door tha tab pariwar ko kosta tha paas hai tab khud ko kosta hain... sawal bas ek hi hain ya tha dono samay akhir doori kyun hain... jahir hain achanak itne pyar milne se koi bhi bhawvihaal ho jata hain... aur yash toh hain bhi itna emotional banda... jinse door raho jinhe galat samjho paas aane pe jab aap galat lago toh insan khud ko kosta hee hain... aur ab toh dar lagta hain kaheen yeh sapna ek jhatke mein bikhar na jaaye,,, wajeeb hain jab aap emotionally unstable ho toh emotions ko sambhale rakhna har wakt pe sambhaw nahin...
****
jatin ko kya uski galati samajh aa gayee,,, kya sach mein usse apne bhai behno kee kami khalne lagi, itni hi der mein... kya wakai yeh hriday parivartan hain ya phir ek do mujh saanp kee yeh koi nayee chaal... janta hain kee door rahega toh utna hi nafrat milega aur phir koi nuksan bhi nahin pahuncha shakta hain jitna kareeb rah ke... aur jaisa yash hain bhawanao kee bahaaw mein koi mauka de dega galati karne ka...
****
ladkiyo ka dil bara hota hain mardo kee upeksha,, tabhi toh heart attacks kam aate hain unko...

,,, apart from the fun fact,,, akhir ladkiya hi toh maa hoti hain behne hoti hain,,, aur maa ka dil toh famous hain... suman ne minato mei maaf kar dena ka faisal kar liya,,, akhir bhai jo hain,,, lekin bhai ne jo kiya,,, kya wo kabhi bhula payegi...
wo forgive people not forget their deeds.....