Update 3
Ab ham chalte hai Aadi lok jahan daivik ne rakshak ke urja ko laya tha
Rakshak ka urja achanak yahan per aane Se thoda pareshan ho Gaya use yah samajh mein a gaya tha Ki use yahan per Kisi Sakthi Sali urja ke Malik Ne hi laya hai
Rakshak energy-mujhe yahan par kisne laya samne aao
Abhi rakshak ki urja apni baat ko khatm bhi nahin Kar pai thi ki vahan per ek energy ball a Gaya
Rakshak ki urja ko us energy ball mein sirf positive energy hi dikhi jisse use pata chal gaya Ki use yahan per Kisi buri Shakti Ne Nahin laya hai.
Rakshak energy-aap kaun Hain aur mujhe yahan per laane ka kya Karan hai.
Energy ball - main tumhare sabhi sawalon ka jawab dunga lekin usse pahle main tumhe itihaas ki vah bate batane wala hun jise itihas ke panno se mita diya Gaya
Flashback
Hamare itihaas aur vedo main yah likha hua hai ki dharti per char yug Hain
Satyug
Tretayug
Dwaparyug
Kalyug
Lekin Kisi ko yah Nahin pata hai ki in sabhi yugo ke alava bhi ek aur yug tha sabse pahla yug
Aadiyug
Dharti ke nirman ke kuchh samay baad dharti swarg Se bhi Sundar ban gai thi tab dharti per bhagwan aakar rahane lage aur ve dharti ko hi apna nivas sthan bana liye. Dharti par vah Yug jab yahan bhagwan rahte the aadi yug ke naam se Jana jata tha
Kuch samay bad dharti per manav Ka Vikas shuru hua tab yahan bhagwan aur manav donon miljul kar rahte the bhagwan aur manav ke milane se jis nai prajati ka janm hua use ardhmanav ya ardhdev Kaha jata tha Dharti ka sabse pahla ardhmanav ya ardhdev daivik tha aur dusra pravik
Jab dharti per jansankhya badhane lagi tab daivik ne devtaon ki sahayata se dharti ke 2 dimension ka nirman Kiya jise earth2 aur earth3 kahan jata tha aur hamari dharti ko earth1 ke naam se bulaya jaane laga
Daivik ne e¹ e² aur e³ ke bich Kai dwar ke nirman kiye jisse log ek dimension se dusre dimension aur dharti per a sakte the.
Ek din achanak dharti aur dono dimension ko jodne vala darvaja gayab hone laga. Tab tridev ne sabhi devtaon ko dharti se wapas swarg Lok bula liya aur sabhi devtaon tatha insanon ki aadi yug ke sari yaddasht Mita diye itihas ke panno se aadi Yug ki sari baten hata Di gai. Lekin tridev ko yah Nahin pata tha kuchh aise bhi log Hain jinhen aadi yug ke bare mein abhi bhi kuchh kuchh yad hai aur ve hai
Shukracharya
Daivik aur
Pravik
Daivik ne Aadi lok ke sath 1 dimension se dusri dimension dharti per jaane ke liye ek gupt Marg ka nirman karvaya jiske bare mein Kisi ko Nahin pata tha tridev ko bhi nahin shivay daivik ke (kyunki daivik Ne ise khud banaya tha gupt roop se aur daivik ke marne ke baad is bare mein sirf daivik ke atma ko pata hai)