Update 11
Each Seconds Count.
Lords apni age ke 35th mei tha aur dark elves ki country Pralink ka sab se youngest Mage Commander tha.
Firmoon Universe ke warriors ne apni battle skils ko level 3 par develop kiya hua tha. Wahi jab vo battle skill level 6 par jaati thi toh vo kaafi strong power ko unleash karti thi jo human body ke beyond thi.
Level 6 par jaane se pehle kisi bhi Mage Warrior ko apne attacks ko sahi se apne opponent par land karne ke liye uske opponent ke close jana padta tha. Jo us Mage Warrior ke liye kaafi risky bhi tha. Par jab bhi koi Mage Warrior Level 6 par breakthrough kar leta tha toh usse in sabhi baato se koi bhi tension nahi rehta ttha.
Dark elves ke world mei strength hi har kisi ka status tha. Young dark elf prodigy Lords ko Gladstone City ke ambush ke liye Marshal ki post par appoint kiya hua tha. Dark elves ki army ab Gladstone City se kuch 5 miles ke distance par thi aur vo ab city ke high walls aur clock tower ko bhi dekh sakti thi.
Lords ne jaise imagine kiya tha uska plan utna smoothly carry nahi ho paya tha.
Is sab ki wajah se jab usne apne scout ko news laane ke liye bheja tab uske scout ne kaafi disappoint news laayi thi.
Is wajah se Lords ka mood bhi off ho gaya tha.
“Marshal Gladstone city ke walls par abhi bhi guards waise hi hai.”
“Marshal jaisa hamne plan kiya tha waise Northern Door ko open nahi kiya gaya hai.”
Yeh sab sunkar Lords aur uske generals ke bich kaafi shanti cha gayi thi.
Jin dark elves assassins ko city ke andar inke aane se pehle bheja gaya tha unhone aisi koi bhi baat apni report mei nahi batayi thi. Sirf itna hi bataya gaya tha ke city ke most prominent figures jaise City Lord aur City Academy ke sabhi teachers ko maar diya gaya hai. Is sab ke bich sirf ek accident hua tha aur vo tha academy ke portal tower ke destroy hone ka. Iske aage kuch bhi nahi tha report mei. Is wajah se unke paas koi choice nahi thi kisi ko is news ko bhejne ke liye.
Lekin ab dekh kar aisa lag raha tha ke last ke kuch hours mei yaha par kaafi kuch hua hai.
“Us assassin ko yaha lekar aao.”
Yeh baat Lords ne apne side mei khade ek dark elf warrior se kahi thi.
Jaldi hi us assassin ko Lords ke samne laya gaya. Jab us assassin ne dekha ke Lords aur uske generals ke facial expressions sahi nahi hai toh vo samajh gaya ke yeh uske liye bilkul bhi achha nahi hai. Uske pair jelly jaise ban gaye the aur vo ek hi jhatke mei niche baith gaya tha.
Vo dark elf jaise taise uth khada hua aur Marshal ki taraf aa kar usne respect ke saath kaha.
“Marshal mein aa gaya.”
Lords ke facial expressions abhi bhi kaafi bure the jaise ke ek black hole kisi bhi time par usse apne andar lene wala hu. Uski un ruby ki tarah dikhne wali aankho se vo Marshal jaise us dark elf ko apni nazar se maar dena chahta tha.
Usne us dark elf ko dekhte hue kaha.
“Yeh tumhare liye last chance hai. Kya tumne mujhse kuch hupaya hai ?”
Lords ki is baat par ab vo dark elf kaafi shake karne lag gaya tha. Usne darte hue kaha.
“Marshak Jiggs mara jaa chuka hai. Usse kisi young Mage Warrior ne maar diya. Saath hi ussi Mage Warrior ne portal tower ko bhi destroy kar diya tha. Jab mujhe yaha is report ko lekar bheja gaya tab Master Holmes us young Mage Warrior ke piche chale gaye the.”
Us dark elf ki baat par Lords ne apni aankho ko narrow kiya aur kaha.
“Young Mage Warrior ?’
Tabhi Lords ke side mei ek general tha usne paas aa kar kaha.
“Marshal aisa lag raha hai Holmes bhi us young Mage Warrior ke liye match nahi hai. Zarur usse bhi defeat kar diya gaya hoga.”
Yeh ek war tha. Ismei defeat ka ek hi meaning tha aur vo thi death.
Lords ke sir mei ab pain hona start ho gaya tha. Holmes Silver Moon Mage Guild ka member tha aur uske army se belong nahi karta tha. Upar se Holmes ka mission mei fight karna include hi nahi tha. Uska mission sirf itna tha ke usse portal tower ko activate karna tha. Par ab jab Holmes ki death ho gayi thi toh iska ek hi meaning nikal raha tha ke mage guild phir se uske piche lagne wali thi.
Uski dil mei jo gussa tha vo ab aur bhi badhne lag gaya tha. Usne kaafi cold tone mei phir se us dark elf se pucha.
“Aur tumne yeh baat mujhe pehle kyo nahi batayi ?”
Marshal ko itna gusse mei dekh kar vo dark elf piche ki taraf gir gaya. Usse samajh mei aa gaya tha ke uska end aane wala hai.
Lords ne apne ek haat ko wave kiya. Uske is ishare par 2 dark elves Marshal ke side se aaye aur unhone niche gire hue dark elf ko khinchte hue waha se lekar chale gaye. Jaldi hi army ke piche jo jungle thaw aha se ek chinkh sabhi ko sunayi di. Us dark elf ko maar diya gaya tha.
“Marshal ab ham kya kare ?”
Yeh baat Lords ke side mei jo general tha usne puchi thi.
Is par Lords ne cold tone mei kaha.
“Gladstone City ke sabhi leaders maare gaye hai. Yeh sabhi 2000 guarding troops kisi useless pack ki tarah hai. Jaldi se city par attack karo.”
Lords ke paas 20,000 dark elves warriors ki army thi aur saath mei vo khud ke level 6 ka Mage Warrior tha. Is sab ke upar usse generals ka bhi support tha jo apne aap mei powerful the. Gladstone City ek sabhi powerful Mage Warriors ko pehle hi mara jaa chuka tha. Jo 2000 warriors the vo ordinary Mage Warriors the. Agar Lords aur uske generals apni army ke saath upar attack karte hai toh unhe koun rok sakta tha ?
Lords ko apni army ki strength par confidence tha ke vo Gladstone City ko uski reinforcement aane se pehle hi capture kar lega.
Ek baar Lords Gladstone City ko capture kar leta hai toh vo Gladstone City ke allies Black Iron ke against bhi khud ko defend kar sakta tha. Wahi ek baar unki sacrificial ritual complete ho jaati hai toh Lords ko dark elves ki taraf se kaafi honour mil sakta tha.
“Marshal yeh kuch rishky hai. Agar ham…”
Yeh baat un generals mei se ek ne kahi thi.
Agar vo Gladstone City ko reinforcement aane se pehle capture nahi kar paate hai toh yeh sab karna uske liye kaafi risky ho sakta tha.
“Tumhari himmat kaise hui mere orders par question karne ki !”
Lords ne bich mei hi us general ki baat ko cut kiya aur yeh gusse mei kaha. Uski aankhe gusse se aur bhi red ho gayi thi.
Dark elves mei jo strong tha respect bhi usse hi milti thi. Jaise hi us general ne Lords ko gusse mei dekha toh vo piche hua aur usne kaha.
“Nahi Marshal mein yeh nahi kehna chahta tha. Aap ka word mere liye command hai.”
East mei…
Ek bade se highway par se ek human Mage Warriors ki army north ki taraf kaaffi speed se badh rahi thi. Is army ko Black Iron ka defender Allons lead kar raha tha.
Allons bhi ek level 6 ka Mage Warrior tha. Jab usse MI 3 ki taraf se report mili waise hi usne apne troops ko ready kiya aur Gladstone City ki taraf chal pada.
Black Iron ke paas 15,000 ki troops stationed thi. Usmei se Allons ne apne saath 10,000 Mage Warriors ko apne saath liya aur bache hue Mage Warriors ko ek officer ke under castle ko guard karne ke liye kaha.
Jo report Allons ko mili thi usse toh situation urgent thi. Usne jaldi se is news ko capital mei bhi forward kar diya tha. Allons ko confidence tha ke agar dark elves army ke pehle vo Gladstone City pohoch jata hai toh vo usse defend kar sakta tha.
Saath hi agar koi dark elves army ko unke aane tak rok kar rakhta hai toh dark elves army ke liye retreat ya phir destroy hone ke sivaaye koi aur option nahi tha.
“Faster, Faster !”
Allons ne apne troops ko jaldi se move hone ke liye kaha.
Abhi unke liye time sab se important tha. Ek ek second par battle ka outcome drastically effect ho raha tha. Ya toh dark elf army ke haato city capture ho jaati hai ya phir vo apne city ko defend kar paate hai yeh sab is par depend tha ke unmei se koun 1st city mei pohoch pata hai.
Hawa bhi ab kaafi tezi se behne lag gayi thi. Wahi aasman mei kuch shadows kaafi speed se move ho rahe the. Yeh kuch aur nahi balki Black Iron ki Griffin Special Command Unit thi.
15 griffins V shape ko form karte hue aage badh rahe the. Unhi griffins mei se ek par ek mage baitha hua tha jiska naam Osmu tha.
Osmu ek level 3 Battle Mage tha jo elemental magic mei skilled tha. Saath hi Black Iron ke Violet Council ka member bhi tha. Normally griffins dark battles ke liye suitable nahi the par Osmu ke haato ko staff tha usmei se release hone wali soft par powerful light beam ki wajah se griffins bhi apne back par strong 15 warriors ko lekar unhe unke destination ki taraf jaa rahe the. In sabhi warriors ko Black Iron ne apne troops mei se hi choose kiya hua tha ek Suicide Squad form karne ke liye.
Griffins in sabhi warriors ko Gladstone City mei drop karenge aur yeh sabhi waha ke state of affairs ko stable kar ke Gladstone City ko dark elves ke haato mei jaane se delay karenge.
Yeh mission kaafi dangerous tha jismei se return aane ke chances kaafi kam the. Issi wajah se Suicide Squad ka har ek member ek level 3 Mage Warrior tha aur un sabhi mei jo sab se strong tha vo level 4 ka Mage Warrior tha. Iska naam tha Minx. Saath hi yeh east ke Maple County ke Lord Derek ka chota bhai tha jo khud Swarndesh ke strong Mage Warriors mei se ek tha.
Wahi Osmu ko battle join karne ke koi bhi orders nahi the unless dark elves bhi apne battle mage ko apne amry ke saath naa bheje toh. Otherwise Osmu in sabhi warriors ko Gladstone City mei drop kar ke yaha se chale jaane wala tha.
Griffins extremely fast speed ke saath udte hue Gladstone City ki taraf aa rahe the. Kuch half and hour ke baad unhe Gladstone City nazar aane lag gayi thi.
Upar aasman se unhe eastern city walls par guards abhi bhi patrolling karte hue dikh rahe the. Wahi north se unhe ek black shadow jaisi figure city ki taraf aati hui dikh rahi thi.
Unke liye good news yeh thi ke Gladstone City abhi tak dark elves ke haato mei nahi gayi thi. Saath hi walls par guards ne defence system ko bhi activate kar diya tha. Lekin bad news abhi bhi yahi thi ke dark elves ki army city ke close aa chuki thi.
Osmu ne griffins ko city ke upar laaya. Griffins city ke kuch 300 feet ki height par aaye aur Osmu ne ek spell cast kar ke unhe niche land karva diya.
Niche aane ke baad Osmu ne sabhi warriors ko ek cloak diya jispar rock armour ki spell cast ki hui thi.
Rock armour ek level 2 ki defensive spell thi.
Yeh spell jis bhi cloak par cast ki jaati thi uspar yeh ek thick, strong, sturdy magical armour ko form karti thi. Iski speciality physical attacks se defence karne mei hai.
Jis jagah par yeh sabhi khade the waha par magic non stop flash ho raha tha. Ek thick yellow light ne sabhi 15 Mage Warriors ki bodies ko cover kar liya tha. Yeh light itni dense thi ke yeh kisi yellow crystal ke layer ki tarah dikh rahi thi.
Ek ke baad ek itni level 2 spells ko cast karne ke baad Osmu ne apna half Mana use kar liya tha. Usne Minx ko dekhte hue kaha.
Minx ab iske aage ki battle tumhare haato mei hai.”
Is par Minx ne kaha.
“Don’t Worry!”
Yeh keh kar usne apni back par lagi hui shield ko nikala aur city ki taraf chala gaya.
Osmu ne Minx ko jaate hue dekha. Uske baad usne apne griffins ko upar udte hue aasman mei ek circle lagaya aur bache hue sabhi Mage Warriors ko unke destinations ki taraf le jaane lag gaya.
Jaldi hi usne apne Suicide Squad ko unke destinations tak pohochane ka mission complete kar liya tha.
Raj aur baki sabhi city wall ke niche aa kar Annie se milne jaa rahe the ke tabhi unhe bich mei hi treasury dikhi. Usse dekh kar sabhi us taraf badh gaye. Unhe is war mei jitni bhi help mil sakti thi utna unke liye achha tha. Sabhi jaldi hi us treasury ke andar chale gaye aur waha par dekhne lag gaye ke unhe kuch waha par kuch helpful chize mil sakti hai ya nahi.
Lekin abhi unka time sahi nahi tha. Waha par unhe koi bhi aisi chiz nahi mili jo unhe is war mei kisi bhi tarah se helpful ho. Us treasury mei magics spells se related kuch books thi aur 20 pounds jitney gold coins the. Yeh sab Raj ke kisi kaam ke nahi the is liye usne Roshni ko yeh sab dekhne ke liye kaha.
Roshni ke paas ek dimensional storage item tha jismei vo kuch chizo ko rakh sakti thi. Lekin aise side gears kaafi expensive the. Ek simple dimensional storage ring ki price 3000 gold coins ki thi.
Aise hi aaspas dekhte hue Raj ko waha par kuch drawers dikhe. Raj chalte hue unke paas gaya aur unmei se ek drawer ko usne open kar ke uske andar dekha. Uske andar Raj ko Low Level Mana Potions ki vials dikhe.
Lekin yeh Low Level Mana Potions slightly toxic the.
Raj ne phir bhi kuch sochte hue un bottles ko nikaala aur unhe apne paas rakh liya.
Gladstone City, City Walls, North Side.
Annie dark elves army ko unki taraf aate hue dekh sakti thi.
Yeh sabhi kaafi zyada the. At least 15000 ke aaspas.
Jab Annie City Guard Walls par aayi tab usne aate hi sabhi guards aur Mage Warriors ko apne authoritive control me le liya. Yaha par kuch 1500 guards aur Mage Warriors the. Unki help se Annie ne apne aaspas ke area mei jitney bhi dark elves the unhe maar diya tha. Saath hi usne jo aaspas jitney bhi wandering mage warriors the unhe bhi recruit kar liya tha.
Is sab mei Annie ne apna best try diya tha. Lekin is sab ke baad bhi vo sirf 2000 Mage Warriors ki force hi bana paayi thi. In mei se kuch toh new join hue the.
Jab Annie ne unke face par dar dekha toh unke moral ko boost karne ke liye usne sabhi ko dekhte hue kaha.
Annie-Sabhi khud ko strength up karo. Aaj ham in sabhi dark elves ko dikha denge ke hamari strength kya hai. Warriors hamari city ki walls tall aur strong hai. Hamare paas crossbows hai. Hame in sabhi ko apni strength ke saath face karna hai.
Annie ki baat ko sunkar sabhi warriors ke body mei unka blood rush hone lag gaya tha.
Abhi Annie ne apni baat ko complete kiya hi tha ke tabhi usse dark elves ki army se ek terrible battle cry sunayi diya. Dark elves city walls ke niche aa gaye the.
“KILL!”
Yeh battle cry ek single dark elf ne ki hui thi. Par yeh kisi thunderclap ki tarah tha. Us battle cry ne jaise pure battlefield ko shake kar diya tha.
Annie ne jaldi se us taraf dekha jaha se yeh battle cry aayi hui thi. Ek duke ki daughter hone ki wajah se aur ek intelligence agency ki member hone ki wajah se Annie ko is sab ke baremei significant knowledge aur experience tha. Sirf aawaz se hi usne apne opponent ke level ko sense kar liya tha.
“KILL! KILL! KILL!”
Ek ke baad ek sabhi dark elves bhi aisi hi battle cry dene lag gaye.
Lekin is sab se jo human Mage Warriors kuch der pehle josh mei aaye hue the vo ek baar phir se kuch darne lag gaye the.
Dark elf army kisi tsunami ki tarah thi aur human Mage Warriors kisi boat ki tarah jo kisi bhi pal is tsunami ke niche dabne wale the.
“Oh God yeh kaafi saare hai. Ham jitna bhi try kar le ham in sabhi ko rok nahi sakte hai.”
“Nahi! Agar mein yaha ruka toh definitely mara jaunga.”
“Jaldi! Hame abhi yaha se nikalna hoga.”
Aisi hi baate ab human Mage Warriors ke muu se nikalne lag gayi thi.
Tabhi kahi se Aditya aaya aur usne aate hi piche ki taraf palte hue sabhi Mage Warriors ko apne single sword strike se hi maar dala. Uske single sword strike mei hi usne un sabhi ke siro ko unke body se cut kar ke alag kar diya tha.
Annie yeh dekh kar kaafi shock hui. Usne war ko kabhi aisi experience nahi kiya tha. Vo apne enemy ki taraf harsh aur ruthless ho sakti thi par apne hi high warriors ki taraf kabhi nahi. Lekin Aditya ka aisa karna necessary tha. Is liye Annie ne zor se Aditya ki taraf ishara karte hue kaha.
Annie-Sabhi warriors meri baat suno. Yeh hai hamare Swarndesh ke prince, Prince Aditya aur jo unke side mei khade hai vo hai Senapati Dipak ke bete Master Raj. Unke saath khade hai in dono ke friends. Aaj ke is war mei hamari help karne ke liye khud Prince Aditya aur Master Raj aaye hue hai. Vo abhi bhi apne teen age mei hai aur ham sabhi unse age mei bade. Aise mei ham unke samne apne sir ko niche girta hua nahi show kar sakte hai. Yaad rakhna jab tak reinforcement nahi aa jaati hai tab tak is city ki Last line of Defence ham hi hai.
Annie ki baat sunkar sabhi shant ho gaye aur phir se dark elves ki army ke saath battle karne ke liye ready ho gaye.