hua hai bol.
Bookie: Darte hue. 2 crore.
Aryan: Thik hai. Apna commission le lena aur baaki ka amount tujhe iss account mein transfer karna hai. Usko ek page dete hue kaha. Aur haa yeh mera mobile number hai. Jab bhi aisi koi fight ho toh mujhe call kar lena aur tum log jo betting karte ho fight pe uski puri details isme message kardena. Jab bhi mujhe jarurat padegi main boldungaa.
Bookie: Ji bhai. Yeh bol woh page le leta hai.
Aryan apne car ki taraf aake usne apna mask nikala aur dekhta hai uske chehre pe koi bhi chott ka nisaan nhi hai. Yeh uske liye bahot hairaani wali baat thi. Kyoki maar toh usse bhi padhi thi.
Woh jaldi se ghar aata hai aur Sanjay se uski chott ke baare mein baat karta hai toh Sanjay bolta hai
Sanjay: Yeh sab uss formula ka kamaal hai. Uski wajah se tumhari healing power badh gayi hai. Tumhari koi bhi chott jald se jald thik hojayegi.
Sanjana: Waise tum kaha gaye the aur yeh chott ki kya baat horahi hai.
Aryan phir usse saare baate batata hai.
Sanjana: Achha toh kitna amount jitaa tumne.
Aryan: 118 crore.
Sanjay aur Sanjana: Kitnaa.
Aryan: 118 crore.
Dono: Itna amount kaise hua.
Aryan unko bolta hai kaise itna amount hua.
Sanjana: Ooo. Toh phir itne amount ka kya karne ka socha hai.
Aryan: Maine socha hai yeh paise stock market mein invest karu. Kya aap log kisi achhe investor ko jaante hai jo yeh kaam karta hai aur mujhe achhe deal karwa sakta hai.
Sanjay: Yeh stock market bahot risky hai. Isme paise khone ka khatra jyaada hai.
Aryan: Pata hai. Par yeh saare paisa ek tarah se black money hai. Aur agar paise dubb jaate hai toh dukh nhi hogaa waise bhi kisi ko maar kar hi kamaya hai.
Sanjay: Jaisi tumhari marzi. Tumhare paise hai. Aur tumhari baat bhi sahi hai. Kal tumhare college ke baad tum mujhe call karlena main tumko le chalunga ek investor ke paas. Meri jaan pehchan ka bhi hai woh.
Aryan: Thik hai.
Sanjana: Chalo jaldi se fresh ho jao. Main dinner laga deti hu.
Aryan fresh hoke dinner karke apne room mein aake apna mobile check karta hai toh waha unknown number se 2 missed call aaye hue thee aur ek message bhi thaa. Jo bank se thaa ke saare paise transfer hogaye hai.
Aryan itni raat ko uss number pe call lagana thik nhi samajta isiliye woh aaj college mein jo padhaya thaa woh ekbaar dekh leta hai. Ab uska brain ek super brain thaa isiliye ek baar dekh lene se hi usko yaad hojaata thaa.
Phir woh sojaata hai.
Subah roj ki tarah Aryan jaldi uth kar apna workout finish kar ready hoke breakfast kar apni car leke college ki taraf nikal jaata hai.
Raaste mein usse Meera khadi dikhayi padhti hai. Toh woh uske paas jaake car rokhta hai aur puchta hai.
Aryan: Good Morning. Kya baat hai yaha khadi ho.
Meera: Good Morning. Haa woh college ke liye bus ka wait kar rahi thii.
Aryan: Main bhi college hi jaaraha hu. Chalo saath chalte hai.
Meera bhi bina kuch bole uske saath baith ke college nikal jaati hai.
Meera: Thanks for lift.
Aryan: Aree isme Thanks kaisa tum meri dost ho. Dosti mein No Thank You No Sorry.
Meera: Achha okk. Jara mujhe bataoge kal tum kaha thee maine call kiya thaa par tumne uthaya hi nhi.
Aryan: Main toh ghar par hi thaa. Tumne kab call kiya thaa.
Meera: Raat ke taraf.
Aryan: Oo. Tab mein thoda kaam se bahar gaya thaa aur mobile ghar meim bhul gaya tha. Aate aate late hogya tha maine mobile mein dekha tha 2 missed calls the but number save nhi thaa isiliye pehchan nhi paya aur itni raat ko call karna bhi thik nhi samajha.
Meera: Okkk koi baat nhi.
Aryan: Waise koi kaam tha kya jo raat mein call kiya.
Meera: Nhi koi kaam nhi thaa bas aise hi baate karne ke liye hi call kiya thaa.
Aryan: Achhaa.
Aise hi yeh log baate karte karte college pahonch jaate hai. Jab Aryan ki car college mein enter karti hai tab saari ladkiyon ko pata chal jaata hai ke Aryan ki car hai isiliye woh usi taraf nazare kare hue khadi thii
Jab Aryan car se utarta hai toh sab usse dekhte rehte hai. But jab dusri side se Meera ko utarte dekhte hai. Sabki aankho jalan saaf nazar aarahi hoti.
Saari ladkiyan Meera ko Aryan ke car se utarte dekh jalan mein naa jaane kya kuch bolne lagti hai.
Phir woh dono waha se Canteen mein jaate hai. Jaha aaj bhi Yash baitha hua tha.
Dono: Good Morning Yash.
Yash: Good Morning. Kya baat hai aaj dono saath mein.
Aryan: Haa. Actually main aaraha tha toh raaste mein isse khade dekha toh saath le aaya.
Yash: Oo achha kiya. Aaj first lecture off hai kyoki Kunal sir aaj nhi aaye hai isiliye class mein jaake koi faiyda nhi yehi pe baithe raho.
Aryan: Chalo thik hai. Main coffee leke aata hu. Tumlog piyoge
Dono: Haa jarur.
Phir Aryan Coffee leke aata hai aur teeno peene lagte hai.
Tabhi Yash bolta hai.
Yash: Aree tumlogo ne suna kal Kisi Black Beast ne famous underground fighter Undertaker ko maar diya hai fight mein.
Aryan ko yeh sunte hai khashi aajati hai.
Meera: Aree ab tumhe kya hua aaram se piyo.
Yash: Pata nhi kaun tha sirf 5 mins mein hi usko maar giraya. Main toh uska fan hogya.
Meera: Haa maine bhi suna hai. Waise achha hi hua jo usko maardiya naa jaane usne kitne logo ko behrami se maara tha.
Yash: Haa sahi bola tumne. Are tu kyo itna chup hai.
Aryan: Ab main jinhe jaanta nhi unke baare mein kya baat karu.
Yash: Kya tu Undertaker ko nhi jaanta. Mumbai ke underground fight ka famous fighter tha woh.
Meera: Tum bhi kamaal karte ho Yash. Woh kaun sa Mumbai se hai jo usse janegaa. Yeh toh kuch mahine pahle hi yaha aaya hai.
Yash: Aree haa main toh bhul hi gaya thaa.
Yeh log aise hi baat karte rehte hai.