update no :- 202
Shani or karan ki vartalap abhi chal rahi thi ki tabhi karan ko ek anubhuti hui, esi anubhuti jisme aanand or sankat dono ka ahasas tha.
Karan shani se :- pitaji mujhe ye abhi kesi anubhuti hui, kya arth h iska.
Shani :- ye anubhooti tumhare aane wale bhavishya ka purvabhas h putr , ye sanket h putra ki ab tumhare jivan ke sabse mahatvapurn adhyay ka aarambh hone wala , or sath me aarambh hone wali tumhare jivan ki sabse kathin parikshaye, jinke parinam p keval na ki tumhare apitu is pure brahamand ka bhavishya nirdhaarit karegi.
Isliye putra mujhe asha h ki tum aane wali un parikshao m humesha ki tarah dhairya or satkarm k raste p chal ker un parikshao m uttirn hoge.
Karan :- esa hi hoga pitaji, mera ye purn pariyatna rahega ki m aapki asha p khara utru .
Ab mere liye kya aagaya h bhagwan.
Shani :- putra philhal k liye to tum apne parivaar ko samay do or swayam bhi maa k prem roopi amrit ka aanand lo.
Parantu uske sath ye bhi praytn kerna ki naina ko kisi bhi tarike se krodh or burayi se dur rakhna or fir tum shighr apne karmbhumi (karan ka shahar jaha wo rahata h) kyunki bhale hi samraat ka ant ho chuka h, iska ye arth ni ki burayi ka nash ho chuka.
Balki ab vo or bhi sajak ho chuki h or apne aap ko or bhi sudrid bana bal se ya chal se kese bhi vo tumhe or is sansaar ko hani pahuchane ka prayaas karegi or sabse mahatvapurn tumhara or jyoti ka 21 va janm din bhi aane ko h, jiske sath na keval tumhari shaktiya tumhe praapt hogi, apitu sath m vo kali shakti bhi lotegi, jiska ant kerne k liye tumhara janm hua h.
Isliye apni anant shaktiyo ko dharan kerne k liye tumhe swayam ko sajj kerna hoga or vo bhi shighra ati shighra.
Karan :- jo aagaya pitashri, aapne jese nirdesh diye h vesa hi hoga.
Ye bol karan shani se vida le niche chal pada apne room ki or dopahar ka time tha to sab apne apne kamre m aaram ker rahe the.
Isliye karan ne kisi ko disturb kerna sahi ni samjha or jyoti ko pukarte hue apne room m enter hua.
Karan pukarte hue :- gudiya, gudiya...
Karan bolte bolte ruk gaya kyunki usne paya ki uski gudiya yani ki uski pyaari bahan to soyi hui h.
To karan chup ho bas muskurate hue jyoti k paas jata h or pyaar se jyoti k mathe ko chum leta h or apne aap m hi bolta h.
Karan :- sote hue kitni pyaari lagti h meri gudiya.
Tabhi uski najar pas m hi soyi hui Uski choti bahan naina bhi soyi hui thi, dono jab apni maa ki god m so gayi thi, tab aasha ne undono ko eksath sula diya tha, bhale hi bhai bahano k bich k man mutav k kaaran bilkul ni banti thi, lekin naina apni maa k samne shant rahati thi, kyonki vo ni chahti thi ki uski maa ko filhal k liye thes pahunche , vo bhi jab jab itne salo baad unke jivan m khushiyaan aayi thi.
Karan pyaar se naina k bhi mathe ko chumta h, or uske sir ko pyaar se sahalata h or pyaar or chintit swar m use niharne laga, kyunki karan ne jo ahasas kiya tha uske baad uski chinta naina k liye or jyada bad gayi thi.
Karan man ne :- naina meri bahan, kese kese tumhe yakin dilau apni nirdoshta ka kese tumhe samjhau ki tum anjane m us rah ki or agrasar hone ko tatpar ho jiska parinam atyant bhayankar hone wala h, kese..
Tabhi karan k kaano m asha ki aawaz padi.
Asha majak kerte hue :- haaye kash hume bhi koi esa milta jo humari itni chinta kerta.
Karan muskurate hue apni maa k majak ko aaage bhadate hue :- ye aap kya bol rahi ho mumma
Asha :- or ni to kya bolu, dekho to mera babu to jese bhul hi gaya, use apni bahano ki to khub chinta h, per ese ni ki apni maa se bhi uska hal chal puch le, mano jese apni mumma ko to bhul hi gaya mera babu.
Asha karan k bagal m bethte hue ye baat boli.
Karan apni maa ko side sw gale lagate hue bola :- kesi baat kerti ho mumma aapka babu kabhi apni mumma ko bhul sakta h, (nam ankho se) aap ni janti mumma kitna tadfa h aapka babu aapko yu gale lagane ko , aapke is amritmay prem ko.
Karan ka ab sabra ka bandh tut chuka tha, itne dino usne apne aap p control rakha hua tha, taki sabki khushiyo k rang m bhang na pade or specially apni gudiya ko bhi sambhalne k liye bhi, taki usko rota dekh jyoti bhi kahi na kamzor pad jaye.
Karan :- mumma aapko pata h ki aapke jane k baad m bilkul tut chuka tha, mere to jine ki koi chah hi ni bachi thi, or gudiya..
(Siskte hue) or gudiya bhi sara din bas roti rahati thi, aapke janti h mumma, humne to bas jine ki ummid hi kho di thi, or uper se papa k vyavhaar k baad to hume hum....
Iske baad karan se kuch ni bola gaya or wo apna dhairya purn roop se kho fut fut k rone laga, aaj karan k sine m daba itne salo ka sara dard ek sath bahar aagaya tha, jab usko apni maa ka prem ka sahara mila to usne apna sara dird nikal rakh diya apni maa k anchal m.
Or esa hona bhi swabhavik tha , kyunki ek maa se bada santaan ka mitra uska hiteshi bhala koi ho sakta h, ek maa hi to h jiske aanchal m santaan apna har dard or dukh bhula deti h.
Asha apne jigar k tukde ko yu rote dekh tadaf uthi, usse ye saha na gaya usne turant karan ko sine se laga liya kas k or pyaaar se chup kerate hue.
Asha :- (puchkarte hue) na mere bache na rote ni h, tu to mera bahadur laal h naa.
M janti hu mere bache tumne kya kya ni saha tumne to mujhse sab chupa liya tha lekin tumhaari bhua ne mujhe sab kuch bata diya.
(Rote hue) apni is abhagi maa ko maaf ker de mere bache m tumhari or tumhari gudiya ki doshi hu, mane apne swarth m tum dono ko akela jo chod diya is jalim duniya me, apni maa ko maaf ker de mere bache.
Ye bol asha bhi rone lagi, jab karan ne apni maa ko yu rote dekha to usko bilkul acha naa laga, usne turant apne dukh ko bhula k jaldi se apni maa ko shant kerwate hue aansu poche or unka hath thamte hue niche uske samne bethte hue bola
Karan :- ni mumma please aap maafi mat mangiye, aapka babu aapse bilkul naraj ni h, aapne jo kiya humari bhalayi k liye to kiyaa na mumma or choti (naina) ki safety k liye bhi to ye jaruri tha na, or vese bhi maa aapka babu itna bada to ho hi chuka h Or itna samjhta h ki jitna hum aapke jane se dukh sahe usse kayi jyada dukh to aapne jhele h, taki hum surakshit rah sake, to ese m esi mahan maa se bhala koi santaan kese naraj ho sakti, balki i Proud of you mumma.
Aap duniya ki sabse best mumma ho, m kitna lucky hu jo aap mujhe meri mumma k roop m mili.
Karan ki yu bacho bhare swar m itni samjhdari vali baat sun asha ka hriday gad gad ho gaya usne turant karan ko niche se utha apne sine se lagate hue boli.
Asha :- Lucky to m hu mere laal, mere chand, m kese shukriya karu mahadev ko jo mujhe tum jesa samjhdar or apmi maa ko itna pyaar kerne wala beta mila,(jyoti or naina) jyoti or naina jesi samjhdar or bahadur betiya mili.
Karan :- mumma.
Asha :- ha mera bacha.
Karan :- mumma aap vada kero ki ab aap mujhe or gudiya ko chod k kabhi ni jaogi.
Asha karan ko or jor se apne sine se lagate hue :- ha mere laal m tumse wada kerti hu ki jab tak is deh m pran h tab tak tumhari maa to humesha sath rahegi or fir marn...
Asha aage kuch bolti usse pahale hi karan asha k muh p hath rakh deta h or nam ankho se apni gardan na m hilata h, jese bol raha ho ki na mummy aage se esi manhoos baat kabhi mat bolna.
Or fir karan wapas asha k sine se lag jata h abhi dono maa bete abhi aapas me gle lage hue the ki tabhi karan ko mahasus hua ki koi piche se uske gale laga, jisko usne agle hi shan bina dekhe pahachana liya.
Karan bas itna hi bola :- badi jaldi uth gayi meri gudiya.
Ji ha dosto ye jyoti hi thi jo abhi abhi uthi.
Jyoti :- ji bhaiyu, or ye kya bhaiyu sara pyaar mumma ko hi doge apni gudiya ko to bhul hi gaye or mumma aap bhi, lagta h mujhe koi pyaar hi ni kerta .
Tabhi asha karan ko kuch ishara kerti h jise samjhte hi karan k chahre p shararti muskaan aajati h or isse Pahale jyoti kuch samjh pati.
Usse pahale hi asha or karan ne jyoti ko sofe p apni or khich liya or ek sath gudgudi kere lage.
Karan gudgudi kerte:- kya boli chipkali hum tujhe pyaar ni kerte, pyaar ni kerte ab bata kesa laga humara pyaar.
Jyoti haste haste lot pot hote hue :- hihaha, haha, mumma bhaiyu, bas kero haha, sorry m to majak ker rahi thi.
Asha gudgudi kerte hue :- majak ker rahi thi, majak ker rahi thi, ab humara majak kesa laga .
Karan or asha pahale to jyoti ko khub hasate h or fir ek sath dono side se gale lagate hue karan.
Karan :- pagli , tu to humari pyari gudiya humari jaan h tu, tujhe bhala hum bhul sakte h, kyu mumma.
Asha dono ko fir se apne sine se lagate hue :- mere to mere dono bache hi mrmeri jaan h mere laal, tum dono humesha yu hi bas khush rahanaere bacho or humesha hi apna ye pyaar barkraar rakhna.
Karan or jyoti ek sath :- ji mumma.
Ye bol vo dono ek sath apni maa se lipat gaye, jaha tino maa bete beti itne salo ki duriya dur ker rahe the.
Wahi usi kamre m mojud do ankhe thi, jo unhe hi dekh rahi thi, jo or kisi ki thi, jo naina ki hi thi, jo jag to chuki thi, lekin wo wahi leti hui sab dekh rahi thi, uske chahre pe ek ni kayi tarah k bhav najar aarahe the or sath m uski ankho m pani bhi tha, parantu ye ansuo ka kyaa kaaran tha wo rahasya sirf naina hi janti thi.
Wahi dusri or
Tridev bhi in tino ka milam dekh jaha man hi man muskura rahe the, wahi brahmdev k chahre pee chinta ki lakire saf saf najar aarahi thi.
Narayan :- kya baat h brahmdev, aapke chahre per karan or jyoti ko sukh ko dekh prasanta to h per mukh per ye chinta ki rekha kyu.
Brahmdev :- chinta ka vishay to h hi narayan or mere chinta ka kaaran h naina, uske vyavahaar m aaya ye parivartan kisi bhi roop m sadharan to kadapi ni h, na jane kyu mujhe lagta h ki naima ko itne varsho tak karan or jyoti se yu dur rahana koi sadharan sanyog to bilkul na tha, kuch to bahut guhd rahasya chupa h iske piche.
Mahadev :- aapka aashanka uchit h brahmdev, karan or jyoti ko itne varsh door rakhne ka sirf unki suraksha ka hi kaaran na tha, ek bahut bada rahasya h jo aaj tak humne , narayan or shani ne is sansaaar se yaha tak ki aap se bhi brahmdev.
Brahmdev chonk ker :- kesa rahasya mahadev.
Mahadev narayan ki or dekhte h to narayan ha m apma shish hilate hue bole.
Narayan :- wo rahasya hum aapko batate h brahmdev.
Ye bol narayan ne brahamdev ko naina k janm ki katha aarambh se batayi jise sun brahmdev buri tarah chonk gaye or bole.
Brahmdev :- mahadev mujhe aap per purn vishwas h bhagwan, parantu apne esa kerke bahut bada jokhim liya h bhagwan, karan ki ek bhul is sansaar ko nash tak pahuncha sakti h.
Mahadev :- jokhim to hum esa na kerte to bhi or jyada tha brahmdev, kyunki sach to ye h ki bina naina k karan or jyoti apne lakshya ko kabhi purn ni ker payenge.
Or rahi baat jokhim ki to he brahmdev, is sansaar m sabse bada karm h, or mujhe putra karan k satkarmo p purn bharosa vo sirf karn or uskr parivar k hi ni balki is sansaar ko suraksha pradan karegi.
Lekin vese bhi abbi samay h usme brahmdev, is samay to samay h ek or adbhut premi jode ko unke prem k ahasas hone ka, jo dandnayak ki is yatra m vishesh bhumika nibhayegi.
Back to the hero
Raat ka time ho chuka tha or aaj sara parivaar ek sath dinner ker rahe the lekin ye kya yaha to apne hero ki halat kharab ho chuki thi.
Kyunki uski sabhi bahane , bhua or uski chachi mami or dono mao ne apne hatho se khilane k chakkar m use itna khila diya tha ki uski halat patli ho gayi thi.
Karan pet pakad ker :- are bas kero deviyo, daya kero, ab kya khila khila k bache ki jaan logi kyaa.
Karan ne ye baat itni funny way m boli thi ki sabhi has pade, tab kavya boli.
Kavya ek grass badhate:- tu chup ker abbi to tune kuch khaya ki kaha, dekh to kitna kamzor ho chuka h.
Shruti haste hue :- are bas kero choti bhua ese hi aap big bro ko khilati rahi to unka six pack family pack ban jayega or fir sab inhe motu motu kahake chidayegi, specially m to kah k lungi inki
Rekha :- e nigodi chup rah,khabardaar mere bache ko kuch kaha to itni badi ho gayi h, fir bhi akal ni h kidher kya bolna chahiye or ye koi tarika h apne bade bhai se Baat kerne ka , chal abhi. Maafi mang karan se.
Karan :- are relax my dear mami, ab bahan apne bhai se majak ni karegi to or kisse karegi or vese bhi maami, m is tikhi mirchi ko seriously leta hi ni.
Ye bol karan has deta h or uske sath rekha bhi.
Shruti karan k chati p mukka marte hue :- kya tum bhi big bro.
Yu hi hasi majak k bich sabne dinner kiya, Per karan ne ek baat notice ki ki jabse kaya ko uski sachai pata chali h jabse wo khush to h lekin bahut shant bhi h or yaha tak ki us din k baad se undono k bich baat bhi ni hui dhang se, to karan ko laga ki shayad usse naraj h kaya, isliye usne jald hi kaya se baat kerme ka decide kiya.
Wahi dusri or
Naina apni team yani veer or preety ko dinner k baad chat p bulati h.
Preety :- kya baat h sister, tumne is wawt hume yaha kyu bulaya sab sahi to h na
Naina :- ha di, sab sahi h, tension mat lo.
Veer :- fir is waqt yu hume yaha bulane ka kaaran.
Naina :- wo isliye veer kyumki waqt aagaya h humari is yatra k us sathi se vida lene ka jinke margdarshan k bina hum kabhi is sukh bhare palo ko ni ji pate jo aaj ji rahe h.
Naina ki apni baat puri kerne k sath hi vahi ghora baba prakat hue , jinhe dekh tino pranam kerte h.
Ghora baba :- khush raho mere bacho or tumhe bahut bahut abhinandan ki tumne na keval apni manjil ko praapt kiya balki is sansaar ko durachaario se mukt bhi kiya.
Or isike sath mera bhi karya purn hua mere bacho devi ma ki agya se hi m tumhare jivan m aaya tha, ab samay aachuka h mere tap k liye lotne ka.
Naina nam ankho se :- baba apni is bavhi k liye koi margdarshan.
Ghora baba :- meri bachi satkarm k marg p sadev chalti rahana jese abbi tak chalti aayi ho.
Or kuch nirdesh deker baba bhi anterdhyan ho gaye , naina ki ankho m viyog k aansu aane swabhavik the , kyonki vo ghora baba hi the jinke margdarshan k kaaran hi aaj vo apne parivar ko pa saki thi.
Preety :- to sister ab aage ka kya plaan h.
Naina :- plan kya h di, thode din yaha dadu or nanu k ghar rukenge or fir lot chalengw wapas apne ganv maa k sath.
Veer :- ganv? Kya matlab naina ganv kyu kya tum apne asli ghar ni jaogi apne bhai bahan k sath.
Naina tez aawaz me :- ni h wo mere bhai bahan.
(Fir khud ko control kerte hue) mere liye mera ghar to mera vahi h jaha mane mere baba k sath jindagi bitayi veer or mujhe or meri maa ko vaha jane se koi ni rok sakta.
Aaj k liye bas itna hi
Stay tuned