• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running (restart)

Kya mujhe story restart kerni chahiye

  • Ha bilkul

    Votes: 43 89.6%
  • Ni , rahane do

    Votes: 5 10.4%

  • Total voters
    48

Secretshiva1

Member
215
671
109
Har baar ki tarah update pehle wale se bhi bahut achha.
Aapke updates ko padh kar lagta hai jaise sab kuch aankho ke saamne ho raha ho.
Har word feel hota hai.
Aur kya kahe har lamha aisa lagta hai ki jaise sab kuch hote hue dekh rahe ho aur har character ka dukh aisa lagta hai jaisa kudh par beet rahi ho.

Rahi baat kahani ki toh kitna kuch hua ki samjh hi nahi aa raha kaha se suru ki jaye taarif matlab naina ka chal, karan jyoti aur asha ka tyag, kaya ka sakha prem toh jaise shri radha aur shri krishn.

Par bhai ek shikayat toh hai kam se kam kuch samay toh dete ASHA ko Karan jyoti ke sath.

Baaki jaise maalik ki ichha.


Ek baat aur jab karan jyoti ko tyag ke bare me batata hai toh aisa lagata hai jaise abhi karan kahega ki.
GREAT POWERS COMES WITH GREAT RESPONSIBILITY.
 

Harry rocks

Well-Known Member
7,284
18,814
189
Har baar ki tarah update pehle wale se bhi bahut achha.
Aapke updates ko padh kar lagta hai jaise sab kuch aankho ke saamne ho raha ho.
Har word feel hota hai.
Aur kya kahe har lamha aisa lagta hai ki jaise sab kuch hote hue dekh rahe ho aur har character ka dukh aisa lagta hai jaisa kudh par beet rahi ho.

Rahi baat kahani ki toh kitna kuch hua ki samjh hi nahi aa raha kaha se suru ki jaye taarif matlab naina ka chal, karan jyoti aur asha ka tyag, kaya ka sakha prem toh jaise shri radha aur shri krishn.

Par bhai ek shikayat toh hai kam se kam kuch samay toh dete ASHA ko Karan jyoti ke sath.

Baaki jaise maalik ki ichha.


Ek baat aur jab karan jyoti ko tyag ke bare me batata hai toh aisa lagata hai jaise abhi karan kahega ki.
GREAT POWERS COMES WITH GREAT RESPONSIBILITY.
Shukar h bhagwan ka bhai aap najar to aaye , kaha rahate ho aap aajkal , eid ka chand hi ho gaye ho aap , itne dino baad review diya apne
 
  • Like
Reactions: Naik and Aakash.

Secretshiva1

Member
215
671
109
Shukar h bhagwan ka bhai aap najar to aaye , kaha rahate ho aap aajkal , eid ka chand hi ho gaye ho aap , itne dino baad review diya apne
Aaji hum toh hamesha se hi yahin hai. yakeen na ho toh dil chir ke dekh lo pata hota hai ki abhi hamare bhaiya ji ki kripa nahi milegi phir bhi roj mandir ka chakar laga hi lete hai ki kya pata aaj suraj paschim se hi nikal aaye.
 

Harry rocks

Well-Known Member
7,284
18,814
189
Har baar ki tarah update pehle wale se bhi bahut achha.
Aapke updates ko padh kar lagta hai jaise sab kuch aankho ke saamne ho raha ho.
Har word feel hota hai.
Aur kya kahe har lamha aisa lagta hai ki jaise sab kuch hote hue dekh rahe ho aur har character ka dukh aisa lagta hai jaisa kudh par beet rahi ho.

Rahi baat kahani ki toh kitna kuch hua ki samjh hi nahi aa raha kaha se suru ki jaye taarif matlab naina ka chal, karan jyoti aur asha ka tyag, kaya ka sakha prem toh jaise shri radha aur shri krishn.

Par bhai ek shikayat toh hai kam se kam kuch samay toh dete ASHA ko Karan jyoti ke sath.

Baaki jaise maalik ki ichha.


Ek baat aur jab karan jyoti ko tyag ke bare me batata hai toh aisa lagata hai jaise abhi karan kahega ki.
GREAT POWERS COMES WITH GREAT RESPONSIBILITY.
Aapki last baat bilkul sahi h , karan jyoti ko yahi sikh dena chahta h per kayi baar jarurini ki wo har jagah sahi ho , koi bhi insan perfact ni sab insan ko purn uska jivan sathi hi kerta h samay dene p uska sikh de sahi marg p laker , esa hi kuch karan k sath bhi hone wala h jab karan ko bhi ek important sikh milegi or uska mafhyam hogi uski ardhangini uski shakti yani ki jyoti
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,654
150,309
304
It will be appropriate to leave the problems in the coming time, it is futile to be worried from now on. Both Jyoti and Karan are right in their place but Naina does not understand this, Just as she had been yearning for her mother, so was the condition of both of them, It is foolish to give grief to our own family, if truth had come in front of Naina, it would not have happened today. We have not been able to find out who those people were yet but we will have to find out soon because it is not a good thing to delay too much. Jyoti's indifference has not endured me either, but I think this anger is in a few moments, everything will be fine later.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
🖤🖤🖤
 

Angelmahi

My life my rules 😎
102
304
63
update no :- 213
Location :- baikUnth lok


(Friends pichle update k end m much changes ker raha hu )



Narad ji or narayan Jo naina or Asha k bich hui batchit ko hi dekh hi rahe the or naina k emotional blackmailing k khel ko dekh narad hi bole.

Narad :- narayan narayan , prabhu ye kesi Lilla h aapki , naina jesi apne baba k mahan sanskaro se yukt ladki, itne nimn star tak gir jayegi , esa to kabhi dekhne ki humne asha bhi ni ki thi.

Narayan :- ye Lila ni dervishi , ye sansar ka wo shaswat staya h jise yadi ye sansar m sabhi samjh ker , apne me badlav le aaye to ye Sara sansar har burayi we mukt ho jaye.

Ha devrishi naina k sabhi guno or achai p krodh or pratishod rupi vikaro ne esa grahan laga diya , Jo us tak satya roopi Surya k prakash pahuchne ni de raha.

Narayan :- or niyati ka khel to dekhiye prabhu , in dono hi avguno k jite jagte udaharan humhare samaksh h.

Ek or jaha naina krodh or hat k vashibhoot ho marg se bhatak chuki h , vahi dusri or irsha or pratishod ki bhavna se grasit ho vo kerne ja rahi h jis kaaran sare sansar p khatra mandra raha h

Ha prabhu m shuchika ki baat ker raha hu, jo apne bhutkal ki bhul se sikh lene k bajay apne pratishod k apurti hetu aaps shakti prapti hetu kathor tap ker rahi h , or yadi uane aapse manchaha vardaan praapt keer liya to anarth ho jayega prabhu

Narayan :- devrishi karm kiya to fal to avashya praapt hota hi h , usi prakar tapasya ka fal dene k liye bhagwan bhi badhit hote h naradji .

Lekin aap kaha un chijo k liye kyu pareshan ho rahe ho devrishi , jo hui hi ni , filhal to hume ye dekhna hoga ki karan kese is bhavnao or karm k chakrvyuh ropi pariksha m kamyab hota h.

ye samay aane wali samasyao k bare m vichar kerne ka nindevrishi samay h ki kese is samay karan or jyoti k jivan m aane wale bhuchal se wo kese sambhalega ispe vichar kerne ka



Vo dekhiye devrishi kese niyati ne apna khel aarambh ker diya h.

Back to hero.

Jyoti ruansi or shikati anddaz me :- ye aap kya kah rahe ho bhai , maa humare sath esa kese ker sakti h.

(Yaha last update se thoda change h friends)

Karan ne naina or asha k bich hui baat or asha k fesle k bare m sari baat jyoti ko detail batata h

Karan nam ankho se :- gudiya jo hua usme maa ki koi galti ni , mane hi unhe esa kerne ko kaha.

Jyoti ko ye baat sun ek dhakka sa laga , wo herani se ruansi aawaz me boli.

Jyoti :- bhai aapne , lekin kyu.

Karan apni vivashata jatate hue :- m janta hu gudiya tujhe mere is fesle se tumhe bahut taklif ho rahi h , per m lekin yahi mama ji ki akhri icha thi gudiya or naina bhi yahi chahti h , to mamaji ki aatma or naina ki khushi k liye mujhe esa kerna pada.

Jyoti nam ankho k sath shikayati andaaz :- lekin humari khushi ka kya bhai , kyu humesha hume hi apni khushiyo ka balidaan dena padta h , bachpan se jis maa k pyaar ko hum dono tadfe us pyaar k wapas milne k bavjood use tyagne ka fesla aap akele kese le sakte ho.

Sabki khushi ki chinta rahati h aapko lekin apni is bahan ki hi khushi k baare m. Bilkul na socha aapne.

Kyu bhai kyu , kya aapke lie meri khushi apni khushi koi maine rakhti.

Karan rote hue jyoti k galo ko tham use samjhane ki koshis kerte hue :- kesi baat kerti h tu gudiya , tu to meri praan h , teri. Khushi hi meri khushi h , to bhala m uska khayal kyu ni rakhunga.

Jyoti masumiyat se :- to apne esa fesla kyu liya bhai jisse mujhe or aapko dono ko hi taklif jhelni pade.

Karan :- meri baat ko samjhne ki koshis kr gudiya, ki mamaji k ahasan h humpe to humara bhi farz banta h na gudiya is tyag ka.



Jyoti gusse me :- sab farz sab jimedari ka theka kya humne hi le rakha h kya bhai , kya humare prati kisi ka koi farz ni milta.

Or bachpan se hum tyag hi to kerte aaye h bhai , apni khushiyo ka apne sapno ka or mila bhi apno ka tyag hi to h , pahale humare hi maa humara tyag ker humse dur chali gayi or papa ne to hume kabhi apnaya hi ni bhai , humare pita ne bhi humarre tyag ker diya or choti maa ko bhi esa kerne ko majbur hi kiya, jab sabne mera tyag ker diya to sirf mera bhai hi tha yani ki aap hi the jisne apni is gudiya ko tyagne k bajaye apni gudiya ki har khushi

Or aaj jab aaj itne varsho baad jab hume apni wo khushi wapas mili to mere wahi bhaiya use tyagne ka bol rahe h ni bhai ni mujhse esa ni hoga , please bhai aap maa ko mana ker do na please

Karan nam ankho se sir jhuka k :- mujhe maaf ker de gudiya , tera bhai vivash h.

Jyoti ye sun rote hue gusse me :- i hate you bhai , i hate u.

Ye bol jyoti bhagte hue waha se chali gayi .

Karan jyoti ko pukarte hue :- are gudiya sun to..

Lekin jyoti ne karan ko bilkul ansuna ker diya or waha se roti hui chali gayi or piche chod gayi puri tarah se hatash or vivash rote hue apne bhai ko.

Karan bhi vahi beth k rone laga , usne bhale hi apne dandnayak hone k nate ye kathor fesla le liya tha , lekin sach to ye tha ki karan ki halat bhi jyoti jesi hi thi , usko esa mahasus ho raha tha ki jese usse uska sab kuch chin liya ho.

Lekin vidambna to dekho dandnayak k daitvo k kaaran vo jyada der tak apna dukh bhi jahir na ker saka , kyunki abhi vo jyoti ko manane ka soch hi raha tha ki tabhi usko kisi ka msg aaya

Jise sun wo apni priority apne farz ko di or wo turant waha se gayab ho aapahuncha apni chat pe jaha preto k raja uska inteezaar keer rahe the.

Note :- ye wahi raja tha jiska jikra part 2 m hua tha kal k sath mulakat hui thi.

Karan is samay apne dandnayak roop m waha mojud tha, usne hi pretraj ko pata lagane k liye kaam p lagaya tha.

Pret raj ::- pranaam dand nayak.

Dand nayak :- pranam pret raj , swagat h aapka , ab bekar ka samay vyarth kiye mudde p aate h , pret raaj kya aap pata laga paye wo pret kon the or unhonne vo sab kyu kiya.

Pret raj :- m shama chahta hu hey dand nayak , parantu puri kosis k baad bhi hum pata ni laga paaye ki wo log kon the , apitu jesa vivran aapne un logo ka kiya h or jesi us jagah pahunch hume urja mahasus hui us hisab se hum itna hum itna to purn vishwas se kah sakte h ki wo pret to bilkul ni the.


Tabhi vaha kaya or diya bhi pragat ho bolti h

Kaya :- pret raz bilkul sahi kah rahe h sakha wo pret ni the or diya k vivran or pishach lok m bhi pata lagane k baad bhi kuch na hasil hone k baad bhi hum bhi isi nirnay p pahunche h bhai.

Tabhi veer or preety bhi waha aa pahunche jinko bhi karan ne hi usi kaam p lagaya tha , wo dono mil ker hi ab tritya or brahamrakshaso ko lead ker rahe the.

Veer ;- maf kerna bhai hum bhi kuch pata ni laga paye.

Preety :- ha bhai , na hi wo braham rakshas the or trityao ki nishani bhala chupti thodi naa apse , I really very sorry bhai.

Dand nayak :- koi baat ni bhabhi aap udas mat hoiye m janta hu ki aapne veer or aap sab ne apni puri kosis ki h.

Lekin sawal ye h ki wo log ager pret , pishach , brahm rakshas ya tritya m se koi ni the to the kon.

Karan kuch der un sab se baat kerta h phir sabko apni khoj m lage rahane ko kah vida kerta h , sab chale bhi jate h , siway kaya ka.

Kyunki jo dost apni dost ki pareshani ko na pahachan paye , wo dost hi kesa.

Sabke jane k baad karan shunya ko nihar raha tha to kaya uske bagal m jaker usko puchti h ki .

Kaya :- kya baat h sakha , aap aj itne pareshan kyu najar arahe ho , koi problem h to apni sakhi se share ni karoge.

Karan :- are ni ni sakhi esa kuch ni h m to bas ye soch raha tha ki wo log kon the.

Kaya karan ka hath tham :- jyoti sahi bolti h sakha aapko jhut bolna bilkul ni aata , bhai problem share kerne se problem kam hoti h , mujhko apni cousin ko ni to kya , apni friend apni sakhi k sath share ker hi sakte ho.

Jyoti ka nam sun or kaya k pyaar bhare shabdo se karan ka dhairya tut gaya or wo kaya k gale lag rone laga or sari baat khul k kaya ko bata di

Kaya ko bhi ye sab sun bura laga , lekin is samay baki sab chod karan ko samjhana uchit samjha .

Kayaa ;:- sakha please shant ho jaiye , m manti hu ki aapne jo kiya wo sahi kiya , lekin jyoti bhi apni jagah galat kaha h , aap khud hi sochiye , ki itne varsho baad ek beti ko apni maa mili or achanak se firse usse yu dur hona pade to kesa mahasus hota h ye sirf ek beti hi samjh sakti h , m ye ni kah rahi ki aapne galat kiya lekin aapko decision lene se pahale aapko jyoti se puchna to chahiye tha na , isliye unki narajgi to banti hi h naa, per koi baat ni sakha m jyoti ko bahut ache. Se janti hu unki ye narajgi jyada time tak ni rahane wali , kyunki unka man bhi aapki tarah bilkul saf h .

Isliye aap chinta chodiye or ye sochiye ki humari pyari bahan ko manaya kese jaye or fir family se bhi to is bare m.baat kerni hi hogi na .

Kaya k samjhane se karan k chahre p muskaan aagayi or bina kuch bole wo kaya ko apne sine se laga uske gal chum use shukriya kerta h use is dukh se ubhar ek positines dene k liye.

Fir karan or kaya kuch der yu hi baate kerte rahe or karan apna man halka kerta raha.

Wahi dusri or

Jyoti or karan ki anban p char ankhe najar rakhe hui thi kamre k bahar se , jinme do ankhe to naina ki jo khush ho rahi thi karan ki ye tadaf or vivashata dekh vahi dusri do ankhe thi asha ki jo ansuo se bhari hui thi apne jigar k tukdo ko yu tadapte dekh.

Jab jyoti bhagte hue kamre se gayi to usne aaspas kuch ni dekha bas bhagte hue maa kali.k mandir m pahunchi or ghutne k bal beth rote hue boli


Jyoti mata se ;- kyu ma kyu humesha humare e sath hi esa anyay kyu ma , aakhir kis paap ka dand aap hume de rahi ho , mane or mere bhai ne kabhi sapne m bhi kisi ka ahit kerne ka socha tak , sadev dharm k path p chal har ek dukh ko jhela is aas m ki kabhi to aapko humpe daya aayegi or humari jindagi m.bhi khushiyan lotegi


Lekin hua kya , jab salo baad hume humari khushi humari ma hume wapas mili to wo bhi aapse dekhi na gayi or aapne firse humse door ker diya or to or jis bhai ne humesha mera sath diya , mere sath kadam p khade rahe unko bhi mere khilaaf ker dala .

Duniya aapko maa kahati h naa , aap jagat janni ho na to fir apni is santan k sath ye anyay kyu ma, apni santano m bhedbhav kyu maa.

(Tabhi jyoti k kandhe p kisi ne hath rakha or ek aawaz uske kano m aawaz padi ).

Asha :- maa kabhi apne bacho m bhedbhav ni kerti meri bachi

Jyoti jese hi apni ma ki aawaz sunti h to rote hue apni maa k gale lag rote hue boli


Jyoti ;:- ager esa h to please humare sath wapas ghar chaliye na maa , m ab aapke bina ni rah sakti bhai aapke bina ni rah sakte maa.

Asha nam ankho se :- m bhi konsa apne bacho k bina rah sakti hu beti , tum.domo to mere tukde ho atma k or bina. Atma k bhala koi rah sakta h bhala.

Jyoti :- yadi esa h to aap humare sath kyu ni chal rahi ma.

Tab asha ne bhi wahi sab use samjhaya jo karan ne samjhaya tha , apni vivashata ko prakat kerte hue .

Asha ;- beti tumhare mama k humpe bahut ahasan h tum hi batao jab tum apne bhai se itna prem kerti ho to m to tumhari ma hu na bhala m kese apne bhai ki antim icha ko nakaru meri bachi , m ni chahti ki aage jaker tum p koi lanchan lagaye krtighnta ka meri bachi , isliye m mjbur hu

Asha k kafi der tak samjhane p jyoti ko bhi dil p pathar rakhkar apni swikriti deni padi.

Jyoti :- thik h maa m esa kuch bhi aapko kerne ko force ni karungi jisse mamaji ko taklif pahunche , per aapko vada kerna hoga ki aap humse milne aate rahoge or roj phone p baat bhi karogi

Asha jyoti ko gale laga :- ye bhi koi bolne ki baat h meri bachi , m tum dono se milne jald waha aayungi or fir hum khub masti bhi karenge

Tabhi kuch esa hua jisse asha k muh se hasi nikal gayi or jyoti sharma gayi , kyunki jyoti k pet m bhuk se gud gud hone lagi.

Asha :- ale ale meri gudiya ko bhuk lagi h , aaj to m apni bachi ko apne hatho se khilaungi

Ye bol wo jyoti ko apne sath le jane lagi , tab jyoti boli.

Jyoti :- ma bhai ne bhi subH se kuch ni khaya.

Asha jyoti k bolne k.tarike se samjh gayi ki wo abhi bhi apne bhai se naraj h, lekin apne bhai ki chinta bhi h , jis kaaran vo khul k bol ni pa rahi , lekin usne itna jyada uspe dhyan ni diya , kyunki ye sab to bhai bahan m aam si baat hoti h.

Asha :- us badmash ne meri beti ko.rulaya h na aaj , to uski yahi punishment h ki usko aj kuch ni milega.

Jyoti chintit swar me :-. Maa

Asha :- are bas bas meri maa , itni chinta mat ker teri choti maa ko mane bhej diya h tere bhai ko khilane , ab chal tu bhi chup chap khale fir sone bhi chalna bhaiya ki chamchi kahiki .

(Ye bol wo jyoti k gal khich leti h ) .

Tab wo jyoti ko apne hatho se khilati h or baad m apne pas hi sula leti h

Wahi dusri or

Kavya bhi shivani k sath apne hatho m khane ki plate leker pahunch gayi karan k paas.

Kavya :- shivu dekhna lagta h tere bhaiya ne aaj apni choti maa or apni princess ko bhuka sulane ka irada bana rakha h.

Karan jese hi sunta h ki kavya or shivani bhuke h to wo turant khud k khayalo se bahr ate hue bola

Karam :- choti ma shivani aapne ab tak khana ni khaya per kyu

Kavya :- ese kese kha lu , jab tak mera lala bhukha betha ho ,bhala tab tak mere gale se ek bhi nivala kese uter sakta h

Shivani :- ha bhai isliye hi to mumma ne special plate ready ki h jisme hum dono ki favorite dish h aj hum sath m hi khana khayenge

Karan :- choti maa aap or shivani kha lijiye mujhe bhuk ni h

Kavya :- lala bad manners apni maa se kabhi jhut ni bolte chalo aaj m apne lal ko apne hatho se khana khilaungi.

Lekin karan jab bar bar kavya ka hath jhatak deta h to kavya apni kasam dete hue boli.

Kavya :- dekh lala ager tu ni khana khayega to m bhi kuch ni khane wali.

Shivani :- or m bhi ni khaungi (fir masumiyat se ) bhai please kha lo na mujhe bahut bhuk lagi h.

Shivani ki bachkani bat sun dono ma bete has dete h or fir karan apne hathiyar girane se pahale last koshis kerte hue.

Karan :- per choti ma gudiya.

Kavya :- tu apni gudiya ki chinta chod or apni ker kitna kamzor ho gaya h , ghar chal tujhe khila pila k motu ram na bana diya to m bhi teri choti maa ni .

Shivani haste hue :- motu ram bhaiya , acha nam h mummy keep it up.

Kavya :- chup badmash or beta jyoti ki chinta mat kero use ashu bhabhi ne khana khila diya h

Or fir kavya batati h ki asha ne use sab bata diya jo hua , lekin yaha fark ye tha ki asha ne kavya ko sirf ye bataya tha ki naina ki jid h ki wo thode din yahi ruke fir wo wapas kolkata lot aayege.

Kavya ko bhi asha k is decision se bura to laga , per wo bhi naina ko karan jyoti saman hi pyar kerne lagi thi , isliye kuch dim ki hi to baat samjh baat man gayi thi or sath m hi asha ne use karan or jyoti k jhagde k bare m bhi bataya tha , or karan ko sambhalne bhej diya tha jyoti k pas jane se pahale.

Karan jab kavya k muh se jyoti ka nam sunta h to firse udas ho jata h jab kavya use samjhati h

Kavya :- koi baat ji beta ese udas ni hote bhai bahan k bich to esa chalta rahata h , or tumhari gudiya to tumse chahker bhi jyada der naraj ni rah sakti , isliye tum tension free ho jao or taki hum ye soch sake ki humari ladli ko keSe manaya jaye

Ma to ma hi hoti h , bhale hi kavya karan ki sagi ma ni thi , lekin uska prem sagi maa se kam bhi na tha , jis kaaran asha ne jese jyoti ko shant kiya vese hi kavya bhi karan ko shant ker payi


Or fir kavya ne bhi karan ko aaj apne pas hi sulaya.

Agle din kavya or asha ne sabko apne kuch din yahi rukne ka fesla bataya to sabke chahro p mayusi to aayi , lekin kuch din ki baat samjh sab jald hi man gaye, lekin asli sachai to karan , jyoti naina or kaya hi jante the , jinke chahre latke hue the , jinpe ek fake muskan thi.

Or fir dopahar tak asha or naina ko chod sabne apni packing ker li , karan or jyoti sabse pahale veer or preety k gale mil unse vida lete h

Jyoti ;:- veer bhai ab m kuch ni sunungi , ab aapko bhabhi k sath jald hi aana hoga or roj phone bhi kerna padega kolkata humse milne ni to yahi aaker band baja dungi apka

Preety kalayi marodte hue ;:- ha bilkul didi or ager aapka kaha ni mana to aapko taklif kerne ki jarurat ni aapki bhabhi h na inki khatidari k liye.

Jyoti :- that's like my bhabhi .

Komal firse chedte hue :- bhAi m firse kah rahi hu ek baar fir soch lo , koi dusri dhund lo

Veer :- to sahi bol rahi h komal , vese teri koi friend single ho to kerwa de na setting

Ye bol wo preety ko chidate hue komal ko ankh marta h , jiske sath hi komal has padi.

Preety ye sun chidte :- veer k bache kya bola tu , ruk teri m kerati hu setting or tu bhaiya ki chamchi teri bhi aaj kher ni.

Ye bol wo dono ko pakadne k liye bhagi or uske aage aage bhage dono bhai bahan , veer bhag k jyoti k piche chup k

Veer :- bahan apni bhabhi se mujhe bacha le.

Jyoti nakhre dikhate hue :- bacha lungi per mujhe kya milega.

Veer :- are meri ma tu jo bolegi wo karunga , tujhse roj phone kiya karunga or jald hi milne bhi aaunga , bas is aafat ki pudiya se mujhe bacha.

Preety :- kya m aafat ki pudiya , tu to aaj gaya veer k bache.

Jyoti veer ko bachte hue :- are bhabhi bhabhi bhai to yahi h , abhi kuch time apni nAnad ko bhi dedo or vese bhi thoda wait kijiye jab aap sab vaha aoge to ek sath band bajayenge.


Preety :- to fir deal pakki nanad rani (veer se) ja bacha maaf kiya tujhe.


Veer hath jod :- bahut ahasan aapka meri amma .

Priya haste hue :- hihi bhabhi to bhaiya ti wifr se mumma ban dayi.

Priya k sath baki sab has pade tab tak sabka saman leke karan or rohan bhi bahar aata h or sabki good morning wish kerte hue jyoti k pas jane ko hua to jyoti preety ko sath leker dusri side chale gaye

Jise karan k dil m ek tis to uthi lekin usne khud ko control ker liya taki ese time p kisi ka mood kharab na ho


Karan bhi aage bad ker veer se gale milta h or gale milta h or bolta h ki .

Karan :- apna or bhabhi ka khyal rakhna dost or jald hi wapas milenge.

Veer bhi :- tu bhi apna or jyoti ka khayal rakhna dost or ha jarur milenge.

Ye bol veer muskurate hue firse ek baar gale lagta h or fir karan preety k sir p hath rakh k pyar se usse vida leta h

Fir last m dono bhai bahan ek sath bade unki or jinse bad ker unke liye kuch ni tha.

Yani ki apni maa asha ki or vo nam ankho k sath dukhi man se jhuk k apni maa k per chute h.

Asha bhi apne aapko rok ni pati or ankho se neer bahate hue apne jigar k tukdo ko gale laga liya.

Dukh or itne sal k purane jhakam abhi tak sukhe ni the ki nishthur niyati ne firse un 3no p apna julm dha diya tha , ek maa ko unke bacho se , ek bhabhi ko apni beti jesi nanad se or ek bahu ko uske pure parivaar se dur kerwa ke.

Karan or jyoti ka bhi bura hal tha firse apni ma se bichadne ka , jinhe kese n kese asha shant karane m lagi thi ,lekin karan or jyoti apni maa se alag hone ko teyar hi na the , lekin jab asha ko ye mahasus hua apne akele k bas ki baat ni to usne help ki ummid se kavya ki or dekha.

Kavya kese n kese karan or jyoti ko usse alag kerte hue :- are bas bas mere ankho k taro or kitna royoge, thode hi din ki to baat h , fir tumhari mumma bhi ghar lot aayegi, h naa bhabhi .

(Asha bechari kya bolti, vo bas jhut mut ki ha m gardan hilati h , jise kavya to normal samjhti h , lekin us ishare ka k piche ka asli dard sirf ya to asha janti thi ya fir karan or jyoti ko)


Garima :- dekha ab jaldi se apne chahre p apni pyari muskan lao or chalne k liye jaldi ready ho jao chalne ko mumy tumhari jald hi lot ayegi , waha tab tak tumhe apni choti maa ko hi jhelna padega samjhe.

Ye bol wo karan or jyoti ko gudgudi ni kerne lagi , jisse dono bhai bahan k chahro p hasi lot aayi, jise dekh asha or garima k chahro p muskan aagayi , lekin ye baat waha mojud sirf do log hi samjh sakte the ki dono bhai bahan ki ye muskaan jhuti h , or wo do the ek to karan ki dost uski sakhi kaya or dusri un dono ki maa asha .

Kyunki sirf wahi jante the ki jo ho raha h uski vastvikta kya h

Fir yu hi thodi bat chit k baad karan last m apni ladli or choti bahan naina k pas jata h or use bas pyaar se gale laga k bas itna hi bolta h .

Karan :- apna or maa ka dhyan rakhna meri gudiya.

Naina jo apni jeet or karan or jyoti ki ye halat dekh khushi se nach hi rahi thi man hi man , wo karan k yu khud k gale lagane p kuch na boli , kyunki uska mood bahut acha tha or vo is time koi bhakeda ker ke apna mood kharab ni kerna chahti thi.

Lekin naina ne apni krurta ni chodi , or ek tanz bhari muskan k sath bas itna kaha.

Naina :- ji bhai , aakhir abse maa ka humesha khayal m ni rakhungi to or kon rakhega yaha , aap bhi apna or di ka khayal rakhna vaha.

Naina k is tanz ko karan or jyoti achi tarah samjh rahe the , jisse unke dukhi man p ek or aghat hua , lekin dono hi bhai bahan ne khud p control kiya or jyoti bhi naina se gale milti h or ek akhri baar apne maa k gale mile or uske baad garima or kavya bhi .

Karam dhuki swar me jyoti se :- chale gudiya .

Ye bol wo apna hath aage bhadati h lekin jyoti ne bilkul usko ignore ker priya ko god m lete hue.

Jyoti :- chalo bacha ghar chalne ka waqt ho gaya.

Priya :- ha didi talo, m.aapki godi m hi bethungi.

Jyoti priya k pyar se uske gal khich uske gal chum :- ha kyu ni mera bacha , ab chale .

Priya :- ha chalo didi.


Ye bol wo gadi m chali gayi or uske piche baki sab bhi.

Karan ko jyoti k ignore kerne se dukh to bahut pahuncha lekin usne apni maa k samne jahir na hone diya or fir wo bhi gadi k chad driver ko chalne ka bol jab tak darwaje p khade rah ker apni maa ko niharta raha jabtak wo uski ankho se ojhal na ho gayi esa hi kuch jyoti bhi khidki se ker rahi thi.

Asha bhi nam ankho se vivashata purn apne bacho ko apne se dur jate hue vahi khadi jab tak dekhti rahi jab tak gadi dur ni chali na gayi.

Naina asha se :- ma wo log gaye , ab hum bhi chale ghar me

Asha ek baar naina ki or ek baar dekhti h or fir kuch na bol waha se dodte hue ghar m chali gayi.

Jise dekh ek second naina ko chinta hui , lekin agle hi pal uske chahre p khushi fel gayi , khushi jeet ki , khushi apne swarth ki pushti ki.

Naina (side m khadi preety se jo veer k sath vahi khadi ye sab hote dekh rahi thi) se boli :- dekha preety mane kaha tha na ki chahe kuch bhi ho jaye m apni maa ko kahi ni jane dungi us hathiyare k sath to bilkul ni , dekha aakhir jo bola vo ker hi dikhaya na mane , kese apni har se rote muh latkate hue gaye wo dono kamine.

Preety gusse or dukh k bhale swar m :- sister aaj jo tumne kiya wo bahut galat kiya , mujhe tumse umid ni thi.

Naina :- galat or mane , mane kya galat kiya di.

Preety :- sister itni bholi mat bano ,. Mujhe sab pata h jo tumne bhua ko kal emotional blackmail kerke tumne jo roka h na.

Ji ha dosto preety ko sachai pata chal chuki thi , darasal hua yu ki jab karan chat p kaya se is bare m baat ker raha tha to vaha preety bhi aaphunchi thi kuch puchne wapas chat per tab usne sab sun liya tha , or sari baat sunne k baad usko samjh aagayi ki ye sab naina ka ek shatir plan h , or wo karan ko is bare m agah bhi kerna chahti thi.

Lekin ye unka family matter soch k chup rah gayi .

Naina ne jab ye suna to wo apni najre idher udher firate hue boli :- to kya galat kiya mane mere baba k kitne ahasan h hum ma beti p to unki akhri icha puri kerna humara dharm h
Or dharm nibhana kabse galat hua.

Veer ;- ager esa h to yahi baat humari ankho m ankhe dal k kah sakti ho tum naina yu najre chupane k bajaye , or sabit ker do ki tum galat ni ho.

Naina apni najre bachate hue :- kyu veer tumhe ab bharosa ni raha kya apni dost p


Veer :- mre kahane ka matlab vo ni tha naina per.

Naina :- per ver chodo veer mane kaha na m jo bol rahi hu sach hi bol rahi hu , or chalo ab ghar chalte h vese bhi mujhe maa ka bhog laga k dopahar ka vishram bhi karwana h unhe.

Ye bol vo bina age bat kiye ghar m chali gayi of piche chod gayi khud uske liye hi parshan apne dosto ko.

Veer :- preety aaj jo naina ne kiya vo bahut hi galat hi kiya h ,mujhe vishwas ni. Ho raha humari naina aisa kam ker sakti h

Preety udaas aawaz se :- yahi bat to mujhe bhi khayi ja rahi h jaan kya ho gaya h humari naina ko , kitna badal gayi h wo kayi baar to mujhe essa lagta h ki ye wo naina h hi ni jiske sath humne itna lamba safar kiya , ek dusre k sath har dukh sahe

Veer :- ha jan Humesha dusro ko marg p lane wali dost aaj khud hi apna marg bhatak chuki h , dwesh m usne wo marg ko hi chun liya , jiske khilaf wo aajtak ladti aayi

Preety :- or dost hone k nate ye humara kartavya banta h veer ki hum use samjhaye or wapas humari purani naina ko lota laye , ise pahale ki kuch anarth ho jaye humari pyari saheli k ssth.

Veer :- tum bilkul sahi bol rahi ho preety , ab hume hi kuch kerna hoga.

Veer or preety naina ko samjhane ka nishchit ker nikal pade apne ghar ki or

Next day :- raat ki 10 baje

Karan or uski family ab kuch hi door thi apni city se , sab k chahro p khushi to thi ghar lotne ki lekin mayusi bhi ki asha unke sath ni aayi thi

Lekin karan or jyoti to muskurana hi bhul chuke the , specially karan to mano dugni mar jhel raha tha ek or to ma se bichudne ka dukh or upper se apni jan apni gudiya jyoti ki usse narsjgi.

Parso ki kaha suni k bad jyoti ne ek shsbd ni kaha tha karan se , karan jab bhi usse baat kerne ki kosis kerta to ya to wo ignore ker deti ya koi bahane se uth ker chali jati.

Karan firse ek koshiskerte hue jyoti k pas jakee bola.

Karn :- gudiya tujhko pata h ab thodi drr bad hum apni city m enter ker jayenge , kitna maja aayega na aaj itne din baad hum apne ghsr m apne room m soyenge ek sath.

Jyoti kuch ni bolti bas window ki taraf dekhte hue sirf itna jwab deti :- hmm.

Tabhi priya waha ati h or bolti h

Priya :- didu , didu mujhe aaj aapke pas sona h to please aj aap humare yaha ruk jao na.

Jyoti ek bar karan ki or dekhti h or fir priya ko god m lete hue boli :- mera bacha kuch bole or m na manu kabhi esa hua h , chalo thik h aaj hum ek sath soynge or khub masti karenge.

Priya khushi se :- yaay.

Jyoti uth ker garima k pas jati h or bolo.

Jyoti :- bhua kya m please aapke yaha ruk sakti hu.

Karan jo ye sab dekh raha tha , jab usne jyoti ka ye rawaiya dekha to uska dil mano yut hi gaya , aaj pahali bar tha jab jyoti uske sath sone se na keval mana ki thi , balki use bbilkul najarandaz hi ker diya tha

Kavya jo wahi thi jab usne karan ki or dekha to sara majra samjh gayi or boli :- Are jyoti beti bhua itne lambe safar k bad thak chuki h unhe kyu pareshan kerti ho , aap esa kerma na ap kal chale jana.

Garima :- are bhabi jyoti to meri beti h , mujhe radha se jyada pyari h meri gudiya , to bhala kya maa kabhi apne bacho se pareshan hoti h bhala .

(Jyoti se) jyotu tumhe mere sath chalna h na .koi baat ni aap ab mere sath hi aarahi ho , hum domo bhua bhatiji khub masti kerenge hai na.

Ye bol garima jyoti ko lejane ko ready ho jati h , jisse karan ka dil beth sa gaya or karan ko taklif m dekh keer kavya ka bhi yahi hal tha

Kuch der bad karan apni city m pahumch gaya , jaha sabse pahale garima ka hi ghar aaya , jaha abhi abhi hue decision k hissb se garima or uski family k sath jyoti bhi uter gayi.

Karan apni gudiya ko rokna chahta tha lekin chahker bhi hhimat ni ker paya , kyunki ab wo khud ko hi doshi samjhne laga tha apni bahsn k dukh ko or is narajgi ko wo apni saja man betha tha .

Wo kuch na bola or jyoti ko jata hua dekhta raha nam ankho se.

Jyoti bhi ghar m entee kerne se pahale ek baar piche mud k dekhti h or jese hi uski ankhe karan se takrayi to uska rota chahra dekh wo bhi tadaf uthi uski amkho se bhi pani bahane laga , lekin agle hi pal khud ko control ker wo wapas mud ghar m chali gayi or gate band ker liya.

Kavya or kaya k sath waha ek jan or tha jo karan k bina kshe hi uski taklif ko bhali bhanti pahachan chuka tha or wo thi uski dusri shakti sonam , jo apne bhsi ko yu taklif m dekh mam hi mam khud bhi ro rahi thi , use sachai ka to pata n tha , lekin kal se apne bhai ki ye halat dekh wo samjh chuki thi ki kuch to bahut bura hua h uske bhai k sath

Or isliye wo apne bhai se bat ker uska dukh mitana chahti thi , lekim uske liye ye jagah sahi ni thi , isliye wo ghar pahuchne ka intezar ker rahi thi.

Jyoti k jane k baad karan khud ko sambhalta h or driver ko gadi apne ghar le jane ko bolta h.

Karib adhe ghnte baad karan or uska parivar ghar m pahunch jate h , wo apni bahano or choti ma ko ghar m jane ko kahata h or rohan k sath mil sab saman bahar niksl driver ko pay ker chal pada hatash man k sath apne ghar k ander

Aaj k liye bas itna hi.

Stay tuned
BHt hi mst uodate h bhai...
 
Top