• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyaar Ya Nafrat ( Completed)

Story achhi hai aur aage likhna chahiye

  • Haa

    Votes: 93 96.9%
  • Naa

    Votes: 3 3.1%

  • Total voters
    96
  • Poll closed .

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 35
Aur wahi udher innsab ka boss

Boss: Iss Black Beast ki toh. Saale mein pahle mere bhai Undertaker ko maara phir Mumbai mein mere drugs ka pura business hi khatam kardiya. Main isse chorungaa nhi. Pata nhi saala kaun hai kaha rehta hai kaisa dikhta hai. Jis din milgaya uss din uski jaan uske halak se nikalunga.

Yeh Boss usi Undertaker ka Bhai jiska naam Mike hai.

Tabhi Mike ke phone mein ek call aata hai jisko dekh kar uske paseene nikalne lagte hai. Kyoki phone Mike ke boss ka thaa.

Mike: Hello.

Boss: Soch raha hu tujhe kaisi maut du. Tune aur tere iss chamche ne mere mumbai mein drugs ka dhanda khatam karwa diya. Kaun hai yeh Black Beast.

Mike: Boss koi nhi jaanta kaun hai yeh Black Beast. Aur please mujhe ek mauka aur de issbaar aapko nirash nhi karunga.

Boss: Thikk hai. Ek kaam kar mumbai ke teen jagah mein aaj bomb plant kar aur usko parso blast kar. Iss India ko batana hoga yeh group abhi bhi zinda hai.

Mike: Hojayega boss.

Boss: Agar issbaar galti hui toh tere jism meim teri jaan nhi bachegi. Yeh blast uss Black Beast ki galtiyon ki saza hai.

Mike: Ji boss hojayegaa.

Mike: Tumlog mumbai ke 3 bhid wali jagah mein jaake kal bomb plant karo. Kisi ko bhi shak nhi hona chahiye. Warna tumhari laashe bhi kisi ko nhi milegi.

Aadmi: Thik hai boss hojayegaa. Phir woh waha se apne aadmi leke chala jaata hai.

Mike: Black Beast tune mere bhai ko maara mera dhandha khatam kiya mere aadmi Ashok ko maara. Tere liye ek gift bhej raha hu parso le lena.

Idher Aryan Meera aur Ritika se conference mein baat kar raha tha tha. Tabhi usko ek call aata hai.

Aryan: Achha ek call aaraha hai jara hold karna.

Meera: Iss waqat humare sivaa kaun call.kar raha hai.

Aryan: Tumlogo ki sautan ka call hai.

Ritika: Kyaaa kaha sautan didi yeh teesri laa raha hai kyaa.

Meera: Nahi iske office se call hai. Usko maine apni sabse badi dushman banaya hai aur sautan bhi jab dekho isko call aajata hai.

Ritika: Achhaaa.

Aryan: Ab main baat karlu.

Dono: Ha ha karlo.

Phir Aryan call receive karta hai.


Aryan: Haa bol kyo bulaya.

Khabri: Bhai khabar mili hai aaj raat iss dock se ladkiyon ko ship mein karke videsho mein bhejaa jaa raha hai. Aur sabh log dock no. 11 mein hai.

Aryan: Khabar pakki hai.

Khabri: 100 takka bhai.

Aryan: Thik hai tu waha pe pahonch mein aata hu.

Phir call cut kar deta hai.

Aryan: Achha mujhe jaana hogaa.

Ritika: Aapne thik hi kaha hai didi yeh job humari sautan hi hai call aaya aur ab bula bhi liya.

Aryan: Agar hogya toh main jau.

Dono: Ha ha jao. Aur sambhal ke rehna.

Phir Aryan ready hoke waha se nikal jaata hai. Aur waha pe pahonchta hai.

Aryan: Haa bol kaha hai.

Khabri: Bhai sab log dock no 11 mein hai.

Aryan: Thik hai tu nikal. Yaha se main dekh lungaa. Aur sunn jab mein tujhe missed call du tab tu media aur police ko call karke yaha ke baare mein bata denaa.

Khabri: Thik hai bhai.

Phir Aryan waha se dock no. 11 ke paas jaake apne chashme se scan karta hai. Toh waha pe 40 ladkiyan thi. Aur karib 15 gunde the haatho guns liye.

Aryan badi savdhani se andar jaata hai aur dheere dheere 1 gunde ki taraf jaake uske gardan ko maror deta hai aur usse dhayan se ek side mein sula deta hai. Phir dusre ki taraf jaata hai usse bhi aise hi marta hai.

Phir apni gun mein silencer fit karta hai aur jo log upar thee unko head shot karke wahi pe dherr kar deta hai. Ab waha pe sirf 3 gunde hi bachhe the jinme se ek shayad inka leader tha.

Aryan dheere pahle aadmi ke paas jaakar uske muh ko pakad ke waha se dure le jaata hai. Aur usko maar deta hai. Phir dusre aadmi ke paas jaake bhi aise hi karta hai. Phir apne khabri ko missed call mar deta hai.

Phir Aryan uss leader ke paas jaake khada hojaata hai. Leader ko dekh kar ghabra jaata hai.

Leader: Abee tu kaun hai aur yaha kaise aaya. Aur mere aadmi kaha hai.

Aryan: Black Beast. Aryan sirf itna hi bolta hai. Ke uss aadmi ke pairon tale zameen hi khisak gayi. Woh Aryan ke pairon pe girr ke maafi maagne lagta hai.

Leader: Bhai mujhe maaf kardo. Mujhse bahot badi galti hogyi.

Aryan: Ladkiyan kaha hai.

Leader: Bhai woh uss container mein hai.

Aryan: Jaa jaake unko leke aa.

Leader jaldi jaata hai aur unn ladkiyon ko leke aajata hai.

Aryan: Ab aap sab safe hai darne ki jarurat nhi hai. Abhi police aati hi hongi. Woh aapsab ko aapke ghar pahoncha degi.

Phir Aryan leader se. Chal bata yeh sab ka asli mastermind kaun hai.

Leader: Bhai main nhi jaanta.

Aryan ek thappad lagata hai.

Leader: Bhai uska naam Mike hai. Woh India ke sabse bade terrorist group ka aadmi bhi hai. Aapne kuch saal pahle uske bhai Undertaker ko maara tha.

Aryan: Chal ab bata yeh Mike kaha milegaa.

Leader: Bhai woh Mumbai mein hi hai but kaha pe rehta hai yeh koi nhi jaanta humesha sabse phone mein hi baat karta hai.

Aryan: Bahot jald pata chalega jab usse pata chalega uska nuksaan hua hai. Phir Aryan usko behosh kardeta hai.

Abhi kuch der main police aur media yaha aajayegi. Main isko behosh kardiya hai. Agar police ya media kuch puchhe toh batana aap sab uss container mein band thi aapne kuch nhi dekhaa.

Ladkiyan: Thik hai. Kya hum aapka naam jaan sakte hai.


Aryan: Black Beast. Yeh bol Aryan waha se chala jaata hai.
Awesome update
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 37
Thodi der mein Aryan uss ghar mein aajata hai jaha Harish iss waqat akela tha.

Aryan: Sir aap akele team kaha hai.

Harish Uncle: Aarahe hai. Par yeh sab kya thaa.

Aryan: Sir yeh sab mujhse badla lene ke liye kiya hai. Kyoki maine unke dhandhe barbaad jo kiye hai. Aur ab iss group ko hi khatam kardunga. Mujhe mere sources se pata chala hai iss group ka head branch aur boss Delhi mein hai.

Harish Uncle: Tum karna kya chahte ho.

Aryan: Bataunga sir pahle team ko aajane dijiye. Aur haa sir yeh team tab tak kisi aur mission pe nhi jayegi jab tak hum iss group ko khatam naa karde. Aur aap iske baare mein kisi ko naa bataiye gaa hosakta hai humare bich koi unse mila ho.

Harish Uncle: Okkk.

Thodi der waha kuch log aate hai.

Harish Uncle: So Agents kya koi bol sakta hai yeh kaun hai.

Sabhi Aryan ko gaurr se dekhte hai tabhi unme se ek Ladki bolti hai sir agar mein galat nhi hu. Toh yeh Raw ke best Agent Black Beast hai.

Harish Uncle: How can you be so sure Radha.

Radha: Sir inki aankhe aur agent Black Beast ki aankhe bilkul same hai.

Harish Uncle: Very Good observation Radha.

Radha: Thank You sir.

Harish Uncle: So agents please meet Agent Black Beast urf Aryan Malhotra.

Radha: Sir jaha tak mujhe pata hai inki identity toh secret hai phir aapne humhe kyo bataya.

Aryan: Radha. Maine tumlogo ki file aur mission reports padhi hai. Aur isiliye tumlogo ko maine select kiya hai kal raat ko humare ek secret mission ke liyee. Aur isiliye hi maine apni identity aaplogo ke saamne disclose ki hai.

Radha: Kaisa Mission sir.

Harish Uncle: Batate hai pahle tumsab ka intro de diya jaaye.

Radha: The Best Hacker ekbaar toh isne Raw ka hi server hack karliya thaa. Jiske wajah se isse punishment bhi mili thi

Avinash: The Weapon Expert. Isko har tarah ke weapon ka knowledge hai. Koi bhi weapon chala sakta hai

Kiran: The Planning Expert. Iski ki hui planning fail naa ke barabar hui hai.

Krish: The Source expert. India ke har state aur bahot saari country mein iske sources hai. Jisse missions mein bahot madad milti hai.

Toh Aryan yeh hai tumhari team.

Aryan: Sir Fighting Expert.

Harish Uncle: Woh toh tum khud hi ho. Tumhe kya jarurat hai fighting expert hai. Aisi kaun si fights hai jo tum nhi jaante. Tumne sab mein excel kiya hua hai. Aur abhi tak meri nazar mein Raw mein tumse achha fighting expert nhi hai.

Aryan: Okk sir.

Aryan: Achha toh aap log India ke sabse bade terrorist group ke baare mein kya jaante hai.

Krish: Sir India mein jitne bhi terrorist attack hote hai woh yehi group karti hai. Aur inki support bahari desh bhi karte hai.

Abhi kuch dino pahle Chennai mein jo bomb blast hua woh bhi isine karwaaye thee. Aur aaj jo hua hai woh bhinshayad isike wajah se hua hai. Agar yeh khatam hogya toh India se terrorist ka group puri tarah se khatam hojayegaa. Aur sources se pata chala hai inke boss ki nazar ab kisi aise chiz pe hai jo agar inhe milgaya toh yeh pure world pe raaj karenge. Inhe rokhna namumkin hojayegaa.

Aryan: Haa isiliye maine aaplogo ko select kiya hai. Aur humlog jis secret mission ki baat kar rahe hai woh yehi hai humlogo ko ab iss group ko jadd se khatam karna hai. Aur iski suruaat hogi Mike ko pakad ke. Jaisa ki humlog jaante hai yeh group kabhi bhi active nhi hota humesha inactive rehke ki attacks karta hai. Aur Mike ke marte hi yeh group active hojayegaa isiliye hum isse pakad ke iske paas se sab info le lenge aur sab ko ek ek karke uthayenge aur phir ek saath khatam kar denge jisse yeh group bhi khatam hojayega. Aur mujhe khabar mili hai iss group ka base Delhi mein hai aur uska boss bhi Delhi mein hi rehta hai.

Harish Uncle: Aur ab se jab tak yeh group khatam nhi hota tab tak liye aap sab ko aur koi mission nhi milegaa aur aap sa Aryan ke under hi kaam karengee.

Sablog: Okk sir. Hum taiyaar hai.

Aryan: Okk toh Krish apne sources ko active karo aur Mike ka pata lagao aur apne kuch aadmi iske gang mein shamil karo. Taaki humhe iski har kaam ki khabar milti rahe.

Krish: Okk Sir.

Aryan: Radha tum jin jagah pe blast hua hai unn jagah ke parso raat se aaj subah bomb blast hone tak ka agar koi CCTV footage laa sakti ho toh dekho.

Radha: Okk Sir.

Aryan: Sir iss blast ke baad Government ka kya kehna hai.

Harish Uncle: Blast mein jitne log mare hai agar unki koi family hai toh unko kuch paise aur job di jayengi. Aur 4 din baad PM yaha aarahe hai aur yaha pe CM aur saare ministers se meeting karenge.

Aryan: Thik hai Sir. Toh team apne kaam mein lagte hai.

Team: Yes Sir. Phir sablog waha se nikal ke apne apne kaam mein chale jaate hai.

Aryan: Sir iss ghar ko humhe base banana hoga. Hum apni saari investigation interrogation sab yahi pe karna chahte hai.

Harish Uncle: Go a head. Tumhe meri taraf se har tarah ki permission hai.

Aryan: Thank you sir. Phir Aryan bhi waha se nikal ke ghar aata hai.

Aryan ka dimaag reh reh ke yeh soch raha tha yehlog kuch toh aur karne wale hai lekin kya yeh samaj nhi aaraha tha. Tabhi uske paas Meera aur Ritika ka call aata hai.

Ritika: Aryan tum thik ho naa.

Aryan: Haa meri jaan main bilkul thik hu.

Meera: Kuch pata chala kisne kiya yeh sab.

Aryan: Main aur meri secret team isi pe kaam kar rahe hai.

Meera: Secret team.

Aryan: Haa uss group ko khatam karne le liye maine ek secret team banayi hai.

Ritika: Aryan isme bahot khatra hai agar tumhe kuch hogya toh humara kya hogaa.

Meera: Chotti thik keh rahi hai Aryan.

Aryan: Meera Ritika. Mujhe kuch nhi hoga. Waisr bhi meri body har tarah ke weapons se protected hai. Aur yeh meri duty bhi hai.

Ritika: Thikk hai. Bas apna khayal rakhna. Waise tumhari iss team mein ladkiyan kitni hai.

Aryan: Achanak yeh sawaal kyo.

Meera: Puchna padhta hai ab jiska boyfriend itna handsome, smart, hot, aur dashing ho uski girlfriend ho saari khabar rakhni padhti hai chalo ab batao kitni ladkiyan hai.

Aryan: 2 ladkiyan hai Radha aur Kiran.

Ritika: Didi pahli mulakat mein hi naam yaad hogya hai.

Meera: Sahi kaha chotti. Ayee Mr. Unse naa durr hi rehna warna hum dono behene tumhara qatal kardenge samjhe.

Aryan: Aree kaisi baate kar rahi ho. Maine unse humesha safe distance maintain karke rahunga.

Ritika: Isi mein tumhari bhalayi hai.

Aryan: Agar woh mujhse chipke toh.

Ritika: Toh jara humse milwana unka chipakne ka shock achhe se pura kardenge.

Meera: Waise bhi ab tum humhe unn dono se milwaoge hum apni taraf se har tarah ki safety kar lenge kyo chotti.

Ritika: Haa didi. Toh kab milwa rahe ho.

Aryan: Jab ma'am ki marzi ho.

Dono: Thik hai hum boldenge. Chalo tum aaram karo byeee.

Phir call cut hojaata hai. Aue Aryan unki baate soch hasne lagta hai.

Aise hi 2 din guzar jaate hai. Ekdin Krish Aryan ko call karta hai.

Dusre din Radha Aryan ko call karke bolti hai usse CCTV se kuch mila hai jo usse dekhna chahiye.

Aryan: Thik hai tumlog ussi ghar mein aao jaha mile the.

Phir thodi der baad Aryan uski team aur Harish usi ghar mein the.

Aryan: Haa Radha dikhao kya mila hai.

Radha: Sir mujhe CCTV jo hack karne se pata chala kal parso raat ko unn teen jagah pe kuch log ghuk rahe the jo shakal aur harqat se shareef toh bilkul bhi nhi lag rahe the. Unhone apna face cover karne ki puri koshish ki par galti se ek ka chehra dikh gaya. Yeh dekhiye yeh hai woh.

Sablog usko dhyaan se dekhte hai.

Aryan: Iske baare mein kuch pata chala.

Radha: Haa sir iski puri kundli nikal li hai. Yeh Mike ke gang mein kaam karta. Murder, Rape, Kidnapping har tarah ka crime kiya hai isne.

Aryan: Good. Krish apne kuch aadmi bhejo aur uthao isko aur yaha pe lao. Jara iski khatirdaari toh kare aur kuch inaam bhi de iski kaam ki.

Krish: Yes sir. Phir Krish apne aadmiyon ko bol ke isko secretly uthwa leta hai aur uss ghar mein le aata hai.

Aryan apna Black Beast ka mask pehen leta hai aur uske paas jaata hai.

Aryan: Haa toh Kallan tum mujhe jaante ho.

Kallan: Darr se kaanpte hue Black Beast.

Aryan: Waah Sahi jawab. Tumhe pata hoga maine tumhe kyo yaha laaya hai.

Kallan: Maine kuch nhi kiya mujhe chorr do.

Aryan usko khinch ke ek thappad maarta hai.

Aryan: Itne saare masoom logo ko maarne ke baad tu chahta hai tujhe chorr du. Chal bata kiske kehne pe kiya hai.

Kallan ek thappad mein hi tote ki tarah sab bolne lagta hai.

Kallan: Mujhe toh Raghu bhai ne kaha tha ke mumbai ke 3 bhidd wali jagah pe bomb rakhna hai. Aapse badla lene ke liye.

Aryan: kaha Milega yeh tera Raghu bhai.

Kallan: Woh roj raat ko bar mein aata hai.

Aryan: Kitne aadmiyon ke saath.

Kallan: Kam se kam 20.

Aryan: Avinash isko lejaake isko humesha ke liye azaad kardo.

Avinash: Yes Sir.

Aryan: Krish aaj raat uthao iss Raghu ko.

Krish: Okk Sir. Aur sir maine apne aadmi Mike ki gang mein shamil karwa diye hai.

Aryan: Good. Isko uthake mujhe call karna aaj raat hi iska hisaab karenge.

Team: Okk Sir.

Phir Aryan waha se chala jaata hai. Raat ko dono se baat karta hai phir dinner karke nikal jaata hai Base pe.

Aryan: Utha laaye usko.

Krish: Yes sir.

Aryan: Aur woh aadmi.

Avinash: Sabko maardiya hai sir.

Aryan: Kisi ko koi shak.

Avinash: No sir.

Aryan: Thik hai toh chalo milte hai. Phir apna Black Beast ka mask lagake jaata hai Raghu ke saamne jaha usko ek chair se baandh ke rakha hua tha.



Raghu A
ryan ko dekhta hai toh usko apni maut nazar aati hai.

Raghu: Darr se kaanpte hue Black Beast.

Aryan: Kya baat hai tumlog toh mujhe achhe se jaante ho. Ab apna muh khud kholega ya yeh log khulwaye.

Raghu: Nhi nhi main sab bolta hu. Yeh sab Mike ke kehne pe kiya hai par Mike ko bhi kisi ne order diya tha.

Aryan: Kaha milega yeh Mike.

Raghu: Iska koi ek thikana nhi hai. Har waqat jagah badalta rehta hai aur phir mujhe call karke bulata hai.

Aryan: Iska next plan bata.

Raghu: Abhi tak koi dusra plan kiya nhi hai but yeh kuch jaldi karne wala hai kuch bombs mangwaye hai isne.

Aryan: Avinash.

Avinash: Samaj gaya Sir.

Aryan: Krish apne aadmiyon se kaho chaukanne rahe jaldi hi phir kuch karne wala hai.

Krish: Okk Sir.


Phir sablog ghar aajate hai.
Jabardast update 🔥 🔥
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 38
Aise hi 1 din aur guzar jaata hai. Uss din news aati hai PM mumbai aarahe hai aur woh CM aur saare ministers se meeting karne wala hai. Usi din raat ko Krish Aryan ko call karta hai.

Krish: Sir mere aadmi ne bataya hai Mike ek aur bomb blast karne wala hai.

Aryan: Kaha pe.

Krish: Sir yeh Mike usi jagah bomb blast karne wala hai jaha PM CM aur saare ministers meeting karne wale hai.

Aryan: Whatttt.

Krish: Yes Sir. Aur yeh blast woh khud karne wala hai.

Aryan: My God. Humhe isse kisi bhi haal mein rokhna hoga. Main Sir se baat karta hu tum saare aadmiyon ko bolo harjagah nazar rakhe.

Krish: Okk Sir.

Aryan Harish Uncle ko call karke PM se baat karne ko kehta hai. Kyoki woh Raw Cheif thee isiliye yeh unke liye koi badi baat nhi thi.

Harish Uncle PM se baat karke plan cancel karwaate hai but Aryan ne yeh baat secret rakhne ko boli thi. Kyoki agar yeh baat leak hojaati toh woh log plan ko execute nhi karte. Aur Aryan chahta thaa ke woh yeh plan execute karne jaaye aur khud hi pakde jaaye.

Aryan ne sabhi ministers CM aur PM ko toh safe kardiya thaa. But woh usi hotel mein same waisa hi ek function arrange karwata hai aur police walo ko nakli ministers CM aur PM banke aane ko bolta hai.

Aryan jaldi se uss bookie ko call karta hai aur usse Mike ka sketch banwata hai.

Bomb Blast ke ek din pahle Aryan ne boldiya tha woh 1 din ghar nhi aayega Ritika aur Meera ko bhi boldiya tha woh bahot busy rahega isiliye baat nhi ho sakegi. Dono ne koi objection nhi kiya aur unko bhi pata tha matter kitna serious hai.

Function wale din Aryan ne subah se hi Radha ko bolke uss hotel ki jaha meeting hone wali thi waha ke CCTV apne control mein le leta hai aur usse aise dikhane ke liye bolta haj jaise sab kuch live chal raha hai. Aur usse bolta hai cameras mein nazar rakhe aur Mike dikhe toh inform kare.

Kuch der baad Mike hotel ke entrance mein nazar aata hai. Usne apna make up kiya hua tha par Raw Agent ki aankho ko chakma nhi de saka. Radha Aryan aur baaki sabko boldeti hai Mike hotel ke entrance mein hai. Aur uske haath mein kuch hai. Radha uski pic leke sabko bhejti hai.

Aryan: Kiran jald se jald iske haath mein jo hai same to same uske jaisa chiz lao aur usme woh nakli bomb rakh ke do. Avinash bomb squad ko ready rahne ko bolo. Aur Krish apne aadmiyon ko bolo jab tak main waha naa jau usko kisi bhi tarah busy rakhe. Aur Mike ke aadmi jo yaha pe honge unko dhundho aur maar do.

Teeno: Okk Sir.

Phir Kiran Jaldi se Mike ke haath mein jo hai thik waisa hi chiz laati hai aur usme ek nakli bomb rakh deti hai.

Aryan apna getup change karta hai aur ek budhha wala getup le leta hai Mike ke paas chala jaata hai.

Krish ke aadmi Mike ko hotel mein ghusne nhi dete hai woh usse hotel ke gate se durr hi rakhte hai kisi na kisi bahane se.

Phir Mike kaise bhi karke hotel mein entry karne wala hota hai tab Aryan jaanmuzz ke usse takra jaata hai aur Mike ke haath se bomb aur apne haath se nakli bomb girwa dete hai.

Mike: Abee budhhe dekh ke chalna.

Aryan: Aree beta tum bhi toh thoda dekh ke chalo. Itni bhi kya jaldi.

Aryan se yeh niche jhuk ke gira hua samaan uthate hue kehta hai. Aryan ne chalaki se asli bomb apne paas rakh leta hai aur nakli bomb Mike ko de deta hai. Mike woh samaan haath mein leke sabse pahle bomb ko check karta hai jo usse thik lagta hai.

Mike: Haa haa chal ab side ho warna abki baar sidha samshan jaayega.

Aryan: Samshan jaaye mere dushman. Aur thoda tameez se baat karo.

Mike: Ayee budhhe dimaag kharab mat kar chal nikal yaha se.

Aryan: Ha ha bhai chale jaate hai. Keede padhe tujhe.
Yeh bol Aryan waha se nikal jaata hai. Aryan jaldi se waha se nikal ke Avinash ke paas jaata hai jisne bomb squad ko ready hi rakha tha. Bomb Squad bomb ko defuse karne ki koshish karta hai.

Bomb Squad: Sir yeh bomb defuse nhi hosakta. Isko issi tarah banaya gaya hai.

Aryan: Whattt. Agar yeh defuse nhi hua toh saari mehnat bekaar hojayegi.

Bomb Squad: Jaanta hu Sir but yeh defuse nhi hosakta. Haa agar isko iske remote ke range se durr karde toh shayad yeh blast naa ho.

Aryan: Iska range kitna hai aur agar yeh blast hota hai iska effect kitne durr tak hoga.

Bomb Squad: Remote range 2 km. Aur agar yeh blast hota hai toh iska effect sirf iss hotel ke 10 m ke area tak hi hoga.

Aryan: Okk. Radha unn nakli ministers ka jo convoy hai unhe call karo aur bolo jab tak main naa kahu hotel ke paas naa aaye.

Radha: Okk Sir.

Aryan: Avinash iss bomb ko aisi jagah le jao jaha agar yeh blast bhi hota hai toh waha koi naa mare.

Avinash: Okkk Sir.

Aryan: Sambhal ke jaana aur bomb ko durr karke mujhe call karna tabhi woh nakli ministers ko hotel mein bulayenge.

Avinash: Okk sir. Phir Avinash uss bomb ke leke nikal jaata hai. Aryan apna getup change kar Mike ke paas jaake baith jaata hai Mike ne bomb toh rakh diya tha par woh Ministers ke aane ka wait kar raha tha.

Kuch 30 mins ke baad Avinash call karke bolta hai usne bomb ko durr kardiya hai aur agar woh blast bhi karta hai toh kisi koi koi nuksaan nhi hoga.

Phir Aryan Radha ko msg karke bolta hai ministers ko andar aane ko bolo.

Kuch 10 mins baad announcement hota hai Ministers aarahe hai. Yeh sunke Mike waha se jaana lagta hai. Aryan bhi uske pichhe pichhe jaane lagta hai. Mike bomb ke range se durr jaake khada hojaata hai.

Usse lag raha hota hai sab kuch uske plan ke hisaab se hi horaha hai. Par usko kya pata thaa Aryan ne uske plan ko bahot pahle fail karwa diya tha. Aur woh ab bas bewakoof ban raha hai.

Idher jaise hi nakli CM PM aur saare ministers aate hai tabhi Aryan Mike ke paas jaake khada hojaata hai.

Aur jab CM PM aur ministers hotel mein jaate hai tabhi Mike bomb ka remote daba deta hai.

Par usko shock tab lagta hai tab koi blast nhi hota. Usne phir se koshish ki. Par kuch nhi hota.

Tabhi Aryan uske kandhe mein haath rakh kar kehta hai tune Black Beast se badla lene ke liye kitne masoom aur begunaah logo ko maara hai aur aaj phir se wohi karna chahta tha. Tujhe iska inaam toh dena hi hogaa Mike.

Mike: Tu. Tu toh wohi hai naa jo mere paas aake baitha tha. Yaani tu hi hai Black Beast jisne mere bhai ko maara. Aur mera pura dhanda band kardiya. Aaj tujhe nhi chorungaa.

Woh Aryan ko marne wala hota hai tabhi pichhe se Kiran ne usko behosh kardiya.

Aryan: Good Job guys. Now everything is fine. Le jao isko main sir ko bol deta hu.

Phir Aryan Harish Uncle ko call lagata hai.

Aryan: Sir mission pura hua. Sab safe hai aur Mike bhi humare kabze mein hai. Aap CM aur PM ko bol de.

Harish Uncle: Good Job Aryan. Well done. Main abhi unko bolta hai.

Phir Aryan waha se nikal kar base chala jaata hai jaha ab tak Mike ko hosh aachuka thaa.

Aryan: Haa toh Mr. Mike the well known member of India's biggest terrorist organization and brother of Undertaker. Sunna hai tum mujhse milna chahte the. Toh batao kyo milna chahte the.

Mike: Tune mere bhai ko maara mera saara dhandha khatam kardiya tujhe toh main nhi chorungaa.

Aryan: Pahli baat tera bhai death to death match mein mara thaa. Agar tujhe apne bhai se itna hi pyaar thaa toh usse waha khelne nhi bhejta. Aur dusra tere saare dhande India aur uske logo ke liye hanikarak the. Isiliye khatam kardiya. Chal ab sidhe sidhe uss group ke baare mein bolega yaa dusra tarika use karu.

Mike: Tu chahe kuch bhi karle. Tu mujhse kuch bhi nahi ugalwa sakta. Main har tarah ke torcher se trained hu. Mere upar koi torcher kaam nhi aayegaa.

Aryan: Chal dekhte hai. Phir uski team usko 2 din tak torcher karti hai but woh kuch nhi bola.


Udher boss ko yeh mission fail ki jaankaari mil chuki thi. Woh Mike ko phone lagata hai. Tab uska phone switch off aata hai. Woh sochta hai uske darr se woh underground hochuka hai. Woh apne aadmiyon ko call karke Mike ka pata lagane ko bolta hai.
Awesome update 👍🏻 👍🏻
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 39
Idher 2 din ke torcher ke baad bhi jab Mike ne kuch bhi nhi bola.

Aryan ne Sanjay se ek truth serum banwaya thaa. Usse pata tha yeh kabhi na kabhi toh kaam aayega.

Aryan ne woh truth serum Mike ko lagwa diya kuch der baad uska action hona start hogyaa.

Aryan: Ab tujhse jo jo puchenge tu woh sach sach batayegaa. Tu chah kar bhi jhooth nhi bol payegaa.

Phir Aryan uss group ki saari details le li. Unke saare members naam. Unki puri details. But usse boss ke baare mein kuch pata nhi chala. Woh humesha phone se hi contact karta thaa aur naahi usse kabhi kisi ne dekha thaa.

Ab Mike unke kisi kaam ka nhi thaa. But usse mara nhi. Agar usse maar dete toh woh group active hojaata aur puri India tabah hojaati. Isiliye usse zinda rakha tha. Unhone socha pahle inke saare members ko uthayenge phir sabko ek saath maar ke uss boss ko akela kar denge. Jisse woh kuch bhi naa karpaaye.

Phir usse wahi pe kaid karke rakha jaata hai.

Phir sab log waha se nikal jaate hai. Aur Aryan chala jaata hai Raw Headquater.

Harish Uncle: Well done Aryan. Bahot achha kiya tumne. Aaj tumlogo ki wajah se Mumbai aur shayad India par se ek khatra chala gaya.
PM bahot khush hai tumse aur woh tumse aur tumhari team se milna chahte hai. Maine unhe boldiya hai kuch time baad tumhara transfer Delhi kardiya jaayegaa. Jisse tum unse bhi mil paogee aur uss group ko bhi khatam kar paoge. Uss group ke khatam hone ke baad agar tum chaho toh tumhe yaha wapas bula liya jayegaa.

Aryan: Okk sir.

Harish Uncle: Ab jao aur Enjoy karo. Ab kuch din tak toh woh kuch nhi karengee.

Phir Aryan waha se ghar chala jaata hai. Jaha Meera aur Ritika besabri se intezaar kar rahi thi.

Uske aate hi dono uske gale lag jaati hai aur uske gaalon ko kiss kar ke usse aaj ki jeet ke liye congratulate karti hai.

Sanjay aur Sanjana bhi usse congratulate karte hai.

Aryan unhe apne Delhi transfer ke baare mein batata hai.

Sanjana: Kya tum waha jana chahoge.

Aryan: Jab farz bulaye toh paatal mein bhi jaaungaa. Yeh toh phir bhi Delhi hai.

Sanjana: Kya tum waha reh paoge. Hosakta hai woh log baar baar tumhare saamne aaye. Woh tumhe nhi pehchan paayenge. Par tum toh unhe pehchan hi loge. Aur hosakta hai tumhe business mein bhi unhe dekhna ho.

Aryan: Ab jo hoga dekha jayegaa. Jaana toh mujhe padegaa. Aur aaplog bhi saath chalenge.

Sanjay: Nhi hum waha nhi jaa sakte. Hum boss ko nhi jaante par boss toh humhe jaanta hi hai. Isiliye hum yehi par rahenge.

Aryan: Par yaha par bhi toh khatra hai.

Sanjay: Par waha se kam hai. Aur yaha par tumhare agents hai Harish ji hai humhe kuch nhi hogaa aur waise bhi ab unhe naahi formula milega aur naahi koi data. Ab humlog bilkul normal scientists hai.

Aryan: Thik hai. Par agar koi bhi problem hoti hai toh aaplog mujhe jarur batayenge.

Sanjay: Jarur.

Ritika: Kitne dino ke liye jaana hai.

Aryan: Kuch keh nhi sakta.

Ritika: Toh humara kya hoga. Hum yaha akele kaise rahenge tumhare bina.

Meera: Haa Aryan hum kaise rahenge tumhare bina.

Aryan: Yahi toh main soch raha hu. Dekhte hai kuch karenge. Chalo pahle dinner karte hai.

Phir sab dinner karte hai. Ritika Meera ko leke chali jaati hai aur uske ghar chorr deti hai. Aryan bhi so jaata hai.

Aise hi din nikalne lage. Aryan Ritika aur Meera ka pyaar bhi badhte hi jaa raha tha. Aryan ko Raw se kuch waqt ki chutti bhi mili thi.

Aur Aryan ki company bhi bahot famous hogyi thi. Usne apne bahot saare branches khole thee. Videsh mein bhi iske bahot branches thee. Aur ab AMR company AMR GROUP OF COMPANY ban gayi thi. Jo India ke top mein thi aur world ke top 5 mein.

1 din Aryan ko Warden ka call aata hai. Woh Aryan ko Sanjay Sanjana Sangeeta aur Raghav ke saath bulati hai.

Aryan bhi Sanjay Sanjana Sangeeta aur Raghav ke saath waha chala jaata hai.

Warden Aryan, Sanjay Sanjana Sangeeta aur Raghav se akele mein baat karna chahti hai.

Warden: Dekho Aryan maine Meera ko humesha apni beti maana hai. Hosakta hai ab uska parivaar usse mik gaya hai. Meri bhi umar horahi hai naa jaane kab bulawa aajaye aur aaj kal meri tabiyat bhi thik nhi rehti. Isiliye main chahti hu mere rehte uske ghar baste hue dekh lu. Usse khushi khushi apni ghar sambhalte dekh lu.

Aryan: Main samajta hu. Aap boliye main kya kar sakta hu.

Warden: Dekho maine aaj tumhare parents aur unndono ke parents ko isiliye bulaya hai taaki inse tum teeno ki Shaadi ki baat kar saku.

Aryan shock se. Kyaaaa abhi itni jaldi. Abhi toh humari padhai bhi complete nhi hui hai. Aur aise mein shaadi.

Warden: Main maanti hu. But main yehi chahti hu ke mere rehte hi main uska ghar baste hue dekh lu. Dekho aaj nhi toh kal toh tumlog shaadi karoge hi. Hosakta hai tab tak mein naa rahu.

Aryan: Agar aap bura naa maane toh main aapse kuch puch sakta hu.

Warden: Main jaanti hu tum kya puchna chahte ho. Yehi naa main baar baar aisi baate kyo kar rahi hu.

Aryan: Haa.

Warden: Kyoki mujhe Blood Cancer ka last stage hai. Kisi bhi waqat mere bulawa aasakta hai. Aur yeh baat Meera ko nhi pata agar usse pata chalta hai toh woh yeh seh nhi paayegi.

Aryan: Kyaaaa. Yeh aap kya bol rahi hai. Aur aapne pahle kyo nhi bataya yehsab.

Warden: Main sahi keh rahi hu. Isiliye main chahti hu ke tumlog jaldi se shaadi karlo.

Tabhi pichhe se awaaz aati hai. Aur agar aapke baad mujhe yeh pata chalta. Toh kya main seh paati.

Sab log jab uss awaaz ki taraf dekhte hai toh shockk hojaate hai. Kyoki waha Meera aur Ritika khadi thi. Aur Meera roye jaa rahi thii aur Ritika usse sambhal rahi thi.

Meera: Aapne mujhe yeh pahle kyo nhi bataya.

Warden: Kyoki meri bimaari thik nhi hosakti thii. Jab mujhe pata chala tab tak bahot derr hochuki thi. Aur main jaanti hu agar tujhe maine yeh bata diya toh tu yeh sehan nhi kar paati.

Meera: Sehan toh main aapke baad bhi nahi kar paati. Jab mujhe pata chalta toh mera kya hotaa.

Warden: Isiliye toh main teri shaadi karwa rahi hu. Taaki tu harwaqat Aryan ke saath rahe. Woh tujhe sambhal sake. Aur meri ichha bhi puri hojaati tera ghar baste hue dekh kar.

Meera: Mujhe abhi shaadi nhi karni. Main aapko chorr kar kahi nhi jaungi.

Aryan: Main bhi Meera ke saath hu. Mujhe bhi abhi shaadi nhi karni. Meera abhi aapke saath yehi pe rahegi.

Ritika: Didi aur Aryan sahi keh rahe haj mujhe bhi nhi karni abhi shaadi.

Warden: Tumlogo ko meri kasam. Tum log mana nhi karoge.

Meera: Maaaaaa.

Warden: Maan jaa meri beti. Apni maa ki aakhri ichha puri karde. Waise bhi aaj nhi kal tumlog shaadi toh karoge hi. Toh abhi karlo. Problem kya hai.

Iske aage yeh log kuch nhi bol paate.

Warden: Aaplogo ko koi problem hai.

Sanjana: Mujhe koi problem nhi hai. Main bhi toh Meera aur Ritika ko jald jald se apne ghar laana chahti hu. Par aise.....

Sangeeta: Problem toh humhe bhi nhi hai. Par iss tarah se....

Warden: Ab halat aise hai ke kya karsakte hai.

Aryan: Thik hai main taiyaar hu. Par meri ek shart hai.

Warden: Bolo kya shart hai.

Aryan: Yeh shaadi mandir mein hogi bina koi dhoom dhaam ke bas jaan pehchan ke 2-3 jan hi rahenge.

Meera: Main bhi yehi chahti hu.

Ritika: Main bhi.

Warden: Manzoor hai.

Sanjana: Thik hai phir main aur Sangeeta ji koi achha sa muhurat nikalwate hai.

Phir woh log waha ae chale jaate hai.

Warden: Kya baat hai Meera tu khush nhi hai iss rishte se.

Meera: Aisi baat nhi hai maaa. But main aapko aisi halat mein chorke kaise jaa sakti hu.

Warden: Areee tu kaha kahi durrr jaarahi hai. Yehi paas mein toh hai. Jab marzi ho aajana.

Meera: Phir bhi maaa. Agar raat ko aapki tabiyat jyaada bigad gayi toh mujhe kaise pata chelegaa.

Warden: Aree yaha aur bhi toh log hai yaha agar kuch hota hai tab woh log call karlenge tu aajana.

Meera: Mujhe yeh achha nhi lagraha hai maaa.

Warden: Ab jyaada mat soch beti. Shayad uparwaale ki yehi marzi hai.

Idhar Aryan ghar aake bahot pareshan hochuka thaa. Usse reh reh ke Warden ki baate yaad aarahi thi. Usne Yash ko call karke sab bata diya. Aur kal apne parents aur Preeti ke saath aane ko kaha. Aur Karan aur Sonal ko bhi bol dene ko kaha. Aur unko bhi aane ko kaha.

Sanjana apne jaan pehchan ke ek pandit se baat karti hai.

Woh 2 din baad ka din bolte hai. Phir woh aur Sangeeta unse saari baate karleti hai.

Sanjana ne Aryan ko bhi bata diya. Aryan ne bhi Meera aur Ritika ko call karke bata diyaa. Woh khush toh bahot the par dukhi bhi. Yehi haal Aryan ka bhi thaa.

Aryan ne Sameera ko bhi call karke sab bata deta aur usse bhi apni maa ke saath direct mandir mein aane ko bolta hai.

Agle din Yash ke saath sab log aajate hai aur shaadi ki taiyaariyan karne lagte hai. Bhale hi shaadi mandir mein normal tarike se honi thi. Par thi toh shaadi hi.

Sangeeta ne Warden aur Meera ko apne ghar mein hi bula liya tha. Sangeeta ne ek mehendi wali ko bula liya tha. Woh Meera aur Ritika ko mehendi lagwati hai.

Phir Sangeeta unndono ko kal Shaadi ki shopping pe chalne ke liye ready rehne ko bolti hai. Meera ka chehra abhi bhi murjhaya hua hi tha.

Warden: Dekh Meera agar tu aise dukhi rahegi. Toh mujhse bura koi nhi hogaa. Isiliye main tere ko nhi batana chahti thi. Jo hoga dekha jayegaa shaadi zindagi mein ek hi baar hoti hai isiliye khushi khushi isme reh.

Meera bhi bas halka muskura deti hai. Aryan ke ghar ko bhi halka sa sajaya jaa raha thaa.

Agle din yeh log shopping par jaate hai. Aryan ek sherwani leta hai. Meera aur Ritika shaadi ka joraa lete hai aur kuch jewellery bhi.

Phir woh ghar aajate hai agle din shaadi thi. Toh woh mandir mein jaake achhe se dekh lete hai aur saari taiyaari karte hai. Isme Yash aur Karan ne bahot madad ki thi.

Aiss hi raat hojaati hai. Raat ko Aryan ke ghar rukhte hai Yash and family aur Karan and family aur Meera ke paas jaate hai Preeti and family aur Sonal and family.

Sangeeta ne ek parlour se 2 ladki ko kal subah jaldi hi bula liya thaa taaki Meera aur Ritika ko ready karde.

Agle subah sab koi jaldi uth jaate hai aur apne apne kaam mein lag jaate hai.

Parlour se ladki bhi apne time pe aagyi thi.
Usne Meera aur Ritika ko ready karna start kardiya thaa. Kuch 2 ghante baad unhone Meera aur Ritika ko ready kardiya. Preeti ne Meera ke phone se dono ki pic click karke Aryan ko bhej diya tha.

Phir sablog mandir ki taraf chal dete hai. Idher Aryan ko bhi Yash aur Karan ne milke ready karwa diya tha aur mandir ki taraf nikal gaye the.

Mandir mein Aryan log pahle pahonch jaate hai. Waha pe saari taiyaariyan hogyi thi. Thodi der mein Meera aur Ritika aajate hai.

Aryan toh unko dekhte hi reh gaya dono itni khubsoorat lag rahi thi ke uski nazar hi nhi hatt rahi thi. Meera aur Ritika Aryan ko aise ghurte dekh sharma jaati hai. Phir dono ko Aryan ke dono side khade kar diya jaata hai.
Awesome update 👍🏻
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 40
Aryan dheere se bolta hai. Kya baat hai Mrs. Malhotra. Aaj bahot hi jyaada khubsoorat lag rahi ho dono. Lagta hai kisi ka qatal hone waala hai aaj.

Meera: Sambhal ke rahiyega Mr. Malhotra. Aaj se aapki nayi life start horahi hai. Humare saare nakhre nahi uthaaye toh aisa naa ho sach mein hi qatal hojaaye.

Aryan: Aree aapke haath se agar qatal bhi hojaaye toh sukoon hai.

Ritika: Bas bas time aane do tab dekhenge kitna sukoon milta hai.

Tabhi waha Sameera apni maa ke saath aati hai.

Sameera: Congratulations Aryan Meera and Ritika.

Aryan ne pahle hi bol diya thaa sabke saamne as a friend behave kare. Kisi ko company ke baare mein pata nhi chalna chahiye.

Teeno: Thank you. Aap kaisi hai.

Sameera: Ekdum first class.

Yash: Yeh kaun hai Aryan. Pahle kabhi nhi dekha.

Aryan: Yeh humari common friend hai. Ms. Sameera.

Preeti: Maine aapko kahi dekha hai. Kaha dekha hai yaad nhi aaraha hai.

Sameera: Aapne mujhe apne papa ke saath meeting mein dekha hoga Ms. Preeti.

Preeti: Haa yaad aaya. Aap toh India ke top company AMR GROUP OF COMPANY se hai. Jiske saare shares unke hi paas hai 1% share bhi kisi aur paas nhi hai.

Mere papa jab aapke paas meeting ke liye gaye thee tab mein bhi unke saath hi thi. Tab dekha thaa.

Sab log Sameera ka intro sunn shock hogye thee. Sivaay Sanjay Sanjana Sangeeta Raghav aur Harish ke kyo ki unko sab pata thaa.

Nandini Aunty: Itni badi company mein tum kya kaam karti ho.

Sameera: Main company ke owner ki personal secretary hu. Saara kaam main hi dekhti hu. Woh toh bahot hi kam office aate hai.

Nandini: Oo. Aryan tum itni badi hasti ko kaise jaante ho.

Aryan: Yeh hum teeno ki comman friend hai. Ek baar humlogo ne inko kuch gundo se bachaya thaa tab se humlog friends hai.

Meera, Ritika, Sanjay, Sanjana, Sangeeta Raghav aur Harish man hi man haste hai.

Ritika Aryan ke kaan mein

Ritika: Kya baat hai Mr. Malhotra shaadi ke pahle hi baat ghumana sikh gaye.

Aryan: Mrs. Malhotra abhi se practice kar raha hu future kaam aayega.

Meera: Humse jhooth bolke toh dekhna. Tum bhul rahe ho hum bhi supergirl hai. Taange todne mein time nhi lagega.

Aryan: Aree yeh kaise bhul sakta hu. Aap taange kya jo marzi ho woh todd dena.

Phir pandit unko shaadi ke liye bulata hai.
Dono jan shaadi ke liye baith jaate hai.

Yash: Bhai bahot jaldi tu gulaam ban raha hai. Tujhe dekh kar humko experience milega. Kyo Karan.

Karan: Bilkul bhai.

Preeti: Kuch kaha tumne.

Yash: Hadbada kar. Nhi maine kaha kuch kaha. Yeh toh Karan kuch bol raha tha. Bol Karan kya bol raha thaa.

Sonal: Haa Karan bolo kya bol rahe thee. Maine thik se suna nhi.

Karan: Main kaha kuch bola hai. Main toh Aryan ko bol raha thaa thik se baithne ko.

Sonal: Shaadi hojaane do phir tumko theek se baithati hu.

Preeti: Tum kuch gulaam bol rahe thee. Jara phir se bologe.

Yash: Aree woh toh main bol raha thaa kal maine ek movie dekhi thi jiska naam Gulaam thaa wahi bol raha thaa kyaa movie thi.

Preeti: Shaadi ke baad main tumko movie dikhaungi.

Yash: Kaunsi.

Preeti: Langda Lulaa Boyfriend.

Inlogon ki nok jhok sunn sab hasne lagte hai.

Aryan: Experience toh mujhe tumlogo se mil raha hai.

Meera aur Ritika: Kuch kaha.

Aryan: Pandit ji aap kya baate sunn rahe hai jaldi se Shaadi karwaiye naa.

Sab log phir se hasne lagte hai.

Phir thodi der mein shaadi hojaati hai. Aryan Meera aur Ritika sabhi bado ke aashirwaad lekar ghar ki taraf nikal padhte hai. Meera aur Ritika apni maa ke gale lag kar rone lagti hai.

Warden: Jaa beti ab tu apne ghar jaa. Bahot rehliya tune aashram mein.

Meera: Mere liye toh wohi humesha mera ghar rahegaa.

Warden: Tera jab bhi man ho waha aajana. Ab main chalti hu. Kal se aashram se bahar hu.

Meera: Aap apna dhyaan rakhiyega.

Warden: Bilkul. Tu bhi apna dhyaan rakhna aur bilkul bhi dukhi mat hona.

Aryan: Kabhi bhi koi bhi problem ho toh aadhi raat ko bhi call kardijiyegaa hum aajayenge.

Warden: Bilkul.

Phir Warden waha se aashram chali gayi. Sangeeta aur Raghav bhi ghar chale gaye kyoki woh beti ke sasuraal abhi nhi jaa sakte the. Aur baakilog Aryan aur Meera ke saath ghar ki taraf aagaye. Sameera aur uski maa bhi aayi thi.

Sanjana aur Nandini jaldi se aarti ki thali leke aate hai aur unka grah pravesh karate hai.

Meera aur Ritika ka toh iss ghar mein aana jaana laga rehta hai. But aaj woh officially iss ghar ki permanent member ban gayi thi. Phir sab log hall mein baith jaate hai. Waha aise hi baat chal rahi thi. Phir thodi der baad Lunch taiyaar hochuka thaa. Phir sablog lunch karte hai. Meera aur Ritika ko upar Aryan ka kamre mein jo ki ab unka thaa usme bhej dete hai aaram karne ke liye. Thodi der baad Sameera uss kamre mein aati hai.

Meera: Aayiye Sameera ji baithiye.

Sameera: Once again congratulations Meera Ma'am Ritika Ma'am. Ab aapdono officially itne bade business empire ki owner hogyi warna aap humesha bolti thi owner sirf Aryan Sir hai.

Meera: Thank You Sameera ji. But owner toh Aryan hi rahega. Aur bataiye Company mein koi problem toh nhi hai naa. Sab kaisa chal raha hai.

Sameera: Nhi ma'am koi problem nhi hai. Kuch din pahle hi humne Delhi mein ek branch ka inaugration kiya hai aur usme employee ka selection bhi start hochuka hai.

London ke branch jo kuch mahine pahle hi start hua thaa woh bhi bahot achha chal raha hai.

Australia wale branch mein ek choti si problem hui thi woh bhi solve hochuki hai.

Ritika: Achha ek kaam kariye har branch ke employees ki salary badha dijiye aur iss baar ka Diwali bonus bhi double kardijiyega. Saare employees ko humari shaadi hone ki taraf se ek chota sa gift.

Sameera: Waah ma'am saare employees isse bahot khush hongee.

Meera: Achha woh Hyderbad wale contract ka kya hua. Uska kaam kaha tak pahoncha

Sameera: Ma'am lagbhag kaam complete hochuka hai. Aur shayad 10 din mein pura complete hojayegaa.

Meera: Okk. Ab bataiye humare liye koi jijaji khoja ya nhi.

Sameera yeh sunke sharma jaati hai.

Meera: Aree sharma kyo rahi hai aap. Aap humlogo se age mein bhi badi hai. Ab toh humlogo ki shaadi bhi hogyi. Aap kab karengi.

Sameera: Ma'am kabhi koi aisa mila hi nhi. Jisse main shaadi kar saku.

Meera: Aree toh jaldi khojiye.

Tabhi door pe knock hota hai.

Sameera jaake door kholti hai toh saamne Aryan thaa.

Sameera: Aaiye aaiye sir. Kya kuch der biwiyon ke bina raha nhi jaata.

Aryan: Ab kya kare Sameera ji. Jiske itni sundar biwiyan ho. Koi bewakoof hi hogaa jo durr rahe.
Waise hogyi aaplogo ki business talk.

Ritika: Tumhe kaise pata humlog business talk kar rahe the.

Aryan: Madam shayad aap bhul rahi hai hum aap dono ko achhe se jaante hai. Aaplog itni der se upar hai. Aur aaplogo ne business talk naa ki ho aisa ho hi nhi sakta.

Sameera: Humlog chahe jitna bhi chippa le. Yeh thik jaan lete hai.

Meera: Sahi kaha. Waise tum yaha kis liye aaye ho.

Aryan: Shayad aap bhul rahi hai yeh mera kamra hai.

Meera: Hai nhi thaa. Abse yeh humara hai aur yaha pe aane ke liye humari permission leni hogi.

Aryan: Dekha Sameera ji shaadi hue 2 ghante nhi hue boss ne kamre mein hi kabza karliya. Aage pata nhi kya hoga. Waise main yaha change karne aaya thaa. Agar aapki permission ho toh karlu.

Ritika: Haa haa karlo. Washroom uss taraf hai.

Aryan: Oo thank you mujhe toh pata hi nhi thaa.

Ritika: Your Welcome.

Phir Meera Ritika aur Sameera jor jor se hasne lagte hai.

Kuch der baad Aryan change karke bahar aata hai aur Sameera se bolta hai

Aryan: Sameera ji aap humare sabhi branches ki employees ke salary increase kardijiye humhari shaadi hone ki taraf se unke liye ek gift.

Yeh sunte hi teeno ladkiyan hasne lagti hai.

Aryan: Maine koi joke maara kya.

Sameera: Sir Ritika Ma'am ne pahle hi bol diya hai karne ko.

Aryan Ritika ki taraf dekhta hai toh Ritika ek smile de deti hai.

Aryan: Nice job Mrs. Ritika Malhotra.

Ritika: Ab main sabki tarah late lateef toh nhi hu naa Mr. Aryan Malhotra.

Aryan: Mujhe aisa kyo laga yaha pe abhi mujhe kuch bola gaya.

Meera: Yeh tumhari sahifehmi hai. Yeh bol woh hasne lagi.

Sameera: Achha sir ma'am ab main chalti hu. Once again Happy Married Life.

Teeno: Thank you Sameera ji.


Phir Sameera aur uski maa chale jaate hai. Aryan ke dost toh pahle hi chale gaye thee.
Jabardast update 🔥 👍🏻
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 41
Aryan bed mein let jaata hai aur Meera Ritika usse satt ke uske seene mein sir lagake let jaati hai.

Meera: Toh ab hum humesha ke liye ek hogye.

Aryan dono ke baalon ko sehlaate hue

Aryan: Mujhe toh ab bhi yakeen nhi horaha hai. Yeh sab kitni jaldi hogyaa.

Ritika: Aaj main bahot khush hu mera sapna pura hogyaa.

Aryan: Aree main bhul gaya tumdono liye ek gift hai. Aankhe band karo main abhi laata hu.

Meera: Kya gift hai.

Aryan: Main laata hu tumdono aankhe band karo.

Meera aur Ritika aankhe band karti hai aur Aryan unke liye liya hua gift laake unke haath mein rakh deta hai.

Meera aur Ritika apni aankhe kholti hai toh unke haatho mein ek bahot hi sundar golden pendent tha jisme bahot hi sundar design ka heart shape mein diamond ka locket thaa. Jisme ek ke upar A aur nichhe M likha hua thaa. Aur dusre mein upar A aur nichhe R likha hua thaa

Aryan: Pasand aaya.

Dono: Bahot khubsoorat hai.

Aryan: Toh pehen ke dikhao.

Dono: Tum apne haatho se pehnao.

Phir Aryan unke gale mein woh pendent pehna deta hai.

Dono: Abse yeh humesha humare gale mein rahegaa.

Chalo ab tum aankhe band karo. Ab humari baari hai tumhe gift dene ki.

Phir Aryan aankhe band karta hai. Meera aur Ritika uske haatho mein ek ek box rakh deti hai.

Aryan unn box ko kholta hai toh usme se ek bahot hi sundar golden braceslet nikalta hai jisme chotte chotte diamond lage hue the aur ek watch nikla jisme bhi diamond lage hue thee.

Aryan unhe sang sang pehen leta hai. Abse yeh harwaqat meri kalhai mein rahenge.

Meera: Tumhe pasand aaya.

Aryan: Meri jaan mujhe koi gift de aur mujhe pasand naa aaye aisa hosakta hai. Mujhe bahot pasand aaya.

Meera aur Ritika uske gale lag jaati hai. Aryan bhi unko gale laga leta hai. Phir woh log thoda so jaate hai. Sham ko jab woh log uthte hai toh ekdum fresh thee. Pure din ki thakan utar gayi thi.

Meera aur Ritika waha se sidha kitchen mein jaati hai jaha Sanjana pahle se hi kitchen mein thi.

Sanjana: Aree tumdono yaha kya kar rahi ho. Jao jaake bahar baitho.

Meera: Yaad hai aapne mujhse ek baar kaha thaa ke mera abhi kitchen mein jaane ka time nhi aaya hai.

Sanjana: Haa kaha tha toh.

Meera: Toh ab humara iss kitchen mein aane ka time aagya hai aur aap humhe nhi rokh sakti.

Sanjana: Aree main rokh nhi rahi hu. Aaj tumdono thoda aaram karlo. Kal se karlena.

Ritika: Hum abhi aaram karke hi aarahe hai. Hum se aur aaram nhi hoga. Isiliye ab humhe karne dijiye.

Sanjana: Abhi toh koi kaam nhi hai thodi der baad aake dinner ki taiyaari karenge thik hai. Chalo chalte hai.

Phir Meera Ritika aur Sanjana hall mein aajate hai.
Thodi der baad Aryan ke dost bhi aajte hai unse milne. Phir woh log baith ke baate karne lagte hai.

Thodi der baad jab woh log jaane lagte hai toh Meera unhe dinner ke liye rokh lete hai.

Yash: Haa thik hai dinner karke hi jayenge.

Preeti: Pata nhi kaha se mere naseeb mein yeh bhukhar aagaya. Jaha khana mila nhi suru hojaata hai.

Yash: Aree khane ko naa nhi kehna chahiye. Aur upar se aaj Meera aur Ritika apne ghar mein pahli baar khana banayegi. Woh toh khana hi padegaa.

Preeti: Haa toh khao. Ji bhar ke khao bhukhar kahi kaa. Mujhe toh lagta hai future mein main iske liye saari zindagi khaana hi banati rahungi.

Phir sab hasne lagte hai. Meera aur Ritika khana banane chali jaati hai. Preeti aur Sonal bhi unki madad karne chale jaate hai.

Thodi der baad dinner ready hota hai toh sab khana khaane lagte hai. Sab khaane ki bahot tareef karte hai. Yash toh khaane mein kuch jyaada kho gaya thaa.

Phir sab apne apne ghar ki liye nikal jaate hai.

Raat ko Aryan Meera aur Ritika sone ki taiyaari kar rahe the.

Aryan: Toh batao kaise sona hai.

Ritika: Jaise sote hai waise hi soyenge.

Aryan: Aree mera matlab kaun kaha soyega.

Meera: Isme sochna kya hai tum beech mein aur hum dono do side mein.

Aryan: Comfortable rahega koi problem toh nhi hogi.

Dono: Woh hum dekh lenge. Tum bas aao aur beech mein so jao.

Phir Aryan beech mein sojaata hai. Meera aur Ritika Aryan ko dono side se daboch ke so jaati hai.

Aryan: Kya kismat hai meri. Pahle kaha ek bhi nhi thi aur ab do do hai.

Dono do side se uske gaal ko kiss karte hue. Toh enjoy karo iss life ko aur humhe karne do.

Aryan: Tum dono ke iraade sahi nhi lag rahe hai.

Ritika: Abhi toh raat baaki hai meri jaan aage aage dekho hota hai kya.

Aryan: Tumlogo ne kya plan banaya hai.

Meera: Pata chal jayega my dear husband itni jaldi kya hai.

Phir lights off kardete hai. Raat ko bed mein dono ne Aryan ka chirharan hi kardiya. Aryan bas unki haath ki kathputli bana raha woh naa kuch bolsaka naa hil saka.

Subah Aryan jab uthata hai toh kamre mein Ritika dressing table ke saamne apne baal bana rahi thi.

Aryan dheere se jaake usko pichhe se pakad leta hai.

Ritika achanak hue iss humle se darr jaati hai par jab pichhe Aryan ko dekhti hai toh shant hoti hai.

Ritika: Kya kar rahe ho dara diya mujhe.

Aryan: Aree meri chotti sherni bhi darti hai.

Ritika: Haa jab sher aisa ho toh darna padhta hai aur tum yeh subah subah kya kar rahe ho.

Aryan: Apni choti biwi ko pyaar.

Ritika: Raat bhar karke shanti nhi hui.

Aryan: Raat mein jo kiya woh kiss tarah ka pyaar tha. Mujhe ek kathputli bana diya tha.

Ritika: Has ke yeh humara style tha pyaar karne ka.

Aryan: Bahot hi atrangi style tha. Yeh bol usko gaalon ko kiss kardeta hai.

Ritika: Ab choro late horaha hai didi kabki neeche chali gayi hai. Mujhe bhi jaana hai.

Aryan: Haa toh thik hai naa tum yahi raho abhi mere paas.

Ritika: Jii nhi. Mujhe pata hai tum badmaashi karoge.

Aryan: Woh toh baad ki baat hai.

Tabhi Meera coffee leke andar aati hai.

Meera: Kya baat hai chotti subah subah hi suru hogyi.

Ritika: Main kaha didi isne hi pakad liya hai. Maine bola mujhe nichhe jana but inko toh badmaashi sujh rahi hai.

Aryan haath bada ke Meera ko bhi apni baahon mein le leta hai aur bed mein girr jaata hai.

Dono uske upar let jaati hai.

Meera: Kyaa baat hai subah subah biwiyon pe bada pyaar aaraha hai.

Aryan: Aree tumdono pe toh humesha pyaar aata hai. Yeh bol unke gaalon ko kiss kardeta hai.

Ritika: Achhaa.

Aryan: Jiii.

Meera: Achha thik hai ab jaldi se yeh coffee pilo tabtak hum neeche jaake nashta banate hai phir mujhe maa ke paas bhi jaana hai.

Aryan: Thik hai par yaha se uthne ki ek keemat hai. Mujhe woh keemat de do main uth jaungaa.

Dono: Achhhaa. Ab humse keemat wasool karoge. Lagta ha raat ki baat bhul gaye ho.

Aryan: Chahe jo bhi ho keemat toh deni padegi aur sirf aaj nhi roj subah deni hogi agar nahi mili toh aise hi rehna phir.

Ritika: Didi yeh din pe din badmaash horahe hai.

Meera: Sahi kaha chotti. Par yeh badmaashiya bahot pyaari hai. Yeh bol dono hasne lagti hai phir Aryan ke dono gaalon pe kiss karti hai.

Dono: Ab khush.

Aryan: Bahot khush. Mujhe yeh roj chahiye aur woh bhi eksaath.

Dono: Sochenge. Filhal toh choro aur dekho coffee bhi thandi horahi hai.

Phir Aryan dono ko chorta hai. Dono uth ke apne aap ko thik karti hai aur neeche jaake nashta banane lagti hai. Aryan bhi apni coffee peeke fresh hone chala jaata hai phir ready hoke neeche aata hai toh nashta ready tha.

Phir yeh log nashta karke nikal padhte hai college ki taraf.

Aryan Meera aur Ritika pahle pahle Warden se milne aaye.

Warden Meera ko ek suhagan ke roop mein dekh kar bahot khush hoti hai.

Meera aake sidha Warden ke gale lag jaati hai.

Meera: Maa kaisi hai aap. Raat ko koi problem toh nhi hui naa.

Warden: Main ekdum thik hu. Tu bata kaisi hai kaisi ho tum Ritika.

Meera: Main bhi ekdum thik hu.

Ritika: Main bhi ekdum mast hu.

Warden: Aur Aryan kaise ho.

Aryan: Bas jee raha hu.

Warden: Matlab.

Aryan: Aapki betiyon ne chain se sone hi nhi diya. Maine kitna bola aaj college nhi jaate hai. Thoda aaram karte hai. Par nhi meri koi baat nhi sunni.

Yeh sunte hi dono ke gaal sharm se laal hojaate hai.

Meera: Nhii maa yeh jhooth bol raha hai. Aisa kuch nhi huaa thaa aur tum yaha aate hi meri maa se meri complaint karni start kardi. Tum ghar chalo.

Aryan: Dekha aapke saamne hi dhamka rahi hai. Akele toh pata nhi kya karegi.

Meera: Achha main itni buri hu. Toh theek hai tum jao main aajse yehi rahungi.

Aryan: Aree aree main toh mazaak kar raha thaa. Tum toh naraz hogyi.

Meera: Nhi main toh tumko pareshan karti hu naa. Toh jao aur raho akele.

Aryan: Nhi Meera. Tum kaha mujhe pareshan karti ho. Tum toh bahot achhi ho. Please aap hi isse samjhaye. Ritika tum toh kuch kaho.

Ritika: Didi sahi bol rahi hai hum toh aapko sone nhi dete naa toh aap jaaiye akele main aur didi yahi rehenge.

Yeh sunte hi Aryan ke hosh udd gaye.

Aryan: Tum bhi iske saath milgayi.

Warden: Aryan yehdono mazaak kar rahi hai. Yehlog kaunsa tumhare bina reh payegi. Jab yeh yaha pe thi tab bhi tumhare paas jaane ke liye tadapti rehti thi. Aur ab toh iske paas license hai. Ab yeh yaha ek pal bhi tumhare bina nhi reh payegi.

Meera: Yeh sab choriye aapne nashta kiya.

Warden: Haa maine karliya hai. Chalo ab tumlogo ko college ke liye late horaha hogaa naa.

Meera: Thik hai hum chalte hai. Koi bhi problem ho hum teeno mein se kisi ko bhi call kardijiyegaa.

Phir teeno college ke liye nikal jaate hai.

Aryan: Meera main kya soch raha thaa. Kyo naa hum tumhari maa ke liye ek all time maid ka intezaam karde. Jisse woh unhe sambhal bhi legi aur koi problem hui toh humhe bhi khabar kardegi.

Meera: Waah Aryan. Mast idea hai. Thik hai phir main maa se baat karlungi.

Aryan: Thik hai main kisi maid ko dekhta hu.

Ritika: Iski jarurat nhi hai meri nazar mein hai ek maid.

Aryan: Aree waah yeh toh achha hai toh tum usse baat karlo.

Ritika: Thik hai main dekh lungi.

Phir yeh log college aajate hai. Waha pe bhi sab inhe congratulate karte hai. Phir classes hoti hai. Phir yeh log ghar aajate hai.


Phir Aryan waha se Raw ke headquaters jaata hai thodi der waha pe rehke woh ghar aata hai.
Shandaar update
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 42
Phir Aryan waha se nikal kar apne ghar ki taraf chala jaata hai. Usse khayal aata hai kyo naa aaj Meera aur Ritika ko shopping karayi jaaye. Toh usne Meera ko call karke dono ko ready hone ko bolaa.

Phir ghar pahonch ke ready hoke Meera aur Ritika ko leke nikal padhta hai.

Meera: Hum kaha jaa rahe hai.

Aryan: Bas tumhare kiye surprise hai.

Ritika: Kya baat aaj achanak surprise.

Aryan: Ab maine socha jab itni achhi biwiyan mili hai toh unko khush rakhu. Kahi naraaz hoke mujhe chorr apne ghar chali gayi toh kaise rahunga.

Meera: Bahot smart hogye ho.

Phir yeh log ek mall mein jaate hai jo inha ka thaa. Matlab AMR Mall.

Waha jaake Aryan bolta hai.

Aryan: Humlog yaha pe shopping karne aaye hai. Toh chalo start hojaao.

Ab chahe koi bhi ladki ho shopping ka naam sunke woh khush toh hogi hi.

Meera aur Ritika Aryan ke gaalo mein kiss karke chal padhti hai shopping karne.

Aryan: Agar tumdono ko shopping pe laane ka itna achha inaam milta hai toh hum hardin shopping par aayenge. Isi bahane yeh inaam bhi milta rahegaa.

Meera: Jyaada naa uchlo mat. Yeh inaam limited period tak hi available thaa. Jo khatam hochuka hai. So bad luck next time.

Aryan: Yeh galat hai.

Meera: Ab jo hai yehi hai.

Phir woh log shopping karne lagte hai. Aryan ne apna sirr pitt liya kyo woh shopping pe aaya.

Dono ne pure 2 ghante lagake apne liye kuch suits liye aur Aryan ke liye kuch dress.

Aryan: Hogyaa. Yaa aur kuch baaki hai.

Ritika: Abhi kaha kuch hua hai. Next time phir se aana hogaa.

Aryan: Kyaaaa. Nexttt timeee phirrr see. Maaf karo madam. Main Sameera ji ko bol dunga tumdono unke saath chali aana yaa phir Preeti aur Sonal ke saath.

Meera: Kyo thodi der pahle tum hi bol rahe thee naa roj shopping par aaunga.

Aryan: Haa lekin woh offer limited period tak hi available thaa jo khatam hochuka hai.

Meera: Achha ji meri baat mujhpe hi.

Aryan: Ab chalo kahi dinner karte hai aur bhukk lagi hai.

Dono: Chalo.

Phir yeh log ek achhe se Restuarant mein jaake dinner karte hai. Phir ghar aake so jaate hai.

Agle din Aryan apni team ko call karta hai.

Aryan: Guys ab humhe kaam pe wapas aana hai toh Mike se jitni bhi information mili thi usme se yaha mumbai mein ab sirf unka 1 hi member bacha hai toh usko uthana hoga phir humhe Delhi ke liye nikalna hoga.

Team: Yes sir hum ready hai.

Aryan: Toh phir nikalo iss member ki kundli. Kaha rehta hai kab nikalta hai kaha jaata hai sabkuch.

Phir team apne kaam mein lag jaati hai.

Aryan phir Harish ko call karta hai.

Aryan: Sir ab mujhe Delhi ke liye nikalna chahiye mera 2nd year yaha pe khatam hone wala hai par mera 3rd year ka problem hojayega.

Harish Uncle: Tum tension mat lo waise bhi tumhara mental power bahot stong hai main tumhara ek graduation certificate hi banwa deta hu jisse tum Delhi mein jaake direct higher studies hi karna aur apna kaam bhi aur waise bhi Delhi mein kuch din baad higher studies ke addmission start honge.

Aryan: Yeh toh achha hua toh aap Meera aur Ritika ka bhi karwa dijiye kyoki woh dono mere saath hi jayegi.

Harish Uncle: Hojayegaaa.

Aryan: Thank You sir.

Phir Aryan call cut karta hai.

2 din baad Krish ka call aata hai Aryan ko.

Krish: Humara yaha ka last target ki puri kundli nikaal li hai.

Aryan: Haa toh batao uske baare mein.

Krish: Sir yeh yaha ka bahot bada businessman hai. Iske paas political support bhi hai aur yeh uss group ko financial support bhi karta hai. Iski family mein koi iske saath nhi rehta iske bure behaviour ki wajah se biwi ne divorce de diya ek beta hai aur undono ko isse koi matlab nhi hai. Isne aaj tak 10 murder, jisme iske sasur aur saale ka murder shamil hai aur 15 rape kiye hai jisme iski saali aur saale ki biwi ka rape or murder shamil hai. Yeh baat iske biwi ko pata chal gayi isiliye woh isse chorke chali gayi aur chahti hai isko iske gunaho ki saza mile.

Yeh har raat ko ek redlight area mein jaata hai sabse chupke bilkul akele. Humare paas wohi ek time rahega isko uthane ka.

Aryan: Agar isko uthate hai toh isko business empire ka kya hogaa.

Krish: Sir yeh jaisa bhi hai par isko apne bete se pyaar hai isiliye iske will mein likha hai agar isko kuch hota hai toh pura business iske bete ko mil jayega aur yeh baat iske biwi aur bete ko bhi pata hai.

Aryan: Par agar isko aise hi gayab kardiya toh kuch problem hojayegaaa. Isko aise hi gayab nhi kar sakte.

Krish: Tab kya kare sir.

Aryan: Wahi soch raha hu. Kiran ko conference mein lo.

Phir Krish Kiran ko conference mein leta hai.

Kiran: Bolo meri jaan aaj mujhe kaise yaad karliya. Jabse case mein aaye hai tum toh bhul hi gaye ho tumhari koi girlfriend hai.

Aryan: Kiran.

Kiran: Baby yeh tumhari awaaz Aryan sir ke jaisi kyo hogyi hai.

Krish: Kyoki woh conference mein hai.

Kiran: Whattttttt.

Aryan: Ji Ms. Kiran ya Mrs. Krish.

Kiran: Sorry Sir. Mujhe laga ki.... Sorry sir.

Aryan: Aree isme sorry kaisa yehi toh age hai yeh sab karne ki. Mujhe hi dekhlo. Padhai ki age mein Raw ki naukri aur shaadi karke baitha hu. So don't get panic. Be cool.

Kiran: Sharm se. Yes sir.

Aryan: Achha Krish isse sab batao kyo call kiya.

Phir Krish usse sab batata hai.

Aryan: Toh ab batao kya kiya jaaye.

Kiran: Sir hum direct toh haath nhi laga sakte. Sir plan toh hai but thoda criminal type hai. Shayad pasand nhi aaye.

Aryan: Kiran inn jaiso ke liye agar criminally kaam karna padhe toh koi buri baat nhi tum batao.

Kiran: Sir hum isko uthate hai isse agar koi information milti hai toh woh lete hai phir iska accident karwa dete hai aur yeh dikha denge alcohol ke nashe ke kaaran accident hogya isse shayad unlogo ko shak naa ho.

Aryan: Idea achha hai. Thik hai Krish uthao isko.

Krish: Thik hai Sir.

Aryan: Okk ab main rakhta hu tumlog chaho toh apni personal baat kar sakte ho. Jaanta hu Raw ki naukri aur iss mission mein bahot khatra hai. But apno ko bhi time dena chahiye. Carry on.

Yeh bol Aryan ne call cut kardiya. Udher call mein.

Krish: Kya yaar Kiran tum toh Aryan sir ke saamne hi start hogyi.

Kiran: Aree mujhe kya pata tha tum unko conference mein liye hue ho. Tum hi batao last kab tumne mere saath time spend kiya pyaar bhari baate ki.

Krish: Ab kya kare yeh naukri aur iss mission se time kaha milta hai.

Kiran: Sir ne bola naa apno ke saath bhi time spend karna chahiye. Sir bhi toh apni biwiyon se equal time spend karte hai. Kya tum nhi kar sakte.

Krish: Thik hai. Aaj se shikayat ka koi mauka nhi. Yeh batao kaisi ho kya kar rahi ho.

Kiran: Main bilkul thil hu. Filhal toh ghar mein hu. Mom dad se baat karne ka time hi nhi milta aur kuch din baad toh Delhi jaana hai pata nhi kab tak ke liye. Isiliye jitna hosakta hai unke saath hi rehti hu.

Krish: Haa yaar yeh achha hai. Main bhi jyaada se jyaada koshish karta hu unke saath rahu.

Kiran: Thik hai chalo main rakhti hu. Tum apne kaam mein lag jao.

Krish: Byee.

Kiran: Byee.

Aise hi 2 din baad Aryan ki team ne uss businessman ko plan ke hisaab se uthaya usse kuch khaas information toh nhi mili phir uska accident karwa ke maardiya.

Aise hi time guzarne laga. Isi beech Yash Preeti Karan aur Sonal ke parents ne inki engagement fix kardi. Dono ki engagement ek hi din rakha gaya.

Aryan: Haa toh Yash Karan ab tum dono bhi engaged horahe ho.

Yash: Haa yaar bas ek dukh rahega. Iske baad main humesha ke liye band jaunga.

Karan: Sahi kaha jaise yeh humesha ke liye band gaya hai.

Aryan: Preeti Sonal dekho yeh dono kya bol rahe hai.

Preeti: Haa Yash bolo kya baat hai.

Sonal: Haa Karan bolo.

Dono: Hadbada kee. Are kuch nhi yehi bol rahe hai ke we are so excited ke humari sagai horahi hai.

Dono ladkiyan sharma ke nikal jaati hai.

Yash: Kamine kyo shaadi ke pahle divorce karwane pe tula hai.

Karan: Haa bhai itni mushkil se toh ladkiyan mili hai. Inhe toh paas rehne de.

Aryan bas jor jor se hasne lagta hai. Yaar tum log kitna darte ho. Mujhe dekho aur kuch sikho.

Yash: Meera Ritika yeh bol raha hai tumdono isse darte ho kya yeh sach hai.

Dono: Achhaa aisa bola isne. Aryannnn.

Aryan: Nhiii. Inhone galat sunaa maine bola main tumdono se darta hu aur har husband ko apni wife se darna chahiye.

Dono: Hmmm thik hai. Tum log jaldi chalo sagai ka muhurat horaha hai. Yeh bol woh dono chale jaate hai.

Yash aur Karan jor jor hasne lagte hai.

Aryan: Kamino kyo basa basaya ghar tudwaa rahe ho.

Karan: Hum sabki halat ek jaisi hi hai. Yeh bhi darta hai. Aur hum bhi darte hai.

Yash: Sahi kaha.

Aryan: Darna padhta hai bhai agar ghar mein rehna ho aur khana chahiye toh darna padhta hai.

Ritika: Aree chalo sagai ka muhurat hogya hai.

Phir sab stage pe aate hai. Aryan ke bagal mein Meera aur Ritika khadi hojaati hai. Phir Yash ne Preeti ko aur Karan ne Sonal ko engagement ring pehnai. Aise hi inki sagai hogyi.
Dono jodi ne decide kiya shaadi settle hone ke baad karenge.

Phir sab enjoy karke apne apne ghar nikal jaate hai.

Aise hi 1 hafte baad subah subah Maid jo Warden ki dekhbhal ke liye rakhi gayi thi usne Aryan ko call karke bataya Warden ki tabyat bahot bigad gayi hai aaplog jaldi se hospital aaiye main inhe wahi leke jaa rahi hu.

Aryan: Thik hai aap unko hospital le jao hum aate hai.

Meera: Kya hua kaun tha.

Aryan: Woh tumhari maa ki tabiyat kharab hochuki hai. Unhe hospital le ke gaye hai. Humhe nikalna hogaa.

Meera jaise hi yeh sunti hai uski aankho mein aansu aajaate hai woh jaldi se ready hokar Aryan aur Ritika ke saath hospital jaati hai. Waha maid khadi thi. Doctor unka checkup karrahe the.

Meera: Ab kaisi hai maa. Achanak kya hua.

Maid: Pata nhi madam achanak se khoon ki ultiyan karne lagi aur behosh hogayi. Maine turant Aryan sir ko call karke unhe leke yaha aagyi.

Thodi der mein Sanjay,Sanjana,Harish,Nandini Yash Preeti, Karan Sonal, Sangeeta aur Raghav bhi aajate hai. Aryan ne unhe Raaste mein hi call kardiya tha.

Thodi der baad doctor aate hai aur bolte hai. Dekhiye ab unke paas jyaada time nhi hai jyaada se jyaada 30 mins hai. Aap unse mil lijiye. I am Sorry.

Meera toh rona start kardeti hai. Ritika, Preeti aur Sonal usse sambhalte hai. Woh bhag kar apni maa ke paas jaati hai.

Warden: Aree pagli ro kyo rahi hai. Tujhe toh pata thaa yeh din jaldi aayegaa. Toh aaj aagya.

Meera ka toh rona rukh hi nhi raha thaa. Woh wahi pe baith ke rone lagti hai. Bhale hi woh uski sagi maa nhi thi par bachpan se usse sagi maa se bhi badh kar pyaar kiya thaa.

Aryan usse sambhalta hai. Woh Aryan ke seene mein lag kar rone lagti hai.

Warden: Aryan meri beti ki aankho mein yeh aansu aaj aakhri baar aane chahiye. Aaj ke baad woh kabhi bhi roni nhi chahiye. Meri yeh aakhri ichha puri kardenaa.

Aryan ki aankho mein bhi aansu aajate hai.

Warden Sanjay aur Sanjana se bhale hi aaj uska parivaar hai but Aaplogo ne meri bachhi ko itna pyaar diya aur usse tab apnaya jab woh ek anath thi aur tab aaplogo ne usse apne bete ke liye chunke mera maan rakh liyaa. Aap logo ka bahot bahot shukriya.

Sanjay aur Sanjana ke aankho mein bhi aansu thee but woh uss taraf aur dekh nahi paaye.

Warden: Meera. Aur mat ro. Dekh agar tu aise royegi toh mujhe marne ke baad bhi shanti nhi milegi. Chup hojaa.

Tabhi unki saanse ukhadne lagi.

Warden: Ukhdi hui saanso ke saath. Aryan meri beti ko humesha khush rakhnaa. Usse kabhi akela mat chornaa.

Meera iss janam toh nahi hua par agle janam mein main teri sagi maa banna chahungi.

Yeh kehte hue woh chup hogyi.

Meera: Maa. Maa utho naa maa. Dekho main nhi roungi. Utho naa maa. Aryan dekho naa kya huaa. Tum uthao naa.

Aryan usse kaske seene se laga leta hai. Woh jor jor se rone lagti hai. Waha sabki aankhe hi nam thi.

Kuch der baad unka antim sanskaar kiya jaata hai jo Aryan hi karta hai. Phir sablog ghar aate hai. Yeh sab mein sham hogyi thi.

Meera toh jaise ekdum chup hi hogyi thi. Uski yeh halat Aryan aur Ritika se dekhi nhi jaa rahi thi. Woh jaise bhi karke usse kuch khilate hai kyoki usne subah se kuch nhi khaya thaa. Phir usse thodi der sone ke liye bolta hai. Meera toh sona nhi chahti thi par usse jabardasti Aryan sula deta hai. Thodi der soyegi toh mind ko relax milegaa.

Raat ko Meera kuch better thi. Par abhi bhi udaas thi.


Kuch din tak Aryan Meera ko leke roj ghumne jaata jisse uska mood thik ho. Kuch din baad Meera bilkul pahle jaisi hogyi thi.
Lajawaab update
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 43
Kuch din baad Aryan ko Delhi ke liye transfer mil jaata hai. Ab uske dosto ko batana thaa toh usne bola usko AMR group of companies se job offer aaya hai Delhi ke branch mein. Isiliye woh Meera aur Ritika kuch waqat ke liye Delhi shift horahe hai. Usne Sameera ji se baat karli hai woh waha part time job bhi karega aur padhai bhi karega aur MBA ke baad usko wapas Mumbai transfer kar denge.

Uske dost bhi jaane ke liye bolte hai. Phir woh log Delhi jaane ke liye taiyaar thee.

Aryan ne pahle se Sameera ko bolke uska Meera aur Ritika ka addmission Delhi mein MBA ke liye karwane ko bol diya thaa aur Aryan ki car aur bike ko Delhi shift karwane ke liye bhi. Aur ek ghar ka bhi intezaam karwane ko bol diya thaa.

Aryan ke saath Meera Ritika aur uski team hi jaarahi thi.

Uski team Raw ke diye ghar mein rehti aur yeh teeno Sameera ko bole ghar mein.

Aryan ne apne baare mein sabkuch Sangeeta aur Raghav ko shaadi ke pahle hi diya tha ke woh kaun hai, formula sab kuch. Unhe darr toh tha par Aryan pe bharosa bhi tha.

Aryan ki team 2 din pahle hi nikal gayi thi. Aaj Aryan Meera aur Ritika Delhi jaa rahe the. Sab unhe see off karne aaye the. Sanjana ki aankhe nam thi. Bhale hi woh uski maa naa sahi par usse humesha apna beta hi maana hai.

Aryan Meera aur Ritika ki aankhe bhi nam thi. Inn kuch saalon mein Sanjay aur Sanjana ne kabhi yeh aihsaas nhi hone diya ke yeh unka beta nhi hai.

Meera aur Ritika ke liye Sanjana uski saas hi thi. But kabhi bhi saas jaisa behave nhi kiya. Humesha apni beti ki tarah rakha thaa Meera aur Ritika ko.

Aryan Meera aur Ritika ki zindagi hi badal di thi inhone.

Aryan: Main Meera aur Ritika aate rahenge aap dono se milne. Aap log thik se rahiyegaa.

Sanjana: Tum teeno bhi apna khayal rakhna aur jaldi se kaam khatam karke yaha wapis aajana.

Aryan: Jarur. Ab flight ka time horaha hai.

Yash aur Karan: Aate rehna bhai. Aur gale lag jaate hai.

Preeti aur Sonal: Waha achhe se rehna. Aur waha se 3 mat aana 5 ya 7 hoke aana.

Meera aur Ritika sharma jaate hai aur unke gale lag jaate hai.

Dono: Tumlog bhi achhe se rehna. Humlog aate rahenge.

Harish Uncle: Chalo beta flight ki announcement hogyi hai.

Aryan: Maa baba ka dhyaan rakhiyegaa.

Harish Uncle: Tum bilkul fikr mat karo. Apna Meera aur Ritika ka dhyaan rakhna aur kaam khatam karke jaldi wapas aao.

Phir woh chale jaate hai Andar. Kuch 3 ghante baad woh log Delhi pahonch gaye the. Aaj Aryan kitne saal baad Delhi aaraha tha ek alag pehchan, ek alag maksad leke.

Waha unlogo ko receive karne ke liye unki team khadi thi.

Aryan Meera aur Ritika waha se sidhe apne flat mein jaate hai jo Sameera ne kharida thaa. Yeh flat kehna galat hoga. Yeh ek bunglow tha. Aryan Meera aur Ritika apna sir pitt lete hai ghar dekh kar.

Uski team kuch nhi bolti. Kyoki unko pata tha Aryan ne underground fight khelke paise kamaye the aur AMR company inki hi hai.

Sab log ghar ke andar jaate hai jaha pahle se hi saara jarurat ka samaan tha. Sameera ne maid bhi rakhi thi saaf safayi ke liye. Woh roj subah aati aur saaf safayi karke chali jaati.

Phir woh log waha rest karte hai. Sham ko uth ke woh Sanjay Sanjana Sangeeta Raghav ko call karte hai.

Sanjana: Thik se pahonch gaye naa.

Aryan: Haa thik se pahonch gaye. Sameera ji ko humne flat bola thaa unhone toh bunglow hi le liya.

Sanjana: Maine aur Sangeeta ji ne hi usse bola thaa bunglow ke liye. Tumlog India ke top company ke owners ho. Flat mein rahoge. Yeh main kaise dekh sakti hu.

Aryan: But iski koi jarurat nhi thii.

Sanjana: Woh sab mujhe pata hai kiski jarurat hai aur kiski nhi.

Aryan: Achha thik hai. Waise aap log thik hai naa.

Sanjay: Haa humlog thik hai par jab humlog tumlogo ko chorne Airport gaye thee. Tab shayad humare pichhe se koi ghar mein aaya thaa aur pure ghar aur lab ki achhe se talashi li hai. Par jo unhe chahiye thaa woh toh ab unhe milega nhi.

Aryan: Kyaaa. Aapne Harish Uncle ko bataya yeh sab.

Sanjay: Haa maine bata diya hai aur unhone ne security bhi de di hai.

Aryan thik hai maine unse baat kar leta hu. Phir call cut hojaata hai. Phir Aryan Harish ko call lagata haii.

Aryan: Uncle ghar mein kisne talashi li thi.

Harish Uncle: Shayad usi group ka koi aadmi thaa. Hidden camera mein records hogya hai. Kal tak humari giraft mein hogaa tum chinta matkaro. Maine security tight kardi hai. Aur waise bhi jo unhe chahiye woh toh unhe kabhi nhi milegaa.

Aryan: Thik hai.

Harish Uncle: Tumlogo ko PM se milna hai unko jyaada wait karana achha nhi.

Aryan: Thik hai aap kal ka bol dijiye. Kal main Meera Ritika aur meri team unse milenge.

Harish Uncle: Thik hai main baat karlunga aur agar woh kal free hue toh time bata dungaa tumhe.

Aryan: Thik hai Uncle.

Phir Aryan call cut kardeta hai. Phir Meera Ritika aur Aryan car mein ghumne nikal jaate hai. Jo pahli hi aagayi thi.

Woh log ghumte ghumte ek Mall mein jaate hai. Waha woh log thodi shopping karte hai. Tabhi Aryan ki nazar ek ladki pe padhti hai. Usse dekhte hi uska chehra gusse se laal hojaata hai. Woh Meera aur Ritika ko bolta hai jaldi kare. Meera aur Ritika dekhte hai Aryan ka chehra gusse se laal hochuka hai. Woh puchte hai kyaa huaa.

Aryan: Yaha pe Ms. Neha Malhotra hai. Jaldi karo. Ab main yaha nhi reh sakta.

Jab yeh waha se nikalne wale hote hai tabhi Meera kisi se takra jaati hai toh Meera ke haath mein jo samaan tha woh girr jaata hai.

Toh sab log include Neha uss side dekhne lagte hai jo apni friends ke saath shopping mein aayi thi. Aryan aage badh gaya thaa jab woh dekhta hai uske saath sirf Ritika hai Meera saath nhi hai toh woh pichhe ghum ke kehta hai Meera jaldi karo.

Aryan: Ritika Meera ki help karo.

Jab Aryan bolta hai tabhi sab Aryan ko dekhte hai. Neha bhi Aryan ko dekhti hai par pahle toh pehchan nhi paati kyoki formula ke wajah se uska chehra jo badal chuka thaa. Par aankhe wahi thi. Par jab Neha ki nazar uski aankho mein padhti hai toh dekhti hi rehti hai. Uski aankho se aansu nikal aate hai. Woh usse ektak dekhti hi rehti hai. Par usse toh yeh aihsaas hi nhi thaa ke Aryan Ritika aur Meera waha se jaachuke hai.

Neha ki friend usse hilake puchti hai kya hua.

Neha bina kuch bole waha se daud laga deti hai. Par Aryan usse nhi dikhta. Woh pura Mall khojti hai par usse nhi dikhta. Woh jaldi se waha se nikal ke apne ghar pahonchti hai.
Vikram abhi ghar mein hi thaa.

Neha: Chillate hue. Dad dad kaha hai aap jaldi bahar aaiye.

Rashmi: Kya hua kyo itna chilla rahi ho.

Neha: Pahle dad ko bulaiye. Phir batati hu.

Meenakshi: Aree batao toh baat kya hai.

Neha: Chachi sab batati hu. Pahle dad ko aane dijiye.

Vikram: Aree kya hua kyo chilla rahi ho.

Neha: Dad maine usse dekha.

Vikram: Kise dekha.

Neha: Bhai ko. Aryan ko.

Rashmi: Kya kaha. Tune wapas bol. Kise dekha tune.

Neha: Maa aapne sahi suna hai. Maine bhai ko dekha hai.

Rashmi: Dekh Neha agar yeh tera koi mazaak hai toh isse abhi band kar. Mujhe aisa mazaak bilkul pasand nhi.

Neha: Maa main koi mazaak nhi kar rahi hu. Maine sach mein aaj Mall mein bhai ko dekha. Woh 2 ladkiyon ke saath shopping pe aaya hai.

Rashmi: Toh jab tune usse dekha toh yune usse yaha kyo nhi laaya. Woh kaha hai mujhe le chal uske paas. Main abhi uske paas jaungi.

Neha: Maa jab maine usse dekha toh mujhe apni aankho pe vishwaas hi nhi hua. Main kahi kho hi gayi thi. Par jab mujhe hosh aaya woh kahi jaa chuka thaa.

Rashmi: Suniye. Ab toh yeh pata chal chuka hai woh yehi hai. Aap kahi se usse le ke aaiye.

Vikram: Main abhi kuch karta hu.

Neha: Dad woh aapko nhi milega. Uska chehra pahle jaisa nhi hai. Uska chehra badal gaya hai.

Meenakshi: Toh phir tumhe kaise pata woh Aryan hi thaa.

Neha: Aankhe chachi aankhe. Main uski aankhe kabhi nhi bhul sakti. Uski aankhe abhi bhi waisi hai. Maine ussi se usse pehchana. Ab mujhe samaj aaya kyo hum usse itne saal se dhund nhi paaye.

Rashmi: Toh hum usse dhundenge kaise.

Neha: Ek raasta hai. Mall ka CCTV footage usme woh jarur record hua hoga. Hum usme se uski pic leke usko dhundenge. Main abhi gudiya ko yeh baat bata ke aayi.

Meenakshi: Ruko Neha woh ghar pe nhi hai. Apne friend ke paas gayi hai. Aur shayad woh tumhari baato pe vishwaas bhi naa kare. Isiliye pahle humhe Aryan ki pic laani hogi.

Phir Vikram kisi ko call karta hai aur Neha ko leke mall chala jaata hai.

Mall pahonchta hai toh waha pe Commissioner pahle se hi khada tha civil dress mein. Phir woh log waha se mall ke security room mein jaate hai. Commissioner saath thaa toh kisi ne koi sawaal nhi kiya.

Neha: Mujhe aapke mall ki kareeb 1 ghante pahle ki 2nd floor mein jo unisex dress section ka shop hai waha ki CCTV footage dekhni hai.

Security: Sorry hum bina permission ke nhi dikha sakte.

Commssioner: Kya mere kehne pe bhi nhi.

Security: Nhi sir. Aap toh police se hai.

Commissioner: Toh jo inhone kaha woh karo.

Phir security bina kuch bole kaam pe lag jaata hai.

Neha: Ab yaha pe thodi der baad ek ladki ka samaan girr jaata hai tab tak ke liye forward karo.

Security waise hi karta hai. Ab footage uss waqat ki thi jab Meera ke haath se samaan girr jaata hai.

Neha: Ab yaha pe ek ladke ki awaaz aayegi. Mujhe jaise bhi karke uska chehra dekhna hai.

Security: Ma'am iss angle se toh nhi dikhega. Lekin shop ke exit pe ek camera waha se jarur dikhega.

Neha: So do it fast.

Phir security shop ke exit pe jo camera thaa usse usi time pe chalata hai jab Meera ka saaman girta hai.

Neha: Stop. Yeh yehi hai woh. Dad yeh raha bhai.

Vikram dhyaan se dekhta hai. Toh uski aankhe bilkul Aryan jaisi thi. Vikram ki aankho mein toh ek pal ke liye aansu aagye the apne bete ko itne saal baad dekh. Par woh khud ko sambhal ke

Vikram: Mujhe iss ladke ki photo chahiye jaldi se isse print karo.

Security waisa hi karta hai. Phir woh log photo leke waha se nikal padhta hai.

Vikram: Sir aaplogo ko isse khojna hai.

Commissioner uss photo ki ek pic leke bolta hai. Agar yeh Delhi mein hai toh yeh ab bahot jald aapke paas hogaa.

Vikram: Sir jald se jald kijiye.

Phir Neha kuch soch ke wapas security ke paas jaake.

Neha: Jis ladki ka saamaan gira tha uski pic dikhana toh.

Security woh pic dikhata hai toh Neha ko Meera ke gale mein mangalsutra dikhta hai toh uske chehre pe ek smile aajati hai.

Neha: Usne shaadi karli. Waah bhai tu toh bahot fast nikla.
Ab yeh footage play karo. Aur mujhe iss ladki ka naam sunna hai jo uss ladke ne kaha tha.

Security waise hi karta hai tabhi ek awwaz aati hai " Meera jaldi karo", " Ritika jaake help karo".

Neha: Yeh ladki kaun hai. Uss dusri ladki ke upar point karo toh.

Security waise hi karta hai. Neha Ritika ko bhi dhyaan se dekhti hai toh woh shock hojaati hai.

Neha: Waah bhai toh kuch jyaada hi fast nikla eksaath 2 shaadi karli. Thik hai. Ab inn 2 ladkiyon ka photo bhi print karo. Aur tumhara kaam khatam.

Vikram: Yeh kiski photo li hai tumne.

Neha: Dad yeh meri bhabhiyan hai Meera Bhabhi aur Ritika Bhabhi

Vikram: Kyaa bhabhiyan. Matlab usne shaadi karli.

Neha: Haa dad aur woh bhi 2 yeh dekhiye inke gale mein Mangalsutra hai. Aur bhai inke saath aaya thaa.

Vikram: Mera beta toh bahot fast nikla. Ab bas woh mil jaaye toh usse maafi maangle.

Neha: Mil jayega dad. Ab bhai ko humeshe koi durr nhi rakh sakta.

Phir woh log ghar aajaate hai.

Rashmi: Kya hua mili Aryan ki tasveer.

Neha: Haa maa yeh lo apne bete aur bahuon ki tasveer.

Meenakshi: Bahuyen.

Neha: Haa chachi. Bhai ne shaadi karli woh bhi 2.

Rashmi toh Aryan ki photo dekhte hi rona shuru kardeti hai.

Rashmi: Kitna badal gaya hai mera beta. Bas aankhe hi nhi badli.

Meenakshi: Didi jara mujhe bhi toh dikhaiye Aryan mera bhi beta hai.

Phir Meenakshi bhi Aryan ki photo dekhne lagti hai.

Meenakshi: Sach mein bahot badal gaya hai. Aur kitna handsome bhi hogaya hai. Dekho kaise body banake ekdum hero hogya hai.

Rashmi: Meri bahuyeh bhi kuch kam nhi hai dekho kitni pyaari aur khubsoorat hai.

Meenakshi: Haa didi sahi kaha. Inhone toh khubsoorti mein Neha ko bhi paar kardiya.

Neha: Aakhir mere bhai ki biwiyan hai khubsoorat toh hogi hi.

Rashmi: Ab toh photo bhi mil gayi. Aur kab tak intezaar karna padegaa. Main apne bete se milne aur usse maafi maange ke liye taras gayi hu.

Vikram: Mera bhi yehi haal hai Rashmi. But aur jyaada din nhi commissioner sahab ko yeh photo de di hai ab woh jald se jald isse yaha le aayenge.

Tabhi Soniya bhi ghar mein aajati hai. Woh sabko ignore kar apne kamre mein jaane lagti hai.

Neha: Gudiya bhai mil gaya hai.

Jaise hi Soniya yeh sunti hai uski kadam wahi pe rukh jaate hai aur uske aankho se aansu behne lagte hai.

Soniya: Kya kaha aapne.

Neha: Bhai mil gaya hai.

Soniya: Kaha hai mere bhaiyaa. Mujhe abhi unke paas jaana hai.

Neha: Woh kaha hai yeh humhe nhi pata.

Soniya: Toh aapne mujhse jhoot kyo bola ke bhai mil gaya.

Neha: Maine koi jhoot nhi bola sach mein bhai mil gaya hai. Phir Neha usse puri kahani suna deti hai.
Aur yeh rahi unnteeno ki photo.

Soniya woh photo leke jaldi se apne kamre mein chali jaati hai.

Phir unki photo ki pic kisi ko send karke. Ek call karti hai.

Soniya: Maine aapko 3 pic bheji hai.

Saamne se: Haa dekha maine. Kaun hai yeh.

Soniya: Yeh pic Aryan Bhaiya Meera Bhabhi aur Ritika Bhabhi ki hai. Yeh teeno yehi Delhi mein hai. Aap bhi inhe dhundiye.

Saamne se: Kya sach mein yeh Aryan hai.

Soniya: Haa inki aankhe dhyaan se dekhiyee.

Saamne se: Haa tum sahi keh rahi ho. Wahi aankhe bas chehra badal gaya hai aur body banake bilkul hero hogya hai. Aur saale ne shaadi bhi karli aur woh bhi 2. Milne do ekbaar chorunga nhi.

Soniya: Khabardaar jo aisa kuch kiya toh. Main aapko chorungi nhi.

Saamne se: Tum chahe jo bhi karo. Par jis din yeh mujhe mila bahot peetega. Aur tum chinta mat karo. Main aajse hi lag jaata hu isse dhundhne mein.


Soniya: Thik hai. Phir call cut hojataa hai.
Jabardast update 🔥 👍🏻

Ab to Aryan ke ghar waalo ko bhi pta chal gya hai ki Aryan Delhi me hai
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 44
Aap Delhi aagye aur apni gudiya se bhi nhi milne aaye kya aap mujhse bhi naraaz hai. But maine toh aapko kuch bhi nahi bola thaa. Aur aapse baat bhi karti thi. Aur aapne shaadi bhi karli. Iski saza toh aapko milegi. Jab aap milenge naa tab main aapse bilkul baat nhi karungi. Aur bhabhiyon ko apne paas hi rakhlungi. Waise meri bhabhiyan bahot sundar hai. Aur kya naam bataya tha. Haa Meera aur Ritika. Meri Meera bhabhi aur Ritika bhabhi

Phir Soniya unteeno ki photo apne saath lekar so jaati hai.

Udher Aryan Ritika aur Meera mall se nikal kar ghar aajate hai. Aryan waha se sidha gym mein chala jaata hai apna gussa utarne. Bunglow ke ek kamre mein gym ka samaan bhi tha.

Aryan waha pe sand bag mein punches maarne lagta hai.

Par uska gussa kam nhi hota. Isiliye usne puri taqat se sand bag mein punch maara. Jisse sand bag phatt gaya.

Sand bag phatne ki awaaz sunke Meera aur Ritika daud ke waha aati hai. Woh dekhti hai Aryan abhi bhi gusse mein hai. Woh sidha jaake uske gale lag jaati hai.

Meera aur Ritika ke gale lagte hi usse hosh aata hai usne kya abhi kya kiya. Toh woh bolta hai.

Aryan: Sorry. Par usse dekhte hi mujhe gussa aagyaa. Woh saari baatein ek film ki tarah meri aankho ke saamne ghumne lagi.

Meera: Main jaanti hu. But please shant hojao. Aur baat ko samjho. Ab humhe yaha pata nhi kab tak rehna hai. Hum jab bhi bahar niklenge tab koi na koi tumhe dikh hi jayega.

Ritika: Isiliye tumhe apne gusse ko control karna hogaa. Warna jitni baar tum unhe dekhoge utni baar tumhe gussa aayega. Aur hosakta hai tum gusse mein kuch aisa kardo jo thik nhi. Hosakta hai jiske liye hum yaha aaye hai woh thik se naa ho.

Aryan: Tum thik keh rahi ho. Ab main apne gusse ko control mein rakhungaa.

Meera: Good boy.

Aryan: Tumdono mujhse ek wada karo. Agar kabhi unlogo ne mujhe pehchan liya. Toh woh tumhe bhi jaan lenge. Aur hosakta hai tumhe mujhe lekar Blackmail kare. Toh tumdono unse kisi bhi tarah ki baate yaa humdardi nhi jataogi. Kyoki tumhara dil naram hai. Woh shayad tumhe hi apna chara banaye. Tumdono sirf gudiya se hi baate karogi. Aur kisi se bhi nhi.

Meera: Thik hai hum promise karte hai. Jab tak tum nhi kahoge hum unme se kisi se kisi bhi tarah ka koi bhi rishta nhi rakhenge. Aur naahi unse baat karenge. Sivaay gudiya ke.

Aryan: Chalo ab so jaate hai kal humhe PM office jaana hai unse milne. Woh uss bomb blast wale case se bahot khush hai isiliye kal humsab se milna chahte hai.

Meera: Yeh toh bahot achhi baat hai.

Phir Meera Ritika aur Aryan sone chale jaate hai.

Meera aur Ritika toh Aryan se lipat kar sogayi thi. Par Aryan ki aankho mein neend nhi thi. Aaj itne saal baad usse wapas wohi sab yaad aaraha tha jab uspe jabardasti karne ka jhootha ilzaam laga tha. Aur uski family ne uspe bharosa naa kar uss jhoothi ladki par bharosa kiya thaa aur Aryan se ek apradhi se bhi bhatar saluk kiya thaa.

ARYAN'S FLASHBACK


Jab Kulpandit ne Aryan ka naam karan kiya tha tab uski kundli banate waqt unke chehre ke bhao badale thee. Jisse dekh kar Aryan ke dada ji ne unhe akele mein pucha tha kya baat hai. Tab Kulpandit ne bola thaa.

Kulpandit: Dekhiye aapke pote ka bhavisya bahot hi ujwal hai. Woh bahot hi bhagyashaali hogaa. Woh harchiz mein pratham hoga. Parantu.

[ Relations Aryan ke respect mein ]

Dadaji: Parantu kya Pandit ji.

Kulpandit: Parantu jab yeh 17 varsh ka hogaa. Tab iske jeevan mein aneko dukh aur kast aayenge. Isse atyant hi pidha sehani hogi. Iske parivaar wale bhi iske virudh hojayenge. Isse nafrat karenge. Par aap iska saath kabhi mat choriyega. Humesha iska sahyog kariyegaa. Chahe kuch bhi hojaaye koi iske baare mein kuch bhi kahe par aap ispe hi vishwaas kijiyega.

Dadaji: Parantu aisa kya hogaa.

Kulpandit: Aisa kya hoga yeh toh main nhi jaanta. Par aisa hoga jarur. Aur iske 18 varsh pe mrityu yog hai.

Dadaji: Kyaaaa. Aisa nhi hogaa. Iska koi toh upay hoga.

Kulpandit: Iska koi upay nhi hai. Yeh iske bhagya mein likha hua hai. Agar yeh uss mrityu se bach gaya tab iska jeevan mein koi mrityu yog nhi hai. Uske baad iski umra bahot lambi hogi aur jeevan ujwal hoga.

Iski jeevan sanginiyan isse atyadhik prem karegi. Inka dampatya jeevan bahot hi kalyan may hogaa. Aur jaise maine pahle bhi kaha thaa yeh jisse bhi mohobbat karega usse toot ke mohabbat karegaa par jisse nafrat karega woh iski nafrat aasani se nhi hata payegaa. Chahe woh iska kitna bhi priy kyo naa ho.

Dadaji: Sanginiyann.

Kulpandit: Haaa iske bhagya mein 2 vivah ka yog hai. Aur dono sanginiyan hi isse atyadhik prem karegi inn teeno ke jeevan mein kabhi koi bhadha nhi aayegi.

Dadaji: Main aur mera parivaar isko humesha apne paas hi rakhenge iske saath aisa kuch nhi karenge.

Kulpandit: Nhi aap aisa nhi karenge. Yeh aapke parivaar ki niyati hai. Unhe yeh sehna hi padegaa. Aur isse unhe ek sikh bhi milegi. Agar apno par bharosa naa kar kisi anya par bharosa karenge toh uska kya parinaam hogaa. Aur aapke parivaar mein ek buri prakriti ka vyakti bhi rehta hai jiska nash aapka pota hi karega. Par uska nash karne ke pahle yeh usse aneko awasar degaa. Agar usne uss awasar ka uchit upyog kiya toh uska nash nhi hoga. Warna uska nash nischit hai. Aur woh vyakti kaun hai yeh main nhi bataunga.

Kulpandit: Ji jaisa aap kahe.

Phir kulpandit waha se chale jaate hai.

Dadaji ko toh unhone tension mein daal diya thaa.

Kuch dino baad dadaji apne lawyer se milte hai aur unke naam pe jo property thi woh Aryan ke naam karne ko bolte hai. Kyoki unhone apna business aur baaki property apne dono beto ke naam pe karke ek galti kardi thi. Isikiye unke naam pe jo property thi woh unhone Aryan ke naam kardi thi. Taaki agar uske 17 varsh ke pahle hi unhe kuch hojaaye toh Aryan ko koi problem naa ho.


Idhar Aryan dheere dheere bada horaha thaa aur sabka ladla banta jaaraha thaa. Neha toh usse ek pal ke liye bhi akela nhi chorti. Rashmi toh uske bina ek pal nhi reh sakti thi. Matlab ab pure ghar ka main attension Aryan hi hogya thaa.

Ankit jo thoda bada thaa. Usse lagta tha Aryan ke aane se sab usse bhul gaye hai. Koi usse ab pyaar nhi karta. Sab Aryan ko hi pyaar karte hai. Neha bhi uske paas nhi aati woh bhi harwaqat Aryan ke paas hi rehti hai.

Yehi chiz se Ankit ke man mein Aryan ko leke ek tarah se nafrat paida hogyi thi.

Aryan thoda aur bada hogya tha. Ab woh chalne aur bolne laga thaa.

Aaj Neha ke school ka first day thaa. Aur woh ro rahi thi. School jaane ke darr se nhi Aryan se itni derr durr rahne ki wajah se.

Neha: Mujhe school nhi jaana. Agar main school chali gayi toh mere bhai ka dhayan kaun rakhega. Uske saath khelega kaun. Aur agar usse kuch hogya yaa usse koi le gaya toh. Nhi main school nhi jaungi main apne bhai ke saath hi rahungi.

Rashmi: Neha tumhara bhai ghar mein hi rahegaa aur usse koi kahi nhi le jayegaa aur humlog hai naa humlog uska dhyaan rakhenge aur uske saath khelenge bhi. Usko koi takleef nhi hogi. Aur tum toh abhi thodi der mein aajaogi. Phir toh tumhara bhai tumhare paas hi rahegaa.

Thodi der samjhane ke baad Neha maan toh jaati hai. But beman se hi school jaati hai. Aur school ki chutti hote hi jaldi jaldi ghar aake sidha Aryan ke paas aur agle din school jaane tak uske paas hi thi.

Ab yehi ban gaya tha Neha ka roj ka routine.

Ek din jab Neha school se ghar aayi tab Aryan ghar pe nhi tha yeh dekh woh rone lagti hai.

Rashmi aur Meenakshi hairaan hojaate hai ke aakhir yeh achanak rone kyo lagi.

Rashmi: Kya hua beta tum ro kyo rahi ho. School mein kisi ne kuch kaha kya.

Neha: Mere bhai ko koi le gaya. Woh ghar pe nhi hai. Yeh keh ke aur jor se rone lagti hai.

Meenakshi: Aree Aryan ko tumhare dadaji mandir le gaye hai.

Yeh sunke Neha chup hoti hai.

Phir jab tak Aryan nhi aajata Neha kuch bhi nhi khaati.

Jaise hi Aryan aata hai toh Neha daud ke jaati hai aur uske gale lag ke rone lagti hai.

Neha: Bhai tu kaha chala gaya thaa. Pata mujhe kitni tension hogyi thi.

Aryan: Didi mein toh Dadaji ke saath ghumne gaya thaa.

Neha: Mujhe laga tujhe koi le gaya.

Aryan: Mujhe kaun le jayegaa.

Neha: Aree woh hote hai naa bad uncle. Wohlog.

Phir yeh log khaane khaate hai.

Ussdin ke baad se agar Aryan ko koi kahi legaya hai toh usse Neha ke school se aane pahle wapas aana hogaa.
Phir kuch time baad Aryan bhi school jaane lagta hai. Dono bhai behan saath school jaate. Ankit bhi inke saath hi thaa. Par yeh dono aapas mein hi rehte. Isse Ankit ki nafrat aur badh jaati hai.

Time bitne laga idher Meenakshi ne bhi 2 bachho ko janam diya. Raj aur Soniya.

Ankit ko laga ab yehlog uske saath rahenge. But woh galat saabit hua.

Raj thoda bewakoof sa thaa. Usko jo jaisa bolta woh waisa hi karta. Apna dimaag bilkul use nhi karta.

Soniya woh toh jaise Aryan ki jaan ban gayi thi. Agar kisi ne usko kuch bol diya. Toh Aryan usse baat tak nhi kartaa.

Aise hi ek din Neha ne Soniya ko thoda daant diya thaa. Toh Aryan ne pure 2 din Neha se baat nhi ki. Jisse Neha ki tabiyat bigad gayi.

Aur same aisa Soniya ka bhi thaa agar kisi ne Aryan ko kuch boldiya toh woh usse baat nhi karti.

Yeh dono ek saath hi sote. Soniya ne Aryan ke kamre ko hi apna kamra bana liya thaa.

Isiliye inndono ko pure ghar mein koi kuch nhi bolta thaa.

Aryan ab class 9 mein tha. Tab uske class mein ek nayi ladki ne addmission liya.

Aryan toh usse dekhta hi reh gaya. Uska naam Sheetal thaa.

Aryan usse muh khole dekh raha thaa. Yeh dekh Aryan ke bagal mein baitha ladka usse bolta.

Ladka: Aryan muh band karle warna makkhi ghus jayegi.

Aryan: Rishi yeh ladki kitni khubsoorat hai.


Rishi Mishra- Yeh Aryan ka best friend hai. Yeh log bachpan se saath hai. Yeh Aryan ke bhai jaisa hai. Iske papa ki jewellery ki showroom hai. Isiliye paise ki kami nhi hai. Inndono ka ek dusre ke ghar aana jaana laga hi rehta hai.

Rishi: Aree usse tadna band kar. Woh dekh teacher tujhe hi taad raha hai.

Yeh sunn Aryan usko taadna band kar deta hai. Par phir bhi chup chup ke usko dekh hi raha hai.

Recess mein Aryan apne khayalo mein hi khoya hua tha.

Neha Aryan ko hila ke.

Neha: Bhai kaha khoya hua hai. Kab se tujhe bula rahi hu.

Rishi: Class mein khoya hua hogaa.

Neha: Class mein kyo.

Aryan Rishi ko gusse se ghurta hai.

Aryan: Nhi di woh kya hai naa next period mein Ma'am oral lene wali hai naa toh usi ke baare mein soch raha thaa.

Rishi: Haa kuch jyaada hi khubsoorat topic ka oral hai.

Neha: Khubsoorat topic. Matlab.

Aryan phir se gusse se ghurta hai toh Rishi usko dekh kar muskura deta hai.

Aryan: Haa di woh kya hai naa chapter mein jo poem hai woh bahot hi khubsoorat hai. .

Neha: Oo Achhaa.
Tabhi recess khatam hone ka bell bajta hai.

Neha apni class mein chali jaati hai. Aryan Rishi ko gusse ghurta hue bola.

Aryan: Di ke saamne kya bol raha tha.

Rishi: Main kya bol raha thaa.

Aryan: Abhi batata hu. Yeh bol woh Rishi ko maarne ke liye uthta hai toh Rishi waha se bhag ke sidha class mein chala jaata hai.

Aryan jab class mein aata hai toh Rishi usko dekh kar muskura raha thaa. Phir class start hoti hai. Aryan ka dhyaan padhai ki jagah Sheetal pe thaa.


Phir school ka time over hojaata hai. Aryan ghar aata hai woh sidha apne room mein chala jaati hai. Waha pe jaake woh Sheetal ke khayalo mein kho jaata hai.
Awesome update
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,654
14,344
144
Update 45
Aise hi din gujarne lage. Aryan roj school jaata aur Sheetal ko dekhte rehta. Ek din Aryan school nhi jaa paata.

Ussdin Ma'am ne assignment submit karne ke liye 1 hafte baad ka time diya. Jo unhone ne kuch din pahle hi diya tha. Sheetal ko assignment mein thoda problem thaa toh ma'am ne usse Aryan se help lene ke liye kaha kyoki woh Class Topper thaa.

Agle din Aryan jab school aata hai. Tab Sheetal uske paas aake usse apni problem batati hai. Aryan yeh golden chance kaise miss karta. Isse toh usse Sheetal ke paas rehne ka mauka mil gaya tha. Isiliye usne fauran haa kardi.

Aryan Rishi ko yeh baat batata hai. Toh Rishi usse bolta hai hai teri toh kismat khul gayi laga reh.

Phir Aryan Sheetal ki assignment mein madad karta hai. Jisse Sheetal ka assignment time pe pura hogya.
Sheetal Aryan ko Thanks bolti hai.

Isi tarah inki dosti hogyi.

Time guzarta jaata hai. Ab Ankit ki nafrat bolo ya jealousy Aryan ke liye jyaada badh gayi thi. Woh harwaqat Aryan ko neecha dikhane lagta usse dhang se baat bhi nhi karta.

Ankit aur Sheetal ki najdikiya bhi badh rahi thi. Ab woh log class mein ek saath baithte. Rishi ko isse koi objection nhi thaa woh apne dost ke liye khush thaa.

Aryan ne Neha ko bhi Sheetal se milaya thaa.
Neha ko bhi Sheetal achhi lagi. Ab Sheetal bhi Aryan ke ghar aane jaane lagi thi.

Aryan ne sabse chupa ke Sheetal ko ek mobile gift kiya thaa baat karne ke liye.

Jisse ab woh din raat baat karte rehte.

Ab Aryan ka 10th ka exam thaa. Jisme usne bahot mehnat ki thi.

Sheetal aur Aryan ab committed the yeh baat Neha aur Rishi bhi jaante thee.

Aryan ne 10th mein pure state mein top kiya thaa. Jiske wajah se Vikram ne ek party rakhi thi. Jisme Vikram ke office ke employees bhi aaye thee.

Sheetal bhi apni family ke saath aayi thi. Jaha pata chala Sheetal ke papa Vikram ki company mein manager the.

Sheetal aur Aryan ka pyaar aur badh raha tha. Dekhte dekhte Aryan ka 17th birthday aajata hai. Isme sabkoi khush the sivaay ek ke. Woh the dadaji. Unko Kulpandit ki baat ka tension tha.

Sheetal Khanna- Yeh bahot hi chalu ladki hai. Yeh kisi ki kamzori ka faiyda utha kar usse kaam nikalwati hai. Matlab sidhe tarike usse use karti hai. Iske papa Vikram ki company mein as a Manager hai. Inko nhi pata inki ladki kitni chalu hai. Woh samajte hai unki ladki bahot hi shareef aur bholi hai.

Aaj Aryan ka 17th birthday thaa. Raat ko toh Soniya Aryan ke saath hi soti thi. Isiliye usne thik raat ke 12 baje usse wish kiya. Neha bhi 12 baje usse wish karne aajati hai. Dad,Maa,Chachi bhi aate hai. Chacha bahar gaye hue the isiliye woh nhi aaye. Raj bhi aata hai. Par Ankit nhi aata kyoki usse koi matlab hi nhi thaa. Aryan ko thoda bura lagta hai. But iski ab usse aadat hogyi thi. Dadaji dawai lekar jaldi sojaate thee isiliye woh nhi aaye.

Subah sab koi wapas Aryan ko wish karte hai aur party ki taiyaariyan start karte hai. Rishi ko urgently apne kisi relative ke yaha jaana thaa isiliye woh party mein toh nhi aasakta thaa. But usne subah subah hi Aryan ko wish kardiya tha. Sheetal ka bhi call aaya thaa. Dadaji bhi usse wish karte hai. But woh bahot tension mein the. Aryan puchta bhi hai but woh baat ko taal jaate hai.

Sham ko party start hui. Saare guest aachuke the. Dadaji ki nazar sirf Aryan par thi. Cake cut hota hai. Aryan sabse pahle Soniya ko khilata hai phir Neha ko phir ek ek karke sabko khilata hai. Par jab woh Ankit ke paas jaata hai toh Ankit waha se nikal jaata hai. Isse Aryan ko bahot bura lagta hai. Uska mood bhi off hochuka thaa. Par usne yeh baat zahir nhi hone di.

Phir sab party enjoy karte hai. Sheetal waha kahi nhi dikh rahi thi. Toh Aryan Sheetal ki friend se puchta hai ke woh kaha hai. Toh uski friend usse woh direction dikha deti hai.

Toh Aryan jab waha jaata hai tab Sheetal waha kisi aur ke saath khadi thi. Yeh dekh ke Aryan ko kuch ajeeb nhi lagta. Par jab woh unke thoda aur paas jaata hai. Toh dekhta hai Sheetal kisi aur ke gale lagi hui thi. Yeh dekh kar Aryan ki aankho se aansu nikalne lagta hai. Woh abhi jaake puchna chahta tha yeh kya horaha hai. Par jaise hi woh aage badhta hai toh unki awaaz aati hai

Sheetal: Kitne din hogye tumse mile Rajesh.

Rajesh: Kya karu yaar. Aajkal toh har waqt woh Aryan tumhare saath hi rehta hai. Agar uske saamne aaunga toh shayad usko shakk hojaaye tum mujhse pyaar karti ho usse nhi. Waise kaisa chal raha hai tumlogo ka pyaar.

Sheetal: Kaisa pyaar. Main toh uske saath sirf apne faiydo ke liye hu. Usse apna assignments karwati hu. Usse apne saare kaam nikalwati hu. Aur yeh dekho uss bewakoof ne apne paiso se mere liye yeh mobile liya hai. Jisse main tumse baat karti hu. Woh toh bas mere liye ek chalta phirta ATM hai. Jab bhi bolo paise hazir.

Rajesh: Kamaal hai.

Tabhi Rajesh ki nazar Aryan pe jaati hai. Toh woh darr jaata hai.

Rajesh: Aryan tu yaha.

Sheetal pichhe mud ke dekhti hai toh uske pairon tale zameen khisak jaati hai.

Sheetal: Aryan tummmm.

Aryan: Nhi nhi chalta phirta ATM.

Yeh sunke Sheetal samaj jaati hai Aryan ne sab sunn liya hai.

Aryan ko bahot gussa aaya hua thaa woh sidhe jaake Rajesh ko marne lagta hai. Rajesh ko kuch karne ka mauka hi nhi milta. Woh jaise bhi karke waha se bhag jaata hai.

Rajesh waha se bhag ke sidha Aryan ke parents ke paas aata hai. Aur unse jhooth bolta hai ke Aryan Sheetal ke saath jabardasti kar raha hai. Aur jab usne rokhne ki koshish ki toh usse maar ke bhaga diya.

Rashmi: Yeh kya bol rahe ho mera beta aisa bilkul nhi karsakta.

Neha: Haa mera bhai aisa nhi kar sakta. Aree woh toh Sheetal se pyaar bhi karta hai.

Rajesh: Mujhe kya milega jhoot bolke. Yeh dekhiye usne mujhe maara bhi hai. Agar aapko vishwaas nhi toh main le chalta hu aaplogo ko waha.

Phir Aryan ki puri family waha uske saath chal dete hai.

Idher Aryan Sheetal se

Aryan: Kyo kiya tumne aisa. Kya kami reh gayi thi mere pyaar mein.

Sheetal: Aryan suno toh.

Aryan: Chup bilkul chup. Phir woh uske dono kandho ko pakad ke. Paisa chahiye naa kitna paisa chahiye bolo main dunga. Tumhe toh paise se matlab hai naa.

Sheetal: Aryan choro mujhe lag raha hai.

Yeh Aryan yeh bolta hai tabhi waha uska parivaar aajata hai. Aur yeh yeh baat sun leta hai.

Vikram jaake Aryan ko ek thappad lagata hai.

Sheetal itne saare logo ko dekh ke darr jaati hai. Isiliye woh bhi jhoot boldeti hai.

Sheetal: Achha hua aaplog aagye. Yeh mere saath jabardasti karne ki koshish kar raha thaa aur jab main nhi maani toh mujhe paise offer karne laga.

Yeh sab sunke sabke aankhe badi hojaati hai. Neha aur Rashmi ke aankho mein toh aansu aajate hai.

Vikram: Yehi din dekhne ke liye. Tujhe janam diya tha. Isse toh achha hota tu janam lete hi mar jaata. Mera maan samaan sabkuch tune mitti mein mila diya.

Aryan: Nhi papa yeh jhoot bol rahi hai. Maine aisa kuch bhi nhi kiyaa.

Vikram yeh sunn ek aur thappad usse laga deta hai.

Aryan Rashmi ke paas jaake.

Aryan: Maa tum toh meri baat ka vishwaas karo. Maine aisa kuch nhi kiyaa. Yeh jhoot bol rahi hai. Main bekasoor hu.

Rashmi bhi usse ek thappad laga deti hai.

Rashmi: Tu mera beta nhi hai. Marr gaya hai aajse tu mere liye. Khabardaar jo tune mujhe maa kaha toh.

Aryan Neha ke paas jaake. Di aap toh meri baat ka vishwaas kijiye aap toh jaanti hai naa aapka bhai aisa nhi kar sakta. Maine kuch nhi kiya.

Neha: Ek thappad maar kar. Khabardaar jo tune mujhe di kaha. Ek hawas ka pujaari mera bhai nhi hosakta. Tera mera koi rishta nhi hai.

Aryan yeh sunke wahi baith jaata hai. Usme jaise ab jaan hi nhi bachhi thi. Uski di jo usko sabse jyaada pyaar karti thi. Uss ne uspe vishwaas nhi kiyaa.

Aryan: Mera vishwaas karo. Maine aisa kuch nhi kiyaa. Main nirdosh hu. Yeh jhoot bol rahi hai.

Yeh sab sunn Ankit ko bhi ek chance mil gaya thaa

Isiliye woh bhi aake Aryan ko maarne lagta hai. Woh toh apni nafrat bhi mita raha tha.

Supriya: Yehi hai naa woh jiske gungaan aaplog din raat gaate rehte the. Yeh itna neech niklega chii. Isse toh mujhe bhatija kehte hue bhi sharm aati hai. Achha hua Shivam aur Dipali iske saath nhi hai. Aur iska kya pata kalko Dipali pe bhi apni gandi nazar rakhde.

Tabhi dadaji aake rokhte hai. Bas bahot hogaya. Band karo warna mujhse bura koi nhi hoga.

Vikram: Papa aap aaj kuch mat boliye. Isne aaj humara itni mehnat se kamayi izaat ko mitti mein mila diya.

Rashmi aur Neha toh Sheetal se maafi maangne lagti hai. Jo jhoote aansu baha rahi thi. Rajesh bhi wahi khada yeh sab dekh kar khush horaha thaa.

Phir sablog waha se chale jaate hai. Aryan abhi bhi waha baithe ro raha thaa. Dadaji uske paas aake usse utha ke le jaate hai.

Sabke waha se chale jaane ke baad Rajesh Sheetal ke paas aata hai.

Rajesh: Kya baat hai meri jaan kya acting ki hai tunee. Ek pal ke liye toh mujhe bhi sach lag raha tha.

Sheetal: Kya karu yaar itne logo ko dekh kar main darr gayi thi. Toh jo man mein aaya bol diya. Par tum innsab ko yaha kaise laaye.

Rajesh: Aree maine boldiya woh tere saath jabardasti karne ki koshish kar raha hai aur maine rokhna chaha toh mujhe maara bhi. Aur woh bewakoof log apne bete pe bharosa hi nhi kiya aur usse hi galat samjhaa.

Sheetal: Chalo jo hua achha hua. Hum toh bach gaye aur kya chahiye. Par mera ATM humesha ke liye expire hogya.

Rajesh: Haa yeh bura hua. Ab chal yaha se kisine dekh liya toh garbar hojayegi.

Sheetal: Haa chalo.

Rashmi: Rukh jaaiye papa yeh ab yaha nhi rahegaa.

Dadaji: Yeh mera ghar hai. Aur jab tak main zinda hu yeh yahi rahega. Aur yeh mera order hai.

Dadaji ke order ke aage kisine kuch nhi bola.
Phir woh usse leke uske room mein leke jaane lagte hai. Toh Soniya bhi uske pichhe pichhe jaane lagti hai.

Meenakshi: Rukh jao Soniya. Tum waha nhi jaogi.

Soniya: Main apne bhaiya ke saath rahungi.

Rashmi: Kaha naa ekbaar tum uske saath nhi jaogi aur naahi usse baat karogi.

Soniya: Par....

Aryan: Tum apne kamre mein jao gudiya.

Soniya: Main nhi jaungi.

Aryan: Maine kaha naa. Kya apne bhaiya ki baat nhi manogi.

Soniya kuch nhi bolti chup chap apne kamre mein chali jaati hai.

Aryan bhi apne kamre mein chala jaata hai.

Dadaji: Kya hua ab bata.

Aryan: Maine kuch nhi kiya dadaji woh jhoot bol rahi hai.

Dadaji: Mujhe pata hai tune kuch nahi kiya. Par waha par hua kya thaa woh bata.

Phir Aryan unko sab kuch bata deta hai.

Dadaji: Main abhi jaake sabko sach batata hu.

Aryan: Rehne dijiye dadaji. Jab kisi ko mujhpar vishwaas hi nhi hai toh woh aap par bhi vishwaas nhi karenge.

Dadaji: Par....

Aryan: Please dadaji.

Phir woh bhi kuch nhi bolte.

Phir Aryan ko sone ka bol woh apne kamre mein aajate hai.

Dadaji: Shayad Kulpandit ne issi ghatna ke baare mein bataya thaa. Ab kaise sab thik hoga. Aryan ne bhi mujhe mana kardiya hai kisi ko kuch bhi batane se.


Idher Aryan ki aankho se abhi bhi aansu beh rahe thee. Uski aankho se neend hi udd chuki thi. Pahle uske pyaar ne dhoka diya phir uske family ne bhi uspe bharosa nhi kiya. Woh yehi sab soch ke ro raha tha.
Jabardast update 🔥 👍🏻
Kul pandit ji ne pahle se hi aaryan ke dada ji ko bata diya tha aaryan ke baare me
 
Top