Iron Man
Try and fail. But never give up trying
- 40,599
- 103,166
- 304
Awesome update.update no :- 186
Sonam ko dekh karan ki khushi ka thikana ni tha, wo dod ker sonam k paas gaya or khushi se bas uske muh se itna hi nikla.
Karan :- sonaa..
Sonam ka bhi kuch esa hi hal tha , wo bhi bahut tadfi thi karan ki ek jhalak ko, or sath hi uske man m pachtava bhi tha karan k sath kiye gaye rude behavior k kaaran, uske muh se bhi karan ko dekh itnaa hi niklaa .
Sonam :- bhaiyaaaa...
Karan ne bas itna sute ki sonam ko khich ker apne sine se laga liya kaske or sonam ne bhi karan ko apni baho m kas liya.
Dono bhai bahan kafi time ek dusre se yu hi gale lage rahe jese mano kitne salo baad mile ho, yahi to karan k saaf hriday ki pahachan thi ki wo apni sabhi bahano ko ek saman pyaar kerta tha, sagi ya muhboli wali soch to uske sapne m kabhi aayi na thi, kafi der yu hi gale lagane k baad karan bola.
Karan nam ankho se :- sonu, meri pyari bahan m bata ni sakta tujhe yaha dekh kitna khush hu m, yakin na ho to jyoti se puch lo, esa ek din na gaya hoga tumhe miss na kiya ho mane.
Sonam nam ankho se :- esa hi haal aapki sonu h bhai, aapki bahut yaad ati thi, lekin....
Isse aage sonam apni galti ka confess ker pati isse pahale hi usme dekha jyoti samet sab waha aapahunche isliye wo ruk gayi.
Jyoti khushi se :- are bhaiya ab hume bhi to milne do apni sonaa se.
Ye bol wo aage badhi or apni bahe fela k boli :- sonaa
Sonam bhi di kahate hue jyoti k mili fir wo radha k pas jati h, to radha majak m boli.
Radha :- to moti ko yaad aahi gayi ghar ki.
Sonam haste hue :- ha yaar bade dino se bandriya ni dekhi thi to aagayi tujhse milne
Radha muka mar usse milti h, tabhi piche se ek aawaz or aayi jise sun sab chok gaye or khush ho bethe.
Are bhai humse bhi to koii mil lo....
Sabne us or dekha to paya samne ridhima or swati bhi gadi se uterte h. , jinhe dekh sab khush hue or karan or jyoti samet sab mile.
Jyoti :- di sona, aap sabko yaha dekh bata ni sakte hum kitne khush h, lekin ye sab achanak kese or aap aane wale ho ye aapne bataya kyu ni.
Swati :- wo kya h na jyotu jabse aap sab yaha aaye the ghar m humara man hi ni lag raha tha or to or sonu bhi shimla ja chuki thi.
Ridhima :- ha bhai,To hum bhi yaha aane ka 2 din pahale decide kee hi rahe the ki tabhi hume sonam ka phone aaya ki wo bhi ab yaha aana chahti h to humne sab milke plan kiya tum logo ko surprise dene ka.
Or hum jaipur airport pe mile or yaha aaphunche.
Kesa laga humara surprise mera bacha
(Swati karan ko babu, ya bacha hi karke bulati thi, apna laad dikhne ko)
Karan ridhima :- it's amazing di.
(Swati se) per di aapne taklif kyu ki esi halat m bhi.
Swati :- off oo bhai tum kyu tension le raho faltu, itni bhi koi problem ni hui or fir ridhima ne mera bahut khayal rakha.
Ridhima :- babu ab hume yu hi bahar khada rakhoge kya.
Karan :- oh ha sorry di khushi m ye to dhyan hi na raha, laiye aap apna saman mujhe dedijiye.
Fir karan or rohan milker unka saman leker haveli m leker aata h or karan kavya or baki sabko pukarte hue.
Karan :- choti maa, bhua ,chachi ,chachu , dekho to kon aayaaa h.
Karan ki aawaz sun kavya or garima sabse pahale aayi or sonam samet sabko dekh wo bhi chonk gayi or khush bhi hui.
Sonam :- maaa
Kahate hue kavya k gale mili, sonam ne kavya ko apni ma hi man liya tha, isliye wo use maa hi kahake bulati.
Kavya sonam k sir sahalate hue :- are meri pyaari bachi bhi aagayi , beta bahut acha kiya tu yaha aagayi, tere bina to man hi ni lag raha tha humara to.
Fir kavya or garima sonam ridhima or swati se mile, tabhi nidhi bhi waha aaphunchi, karan bhi swati or ridhima se pahale apni chachi ko milata h.
lekin sonam abhi garima se gale mili hui thi isliye use abhi tak uska chahra ni dikha tha.
Karan sonam k paas aaker.
Karan :- or chachi ye meri sabse pyari or dulari bahan meri sonaaaa..
Sonam ne karan ki aawaz sun jese hi garima se alag ho palti or jese hi nidhi or sonam ki najar ek dusre se mili to dono mano tham si gayi, or dono k hriday m ek bahut hi majboot or apnatv bhari anubhuti hui, dono ki najre ek dusre se hat hi ni rahi thi.
Nidhi ki to ankho m jese apne aap hi ansu bahane lage or na jane kyu use apna wahi dukh bhara aatit uski ankho k samne aane laga, jise na hi wo kisiko batati or na hi khud bhul pati.
Nidhi mam me :- hey bhagwan ye kya ho raha h mujhe kyu is pyaari si bachi ko dekh mujhe lag raha h ki ye koi anjaan ni meri apni h , ya yu kaho mera hi ek bhag h.
(Purani yado ka dard mahasus kerte hue ) kahi esa to ni ye bachi....
Nii ye ni ho sakta humari galti ka yahi dand h ki hum is tarah jindagi bhar tadfe.
Wahi sonam k man me bhi kuch ese hi vichar aarahe the.
Sonam man. Me :- ye mujhe kya ho raha h bhaiya ki chachi ko dekh mujhe ye kesi anubhuti ho rahi h, ye to kuch kuch vesi hi h jesi tab hui thi jab m bhaiya se pahali baar mili thi .
Hey bhagwan ye sab akhir ho kya raha h mere sath, pahale wo sab sapne fir mera apne satya se parichay or ab ye anubhuti, kahi esa to ni ki mere kanha koi sandesh dena chah rahe h mujhe
Hey kanha apni is bhaktan ki sahayata kero.
Dono hi or se koi bhi reaction dekh karan ko herani hui or usne un dono ki tandra todte hue kaha.
Karan :- chachi, sona kaha kho gaye aap dono.
Karan ki aawaz sun dono hosh m aaye or fir dono ache se mile.
Karan ek taraf to bahut khush tha ki aaj uska sara pariwar yaha mojud h, wahi dusri or tension m bhi aa gaya tha, kyunki ab aane wale yudh m khatra bhi bad gaya tha uske parivar p.
Wahi duri oor
Location :- baikunth lok
Lakshmi maa abhi sheshshaiya pe bethi hi thi ki tabhi bhagwan narayan bhi apne vastvik swaroop m aagaye prathvi lok se lot.
Lakshmi ji :- aagaye swami apni bhaktn ko darshan de use aanand vibhor ker.
Narayan :- anand vibhor to hum hue h devi , jiske 2 mukhya kaaran h.
Lakshmi :- or wo kya h swami?
Narayan :- priye, pahala kaaran ye h ki jitni prasanta bhakt ko apne aradhya k darshan se praapt hoti h, usse kayi adhik parmanad bhakt k aradhya ko bhi praapt hota h, apne bhakt k prem or bhakti ki pavitra anubhuti se, bhakti keval bhakt ki hi shakti ni hoti priye, apitu bhakti to ishwer ki bhi shakti h, jis kaaran ishwer ka astitv is sansaar m h.
Or yaha to baat hi humari us bhaktn ki thi jisne keval is janm m hi ni, apitu apne purv janm se hi humari nishkaam bhakti ki, ese m hum apni us bhaktn ko kese darshan na dete.
Balki hum to kahate h sonam se jyada labh is lilla ka to hume hi praapt hua.
Lakshmi ji :- aapko ! Wo kese swami.
Narayan :- devi mat bhuliye sonam k kaaran hi humara apne vrindavan m punah aagman hua.
Dwapar m jab humne us pavitra bhumi ko chod mathura ki or prasthan kiye the, jabse humare man m ek hi icha rahati ki hum apni us bhumi pe ek baar fir jaa sake, jaha humne apne us janm ka sabse madhur samay vyatit kiya, parantu apne kartavyo k chalte ye kabhi sambhav na ho paya, ese m hum sonam ka aabhar kese na vyakt kare devi.
Lakshmi :- aap dhany h prabhu, ap swayam ishwer hote hue bhi khud se jyada mahatvta aap apne bhakt ko dete ho, aap dhanya ho dev.
(Kuch der ruk)Or dusra kaaran kya tha swami .
"Iska uttar m apko deta hu mata "
Is aawaz k sath waha shani dev prakat hue.
Shani :- pranam maaa, pranam bhagwaan
Lakshmi ji :- kalyan bhavah putra, kaho putra.
Shani :- mata prabhu ka sonam ko darshan dene ka ek kaaran or jo ye tha ki ab samay aachuka h ki sonam ko apne pichle janm k satya k sath sath apne is jivan se bhi jude rahasya ka bhi gyaat ho.
Lakshmi ji :- arthat samay wo samay achuka h putra?.
Shani :- ha mata samay aachuka h jab karan or jyoti ko apne jivan se jude sabse bade rahasya k gyaat hone ka, samay aachuka h tin mahashaktiyon k milan ka or samay aachuka h samraat k ant ka jiske baad megha ki mukti k sath hi wo rahasya khulega or karan or jyoti ka parivaar bhi tab purn hoga.
Shani jab ye baat bol. Rahe the tab unke chahre p khushi k sath pareeshani k bhav bhi shamil the.
Jinhe dekh mata boli.
Lakshmi ji :- putra ye to shubh samachar h, ki ek adharmi ka shighra hi ant hone wala h, or putra karn k jivan m bhi khushhali aane wali h ,
Lekin fir bhi tumhare mukh p ye nirarthak chinta ki rekhaye kyu putra.
Narayan :- karmfal data ki chinta nirarthak ni h devi
ha ye satya h ki ye sab shubh ghatnayo k ghatit hone ka samay aachuka h, parantu aapne sikke k dusre pahalu ko to andekha hi ker diya devi.
Bhul gayi devi aap bhutkaal m mahadev or humne jab usko.... Dandit kiya tha tab mahadev ne kya kaha tha.
Lakshmi ji Narayan ka ishara samjh gayi , or chintit swar m.
Lakshmi ji :- hey mahadev! Iska arth ye k swami!
Shani :- ha mata jese jese karan k jivan Sare rahasya khulne ka samay nikat aata jayega, guru mahadev or Narayan dwara arab use diye gaye dand k bandhan se uska dhire dhire swatantrata hona aarambh ho jayega.
Narayan :- ho jayega ni putra, aarambh ho chuka h, or is baar usko niyantran kerna humare liye bhi saral na hoga, kyunki hum tridev bhi niyati k lekh m hastakshep ni ker sakte.
Lakshmi ji :- ye to satya m hi bahut badi samasya h bhagwan, dand bandhan m hone k babjood bhi usne pahale bhi kayi baar karan or jyoti k jivan m hastakshep ker unke prano ko sankat m dal diya tha.
Shani :- satya kaha mata aapne, or aane wale dharmyudh m wo wapas se apni dhurt chaal avashya chalega, ese me putra karan or jyoti ki raksha hetu hi avashyak tha ki use sonam dwara vardan roopi kavach mile, isliye hi prabhu ne sonam ka margdarshan ker use putra karan k pasand bheja.
Lakshmi ji :- parantu putra samasya abhi bhi purntah hal ni hui h.
Shani :- janta hu mata or is samsya ka hal to swayam putra karan ko hi khojna hoga wo bhi atisheeghra.
Kyunki dekhiye mata un dushto ne shadyantr rachna aarambh ker diya h
Back to prathvi lok
Jis tantrik ka ant naina ne apne shudi yagya or ma ki shakti dwara kiya tha, us dusht ka sharir ki bhasam abhi bhi wahi padi thi.
Tabhi waha do asur prakat hote h.
Asur 1 :- are bhai tumhe gyaat bhi h ki us budiya kubdi ne hume yaha kyu bheja h.
Asur 2 :- abe kitna bhulakkad H re Tu, bhul gaya us sanki bhudiya ne hume subah hi adesh diya tha ki hume is sthan per kuch manav avshesh milenge bas use hi uthake lana h.
Asur 1 :- ha per bhai mujhe samjh ni aata ki ye bhudiya is rakh ka karegi kya.
Asur 2 :- kya pata yaar lagta h bhudape m bhudiya sathiya gayi h, jab hi kuch bhi kerne ko bolti h.
Asur 1 :- ha per ek baat bata bhai sab bol rahe h ki yuvraj k ansh k sath hi trityao ka ant nishchit ho chuka h, tumhe kya lagta h kya sach m esa kuch h.
Asur 2 :- kya pata yaar, sala humari or se to dono or hi aafat h, ek or yudh m moti or dusri or is sanki raja k moti se badtr hatyachar, acha bhala salo chain se ji rahe the, jabse ye aaya firse devo se humari dushmani kera betha.
Asur 1:- ha yar mera bas chale to m to abhi us divya shakti ki sharan m chala jau.
Asur 2 :- jo ho ni sakta use chod or jaldi se apna kaam ker yaha se nikalte h verna wo sanki bhudiya humara jina haram ker degi.
Ye bol asur 2 us rakh ko uthane hi laga tha ki tabhi us rakh ko chute hi uska hath jalne laga, jisse wo chikhne laga
Asur 1 :- ye sanki bhudiya hume marwa k hi manegi.
Asur 2 apne hath ko bacha ker kese n kese maya ka use ker us rakh ko uthata h or ek ghade m bhar k asur 1 k sath waha se gayab ho jata h.
Or wo dono pahunch jate h kubdi k pas
Asur 1 :- lijiye malkin aapne jesa kaha tha m wo avshesh le aaya hu.
Kubdi shetani hasi k sath :- le aaye ise shabash ise yaha rakh do .
Asur 2:- malikin per kya m jan sakta hu aapne ye rakh kyu mangai h.
Kubdi gusse se :- ye jaanana tumhare liye jaruri ni h murkho
(Apne side se ek peso ki potli fekte hue) ye lo tumhare kam ki kimat or ab dafa ho yaha se.
Kubdi ki dant sun bichare wo dono potli utha chupchaap waha se chalte bane.
Unke jane k baad kubdi us ghade ko apne hath me lete hue boli.
Kubdi haste hue :- haha ab dekhti hu m tantrika kubdi ki is chaal se tu kese bachti h, ab m esa kuch karungi jiske baad tu marte samay apni akhiri sanse lete hue pachtayegi ki kyu samraat se tune dushmani mon li.
Ye bol kubdi apni kaale jadu ki kriyaa aarambh ker deti h.
Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned
Kahi Nidhi hi to sonam ki maa to nahi . Kuchh to jdaw hai dono me .
Kubadi naina ke liye jal bun rahi hai h aur chalawa karan aur uske faimly ke khilaf dekhte hai aage kya hota hai