Update 260-262
Every update is on par with earlier ones ....
Abhi Finland ke plot mein climax tak nahi pahuncha hai aur itne saare kaand ho chuke ...first island ki wo action series fighting....naye naye characters ka bhi story mein judna sath hi kuch purane scenes jinka kabhi jikra nahi hua(Raj ki training ke dauran missions) unse related log ab saamne dikh rahe hai...
Unka jikra kar nahi paunga kyoki agai waqt nahi milega bus ek he dream h ye story ache se end karu current flow ke sath...kyoki sahi se likh pata toh iska second part bhi flow mai chalta aur story almost 500 plus update tak jati aur agai 5 saal aur lagte khatam hone mai
.so Raj prison mein pahunch chuka hai aur Ravinder singh se bhi mil liya...par ek baat jo bahut khatak rahi hai aakhir ye guthhi kya hai Nirwana ka and same waisa hi kuch Ravinder singh ka bhi haal dekhne se lag raha hai ye double souls ki kya hi kahani hai ye to ab Guruji ya Ravinder singh hi batayenge....
Double soul h ya personality ye sab gaurav bhai story ke antim phase mai clear jayega ...abhi toh bahut sari chije baaki h ...jo hoyengi...
Block B mein indono ne jo fight ki hai uske baad shayad hi koi prisoner hoga jo inhe approach kare...
Bilkul ungli karne ab toh na singh ke pass koyi na ghost ke pass
.past ki bahut si yadein hai jo Nirwana apne tak samete hue hai ,,dekhna hoga kab hume dekhne milta hai ye....Prison escape ka route and plan taiyaar ho raha hai khaai se hi niklenge ye dono ...
Yanha king of luck ka ek behtreen role ane wala h jo sabko pasand ayega...
.waise ye commander bhi ulti khopdi ka maloom padta hai mujhe ,jab dekh raha hai do janwar apas mein lad rahe hai to unhe ek sath rakhna hi kyon ? Jo bhi ho iska bhi bura waqt aane ko hai
Usai is bast ko umid nahi thi ki ghost itna powerfull.hoga aur sidha ravinndar singh se takra jayega
...ab baat kiya jaye Bengaluru ki to Rajeev Poonam Muskan aur Gaurav(doctor) ab ek impenetrable bunker mein khud ko lock kar liye hai scorpion ke bande se bachne ke liye ...aur Narpat singh baki ko divert karne ke liye yaha se door nikal gye ab ye charo to safe hai ye dikh raha hai par Narpat singh grave danger mein na pad jaye...
Bilkul aur narpat agar nahi bach paya toh phir ye charo bhi bunkar mai khatre mai he honge ...
Sare main log finland mein hai help ke liye bulana ya nahi bulana ek barabar hai ....Ab inhe to bas intezaar hai ki kab Raj Ravinder singh ko lekar wapas aaye
Wanha se sunil he wapas india aya h .
....Mandwa se Udaipur ki shifting bhi ho chuki hai and officially announce bhi karwa diya Nirwan haveli ka ...ye sanket hai Mahayuddh ka jaisa Mahaguru ne bola tha...shadow warriors security mein tainat hai bus intezaar hai to usi ek sakhs ka....
bilkul aur ho sakta h ab dhushmani ko bhi pata lag jayega un sabke jinda hone ka
Richa Divya ke sath hai Hulk ki protection mein...Poonam bunker mein besudh padi hai ..Aur Sonali ki koi khoj khabar nahi (kaha gyi SSN bro humari Sonali Bhabhi?)...Story apne peak ko chhone ke bahut hi kareeb hai bus Finland ke tour ke khatam hone ki der hai..
Ha ab hype ka last stage bahut jald ane wala h par us hype ke agai ke updates read karne ke liye bahut ya thoda bada intezar karna padega
..is yuddh mein kya nishkarsh nikalta hai kaun apne phirse door hote hai Raj se Aur kaun se purane sathi wapas sang mein aate hai ye bhi dekhne layak hoga....
Update humesha ki tarah lajawab tha bhai...
Ho sakta h ki jo chipe huve h ya jinda h ab tak wo sab bhi wapas ajaye ...
Kuch points jo thode odd lage use mention kar raha hu as if aapko bhi aisa lagta hai to improve karna nahi to koi baat nahi-
Combat fights thode vaast hote jaa rahe hai,instead of large explanation, short detailing ki need hai
Kuch scenes ka jump shift jyada feel hota hai thode connecting words bich mein rahe to best rahega...
And new characters update kar diyo thoda issue hota hai naam se samjhne mein...
Fight agar thodi detail mai nahi hogi toh imaginations mind mai nahi banegi ye confirm ...update agar picture ki tarah nahi chale dimag mai toh phir update ka maza nahi ata h jaisa abhi apne kaha connecting word wo tabhi feel hota h jab main jab alag alag situation ko dikha raha hota hu ...
Thank you so much for your precious words and review...gaurav bhai