• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Raja

chaudhari

Member
178
137
43
Raja- parrrriiiiiiiii.
Gurudev- putr sant ho jayo.ab wo tumhare ander hain.
Raja- gurudev main pari ke sath jindagi bitana chahta hun kya main use bahar nhi la sakta.
Gurudev- la sakte ho iske liye tumhe apne 16 shakiyon ko pana hoga unke samaye main jakar.
Raja - kaise gurudev?
Gurudev- ye dekho jhingal ke mukut me wo mani hi tumhe samay me pichhe le jayegi.
Raja- lekin gurudev dharti to bahut badi hain main kaise unhe dhundhunga? Munhe to bahut samaye lag jayega.
Gurudev- uski chinta na karo ye mani tumhe wahin le jayegi jahan wo shaktiyan maujud hongi.ab is mani ko grahan karo putr.
Raja uske bad us mani ko le leta hain jhingal ke mukut se.
Mani ko lete hi wahan jitne bhi demon or jhingal tha sabhi dhul ban asamn me chale hain.lekin wo dhul asman me ek chehra ka rup le leta hain or jor jor se hasne lagta hain uski hasi ko dekh sabhi asman ki or dekhte hain.
Dhul- raja tum ye nhi samjhna ki tum jeet gye ho abhi to tudh suru hi huya hain tum chahe jitna bhi kosis kar lo tum is brahamand ko binash hone se nhi bacha sakte.tumko kya lagta hain tum akele hi samye me jaa sakte ho tumhare sath main bhi jaa rha hun main tumko un shaktiyon ko pane nhi dunga tumhara intazar rhega jaldi ana main tumhe khud apne hathon se marunga. Hahahahhaha.
Uske bad wo dhul 16 bhagon me bat jata hain or gayab ho jata hain wahan se .
Uske bad gurudev kahte hain.
Gurudev - chalo putr ab tum apne mata pita ko azad kara do wo tumhare ana ka pratiksha varson se kar rhi hain.
Apnee mata pita ka nam sun wo bahut rone lagte hain.use rote dekh malti or divya use sant karati hain or use hoshla deti hain.
Raja- chaliye gurudev.iske bad gurudev sabhi ko lekar jhinjha grah ke jail me pahunchte hain jahan raja ke mata pita kaid me hain.unhe kaid me dekh or unki halt dekh raja jaldi gate kholta hain or unke samne khada ho jata hain.raja ko dekh suntaru kahte hain.
Suntaru-tum chahe meri jaan hi kyun na le lo ya hum tumhe kuchh nhi bataiyenge.
Raja- maa pita ji main apka raja hun apka beta.
Devika- jhingal hum tumhari kisi maya me na fasane wale.
Raja - maa main apka asal me beta hun mujhe pahchano pita ji main apka raja hun.
Gurudev- putr suntaru ye tumhara beta raja hain.
Gurudev ko dekh suntaru or devika pranam karti hai or unka ashirwad leti hain.
Suntaru- gurudev kya ye. Humara khoon or is grah ka beta hain .
Gurudev- haan vatsh ye tumhara beta raja hain.ise kabul karo ye. Koi jhingal ki maya nhi hain .tumhRe bete ne jhingal kr is grah ko jhingal se mukt kara diya hain.
Suntaru or devika rote huye raja ko gale laga leti hain or uske pure chehre ko choomne lagti hain.
Devika - beta mera raja beta rote huye.
Raja- haan maa main apka raja beta rote huye .
Suntaru- tumne mera sir grav se unccha kar diya or is grah ko jhingal jaise rakshaksh se mukti dila diya mera sher dil beta apne baap pr gya hain.
Devika -nhi mera raja beta mujh pr gya hain apni maa pr.dekho iska chehra iski ankhe gaal nak hoth or baal sab kuchh mujh pr gya hain .
Suntaru- haan to kya. Huya lekin bahaduri mera beta mujh pr gya hain.
Raja- bas kijiye main aap dono pr gya hun.
In teeno ki batein sun jahan sabhi kuchh der phle ro rhe the wo sabhi abhi hans rhe the inki nok jhok sun kar.iske bad raja apne mata pita ko janjiron se mukt kar unhe mahal ke ander le ata hain jahan suntaru ko azad dekh sabhi khush ho jate hain or ye khabar aag ki trf fail jati hain pure grah pe.
Uske bad suntaru or devika ko raja taiyar hone ko kahta hain kuchh der me wo sabhi taiyar ho jate hain or raajgadi pe baith jate hain jahan raja or rani baithte hain or sabha lag jati hain tab suntaru kahde ho raja ko sabhi se milate hain.
Sunataru- sabhagan ye mera or is grah ka vansh or ujjwal babhisya or yahan ka rajkumar humara beta raja hain.
Ye sun sabhi me khushur fusur suru ho jati hain or khush hokar sabhi jayejayekar karne lagte hain.
Suntaru- ek or khush khabhari hain ki jhingal ko mere raja bete ne mar dala or hume mukt karaya.
Sabhi log khush ho jate hain or ye khabar pure grah pe fail jati hain ye khabar sun sabhi rajye ke log mahal ke bahar khade ho jate hain or jaye jayekar karne lagte hain.
Jaye jayekar ki awaj sun suntaru or sabhi log mahal ke bahar dekhte hain jahan dur dur tak sirf log hi log khade the pure grah se log wahan maunud the tabhi suntaru apna hath akash me kar sabhi ko sant karate hai.
Suntaru - jhinjha grah ke wasi mera raja suntaru aap sabhi ko hone wale naye raja or is grah ke rajkumar se milana chahta hun ye hain raja mera putr.
Sabhi bheed raja ki jaye jayekar karne lagte hain.
Suntaru- hum sabhi ko dust jhingal ko mar is grah ko or hum sabhi azad rajkumar ne hi karaya or isi khushi me aaj mahal ki trf se davt hogi.
Ye sun sabhi log raja or suntaru ki jaye jayekar karne lagte hain uske bad sabhi logon ko mahal ke ek kone me baitha diya jata hain or davt ka intazar karne ke liye kaha jata hain kuchh hi der me wahan 56 bhog prastut ho jate hain or jhinjha grahh ke raja or unke pariwar walon ka intazar hone lagta hain kuchh hi der me wahan sabhi rajpariwar pahunch jate hain or raja ke kahne pr sabhi log logon ke bich me baith davt ka maza lete hain apne naye hone wale raja se is bat ki umid kisiko nhi thi wo log apne naye hone wale raja se bahut khush hote hai. Or jate waqt use ashirwad dete hain davt khatam hone ke bad gurudev kahte hain.
Gurudev- putr raja apne tumhe apne shaktiyon ko pane jana chahiye ab jyada samaye nhi hain.
Raja - ji gurudev.
Devika- main to apne bacche se thik se mili bhi nhi or ye jaa rha hain.or wo rone lagti hain same hal suntaru ka bhi tha.
Raja- maa pita ji aplog na roye main jald hi aa jaunga.
Gurudev- ye jaruri hain rajan agar raja ko uski shakti nhi mili to kal pure brahamand pe kabja kar lega or har jagah sirf sirf burai hi burai hogi or is burai ko khatam karne ke liye khud devton ko hastchhep karna padega jo ki thik nhi hoga bat ko samjhane ki kosis kare.
Kuchh der aisi hi samjhane ke bad wo dono man jate hain .
Uske bad raja sabhi ka ashirwad le mahal ke bich me khada ho jata hain or mani nikal leta hain or apne shakti ke bare me dhyan kendarit kar deta hain aisa karne se wo mani chamakne lagti hain or uski roshni failne lagti hain or raja ko gher leti hain or raja ke sath gyab ho jati hain.
Idhar bahut kosison ke bad kal ko hosh aa jata hain or jab use pta chalta hain jhingal uska bhai mara gya or suntru ko uska pariwar or grah vapas mil gya to wo pagal sa ho gya or kahta hain.
Kal- raja main tumhe nhi chhodunga.
Ye bolkar kal apni jagah se khada ho ek room me ek haadi ke samne baith jata hain.
Kal- he shaitan mere malik mujhe shakti de taki main apna badla le sakun. mere malik mera sir kabul kare. Ye bol kal apna sir kat deta hain
Wo hadi dheere dheere akash me uth jata hai or hasne lagta hain or kahta hain.
Haddi - kal mujhe tumhara tofa kabul hain uske bad wo kal ke sir ko uske dhad se jod deta hain.
Haddi- kal ye lo ye ek shakti ban hain ise kewal ek bar hi upyog kar sakte ho ise tum jis vyakti pe chhodogo wo tudant wahin mar jayega chahe wo koi devta ya demon hi kyun na ho.
Kal- dhyanyawad mere malik.uske bad wo haddi vapas nichhe jamin pe aa jati hain.
Kal hasta huya wahan se uthata hain or kahta hain.
Kal- ab dekhta hun raja tum kaise bachte ho mujhse.tumhara intazar rahega raja vapas ane ka.
Kal- dhumketu jor se
Dhumketu- ji mere malik.
Kal- aaj se thik 2 mahine bad tum 1000 baccho ko shaitan ke samne bali dena taki wo prashsan ho mujhse ab main dhyan me jaa rha hun tum duniya me paap or burai faila do. Thik 2 mahine bad mujhe jagan jab bali dene ka samaye najdik aye samjh gye.
Dhumketu- ji malik uske bad kal dhyan me chala jata hain or duniya me burai failane lagta hain or 1000 nis paap bacchon ko dhundhane lagta hain.
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Shakti ki talash

Update 1

Raja achanak ek aisi jagah pahunch jata hain jahan use dur dur tak sirf jungle hi jungle ped paodhe dikhte hain use kuchh samjh nhi ata ki wo ab kya kare use guruji bat yad ati hain jab jate huye guruji ne kaha tha ki
Gurudev- apne andar jhakana jab tumhe kuchh samjh nhi aye
Raja wohi karta hain wo apne man ko sant kar apne ander jhakanta hain use sirf roshni hi roshni dikhti hain wo roshni ki or jane lagta hain tabhi us roshni ka rang badlne lagta hain or wo ek bindu ka rup le leta or kahta hain.
Bindu- malik apko apni shakti ko dhundhna hoga.
Raja - lekin main use kaise dhundhu?
Bindu-aap jab bhi us shakti ke samne jayenge tab apko usme ek alag shakti ka ahsas hoga bas apko use hi pahchanan hoga.
Raja-thik hain.
Uske bad raja apni ankhe kholta hain.
Raja age chal deta hain apni shakti ko khojne.kuchh der chalne ke bad raja kisi chij se takra jata hain or gir jata hain or ek fande me fas jata hain.
Raja- ye kya ho gya ye fanda kisne lagya.
Abhi raja ye soch hi rha tha ki tabhi use kuchh jungali insan hathon me bhale or teer dhanush liye use ghere the. Or raja ko us fande me hi rakh use apne sath apne kabile me le jate hain.
Idhar present me dhumketu un 1000 bacchon ko dhundh kar pakdne laga or wahin mahesh apni shakti ka istemal sabhi insano ke upper karne laga or unhe gulam banane laga or dhumketu unme paap sirf or sirf paap bharne laga or unhe shaitan banane laga dharti pe har jagah sirf or sirf paap fail jata hain yahan tak ki ramghar bhi isase achhuta nhi rhta.lekin thakur or uski bibi or sardar malti or uske sathi bhadhiyon ko suntaru apne grah pe le jate hain taki ye log pappi ban na sake jisase raja ko sankocch na ho or wo kal se har na jaye.
Raja suntaru dharti ke masale ko lekar gurudev ke pass jata hain.
Suntaru- pranam gurudev
Gurudev- ayushman bhava putr.
Suntaru- gurrudev meri chinta ka hal nikale ap ataryami hain ap hi kuchh margdarshan kare.
Gurudev- putr isame main tumhara koi madad nhi kar sakta agar insan ne apne jivan kal agar ek bhi paap kiya ho to wo paap jarur banega. Agr nhi kiya ho to use koi pappi nhi bana payega.
Suntaru- kya koi is paap ko rok nhi sakta ?
Gurudev- ye sirf or sirf raja ki shaktiyan hi rok shakti hain.ab bas dua karo ki raja ko use apni shakti bapas mil jayr jaldi se.
Idhar
Humara hero ek bahut hi khubsurat se kabile me bandi ban kar laya jata hain.jahan har koi shaks sirf apne hero ko dekhta hain. Kuchh der intazar ke bad ek shor pure kabile me gunj jati hain?
Ye shor sun sabhi kabile wale apne sir jhuka dete hain. Or jabardasti raja ka sir bhi jhuka dete hain. Jab raja apna sir upper karta hain to dekhta hain ki ek darwana kal sa admi samne ke hathi ke kankal se bane singhashn pe baitha huya hain us admi ke chehre se saaf darindagi or nisturtha saf saf jhalak rhi hain.
Admi raobdar awaj me - ye kon hain?
Admi2- sardar ye hamare kabile ke fande me fas gya tha syad ye koi jasus ho jo hamare kabile ka raaj janane aya ho.
Sardar - guptchar hain ye ise sahi bhojan banaya jaye.
Ye sun jahan kabile ke log khush hote hain wahin raja bahut ghabra jata hain wo isase bachane ke liye kuchh sochne lagta hain or jald se jald apni shakti ko dhundh kar jana chahta hain.
Sardar khada hokar- mere kabile wasiyon aaj hum apne musbit se dur ho jayenge aaj ise kabile me hamare kisi admi ko apni jaan nhi gawani padegi. Sainik jald se jald ise sahi bhojan banaya jaye or naag raj ke samne ise samapit kiya jaye.
Sainik- ji sardar.
Sainik raja ko lekar chala jata hain use pahle nahaya jata hain pate se bane kapde pahanya jata hain kuchh fal khilaya jata hain or wahin raja kabile ke har ek sakhas ko gaur se dekhne lagta hain or apni shakti ko dhundhne lagta hain lekin use wo shakti nhi milti kahi jaise hi raja ko sainik leke jane lage usi waqt raja ki najar kisi pe pad jati hain or use dekh muskurane lagta hain.
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 2

Jaise hi raja suntaru apne grah pahunchte hain tabhi unhe ek sainik hafta huya unke pass ata hain.
Raja suntaru- kya huya sainik tum itne vichlit kyun ho
Sainik- maharaj wo demon humpe akraman karne wale hain jaldi kuchh kijiye mahraj
Raja suntaru chonkte huye - kya ? Lekin ye kaise possible hain kal or unke sathi to patalok me hain.
Sainik- maharaj kal ka pta nhi lekin mahesh ne humpe akraman kar diya hain.
Raja suntaru- jaldi apni sena ko taiyar karo..
Sainik- ji maharaj itna kah wo sainik chala jata hain sare sainik ko bulane or chhod jata hain maharaj ko sochte huye.
Idhar raja ko ek bahut hi khubsurat ladki ke hathon me ek kuta ka baccha dikhta hain jiska sarir bahut chamak rha hain lekin raja ki khushi kuchh der ke liye hi rah jati hain usko sabhi log raja ko lekar chale jate hain ek sunsan gufa ki or.
Jab sabhi log gufa ke pass pahunchte hain to wahan kabile ka sardar kahta hain.
Sardar1-he mere malik he mere nag raja ap is balak ka bhojan grahn kar hume baksh de or humare kabile ke logon ko bhi.
Tabhi ek darawani gur rahat ki awaj ati hain or us andheri gufa me se ek bishal kaye nag niklata hain. Jo ki ek bishal ped ke saman tha.
Nag- sardar itne se khane se mera kya hoga mujhe or khana chahiye.
Nag ki awaj or use dekh raja ek pal ke liye dar jata hain. Or jo sardar kahta hain use sun raja ki bahut buri halat ho jati hain.
Sardar1- malik is balak ka naram mans apko bahut pasand ayega.
Nag ye sun raja ke trf apne red red ankh se use ghurte huye dekhta hain.
Nag- tum sahi kah rhe ho sardar iski mans khane me bahut maza ayega main ise tadapa tadapa ke sawad le le ke khaunga aaj main bahut swad leleke ise khaunga bada maza ayega hahahahhaha
Iske bad sardar or kabile ke log ped ke pichhe chale jate hain raja ko waisa hi bandha chhodar kar
Uske bad nag hansta huya raja ke passjata hain gana gungunate huye.
Nag- aaj main tumhe nhi chhodunga soniye aaj tumhe khaunga bade chau se maja lekar oo bazi re mahi re.
Raja ye gana sun thoda ghabra jata hain.isase pahle ki raja sambhlata nag tezi se uski or ata hain.
Nag ko apni or ata dekh raja nag ke rasta se hat jata hain. Jisase nag sambhal nhi pata or ped se takra jata hain.tabhi nag kahta hain.
Nag - aaah bahut khub tum jaise naram mans ko khane me bada maza ayega jitna tum mujhse bachoge utna hi maza tumhare jism ke naram naram mans ko khane me ayega.
Itna kah nag ek phir raja ki trh badhta hain lekin phir raja kud kar dusre side chala jata hain or nag ek pathar se ja takara jata hain.itne me ki raja dusre humle ke liye taiyar tabhi nag raja ko apne shaktishali punchh me use pakad leta hain or kahta hain.
Nag- jara bach kar dekha mere raja .
Raja - apko kaise pta mera naam raja hain.
Nag- main tumhara hi intazar kar rha tha tumhe apne ap ko sabit karna hoga apni shakti ke liye .
Raja - lekin kaise?
Nag- tumhe mujhe harana hoga kyunki main pahli shakti ka rakshak hun.
Raja - thik hain
Iske bad raja ankhe band kar jod se apne hath ko jhatakta hain jisase uski hath me bandhi rasi khul jati hain.
Tabhi raja jod se jod se nag ko marane lagta hain lekin uski moti chamadi pe uska koi asar nhi hota dekh raja kuchh sochne lagta hain tabhi us vatawarn ek dardanak awaj kisi ki gunj jati hain



Doston wo awaj kiski hoti?
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 3

Aaj wo waqt bhi agya jab dhumketu 10000 masoom bacchon ki bali shaitan ke samne dega bali dene se purv dhumketu un bacchon ki puja karta hain or ek ek karke sabhi bacchon ki bali shaitan ke samne de deta hain or un bacchon ke khoon se kal ko asnan karane lagta hain jisase kal ka sarir kathor hone lagte hain or mazboot bhi tabhi shaitan jag jata hain or kahta hain.
Shaitan- kal main tumhare tapsya se bahut khush huya main tumhe kuchh dena chahta hun apni ankhe kholo.
Kal apni ankhe shaitan ki awaj sun kholta hai.samne shiatan ko dekh hath jod shaitan ko pranam karta hain .
Shaitan -ye bacchon ka khoon jahan jahan tumhare sarir pe pada hain wo jagah pahle se adhik mazboot ban jayegi tumhare sarir pe kisi bhi shakti ka koi asar nhi hoga.
Ye lo yehain meri talwar isase tum ek sath kayi lakhon pedon ko kat sakte ho or ye hain meri shaitani shaktiyon se milke bana dragon ise koi bhi mar nhi sakta hain or nhi ise koi hara sakta hain.
In sab ke alawa main tumhe ye crystal deta hun jiske samne jo koi bhi achhi shakti ayegi usko use shakti use nhi karne nhi degi wo aa shahaye ho jayega or wo ek mamuli sa insan ban jayega.
Itna kah shaitan wahan se gyab ho jata hain.
Kal uske bad dhumketu ke pass sab kuchh puchhta hain.
Dhumketu - malik raja apni shakti ki talash me gya hain or mahesh jhinjha grah pe akraman karne gya hain or insano ko maine shaitan bana diya hain lekin kuchh log shaitan na ban sake jinhe maine apka gulam bana diya hain.
Kal- raja ke pariwar wale ?
Dhumketu- suntaru unhe apne sath jhinjha grah le gya hain lekin jyada der wo bach nhi sakte unhe main apka gulam bana dunga.
Kal- hmM thik hain jaldi karo.
Dhumketu- ji malik
Idhar mahesh jhinjha grah pe suntaru ke rajye ke sima pe khada ho akramman ki pratiksha kar rha hain lekin uski prattiksha jyada der nhi rhti samne se jhinjha ke sena mahesh ke samne khade ho jate hain or senapati ke adesh pe ladai suru ho jati hain.
Raja suntaru apne rajmahal me chinta me idhar se udhar tahal rhe hain or jung ki har khabar lerhe hain unhe pta chalta hain ki mahesh ki sena unki sena pe bhari pad rhi hain to wo apne rajmahal se nikal apne rajya ke bichobich khade hokar janta se apil karte hain ki mere desh vashion aaj humpe demon or kal ne akraman kar diya hain mere rajvashion aaj apke raja. Ki apki shakht jarurt hain aap sabhi log is yudh me samil ho apne grah ki raksha kare .
Apne raja ki aisi batain sun rajye ke sabhi vashi aurat bacche budhe naujwan sabhi log yudh me samil ho jate hain.
‌Ye ek aisa yudh hone lagta hain jo aajtak is grah pe kisi ne na suni thi or nahi dekha tha sardar unki bhedhiyan sena jhinjha grah ke sabhi log is yudh me samil ho jate hain bhedhiye apne panje se kayion ki sarir ke tukade kar rhe the to kayi demon aag barsha rajya ke logon ko jala rhe the kayi demon jhinjha ke vashion ki shakti ke karan apne apko khatam kar de rhe the illusion magic ke karan is yudh me mahesh ko apni sena harti huyi najar ati hain to wo khudh is yudh me kud padta hain or sabhi ko gajar muli ki bhati sabko laser se marne lagta hain apni sena ki aisi durdash ko dekh raja suntaru yudh me mahesh ke samne aakar khade ho jate hain or dono ke bich yudh hone lagti hain .
‌indono ki yudh ko dekh sabhi log ruk jate hain or yudh ko dekhne lagte hain kabhi mahesh laser ka use karta to kabhi aag ka kabhi talwar ka use karta hain jise raja suntaru asani se bach ja rhe the hain apne apko suntaru ke samne harte dekh mahesh gusse me dahad lagta hain or sari shakti ka use karta ek bada gola bana karta hain jisase raja suntaru or unki praja or sena or kuchh bhedhiye ghayal ho jate hain or kuchh mar jate hain lekin itni badi shakti ka use karne ke karan mahesh kamjor pad jata hain or behosh ho jata hain ye sab kal or dhumketu patal lok se dekh rhe the apni sena ko harte dekh kal gusse me khada ho jata. Hain or chilate huye kahta hain .
‌kal- dhumketuuuuuuu
Dhumketu turant wahan se jhinjha grah pahunch jata hai.abhi jhinjha grah ke log apni pahli jit ka khushi mana hi rhe the ki kisi ke hansane ki awaj sun wo pichhe mudke dekhte hain jahan dhumketu hansta huya kahta .
Dhumketu- bas itne se hi khush ho rhe ho
Abhi to yudh suru hi huya hain khatam nhi huya hain.
Itna kah dhumketu war kar deta hain isase pahle koi kuchh samjh pata hain bijli ki raftar se dhumketu ek bar me hi jhinjha grah ki sena ko khatam kar deta.itna bhayav narsanghar dekh rahye ke sabhi log dar jate hain or idhar udhar bhagane lagtehain lekin demon sena unhe shakti me bandh kar kaid kar deti hain ab sirf bhedhiyon ki sena sardar or raja suntaru jung ke maidan me rah jate hain.
Dhumketu ek shakti punj bana bhedhiyon ke sena pe karta hain jisase wo sabhi bhedhiye kaid ho jate hain.
Isase pahle ki raja suntaru kuchh kar pate dhumketu ek laser bahut hi khatarnak laser beam raja suntaru pe chhodta hain lekin tabhi kuchh aisa hota hain jiski kisiko umid nhi thi?
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 4

Ye awaj kisi or ki nhi raja ki hain jo nag ki punchh me jakra huya hain or nag apni kundli ko or mazbut kiye ja rha hain jisase raja ko taklif hoti jaa rhi hain or ek dardnak awaj us vatavaran me gunj jati hain.
Raja ko kuchh samjh nhi ata ki wo kya kare ki achanak wahan wo kuta aa jata hain sath me wo ladki bhi .

Apni shakti ko samne dekh raja kuchh sochta huya apna hath age kar deta hain hath age karte hi uske hath se agg niklne lagta hain jise dekh raja kuchh sochte huye apna hath nag ke punchh pe karta hain or uske punchh me aag laga deta hain jisase nag ki pakar dheeli ho jati hain or raja chhut jata hain.

Nag ko behad gussa ane lagta hain or phuphkarte huye raja ki trh tezi se badhne lagta hain lekin is bar raja taiyar tha or usne ek aag ka bavandar ban deta hain apne age.nag khud ko sambhal nhi pata or wo us bavanadar me fas jata hain or uski cheekh gunj jati hain wahan.


Uski aisi halat dekh raja khush ho jata hain or sath hi us par dya ane lagta hain jabtak khud nag apneap ko har nhi man leta tabtak raja na hi uski koi madad kar payega or nhi use uski pahli shakti mil payegi.


Us aag ke bavanadr me fase hone ke karan nag ko kafi taklif hone lagti hain lekin wo chah kar bhi wo kuchh kar nhi paa rha usko pass har manane ke siwa koi chara nhi bachta.

Uska us bavandar me dam ghutne lagta hain to wo jor jor se cgilate huye kahta hain .

Nag - main har manta hun.

Ye bat sun raja turant us aag ke bavandar ko apne ander sama leta hain.or nag ke pass chala jata hain.

Nag jo thoda jal gya tha lekin kute ke chhute hi wo pahle jaisa ban gya.

Raja uske pass pahunch kar puchhne lagta hain.

Raja- tumko mere bare me kaisa pta ?
Nag - malik ye jo ap logon ko dekh rhe hain or ye jungle ye sab maya hain yahan sirf apki shakti or main or aap hi hakikat hain ye sab jhut hain apki shakti ko koi or hasil na kar paye isliye ye maya apki pahli shakti daura racchi gyi hain.
Raja- lekin shakti ko raksha ki jarurt kyun pad gyi?
Nag- apko apni har shakti ke pass alag alag rakshak honge aap jaise jaise apni shakti pane jayenge waise waise shakti or uske rakshak ka bhi shakti adhik honga apne apni pahli shakti hasil kar li hain or mujhe hara diye hain waise hi apki dusri shakti ke pass mujhse kayi guna adhik shaktishali rakshak honga.
Raja- hmmmm lekin achanak mere hath se aag kaise nikalne laga ?
Shakti1- kyunki apke ander 5 mahabhuton ki shakti hain jo apke har padaw pe khulta jayenga apki agli mahabhut kis padao pe khulegi or konsi khulegi ye nhi kaha jaa sakta hain.
Achanak kutte ko bolte dekh raja chakit ho jata hain lekin main wo samjh jata hain.
Raja- to ab age kya karna? Or meri pahli shakti ki kya khasiyat hain.
Shakti1- apki pahli shakti me aag ki khasiyat hain or rakshak me ye khasiyat hain ki wo kisi bhi shakti ko doguna badha dega . Ab aap apni pahli shakti or uske rakshak ko kabul kare.
Itne kahte hi wo kuta ek mani ban jata hain or wo nag ek jyoti ban us mani me sama jata hain.

Raja age badh jaise hi mani ko chhune wala hota hain tabhi uske sarir se big mani nikal us mani ko apne ander sama leta hain or ek roshni ke sath jo jungle log maya se bane the wo sab gyab ho jate hain lekin wo ladki gyab nhi ho pati ladki ko gyab hota na dekh raja ashacharye se usko dekhta hain or mani se swal puchhne lagta hain.


Raja - ye ladki gyab kyun nhi huyi?
Mani - malik ye maya se nhi bani hain ye apke purv janm ki premika sarojni hain ye apke andr tabhi sama sakti hain jab ap ise iska man chah koi chiz de payenge.

Raja dheeere dheere age badh sarojni ke pass jata hain .
Sarojni bas raj ko kab se nihar rhi hain jab se wo use mila hain uski tantra tab tutti hain jab raja use hilata hain or puchhta hain.

Raja- sarojni tumhari ichha kya hain?
Sarojni - raja ko itne kareeb dekh wo khud ko control nhi kar oati or uske gale lag rone lagti hain.
Raja use gale laga rone dete hain jab wo uski roni siskari me badal jati hai.
Tab sarojni kahti hain.

Sarojni- apko main tanik bhi yaad nhi ayi ap mujhe chhod kar kyun chale gye the mana ki main nurja jaisi nhi hun lekin main apko bahut prem karti hun.
Raja- sarojni ye mera naya janm hain maine pichhla janm me kya kiya kuchh nhi pata main khud apne pichhle janm ke bareme janan chahta hun.
Sarojni raja ki bat sun thoda udas hote huye or chonkte huye .
Sarojni - kya ye apka naya janm hain ?
Raja - haan ye mera naya janm hain .Tumhari kya ichha hain sarojni jisko pura kar main tumhe paa sakun.
Sarojni thoda sarmate huye
Sarojni - wo na mujhe wo na ..
Raja - haan jaldi bolo ye kya wo na laga rakhi ho.
Sarojni - wo main apse sadi karna chahti hun or apke bacche ki maa banan chahti hun.
Ye sun raja buri trh se chonk jata hain. Use kuchh samjh nhi ata ki wo kya kare tabhi mani jo kahta hain use sun raja or chonk jata hain.
Mani.....
 

chaudhari

Member
178
137
43
Update 5
Mani- malik agar aap inko sath nhi leke jayenge to apko dusri shakti hasil nhi hogi.
Raja chonkte huye- aisa kyun?
Mani- kyunki apki agli shakti ke rakshak ko harane me sirf yahi madad kar payengi.
Raja- thik hain.
Raja- thik hain main abhi kuchh nhi kar sakta jabtak mujhe meri puri sakti nhi mil jati or jabtak meri 4 patni wapas nhi mujhe mil jati tab tak main tumhe kabul nhi kar sakta tum chaho to mere sath chal sakti ho.
Sarojni- khush hote huye thik hain mujhe manjur hain.


Uske bad jaise hi raja sarojni ka hath pakrta hain unke charon trf mani raja ke sarir se bahar nikl un dono ke charo trf ghumne lagti hain or ek roshni ke sath dono wo jagah se gyab ho jate hain or unke gyab hote hi wo jagah registan me tabdil ho jati.

Idhar
Dhumketu jaise hi laser beam suntaru pe chhodta hain wo lasr beam tezi se suntaru ke trf badhta hain suntaru se takarane se pahle hi sardar us laser beam or suntaru ke bich aa jate hain wo us shaktishali beam ko apne sarir pe le lete hain us shakti ke karan sardar suntaru sahit dur ja girte hain sardar ke sath aisa hote dekh malti dhumketu pe akraman kar deti hain dhumketu ko chhune se pahle hi dhumketu ek talwar nikal malti ke sarir me ghusha deta hain or use sardar ke pass feka deta hain raja sunatru ko jab samjh ata hai wo turant sardar ko palatate hain lekin tabtak bahut der ho chuki hoti hain sardar bas apne ankhon me ashoon liye malti ko niharte huye chal baste hain jab raja sunatru sardar ke ankhon ka pichha karte hain hain to malti bhi apne ankhon me ashoon liye sardar ke sath hi chal basi raja suntaru se ye sab bardash nhi ho pata wo jor jor se chikh chikh ke ro padte hain wo badale ki bhavna me jaise hi uthane ki kosis karte hain wo pate hain ki wo ek janjir me bandh chuke hote hain.wahan achanak suntaru dekhte hain ki kuchh demon unke rajyavashi ko khinch ke lekar aa rhe hain. Dhumketu suntaru ko bandi bana mahal ki trf chal deta hain mahal me ghuste hi suntaru pata hain ki uski patni ko kuchh demon usko bandi banaye huye hain. Sunatru or uski patni ko bicch mahal ke diwar se laga bandh deta hai.

Achanak wahan kuchh demon suntaru ke kan me aakar kahta hain kuchh. Dhumketu us demon ke kahane pe kahin chala jata hain or ajte huye kahta hain ki sunatru ko sath lekar aye. Uske jate hi demon suntaru ko khol kar use bichh rajya me khada kar deta hain.or wahan jo hota. Hain use dekh sunatru ka dil dahal jata hain or wo tadap jata hain?
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 6

Jab roshni hati tab raja or sarojni khud ko ek anant registan me pate hain. Dono ko kuchh samjh nhi ata wo dono bina kuchh socche samjhe age badhte jaa rhe the.
Aise hi age badhte huye unhe kuchh ghante hi huye the ki achanak suraj ki roshni tej ho jati hain or aspas ka temperature adhik ho jata hai itna ho jata hain ki sarojni ko behoshi chhane lagti hain raja ka halat bhi kuchh thik nhi tha use bhi ghumari cchane lagtei hain or kuchh hi der me sarojni or raja behosh ho jate hain.
Jab unhe hosh ata hain tab rat ho chuki hooti hain or sath hi dono ko bhuk bhi lagi hoti hain.raja kuchh dhundhne ke liye age badh jata hain sarojni ke sath lekin use ret ke alawa kuchh bhi dikhai nhi deta .
Raja age chal rha tha sarojni se dono bekhbar ho age badh rhe the unhe andaza nhi tha ki koi un dono ka pichha kar rha hain.
Abhi wo log ek ret ka tila par hi kiye the ki achanak sarojni ki cheekh gunj jati hain jab raja pichhe plt sarojni ke trf dekhta hain tab use sarojni ret pe nicche tadapti huyi pati hain or uske bagal se ek jahrila nag ko jate huye dekhta hain use kuchh samjh nhi ata ki wo kya kare wo daudte huye uske pass jata hain or use hilane or jagane ki nakam kosis karta hain tabhi wahan ek awaj ati hain?
Idhar.
Raja suntaru ko jhinjha rajye ke bichobich ek khambe se bandh diya jata hain or un pr pani ke chhite marejate hain taki wo behosh na ho or wo hosh me hi rhe hain.
Kuchh der me kuchh demon dhumketu ke sath ate hain hathon me fulon ka pankhudi liye or raste me un pankhudi ko gira rhe the mano kisi ka swagat ho rha ho.tabhi wahan ailan hota hain ki humare naye badshah kal padhar rhe hain ye sun suntaru apni najar kal ki or. Kar deta hain jo bhedhiyon ke rath pe swar ho wahan aa rha tha uske chehre pe ek vijayi muskan thi uske bagal me mahesh atisbaji ke sath kal ke sath aa rha tha kal suntaru ke pass pahunch kata hain.

Kal- dekha suntaru maine akhirkar tumhe gulam bana diya na apne bhai ke maut ka badal le liya na ab bas mujhe raja ka intazar hain kab wo yahan ayega or mere hathon mara jayega.
Ye sun suntaru kahta hain.

Sntaru}- jald hi mera beta ayega or tujhe mar dalega tujhe mar brahmand ko pap mukt kar dega.
Ye sun kal gussa ho jata hain or gusse mw kahta hain.
Kal- ise itna taaklif do ki ise apne jivan se ghin ho jaye.
Ye bol kal mahal ki or chala jata hain.
Dhumketu kal ki bat man kode pe kode barsa deta hain suntaru ke uper jab wo thak jata hain tab uske samne hi kuchh demon ko bulata hain or bandi grih se kuchh insan ko bula kar lata hain or kahta hain.
Dhumketu- mere sathiyon aaj ap sab ka dwat hain aplog dwat ka maja le itna kah
Dhumketu suntaru ke samne hi insano ko aag ke hawale kar deta hain jinda hi or unhe apne demon sathi ko khane me paros deta hain ye sab dekh sunatru ki ankhon se aanshoon nikalne lagta hain or rote huye hain .
Sunatru- inhe chhod do inhe jane do inhone kuchh nhi kiya agar kuchh karna hi to mere sath karo in insano ke sath kuvhh mat karo sunatru rota rha lekin uski kisi ne nhi suni or dekhte hi dekhte 100 insano ko mar kar un demon ne unhe kha liya sunatru kuchhh kar nhi saka
Usko us adhmari halat me hi demon sunatru ko mahal ke bichobich khambe se bandh dete hain or chale jate hain .
Kuchh der me wahan sunatru ki bibi ati hain wo bhi nangi awasta me sunatru ko kuchh samjh nhi ata .
Tabhi wahan kal ata hain or jo hota hain wo dil dahla dene. Wala hota hain!
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 7

Idhar raja jab us awaj ki trf dekhta hain to pata hain ki ek adha insan or janwar ka mila jula rup ka koi khada hain uske mastiksh ke tej se hi pata chal rha tha ki wo koi sidh purush honge unhe dekh apneap hi raja hath jod leta hain or sir ko jhuka unhe namn karta hain or unke pairon me gir kar namn karta hain.

Adhinsan - utho vats pareshan na ho ise kuchh nhi huya .ye thik hain.

Raja uth kar bolta hain.
Raja- pr ise ek sanp ne kat liya. Or ap kon hain?

Adhinsan- main guru surnemi hun jo tumhare samay me guru hain wo mera hi beta hain.
Raja ye sun chankit ho jata hain or dobara unke charan chhu pranam karta hain.
Yahan main guru surnemi ko guru likhunga.
Guru- utho vats chinta nhi karo ise jaldi se ye jadi buti khila do. Jadi buti dete huye kahte hain.
Raja- ji gurudev.
Ye kah wo jadibuti guru surnemi se lekar sarojni ko sungha deta hain jisase use hosh aa jata hain lekin wo ab bhi adhmari halat me thi.
Guru- is jadi buti se ye hosh me jarur rahegi lekin abhi bhi iske sarir me sanp ka jahar hain ise lekar mere pichhe ayo.
Raja- ji gurudev. Raja sarojni ko apne godi me lekar use guru surnemi ke pichhe chal deta hain .

Kuchh der chalne ke paschat guru surnemi ek jhil ke pass akr ruk jate hain .
Raja registan me jhil ko dekh kar chankit ho jata hain lekin kuchh bolta nhi.
Guru surnemi raja ke man uth rhe swal ko samjh jate hain or kahte hain.
Guru- ye ek maya dwara banaya gya jhil hain taki har rahgir apni pyas bujha sake.
Or ye jo tum chehra dekh rhe ho ye bhi ek maya hi hain .
Raja- ye kaisi maya gurudev?
Guru- ye sab tumhare mani dwara banaya gya hain us mani ko jabtak tum hasil nhi kar lete tab tak mera chehra wapas insani rup me nhi ayega ye sab mani isliye banya taki dust shakti tumhare mani se dur rhe. Ab chalo .
Itna bol guru surnemi us jhil ke ander chal dete hain raja unko jate huye dekhte rhta hain use kuchh samjh nhi ata to wo bhi jhil ke ander chal deta hain

Jhil ke ander jate hi raja dekhta hain ki upper se jhil dikhne wala asal me ander se ek pura ashram hain or ye sab mani ne banya hain .
Raja achambhit najar se guru surnemi ke pichhe chal deta hain
Guru surnemi raja ko lekar apne kutiyan me pahunch jate hain or kahte hain.
Guru- vats ise yahan leta do taki iska upchar kar sakun.
Raja guru surnemi ki bat mn sarojni ko nicche khat pe leta deta hain.
Guru surnemi jyada vilam na karte huye sarojni ka ilaz suru kar dete hain. Sam tak guru surnemi sarojni ka ilaz karte hain.
Uske bad wo raja ko lekar bahar ek chabutra ke pass baith jate hain .
Guru- vats ab tumhare pass samaye bahut kam hain tumko kal pratah prahar hone se pahle tumhe dusra mani hasil karna hoga or sarojni ko ek patni ka darja bhi dena padega jabtak use patni ka darja nhi milta tab tak tum dusra mani hasil nhi kar payoge.
Raja- aisa kyun gurudev?
Guru - asal me ye jhil hi tumhara dusra mani hain jab tum dono ka jism ekdusre se milega tab ye jhil tumhare ander sama jayega matlb ki tumko tumhara dusra shakti ka kuchh ans mil jayega lekin is shakti ka tum filhal istemal nhi kar payoge. Ab tumko jyada bilam nhi karna chahiye jao use hosh aa gya hoga.
Raja -ji gurudev. Raja guru surnemi ko pranam kar ander kutiyan me chala jata hain.
Ander pahunch raja jo dekhta hain use dekh achambhit ho jata hain?

Or idhar
Devika ko nang avasta me kal use bichobich suntaru ke samne khada kar deta hain or uske bad apne demon ke trf dekhta hain jo muh me pani liye usedekh rhe the. Unhe dekh kal muskura kar kahta hain .
Kal - jao jashn ki taiyari karo .hahahhahahaa
Itna sun suntaru rone lagta hain?
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 8

Jaise hi raja kutiyan me ghushta hain wahan sarojni ko hosh me pata hain or uske pass chala jata hain or jo kahta hain use sun sarojni khush ho jati hain.
Raja- aaj hum dono ek ho jayenge .
Kya tum iske liye taiyar ho?
Sarojni sharma kar sirf apna sir haan me hila deti hain.
Uske bad dheere dheere wo dono age badhne lagte hain.
Un dono ki milan ki gwahi wahan maujud rishigan mani wahan maojud kutiyan ful patiiyan ped paodhe fal ful the sarojni apni khushi apni awajen nikal kar sabhi ko bata rhi thi ki aaj wo kitna khush hain uska akhirkar milan ho hi gya raja se bhale uske pahle janm se na huya ho lekin dusre janm se ho hi gya.
Jaise jaise rat apni chhap chhod rhi thi waise waise sarojni ki awajen bhi tej ho rhi thi puri rat na raja so paya or nahi sarojni
Subhah ki pahli kiran ke sath hi achanak us jhil ka pani change hone lagta hain or us jhil me se ek roshni nikal raja ke ander sama jata hain.
Raja ke ander mani samate hi wahan ek roshni fail jati hain us roshni ke karan guru suntaru insani rup me a jate hain .
Kuchh der paschat un dono ka milan samapt hota hain or dono khushi khushi bahar ate hain or suntaru ka ashirwad lete hain lekin raja khud ko jhil ke ander ab bhi pakar achmbhit rhta hain. Guru suntaru raja ke man ke ander chal rhe dwand ko samjh jate hain or kahte hain.

Guru- jab tum is jhil se bahar nikaloge tab sab kuchh thik ho jayega or vats main tumhe kuchh dena chata hun. Main tumhe ye shakti dhansus deta hun iske dwara chalaya gya ban apne lachh tak pahunch jata hain matr us lachhye ke dhyan se hi or ye teer ka kaman is kaman me kabhi bhi teer samapt nhi hoga or ye teer har jagah jaa sakti hain or ye bhavisya or bhutkal dono me jaa sakti hain or brahmand ke kisi bhi kone me jaa sakti .
Ye sab raja ke ander sama jata hain tab guru suntaru sarojni ke trf dekhte huye kahta hain.
Guru- putri tumhari pratiksh or sahan shakti ki koi sima nhi hain or nhi koi paribhasha main tumhe ek aise bacche ka ashirwad deta hun jo bahut hi budhiman or shaktishali hoga.
Uske bad dono guru surnemi ka ashirwad le guru surnemi ke sath bahar aa jate hain .

Unke bahar ate hi registan ek bahut bada ashram me tabdil ho jata hain uske bad dono ashirbad lete hain.

Tabhi mani bahar ata hain un dono ko lekar roshni me gyab ho jata hain.

Idhar jab mahaguru ki dhyan wasta devika ki halat ko dekh tut jati hain or wo turant wahan pahunch jate hain or kahte hain.

Mahaguru - ye kya kar rhe ho kal apni hi bhanji ke sath.
Kal mahaguru ko jahan dekh muskura rha tha wahin mahaguru dwara bhanji sabd sun chankit ho jata hain. Or gusse me mahaguru ki or dahadte huye kahta hain.

Kal - ye nhi ho sakta meri bhanji mar chunki thi meri bahan or bhanji ko in insano ne unko noch noch kar unki izzat luti thi or unhe mar dala tha main in insano ko nhi chhodunga itna kah kal gusse me khada me ho jata hain.

Kal ko gusse me dekh mahaguru kal ko rokne ke liye age badhte hain tabhi kal ek shakti ban mahaguru pe chhod deta hain.
Kal- mere raste me mat ayo main in insano ko nhi chhondunga.
Mahaguru- tumhari bahan us ghatna me mari thi na ki tumhari bhanji .
Tumhari bhanji ka rape karne ke bad uss mara huya samjh kar use jinda chhod wo log chale gye the tabhi main us raste se nikal rha tha to ek ladki ki awaj sun main wahan pahuncha or tumhari bhanji or bahan ki halat ko dekh ankhon me anshoon aa gya tha lekin tumhari bhannji jinda thi to isliye use apne sath lekar chala gya tha or uska ilaz kiya or mere sath hi mere ashram me badi hone lagi use ye dard bhoolane me bahut samaye laga lekin wo hadasha akhirkar wo bhul gyi or ek din iski dosti raja suntaru se huyi or dono dheere dheere pyar karne lage ye dekh main bahut khush huya us samay raja suntaru mere yahan shiksha lene ate the inke pyar ko dekh maine in dono ki sadi kara di thi kya tum ab bhi apni bhanji ke sath ye sab karne wale ho jiske liye tumne pure brahmand ko gulam bana diya?
Kal ye sab sun na saka or apne ghutne ke bal baith rone laga or gusse me uth un sab demon ko gajar muli ki trh katne laga jo buri najar se devika ki or dekh rhe the or phir age apni bhanji ke uper ek roshni dalta hain jab roshni hatti hain tab devika ek rani ke roop me khadi rhti hain tab kal age badh use apne gale laga rone lagta hain or devika ka bhi same yahin hal tha kuchh pal dono rote rhte hain lekin tabhi achanak kal gusse me devika se alag hota hain or kahta hain .
Kal - maaf karna beti main tumhe pahchan na saka.
Itna kah wo apne ap ko marne laga tab devika kal ka hath pakad use rokti hain gale lag rone lagti hain mama kah .
Kal- devika ab tum rani ki trh rho .
Kal dhumketu ko kahta hain jo abhi kal ki dasa ko dekh soch me pada huya tha itna shaktishali demon ek bacche ki trh ro rhatha . Uski tantra tab tuti jab kal ne use pukara.

Kal- dhumketu sunataru ko jail me dal do.
Ye sun devika ke sath sath mahaguru dhumketu or suntaru bhi chankit ho jata hAin.
Ye sun devika kahti hain.
Devika- lekin mama
Kal- suntaru mera dushman hain or main apne dushmani ke bicch kisi ko nhi lata chae wo family hi kyun na ho
Devika- to thik hain main bhi apne pati ke sath jail me rahungi jahan mera pati jis halat me rhega main bhi usi halat me rhungi.
Kal -soch lo .
Devika -maine soch liya .
Kal- thik hain ise bhi jail me dal diya jaye .
Itna kah kal pichhe mud jata hain or rone lagta hain or rote huye wahan se chala jata hain.
Dhumketu dono ko jail me dal deta hain or sath hi maha guru ko bhi.
Kal ka jab rona samapt hota hain tab wo gusse me uth khada hota hain or apne demon sena ko bulakar kahta hain
Kal-jao sab insano ko lao ?
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 9

Idhar jab roshni hati to raja or sarojni khud ko aksh me paa rhe the wo dono chah kar bhi nichhe dharti ko chhu nhi paa rhe the kafi kosison ke bad bhi wo dono dharti ko chhune me asafal huye to wo dono gehri soch me pad gye or ek dusre ko dekhne lage tabhi sarojni raja se.

Sarojni- nath hum log nicche jamin ko chhu kyun nhi paa rhe .
Raja - mujhe nhi pta apni sari shakti ke istemal ke bad bhi nicche jamin ko nhi chhu paa rhe.
Sarojni- apko kya lagta hain aisa kyun ho rha?
Raja- mani ne kaha tha ki wo mujhe hamesha mere mani ke ass pass hi pahunchayega. Syad yahin kahin wo teesra mani ho. Chalo dekhte hain agar humlog nicche jamin ko chhu nhi paa rhe to jarur humlog ud rhe ho .
Sarojni- hmmm
Raja- ye tum mujhe naam se kyun bula rhi or ye nath kyun kah rhi ho?
Sarojni- aisa isliye kyunki kal humdono ka milan jo huya tha mujhe ek patni ka purn adhikar mila tha. To main apko apke name se kaise bula sakti hun.
Raja man me- tumko nhi pta sarojni us samay main kitna dukhi tha jab humdono ka sarir ekdusre se mil rha tha mujhe bar bar apni jaan pari ki yaad aa rhi thi. Mujhe jald se jald apne mani ko hasil kar pari ko wapas lana hain.
Sarojni- kahan kho gye nath.
Raja hadbad kar -kahin nhi chalo chalte hain.
Sarojni man me -mujhe pta hain ap kya soch rhe hain maine apko abhi tak apni shakti ke bare me bhi nhi btaya ki main kisi ke bhi man ki baat jaan sakti hun or jab apka or mera milan ho rha tha tab or ab ap kya soch rhe the. Main puri kosis karungi apko pane main is bar apki judai nhi jhel paungi. Apni jaan de dungi.
Sarojni or raja ek phiki smile pass kar dono wahan se chal dete hain udte huye.

Kuchh dur jane ke bad achanak unhe kayi gadud ( eagle) ka jhund inki or bad rha tha. Unhi me se ek ne agg ki baris raja or sarojni pe kar diya. Raja isase pahle kuchh kar pate sarojni us agg ke gole ko hawa me hi khatam kar deti hain apne shakti se ye raja nhi dekh pata lekin use kuchh sanka jarur ho jata hain.
Raja man me - achanak ye agg ka gola kaise khatam ho gya jarur kuchh to hain.

Apne gole ko hawa me hi samapt hote dekh gadud phir agg ka gola chhodte haiin is bar raja taiyar tha usne bhi ek agg ka gola bana us agg ke gole pe kar deta hain dono gole apas me takara wahan bisfot kar dete hain jab gadud apni agg ke gole ki aisi durdasha dekhte hain to apne sathiyon se kuchh kahte hain or sabhi gadud ek sath agg ka gola banate hain jo ek bahut bade gole me tabdil ho jata hain raja bhi apne agg ke gole or pani ki shakti ko mila us gole pe kar deta hain lekin us bade agg ke gole pe uska koi asar nhi hota phir raja bhi ek bahut bade aggg ke gole ka istmal karta hain or us agg ke gole ko sampt kar deta hain .

Isase pahle phir se ye jang suru ho raja ek aggg ka bawandar bana un gadud pe kar deta hain jo sabhi gadud us bawandar me fas jate hai
Tab raja kahta hain.
Raja- tum sab kon ho? Or humdono pe humla kyun kar rhe hain .
Ek gadud jiske sir pe ek mani jaisa kuchh chamak rha hai wo bolta hain.
Gadud -main gadudon ka raja hun. Tum sab kon ho jo humare rajye me aye ho?
Raja -main raja hun main yahan apni shakti hasil karne aya hun.
Gadud-hmm to tum ho is mani ke malik lekin main ye mani tumhe nhi de sakta
Raja-lekin kyun ?
Gadud-kyunki ye mani humare desh ki rakshah padosi desh ke gidd raj se karta hain . Isliye ye mani nhi mil sakta tumhe.
Agr chahiye to tumhe hum sab ki lash pe gujarna hoga.
Raja- kya koi dusra upaye nhi hain?
Gadud - upaye hain agar tum padosi desh ko hara dete ho to .
Raja kuchh der sochne ke bad .
Raja -thik hain mujhe manjur mujhe bataye unki sima konsi hain?
Gadud - wo jo kala kala hawa ka bawandar dikh rha hain wahin hain gidd ka rajye . Tumhare pass kewal adha pahar hi yani ki 3 ghante jao use hara kar lao nhi to tum isi duniya me kaid ho jaoge hamesha hamesha ke liye.
Raja ye sun chankit ho jata hain.
Or kahta hai.
Raja- ye meri patni hain kya ap ise apne sath le jaa sakte hain.
Gadud-ji jarur.

Sarojni roni si awaja me
Sarojni- nhi main bhi apke sath jaungi ap jahan main bhi wahan. Pichhli bar ap mujhe chhod kar chale gye the is bar aisa nhi hone dungi kripya meri bat man le.
Raja-lekin wahan khatra ho sakta hain.
Sarojni man me -mujhe pta hain apke pass bahut shakti hain lekin wo abhi jagi nhi hain or gid ka raja bahut takt war ap akele use nhi har payenge jab tak main apke sath na rhun to.
Sarojni bahut samjhati hain lekin raja ko na mante dekh sarojni ek akhiri daw chalti hain.
Sarojni - thik hain agar ap mujhe sath nhi le jaa sakte to ye lijiye chanku or mujhe mar dijiye lekin ap mujhe apne se dur na kijiye . Ek bar ho kar dekh chunki hun is bar nhi ye lijiye.
Raja sarojni ke hathon majbur ho jata hain or use apnee sath le jane ko taiyar ho jata hain .
Raja - thik hain . Chalo

Dono ko ek gadud apne raja ke adesh pe unhe gidd ke sima tak chhod kar chala ata hain .

Idhar
Jab insanon ko kal ke samne pesh kiya jata hain unhi me se 25 log buddhe the unke sarir ko dekh kar pta chal rha tha ki un par baki sab se adhik atayachar huya hain. Dhumketu ek demon ko agya deta hain.

Ek demon kode le jakar un 25 budhhe insan pe kode barsata hain jise dekh baki ke 100 log dada dada chilane lagte hain .
Kal in sabhi ki awaj sun krodhit ho kar .
Kal - chup ho jao sab .
Kal gusse me apne singhashan se uth jata hain. Apne ankhon me ashoon or gusse ka mila jula roop le un 25 budhhhe insan ke pass pahunch jo kahta hain use sun jahan demon sena khush hoti hain wahin insano ki rongte khade ho jate hain or un 25 budhhe kal ke pairon me gir kar raham ki bhig mangte hain.

Aisa kya kah diya kal ne un sab ko?
 
  • Like
Reactions: Vaibhav
Top