Update 16
Sanjana sabse pahle Meera ke paas jaake uske kaan khinchti hai aur bolti hai. Mil gayi dil ko aur aankho ko shanti.
Warna ro ro ke pura samandar hi bana diya tha.
Meera ka chehra sharm se laal hogya thaa woh Sanjana ke gale lag apna muh chupa leti hai. Bas bas bahot hogya sharmaana. Ab kya saara din yehi rehna hai college nhi jaana kyaa.
Meera: Par Aryan ko iss halat mein chorke kaise.
Sanjana: Dekho padhai bahot jaruri hai uska nuksaan nhi karna chahiye. Aur waise bhi Aryan ka khayal rakhne ke liye yaha pe Doctors hai Nurse hai aur main bhi toh hu. Aur phir Thodi der mein Iske baba aur Yash ki mom bhi aajayengi. Isiliye tum chinta mat karo. Aaram se college jao. Humlog tumhare Aryan ka pura khayal rakhenge isko kisi bhi tarah ki koi takleef nhi hone denge.
Meera bhi man maarke haan keh deti hai.
Phir Yash bhi andar aake Aryan se milta hai aur Meera ko leke chala jaata hai. Pahle Meera ke ghar jaata hai waha se uska bag leta hai phir apne ghar jaake apna bag leke woh college chale jaate hai.
Unke jaane ke kuch der baad hi Sanjay aajata hai.
Sanjay: Ab kaise ho.
Aryan: Ekdum fit.
Sanjay: Chalo achha hai.
Aryan: Mujhe aapse kuch bolna aur puchna thaa.
Sanjay: Tum yehi bolna chahte ho naa ke tum Meera se pyaar karte hai. Aur usse sab kuch sach sach batana chahte ho. Formula ke baare mein,humare baare mein,apne baare mein sab kuch.
Aryan: Aapko kaise pata.
Sanjay: Sanjana ne jab mujhe tumhare aur Meera ke baare mein bataya mujhe tabhi andaza hogya thaa tum usse dhokhe mein nhi rakhoge.
Aryan: Toh aapka kya faisala hai.
Sanjay: Meera ke bahot hi achhi ladki hai. Mera bhi yehi manna hai tumhe usse sab kuch bata dena chahiye. Par dhayan rahe kahi koi problem naa hojaaye.
Aryan: Ji main dhyan rakhungaa.
Sanjay: Thik hai ab main chalta hu mujhe lab bhi jaana hai.
Aryan: Ji thik hai.
Aryan soch leta hai woh Meera ko sab kuch bata ghar mein jaane ke baad bata degaa.
College mein woh log jaise taise apne classes khatam karte hai phir wahi se direct hospital chale jaate hai.
Hospital mein jab woh log aate hai tab waha pe Sanjana aur Nandini baithi hui thi.
Meera aur Yash unke paas aate hai.
Sanjana: Hogya college.
Yash: Haa hogya. Aap tabse yehi hai ghar nhi gayi.
Sanjana: Nhi.
Meera: Toh ab aap ghar jaakar thoda rest karle. Hum hai yaha par.
Yash: Haa aunty Meera sahi keh rahi hai.
Sanjana: Achha thik hai. Phir Sanjana aur Nandini waha se chale jaate hai.
Phir dono room ke andar jaate hai jaha Aryan aaram se TV dekh raha hota hai.
Yash: Yeh lo yeh toh yaha mast aaram se TV dekh raha hai.
Aryan: Toh aur kya karu.
Meera: Kaise ho.
Aryan: Jaisa chorr ke gayi thi. Bilkul waisa.
Meera: Khana khaya.
Aryan: Bas abhi Nandini ne laya tha wohi khaya.
Tumlogo ne khaya.
Yash: Kaha yaar. Teri madam ne ek glass paani tak nhi peene diya. College khatam hote hi sidha yaha taan ke laayi hai.
Meera: Tu phir bola.
Yash: Main kaha kuch bola. Main toh bola mujhe toh bhuk lagi hai chalke canteen mein kuch khaa lete hai.
Meera: Tu jaa aur mere liye yehi pe le aana.
Yash: Yes Madam.
Phir Yash waha se chala jaata hai.
Aryan: Kaisa gaya aaj ka din.
Meera: Tumhare bina ekdum boring. Kuch bhi achha nhi lagraha thaa.
Aryan: Bas kuch din. Uske baad toh main bhi college jaana start kardungaa.
Meera: Haa. Bilkul.
Aryan: Achha mujhe tumse kuch jaruri baat karni hai.
Meera: Haa bolo.
Aryan: Yaha nhi. Mere ghar pe karenge.
Meera: Aisi kaunsi baat hai.
Aryan: Bas aisa samajlo uss din main tum apne baare mein har ek chiz bataungaa. Main kaun hu kaha se hu kya hu sab kuch.
Meera: Thik hai.
Phir Yash waha aajata hai. Woh Meera ke liye coffee aur kuch snacks le aaya thaa.
Meera woh khaa leti hai. Phir woh log idhar udhar ki baate karne lagte hai. Tabhi waha Sanjay aajata hai.
Sanjay: Chalo bachho. Ab tumlog bhi ghar chalo. Subah se nikle hue ho. Jao jaake rest karo. Waise bhi kal subah iska discharge mil jaayega. Toh kal college ke baad sidha ghar mein hi aajana.
Issbaar Meera bina kuch bole man jaati hai.
Phir Woh log waha se chale jaate hai.
Yash Meera ko drop kar apne ghar nikal jaata hai.
Idher hospital mein
Sanjay: Bata diya sabkuch.
Aryan: Nhi. Yaha nhi yeh sahi jagah nhi hai. Usse kal ghar mein sab kuch bata dungaa.
Sanjay: Chalo achhi baat hai.
Phir Sanjay bhi waha se chala jaata hai. Waise bhi Aryan ab bilkuk thik thaa but sabko dikhane ke liye aaj extra rukha thaa woh isiliye aaj raat kisi ko rehne ki jarurat nhi hui.
Agle din Aryan ka discharge hojaata hai woh ghar aajaata hai. Woh waha se sidha apne room mein jaata hain apna mobile leta hai toj dekhta hai usme sirf bank se message hota hai jisme uski last fight ka amount aaya hua thaa jo ki pure 112 crore thee. Matlab abhi Aryan ke paas pure 200 crore rupees thee. Isiliye usne socha ab woh kuch time tak fight nhi ladegaa.
Phir Aryan lunch karke wapas apne room aake sochne lagta hai ke woh Meera ko kaise sab kuch batayegaa.
Sham ko meera bhi aajati hai. Aryan ko dekhne.
Sanjana usse sidha uske room mein bhej deti hai.
Meera room mein enter karti toh dekhti hai Aryan bed pe baith kuch soch raha hota hai.
Meera: Kya soch rahe ho jaan.
Aryan: Kuch khash nhi aao baitho. Isse apna hi room samjho.
Meera: Samajna kya hai abse yeh room mera hi hai. Bas kuch saal tak isme reh nhi sakti.
Aryan: Roka kisne hai. Tum chaho toh kuch saal baad ka kaam abhi kar lete hai phir tum iss room mein aaram se rehnaa.
Meera: Jyaada naa udho mat. Pahle padhai complete karenge phir settle honge. Phir aage ka sochenge.
Aryan: Chalo thik hai woh tab dekhenge. Abhi tum meri baat dhyaan se sunno main jo bhi tumhe batane jaaraha hu.
Meera: Haa bolo.
Aryan: Mera naam Aryan hai Aryan Malhotra. Yeh tum jaanti ho. Main yaha se nhi hu main Delhi se hu yeh bhi jaanti ho.
Meera: Haa yeh sab toh main jaanti hu. Isms alag kya hai.
Aryan: Main koi normal insaan nhi hu. Matlab maim tumlogo ki tarah koi normal insaan nhi hu. Aur yeh dono mere mata pita bhi nhi hai.
Meera: Kyaaa. Yeh kya mazaak hai Aryan.
Aryan: Yeh koi mazaak nhi hai. Phir Aryan usse sab kuch bata deta hai. Matlab apne past,formula sab kuch.
Meera yeh sab sunn aankhe phaade usse dekh rahi thii.
Meera: Matlab tum ab ek Superhuman ho. Tumhari physical strength,mental strength sab kuch humlogo se bahot jyaads hai.
Aryan: Haa.
Meera: Aur tumne unlogo ke baare mein kya socha hai.
Aryan: Mujhe unlogo se sirf nafrat hai sivaay ek ko chorr ke Meri gudiya,Meri Soniya. Pata nhi itne mahine mere bina kaise rahi hogi.
Ab faisla tumhe karna hai kya tum ek aise insaan ke saath reh paogi jiski family ne uske saath aisa kiya aur ab woh unlogo se sirf nafrat hi karegaa. Jo tumlogo ke jaisa normal insaan nhi hai.
Meera: Maine pyaar tumse kiya hai. Tumhare past se nhi. Aur agar uss formula ke lagne se tum Superhuman ban gaye toh kya ho ek being human hi naa.
Toh problem kya hai. Aur yeh toh mere liye khushi ki baat hai ke meri jaan iss duniya sabse anokha aur taqatwar insaan hai.
Mujhe insab se koi problem nhi hai. Aur tum befikr raho tumhara yeh raaz kisi pata nhi chalegaa.
Par mujhe ek promise karo abse jo bhi karoge mujhe bolke karoge. Mujhe bole bina tum kuch nhi karoge.
Aryan: Main promise karta hu. Aaj se har ek chiz tumse puch ke karungaa.
Meera: Good Boy.
Chalo toh phir ab main chalti hu kal phir college meim milte hai.
Aryan: Chalo main chorr aata hu.
Meera: Matlab abhi se hi driver banne ki practice kar rahe ho haa. Achha hai lage raho. Yeh bol hasne lagti haiii.
Aryan: Ab agar kisi ki madam itni khubsoorat ho toh woh driver kya kuch bhi ban jayega unke liye. Toh chale madam.
Meera: Chalo.
Phir Aryan usko leke garage mein aata hai. Toh boliye madam aap kaunsi sawari mein jaana pasand karengi.
Meera: Main car se jaana pasand karungi.
Aryan: Toh chaliye.
Phir woh log car mein baith jaate hai.
Jaise hi woh car mein baithte hai. Thik tabhi awaaz aati hai WELCOME ARYAN SIR , WELCOME MEERA MA'AM.
Meera yeh awaaz sunke chaunk jaati hai
Woh bolti hai yeh awaaz kaha se aayi.
Aryan: Yeh awaaz iss car se aayi hai.
Meera: Car se. Par kaise.
Phir Aryan usko sab kuch bata deta hai car bike,watch,mobile,chashmah sab kuch.
Meera: Waah kya baat hai. Meri jaan toh ekdum hi- tech chizo se ghira hua hai.