shabjaila
Member
- 396
- 1,014
- 138
bestUpdate no 11
hi fresh hokar uss waqt woh apne aap ko bilkul halka mehsus kar raha tha jis parkar se uss ne apne aap ko dhyan me leen kar liya tha iss se toh lag raha tha jaise woh bahut saal se yeh kar rhaa ho
Abhi usse dhyan lagte huye 30 mint huye the ke uske aakho ke samne Anjali ke sath inn kuch dinno me guzare haseen palo ki chavi dikhne lagti hai
Thodi der hi usse unn haseen palo me uske mummy papa bhi aa jate hai thodi der me uske sapne me Suman bhi aa jati aur uske sath aata hai uske bhai ki kadvi yaade
20 mint tak woh inn sab se dhyan hatane ki khosis karta hai par safal naa hone par woh apni aakhe khol leta hai
Yash:-(khud me) aakhir mere sath yeh kya ho raha hai main dhyan kyo nhi laga paa raha ho pehle toh aisa nhi ho raha tha
Yash:-par sab kitna acha tha didi suman mummy papa par bhaiya aakhir kya mila unhe yeh sab kar ke main kitna tarsa tha inn se milne ke liye par aaya toh kitna door ho gya tha maa toh ek maa hoti hai woh toh apne se jude anas ko marne ke baad bhi sayad hi bhool paye par didi dubra diya gya woh pyar kya main uss kabil tha bhi maine toh ek baar unse haal bhi naa pocha tha suman uski narajgi toh maine kabhi dekhi nhi.... Kash ke yeh sab mujhe nhi hota kash main bhi inke sath ladta hasta par inke sath hota
Suman:-kya hua bhaiya......
Yash apne aap me khoya hua tha ke tabhi usse suman ki awaj aati hai
Yash:-tum kab aayi suman kuch nhi bas aise hi dhyan laga raha tha
Suman:-acha toh apke handsome hone ka raj yeh hai achi baat hai par jab main aayi toh aap kuch apne aap se hi baate kar rahe the
Yash:-bas aise hi dhyan lagte lagte tum sab ka pyar yaad aane laga tab socha main iss kabil ho ke nhi
Suman:-aap nhi ho toh kon kabil hai iss pyar ke bhaiya janti ho aap itne din door rahe iske liye khud ko dhosi maan rahe ho par kya woh sach hai
Yash:-haa sayad...
Suman:-nhi bilkul nhi woh bilkul sach nhi tha aisa hota toh aap karte hi nhi aap sirf 11 saal ke the ek 11 saal ka ladka bhi uss waqt apne priwar ka hi soch door hua khud se nhi hua
Anjali:-sahi kaha Suman tumne aur tu bewkuf yeh sab kya sochne laga batye gaa subh subh aur koi kaam nhi hai tujhe kya.... Ek din tu itna mar khaye gaa ke keh deti ho
Yash:-(bighi aakho se) thanku itna pyar dene ke liye
Suman:-bhaiya aap bahut emotional ho chliye ab yeh baatiye doctor ke pass kab jana hai
Anjali:-itni subh tujhe yeh pochna hai
Suman:-didi woh kya ke main tyar hogi fir uske baad bhai ke sath ghumne bhi jana hai iss liye time par hi jaye gye
Anjali:-achaa teek hai aur tu bhai jara zoya ko call kar lena tera phone laga nhi tha
Suman:-usse bhaiya se kya kaam
Anjali:-pasand karti hai woh yash ko samjhi bewkuf
Suman:-woh toh kitni badi hai caste bhi dusra hai
Anjali:-bas milne ko kaha hai shadi karne ko nhi aur yeh mile gaa toh acha hoga dost toh pehle bhi nhi hai iske
Suman iss par kuch nhi bolti par uske reaction se saaf tha ke usse yash ka yu zoya se milna acha nhi laga par woh chup hi rehti hai
Yash:-kya didi aap bhi naa mere friends hai aap dono ho naa... Aur Suman ham 10 baje ke baad gye toh woh clinic me hoge jaha main nhi jata toh ham breakfast kar ke 8 baje nikl lenge
Anjali:-teek hai mujhe bhi kisi se milne jana hai
Yash:-apne uss bf se kya didi meri tarf se sorry keh dena
Suman:-(hairani se) apka bf hai didi apne batya nhi
Anjali:-Tu maar khaye gaa yash maine bola tha naa woh ex hai mera ab hamre bich kuch nhi hai main apni sehli ke yaha jaa rahi ho
Yash:-acha sorry didi aage se nhi bolta
Anjali aur Suman niche chli jati hai yash bhi tyar hone lagta hai thodi der baad niche aata hai toh sab niche hi the
Papa:-beta ham soch rahe hai jatin ki shadi kar de ladki maine dekhi huyi hai tum kya kehte ho jatin
Jatin:-jee papa jaisa apko teek lage
Mummy:-kya hua tum kal se preshan aur ekle reh rahe ho koi baat hai kya pehle toh aise nhi the
Jatin:-aisa kuch nhi hai mummy bas aise hi naya business ke bare soch raha tha chle gaa ya nhi main sambhal pao ga ke nhi
Papa:-sab ho jaye gaa aaj saam ladki wale aaye gye toh sab ghar par hee rehna aur tum teeno tyar ho kaha jaa rahe ho
Anjali:-papa apni sehli se milne jaa rahi ho papa
Papa:-aur tum dono
Yash:-papa chandigarh ghumne jaa rahe hai
Mummy:-achi baat hai ghoom aao par saam se pehle aa jana ladki wale aa rahe hai toh tyari karni hogi
Yash:-jee mummy
Jatin:-yash aur Suman kya tum dono mere sath mere room me chlo gye mujhe kuch jaruri baat karni hai plss
Papa:-chote bhai behan hai koi pls kehta hai chle jaye gye pehle khana khao
Jatin ka iss tarh room me bulana sabke samne dono ke liye shocking tha anjali ke liye bhi par ab woh mummy papa ko kuch pata nhi lagne dena chahte the iss liye chup hi rahe
Sab mil kar breakfast karte hai uske baad mahesh apne shop chala jata hai rupali bhi apne kitchen chl deti hai wahi yash aur Suman jatin ko dekhte hai
Jatin:-plss
Yash:-chlo Suman main ho naa
Anjali:-main bhi aao gyi aur mujhe sab pata hai
Jatin jab yeh sunta hai uske toh pairo tale jameen hi nikl jati hai par ab woh aur baat ko gharab nhi karna chahta tha jaise iss liye woh haa kar deta hai teeno jatin ke room me the
Room me aate hi jatin jhat se Suman ke kadamo me gir jaata hai
Jatin:-plss Suman plss mujhe maaf kardo main tumhre pair pakdta ho janta hu maine jo paap kiya hai woh mafi ke kabil nhi hai par apne iss bhai ko ek baar maaf kar do
Anjali:-itna karne ke baad bhaiya ek bhai hokar kaise kiya bhaiya
Jatin:-main behak gya tha anjali samjh nhi aaya main kya kar raha ho hawas me andha ho gya tha
Yash:-toh ab apki aakhe khul gyi
Jatin:-tum ki narjgi mujhse bardast nhi hoti
Suman:-(gusse me) door hatiye mujhse apko kya laga yeh sab karne ke baad koi apko medals dega
Jatin:-main apni galti se bhag nhi raha par bas maaf kar do mujhse yeh sab vardast nhi ho raha Anjali tum mujhe janti ho naa
Anjali;-haa tabhi toh yakeen nhi hua aap ne aisa kaise kiya
Jatin:-suman tumne mujhe sabse jada pyar kiya hai ek galti maaf kar de naa apne iss bhai ki
Suman:-woh galti nhi thi mera viswas tha aap par jo apne toda
Jatin:-yash Tu toh janta hoga kaisa lagta hai ekle rehna 6 saal Tu ekla tha main nhi samjha tumhe ulta tumhe kya kya nhi bola yash maine galat Suman ke sath bas ek baar milna mujhse ek baar rakhi wale din... Papa shadi ki baat kar rahe hai main shadi kar ke dusra ghar lekar raho gaa kisi ke pass nhi jao gaa vada karta hooo yash par plss meri galti ke liye ek baar mafi dila do main bikh mangta ho plss
Anjali aur Suman ek dusre ko dekh rahe the yash sirf jatin ko dekh raha tha jo zameen par pada gidgidaa raha tha aakho se lagatar aasu gir rahe the
Yash:-yeh hawas chiz hai aisi hoti hai bhaiya samjh hi nhi aata aap kya kar rahe ho asli baat jante ho bhaiya hame yeh nhi pata hota kyo kar rahe hai.... Aap ne hawas me ek behan ki apse umid tod di bhaiya.... Ek pavitra dhage ka mol tod diya apne
Jatin:-janta ho bhai janta ho yeh ehsaas mujhe har pal har second ho raha hai
Anjali:-toh kyo kiya aisa
Jatin:-apni kismat ko kharab karne ke liye apni hi nazro me gir jane ke liye... Jo pyar karte hai unki nafrat pane ke liye.... Yahi sab toh mila kar ke mujhe Anjali
Yash aur Anjali Suman apas me dekhte hai kya kare yash aur Anjali dono apas me dekh koi faisla karte hai
Yash:-Suman yeh sab tum dekho yeh tumhra dhosi tha tum jo kaho gyi wahi hoga main aur didi sath hai tumhre
Jatin bighi aakho ke sath suman ko dekhta hai jaise uski saase Suman ke labzo me atki ho
Suman:-bhaiya main kya kaho
Yash:-jo mehsus karti ho
Suman aakhe band kar ke ek baar sab kuch soch aakhe kholti hai
Suman:-dil nhi karta apko maaf karo par main apko maaf karo gyi aap jaise bhi the mere bhai the aur ek behan ke liye uska bhai raja ke saman hota hai jiski ghar galti par koi parda dale ya maaf kare ya naa kare duniya sath de ya naa de par ek behan hamesa deti hai main apko maaf iss liye kar raho ke maine apne iss bhai ke kalai par 17 saal rakhi bandhi hai...sayad ab woh ristha woh pyar naa rahe hamre bich bhaiya sayad main apko woh samaan naa de pao par main maaf karti ho apki galtiyo ko
Jatin apne sar ko Suman ke kadmo me rakh deta hai apne aasuo se uske pair dhone lagta hai
Jatin:-tum mahan ho Suman jo meri aisi gatli ko maaf kar payi janta ho ab pehle jaisa kuch nhi ho sakta main karna bhi nhi chahta kyoki main tumhri pyar ke kabil ho hi nhi Suman par main tum teeno ki nafrat liye dekh ke maar bhi nhi sakta tha ab jab tum teeno ne maaf kiya toh kam se kam yeh sakoon rahe gaa mera koi apna hai.... Yash main ek acha bhai nhi bann paya par tum inn dono ki sari khawahish aur jarurt puri karna tum mujhe kabhi bhi kuch bhi keh dena... Tum besak door rahe par tum sabke karib ho dhyan rakhna main apna vada nibho gaa door raho gaa
Yash aur Anjali Suman jatin ke room se niklne se pehle apna muh saaf karte hai uske baad teeno bahar aa jate hai
Suman:-maine teek kiya naa bhaiya
Yash:-bilkul sahi kiya Suman insan bhatak jata hai par agar woh vapas aana chahe toh ke moka dena chahiye bss wahi tumne diya aur vaise bhi ek behan ka dil bahut bada hota bhai se kahi jada samjhi
Anjali:-teek hai tum dono jao free ho jao toh call karna fir rock garden chle gye
Suman:-teek hai
Anjali apni cab se chli jati hai Suman aur yash bhi dusri cab se chl dete hai dr meenakashi ke pass adhe gante ke baad dono ghar ki bell bajte hai
Thodi der baad ek khubsurat c lady door open karti hai samne yash ko dekh ander aa jati hai dono bhi ander aa jate hai
Meenakashi:-good morning yash tum yaha subh subh
Yash:-good morning dr
Meenakashi:-yeh sweet c ladki kon hai gf hai
Yash:-yeh meri b.......
Suman:-main inki friend ho Suman best friend
Meenakashi:-ohhh toh tum dost banna rahe ho very good yeh acha hai
Yash ke jawab dene se pehle Suman apna jawab deti hai jise sunn yash hairnai se usse dekhta hai par Suman najre chura dr meenakashi ko dekhti hai
Meenakashi:-toh bolo yash kaise aana hua mujhe clinic jana hai toh jaldi me
Yash:-ekle me...
Meenakashi:-Suman tum bahar wait kar ko
Suman bura sa muh bana bahar aa jati hai ab room me woh dono hi the
Meenakashi:-ab bolo yash
Yash:-main distrub ho raha ho
Meenakashi:-main samjhi nhi detail me baato
Yash subh jo bhi hua sab baata deta hai
Meenakashi:-yeh toh achi baat hai fir problem kya hai
Yash:-mujhe lagta hai yeh pyar door ho gya toh maine galti kardi toh sabne mujhe tukra diya toh hoo toh main ek pagal hi naa
Meenakashi:-tumhe bas emotional control aur express me problem hai baki kuch nhi
Yash:-par main bharosa nhi kar paa raha ho mujhe lag raha hai jaise sab jhoot hai main ekla hi rehne wala ho hamesa yeh sab kuch waqt ke liye hai
Meenakashi:-teek hai dubra try karo dhyan lagane ki aur kuch friends bano jaise Suman hai tab dekhte hai kya result aata hai
Yash:-par kuch gadbad huyi thodi maine kuch kar diya tha maine kisi ko nuksan pochya toh
Meenakashi:-tum ab gussa nhi karte
Yash:-yeh sach nhi
Meenakashi:-kuch aur bhi hai bataane wala
Yash dr meenakashi ko jatin ki baat bata deta hai par Suman aur uss jabardasti wali baat ko chod usse nafrat karne wali wajah baata hai
Meenakashi:-teek hai main dekhti ho filhal tum aaj ghoomo Suman ke sath time spend karo tum cab me baith mujhe Suman se kuch baat karni hai
Yash bahar chla jata hai meenakashi aur Suman 20 mint baat karte hai fir Suman bhi car me baith jati hai
Yash:-kya baat huyi itni der me
Suman:-kuch nhi bhaiya unhone ne toh bas hal chal pocha woh bas main hi kuch advice lene lagi thi bola tha maine ghar
Yash:-acha teek hai didi ko call kar do ham sidha wahi chlte hai
Suman:-teek hai
Uske baad woh Anjali ko call kar deti hai woh bhi aane ka bol waha se nikl jate hai yash zoya ko bhi call kar ke bula leta hai