Delhi se take-off karne ke takreeban aadhe ghante baad hi hamara chaopper pahadon ke uper udne laga.
"Kitna time lagega?" Maine saamne bethe Mehta se puchhha.
"Bas pahunchne hi wale hain, kyun kya hua?" Usne jawab diya toh maine apni chhoti ungali uthayi.
"Subah se 3-4 cup coffee pi chuka hoon"
"Ha ha ha, Dont worry. Pahunchne hi wale hain"
Mehta umar mein koi 50-60 ke beech hoga. Gol chehra, aadha ganja ho chuka sir, bahar nikla pet. Kad uska kam se kam 6 ft hoga aur phir motape ki vajah se vo ek chalta phirta giant lagne laga tha. Jitni jagah par vo akela betha tha usmein mere jaise kam se kam 2 fit ho sakte the.
Aksar jaisa ke dekhne mein aata hai, bade rutbe aur paise wale log bheed mein bhi alag hi chamakte hain. Saari zindagi A.C kamron aur gaadiyon mein rehne wale logon ke chehre ek aam aadmi ke chehre se kaafi hatkar hote hain, unhein dekh kar hi bataya ja sakta hai ke vo ek paise wale ghar se hain.
Aur is category mein bhi 2 qism ke log hote hain. Ek toh vo jinke pehnave aur rang dhang se aap unki haisiyat ka andaza laga sakte hain aur doosre vo jinka chehra dekh kar aur baat-cheet sunkar aap samajh sakte hain ke vo kisi bade ghar se hai bhale vo aam se kapdo mein hi kyun na ho.
Meri journalist aankhon ne aisa hi andaza Mehta ko bhi dekh kar lagaya. Us waqt sar se paon tak uski har cheez mehengi thi. Mehenga kaale rang ka suit, aankhon par gold rim wala chashma, Ungliyon par diamond rings, right hand par Platinum bracelet, left hand par golden watch, ar pairon mein chamak rahe mehenge joote. Uske haath mein pakda pen bhi us waqt mujhe yakeen tha ke meri 2 mahine ki salary se zyada ka hoga.
Par is saari chamak ke pichhe kahin use dekh kar ye andaza lagaya ja sakta tha ke ye saara paisa use zindagi mein hi mila hai, bachpan se nahi. Vo kahin kisi aam middle class ya gareeb ghar ki paidaish tha jise ye paisa zindagi waqt ke saath mila hai.
Is baat se bhi 2 andaze lagaye ja sakte the. Ek toh ye ke vo kaafi mehenti aur smart aadmi tha jisne bakhubi apni zindagi mein gareebi se ameeri tak ka safar poora kiya tha. Ya ye ke vo bahut hi makkar aur chaalu kism ka aadmi tha jisne apni haisiyat badhane ke liye zindagi mein sab kuchh kiya, bhale vo sahi ho ya galat.
Helicopter mein bethe mujhe zyada intezaar nahi karna pada. Thodi hi der baad pahadon ke beech Helicopter ek chhote se maidan jaisi jagah par neeche utar gaya.
Engine aur blades thame toh pilot ne hamein utarne ka ishara kiya. Apni taraf ka darwaza kholkar main bahar nikla, angdaai lete hue kamar sidhi ki aur chaaron taraf nigaah daudayi.
Agar ye kahun ke main us waqt jannat mein khada tha toh kehna shayad galat nahi hoga.
August ka mahina tha aur Delhi mein bhi pichhle ek mahine se baarishon ka mausam bana hua tha. Aisa hi kuchh nazara yahan pahadon mein bhi tha. Jis jagah main khada tha vo ek pahaad ke uper bana Helipad tha, ek chhota sa hari ghaas ka maidaan.
Phadon mein har taraf hariyali thi aur badal neeche utare hue tha. Aas paas dekh kar hi andaza lagaya ja sakta tha ke yahan abhi thodi der pehle hi baarish hui thi aur kisi bhi pal phir se ho sakti hai.
Helipad ke chaaron taraf ek kaante wali taar se baada bana hua tha aur ek taraf ek chhota sa gate tha.
"Chalein?" Mehta ne gate ki taraf ishara karte hue kaha.
Gate ke bahar ek BMW hamara intezaar kar rahi thi jo ke hamare bethte hi pahadon ke beech ghumaavdar sadar par aur uper chadhne lagi.
Takreeban 10 min ke baad car hamein lekar ek compound mein daakhil hui. Main apni taraf ka gate khol kar bahar nikla aur aas paas nazar daudayi.
Jis jagah mein khada tha vo shayad kisi pahad ka sabse upari hissa tha jise kaat kar ek chhote se samtal maidan mein tabdeel kar diya gaya tha. Chaaron taraf takreeban ek 4 ft oonchi boundary wall this jiske paar 3 taraf khaayi thi aur ek taraf pahad chadh kar upar gate tak aati vo sadak jisse ham log vahan pahunche the. Hairani ki baat ye thi ke vo ek kaafi badi jagah thi, itni badi ke usmein aaram se ek bada cricket stadium banaya ja sakta tha. Pahadon ke beech ek itni badi samtal jagah dekh kar hairani hona laazmi tha.
Compound ke ek kone mein ek khoobsurat ghar bana hua tha jiske saamne ek bada sa lawan aur khoobsurat garden tha. Ek taraf parking lot tha jismein 3 mehengi gaadiyan khadi hui thi.
Kehte hain ke insaan ki jeb mein paisa ho toh chehre par raunak apne aap hi aa jaati aur insaan apni asal umar se 10 saal pichhe hi chalta hai. Agar jeb mein paisa na ho, aur jaisa ke har middle class aadmi ke saath hota hai, 50 tak pahunchte pahunchte ghutne jawab dene lagte hain.
Aisa hi kuchh mujhe us din bhi dekhne ko mila.
Ham logon ko ghar ke andar le jaaya gaya aur ek behad aalishan drawing room mein bethaya gaya. Kuchh der baad ek aadmi aaya jo ke dekhne mein bilkul kisi filmon mein dikhaye jaane wale butler ke jaisa tha aur usne hamare liye kuchh khanne pine ka intezaam kiya. Aur kuchh der baad kamre mein daakhil hui Mrs. Rana.
Mere saamne bethi aurat umar mein kam se kam 65 ki rahi hogi par chehre, pehnaave aur shareer se vo 50 se zyada ki nahi lag rahi hai. Hamare desh mein jahan ek aam aurat 60 paar karne tak apni kamar pakad leti hai vahin mere saamne bethi Mrs. Rana ki na toh chaal mein unki umar se koi badlaav aaya tha aur na hi unke kisi aur haav bhaav mein.
Vo ek aisi aurat thi jiske paas be-intehaan paisa tha, duniye ki har cheez haasil thi aur use is baat ka bakhubhi ilm tha.
Vo kamre mein daakhil hui toh main fauran uth khada hua. Mera pehla reation poori tarah se ek medium class indian ka tha, yaani ke apne se umar mein bada koi buzurg agar saamne ho toh fauran haath jodkar namaste karne wala. Ek aisi aadat jo bachpan se hi hamein ghutti mein ghol kar is tarah pila di jaati hai ke zindagi ka ek zaroori hissa ban jaati hai. Aur uper se main ye ummeed kar raha tha ke vo pahadon mein rehne wali ek buzurg aurat hai toh yakeenan ek typical indian hogi,
Lekin mere anumaan ke bikul vipreet, us aurat ne aage badhte hue apna haath aage kiya jo maine darte jhijhakte aise milaya jaise duniya ke sabse naazuk aur anmol cheez ko pakad raha hoon. Vo boli toh munh se Hindi ki jagah angrezi ke bol nikle.
"Thank you for coming her and i am sorry that you were brought here so mysteriously, without any proper intimation that why are you here" Vo boli.
"Thats all right. I cant tell you how honored i am to meet you Ma'm" Maine muskurate hue kaha aur bethne laga.
"Why not?" Palatkar jawab aaya toh main bethta bethta ek pal ke liye thithka aur apni tashreef ko phir bade se aaramdeh sofe par rakh diya.
"Ji?" Maine sawaliya nazar se uski taraf dekha.
"Why cant you tell me? Kyun nahi bata sakte?"
Ji vo ...." Sawal aisa tha ke meri zubaan ladkhada gayi "Mere kehna ka matlab tha ....."
"Ham jaante hain aapke kehne ka matlab" Vo muskurayi toh meri jaan mein jaan aayi "Ajeeb zubaan hai angrezi bhi. Kehne wali baat ko ye kehkar kaha jata hai ke ham keh nahi sakte, sahi keh rahi hoon na main?"
"Ji bilkul" Maine fauran haan mein sar hilaya jabki haqeeqat mein toh mujhe samajh hi nahi aaya tha ke usne kya kaha.
Thodi der living room mein bethe rehne aur mere ek cup chaai khatam karne ke baad ham log ek bade se study type kamre mein gaye. Kamre mein chaaron taraf bani shelves par kuchh moti moti kitaaben rakhi aur ek kone mein ek badi si lakdi ki desk thi jiske pichhe jakar Mrs. Rana beth gayi. Vo Butler bhi hamare saath kamre mein hi aaya aur darwaze ke paas chup chap khada ho gaya.
"All right" Desk ke doosri taraf mere bethne ke baad Mrs. Rana ne kaha "Without wasting anymore of your time, main matlab ki baat karti hoon"
"Sure"
"Baat shuru karne se pehle main aapko ye batana chahungi ke ham aapko baare mein vo sab kuchh jaante hain jo ke jaanne layak hai"
"Main samjha nahi" Maine sawaliya andaaz mein puchha.
"Aapko yahan laane se pehle ya yun kahiye ke aapko contact karne se pehle hamne aapke baare mein pata karaya tha, aapke present aur past ki saari details ko kaafi closely read kiya tha"
"Kya pata karaya tha?" Is baat ne mujhe thoda pareshaan kiya.
"Yahi ke aap ek middle class family se hain, father government job mein the, aap kaafi ambitious hain aur zindagi mein kaafi aage badhna chahte hain"
"Ok"
"Ke aap ek widower hain. Aapki biwi ne 2 saal pehle suicide kar liya tha. Aapki ek 3 saal ki chhoti beti hai jo is waqt aapke maan baap yaani ke apne dada dadi ke saath rehti hai"
"Aur mere baare mein itni chhan been karne ki vajah?"
"Usse zyada important baat ye hai" Unhone meri baat ko ansuna kar diya "Ke aap apne kaam mein vakayi bahut achhe hain. Investigative journalism ko ek nayi definition di hai aapne. Kayi aise cases ko investigate karke close kiya hai jinpar Police tak give up kar chuki thi"
"All right, I get it. Sab jaanti hain aap mere baare mein. Ab sawal ye hai ke ye sab pata karne aur mere yahan hone ki vajah kya hai?"
"Vajah ye hai" Kehte hue unhone ek drawer se ek framed photograph nikali aur meri taraf badha di.
Vo ek full size photograph thi, ek lakdi ke frame mein sealed, jaisa ke aam taur par log apne ghar ki deewaron par tangate hain. Photo ke beech mein ek aurat ek sofe par bethi thi, ek aadmi uske theek pichhe khada hua tha aur uske dono taraf 2 takreeban 18-19 saal ke ladke khade the.
"Family photograph hai hamari, 22 saal pehli ki" Main photo dekh kar unki taraf nazar uthayi toh Mrs. Rana ne kaha.
"Photo ke beech mein aap bethi hain" Maine jawab dete hue kaha. Photo ke beech sofe par bethi aurat 22 saal purani Mrs. Rana thi. Photo ke nichle hisse mein ek taraf photo ki date likhi hui thi, July 13th 1991.
"Ji haan" Unhone meri baat ka jawab diya "Hamare pichhe hamare Late Husband khade hain, Mr. Rana"
Ye bhi main kuchh had tak samajh hi gaya tha ke photo mein pichhe khada aadmi unka pati, yani ke Shamsher Ji Rana, hi ho sakta tha jiski pichhle saal hi maut hui thi.
"Aur photo mein hamare dono taraf hamare 2 bete hain" Unhone kaha toh main chaunk pada. Ye mere liye ek nayi baat thi. Jahan tak mujhe pata tha, unka ek hi betha tha, Rajinder Rana.
"I didnt know you have 2 sons" Maine kaha.
"I dont" Unhone jawab diya "I did have 2 children aaj se 20 saal pehle tak but not anymore. Now i just have 1"
"Ji main samjha nahi"
"Matlab ye ke is photo lene ke baad se hi hamara ek beta, Ravinder Rana, lapata hai"
"Aapka matlab 1991 se?"
"Ji haan aur ham chahte hain ke aap uska pata lagayen"
Usne kaha toh mujhe laga ke shayad maine theek nahi suna.
"Aap chahti hain ke main aapke bete ki talash karun, jo ke pichhle 22 saal se lapata hai"
"Ji haan"
"Mrs. Rana is baat par sabse pehla sawal ye uthta hai ke is kaam ke liye aapko police ki madad leni chahiye. Aur doosra ye ke your son is missing for last 22 years, its not gonna be an easy job to find him even if he is ...." Main kehta kehta ruk gaya.
"Even if he is what?" Vo apni nazar mere chehre par gadate hue boli "Alive?"
"I am sorry i didnt mean any dis-respect?" Maine maafi mangne wale andaaz mein kaha.
"That is ok" Unhone halki muskurahat ke saath jawab diya "I understand and to be honest, kahin dil hi dil mein main ye baat jaanti hoon ke vo ab is duniya mein nahi hain. Hota toh kabka ghar aa chuka hota"
"Toh phir main .... " Mujhe samajh nahi aaya ke baat kaise poori karun.
"Aap ek mare hue insaan ko kaise talash karenge? Talash aapko mere bete ko nahi karna hai balki us vajah ko karna hai jiske vajah se vo lapata hua ya mara gaya. Main sirf itna jaanna chahti hoon ke kya hua uske saath taaki main chain se mar sakun. Agar vo kisi ke haath mara gaya toh main us insaan ka naam jaanna chahti hoon, apni maut se pehle us qatil ki maut dekhna chahti hooon"
Fantastic yaar. Shuru ho gayi kahani.
Ab search start karna hai. Shuru se end tak saare k saare details itni bariki se likha gaya hai k main kahun bhi to kia.
Sirf taarif k kaabil hote hein eise writing yaar. Kuch bhi ziada bolun to gustakhi ho sakti hai.
Just wonderful.