Credit goes to the original writer The Vampire.
Chapter 1 : The Meeting
"Mujhe nahi lagta ke aap is kaam ke liye sahi aadmi ko chun rahi hain" Maine apni anguli mein pehni sone ki anguthi ko ghumate hue kaha.
"Kyun? Mujhe toh bataya gaya tha ke aap is tarah ke hi kaam karte hain" Mere saamne bethi us boodhi aurat ne chashme ke pichhe se apni nazar mere chehre par jamate hue kaha.
"Ji nahi" Maine uski nazar se nazar na milate hue saamne rakhe chaai ke cup ko uthaya "Main ek reporter hoon, koi jasoos nahi. Is kaam ke liye aapko ya toh police ki madad leni chahiye ya kisi aise aadmi ki jo is tarah ke kaam ko bakhubi anjaam deta hai"
"Reporter?" Nazar mere chehre se hoti hui kamre ke ek kone mein khade butler ke chehre par pahunchi "Kya ye vahi aadmi hai jiske baare mein tumne bataya tha mujhe?"
"Ji haan, bilkul" Us aadmi ne fauran sar jhukate hue jawab diya.
"Vo tum hi ho jisne vo kahani chhapi thi, kisi aadmi ke baare mein jisne 2 khoon kiye the aur kabhi pakad mein nahi aaya tha?" Sawal is baar mujhse tha.
"Ji haan" Maine jawab diya.
"Aur tumhari kahani chhapne ke baad hi police ne usko pakda aur use saza hui?"
"Saza abhi nahi hui hai, case chal raha hai" Main janta tha ke ye baat kis taraf ja rahi thi "Par kaafi saboot hain aur 99% saza hi hogi"
"Toh matlab main bilkul sahi aadmi se baat kar rahi hoon" Is baar chehre par muskurahat thi.
"Aap ...." Maine kehna hi chaha tha ke meri baat kaat di gayi.
"Pehle mujhe poori baat keh lene do" Chashme ke pichhe se vo nazar phir mere chehre par jam gayi, jaise meri rooh ke andar tak jhaankne ki koshish kar rahi ho "Tum jitna bhi ek mahine mein kamate ho, is kaam ke badle main tumhein har mahine uska 10 guna dene ko taiyyar hoon, bhale kitna bhi waqt lage aur bhale nateeja kuchh bhi ho. Har mahine ki tumhari tankhwah se alag 10 lakh tumhein ham filhal denge, kaam shuru karne se pehle hi, aur agar tumne kaam poora kar diya toh ham tumhein iska 3 guna aur denge"
"Aur agar main koi nateeja nahi nikaal paya toh?"
"Toh bhi ye 10 lakh tumhare"
Maine dil hi dil mein andaza lagaya, agar main 1 mahine bhi is kaam par raha toh 15 lakh kahin nahi gaye. Aur agar kaam ko poora anjaam diya toh aaram se 50 lakh tak bana sakta hoon. Ek aisi rakam jo agar main din raat kaam karun toh kamane mein shayad mujhe agle 10 saal aur lag jaane hain.
"Mujhe sochne ke liye ek din dijiye"
"Theek hain, aap hamein kal tak jawab de sakte hain. Achhe se sochiyega, ek insaan ke baare mein pata lagane ke liye ye bahut badi rakahm hai."
"Ji haan" Maine haami bhari "Par jis insaan ki aap baat kar rahi hain vo 20 saal se lapata hai"
"Filhal aap chahen toh apne ghar vaapis ja sakte hain ya phir chahen toh hamare guest house mein kal tak ruk sakte hain. Jaisi aapki marzi ho, Liyaqat ko bata dijiyega" Meri baat ko ansuna karte hue vo uthkar kamre se bahar nikal gayi.
Ye sab 2 din pehle shuru hua tha. Main office ki ek party mein tha, jo ki asal mere liye hi di gayi thi, jab mera phone baja. Phone unknown number se tha, call receive ki toh aawaz ajnabhi thi.
"Kya main janta hoon aapko?" Phone karne wale ne apna naam Sunil Mehta bataya toh maine puchha.
"Nahi, par main aapko jaanta hoon"
"Ok" Main party ke shor se door hone ke liye bahar Balcony mein aa gaya "Kahiye?"
"Main peshe se ek vakeel hoon, law firm hai meri apni aur kaafi high profile clients ko represent karta hoon. Vaise main kaun hoon is baat se koi farak nahi padta. Farak padta hai is baat se ke main kiski taraf se phone kar raha hoon"
"All right. Kiske behalf par phone kar rahe hain aap?"
"Rana khandaan ko toh aap jaante hi honge, Mrs. Bela Rana aur unke bete Mr. Rajinder Rana" Mehta ne kaha "Kuchh din pehle aapke newspaper mein ek story chhapi thi unke baare mein."
"You mean tha land barons?"
"Ji haan vahi, main unhi ki baat kar raha hoon"
Rajinder Rana un chuninda logon ki ginti mein aata tha jo munh mein chandi ka chammach liye paida hote hain, balki main toh kehta hoon ke chandi toh phir bhi sasti hai, vo toh munh mein platium ka chammach liye paida hua hoga. Vo log land barons the, hindi mein kahen toh zamindaar log. Raje Rajwade jinki bachi kuchi izzat aur daulat Indira Gandhi sarkar ne loot li thi. Phir bhi kuchh aise gharane the jo us waqt mein bhi apni saakh ko banaye rahe aur apni zameen sarkar ko ya toh saunpi hi nahi aur agar saunpi bhi toh bas naam bhar ki.
Rana khandaan bhi ek aisa hi gharana tha.
Uttar Pradesh, Rajasthan, Haryana, Madhya Pradesh, Punjab aur na jaane kitne aur states mein in logon ke naam be-intehaan zameen thi. Kuchh khud sarkar ne lease par li hui thi, kuchh private companies ne, kahin kheti hoti thi aur na jaane kitni zameen toh yun hi bekaar padi thi. Aur is saari jaaydad ka akela waris tha Rajinder Rana.
Aur iske bilkul vipreet kuchh log aise hote hain jinke apne munh mein steel ka chammach daalne ke liye bhi zindagi bhar bejod mehnat karni padti hai. Balki kuchh kya, hamari desh ki aur shayad is poori duniya ki 80% aabadi inhin logon ki ginti mein aati hai. Gareeb aur middle class log jo apni poori zindagi apni basic needs ko poora karne ki koshish mein hi guzaar dete hain.
Aur aisa hi ek middle class aadmi main bhi tha.
Papa government office mein kaam karte the aur maan housewife. Bachpan se hi gharwalo ki badi ummeedein thi ke eklauta beta kuchh bada kaam karega, duniya mein maan baap ka naam roshan karega, gareebi ko door karega vagerah vagerah. Par aisa kuchh bhi nahi hua. Apne baap ki tarah hi main bhi bas ek mamuli middle class aadmi hi ban paya. Zindagi bhar average student raha toh kisi achhi company mein moti si salary wali naukri milne ka toh sawal hi paida nahi hota tha. Mass communication mein degree haasil ki aur shayad yahi ek jagah thi jahan meri kismet mera saath de gayi. Desh ke ek badi naami girami newspaper mein mujhe naukri mil gayi. Salary achhi nahi toh buri bhi nahi tha aur aaram se kaam chal raha tha.
Ek cheez jo maine naukri milne ke baad thaan li thi vo ye thi ke bhale main apne academics mein kuchh kamal nahi kar paya par apne kaam mein safalta ki har seedhi chadhunga. Short mein kahun toh 30 tak pahunchte pahunchte zindagi ne mujhe kaafi ambitious bana diya tha. Kab main ek mamuli reporter se investigative journalist ban gaya pata hi nahi chala. Hamesha bas isi hi koshish mein rehta tha ke kahin se kuchh aisa khod kar laoon jo akhbaar mein chhape toh hungama ho jaaye aur mera naam uchhle. Is qadar uchhle ke desh aur duniya ki koi bhi media company mujhe munh maangi salary dekar apne yahan rakhe.
Kuchh din pehle hamare newspaper ne ek story publish ki thi. Aise logon ki list jinki hamare desh mein maasik aamdani sabse zyada hai. Tata, Birla, Ambani, Filmstarts, cricketers vagerah. Aur isi list mein ek naam Rajinder Rana ka bhi tha.
Poori list mein aur jitne bhi naam the sab aise log the jo apni zindagi mein kuchh na kuchh karke paisa kama rahe the. Koi bada business chala raha tha, koi filmon mein nach ga raha tha aur koi gend balla khleke note chhap raha tha. Par Rana naam aisa tha jinki aamdani sirf zameen aur shares se thi. Duniya ki badi badi companies ka stock uske paas tha aur har mahine be-intehaan paisa vo sirf land lease, share returns aur dividends par hi bana leta tha.
"Janta nahi hoon par naam se vaakif hoon" Maine Mehta ki baat ka jawab dijiye "Dekhiye agar aap last month chhapi story ke baare mein phone kar rahe hain toh you should really be talking to my editor, or someone higher up the ladder. I am just a journalist here"
"Nahi main us story ke baare mein phone nahi kar raha. Phone karne ki vajah koi aur hai"
"Ok. Bataiye"
"Mrs. Bela Rana aapse milna chahti hai"
"Mujhse?" Main hairat mein pad gaya "Kis baare mein?"
"Ye toh vahi aapko bata sakti hain" Mehta ne kaha.
"Mujhse unhein kya kaam ho sakta hai bhala?"
"Ji sach kahin toh main khud bhi nahi janta. Vo aapse milkar kuchh baat karna chahti hai"
"Thats weird. As far as i can remember, meri toh kabhi unke saath koi dealing nahi rahi" Maine sochte hue kaha.
"That i am not sure of. Mujhe bhi unhone kuchh bataya nahi ke kis baare mein baat karna chahti hain vo aapse. Sirf itna kaha ke main aapse baat karke meeting fix kar doon"
Agar socha jaaye toh ye apne aap mein ek ajeeb si baat hai. Aaj ke zamane mein duniya ka har insaan apni zindagi mein kahin na kahin aur kisi na kisi tarah se bahut zyada busy hai par agar baat apne matlab ki ho toh kaise bhi karke time nikal hi leta hai. Agar hamare darwaze par kabhi koi chanda maangne wala, ya koi social worker ya koi aisa insaan aa jaaye jo hamare matlab ki baat na kar raha ho toh ham ek kaan nahi dete uski baat ko par baat agar apne faayde ki ho toh poore dhyaan se sunte hain.
Us waqt tak mujhe nahi pata tha ke jo baat Mrs. Rana mujhse karna chahti hain vo mere matlab aur faayde ki hai ya nahi par vo is desh ke sabse ameer logon mein se ek thi. Ek full high society woman jis tak pahunchna mere bas ki baat bilkul nahi thi. Jab Mehta ne mujhe bataya ke vo mujhse milna chahti hain toh mere dimag mein sirf yahi khyaal aaya ke baat chahe jo koi bhi ho, at least is bahane se meri unse pehchan toh ho hi jaayegi jo aage chal kar jaane phir kab kaam aaye. Bade logon mein uthna bethna mera tha par unmein se koi bhi itna bada nahi tha.
"Theek hai, i will meet her" Maine Mehta ko jawab diya.
"Great. Bataiye kabki meeting fix karun? Will Sunday be ok?"
"Yeah thats fine" Kamre mein khada mera boss ishare se mujhe party mein vaapis aane ko keh raha tha toh maine use 5 min aur ka ishara karte hue kaha "Milna kahan hai? Aapke office?"
"Ji nahi" Mehta ne fauran jawab diya "Asal mein Mrs. Rana ki tabiat kuchh theek nahi chal rahi hai aur Doctor ne unhein travel karne se bilkul mana kiya hua hai. Meeting isliye unke ghar par hi hogi"
Mujhe koi idea nahi tha Rana ka ghar kahan hai.
"Ok. Aap mujhe ghar ka address de dijiye aur time bata dijiye. Main pahunch jaoonga" Maine kaha.
"Uski zaroorat nahi hogi. Aap khud time bata dijiye mujhe, gaadi aapko ghar se hi pick kar legi. Aur vahan se airport le jaayegi"
"Airport?" Maine chaunkte hue puchha.
"Ji haan" Mehta ne kaha "Mr. Rana ka personnal chopper vahan se aapko unke residence tak le jaayega"
Ab tak mujhe samajh aa gaya tha ke baat Delhi se kahin bahar jaane ki ho rahi hai.
"Aur vahan se kahan le jaya jaayega mujhe?" Maine sawal kiya.
"She lives in Himachal" Mehta ne jawab diya "They have lived there all their lives. Shimla se aage apni estate hai unki"
"All right" Maine kaha "Sunday subah 10 baje tak i will be ready"
Mehta se baat karne ke baad main party mein toh vaapis aa gaya tha par dhyaan mera poori tarah isi baat par atak gaya tha ke aakhir Rana jaise bade logon ko mujh jaise ek mamuli journalist se kya kaam. Poori raat aur agle 2 din tak main isi baare mein sochta raha par lakh koshish ke baad bhi samajh nahi aaya ke mujhe Mrs. Rana ke darbar mein kyun pesh kiya ja raha tha. Apni poori zindagi ko maine 50 baar apne dimag mein rewind aur fast forward kiya par kahin bhi aisa kuchh nahi mila jiska connection Rana family se jud raha ho.
Except for that story jo hamare paper mein chhapi thi par vo article bhi khaas taur se Rana family par nahi tha. Vo toh is desh ke sabse ameer logon ke baare mein tha aur is lihaaz se Rajinder Rana ka naam us list mein tha.
Aur vo article mera bhi nahi tha, kisi aur ne likha tha.
Thak kar maine haar maan li aur ye sochkar apne dimaag ko tasalli di ke jo bhi vajah hai. Sunday ko pata lag hi jaani hai.
Sunday ko subah 10 baje ek Mercedes ne mujhe mere ghar se pick kiya. Aur Mercedes bhi India made nahi, imported yaani ke right hand drive wali. Zindagi mein pehli baar main itni mehengi gaadi mein betha tha. Driver ne bhaag kar fauran mere liye gate khola aur is tarah se pesh aaya jaise main kahin ka maharaja hoon.
Aur phir us din kayi aisi cheezen hui jo meri zindagi mein pehli baar hui thi.
Jaise ke zindagi mein main pehli baar ek Helicopter mein betha. Plane mein maine travel kiya hua tha par ek private Helicopter mein tavel karne ka ye mera pehla chance tha.
Zindagi mein main pehli baar ek aise ghar mein ghusa jiski har cheez se paisa jhalak raha tha. Jahan mujhe aisa laga ke shayad toilet paper ki jagah bhi 500 aur 1000 ke note hi istemaal kiye jaate honge.
Zindagi mein pehli baar ek aise insaan se mila jiski aukaat mujhse itni zyada thi ke main jitna zindagi bhar mein kama na pata usse zyada vo chande aur bheekh mein de sakti thi.
Yani ke Mrs. Bela Rana
Wow lagta ye bhi Adi wale jeisa hi hoga. Kissi ki talash karna. Fark jasoos badal kar journalist detective hai. Maja aega bhai.
Jiss tarah se amir ko iss chapter mein describe kiya gaya hai bilkool eisa feel hota hai k Vampire bhai uthe baithe hein unn logon k saath.
Ye padhkar badi hanssi aayi ke eisa laga ke unnke toilet paper k jagaj 500 ka note hoga
Aguey padhta hoon bhai