• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 9
Bookie: Thik hai chal agar aaj tune uss Undertaker ko maar diyaa toh aaj yaha ki jitni bhi kamayi hogi woh sab teraa.

Aryan: Manzur hai. Chal ab jaldi naam announce karwa.

Bookie: Rukh jaa bachhe mujhe pata hai tujhe marne ki jaldi hai abhi 1 match baaki hai uske baad tera naam aayegaa. Tab tak ke liye apne bhagwan ko yaad karle aur bol de ke tu unke paas jaaraha hai. Tab tak ke liye aakhri baar apna naam bata de.

Aryan: Likh Black Beast.

Bookie: Naam toh achha hai. But kisi kaam ka nhi hai. Yeh naam aaj pahli aur aakhri baar main hi bolungaa. Uske baad humesha ke liye yeh naam kho jayegaa. Meri taraf se best of luck.

[ Aryan jab se yaha aaya thaa tab se usne apna mask pehna hua thaa isiliye bookie ne uska chehra nhi dekha hai ].

10 minutes baad Aryan ka naam announce hota hai.

Aryan ring ke andar jaata hai toh usko dekh kar Undertaker hasne lagta hai aur chilla kar uss bookie ko bulata hai.

Undertaker: Kyo be tere paas aadmi khatam hogye hai kyaa jo iss bachhe ko aaj death to death khelna bhej diya hai.

Bookie: Bhai maine isse bahot samjhaya par ise hi marne ka shock chadha hai toh main kya karu.

Aryan jo itni der se inki baate sunn raha tha woh bolta hai

Aryan: Suna hai koi bhi tere samne 3 mins se jyaada tikk nhi paaya hai. Chal main tujhe aaj 5 mins deta hu. Mujhe maar ke dikha. Agar tune mujhe 5 mins ke andar maar diya toh thik warna uske agle hi min mein main tujhe maar dungaa.

Waha lagbhag hazaro aadmi thee jo Aryan ki yeh baate sunke jor jor se hasne lagte hai. Koi bolta hai yeh pagalkhane se bhagg aaya hai toh koi bolta hai yeh aaj apna aakhri din yaha pura karne aaya hai.

Undertaker uski baate sunke jor jor se hasta hai. Aur bolta hai

Undertaker: Are bachhe 3 mins toh durr ki baat hai. Main toh tujhe 1 min mein maar dungaa. Tujhe aaj marna hi hai toh chal aaja

Phir match start hota hai.

Undertaker Aryan ke muh pe ek jordaar punch marta hai. Aryan durr jaake girta hai. Yeh dekh waha sab Undertaker ke naam ki hooting start kardete hai.

Undertaker: Abhi bhi time hai wapas chala jaa bachhe. Main tujhe chorr deta hu.

Aryan khada hote hue 4 mins 10 sec.

Undertaker yeh sunn gusse mein uske pet mein ek laat mar deta hai jisse woh wapas udd ke durr jaa girta hai.

Aryan phir khada hote hue 3 mins.

Issbaar Undertaker usko punch marne aata hai toh Aryan uske punch ko block kar usko punch maar deta hai( Jorse nhi)

Punch lagte hi Undertaker thoda pichhe hojaata hai. Jisse uska gussa bahot badh jaata hai. Woh bolta hai

Undertaker: Abhi tak toh tere saath bachha samaj ke khel raha thaa. Par ab aur nhi.

Yeh bol woh Aryan ko marne aata par Aryan uske waar ko duck kar uske peeth mein ek mukka marte hue aaj tera recore toot gaya aur kuch der baad tu humesha ke liye toot jayegaa.

Waha khade hazaro log shock mein thee jab maine Undertaker ke record ko todd diya. Ab waha pe unki taraf se koi awaaz nhi aarahi thii.

Undertaker apne record tootne se bahot jyaada hairan aur gusse mein hota hai.

Woh aake Aryan ke gardan ko pichhe se apne bazuyon mein jakar leta hai. Aryan apne sir ko jor se uske chest mein marta hai. Toh uska balance bigadta hai aur Aryan uski pakad se azaad hojaata hai.

Aryan usko dekhta hai aur bolta hai tere paas aur 40 second hai maar sakta hai toh mar le.

Woh daud ke aata hai toh Aryan uske right ribs mein apni aadhi taqat se ek punch marta hai toh uske ribs ke tukde hojaate hai.

Phir woh uske left ribs ke saath bhi same karta hai.
Phir pichhe se uske spinal cord ke upperside ke saath bhi same karta hai aur uske saamne aake uske aankho mein dekh kar bolta hai Time Up

Undertaker ko Aryan ki aankho mein ab apni maut nazar aati hai.

Aryan apni puri taqat se uske heart wale hisse mein ek waar karta hai jisse Undertaker ke muh se khoon nikalta hai aur uska dil wahi pe dhadkna band kardeta hai. Aur wahi pe humesha ke liye girr jaata hai.

Kuch der baad koi aata hai aur Undertaker check karta hai toh usko shock lagta hai. Aur woh usko death finalize kar deta hai. Waha saare log shock mein khade hote hai kisi ke muh se koi awaaz nhi nikal rahi hoti hai.

Aryan chup chap ring se bahar aake uss bookie ke paas jaata hai.

Bookie usse shock aur darr se dekhne lagta hai. Uski toh ab bolti hi band hochuki thii.

Aryan: Kya bol raha tha tu. Mujhe uss waqat samaj nhi aaya thaa jara phir se bolna.

Bookie: Mujhe maaf kardo bhai. Maine aapko kam samaj liya. Mujhe chorr do. Mere parivaar mein mere alawa aur koi mard nhi hai agar mujhe kuch hogya toh woh raste mein aajayenge. Pls mujhe chorr do.

Aryan: Chal bata kitni kamayi hui hai aaj.

Bookie: Bhai pure 120 crore ki kamayi hui hai.

Aryan: Itna kaise huaa.

Bookie: Bhai yeh Undertaker ek match ka crores leta thaa aur aaj usne kul 10 fights ladhi thi. Toh uske hue 80 crore. Aur jitne bhi uske opponents the uske mila hue 40 crore.

Aryan: Samjha. Chal ab bata isme tera commission kitna hua hai.

Bookie: Rehne do bhai. Mujhe kuch nhi chahiye.

Aryan: Black Beast kabhi kisi ka hakk nhi marta. Kitna hua hai bol.

Bookie: Darte hue. 2 crore.

Aryan: Thik hai. Apna commission le lena aur baaki ka amount tujhe iss account mein transfer karna hai. Usko ek page dete hue kaha. Aur haa yeh mera mobile number hai. Jab bhi aisi koi fight ho toh mujhe call kar lena aur tum log jo betting karte ho fight pe uski puri details isme message kardena. Jab bhi mujhe jarurat padegi main boldungaa.

Bookie: Ji bhai. Yeh bol woh page le leta hai.

Aryan apne car ki taraf aake usne apna mask nikala aur dekhta hai uske chehre pe koi bhi chott ka nisaan nhi hai. Yeh uske liye bahot hairaani wali baat thi. Kyoki maar toh usse bhi padhi thi.

Woh jaldi se ghar aata hai aur Sanjay se uski chott ke baare mein baat karta hai toh Sanjay bolta hai

Sanjay: Yeh sab uss formula ka kamaal hai. Uski wajah se tumhari healing power badh gayi hai. Tumhari koi bhi chott jald se jald thik hojayegi.

Sanjana: Waise tum kaha gaye the aur yeh chott ki kya baat horahi hai.

Aryan phir usse saare baate batata hai.

Sanjana: Achha toh kitna amount jitaa tumne.

Aryan: 118 crore.

Sanjay aur Sanjana: Kitnaa.

Aryan: 118 crore.

Dono: Itna amount kaise hua.

Aryan unko bolta hai kaise itna amount hua.

Sanjana: Ooo. Toh phir itne amount ka kya karne ka socha hai.

Aryan: Maine socha hai yeh paise stock market mein invest karu. Kya aap log kisi achhe investor ko jaante hai jo yeh kaam karta hai aur mujhe achhe deal karwa sakta hai.

Sanjay: Yeh stock market bahot risky hai. Isme paise khone ka khatra jyaada hai.

Aryan: Pata hai. Par yeh saare paisa ek tarah se black money hai. Aur agar paise dubb jaate hai toh dukh nhi hogaa waise bhi kisi ko maar kar hi kamaya hai.

Sanjay: Jaisi tumhari marzi. Tumhare paise hai. Aur tumhari baat bhi sahi hai. Kal tumhare college ke baad tum mujhe call karlena main tumko le chalunga ek investor ke paas. Meri jaan pehchan ka bhi hai woh.

Aryan: Thik hai.

Sanjana: Chalo jaldi se fresh ho jao. Main dinner laga deti hu.

Aryan fresh hoke dinner karke apne room mein aake apna mobile check karta hai toh waha unknown number se 2 missed call aaye hue thee aur ek message bhi thaa. Jo bank se thaa ke saare paise transfer hogaye hai.

Aryan itni raat ko uss number pe call lagana thik nhi samajta isiliye woh aaj college mein jo padhaya thaa woh ekbaar dekh leta hai. Ab uska brain ek super brain thaa isiliye ek baar dekh lene se hi usko yaad hojaata thaa.

Phir woh sojaata hai.

Subah roj ki tarah Aryan jaldi uth kar apna workout finish kar ready hoke breakfast kar apni car leke college ki taraf nikal jaata hai.

Raaste mein usse Meera khadi dikhayi padhti hai. Toh woh uske paas jaake car rokhta hai aur puchta hai.

Aryan: Good Morning. Kya baat hai yaha khadi ho.

Meera: Good Morning. Haa woh college ke liye bus ka wait kar rahi thii.

Aryan: Main bhi college hi jaaraha hu. Chalo saath chalte hai.

Meera bhi bina kuch bole uske saath baith ke college nikal jaati hai.

Meera: Thanks for lift.

Aryan: Aree isme Thanks kaisa tum meri dost ho. Dosti mein No Thank You No Sorry.

Meera: Achha okk. Jara mujhe bataoge kal tum kaha thee maine call kiya thaa par tumne uthaya hi nhi.

Aryan: Main toh ghar par hi thaa. Tumne kab call kiya thaa.

Meera: Raat ke taraf.

Aryan: Oo. Tab mein thoda kaam se bahar gaya thaa aur mobile ghar meim bhul gaya tha. Aate aate late hogya tha maine mobile mein dekha tha 2 missed calls the but number save nhi thaa isiliye pehchan nhi paya aur itni raat ko call karna bhi thik nhi samajha.

Meera: Okkk koi baat nhi.

Aryan: Waise koi kaam tha kya jo raat mein call kiya.

Meera: Nhi koi kaam nhi thaa bas aise hi baate karne ke liye hi call kiya thaa.

Aryan: Achhaa.

Aise hi yeh log baate karte karte college pahonch jaate hai. Jab Aryan ki car college mein enter karti hai tab saari ladkiyon ko pata chal jaata hai ke Aryan ki car hai isiliye woh usi taraf nazare kare hue khadi thii

Jab Aryan car se utarta hai toh sab usse dekhte rehte hai. But jab dusri side se Meera ko utarte dekhte hai. Sabki aankho jalan saaf nazar aarahi hoti.

Saari ladkiyan Meera ko Aryan ke car se utarte dekh jalan mein naa jaane kya kuch bolne lagti hai.

Phir woh dono waha se Canteen mein jaate hai. Jaha aaj bhi Yash baitha hua tha.

Dono: Good Morning Yash.

Yash: Good Morning. Kya baat hai aaj dono saath mein.

Aryan: Haa. Actually main aaraha tha toh raaste mein isse khade dekha toh saath le aaya.

Yash: Oo achha kiya. Aaj first lecture off hai kyoki Kunal sir aaj nhi aaye hai isiliye class mein jaake koi faiyda nhi yehi pe baithe raho.

Aryan: Chalo thik hai. Main coffee leke aata hu. Tumlog piyoge

Dono: Haa jarur.

Phir Aryan Coffee leke aata hai aur teeno peene lagte hai.

Tabhi Yash bolta hai.

Yash: Aree tumlogo ne suna kal Kisi Black Beast ne famous underground fighter Undertaker ko maar diya hai fight mein.

Aryan ko yeh sunte hai khashi aajati hai.

Meera: Aree ab tumhe kya hua aaram se piyo.

Yash: Pata nhi kaun tha sirf 5 mins mein hi usko maar giraya. Main toh uska fan hogya.

Meera: Haa maine bhi suna hai. Waise achha hi hua jo usko maardiya naa jaane usne kitne logo ko behrami se maara tha.

Yash: Haa sahi bola tumne. Are tu kyo itna chup hai.

Aryan: Ab main jinhe jaanta nhi unke baare mein kya baat karu.

Yash: Kya tu Undertaker ko nhi jaanta. Mumbai ke underground fight ka famous fighter tha woh.

Meera: Tum bhi kamaal karte ho Yash. Woh kaun sa Mumbai se hai jo usse janegaa. Yeh toh kuch mahine pahle hi yaha aaya hai.

Yash: Aree haa main toh bhul hi gaya thaa.


Yeh log aise hi baat karte rehte hai.
Awesome update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 10
Wahi ek hospital mein ek aadmi ek doctor se puchta hai

Aadmi: Kaise maut hui hai mere bhai ki.

Doctor: Inki dono ke side ka ribs toot chuki hai aur inke spinalcord ke upper side bhi toot chuki hai. Inki maut toh inke seene mein jordaar waar karne se hui hai. Waar itna jordaar thaa ke jab war laga thik usi waqat inke dil ne dhadakna band kardiya. Aur post mortem se pata chal inke dil pe waar karne ke wajah se inka dil puri tarah block hogya thaa jisse blood circulation puri tarah se band hogya thaa aur inki maut hogyi.

Aadmi: Itna sunte hi gusse se Doctor se bolta hai bahot jald hi tere paas ek laash aisi aur aayegi lekin isse bhi buri halat mein.

Jisne mere bhai ko maara hai woh nhi bachegaa. Jis Undertaker se pura Mumbai darta thaa usi ko kisine maar diya.

Ab main usko nhi chorungaa apne bhai ke maut ka badla jarur lunga uss Black Beast se.

Yaha college mein inki coffee khatam hoti hai. Wahi principal ke cabin mein

Rahul: Dad woh kameena abhi tak iss college mein kaise hai. Usko aapne abhi tak nikala kaise nhi.

Ashok: Kyoki mere paas koi proof nhi thaa aur uske paas bhi valid point thaa. Agar main uske upar haath deta toh usko kuch students ka support mil jata. Aur mujhe usko saath tum sabko bhi nikalna padhta.

Neha: Toh kya hum usko aise hi chorr de.

Ashok: Filhal toh hum kuch nhi kar sakte. Humhe koi achha sa plan banake usse nikalna hoga jisse students bhi uske support mein naa jaa paaye.

Rahul: Mujhse intezaar nhi hota. Jab bhi use iss college mein dekhta hu toh mera khoon khaulne lagtaa hai. Aur uss ladki ka toh mein woh haal karungaa ke apne janam lene pe bhi pachtayegi.

Ashok: Abhi kuch bhi karne ki galti mat karnaa. Kuch hi dino mein naye maal ka stock aaraha hai. Issbaar aur jyaada amount mein maal bechna hoga humhe. Bhai bhi bahot gusse mein hai. Kyoki kal hi unka bhai mara hai. Aur pichli baar ka dhanda bhi kam hua thaa. Isiliye tum dono abhi uss ladke ke upar se apna dimaag hatao aur dhande mein dhyaan lagao.

Rahul: Ji dad.
Neha: Ok dad.

Ashok: Hmm Good. Pata nhi yeh kaun Black Beast aagaya jisne Undertaker ko maardiya aur bhai bhi usko maarne ke liye pagal hue jaa rahe hai. Agar dhanda achha hua toh shayad unke gussa kuch kam ho. Warna woh dono ka gussa kahi humpar hi naa nikalde.

Ab tum dono jao aur usse durr hi rehna.

Dono: Ok dad.

Phir woh dono principal cabin se canteen mein aajate hai jaha Aryan aur Meera ko dekh woh gussa hone lagte hai par apna gussa daba kar apne kaam mein lag jaate hai. Matlab apne dhandhe mein.

Aryan ek nazar unko dekh ignore kar wapas baato mein lag jaata hai.

Yeh log baate kar rahe thee tabhi unse unki table se ek ladka takra ke girr jaata hai.

Aryan usko uthata hai aur bolta hai sambhal ke bhai.

Ladko usko bina kuch bole waha se chala jaata hai. Aur Rahul ke paas jaake usse kuch baate karne lagta hai but Rahul use kuch bol kar waha se chala jaata hai. Aur woh ladka aur pareshan hojaata hai. Phir wob bhi waha se uth ke chala jaata hai.

Aryan se sab dekh raha hota hai usse kuch ajeeb sa bhi lagta hai

Meera: Kya hua Aryan kya dekh rahe ho

Aryan: Haa kuch nhi aise hi.

Yash: Toh tune bataya nhi tune kya socha.

Aryan: Kis baare mein.

Yash: Aree kal Saturday hai aur college ki chutti bhi hai toh kyo naa kal kahi ghumne chale.

Meera: Nice idea. Whats say Aryan.

Aryan: Idea toh achha hai. Chalo chalte hai.

Meera: Toh bolo kaha jayenge.

Aryan: Aree mujhe kya pata yaha kya kya hai. Tumlog yaha ke rehne wale ho tumlog batao.

Yash: Thik hai toh ek kaam karte hai. Pahle subah Siddhivinayak Mandir chalenge. Phir waha se film city dekhne chalenge. Phir waha se Juhu Beach pe ghumne chalenge. Kyo kaisa hai plan.

Meera: Plan toh achha hai.

Aryan: Haa plan toh achha hai isse mera bhi thoda Mumbai darshan hojayegaa.

Yash: Aree mere plan humesha mast hi hote hai.

Phir woh log hasne lagte hai.

Aryan: Toh ek kaam karna kal subah tumlog mere ghar aajana. Waha se meri car mein chalenge.

Yash aur Meera: Okk.

Aryan: Chalo next class ka time horaha hai.

Phir woh log chutti tak classes karte hai.
Chutti ke baad woh log Parking mein aate hai toh Aryan bolta hai. Achha chalo kal milte hai mujhe thoda kaam hai toh main chalta hu. Byee.

Phir Aryan waha se apni car leke chala jaata hai. Yash apni bike se aur Meera auto se chali jaati hai.

Aryan car mein se hi Sanjay ko phone karta hai. Toh Sanjay usse uske lab mein bulwa leta hai.

Thodi der baad woh Sanjay ke lab ke bahar pahonch jaata hai jaha Sanjay pahle se hi khada thaa.

Phir woh car mein baith ke chale jaate hai Investor ke paas.

Aryan: Aapki car.

Sanjay: Woh Sanjana abhi lab mein hi hai woh le jayegi.

Aryan: Achha.

Kuch der baad woh log investor ke paas pahonch jaate hai.

Investor: Aree Sanjay ji kaise hai aap. Bahot dino baad mulakat hui.

Sanjay: Bas kaam mein thoda busy thaa. Tum kaise ho.

Investor: Bas chal raha hai. Aur bataiye kaise aane huaa.

Sanjay: Isse stock market mein invest karna thaa. Toh le aaya tumhara paas.

Investor: Yeh, yeh toh bahot chota hai abhi. Isko kya jarurat padh gayi abhi insab ki.

Aryan: Sir insan ko kab kis chiz ki jarurat padh jaaye kaun jaanta hai. Filhal mujhe isme apni kismat aajmaani hai kya aap help karenge.

Investor: Yehi toh mera kaam hai.

Phir woh computer mein saare companies ke chart dikhata hai aur usko samjhata hai kaunsi company abhi top mein hai kaunsi aage badh sakti hai. Kaun ekdum barbaad hogya hai etc etc.

Aryan dhyaan se saare companies ke rating chart aur shares dekhne lagta hai.

Usko ek company dikhti hai jo puri tarah se barbaad hone wali thi aur uske share bhi ekdum low thee. But uski six sense keh rahi thi iss company mein kuch toh baat hai. Isiliye woh investor se uss company ke baare mein puchta hai

Investor: Yeh company toh kuch hi dino mein puri tarah se band hone wali hai iske 90% shares bikne ko hai. Ispe invest karna sabse badi bewakoofi hogii.

Aryan: Iske 90% shares ka amount kya hai.

Sanjay: Tum kya iss company mein invest karne ke baare meim soch rahe ho.

Aryan: Meri six sense kehti hai iss company mein kuch toh baat hai. Yeh company wapas achhe position mein jarur aayegi.

Sanjay: Nhi Aryan. Yeh bahot risky hai. Tumne sunna hai yeh company kisi bhi din band hosakti hai. Aur aise meim isme invest karna bewakoofi hi hai.

Aryan: Mujhepe vishwaas kijiye. Meri six sense keh rahi hai aisa kuch nhi hogaa.

Aap mujhe iske shares ka amount bataiye.

Investor: Main phir kahungaa yeh bewakoofi hai. Tumhe loss hi hogaa.

Aryan: Aap amount bataiye naa.

Investor: Filhal iss company ke 90% shares ke daam 3 crore hai.

Aryan: Thik hai. Aap main iss mein invest karna chahta hu. Aap paper ready karwaiye.
Aur aap ka commission kitna hai.

Investor: Waise toh 10% ke hisaab se 3 lacs hota hai tum 2.5 lacs de dena.

Aryan: Thik hai.
Aryan phir amount transfer karta hai.

Investor: Paper kis naam se banana hai.

Aryan: AM ke naam se.

Investor: AM yeh kaisa naam hai.

Aryan: Pata nhi isi naam se banane ke dil kiya. Isiliye aap isi naam se banayiye.

Investor phir isi naam se paper taiyaar kar deta hai Aryan ko.

Aryan bhi nhi jaan paya usne yeh naam hi kyo diyaa.

Phir Aryan aur Sanjay ghar wapas aate hai. Ghar aakar Aryan lunch karke thodi der rest karta hai. Phir shaam ko uth ke apne fighting skills practice karta hai. Phir wapas thodi der lab mein jaata hai. Par waha kuch karne ko hota nhi hai isiliye woh wapas aajata hai.

Waha jaake woh Sanjay aur Sanjana ko kalke ghumne ka plan batata hai. Woh log bhi bolte hai achha hai jao thoda ghum ke aao.

Phir aise hi dinner time hojaata hai. Dinner ke baad woh apne room mein aata hai toh uska mobile baj uthta hai. Woh dekhta hai Meera ka call thaa.

Aryan: Hello.

Meera: Hello. Kya kar rahe ho.

Aryan: Bas dinner kiya hai ab soyenge.

Meera: Shayad maine galat time pe call kardiya.

Aryan: Nhi aisi koi baat nhi hai. Tum batao tum kya rahi ho.

Meera: Mein bhi bas sone ke liye hi aayi. Tumse yeh puchna tha kal tumhare ghar kitne baje aana hai.

Aryan: Ab mujhe toh pata nhi hai jo jo jagah select hui hai woh kitni durr hai. Tumlogo ko pata hai toh usi hisaab se aajana.

Meera: Achha hai thik hai. Main time Yash ko msg kardungi woh bhi usi time aajyegaa.
Waise aaj college se tum kaha gaye thee.

Aryan: Woh baba ke saath thoda kaam se gaya thaa.

Meera: O achha. Nhi mujhe laga chup kisi girlfriend se milne gaye thee. Yeh bol woh hasne lagi.

Aryan: Nice joke. Aur woh bhi hasne laga.

Meera: Achha good night kal milte hai.

Aryan: Good night.

Phir call cut kar dono sone lagte hai.

Agli Subah Aryan jaldi uth ke apna Workout complete karta hai aur apne fighting skills ke practice bhi karta hai kyoki shayad sham ko woh na kar paaye isiliye. Phir fresh hoke nichhe aata hai. Thodi der mein Yash aur Meera bhi aajate hai.

Aryan toh Meera ko dekhte hi reh jaata hai.

Light Blue color ki dress mein hadd se jyaada khubsoorat lag rahi thii. Chehre pe halka ka makeup naa jyaada naa kam bilkul perfect. Kan mein matching color ke earrings thee. Gale mein ek pendent thaa. Baal baandhe hue thee phir bhi kuch uske chehre par aarahe the. Jo usko aur khubsoorat bana rahe thee.

Sanjana yeh notice karleti hai isiliye woh Aryan ko paas jaake uske kaan mein dheere se kehti hai.

Sanjana: Kitni khubsoorat lag rahi hai naa.

Aryan bekhayali mein Haa bahot. Hadd se jyaada.


Phir jab usko khayal aata hai ke usne kya bol diya toh woh sharma jata hai. Aur Sanjana has deti hai.
Amazing update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 11
Idar Meera jab Aryan ko apne taraf aise ghoorte hue dekhti hai toh woh bhi sharma jaati hai. Meera ko bhi kahi naa kahi Aryan achha lagta thaa. Uski personality,uski caring,uska behaviour yeh sabne Meera ko bahot attract kiya hai.

Meera jab Aryan ko dekhti hai toh woh bhi bahoot attractive lagta hai. Blue Jeans,white t-shirt aur ek jacket aur uska woh chashmah jisme woh bahot hi achha lag raha thaa. Meera bhi usko waise hi dekh rahi hoti hai jaise Aryan ne usko dekha thaa but thoda sambhal ke.

Sanjana: Chalo bachho kuch nashta karlo pahle. Phir ghumne jaana.

Yash: Aree yeh bhi koi bolne ki baat hai. Main toh nashta jarur karungaa.

Yeh bol woh table pe baith jaata hai.

Aryan aur Meera uski yeh harqat dekh hasne lagte hai.

Yash: Kya hua has kyo rahe ho. Tumhe nhi khana toh koi nhi main khaa leta hu. Phir nikalte hai.

Aryan aur Meera haste hue uske paas hi baith jaate hai aur nashta karne lagte hai. Meera aur Yash ne nashta kiya hua thaa isiliye woh halka sa hi khaate hai.

Ab woh log jaane ke liye ready the. Toh Sanjay ne Aryan ko bula kar kaha

Sanjay: Sambhal ke rehna. Apni taqat ka istemaal naa hi karna toh achha hogaa. Kyoki woh log abhi bhi iss formula ke liye active hai.

Aryan: Mein dhyaan rakhungaa. Aap chinta na kare. Ab mein chalta hu byee.

Phir woh log waha se Aryan ki car mein pahle mandir chale jaate hai.

Raste mein inka hasi mazaak chalta hi rehta hai aur Aryan aur Meera ko ek dusre ko chori chupe dekhna bhi. Yash yeh notice toh karta hai but sirf muskura ke reh jaata hai.

Kuch 1 ghante baad woh log mandir pahonch jaate hai. Aaj Sunday Saturday thaa weekend thaa toh thodi bhiddd thii. Phir bhi woh log 30 mins mein dharshan karke nikal jaate hai.

Yash: Kaisa laga tujhe.

Aryan: Bahot suna tha iss mandir ko leke. Aur aaj dekh bhi liya. Bahot achha laga.

Meera: Abhi toh aisi aur bhi jagah hai jaha tumhe aur achha lagegaa.

Phir aise hi baate karte hue yeh jaa rahe thee. Toh raste mein Aryan ko ek bunglow ke bahar bahot bhidd nazar aati hai toh woh waha car rokh ke puchta hai. Aree yaha itni bhidd kyo hai.

Yash: Bhai yeh Mannat hai. Isiliye yaha itni bhidd hai.

Aryan: Mannat matlab wohi toh nhi jo mein samaj raha hu.

Yash: Haa wohi jo tu samaj raha hai.

Aryan: Yaar mujhe bhi dekhna hai.

Meera: Thik hai toh chalo chalte hai.

Phir wohlog car ko park karke waha jaake khade hojaate hai. Kuch hi der mein unka intezaar bhi khatam hota hai. Jiske liye yaha itne log khade the woh bhi aagaye.

Unke aate hi saare log chillane lagte hai.

Aryan,Meera aur Yash bhi unko live dekhte hai. Kuch der baad woh log wapas ghumne ke liye nikal jaate hai.

Yash: Kaisa laga.

Aryan: Yaar ek sapna jaise pura hogyaa.

Yash: Abhi jaha jaa rahe hai naa waha pe shayad aur bhi koi dikhne ko mil jaaye.

Phir yeh log nikal padhte hai FilmCity ki orr.

FilmCity pahonch kar woh log dekhte hai waha filhal shooting chal rahi thi.

Woh log bhi waha khade hokar thodi der shooting dekhte hai.

Shooting Akshay Kumar ke film ki thii.

Phir kuch der baad woh log ghumte ghumte apne final destination means Juhu Beach pe aajaate hai.

Inhi sab mein inko dopahar hogya thaa. Phir woh log wahi ek achhe se restuarant mein lunch karte hai.

Phir waha se Juhu beach ghumne lagte hai. Thodi der baad woh log Samundar mein masti karne lagte hai.

Phir achanak Meera ko pata kya hua woh samundar se nikal kar kahi jaane lagti hai.

Aryan aur Yash ko yeh ajeeb laga. Isiliye woh bhi uske pichhe chalne lagte hai.

Achanak woh dono dekhte hai Meera kisi ladke ke gale lage hoti hai.

Aryan yeh dekhta hai toh pata nhi kyo uski aankho mein aansu aajate hai but woh Yash ki nazar bacha ke unhe poch leta hai.

Yash: Aree Meera kiske gale lagi hui hai.

Aryan: Aree humhe kyaa hoga uska boyfriend.

Yash: Meera ka boyfriend. Usne kabhi bataya nhii.

Aryan: Achha tune kitne baar pucha.

Yash: Haa yehi bhi hai. Chal usko aane de phir puchta hu.

Aryan: Kya jarurat hai kisi ke personal life mein dakhal dene ki.

Yash: Yaar aise kyo bol raha hai. Woh humhari dost hai.

Aryan: Pata hai phir bhi woh uski personal life hai. Shayad woh uske baare mein nhi batana chahti ho.

Yash samaj jaata hai Aryan ko bura laga hai. But woh kuch kar bhi nhi sakta tha. Isiliye woh bhi chup hojata hai.

Thodi der baad Meera bhi aajati hai.

Meera: Kya hua tumlog aise kyo baithe ho.

Yash: Tum kaha chali gayi thi.

Meera: Woh main toh yahi thi. Jaan pehchan ka koi dikh gaya thaa ussi se milne.

Aryan: Chalo ab ghar chalte hai. Waise bhi bahot der hogyi hai.

Yash aur Meera bolte hai thik hai chalo.

Woh log waha se car ki taraf aate hai aur waha se baith ke nikal jaate hai.

Yash dekhta hai Meera abhi kuch jyaada hi khush lag rahi thii. Toh Yash usse puch hi leta hai

Yash: Kya baat hai Meera. Tum kuch jyaada hi khush la g rahi ho.

Meera: Haa baat hi kuch aisi hai.

Yash: Kyo kisi ne propose kardiya kyaa.

Meera: Shut up Yash. Aisi koi baat nhi hai.

Are jab mein waha se achanak chali gayi thi naa tab main apne bhaiya ko dekha tha. Mein unhi ke pichhe gayi thii.

Aryan aur Yash dono ek saath Bhaiyaaaa

Meera: Haa bhaiyaa.

Yash: Par tumne toh kaha thaa ke tum.....

Meera: Haa kaha thaa. Actually aashram mein 18 years ke baad rehna allow nhi hai. Mein toh waha kaam karti hu isiliye rehne ki permission mil gayi. Par baakiyon ko toh jaana hi padhta hai.

Toh aise hi waha aashram mein ek bhaiyaa the jo mujhe bilkul apni chotti behen ki tarah maante hai. Main unhe har saal rakhi bandhti thi.

Par unke 18 saal hone ke baad unhe waha se jaana padha. Par woh har saal rakhi mein mujhse milne aate. Aur aaj achanak woh mujhe yaha dikh gaye toh mein unse milne chali gayi.

Aryan: Achha. Toh woh jaan pehchan wala tumhare bhaiyaa hi thee.

Meera: Haa. Aur itne din baad unse mili toh isiliye jyaada khush hu.

Yash: Achha Meera tumne kabhi apne boyfriend ke baare mein bataya nhi.

Meera yeh sawal sunke ekbaar Aryan ki taraf dekh kar phir Yash ko jawab deti hai

Meera: Abhi aisa koi mila nhi hai. Par shayad bahot jaldi mil jaaye.

Yash: Oooo toh tumhe koi pasand aagaya hai. Kahi woh mein hi toh nhiii.

Meera yeh sunke usse baar dekhti hai phir bolti ab meri aisi kismat kaha ke mujhe tumhare jaisa smart aur handsome ladka pasand aajaye.

Jab Meera ne yeh bola tab Aryan paani pee raha thaa. Aur jab Aryan ne yeh sunna toh uske muh se paani nikal jaata hai aur woh car rok kar jor jor se hasne lagta hai.

Yash: Isme hasne ki kya baat hai.

Aryan: Nhi nhi mujhe achanak ek bahot hi mazedaar joke yaad aagaya isiliye hasi nikal gayi.

Yash: Pata hai pata hai kaunsa joke yaad aagaya. Yeh keh ke woh log hasne lagte hai.

Ab Aryan ka mood achha thaa. Kyoki jo galatfehmi usse hui thi woh durr hogyi. Usse bhi nhi pata thaa aakhir kyo usse Meera ke boyfriend hone se khayal se hi takleef hui aur uske aankho mein aansu aagye thee. Woh yeh samaj nhi paaraha thaa.

Aise woh log ghar pahonch jaate hai. Waha log thodi der rukh kar fresh hote hai phir Yash apni bike laaya thaa toh woh usse jaane wala thaa. Toh usne Meera se pucha kya main tumhe drop kardu.

Meera bhi haa bol deti hai.

Phir woh log apne raste nikal jaate hai.

Raaste mein Yash Meera se puchta hai

Yash: Meera ek baat puchu bura mat manna.

Meera: Main kyo bura manungi. Tum mere ek achhe dost ho aur ek bhai ki tarah hi mastikhor bhi ho.

Yash: Toh thik hai mein ek bhai ke haq se puchta hu kya tum Aryan ko pasand karti ho.

Meera yeh sunke khasne lagti hai. Yash bike ko side mein khadi kar ke usse puchta hai. Kya hua Meera.

Meera: Haklate hue. Kuch nhi. Aur aise koi bhi baat nhi hai.

Yash: Agar aisi koi bhi baat nhi hai toh tum hakla kyo rahi ho aur tumhara chehra aisa kyo hogya hai jaise tumhari koi chori pakdi gayi ho.

Meera: Nhi nhi aisi koi baat nhi hai. Hum bas achhe dost hai.

Yash: Achha sirf achhe dost ho. Toh car mein kyo usse tum chori chuppe dekhe jaa rahi thi.

Aur wahi wapas aate waqat bhi tumhari nazar uske upar se hatt hi nhi rahi thi.

Dekho tum mujhe bata sakti ho. Mujhe toh khushi hogi agar mere dost ek dusre se pyaar karte hai toh.

Meera samaj gayi thi ab woh chupaa nhi sakti isiliye.

Meera: Haa main dekh rahi thi. Woh mujhe achha lagta hai. Mujhe pasand hai. But yeh pyaar nhi hai. Woh mujhe abhi sirf ek dost ki tarah hi pasand hai. Infact dost se jyaada. But pyaar. Abhi yeh kehna galat hogaa.

Yash: Yaani tum abhi confuse ho. Thik hai koi baat nhi tumne accept toh kiyaa. Bahot jald tumhara yeh confusion bhi durr hojayegaa.

Chalo chalte hai.

Phir woh log aage badh jaate hai. Thodi der mein Meera ka ghar bhi aagaya.

Meera bike se utar ke jaane lagti hai tabhi piche palat kar woh kehti hai.

Meera: Yash baat please Aryan ko mat batana.

Yash: Tension not. Yeh top secret rahega. Waise ek baat batau. Shayad woh bhi tumko pasand karta hai aur shayad tumhari tarah hi confuse hai.

Meera yeh sunke khush hojaati hai aur puchti hai sachhh tumhe kaise pata.

Yash: Dekho toh khushi kaise chehre se tapak rahi hai.

Meera yeh sun sharma jaati hai aur bolti hai

Meera: Yashhhh.

Yash: Achha achha bolta hu.

Woh beach pe humlogo ne tumhe tumhara bhaiyaa ke saath dekh liya tha jab tum unke gale lagi hui thii. Tab jab Aryan ne tumhe unke saath dekha toh usse laga woh tumhare boyfriend hai. Isiliye woh bahot dukh bhi hua aur shayad isiliye woh waha se jaldi chalne ko kaha. Aur jab tumne car mein bataya woh kaun thee tab uske chehre mein se woh dukh hatt gaya thaa. But woh bhi tumhari tarah hi confuse hai.

Meera jab yeh sunti hai toh uski khushi ka koi thikana hi nhi thaa. Aryan bhi usse pasand karta hai yeh jaanke uska dil khushi se rom rom khil gaya thaa.

Woh khushi mein Yash ko kas ke gale laga leti hai.

Yash: Meera main Aryan nhi Yash hu. So control.

Meera: Yashhhhh. Aur uske kandhe pe marne lagti hai.

Yash: Achha achha thik hai nhi bolta kuch. But tumlog jaldi se apna confusion durr karo aur mujhe party do.

Meera sharma ke bhagg jaati hai. Yash bhi haste hue waha se chala jaata hai.

Aryan jab ghar aata hai toh sham hochuki thi. Woh thoda fresh hoke rest karne lagta hai.

Thodi der baad nichhe aata hai toh Sanjay aur Sanjana usse puchte hai kaisa gaya din.

Aryan: Bahot achha gaya. Bahot maza aaya.

Sanjana: Chalo achhi baat hai. Achha dinner ke baad tum yahi rukhna mujhe akele mein tumse kuch baat karni hai.

Aryan: Okk

Phir aise hi yeh log baate karne lagte hai. Phir dinner ke baad Sanjay toh sone chala gaya Aryan wohi baith gaya. Thodi der mein Sanjana bhi apna kaam nipta ke aati hai toh Aryan puchta hai

Aryan: Kya baat karni thi aapko.

Sanjana: Meera. Itna bol woh chup hojaati hai.

Aryan samaj gaya uski subah ki harqat ki wajah se shayad woh abhi yaha hai.

Aryan: Main samjha nhi.

Sanjana: Tum sab samaj rahe ho. Chalo ab batao kya majra hai.

Aryan: Koi majra nhi hai. Kya majra hogaa.

Sanjana: Kya tum usse pasand karte ho. Sanjana ne direct sawaal daag diya uske upar. Jisse Aryan ghabra jaata hai. But jaldi hi woh sambhal jaata hai aur bolta hai.

Aryan: Haklate hue nhi aisi koi baat nhi hai humlog bas achhe dost hai usse jyaada kuch nhi.

Sanjana: Achha achhe sirf achhe dost ho toh subah jo tumne kiya woh sirf dost toh nhi karte.

Aryan isse aur ghabra jaata hai. Sanjana yeh dekh usse sambhalti hai aur bolti.

Sanjana: Daro mat tumne koi galti nhi ki hai.

Aryan: Ji. But aisa kuch nhi hai.

Sanjana: Dekho Meera mujhe achhi ladki lagi aur mujhe pasand bhi aayi. Aur mujhe lagta hai shayad woh bhi tumhe pasand karti hai.

Kyoki jaise tum subah usse ghurr rahe the thik waise hi woh bhi tumhe ghurr rahi thi. Use laga use kisine dekha nhi tha.

Aryan ko yeh sunte hi woh car wala scene yaad aajata hai jab usne bola tha " Abhi toh nhi hai. Par shayad bahot jaldi mil jaaye ".

Aur uska chehra mein ek hasi aajati hai.

Sanjana: Mujhe pata hai tum abhi confuse ho. Isiliye koi jaldi nhi hai aaram se socho. Abhi bahot time hai.


Aryan: Ji. Yeh bol woh apne kamre mein aajata hai
Traveling update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 12
Waha aake apna mobile dekhta hai toh uske chehre mein ek smile aajati hai kyoki waha Meera ke missed calls the. Aryan call back karta hai.

Meera jab Aryan ka call dekhti hai toh uske dhadkane tez hojaati hai. Usse samaj nhi aaraha tha ke kya kare. Phir bhi woh call receive karti hai.

Aryan: Hello.

Meera: Haklaate hue. Hello.

Aryan: Kya hua aise kyo bol rahi ho.

Meera: Ghabra jaati hai. Aur bolti hai shayad network problem hogaa.

Aryan: Haa shayad. Aur batao kaise call kiyaa.

Meera: Bas aise hi karliya. Tum kaha the. Mera call nhi uthayaa.

Aryan: Aryan thoda masti karte hue. Bas thaa kisi ke saath isiliye nhi utha paya.

Meera: Kiske saath thee.

Aryan: Hai koi.

Meera thoda tensed hojaati hai woh sochti hai itni raat yeh kiske saath thaa kahi kisi ladki ke saath toh nhi. Woh confirm karne ke liye puch hi leti hai

Meera: Kisi ladki ke saath the kya( Usne yeh puch toh kiya. But andar hi andar woh darr rahi thi kahi yeh sach naa hojaaye)

Aryan: Thoda sa haste hue. Tum kitni smart ho ekdum sahi guess kiya.

Meera jab yeh sunti hai toh uski aankho se aansu nikal jaate hai. Woh control karte hue puchti hai.

Meera: Achha kya kar rahe the itni raat ko uske saath.

Aryan ko aise satane mein bahot maza aaraha thaa

Aryan: Kuch khash nhi saath mein dinner kiya aur aaj saara din kya kya kiya woh share kiya bas.

Meera: Thodi nam awaaz mein achha Dinner bhi kiya uske saath. Achha hai. Lage raho.

Aryan: Haa aur tum jaanti bhi ho ladki ko.

Meera ko ab kaha hosh thaa. Uska toh zor zor se rone ka dil kar raha thaa but phir bhi woh control karte hue.

Meera: Achha kaun hai woh.( Mann mein Chudail)

Aryan: Tumhari awaaz aise kyo hogyi hai jaise tum ro rahi ho.

Meera: Nhi main kyo rone lagi. Woh piyaaz kaat rahi hu naa isiliye tumhe laga hogaa.
Tum uska naam batao naa kaun hai woh( Gusse mein)

Aryan: Aree haa. Woh hai meri maa Sanjana. Yeh bol woh jor jor se hasne lagta hai.

Meera yeh naam sunn ek rahat ki saans leti hai. Par turant gusse mein kehti

Meera: Hasna band karo. Isme hasne jaisa kya hai.

Aryan: Tumhe laga tha main kisi dusri ladki ke saath hu rightt yeh bol woh aur hasne lagta hai.

Meera: Bhala main kyo aisa sochne lagi. Aur agar tum kisi ladki ke saath hote bhi toh usse mujhe kyaa. Tum kaunsa mere boyfriend ho jo mujhe fark padegaa.

Aryan: Oo haa yeh bhi hai. Chalo koi baat nhi yeh batao kya kar rahi ho.

Meera: Kuch nhi. Bas ek movie dekh rahi thi jisme ek ladki ka boyfriend kisi dusri ladki ke saath flirt kar raha thaa toh pahli ladki ne apne boyfriend ki taange todd di aur uss ladki ki aankhe phod di.

Aryan samaj jaata hai woh koi movie nhi dekh rahi thi bas apni feelings ko express kar rahi thii.

Aryan: Aree baba re yeh kaisi altufaltu movie dekhti ho
Aise movie bilkul nhi dekhni chahiye jo yeh dekhta hai uska dimaag kharab hojaata hai.

Meera: Nhi aaj kal yehi sab trend mein hai. Humhe sikhna chahiye agar kabhi apka boyfriend aisa kare toh uske saath kya kya karna chahiye.

Aryan: Achha samaj lo kabhi tumhara boyfriend aisa karta hai toh tum kya karogi

Meera: Agar usne aisa kabhi kiya toh sabse pahle toh uska sirr phodd dungi jisme aisa khayal aaya thaa. Phir uski taange todd dungi jisse chal ke woh uss ladki ke paas gaya thaa. Aur phir uss ladki ki muh noch lungi jiske chalte usne mere boyfriend ko phasaya. Uski aankhe nikal lungi jisse usne boyfriend ko dekha aur kya kya karungi abhi dhyaan mein nhi hai.

Aryan: Aree baba re tum toh dikhti ho bholi bhali par andar se toh ekdum khoonkhar ho.

Meera: Tumne mujhe abhi tak jaana hi kitna hai.

Aryan: Achha hai main tumhara boyfriend nhii warna college ki sabhi ladkiyan abhi tak andhi hochuki thi.

Meera: Baat toh sahi hai. Phir woh hasne lagte hai.

Aise hi thodi der baate karke woh sone chale jaate hai.

Aaj Meera bahot khush horahi thii. Reh reh ke uske aankho ke saamne Aryan ka chehra aaraha thaa. Woh pillow ko apne seene se laga ke sone ki koshish karti hai. Par aankhe band karte hi uske saamne Aryan aajata. Woh so bhi nhi paa rahi thii.

Meera: Main pagal ho jaungi. Aankhe band karte hi uska chehra aajata hai. Aise toh main so hi nhi paungi.

Phir bhi woh sone ki koshish karti hai. Badi mushkilo ke baad usse neend aahi jaati hai.

Aryan ka bhi same yehi haal thaa. Woh bhi sone ki koshish karta par so nhi pata. Woh bhi badi mushkilo ke baad so pata hai.

Dono hi raat ko late sone ki wajah se subah late uthte hai.

Aaj Aryan ka workout miss hogya thaa. Woh uthke fresh hoke breakfast karne nichhe aata hai toh Sanjana puchti hai

Sanjana: Kya baat hai aaj late hogye.

Aryan: Haa woh kal raat neend hi nhi aarahi thi. Isiliye late soya thaa aur late hi utha.

Sanjana: Haa ab saari raat kisi ki yaadon mein khoye rahoge toh neend kaise aayegi.

Aryan yeh sunte hi khashne lagta hai.

Sanjana usse paani deti hai aur bolti hai aaram se aaram se itni jaldi kya hai kisi se milna jaana hai kyaa. Yeh bolti hai aur hasne lagti hai.

Aryan apni taang khichayi se bahot sharma raha thaa. Phir bhi woh sharmate hue bolta hai

Aryan: Nhi aise koi baat nhi hai aur mujhe aaj kahi pe bhi nhi jaana hai.

Sanjana: Rehne do rehne do mein bhi tumhari age cross karke aayi hu mujhe pata hai kaisa hai kaisa nhi hai. Bhale hi tum superhuman ho par ho toh being human hi.

Aryan sharmane lagta hai aur woh chup chap khaana khaa ke apne kamre mein jaake thodi der padhai karta hai.

Thodi der baad uske mobile mein ek unknown number se call aata hai. Woh Receive karta hai

Aryan: Hello.

Saamne se: Hello bhai main woh underground fight ka bookie bolraha hu.

Aryan: Haa haa bolo kaise call kiyaa.

Bookie: Bhai 2 baate hai. Pahli Undertaker ka bhai aapko dhund raha hai. Kyoki aapne uske bhai ko maara hai isiliye. Aur dusri aaj bhi ek death to death fight hai agar aap jeet te ho toh pichli baar ki tarah issbaar bhi pura collection aapka. Kyoki death to death ka yehi rule hai jo jitta hai pura collection uska.

Aryan: Thik hai. Mujhe address msg kardena. Mein aajungaa.

Bookie: Thik hai bhai. Aur aap zara sambhal ke woh Undertaker ka bhai.....

Aryan: Ha thik hai main dekh lungaa.

PhirAryan padhai complete karke apne fights ki practice karta hai. Phir Lunch complete karta hai. Aur Sanjana ko bol deta hai aaj uski ek aur fight hai isiliye woh raat ko nikal jayegaa.

Phir Aryan apne room mein aake thodi der Meera se baat karne ka soch ke usko call laga deta hai

Thodi der mein usne call receive kar liyaa.

Meera: Kya baat hai aaj tumne mujhe call kiya. Kamaal hai.

Aryan: Kyo main nhi kar sakta kya.

Meera: Nhi nhi bilkul kar sakte hai. Bataiye kaise call karna hua.

Aryan: Bore horaha tha toh socha tumse hi thodi baate karli jaaye. Kya kar rahi ho.

Meera: Kya karungi. Baithi hu. Kuch hai hi nhi karne ko.

Aryan: Kyo aaj aashram mein kaam nhi hai.

Meera: Tha lekin complete hogya hai. Aur ab koi kaam nhi hai.

Aryan: Ooooo.

Meera: Waise tumne apne baare mein kabhi kuch bataya nhi.

Aryan: Mere baare mein kuch hai hi nhi batane ko toh kya bataunga.

Meera: Pata nhi kyo lekin tumhe dekh kar aisa lagta hai jaisa tum dikh rahe ho tum woh nhi ho. Tum kuch aur ho.

Aryan yeh sunke thoda serious hojaata hai

Aryan: Matlab. Main samjha nhi.

Meera: Main toh mazaak karrahi thi. Tum aise serious hogye jaise maine jo kaha woh sach hi kaha ho.

Aryan: Nhi aisi koi baat nhi hai.

Achha chalo main rakhta hu baad mein baat karungaa byee.

Meera: Okk byeee.

Phir Aryan thodi der ke liye lab mein jaata hai jaha Sanjay kuch kaam kar raha hota hai.

Aryan: Kaunsa experiment karrahe hai.

Sanjay: Koi experiment nhi kar raha hu. Bas thodi saaf safayi kar raha hu bahot din hogye yaha ki saaf safayi nhi hui.

Aryan: Oo. Main kuch madad karu.

Sanjay: Nhi bas ho hi gaya hai. Waise tum yaha.

Aryan: Kuch karne ko hi nhi toh socha yaha aake dekhu. Shayad kuch karne ko mil jaaye.
Par yaha pe bhi kuch nhi hai.

Sanjay: Toh ek kaam karo. Apne dosto ke ghar ghum aao.

Aryan: Idea achha hai.

Phir Aryan waha se nikal kar Yash ko call karta hai.

Aryan: Kya kar raha hai bhai.

Yash: Bhai bahot bore horaha hu. Tu bata

Aryan: Mera bhi yehi haal hai.

Yash: Toh ek kaam kar tu mere ghar aaja. Aaj toh mere dad bhi ghar mein tujhe unse bhi milwata hu.


Aryan: Yeh thik hai. Tu address send kar mein aata hu.
Nice update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 13
Yash usko address send kar deta hai. Aryan thodi der mein hi Yash ke ghar aajata hai.

Darwaza Yash ki mom ne khola thaa.

Aunty: Tum Aryan hona.

Aryan: Ji Aunty.

Aunty: Aao andar aao.

Aryan andar aata hai jaha hall mein hi woh uske dad ke saath baitha thaa.

Yash: Welcome bhai. Aa baith.

Yeh hai mere dad Harish Verma. Yeh ek CBI officer hai.

Harish Uncle : Kaise ho young man.

Aryan: Achha hu uncle. Aap kaise hai.

Harish Uncle: Bas chal rahi hai. Yeh CBI ki naukri jaan khaa rahi hai.

Tabhi pichhe se awaaz aati hai toh chorr kyo nhi dete agar itne hi pareshan ho toh.

Yeh awaaz kisi aur ki nhi Yash ke mom ki thi.

Woh apne saath kuch nashta leke aarahi thii.

Yash: Yeh hai mere mom Nandini Verma.

Nandini Aunty: Kaise ho beta. Yash ne tumhare baare mein bola thaa ke kaise tumne college mein ek ladki ki izaat bachayi.

Aryan: Mein thik hu Aunty. Aur woh toh bas mera farz thaa. Aur ab woh ladki bhi humari dost hai.

Nandini Aunty: Haa Yash ne bataya thaa. Kya naam tha uska Maya naa Mina...

Tabhi Aryan jhatt se bolta hai

Aryan: Meera. Uska naam Meera hai.

Aryan ke aise jhatt se bolne se yash ko dekhta hai but kuch bolta nhi bas muskura raha hota hai.

Nandini Aunty: Haa Meera. Toh usko bhi le aate. Usse bhi mil lete humlog.

Aryan: Next time pakka aunty.

Nandini Aunty: Achha thik hai. Chalo ab nashta karlo.

Aryan: Nhi aunty maine abhi abhi lunch kiya hai. Abhi kuch nhi khaa paunga.

Nandini Aunty: Aree aise kaise tum Yash ke dost ho aur pahli baar humare ghar aaye ho. Aisi hi thodi naa chorungi. Tumhe toh khana hi padegaa. Aur main kuch nhi sunne wali.

Aryan bhi aage zid nhi karta. Kyoki usse pata thaa woh nhi manne wali.

Nashte ke baad Yash aur Aryan wahi baith ke baate karne lagte hai.

Aur Harish Uncle kuch kaam kar rahe thee aur woh tension mein bhi dikh rahe thee.
Toh Aryan puchta hai

Aryan: Kya baat hai uncle aap kuch tension mein lag rahe hai. Sab thik hai naa.

Harish Uncle: Haa sab thik hai bas ek case ko leke uljha hua hu.

Aryan: Kaisa case hai uncle.

Harish Uncle: Aree 2 din pahle Humare CM ki maut hogyi.Toh ab yeh case CBI ke under hai. Opposition walo ka muh band karne ke liye iss case ko CBI ko de diya gaya hai. Maut ke 2 din pahle inhe heart attack aaya thaa. Toh yeh hospital mein admit the. Doctors ka kehna tha inki situation stable thi aur dusre din inko discharge bhi kardiya jaata. Raat ko inki halat bhi thik thi. Par Subah jab nurse inhe dekhne aayi toh inki maut hochuki thii. Maut ka reason heart attack bataya gaya. Doctors ka kehna tha 1st heart attack ke baad unka heart kamzor hogya thaa. Isiliye 2nd attack woh seh nhi paaye.

Nurse ka kehna hai jab woh unhe dekhne aayi tab TV pe news channel chal raha tha aur unki maut hogyi thi.

Humhare paas kuch photos hai jo unke maut ke baad li gayi thi.

Aryan un photos ko dhayan se dekhta hai. Woh dekhta hai CM ki aankhe khauf se badi hogyi thi. Jaise unhone kuch bahot hi bhayank dekh liya hai. Unhone darr se bedsheet ko mutthi mein bhinch liya hai.

Aryan Harish Uncle se bolta hai Uncle kya main woh cabin ki CCTV footage dekh sakta hu. Shayad main koi madad kar saku.

Phir woh uss din ki CCTV footage dikhate hai tab jab unki maut hui thik usse thodi der pahle CCTV footage mein thoda problem hua matlab footage kuch der ke liye kapne laga but usme koi cher char nhi ki gayi thi.

Aryan unn photos ko wapas dhyaan se dekhta hai phir Uncle se bolta hai Uncle main sirf guess kar raha hu. Aap yeh dekhiye CM ki maut ke waqat woh TV dekh rahe thee.Yani uss samay TV mein kuch aisa chal raha tha jisse woh darr gaye aur unka BP high hogya hoga aur unko heart attack aagya hogaa. Aap yeh dekhiye yaha pe channel ka nam bhi dikha raha hai. Aap ek kaam kijiye aap iss news channel mein call kijiye aur puchiye ke jab CM ki maut hui tab unke channel mein kya telecast horaha thaa.

Toh Uncle jab news channel mein call kar rahe the tab main wapas CCTV footage dekhne laga aur har ek footage ko bade dhayaan se dekhne laga. Tab mujhe dikha Hospital ke backyard mein ek van aake rukhti hai. CM ke maut ke kuch waqat pahle. Lekin uss van se naa koi utarta hai aur naa hi woh koi time thaa waha pe rukhne kaa. CCTV mein uss van ke driver ka face dekh sakte the. Aryan ko uss Van pe shak hota hai.

Tab tak uncle bhi news channel mein baat karchuke thee woh bolte hai tab uss channel pe us time Yogsadhna ka program de raha thaa.

Aryan: Uncle CM Yogsadhna dekh ke itna kaise darr gaye. Aapko kuch ajeeb nhi lag raha.

Harish Uncle: Haa baat toh tumhari sahi hai. Koi bhi insaan yogsadhna dekh kar kyo daregaa.

Aryan: Aur ek baat uncle aap yeh dekhiye hospital ke backyard mein yeh van CM ke maut ke kuch waqat pahle hi aayi hai.

Harish Uncle: Haa humlogo ne bhi dekha tha but isme aisa kuch suspicious nhi dikh raha hai.

Aryan: Aapki baat sahi hai but iss samay yeh van bina kisi reason ke yaha pe kyo aayi. Jab isme se kisi ko utarna nhi thaa toh yeh van CM ke maut ke waqat hospital ke backyard mein kya kar rahi hai. Aur iss van ke driver ko dekhiye. Iski shakal se hi yeh koi criminal minded lagta hai. Mera six sense kehta hai aap iss driver ko uthaiye aapko bahot kuch mil sakta hai.

Harish Aryan ke bole hue saare points aur uske dekhne ke najariye ko mila ke dekhta hai toh woh paate hai ke Aryan ke saare doubts sahi hai.

Koi bhi yogsadhna dekhte hue kyo daregaa. CM ke maut ke waqat achanak CCTV video ka kapna. Bina wajah usi waqat hospital ke backyard mein ek van ka aana jiska driver ke criminal minded hone ka chance hona. Yeh sab koi ittefaq toh nhi.

Harish fauran apne team ko call karke batate hai aur uss driver ko uthane ke liye bolte hai. Phir Aryan ko bolte hai aur bolte hai.

Harish Uncle: Aryan tumhara dimaag sach mein bahot tez hai aur tumhara presence of mind bhi bahot kamaal ka hai. Jo chiz humlog nhi dekh aur samaj paaye woh tumne ek hi baar mein samaj liya. Bahot achhe keep it up.

Aryan: Uncle mujhe jo ajeeb laga thaa maine woh points bas aapke saamne laya thaa. Aur maine kuch bhi nhi kiya. Btw uncle CM ke death ke baad unki position ke liye next umeedvaar kaun hua hai.

Harish Uncle: Unke bhai. Kyoki wohi CM ke sabse kareeb thaa.

Aryan: Uncle pichle baar bhi yehi CM the naa aur uss waqat bhi unke bhai hi unke sabse kareeb thaa kyaa.

Harish Uncle: Haa. Tum sahi keh rahe ho.
Ek min kahi main jo soch raha hu tum wahi toh nhi kehna chah rahe ho.

Aryan: Uncle soch toh aap rahe hai main kaha kuch keh raha hu. Main toh doubts clear kar raha hu. Usse jyaada kuch nhi.

Harish Uncle: Very Intelligent. Apne doubts clear karne ke bahane case ko ek naya rukh hi de diya hai tumne. Aur ab toh mujhe bhi wahi lag raha hai jo tumhara doubt hai.

Yash jo itni der se inki baate sunn raha tha woh hairaani se ke saath Aryan ko dekh raha hota hai. Ke kaise isne uss case ko ek naya rukh de diya jiske pichhe uske dad kitne pareshan the.

Yash: Waah bhai tune toh kamaal kardiya. Kya dimaag paya hai. Jis case ke pichhe mere dad kitne pareshan the tune toh uss case ka taqtha hi palat diyaa. Hats off to you bhai.

Harish Uncle: Yash bilkul thik keh raha. Tum bahot hi intelligent aur kindly hearted insaan ho. Keep it up my boy.

Aryan: Thank You Uncle.

Achha uncle ab mujhe chalna chahiye bahot late hogya hai.

Achha Aunty chalta hu. Byee Yash.

Nandini Aunty: Aate rehna Aryan.

Aryan: Jarur Aunty.

Harish Uncle: Once again well done my boy.

Aryan: Thank you uncle.

Phir Aryan waha se apne ghar aajata hai. Usko wapas aate aate raat hogyi thii. Harish Uncle ke saath case ke baare mein discuss karte karte time ka pata hi chala.

Aryan ghar aake fresh hoke dinner karne lagta hai. Phir thodi der baad woh wapas Black Beast wala rup mein ready hoke Bookie ke diye hue address pe pahunch jaata hai.

Bookie usko dekh kar uske paas jaata hai. Aur bolta hai.

Bookie: Bhai aap abhi ladoge yaa last fight karoge.

Aryan: Last fight mein kitna time hai.

Bookie: Bhai iske baad ek aur match hoga uske baad last wala.

Aryan: Toh thik hai last wala hi ladungaa.

Bookie: Thik hai bhai. Phir woh Aryan ke naam ki entry karwata hai.

30 mins ke baad hi Aryan ka turn aajata hai.

Aryan Ring mein jaata hai toh pichle match ke baad bahot jann usse jaan gaye thee.

Unme se ek Undertaker ke bhai ka khabri bhi thaa. Toh usne Undertaker ke bhai ko phone karke Aryan ke baare mein bata diya.

Undertaker ka bhai waha aane ke liye nikal gaya.

Match start hota hai. Toh samne wala bolta hai tu wahi hai naa jisne Undertaker ko maara thaa.

Aryan: Koi shakk hai.

Saamne wala: Shakk toh hai. Phir bhi main Undertaker nhi hu. Usse toh maine bhi haraya tha. Chal aaj tujhe maar ke main Undertaker ke paas hi bhej deta hu. Phir dono waha pe ladhte rehna.

Aryan: Agar teri bakbak hogyi ho toh fight start kare.

Saamne wala: Lagta hai tujhe kuch jyaada hi jaldi hai marne ki.

Yeh bol woh Aryan ke muh pe maarta hai. Aryan thoda pichhe hogya. Phir uske seene pe laat jadd diya jisse woh durr jaake gira.

Aryan uthta hai toh woh usko wapas maarne aata hai. Toh iss baar Aryan uske waar ko block kar uske muh pe mukka mar deta hai. Jisse woh durr jaake giraa. Woh gusse muh uthta hai aur sidha Aryan ke ribs mein marta hai jisse uski ek pasli toot jaati hai. Usko dard toh hota hai but chillata nhi ulta gusse mein aake saamne wale ke gale mein ek punch karta hai phir uske pith mein puri taqat se maar ke uske spinal cord ko hi todd deta hai. Aur final punch sidha ke heart ke upar woh sidhaa upar.

Waha pe khade sab Black Beast ke naam ki hooting karne lagte hai.

Aryan waha se sidha bookie ke paas jaake usko bolta hai meri pasli tooti hai main hospital jaa raha hu kisi ko kuch mat bolna aur paise uss din ki tarah account mein de dena.

Bookie: Kya pasli toot gayi. Main bhi chalta hu aapke saath.

Aryan: Nhi yaha pe Undertaker ke bhai ke khabri hosakte hai woh agar tujhe mere saath dekh lenge toh tu musibat mein aajayega. Main sambhal lunga. Bas yeh baat kisi ko pata naa chale.

Aryan waha se sidha apni car ke paas jaake Sanjay ko call lagata hai but woh switch off aata hai.

Isiliye woh Sanjana ko lagata hai.

Aryan: Hello Maa.

Sanjana: Haa bol hogyi teri fight.

Aryan: Haa fight toh hogyi par ek problem hogyi.

Sanjana: Kya hua.

Aryan: Woh aaj opponent taqatwar tha usne mere ribs pe maare toh shayad ek pasli toot gayi hai.

Aap baba ko leke ghar ke najdeek ko hospital hai waha aajayiye. Main raaste meim hi hu. Kuch der mein aajunga.

Sanjana: Yeh kaise hosakta hai. Tumko kaise chott lag sakti hai.

Aryan: Bhale hi Super human hu. Par hun toh human hi naa

Aur usne apni puri taqat se maara thaa aur maine bhi apni body ko loose chor diya thaa isiliye pasli toot gayi.

Aap jaldi se baba ko leke pahonchiye.

Sanjana: Haa hum abhi aate hai.

Sanjana jaldi se Sanjay ko utha kar saari baat batati hai wohlog jaldi se hospital pahonch jaate hai.


Hospital ghar ke najdeek hi tha aur raat ke waqat rasta bhi clear tha isiliye woh log jaldi pahonch jaate hai. Woh log jab pahonch te hai toh dekhte hai Aryan apni car leke wahi pe hai.
Jabardast update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 14
Woh log jaldi se usse admit karwate hai Accident bolke. Sanjay ko doctor jaante the isiliye jyaada koi sawaal kiye bina uska treatment start hota hai.

Sanjana ne jab Aryan ko dekha toh uske aansu nikal gaye. Sanjay ne usse sambhala. Sanjana janti thi ke woh koi normal insaan nhi hai jaldi thik hojayegaa. Phir bhi usse bahot takleef horahi thii.

Thodi der baad Doctor OT ke bahar aate hai aur bolte hai.

Doctor: uske right side ke nichhe ki pasali toot gayi hai. Accident jyaada bhayanak nhi tha warna aur bhi pasliyan toot sakti thi. Humhe uska operation karna hogaa.

Sanjay: Toh aap operation kariye.

Doctor: Thik hai aap saari formality puri kar dijiye main operation ki taiyaari karta hu.

Sanjay waha se jaake saari formality puri karta hai.

Yaha Sanjana ke pass Nurse aake Aryan ka mobile,watch de deti hai.

Sanjana woh sab le leti hai. Tabhi Aryan ka mobile bajta hai usme Meera ka call aaraha thaa.

Sanjana yeh dekh kar darr jaati hai. Kyoki usse pata thaa bhale hi confusion hai but pyaar toh karti hai Aryan ko.

Phir bhi woh darte darte call receive karti hai.

Meera: Aree yaar kaha ho kabse call kar rahi hu.

Sanjana: Meera beta main Sanjana bol rahi hu.

Meera: Ooo sorry aunty mujhe laga Aryan hai. Waise hai kaha woh. Aur aapki awaaz itni ghabrayi hui kyo hai.

Sanjana: Pahle mujhe promise karo. Main tumko bataungi woh sunke tum panic nhi hogi aur meri baat manogi.

Meera: Aunty mujhe aisa kyo lag raha hai kuch hua hai. Aryan ka phone bhi aapke paas hai

Kahi Aryan ko toh kuch hua nhi hai naa.

Aunty please bataiye naa mujhe bahot ghabrahat horahi hai.

Sanjana: Pahle shant hojao aur meri baat dhyaan se suno.

Aryan abhi hospital mein hai.

Meera jaise hi sunti hai Aryan hospital mein uski aankho ke aage andhera chaa jaata hai aur aankho se aansu nikalne lagte hai. Usse naa kuch dikhayi de raha tha aur naa kuch sunayi de raha hai. Dikhayi de raha tha toh Aryan ki shakal aur sunayi de raha tha ke woh hospital mein hai.

Sanjana: Meera Meeraaaa sambhalo khud ko.

Meera hosh mein aate hue.

Meera: Rote hue kya hua hai Mere Aryan ko aaplog kaun se hospital mein ho mujhe bataiye main abhi waha aarahi hu.

Sanjana: Dekho ro mat. Uska accident hogya tha aur uske right side ek pasli bhi toot gayi hai filhal uska operation horaha hai.

Meera: Rote hue. Kaise hua accident. Aaplog kaha bataiye main abhi aaungii. Mujhse raha nhi jayegaa.

Sanjana: Dekho filhal uska operation horaha hai aur raat bhi bahot hogyi hai itni raat ko tumhara akele aana thik nhi hogaa. Tum kal subah Yash ke saath aajana. Aur accident kaise hua pata nhi. Woh bahar gaya thaa phir mujhe call karke bataya.

Meera: Woh waha hospital mein hai main yaha kaise reh sakti hu. Mujhse nhi raha jayegaa. Jab tak main usko apni aankho nhi dekhungi mujhe chainn nhi milega.

Sanjana: Main jaanti hu tum usse kitna pyaar karti ho. Aur tumko abhi kaisa lag raha hai. Par meri baat bhi samjho. Abhi yaha aake bhi kuch nhi hogaa. Doctors kal subah ke pahle usse milne nhi denge. Isiliye meri baat maano kal subah Yash ke saath aajana.

Meera: Thik hai main aapki baat maanti hu. Par aap mujhe har pal ki khabar dete rahiyega. Warna mujhe chainn nhi milegaa aur main subah hote hi aajungi.

Sanjana: Good Girl. Aur tension bilkul mat lena yaha doctors hai naa usko kuch nhi hogaa. Aur rona toh bilkul bhi nhi.
Warna kal agar Aryan ne mujhse pucha ke maine uski Meera ko rone kaise diya. Toh main kya jawaab dungi.

Meera: Ji thik hai samaj gayi. Aur aap aur uncle bhi apna dhyaan rakhiyega.

Yeh bol call cut hojata hai. Phir Meera Yash ko call lagati hai.

Yash ke mobile baj ta toh toh woh dekhta hai Meera ka call hai. Woh time dekhta hai toh 1 baje rahe hote hai. Itni raat ko Meera ka call dekh woh ghabra jaata hai.

Yash: Kya baat hai Meera itni raat ko call kiya sab thik hai naa.

Meera: Rote hue. Yash woh Aryan...Woh Aryan... Iske aage woh kuch bol nhi paati bas rone lagti hai.

Yash: Ghabra kar. Kya hua Aryan ko aur tum ro kyo rahi ho. Pahle chup hojao phir batao kya huaa.


Meera: Chup hote hue. Yash woh Aryan ka accident hogya hai aur woh hospital mein hai aue uski ek pasli bhi toot chuki hai.

Yeh usne ek saans mein bol diya aur phir rona start kardiya.

Yash: Kya Aryan ka accident hogyaa kaise kab kaha. Aur tum kaha ho.

Meera: Kab kaha kaise kuch nhi pata. Maine usse baat karne ke liye call kiya tha toh Aunty ne call receive kiya tha aur unhone bola. Aur main abhi ghar mein hu.

Yash: Tum chinta mat karo. Main abhi tumhare paas aata hu phir hum chalte hai Hospital.

Meera: Nhi aunty ne abhi aane se mana kiya hai. Unhone kaha ke abhi uska operation horaha hai aur doctors kal subah ke pahle milne bhi nhi denge. Isiliye unhone kal subah aane ko kaha hai.

Yash: Thik hai tum rona mat. Usko kuch nhi hogaa. Humlog kal subah hi chalenge uske paas.

Meera: Thik hai.

Yeh bol phone cut hojaata hai.

Idhar durr ek ghar mein ek ladki achanak bhaiiiiii bol chillake uth jaati hai.

Uss ladki awaaz sunn pure ghar wale uske kamre aajate hai.

Aurat: Kya hua beta tum aise chillai kyo.

Aadmi: Haa beta kya hua bolo.

Ladki: Maa aaj phir se mujhe waisa hi sapna aaya jaisa kuch mahine pahle aaya hai. Mera bhai kisi khatre mein hai. Maine dekha woh ek hospital mein tadap raha hai. Mujhe abhi mere bhai ke paas jaana hai. Woh takleef mein hai. Usse meri jarurat hogi.

Yeh sunn woh aurat ka dil bhi dehel jaata hai woh bhi rona chahti thi but apne aap ki mazboot kar

Aurat: Nhi beta aisa kuch nhi hai tumne bas ek bura sapna dekha hai. Aisa kuch nhi hua hogaa. Tumhara bhai bilkul thik hai.

Aurat2: Haa beta didi thik keh rahi hai tumne koi bura sapna hi dekha hai. Tum tension matlo tumhara bhai bilkul thik hogaa.

Ladki: Nhi mujhe kuch nhi malum. Mujhe mera bhai chahiye. Ab main uske bina ab aur nhi reh sakti. Pata nhi woh kaha hai kaisa hai. Mujhe uskaa saath dena chahiye thaa. Kyo maine uske upar vishwaas nhi kiya. Kyo uske upar woh ganda ilzaam lagaya. Woh mere saamne rota raha par mujhe uspe jara bhi taras nhi aaya. Yeh sab meri hi galti hai. Yeh bol woh zor zor se rone lagti hai. Uske saath waha khade sabhi ke aankho mein aansu thee. Sabhi usko chup karane ki koshish karte hai. But woh toh roye hi jaarahi thi.

Ladki: Papa aap toh itne bade aadmi hai aapke itne saare contacts hai aap kahi se bhi mujhe mera bhai laa dijiye. Warna main bhi uski tarah kahi chali jaungi. Aur phir se rone lagti hai.

Aadmi: Beta main puri koshish kar raha hu. Maine apne saare contacts laga diye par tumhare bhai ka kuch pata nhi chal raha hai.

Aadmi2: Kahi aisa toh nhi ke woh ab iss duniya.....

Aurat: Apne jawaan ko wahi rok do warna main yeh bhul jaungi ke tum mere pati ke bhai ho. Tumhari himmat kaise hui mere bete ke baare mein aisa bolne ki. Abhi ke abhi mere nazro se durr chalo isse pahle main kuch bhi galat kar baithu.

Aadmi2: Mera woh matlab nhi tha.

Ladki: Aapka jo bhi matlab thaa woh apne paas rakhiye. Agar aaj ke baad aap mere saamne bhi aaye toh mujhe kuch galat karne mein 1 min ka bhi samay nhi lagegaa. Dafaa hojayiye yaha se.

Aadmi2 gusse mein waha se nikal jaata hai.
Bahot uchalte hai naa yeh inki aisi halat karungaa ke yeh kabhi bhi kisi ko apni shakal dikhanne ke layak nhi rahengee.

Idher Meera ka rona toh rukh hi nhi raha thaa. Woh baar baar ghadi ki taraf dekh rahi thi waqt jaise tham sa gaya thaa. Uska ek ek pal kaatna mushkil horaha thaa. Woh toh aashram ke bane mandir mein hi baithi thi. Aur wahi bhagwan se prathna kiye jaa rahi thii.

Ab uske man mein apne pyaar ko leke koi bhi confusion nhi thaa.

Woh yeh jaan chuki thi ke woh Aryan se kitna pyaar karti hai.

Idhar Yash bhi tension mein idhar se udhar horaha tha. Uski aankho se bhi neend udd chuki thii.

Indono ko toh bas subah hone ka intezaar tha. Jisme abhi bhi 3 ghante baaki thee.


Idhar Hospital mein Aryan ka operation hochuka thaa.

Filhal woh behosh thaa. Bhale hi superhuman ho par behoshi ki dawa ka high dose kisi ko bhi thodi der ke liye toh behosh karegaa hi.

Doctor ne Sanjay aur Sanjana ko bata diya thaa ke woh ab thik hai. Uski recovery rate bhi bahot achhi hai. Pasli tooti jarur thi par jyaada nhi.

Ab aisa doctor ko kyo lag raha tha yeh toh Sanjay aur Sanjana jaante hi thee. Isiliye unhone kuch nhi bola. Bas Thank you Doctor hi bola.

Sanjana: Kya hum mil sakte hai.

Doctor: Abhi woh behosh hai. Hosh aane ke baad mil sakte hai.

Sanjay: Okk doctor.

Doctor waha se chale jaate hai. Sanjay aur Sanjana wahi baithe rehte hai uske hosh mein ka intezaar karte hue.

Kuch 1 ghante baad mujhe hosh toh aagya thaa mujhe khud ko hospital main dekh kar saari ghatnaaye yaad aati hai ke kya hua tha.


Main khud se hi. Kya jarurat thi hero banke body ko dheela chorne ki. Pahonch gaya naa hospital. Yeh toh achha hai formula ki wajah se jyaada kuch nhi hua. Warna pata nhi kya hotaa.
Awesome update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,893
143
Update 15
Abhi shayad raat hai isiliye kisi ko aane nhi diya. Chalo thik hai main bhi thoda so leta hu. Phir Aryan so jaata hai.

Sanjay aur Sanjana ko toh pata chal chuka thaa usko abhi tak hosh achuka hoga. Par phir bhi woh uske paas nhi jaate usko aaram karne dete hai.

Woh dono bhi wahi thodi der so jaate hai.

Abhi unko soye hue kuch der hua thaa ke Aryan ka phone baj utha. Sanjana dekhti hai Meera ka call thaa.

Sanjana: Aree baba re main toh isko bolna hi bhul gayi. Pata nhi iss pagal ne apna kya haal karliya hoga ab tak.
Woh jaise hi phone receive karti hai waise hi

Meera: Aunty ab kaisa hai Aryan. Doctor ne kya bola. Woh thik toh hai naa. Aap kuch bol kyo nhi rahi hai.

Sanjana: Aree ruko ruko mujhe kuch bolne toh do. Dekho treatment achhe se hogyaa. Chott jyaada nhi lagi thi. Pasli tooti thi par jyaada nhi. Abhi woh bilkul thik hai. So raha hai. Aur sorry main tumhe call karna hi bhul gayi.

Meera: Thank God ab woh thik hai. Aur aapko sorry bolne ki jarurat nhi hai main samaj sakti hu. Aap bhi tension mein thi naa.

Sanjana: Tum puri raat soyi nhi naa. Aur puri raat roti rahi hona tum.

Meera: Mujhe neend kaise aasakti hai aunty. Waha Aryan hospital mein hai aur yaha main so jau. Yeh toh kabhi possible hi nhi hai. Aur mere aankho se aansu rukh hi nhi rahe thee. Maine bahot koshish ki ke rona na aaye. But Aryan ke liye tension mein baar baar rona aa hi jaaraha thaa.

Sanjana: Itna pyaar kaise kar baithi tum Aryan se.

Meera: Yeh toh mujhe bhi nhi pata kaise mujhe Aryan se itna pyaar hogya. But ab mere jivan mein sirf aur sirf Aryan hi hai. Uske bina ab main jee nhi paungi.

Sanjana: Chup pagal ladki. Aisa nhi bolte. Chalo ab thodi der so jao. Warna agar tumhari tabyat kharab hogyi toh dono ko ek hi room mein admit karwana padega.

Meera: Nhi aunty jab tak Aryan ko ek baar dekh naa lu naa mujhe neend aayegi aur naa mujhe chainn aayegaa.

Aur waise bhi ab subah hone wali hai. Thodi der mein hi Yash aajayegaa. Phir main Aryan ke paas.

Sanjana: Pagal ladki. Ek tu pagal ek yeh pagal. Dono pagal ek jaise hai. Chalo thik hai sona mat thoda rest toh karlo.

Meera: Thik hai aunty.

Phir call cut hojaata hai.

Phir Meera Yash ko phone karke Aryan ki saari details deti hai.

Woh bhi thoda tension se free hota hai.

Meera thoda rest karne ke liye apni aankhe band karti hai toh usse neend aajati hai. Aur woh baithe baithe hi so jaati hai. 6:30 baje uske mobile ka alarm bajta hai tab uski neend toot jaati hai.

Meera: Aree 06:30 baj gaye aur main so kaise gayi. Mujhe toh hospital jaana hai.

Phir Meera jaldi jaldi fresh hoke ready hoti hai. Tab tak 7 baje chuke thee.

Udher Yash bhi jaldi jaldi ready hoke hospital jaane ke liye nikalta hai toh uske mom dad puchte hai itni subah subah kaha jaa raha hai. Tab woh unko sab batata hai. Toh woh bhi hospital jaane ke liye ready hote hai. Woh apne car se jaate hai Yash apni bike leke Meera ke ghar ki taraf jaata hai.

Meera ko 7:15 baje Yash call karke bolta hai woh uske ghar ke bahar khada hai.

Meera jaldi se waha aajati hai phir woh dono bhi Hospital pahonch jaate hai jaha pahle se hi Yash ke mom dad baithe thee.

Aryan bhi neend se jag chuka thaa aur sabse baate kar raha thaa.

Idher Sanjana hospital ke canteen se sabke liye chai lene jaati hai tab dekhti hai Meera aur Yash hospital mein enter kar rahe hote hai.

Meera Sanjana ko dekh daud ke uske paas jaati hai aur puchti hai. Kaise hai ab Aryan. Usko hosh aagaya. Kaha hai woh.

Sanjana: Aree shant shant Aryan deewani shant. Usko hosh aagyaa hai. Abhi thik hai. Aur room mein iske( Yash ) mom dad aur apne baba se baate kar raha hai.

Chalo le chalti hu tumhare Aryan ke paas. Pata nhi kaise saari raat kaati hogi tumne.

Meera yeh sab sunn tension mein bhi thoda sharmaa jaati hai jise Sanjana dekh leti hai.

Sanjana: Dekho pahle toh kaise ro rahi thi aur ab kaise sharmaa rahi hai. Maine thik hi socha tha yeh ek number ki pagal hai.

Phir Sanjana unhe Aryan ke paas le chalte hai.

Meera jab Aryan ko dekhti hai toh ek pal ke liye uske aankho mein aansu aajaate hai. Jinhe Aryan bhi dekh leta hai.

Meera uske paas jaati hai Yash bhi uske saath hi thaa. Jab woh dono room mein hote hai toh Yash ke mom dad aur Sanjana bahar aajate hai kyoki room mein itne logo ka rehna thik nhi thaa.

Meera bas usko dekhe jaa rahi thi. Uski aankhe ab bhi nam thi. But kuch bol bhi nhi rahi thi.

Yash: Ab kaisa hai bhai.

Aryan: Thik hu.

Yash: Yeh sab kaise hogya bhai.

Aryan: Kuch nhi bhai bas bike se ghar jaa raha tha. Achanak raste mein mera balance bigad gaya aur accident hogya aur mere ribs wale part mein laga jisse mere pasliyon mein chott aayi thoda thoda toot bhi gaya.

Yash: Bhagwan ka shukra hai koi bada hadsa nhi hua. Warna pata nhi kya hojaata.

Chal ab tu rest kar main chalta hu. Meera tum yehi rukh jao Sanjana aunty ko bhi ghar jaane do. Woh bhi puri raat jagi hai thoda ghar jaake fresh hoke aane do. Main bahar hi hu kisi bhi chiz ki jarurat ho toh mujhe bata dena.

Meera: Thik hai.

Phir Yash room se bahar chala jaata hai. Ab room mein sirf Aryan aur Meera hi thee.

Meera ab tak chup thi woh ab bolna start karti hai.

Meera: Kaise ho.

Aryan: Bas ekdum fit. Kal shayad discharge de denge phir wapas parso se college.

Meera: Khabardaar agar tumne 1 hafte tak apne room se kadam bhi bahar rakha toh.

Aryan: Toh....

Meera: Toh.. toh main tumhare taange todd dungi.

Meera ki aankhe jo ab tak nam thi ab uske chehre pe ek muskurahat aagyi thi.

Aryan: Chalo achha hai. Agar mere taange tod dene se tumhare chehre pe hasi aati hai toh mujhe yeh bhi manzoor hai.

Aur waise tum ro kyo rahi thi.

Meera: Main kaha ro rahi thi.

Aryan: Achha toh tumhari yeh aankhe nam kyo thii.

Meera: Shayad aankho mein kuch kachra chala gaya thaa. Isiliye paani aagaya thaa. Tum mere kaun ho jo main ro dungi.

Aryan: Achha.

Meera: Ji.

Aryan: Waise tumhe pata hai kal mere accident ki real wajah kya thaa.

Meera: Tumne hi toh abhi bataya.

Aryan: Aree woh toh aadha bataya. Mere balance bigadne ki asli wajah toh kuch aur hi thaa.

Meera: Kya. Kya thi asli wajah.

Aryan: Actually kal jab main bike chala rha tha tab mein kisi ke khayalo mein ghum thaa. Aur mujhe koi hosh hi nhi thaa. Aur bike speed breaker mein lagne se balance bigad gaya aur main yaha pe aagaya.

Meera jab yeh sunti hai toh gusse se.

Meera: Kyaaa. Kaun thi woh jara mujhe naam toh batao jiske wajah se tumhari yeh halat hogyi. Main use chodungi nhii

Aryan: Khabardaar agar usse kuch kaha toh.
Woh toh mere dil mein bas chuki hai. Usse kuch karna yaa kehna matlab mere se dushmani karna.

Meera: Nam aankho se kaun hai woh.

Aryan: Woh itni khubsoorat hai. Ke jab usko pahli baar dekha tha tabhi mera dil uska hogya thaa but mujhe yeh pata hi nhi chala.

Dusri baar jab usse mila tab woh pareshani mein ro rahi thi jisse dekh kar mujhe bahot gussa aaya jinke wajah se woh royi thi. Maine unko bahot maara thaa. But tab bhi main confuse thaa.

Phir aise hi hum milne lage aur mera confusion durr hota gaya. Aur jab kal usse meri halat ka pata laga woh toh jaise pagal hi hogyi thi aur mera pura confusion durr hogya.

Meera ka chehra aisa hogya thaa ke woh ab bas ro hi degi. Phir bhi usne khud ko control kiya aur pucha

Meera: Kya naam hai uska aur woh tumse milne nhi aayi.

Aryan: Naam jaanke kya karogi. Main tumko milwa hi deta hu.

Woh uss wash room mein hai. Jao aur usse bahar le aao. Sab aagye the toh woh waha chup gayi thi.

Meera ne jab yeh sunna woh ladki usse pahle hi Aryan se milne aagayi hai aur abhi bhi hai. Toh uska dil toh jaise dhadakna hi band hogaya thaa. Woh waha pathar ke jaise khadi thi. Jaise usme koi jaan hi naa bachi ho.

Aryan usko hila ke bolta hai jao bula lao.

Meera beman se bhari kadmo ke saath washroom ke taraf jaati hai. Uske aankho se aansu beh rahe thee. Woh unhe jitna poch rahi thi. Woh utna beh rahe thee.

Meera jab washroom mein enter karti hai toh pure washroom ke deewaro mein kaanch lage hue thee. Toh woh waha kisi ko nhi paati. Sirf waha pe apna hi reflextion dikh raha thaa. Meera yeh dekh khushi se jhoom uthti hai. Matlab Aryan itni der se jis ladki ke baare mein bol raha thaa woh main hu. Matlab woh bhi mujhse pyaar karta hai.

Woh washroom se bahar aati hai bhag kar jaake lete hue Aryan ke gale lag jaati hai.

Aryan bhi usko apni baahon mein le leta hai. Toh mil liya usse ladki se jisne pahli hi mulakat mein mera dil apne paas rakh liya.

Meera: Haa but woh bilkul bhi khubsoorat nhi hai.

Aryan: khabardaar agar meri jaan ke baare mein kuch bhi kaha toh.

Meera: Main toh kahungi.

Aryan: Chalo sirf tumhe hi permission deta hu.

Meera phir achanak usse marne lagti hai.

Aryan: Aree aree maar kyo rahi ho. Ab tumhe meri jaan pasand nhi aayi toh isme meri kya galti.

Meera: Bahot maza aata hai naa tumhe mujhe rulane mein mujhe pareshan karne mein. Yeh keh ke woh rone lagti hai.

Aryan usko wapas apne seene se laga leta hai. Aur uske baalon ko sehlane lagta hai.

Meera: Tumhe pata hai jab maine tumhare accident ki news suni toh uss waqat meri kya halat thii. Mere andar toh jaise jaan hi nhi bachi thi. Main toh tabhi yaha aana chahti thi par aunty ne mana kardiya. Puri raat pata nhi kaise kaise khayal aarahe the. 1 sec ke liye bhi chain nhi aaya mujhe.
Jab yaha aayi tumhe sahi salamat dekha tab jaake dil ko sukoon mila.

Par tum tumhe toh meri koi parwah hi nhi hai. Yaha par bhi mujhe pareshan kiya mujhe rulane lage. Yeh sab usne Aryan ke seene mein sar rakh kar kaha thaa.

Aryan: Mujhe pata hai meri jaan ke tum kitna pareshan hui ho. Kitna royi ho. Aur main bhi pagal tumhe wapas rula diya. Mujhe maaf kardo I Am Sorry.

Meera: Bas uske seene mein sar rakh baithi rahi. Tumhe maafi nhi iski saja milegi. Aur saja tumhari yeh hai ke tum pure 1 hafte sirf rest karoge. No college,no work,only rest.

Agar tumne yeh saza achhe se complete ki tabhi tumhari maafi ko grant kiya jayegaa.

Aryan: Yaar yeh 1 hafta kuch jyaada nhi hai

Meera: Kuch bola tumne.

Aryan: Nhi nhi main kya bolunga. Main toh bol raha tha mujhe saza manzur hai.

Meera: Hmm Good Boy. Chalo bahot baate hogyi ab rest karo main bahar hi hu.

Aryan: Yahi baith jao naa mere paas.

Meera bhi usko chor kar jaana nhi chahti thii.
Isiliye woh wahi par baith gayi.

Aryan bas usko hi dekhe jaa raha thaa

Meera: Aise kya dekh rahe ho.

Aryan: Dekh raha hu koi kitna khubsoorat hai.

Meera yeh sunke sharma jaati hai. Aur uske seene mein muh chupaa leti hai.

Aryan bhi usko baahon mein bhar leta rehta hai.

Aryan: Meera.

Meera: Hmm.

Aryan: Mujhse kitna pyaar karti ho.

Meera: Apni jaan se bhi jyaada.

Aryan: Kabhi mujhe chorogi toh nhi.

Meera: Aakhri saans tak nhi.

Aryan: Agar koi mujhpe kisi tarah ka koi ilzaam lagaye aur main usse us waqat galat sabit naa kar pau toh kya tum uss waqat bhi mera saath dogii.

Meera: Aisa kyo bol rahe ho. Koi aisa kyo karegaa.

Aryan: Karne ko toh insaan kuch bhi kar sakta hai.

Meera: Agar kabhi bhi aisi koi situation aati hai toh main har waqat tumhare saath rahongi. Kabhi bhi tumhe avishwas nhi karungi.

Aryan aage kuch nhi bolta bas uske baalon ko sehlane lagta hai aur Meera bhi uske seene mein aankhe band kar seene mein sir rakh kar baithi thi.

Kuch der yeh log aisi hi baithe the tabhi waha Sanjana aati hai.

Sanjana: Aree yeh hospital hai. Bedroom nhi.

Sanjana ki awaaz sunte hi woh ghabra jaate hai Meera tezi se uth ke khadi hojaati hai. Aryan bhi kare use kuch samaj nhi aata.

Sanjana unki halat dekh hasti hai aur bolti hai relax relax ghabrane ki koi jarurat nhi hai maine kuch nhi dekha.


Aryan aur Meera dono sharmaane lagte hai.
Loved update
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,834
27,241
204
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Ramjanne1998

MadMaX
Supreme
397
633
94
really upni behen ko maro or apni gf bhi uski behen ko Maro - loll it’s useless n nonsense story ! Sorry to say that ! Wasted my time
 
Top