ellysperry
Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
- 3,674
- 14,391
- 144
Jabardast updateUpdate 14Woh log jaldi se usse admit karwate hai Accident bolke. Sanjay ko doctor jaante the isiliye jyaada koi sawaal kiye bina uska treatment start hota hai.
Sanjana ne jab Aryan ko dekha toh uske aansu nikal gaye. Sanjay ne usse sambhala. Sanjana janti thi ke woh koi normal insaan nhi hai jaldi thik hojayegaa. Phir bhi usse bahot takleef horahi thii.
Thodi der baad Doctor OT ke bahar aate hai aur bolte hai.
Doctor: uske right side ke nichhe ki pasali toot gayi hai. Accident jyaada bhayanak nhi tha warna aur bhi pasliyan toot sakti thi. Humhe uska operation karna hogaa.
Sanjay: Toh aap operation kariye.
Doctor: Thik hai aap saari formality puri kar dijiye main operation ki taiyaari karta hu.
Sanjay waha se jaake saari formality puri karta hai.
Yaha Sanjana ke pass Nurse aake Aryan ka mobile,watch de deti hai.
Sanjana woh sab le leti hai. Tabhi Aryan ka mobile bajta hai usme Meera ka call aaraha thaa.
Sanjana yeh dekh kar darr jaati hai. Kyoki usse pata thaa bhale hi confusion hai but pyaar toh karti hai Aryan ko.
Phir bhi woh darte darte call receive karti hai.
Meera: Aree yaar kaha ho kabse call kar rahi hu.
Sanjana: Meera beta main Sanjana bol rahi hu.
Meera: Ooo sorry aunty mujhe laga Aryan hai. Waise hai kaha woh. Aur aapki awaaz itni ghabrayi hui kyo hai.
Sanjana: Pahle mujhe promise karo. Main tumko bataungi woh sunke tum panic nhi hogi aur meri baat manogi.
Meera: Aunty mujhe aisa kyo lag raha hai kuch hua hai. Aryan ka phone bhi aapke paas hai
Kahi Aryan ko toh kuch hua nhi hai naa.
Aunty please bataiye naa mujhe bahot ghabrahat horahi hai.
Sanjana: Pahle shant hojao aur meri baat dhyaan se suno.
Aryan abhi hospital mein hai.
Meera jaise hi sunti hai Aryan hospital mein uski aankho ke aage andhera chaa jaata hai aur aankho se aansu nikalne lagte hai. Usse naa kuch dikhayi de raha tha aur naa kuch sunayi de raha hai. Dikhayi de raha tha toh Aryan ki shakal aur sunayi de raha tha ke woh hospital mein hai.
Sanjana: Meera Meeraaaa sambhalo khud ko.
Meera hosh mein aate hue.
Meera: Rote hue kya hua hai Mere Aryan ko aaplog kaun se hospital mein ho mujhe bataiye main abhi waha aarahi hu.
Sanjana: Dekho ro mat. Uska accident hogya tha aur uske right side ek pasli bhi toot gayi hai filhal uska operation horaha hai.
Meera: Rote hue. Kaise hua accident. Aaplog kaha bataiye main abhi aaungii. Mujhse raha nhi jayegaa.
Sanjana: Dekho filhal uska operation horaha hai aur raat bhi bahot hogyi hai itni raat ko tumhara akele aana thik nhi hogaa. Tum kal subah Yash ke saath aajana. Aur accident kaise hua pata nhi. Woh bahar gaya thaa phir mujhe call karke bataya.
Meera: Woh waha hospital mein hai main yaha kaise reh sakti hu. Mujhse nhi raha jayegaa. Jab tak main usko apni aankho nhi dekhungi mujhe chainn nhi milega.
Sanjana: Main jaanti hu tum usse kitna pyaar karti ho. Aur tumko abhi kaisa lag raha hai. Par meri baat bhi samjho. Abhi yaha aake bhi kuch nhi hogaa. Doctors kal subah ke pahle usse milne nhi denge. Isiliye meri baat maano kal subah Yash ke saath aajana.
Meera: Thik hai main aapki baat maanti hu. Par aap mujhe har pal ki khabar dete rahiyega. Warna mujhe chainn nhi milegaa aur main subah hote hi aajungi.
Sanjana: Good Girl. Aur tension bilkul mat lena yaha doctors hai naa usko kuch nhi hogaa. Aur rona toh bilkul bhi nhi.
Warna kal agar Aryan ne mujhse pucha ke maine uski Meera ko rone kaise diya. Toh main kya jawaab dungi.
Meera: Ji thik hai samaj gayi. Aur aap aur uncle bhi apna dhyaan rakhiyega.
Yeh bol call cut hojata hai. Phir Meera Yash ko call lagati hai.
Yash ke mobile baj ta toh toh woh dekhta hai Meera ka call hai. Woh time dekhta hai toh 1 baje rahe hote hai. Itni raat ko Meera ka call dekh woh ghabra jaata hai.
Yash: Kya baat hai Meera itni raat ko call kiya sab thik hai naa.
Meera: Rote hue. Yash woh Aryan...Woh Aryan... Iske aage woh kuch bol nhi paati bas rone lagti hai.
Yash: Ghabra kar. Kya hua Aryan ko aur tum ro kyo rahi ho. Pahle chup hojao phir batao kya huaa.
Meera: Chup hote hue. Yash woh Aryan ka accident hogya hai aur woh hospital mein hai aue uski ek pasli bhi toot chuki hai.
Yeh usne ek saans mein bol diya aur phir rona start kardiya.
Yash: Kya Aryan ka accident hogyaa kaise kab kaha. Aur tum kaha ho.
Meera: Kab kaha kaise kuch nhi pata. Maine usse baat karne ke liye call kiya tha toh Aunty ne call receive kiya tha aur unhone bola. Aur main abhi ghar mein hu.
Yash: Tum chinta mat karo. Main abhi tumhare paas aata hu phir hum chalte hai Hospital.
Meera: Nhi aunty ne abhi aane se mana kiya hai. Unhone kaha ke abhi uska operation horaha hai aur doctors kal subah ke pahle milne bhi nhi denge. Isiliye unhone kal subah aane ko kaha hai.
Yash: Thik hai tum rona mat. Usko kuch nhi hogaa. Humlog kal subah hi chalenge uske paas.
Meera: Thik hai.
Yeh bol phone cut hojaata hai.
Idhar durr ek ghar mein ek ladki achanak bhaiiiiii bol chillake uth jaati hai.
Uss ladki awaaz sunn pure ghar wale uske kamre aajate hai.
Aurat: Kya hua beta tum aise chillai kyo.
Aadmi: Haa beta kya hua bolo.
Ladki: Maa aaj phir se mujhe waisa hi sapna aaya jaisa kuch mahine pahle aaya hai. Mera bhai kisi khatre mein hai. Maine dekha woh ek hospital mein tadap raha hai. Mujhe abhi mere bhai ke paas jaana hai. Woh takleef mein hai. Usse meri jarurat hogi.
Yeh sunn woh aurat ka dil bhi dehel jaata hai woh bhi rona chahti thi but apne aap ki mazboot kar
Aurat: Nhi beta aisa kuch nhi hai tumne bas ek bura sapna dekha hai. Aisa kuch nhi hua hogaa. Tumhara bhai bilkul thik hai.
Aurat2: Haa beta didi thik keh rahi hai tumne koi bura sapna hi dekha hai. Tum tension matlo tumhara bhai bilkul thik hogaa.
Ladki: Nhi mujhe kuch nhi malum. Mujhe mera bhai chahiye. Ab main uske bina ab aur nhi reh sakti. Pata nhi woh kaha hai kaisa hai. Mujhe uskaa saath dena chahiye thaa. Kyo maine uske upar vishwaas nhi kiya. Kyo uske upar woh ganda ilzaam lagaya. Woh mere saamne rota raha par mujhe uspe jara bhi taras nhi aaya. Yeh sab meri hi galti hai. Yeh bol woh zor zor se rone lagti hai. Uske saath waha khade sabhi ke aankho mein aansu thee. Sabhi usko chup karane ki koshish karte hai. But woh toh roye hi jaarahi thi.
Ladki: Papa aap toh itne bade aadmi hai aapke itne saare contacts hai aap kahi se bhi mujhe mera bhai laa dijiye. Warna main bhi uski tarah kahi chali jaungi. Aur phir se rone lagti hai.
Aadmi: Beta main puri koshish kar raha hu. Maine apne saare contacts laga diye par tumhare bhai ka kuch pata nhi chal raha hai.
Aadmi2: Kahi aisa toh nhi ke woh ab iss duniya.....
Aurat: Apne jawaan ko wahi rok do warna main yeh bhul jaungi ke tum mere pati ke bhai ho. Tumhari himmat kaise hui mere bete ke baare mein aisa bolne ki. Abhi ke abhi mere nazro se durr chalo isse pahle main kuch bhi galat kar baithu.
Aadmi2: Mera woh matlab nhi tha.
Ladki: Aapka jo bhi matlab thaa woh apne paas rakhiye. Agar aaj ke baad aap mere saamne bhi aaye toh mujhe kuch galat karne mein 1 min ka bhi samay nhi lagegaa. Dafaa hojayiye yaha se.
Aadmi2 gusse mein waha se nikal jaata hai.
Bahot uchalte hai naa yeh inki aisi halat karungaa ke yeh kabhi bhi kisi ko apni shakal dikhanne ke layak nhi rahengee.
Idher Meera ka rona toh rukh hi nhi raha thaa. Woh baar baar ghadi ki taraf dekh rahi thi waqt jaise tham sa gaya thaa. Uska ek ek pal kaatna mushkil horaha thaa. Woh toh aashram ke bane mandir mein hi baithi thi. Aur wahi bhagwan se prathna kiye jaa rahi thii.
Ab uske man mein apne pyaar ko leke koi bhi confusion nhi thaa.
Woh yeh jaan chuki thi ke woh Aryan se kitna pyaar karti hai.
Idhar Yash bhi tension mein idhar se udhar horaha tha. Uski aankho se bhi neend udd chuki thii.
Indono ko toh bas subah hone ka intezaar tha. Jisme abhi bhi 3 ghante baaki thee.
Idhar Hospital mein Aryan ka operation hochuka thaa.
Filhal woh behosh thaa. Bhale hi superhuman ho par behoshi ki dawa ka high dose kisi ko bhi thodi der ke liye toh behosh karegaa hi.
Doctor ne Sanjay aur Sanjana ko bata diya thaa ke woh ab thik hai. Uski recovery rate bhi bahot achhi hai. Pasli tooti jarur thi par jyaada nhi.
Ab aisa doctor ko kyo lag raha tha yeh toh Sanjay aur Sanjana jaante hi thee. Isiliye unhone kuch nhi bola. Bas Thank you Doctor hi bola.
Sanjana: Kya hum mil sakte hai.
Doctor: Abhi woh behosh hai. Hosh aane ke baad mil sakte hai.
Sanjay: Okk doctor.
Doctor waha se chale jaate hai. Sanjay aur Sanjana wahi baithe rehte hai uske hosh mein ka intezaar karte hue.
Kuch 1 ghante baad mujhe hosh toh aagya thaa mujhe khud ko hospital main dekh kar saari ghatnaaye yaad aati hai ke kya hua tha.
Main khud se hi. Kya jarurat thi hero banke body ko dheela chorne ki. Pahonch gaya naa hospital. Yeh toh achha hai formula ki wajah se jyaada kuch nhi hua. Warna pata nhi kya hotaa.
Wo ladki ,aurat aur wo admi sayad Aryan ke maa, baap aur bahen hai