asli mushibat kee jar toh idhar thee,,, kachhi umar ka akarshan jo hua,,, jahir hain aksar aisa hota hain badhti umar mein larko ke saath... lekin uski miss usse bas ek student kee tarah hi dekhti hain,,, shayad asli wajah usne abhi tak apne psychiatrist tak ko na batayee hain... khair iska toh koi illaj nahin akhir ek taraf attraction sirf dhyan bhatkata hain aur kuchh nahin... shayad wakt ke saath wo unhe bhool jaye ya phir koi aur mil jaye jo iske dil mein jagah bana le..
****
lekin yash isha jaisi larki ko bhi nakar raha hain,,, akhir jitni baariki se uski taraf dhyan deta hain jahir hain dost se badhkar manta hain dil lekin jubaan kubool nahin karte hain... isha ne apni saari umar yash ko hi chaha hain,,, sun ke achha laga kee koi hain jo andhero mein rah ke usse itna pyar karta hain... insan har pal apni bhawnaaye daba ke nahin rakh shakta hain,,, akhir yash bhi toh ussi se joojhta rahta hain,,, isha ke kuboolnaame ne usse kamjor kar hi diya... lekin aaj kababd mein haddi fasane ka din hain,, movie ke baad yeh moment bhi barbad kar diya... waisa jara sa manners nahin hain,,, koi special moment share kar raha ho toh unhe disturb nahin karna chahiye...
***
aant bhala toh shab bhala ,,, pyar ka izhaar karte hi isha yash ko aap kehke bulane lagi,,, jaise patniya pati ko bulati hain,,, thora ajeeb hain,, akhir hum umra logo se aap sunna jaise aap bujurg ho...
**