• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RAJ -The mystery man (thriller & Magic)

should continue story-


  • Total voters
    259

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,672
158
Still waiting...
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,951
6,980
159
Daily online rehte ho per phir bhi update nhi dete ho
 

mysteryman

Active Member
921
1,510
139
UPDATE-21
uske haat he chaku lagne ke sath fire to ho gya lekin chaku lagne ki bajah se uski gun gir gyi or vo bhi mar gya...


to maine us boss ki taraf gun karte hue kaha ki ab tujhe kon bachayega...


ki tabhi fire hota hai aur ek goli akar mere peeth par lagti hai...



AAB AAGE

{SCENE-1}

AAGE KI KAHANI RAJ KI JUBANI...




Priya ke andar jate hi mai chhat par chadne ka rasta dhundhne laga ...

maine us khnadar ke peechhe jakar dekha to wahan se vo is tarah ka tha ki chhat par jaya jase...


mai wahan se chhat par chadne ki koshish karne laga par guns aur talwaron ke sath chadna thoda mushkil tha...

lekin phir bhi thodi maskkat ke baad mai chhat par jane mai safal hua...


vo khandar 3 manzil ka tha aur toota foota hone ki bajah se mai dusri manzil par pahunch gya...


khandar thoda bada tha mai ek ek kone ko check kar rha tha ki inlogon ne kahin chachi ko yahan to nhi chhupa rakha...


mai chhanbeen kar rha tha aur neeche se lagatar firing ki awaz aa rhi thi mujhe Priya ki bohot fikar ho rhi thi....


vaise itni bhi nhi kyonki aaj ke din usne itna kuchh kiya tha jo ki mari soch se bhi pare tha...


lekin aisa kon hoga jo apne pyar ki chinta na kare chahe Priya koi bhi sahi par is wakt akeli thi aur pata nhi is khandar mai kitne aadmi the...



is manzil ki chhanbeen puri kar li thi lekin mujhe koi nhi mila tha...



isliye mai ab 3sri manzil par pahuncha par wahan bhi kuchh nhi mila siway makdiyon ke jale aur chamgadadon ke... ab tak firing ki awazein aana ruk chuki thi...



mai dheere dheere neeche bad rha tha aur mai bade hi achambhe mai tha ki jab hamne yahan thermal binoculars se dekha tha to kam se kam 20-25 admi hone ka anuman tha lekin yahan to ek bhi nhi...



lekin shayad mai galat tha kyonki jaise hi
mai wahan se utar kar neeche aane laga matlab 2sri manzil par aaya to mujhe wahan ek admi ek admi dikha jo ki is waqt us jagah tha jahan par Priya ne ek ko tapkaya tha...


mere kadmo ki aahat sunkar usne peechhe palat kar dekha aur kaha tu hamare grp ka to hai nhi...


us ke pass is waqt koi hathiyar nhi tha aur tha bhi dubla patla sa hi...


to uske ladne ka to koi sawal hi nhi tha to vo aur logon ko awaz dena chahta tha ki usse pahle uske pet mai ek jordar lat padi aur vo neeche gir gya ek laat maine uske hath mai mari aur...


mai uske pass baith kar puchhne laga ki kon ho tum log aur meri chachi ko kyon kidnap kiya...


vo....ham to paison par kaam karte hein hame kuchh nhi pta...


TABHI EK GOLI CHALNE KI AWAZ AATI HAI

jisse ki mera dhyan bhatak jata hai aur vo khada hokar bhagne ki koshish karta hai par mai use pakad leta hun lekin pata nhi kahan se usne chaku nikala aur mere hath par mara aur bhagne laga...


maine use gardan ke peeche se pakad rakha tha aur usne meri kalai ke upar chaku mara tha...



chaku chhota tha isliye jyada to nhi lagi thi lekin phir bhi theek thak khoon nikal rha tha ...



lekin ab ki baar mene pakadne ke bajay use shoot kar diya...aur neeche jane laga mujhe pta nhi kyon priya ki bohot fikar ho rhi thi....


{SCENE-1 ENDS}


[••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••pahle to thoda in logon ke bare mein jaan lete hein...


Dilawar...ek aisa insan jo ki sabhi abaidh dhandhe karta hai ...

dabria...contract killer jiski ek puri gang hai aur ye lagbhag sabhi tarah ki fighting techniques janti hai•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••]


{SCENE-2...}

goli lagne ke baad priya munh ke bal jamin par gir padi thi...aur vo karah rhi thi...


AAGE KI KAHANI PRIYA KI JUBANI...


mere goli lagi to thi par bas chhota sa ghaw hi hua aur goli andar nhi jaa saki kyonki jo leather suit maine pahna tha bullet proof tha...

jiski bajah se mujhe goli na lag saki lekin mein jamin par gir padi aur dard se karahne lagi ...


ki tabhj ek chir parichit awaz mere kano mein aayi jise sunkar meri aankhon mai khun utar aaya...


awaz...ye kya krwa diya dilwar tumne ise nhi marna tha?

Dilawar...to kya karta mai haan ?

Dilawar...ek to isne vaise hi naak mai dum kar rkha hai...aur dusra aaj isne mere kitne aadmiyon ko maar diya...?
TO BE CONTINUED


 
Top