khoob rager
rager ker badan hoyya..na jaaaney kis tarah sey bach gai thi mey…
khair khoob dair tak soti rahi…lekin meri halat sambhatey sambhltey subah ho gai….
aaj mey college nahi gai…aur na maloom ker sakki key jolie aur us ki maa ka kiya hua..kahan gaye who log jo kal tak wahan muqeem they…
aaaj mey sab kuch diary mey likh ney bethi houn…
ab heraan hoti houn key mey kis raastey per challi gai thi …mein paisa leker chudai karvati thi jisse ek Randi bhi kaha jata hai
ager yeh haadsaa na hota to kiya manzil thi meri…mey to aik rundi ban hi gai thi…kuch dinoun baad kiya anjaam hota mera..kiya haal hota mera..mey ney apney maa baap apney khaandaan kisi ka na socha aur sab kuch daao per laga diyya tha…
who to meri qismat achi thi to bach gai..werna shubnam aunty key haath to jo lag gaya us ka anjaam kuch zada acha nahi hua kerta….
jolie ki misaaal merey saamney thi…
khair mey bach gai thi aur yeh ehad ker chukki thi key ab jawaani ki germi key aagey is qader beqabo nahi ho jaoun gi key aankh rakhtey hoye bhi andhi ho jaoun…
mey ab tak samjh nahi saki houn key who konsi quwat thi jis ney mujhey is raah per daala…na jaanhey kahan sey mujh mey itni himmat aa gai..
mey akeley hotel ja pohnchi…
akeley anjaan logoun key saath gaari mey beth ker anjaan rahoun per challi gai..
shayyad is liye key aurat ki sab sey qeemti cheez to us ki hayya aur izat hi hey jab mey wohi neelam kerney gher sey nikli thi to phir kis baat ka der…aur phir who konsi taqat thi jis ney us dunniya ki sirf aik jhalak dikhla ker mujhey wahan sey ghaseet ker wapis apney ghr ki chaardewaari mey laa phainkaa…
werna mujh jaisi lerkiyaan jo in rahoun mey nikal jaatin hain to un key liye gharaoun ki chaardewaroun ka tahafuz bemaaani ho jaaya kerta hey…
un ka naam, un ka khaandaan sab benishaaan ho jaya kerta hey…lekin meri qismat mey merey saath aisa hona likha nahi tha werna to mey apna pora pora intezaam ker chukki thi…to yeh they merey in guzarney waaley dus dinoun key who waqiyaaat jinhoun ney merey sochney key dhung ko badal daala…
mey ney mehsous kiya bhut qareeb sey ekha..key sex tab hi aurat ko bherpor maza deta hey jab mard ki mohabbat us mey shamil ho…
ager mard jismoun ka sodager ho ga to her cheez bekaar ho ker reh jaati hey…
khair ab to sex key naam sey hi der lagney lagga tha…
filhaal jissam ki aag sard thi…jazbaat mey koi hulchul nahi thi…pora din gher per guzaara..aaj bhai sey bhi barey din baad batain hoi ..
who shikayat ker raha tha key ab to tum her waqt room mey ghussi rehti ho…
khair mey ney perhai ka bahana bana diya…
filhaal college mey koi important classes bhi nahi ho rahi thin to college sey kuch dinoun ki chutiyoun ka dil ker raha tha..
maa papa ney bhi ijazat dey di kion key who dekh hi rahey they key itney din sey mey kis jee jaan sey perhai mey jutti hoi thi…
ab yeh to who nahi jaantey they key mey konsi perhai mey jutti hoi thi…
mey to dus din sey college bhi nahi gai thi…
khair kal jaoun gi college aur application dey ker aik month ka off ley longi…
bhut thuk gai houn…zindaggi bhi achanak kis mour per ley aai hey mujhey….
Yeh kaafi saarey din bari tezi sey guzer gaye…..
mey khud per guzerney waaley ajeeb waqiyaat ki tezi per heraan ho jaati houn kabhi..
sochti houn itni si umer mey ,mey ney zindaggi key kaafi saaret roop dekh liye hain…
khair taizraftaar waqiyaat ney kaafi din mujhey meri behtreen dost nazia sey dour kerd iyya tha..
abhi kuch din pehley achanak hi us ka phone aaya..
pehley to who barri naraaz hoi key tum ney online aana bhi band kiya hua hey..
mey ney us sey apni tabiyat kharaabi ka bahaan ker diyya…
khair jab us ney bataya key 10 din baad us ki shaadi hey to mey heraan reh gai key din kis qader jaldi guzer gaye…
mera dil aur dimaagh us waqat kisi bhi tafreeh ko qabool kerney key qabil nahi tha lekin who israar kerti rahi key tum ney zaror aana hey phir us ney mama sey bhi baat ki aur na jaaney kiya kaha un sey key who raazi ho gayen …
dosri taraf who yeh bhi dekh rahin thin key mey kisi bhi kaam mey dil nahi laga rahi…gher per bhi chup chup rehti houn…
unhoun ney socha ho ga key shayyad mahoul ki tabdeeli sey meri tabiyat bahaal ho jaaye… unhoun ney papa sey bhi baat ker li aur merey aur bhai key karachi jaaney ki ijazat bhi ley li..
shayyad yeh sab 15 din pehley hua hota to meri khushi ka koi thikaana na hota lekin meri tabiyat barri udaas thi…
bhai bara khush tha karachi jaaney key naam sey aur who bhi nazia key gher rukney key khayal sey shayyad..
akhir aik arsa us ney ussey apni daashta bana ker rakha tha …lekin mujhey koi khaas khushi na thi…dil per ajeeb udaasi chaai rehti thi…
mey ney koi tayyari tak nahi ki…mama ney khud hi mera bag pack ker diyya…aur din guzertey challey gaye….kal humain jaana hey …rawaangi key din itney qareeb aa gaye…
bhai mey khoob tayyari ki hey…train per aik compartment book hey…kal humain nikalna hey yaan sey…ab jab jaana hi per raha hey aur who bhi apni behtreen dost ki shaaadi mey jis key saath mey ney apni zindaggi key kuch behtrren pal