• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 37 92.5%
  • Ni , rahane do

    Votes: 3 7.5%

  • Total voters
    40

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,771
274
Update no :- 25
Wese to aaj monday tha but kal picnic ki thakan ki vajah se unsab ne aaj ka off kiya tha.

Per apne karan or jyoti to there apni maa ki tarah param shiv bhakt . Hamesha ki tarah aaj bhi jaldi uth jate h or nahaker jese hi karan keval towel m bahar aata h to khud ko mirror m dekh k chonk jata h

Kyunki karan ki body pahale se or bhi jyada mascular or akarshak ho gayi thi , uske face per hamesha jo tez rahata tha , aaj wo or bhi jyda bad gaya tha.

Esa hi kuch hal jyoti ka tha , wo bhi pahale se jyada aakarshak ho gayi thi. Uske chahare ki lalima or nikhar gayi thi .

Dono ko hi apne ander ek nayi urza ka abhas ho raha tha. Fir wo dono is baat k baare m baad m sochne ka soch Ke
r mandir ki or nikal gaye ,

per aaj vo sirf dono hi the , radha to ana chahti thu per karan ne hi mana ker diya tha , kyunki wo kal ki picnic k baad bahut thaki hui thi to karan ne rest kerne ko hi bola tha.


Hamesha ki tarah wo mandir me pahunch ker mahadev ki puja me lag jate h .Or fir mandir ki safayi kerne m lag jate h .
Jyoti mandir m jhadu laga rahi hoti ki Tabhi jyoti ka man me achanak kya hota h ki wo apni madhur awaj me gane lagti h.
Jyoti:-

इश्वर सत्य है
सत्य ही शिव है
शिव ही सुन्दर है
जागो उठ कर देखो
जीवन ज्योत उजागर है
सत्यम शिवम सुन्दरम - २
राम अवध में
काशी में शिव
कांहा व्ऱिन्दवन में
दया करो प्रभू देखूँ इन को - २
हर घर के आँगन में
राधा मोहन शरणम
सत्यम शिवम सुन्दरम - २
एक सूर्या है
एक गगन है
एक ही धरती माता
दया करो प्रभू एक बनें सब
सब का एक से नाता
राधा मोहन शरणम
सत्यम शिवम सुन्दरम - २


Jyoti k dwara gaye gaye is sunder bhajan ko sun karan samet sabhi mantra mugdh ho gaye.

Yaha tak ki apne lok me bethe kfd samet narad ji bhi jyoti ki k madhur geet ko sun mantra mugdh ho gaye the , or kfd to ankhe band kiye hue jyoti dwara gaye ja rahe is madhur bhajan ka anand le .

Or jab jyoti ne gana band kiya to narad ji bhi bol uthe .

Narad ji :- narayan narayan ! Kya madhur awaj h jyoti ki prabhu use sun ker esa pratit ho raha h, jese jyoti ni sakshat mata saraswati ga rahi ho.

Satya hi to kaha tha narad ji ne, Jyoti k muh se nikle ek ek shabd ko sun esa pratit ho raha tha ki jese jyoti k gale m sakshat maa sarswati ka was ho , itni madhur wani jo thi jyoti ki . Sabhi jyoti ki bahut tarif kerte h .

Tabhi karan ki najar pandit ji per padti h jo kafi udas or pareshan dikh rahe the.

Karan jakar pandit ji se puchta h

Karan:- kya hua pandit ji m kabse dekh raha hu aap bahut hi pareshan ho.

Pandit ji :- ha beta mahashivratri aane wali h , or jesa ki tum jante ho ki har sal mandir me maha utsav hota h, jo ki mandir m aaye chadawe se hota h , per beta is sal itna chadawa ni ikatha ho paya h.lagta h is saal maha shivratri ka utsav ni ker payenge bas yahi soch ker udas hu beta .

Karan:- ni baba esa mat boliye maha shivratri, yani mere mahadev k vivah ki k din ko utsav na ho esa ho hi ni sakta , aap chinta mat kijiye pandit ji m is mamle me kuch karunga.

Or karan or jyoti pandit ji ko kisi tarah samjha ker ghar ki taraf nikal jate h.

Abhi vo ghar k bahar hi pahunche the ki jyoti bol uthi .

Jyoti :- bhai chaliye na aaj ice cream khane ka bahut man ho raha h chaker ice cream khate h.

Jyoti kuch mange or karan mana ker de kabhi esa ho sakta h.

Karan :- thik h gudiya chal chalte h .

Itna bol ker karan or jyoti bike pe nikal padte h or wo ice cream parlour se ice cream kha ker bahar nikle hi the to karan ki najar ek road pe jati h jaha per ek choti si bachi apne hatho m bahut sare gulab liye hui thi .

Or waha signal pe ruke hue sabhi logo ko bechne ki koshis ker rahi thi, per koi bhi us bichari k gulab kharid ni raha tha to karan jyoti ko wahi rukne ka bol uski or bad jata h

Tabhi achanak chalte chalte uska per fisal jata h or wo gir jati h or rone lagti h , ye dekh karan uski taraf dod k jata h or use chup karata h pyar se.usko gale laga ker bolta h.

Karan :- bas bas beta chup ho jao , ache bache rote ni h, acha aapka nam kya h

Bachi :- priya ,

Karan :- are wah kitna pyara naam h bilkul aapki tarah ,

Priya bahut masumiyat se bolti h

Priya :- bhaiya aap to ye gulab kharid lijiye , m aapko saste me de dungi , aaj to subah se ek gulab bhi kisi ne ni liya , mujhe bahut bhuk bhi lagi h. Mane kal se kuch ni khaya.

Itna bol ker wo fir se rone lagti h ,

Karan usko kisi tarah chup karwata h.

Karan :- beta aap ro mat acha batao kitne ka diya ek gulab

Priya:- bhaiya wese to 15 ka h but aap 10 bhi de doge to koi baat ni .

Karan priya ko dhyan se dekhta h to bahut use bahut dukh hota h itni pyari bachi h or khelne kudne ki umer m bichari phul bech rahi h or kapde bhi uske fat chuke h.

Karan(usko 2000 ka note dete hue)
Lo beta or ye sare gulab mujhe de do .

Priya :- khush hote hue:- bhaiya mere pass chute ni h .

Karan :- koi baat ni beta baki aap rakh lo .

Priya gulab dete hue use jhukne ko bolti h or jese hi karan jhukta h to uske galo p ek pyari si kiss ker deti h . Tabhi karan ki najar uske hath pero p padhti h jaha pe girne ki vajah se chil chuka tha.

Karan usko god m leta h or use gulab ke sare phool deker kuch samjhata h or use sath le ker jyoti ki taraf badhta h.

Or jese hi karan priya ko leker jyoti k pass pahuchte h , to priya jyoti ki or gulab bhadate hue bolti h.

Priya:- didi ye aapke liye "happy rose day "

Jyoti (gulab lete) :- oh so sweet , thank you so much .

Or itna bol ker jyoti pyar se priya k galo ko chum leti h .

Jyoti :- ek gulab priya ko dete hue , :- lo beta ye aapke liye meri taraf se aapko bhi happy rose day.

Priya :- (bahut hi masumiyat se):- didi kya mujhe ek gulab or milega .

Jyoti use ek gulab or deti h or priya wo gulab karan ko dete hue

Priya :- bhaiya ye aapke liye aapko bhi happy rose day .

Karan ko priya ki is masoom harkat pe bahut pyar aata h or wo uske dono galo ko chum ker

Karan :- thank you so much beta.

Tabhi jyoti ki bhi najar uske hath pero p padhti h

Jyoti :- bhai ise to chot lagi h chalo ise doctor k pass le chalte h.

Phir karan or jyoti pahale priya ko doctor k pass leke jate h . Uski bandages wagerah karwate h fir , pass ki hi shop se ek achi si dress dilwaker use pahanate h .

Or fir karan ko dhyan aata h ki priya bechari bhuki bhi h to use khana bhi khilwate h.

Fir karan usse puchta beta aapka ghar kaha h.

Priya:- bhaiya m khud chali jaungi aap kyu taklif kerte ho m khud chali jaungi , wese bhi aapne is garib k liye jo kiya h wo bahut h verna aajke jamane m hum garibo ko to sab dutkarte h.
Itna bolte bolte uski ankho m pani aagaye the.

Karan or jyoti ki bhi ankho m aansu aagaye the ki itni pyari bachi jo ki itni kam.umer m bhi itni samjhdar h wo bichari kin halato se gujer rahi h .
Priya unko dekh ker khud chup ho jati h , or apne nanhe hatho se karan or jyoti k aansu poochte hue bolti h.

Priya:- bhaiya didi aap please mat ro na.

Usne wo baat itne pyar se boli thi ki karan or jyoti dono uske dono galo ko pyar se chum lete h .

Or phir usko uske ghar chod dete h , jo ki ek chota sa ek kacha makan tha .

Ghar k bahar priya ki maa ka intezar ker rahi thi , wo kafi pareshan thi kyunki priya ko aaj bahut late ho gaya tha .

Itne m priya apni ma k pass bhag k jaker uske gale lag jati h or piche karan or jyoti bhi hote h

Priya ki maa unko dekh ker ghabra jati h.or bolti h

Priya ki maa ( gita) :- kya hua sahab meri bachi se koi galti ho gayi kya ager esa h to kripaya use maaf ker dijiye .

Or ye bol wo karan k per pakad ne lagti h to karan rok leta unhe or bolta h

Karan:- are are masi ye aap kya ker rahi h , esa kerke mujhe pap ka bhagi mat banaiye . Or aapki beti se koi galti ni hui h balki ye to itni pyari h iski to lakho galtiya bhi iski ek muskan ke samne koi bhi maaf ker du.

Priya :- ha maa ye bhaiya or didi to bahut ache h.
Or wo apni maa ko sari bate batati h jise sun ker gita bolti h

Gita :- apka bahut bahut dhanyawad beta jo aapne hum garibo k liye itna kiya hum aapka ahasan kese chukayenge.

Jyoti :- masi beta bhi bolti ho or dhanyawad bhi bolte ho , bhala koi bache apni ma pe ahasan kerta h kya .

Karan :- ha masi ager aapko kuch dena hi h to hume bas apna aashirwad de dijiye
Or itna bol dono bhai bahan gita k per chute h.

Gita:- jug jug jiyo bacho tumhe bhagwan duniya ki har khushi de.

Fir karan or jyoti unse dobara milne ka bol ghar ki or nikal jate h .

Kfd bhi apne lok me bethe ye sab dekh rahe the or unki ankho m bhi pani tha

Kfd :- adhbhut kitna adhbhut vyaktitv h karan or jyoti ka , ve swayam bhi aarthik samsyao se jhujh rahe h parantu phir bhi niswarth bhav se jaruratmand jano ki sahayata ker rahe h , dhanya h karan or jyoti . Aaj hume garbh ho raha h apne nirnay per , aaj koi sandeh ni raha hume apne bhut kal me liye hue nirnay per.

Vahi karan or jyoti jese hi ghar pahunch ker jese hi ghar m enter kerte h or kuch esa dekhte h ki buri tarah ghabra jate h.

Esa kya dekh liya karan or jyoti ne ki itna ghabra gaye janne k liye sath bane rahe

Stay tuned.
karan or jyoti ka lagta hai powers upgrage hogi hai tabhi unhe naya ulhash mehsoos horaha hai, madir me shivratri male ka budget karan or jyoti kaise manage karenge,

pyari bachhi priya how cute karan aur jyoti ne uski help ki bahut accha laga aur kdf bhi gouravanvit mehsoos ker rahe dono ki daya bhavna se...
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Viraj Raj

Viraj Raj

Active Member
509
949
93
Shandar update bhai
 
  • Like
Reactions: Harry rocks

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,771
274
Update no :- 26 (maha mega update)
Ghabrane ki vajah hi thi , kyunki pura ghar uthel puthal hua pada tha, or farsh pe kabya behosh padi thi or uske sir se khun bah raha tha.

Karan bhag ker kabya k pass jate h or karan use utha ker bed p letata h.

Jyoti jaldi se bhag ker pani lati h or uske chahre pe pani dal ke hosh m lati h

Karan :- kya hua choti maa ye sab kisne kiya aapki ye halat kisne ki .

Kabya (dari hui boli):- wo kuch gunde aaye the wo tumhe dhund rahe the oe tum na mile to wo shivani ko.

Karan :- kya kya hua shivani ko , shivani kaha h choti ma


Tabhi karan ka phone ring hota h or karan jese hi phone pic kerta h to samne se awaj aati h.

Unknown:- kya hua apni bahan ko dhund rahe ho wo mere kabje me h pahachan to gaye hi hoge tum mujhe .

Karan (gusse me) :- kunal, teri ye majal tune meri bahan ka kidnapped kiya kute , ager use ek kharoch bhi aayi na haramjade to tujhe esi maut dunga ki , yamraj bhi tere pran lete hue kamp uthega .

Kunal :- chila or chila kamine teri ye tadaf dekh mujhe bahut maja aaraha h.or ab kaam ki baat sun ager apni bahan ko sahi salamat dekhna chahata h na aaj raat 9 bache city k bahar wale khandhar k piche wale medan m aajana wo bhi akele. Werna m apne sare aadmi k sath teri bahan ka, samjh to gaya hi hoga tu .
Or wo jor jor se hasne lagta h

Speaker on hone ki vajah se ye baat jyoti or kabya ne bhi sun li thi .

Kabya ko to kuch hosh ni tha kyunki usko sirf apni beti ki parwah thi.

Jyoti :- bhai m apko akele waha ni jane dungi m bhi aapke sath chal rahi hu.

Karan :- ni gudiya m tujhe waha ni le ja sakta waha bahut khatra h.

Jyoti :- khatra h tabhi to bol rahi hu bhai .Itne bade khatre m m aapko m akele ni jane de sakti.

Per karan ni manta or jyoti ko apni kasam deker rok leta h.





Udher patal lok me vp bahut gusse m tha ,

Vp :- is murkh manav ne sari yojana ko barbaad ker diya h , kaha tha ise ki grahan wali ratri tak pratiksha kerna per ni is murkh ne aaj hi hamla ker diya h , isse pahale ki wo murkh kuch or bevkufi kare mujhe rokna hoga use.

Or jese hi vp apne mahal se nikalane k liye mukhya dwar pe jata h to use ek bahut bada jhatka lagta h or kafi dur jaa ker girta h.

Wo wapas ja ker iski vajah pata kerta h to wo pata h ki ek adrishy diwar mahal ko charo or se ghere khadi h .

Vp apni ankhe band ker ke apna hath aage kerta h or uske hatho se ek kali roshni nikalne lagti h jo us diwar ko todne ki koshis kerti h jo ki na kamyab rahati h

Vp:- ye tumne acha ni kiya "KFD"

Ji ha ye diwar kfd ne hi khadi ki thi patal lok k dwar pe.


Apne lok m bethe hue kfd vahi se vp ko bolte h

Kfd:- m to apna karya ker raha hu vp kunal ne aaj tak to bhi bure karm kiye h aaj usko uske karmfal milne wala h. Or usko uske bure karmo ka dand milega or is mahan karya k bich m kisi ko badha ni dalne ni dunga , isliye uchit hoga ki aap vyarth hi apni urza nasht kerne se acha shanti se beth ker aatma manthan kare or uchit marg ko apna le.

Kfd ne esa isliye bola tha kyunki kunal bahut hi ghatiya nich or ek no ka ayash ladka tha , shetan ki shaktiyon k milne se pahale bhi usne kayi ladkiyo ki jindagi barbaad ki thi. Or ab to wo darinda ban chuka tha usne kayi masum logo ko raat k andhere m maar ker unka khun pi chuka tha.or kayi bechari ladkiyo ka balatkar kerke unko berahami se mar diya tha

Vp kfd ki baat sun bas apne dato ko bichte hue rah jata h.

Wahi dusri or khandar m bethe un charo ki chandal chokdi aaj rat ki teyariyo m lagi hui thi ki tabhi commissioner bol uthta h .

Commissioner :- beta kya tumhe ni lagta ki hame grahan ki raat ka intezaar kerna chahiye tha.

Kunal :- ni m us kute ko aaj hi buri mot marunga , mujhse or intezaar ni hota pahale hi m do hafte se chup betha tha per ab ni

Commissioner :- ni mujhe ni lagta ki aaj ye sab sahi rahega.

Kunal :- ek baar bola naa jo hoga aaj hoga tujhe ek baar m samjh me ni aata kya budhe .

Kyunki kunal ek darinda ban chuka tha to ab uske liye rishte nate mahatva ni rakhte the.

Commissioner :- teri ye himmat tune mujhse ye baat ki or usko ek chanta maar ker tu abhi mere sath chal raha h ghar wapas or is ladki ko bhi chod do.

Commissioner ne shivani ki baat ki thi, jo usi khandar k ek kone me behosh padhi thi .

Kunal sirf abhi chup chap khada tha jo ki ek tufan se aane k pahale ki shanti thi .

Commissioner :- suna ni mane kya kaha chal yaha........ Aaaaaaaahjhhh

Commissioner abhi apni baat puri hi ni ker paya tha ki.kunal ne apne ek hath jor se commissioner k sine me ghop ker uska dil nikal ker kha gaya.

Or is tarah kunal ne apne hi baap ko maar diya jise dekh waha mojud aghora or mla ki ruh kamp gayi. Commissioner ko apne kiye bure karmo ki saja mil chuki thi ,jis bete k liye aaj tak usne itna kuch kiya itne bure kam kiye the, jin ladkiyo ka rape kunal ne kiya unke case ko rafa dafa kiya , uske har galat kaam me sath diya , yaha tak ki ek masoom bache ki bali tak di , aj usi bete ne usko berahmi se maar diya.

Satya hi kaha h kisi ne jab boya bij babul ka h to gulab kaha se milenge, milenge to kate hi , jese sanskar commissioner ne kunal ko diye aaj usika natija bhugta aaj commissioner ne.

Kunal (apne baap k dil ko khane k baad ) sala bhuda bahut uchal raha tha . Or kisi ko dikkat h kya mere fesle se .

Aghora or mla to ye bhayankar drishya dekhker hi mut diye the or bas apni gardan na me hila di.

Fir wo 3no 9 baje ka intezaar kerne lage.

Wahi karib 7.30 baje k karib karan bhi nikalne lagta h .

Jyoti :- bhai please mujhe bhi apne sath le ker chalo na , mujhe bilkul bhi sahi ni lag raha h.

Karan :- choti tu chinta mat ker mujhe kuch ni hoga . Tujhe mere per bharosa h na .


Jyoti :- kesi baat ker rahe ho bhai aap to meri jaan ho ,aapse jyada bharosa aapki ye gudiya to mahadev p bhi naa kare.



Karan fir kuch ni bolta or jyoti ko ek baar gale laga ker nikal jata h kunal k diye pate ki or nikal jata h,

Lekin yaha ek gadbad ho chuki thi uske gale ka locket nikal ker wahi gir gaya tha.

1.30 ghante ka safar karan ne aadhe 45 min m hi pura ker liya tha .


Or jese hi karan us medan m pahunchta h to dekhta h ki waha 10 hate kate gundo k sath kunal khada h. Kunal ne bas 10 hi gunde isliye bulaye the kyunki usko laga tha ki itne kafi honge ager koi or bhi uske sath aaye to or wo gunde koi mamuli gunde ni the wo fully trained the.

or ek side m shivani behosh padhi h.

Kunal :- wah manna padega tu apni bAt ka pakka to h bilkul time pe Aya h or wo bhi bilkul akele .

Karan:- abe kute bhokna band ker or bata kyu kiya h meri bahan ki aghwa.

Kunal :- badle k liye aaj tak jo bhi tere kaaran meri bejiti hui college m uska ,us din bhare college m teri bahan ne mere ko mara tha uska badle k liye , aaj pahale tere ko yaha tadfa tadfa k marunga fir us jyoti ka

Karan:- (bich me hi bol utha) bhos#**e teri himat kese hui apni gandi juban se jyoti ka naam lene ki , aaja kamine m bhi dekhu kitna dam h tere me .

Kunal apne admiyo se

Kunal :- mera muh kya dekh rahe ho salo maro is haramjade ko

Ye sun ek gunda jo dikhne me professional fighter dikh rahe tha, Karan ki or doda per karan teyar tha .

Jese hi ek ne uske pass pahunch ker usko mukkA marne ki koshish ki karan ne uska hath pakad k itni jor se mod diya ki uska hath ki hadi char char karte hue tut gayi.

Or do jabar dast mukke bahut tezi uske pet or sine pe de mare jisse vo udta hua thodi dur ja ke gira or dil ki dha dadhkan yamraaj ko pyara ho gaya tha .

Phir 4 gunde ek sath aate h karan karan ki or jinke hatho me talvar thi ,
To karan unme se ek k hath per lat marta h to uske hath se talvar chut jati or karan use catch ker leta h.

Or badi hi furti se usi bande ka sir dadh se alag ker deta h , fir do jane us per ek sath war kerte h talwar se lekin karan apni talwar se use bich me hi rok leta h or ek aadmi k jordar lat marta h jisse wo aadmi kuch dur jaker girta h .or isi chaker m dusre aadmi ka dhyan bhatak jata h or karan bhi is moke ka fayda utha ker us aadmi ka sir kat deta h.

Kfd or narad ji bhi ye sab dekh rahe the

Narad ji :- prabhu karan ne to kisi bhi prakar ki shastra vidhya li hi ni fir bhi vo itni kushalta se talvar kese chala raha h.

Kfd:- aap bhi kesi baat ker rahe h narad ji , bhala matsay(fish) k shishu ko bhi terna sikhata h , ashv k shishu ko koi dodna sikhata h ,aap bhul rahe h ki karan kon h to bhala usko kisi se sikhne ki koi avashyta h kya bhala .


Vahi dusri or jese hi jyoti ki najar karan k gire hue locket p padhti h to vo or bhi dar jati h or us locket ko le bina kisi ki parwah kiye ek car apne garage se nikal karan ki or nikal jati h kyunki usko dil hi dil m koi anhoni ka andesha ho raha tha or use us din wala sapna bar bar yaad aaraha tha.

Wahi karan ne apni bahatrin talvar baji se sare gundo ko nark me pahuncha diya tha.

Ab kunal ko bhi bahut gussa aagaya tha

Karan :- kyu sale bas itna hi dam h tere m

Kunal :- lagta h ab tujhe apni takat dikhani hi padegi

Or itna bol vo karan ki or dodta h karan bhi uski or dodta h or kunal jese hi karan k pas pahuch use ek muka marne ki koshis kerta h karan use block ker leta h or ek lat use chipka deta h , jisse kunal niche gir jata h per jaldi hi uth khada hotA h.
Or fir badi furti se ek flying kick marta h jise karan ko bhi chot lagti h or ese hi dono buri tarah bhid jate h , dono hi ek dusre ko baraber ki takker de rahe the , kunal to buri tarah se chok gaya tha ki ek mamuli sa insaan us jese darinde ps bhari pad raha h ,

Tabhi kunal ne ek galti ker di

Kunal :- sale pahale aaj tere ko kute ki mot marunga fir us jyoti ko maslunga sali kya mast mal h usko bhi uski okat dikhaunga .

Bas kunal ka itna hi kahana tha ki karan ne apna control kho diya or apni full speed se usper muko ki barsaat ker di jise kunal block ni ker paya or karan ne mukko k sath late bhi marna shuru ker di usko patak patak k marne laga .

Karan :- sale gandi nali k kide kaha tha na ki apni gandi juban se meri jyoti ka nam na le haramkhor per tu ni mana ,

Ab kunal bilkul adhmara ho chuka tha , jise karan vahi chod shivani ki or badh jata h or vaha pahuch use hosh m Lane ki koshis kerta h,

per yahi usse bhul ho gayi kunal ab samjh chuka tha ki isse yu hatho se marna asamabhav h, to usne ye soch apne ankhe band ki or uske hatho me ek shakti ka gola aagaya jo usne karan ki or chod diya , karan ka dhyan to shivani ko hosh lane me tha or jese hi vo gola karan k pass pahuncha tabhi vatavaran me ek chink gunj uthi



Bhaiiiiiiiii

Short flashback

Hua yu tha ki jab kunal ne wo gola karan ki or choda tha itne me jyoti bhi vaha pahunch gayi thi or esa hi seen usne sapne m dekha tha jab vo dekhti h ki uske bhai ka dhyan kahi or h to vo bhag ker jati h or karan kr us gole k bich aajati h.or wo gola jese hi jyoti se takraya uski chikh nikal gayi.

Karan jese hi jyoti ki awaj sunta h uska dhyan us taraf jata h to dekhta h ki jyoti piche ki or gir rahi h karan jaldi se jaker use girne se bacha ker apni baho m leker jamin m beth jata h ghutno k bal

Karan:- (rote hue) choti tu yaha kyu AYI mane tujhe mana kiya tha na

Jyoti :- jiski ankhe band ho rahi thi wo bolti h :- bhai m aapko ese kesa akela chod sakti hu aap meri jan ho aapko kuch ho jayega to mere jine ka bhi kya fayda or jyoti karan ko wo locket pahana ker behosh ho jati h.

Wahi aghora jo is ladayi ko dekh shock me tha uske kano m vp ki awaj gunjti h.

Vp :- aghora jitna shighra ho sake dushyant(mla) ko leker yaha se nikalo

Aghora :- parantu prabhu kunal

Vp :- guse m marne do us murkh ko jiske karan meri yojana barbad ho gayi h . Mere aagya ka palan ho

Aghora itna sun k mla k sath vaha se gayab ho jata h.

Or ab karan jyoti ko is hal me dekh ker bilkul pagal ho chuka tha or usne apni ankhe band ker li or jab usne ankhe kholi to uski aankhe bilkul lal rang ki ho chuki thi jese putliya ho hi na ankho ki .

Tabhi uske locket se ek tej roshni nikalti h or karan apna hath jo usne hawa m uthaya hua tha usper padi or jab roshni gayab hoti h to uske hatho m uska dand achuka tha jo vishvakarma ne banaya tha .
commission_weapon_custom_design___noire_by_kodamacreative-d8bggi5.jpg

search


Karan ke sharir se maha bhayanak jwala nikal rahi thi or usne bas itna hi chilaya


Karan:- kunaaaaaaaal

Or itna bol usne wo dand kunal ki or ker diya jisse ek bahut hi tez se sampan nili roshni nikli or wo jaker kunal ko lagi , jisse uski chike nikalne lagi or kuch second m wo jal k rakh ho gaya.

Per karan ka krodh shant ni ho raha tha or wo aas pas ki jagaho ko tabah kerne laga , jise dekh sabhi dev dar ker kfd k pass pahunch gaye

Indra :- prabhu kuch kijiye karan k krodh ko shant kijiye anyatha anarth ho jayega bhagwan

Kfd apna hath aage kerte h or unke hatho se ek roshni nikalti h jo jaker jyoti pe padhti h jisse usko thoda hosh aajata h.

Or jese hi wo apne bhai ko itne krodh me dekhti h to pahale to wo khud dar jati h fir jaldi khud ko sambhal leti h or karan ko shant kerne k liye aage bad jati h or jaker karan ko gale laga leti h .

Jisse karan shant ho jata h or jyoti ko sahi salamat dekh uske muh se itna hi nikalta

Karan :- gudiya .

Or wo behosh ho jata h or sath me jyoti bhi.

Tabhi vaha rishi pippalad prakat hote h or un dono ko leker waha anter dhyan ho jate h.

Note :- friends is update ko likhne m mere ko 4 ghante lage h , halaki meri tabiyat kharab h per fir bhi aap logo intezaar ni laga , isliye tabiyat kharab hone k bavjood bhi ye update de raha hu to please jarur bataiyega aapko ye update kesa laga.









bahut hi shandaar update hai boss
Kunaal ne apne ho baap ko mar dala
power milne se uski buddhi brahsat hogi thi...Karan ne bina locket ke bhi sabhi ke chakke chhuda diye...phir haya fight me twist jo ki sabhi fight me jyada tar hota jaha karan dhila pada aur uska fayeda utha ker kunal ne uper hamla kar diya per ain muke per jyoti ne wo hamla apne uper le liya jisse karan bahut krudhit hoga aur apna locket jo ki jyoti ne use diya se usnr power jagrit kar apna dand bula ker kunal ka sarvanash ker diya...per yaha vp ki chalaki ke vajah se mla aur tantrik aghora bache gye..
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,771
274
Update no :- 27
Note :- sorry friends kal wale update k last m ek galti ho gayi thi, jise m is update m thik ker raha hu.

Jese hi jyoti ko hosh aata h to wo dekhti h ki uska bhai bahut jyada gusse m h to pahale to wo khud dar jati h per fir baad m khud ko sambhal kee karan k pasa jati h or karan ko gale laga leti h.


Jisse karan ka gusa shant ho jata h or jyoti ko sahi salamat dekh uska chahara khil jata h per

Karan:- gudiya .

Itna bol ker use kaske gale se laga leta h

Or fir behosh ho jata h or sath me hi jyoti bhi bhai bol behosh ho jati h.


Lekin koi or bhi tha yaha jisne ye sab kuch dekha tha , or wo koi or ni shivani thi.

Hua yu tha ki jab jyoti ko vo shakti ka gola laga tha or karan uski or doda tha , jab hi use hosh aachuka tha, per phir karan k gusse ko dekh ker wo buri tarah se saham gayi thi, akhir thi to ek 15 16 sal ki bachi hi na , or jab karan or jyoti behosh hue to dar or kamjori k maare vo bhi behosh ho gayi.

Tabhi vaha rishi pippalad prakat hue or unhone apne sath karan jyoti or shivani ko leker gayab ho gaye .

Chaliye ab thoda kailash ki or chalte h.

Bhagwan mahadev bhi ye sab drishya dekh rahe the or vo kafi prasann the.

Mahadev :- adbhoot putra karan tum apni pratham parksHa m safal rahe parantu ye ant ni ye to aarambh h tumhari parikshao ka jo nikat bhavishya m tumhare samakh aayegi or unme bhi tumhe uhi safalta se uttirn hona h .
Vijayi bhava

Or itna bol mahadev karan or jyoti ko ashirvaad dete h.

Aapne bilkul uchit kaha gurudev , or is awaj k sath vaha kfd prakat hote or mahadev ko pranam kerte h.

Kfd:- pranam gurudev

Mahadev :- aaiye kfd bahut samay paschat aapka aagman hua kalash pe , kyu apne gurudev ki yaad ni aayi.

Kfd:- prabhu yaad to unhe kiya jata h jise hum.bhul gaye ho , aapka ye daas , ye shishya to sadev hi aapka sumiran kerta rahata h.

Mahadev ye sun prasan hote h or apna ek hath aage kerte h jisme se ek roshni nikaker ek jagah padti h mahadev k samip hi or waha ek bethne k liye aasan aajata h.

Mahadev:- aao putra khade kyu ho betho.

Kfd bhi beth jate h.

Mahadev :- kahiye kfd aaj kailash ka marg kese bhul gaye .

Kfd :- prabhu aap to sarv shaktimAn antaryami h aapse bhala kya chupa h , aap to jante hi h m karan or jyoti k vishay m baat kerne aaya hu

Mahadev:- hum jaante h kfd aap kis vishay m baat kerne aaye h , or aapka sochna bhi uchit h , mana ki us dusht k paap ka ghada bhar chuka tha or uska ant bhi aavashyak tha parantu ye samay abhi uchit bhi ni tha karan m sthit shaktiyo ka yu ek sath jagrit hone ka.

Kfd :- apne bilkul uchit kaha prabhu m isi samsya k samadhan k liye aapke samaksh upasthit hua hu gurudev apne shishya ka marg darshan kijiye .

Mahadev kuch der mon rahate h fir bolte h

Mahadev:- iska to ek hi samadhan h kfd.
Kfd:- kya prabhu

Fir mahadev kfd ko samasya ka samadhan batate h or thodi der yuhi baate kerte h ki tabhi kfd ko kuch khatre ka andesha hota h

Kfd :- acha gurudev ab mujhe yaha se nikalnA chahiye .

Mahadev muskurate hue bole.

Mahadev :- chale jana putra abhi to aaye ho itni bhi kya shighrata kesi .

Abhi kfd aage kuch bolte isse pahale kuch bolte ki waha per ek awaj aati h kfd k pich

'M batati hu dev aapke priya shishya ko itni shighrata kyu h'

Kfd ye awaj sun thoda ghabra jate h or jese hi piche mud k dekhte h to unki halat wesi ho jati h jese kisi chote bache ki koi shararat pakdi gayi ho or ab use apni maa ki daat ka dar ho.

Kyunki saamne mata parvati khadi thi jo kfd ko ghur k dekh rahi thi or unke hath m ek chadi thi.

Kfd (man me) :- chalo beta kfd ab to tu gaya kam se

Mata parvati :- kyunki aapke param shishya ko apni guru maa ke aane ka andesha ho gaya tha swami isliye ye yaha se nikalne ki teyari m the.

Kfd:- are ni ni guru mata esi koi baat ni h wo to ek karya smaran ho gaya tha na isliye. M bhala kyu apni pyari guru maa ko dekh bhagne laga.

Mata parvati :- acha bachu , ye tumhari mithi mithi bate tumhare gurudev p chalti hogi per mujh pe ni chalegi, beta dand to tumhe milega ek to itne varsho se na apne guru dev se na hi apni guru maa se milne aaye , or aaj aaye bhi to akele akele apne guru se milker nikalne lage .

Ye bolte hue mata parvati thodi bhavuk ho gayi or unke ankho m ashru aagaye , ye dekh ker kfd ko acha ni laga or unke ankho m bhi ashru aagaye . Kyunki jab kfd mahadev se shiksha lene aaye the tab na to kartikey ji ka janm hua tha na hi ganesh ji ka to mata parvati ne kfd ko hi apna putra mana tha or jab tak kfd ne shiksha k liye kailash rahe the , tab tak mata parvati ne kfd ka dhayan apne putra ki tarah hi rakha tha.

Apni guru maa ki ankho m ankho m ansu dekh unki aankho m aansu aajate h or wo mata k ansu poochte hue bolte h

Kfd:- ye kya guru maa aapko dand dena h to be jhijhak apne putra ko de dijiye parantu kripya kerke roiye mat guru maa, itna bada dand to mat dijiye apne putra ko.

Mata parvati chadi ko phenk ker kfd k aansu poochti h or unhe ek chote bache ki tarah apne gale laga ke bolti h.

Mata parvati :- to esa kaam kerte hi kyo ho putra jisse tumhari guru maa ki ankho m aansu aaye or ye kya putra tum kyu rone lage shant ho jao putra tumhari guru ma tumse bilk rusht ni h .

Fir mata kfd ko ek chote bache ki tarah chup karwati h.

Or bolti h

Mata parvati :- ab itne samay pashchat aaye ho to kuch din tumhe yaha rukna hi padega putra m kuch ni sunne wali, (mahadev se)
Kyu swami.

Mahadev:- ha putra tumhari guru maa ka kahana uchit h kuch din apne guru dev or guru ma k sath bhi vyatit kero.

Kfd:- jo Aagya guru maa,. Jo aagaya guru dev.

Or kfd wahi ruk jate h.

Wahi aghora mla ko leker uske ghar pahunchta h , lekin wo dono abhi bhi shok me the ki ek sadharan sa manushya ek itne shaktishali devil ko kese hara sakta h.

Tabhi waha vp pragat hota h

Aghora (use pranam kerke) :- prabhu ye kese sambhav h us sadharan se balak ne itne shaktishali shetan ko kese hara diya wo bhi itni saralta se .

Vp :-murkh kisne kaha wo ladka ek sadharan manushya h usme deviya shaktiya h , isliye to tum murkho ko kaha tha ki grahan tak pratiksha kero kyunki us din uski shaktiya grahan k andhere or ashubh kaal m jagrit ni ho pati or vo saralta se marra jata , per tum bevkoofo ne sari yojna barbad ker di.

Mla or aghora sharminda the

Aghora:- ab hamare liye kya aadesh h prabhu .

Vp :- abhi tum kuch ni karoge or shanti se mere agle aadesh ki pratisha karoge samjhe anyatha wo karan tumhe mare ya na mare ,lekin mere hatho tum jarur mare jaoge.

Or itna bol vo vaha se gayab ho gaya.

Stay tuned
.








great conversation between three of them
 
Top