Update 21
Let’s Charge In.
Aditya ke ishare par vo tino bhi khade ho gaye the.
Aditya ne apne aaspas dekha aur phir ek jagah ki taraf ishara karte hue unhe apne piche aane ke liye kaha.
Jab tino bhi waha pohoche toh Aditya ne palat kar tino ko dekha.
Is par Jacker aage aaya aur usne apne sathiyo ka introduction dena start kar diya.
Jacker-Prince yeh hai Gilder, Yeh ek Archer hai aur yeh hai Lucy, yeh ek Swordswomen hai. Mein jacker ek Tank ki position par hu. Hamare is Mercenary band ko Flamingo Mercenary Band kaha jata hai.
Aditya ne Jacker ke introduction ko sunne ke baad apne robe mei haat daal kar 3 hand bands ko nikala aur unhe un tino ko dete hue kaha.
Aditya-In bands ko apne apne haato mei pehen lo. Yeh Sigma hai hamare Swarndesh ka, jab bhi tum tino capital mei aaoge toh gate par tumhe isse show karna hai aur tum jaldi se andar aa paoge aur ab se tum direct command ke under rahoge. Tumhe sirf mujhe Maharaj Shekhar, Senapati Dipak aur unhe bete ko hi report karna hai. Aaj se tum official Royal Mercenary Band ho Tumhe jo bhi skills aur practice karne ke liye resources ki zarurat hogi vo tumhe Royal Decree se milengi.
Aditya ke is baat par tino bhi kaafi had tak shock ho gaye the.
Unka yeh band jo ek normal mercenary band tha vo suddenly Royal Mercenary Band ban gaya tha. Saath hi unhe jo kuch bhi chahiye hoga vo sab kuch unhe Royal Decree se milne wala tha. Kisi bhi mercenary band ko aur kya chahiye rehta hai.
Wahi Aditya ne bhi aise hi unhe choose nahi kiya tha. Ek Dragon Pearl ka holder hone ke wajah se vo human emotions ke saath kaafi sensitive tha. Vo humans ke positive aur negative emotions ko bhi sense kar sakta tha. Jab Aditya ne in tino ko dekha that oh usse in tino se kisi bhi tarah ke negative emotions sense nahi hue the. Aise mei vo itne capable Mage Warriors ko apne haato se kaise jaane de sakta tha.
Saatj hi usne jo in tino se promises kiye hue the vo sab kuch sach the.
Yeh sab kuch Maharaj Shekhar ne hi decide kiya hua tha.
Ab jab unhe ek off chart search party mil gayi thit oh vo sabhi ab Bell ke baremei pata laga sakte the. Vo bhi bina kisi ke nazar mei aaye.
Gilder aur Lucy apne haato mei vo bands pehen kar kaafi khush nazar aa rahe the par wahi Jacker kuch serious dikh raha tha.
Usne Aditya ko dekha aur usse pucha.
Jacker-Prince yeh sab aap ne ham sabhi ko kis liye diya hua hai kya ham yeh jaan sakte hai ?
Jacker ki baat sunkar Gilder aur Lucy bhi kuch serious ho kar Aditya ko dekhne lag gaye.
Aditya ne un sabhi ke facial expressions ko dekha aur phir kaha.
Aditya-Hame pata chala hai ke hamare capital aur uske aaspas ke area mie Dark Elves ke kuch spies chupe hue hai aur saath mei koi aisa bhi hai jo unki kuch activities mei unki help kar raha hai. Hame jin par doubts hai unmei se ek naam East Cove Magic Academy ke Senior Magician, Magician Bell ka bhi hai aur unke personal student par bhi. Upar se yeh Victor bhi hamari list mei aata hai. Hame is Victor ke baremei koi zyada information nahi mil paayi hai. Par mein ne suna hai ke mercenaries ka network kaafi strong hota hai. Issi liye hame ek aise mercenary band ki zarurat thi jispar ham trust kar sake saath hi vo strong bhi ho. Mein ne jab tum tino ko dekha tha tabhi samajh gaya tha ke tum kaafi strong ho aur saath mei agar mein sahi hu toh tumhara network information bhi kaafi achha hoga. Aise mei mein tumhe jaane nahi de sakta tha.
Aditya ki baat ko sunkar tino bhi satisfied lag rahe the. Unhone ek dusre ko dekha aur phir apne sir ko haan mei hila kar ek dusre ko ishara kiya.
Jacker ne Aditya ko dekhte hue usse pucha.
Jacker-Prince ab hame kya karna hoga ?
Jacker aur uski team is sab ke liye ready ho gayi hai yeh dekh kar Aditya bhi khush ho gaya. Usne smile karte hue kaha.
Aditya-Ab jab ham yaha aa hi gaye hai toh us Victor ka chapter end kar ke hi capital ke liye nikalte hai. Jacker kya tum uski kuch information nikaal sakte ho ?
Aditya ki baat sunkar Jacker ne kaha.
Jacker-Haan Prince mujhe aaj ke din ka time dijiye. Night taka ap ko uski aur uske hiderout ki saari information mil jayegi.
Is par Aditya ne apne sir ko haan mei hilaya.
Issi ke saath Aditya ka half task pura ho gaya tha. Bas ab yeh Victor ka kaam reh gaya tha jispar vo puri tarah se conform tha ke next din vo aur uska yeh new mercenary band milkar complete kar dega.
Jacker apne saathiyo ko lekar waha se chala gaya aur wahi Aditya lodge mei aa kar apne room mei aa gaya aur waha par aage ki planning karne lag gaya.
Kuch der baad apne plan ko pura karne ke baad Aditya meditate karne baith gaya aur uska yeh meditation kuch evening tak chala. Jab uske door par kisi ne knock kiya tab usne apne meditation ko stop kiya aur aaa kar apne door ko open kiya. Uske door ke bahar Jakcer aur uske saathi khade the.
Aditya ne Jacker aur bakiyo ko andar aane ke liye kaha.
Ander aane ke baad Jacker ne Aditya ko Victor ke baremei jo kuch bhi information mili thi vo sab batane lag gaya. Yeh sab sunkar Aditya ne jo plan banaya tha usmei kuch changes kiye aur vo plan Jacker, Gilder aur Lucy ko bata diya.
Next din sabhi Aditya ke saath City Forest ke North-Western part mei aa gaye the.
Jacker ke information ke mutabik Victor forest ke issi area mei rehta hai.
Aditya ne Jacker se pucha.
Aditya-Jacker tumhari intel kya kehti hai ?
Is par Jacker ne kaha.
Jacker-Prince mere intel ke mutabik yaha ke area mei ek cave hai aur usse Dark Brotherhood members guard karte hai. Yeh ho nah o us Victor ke hideout spots mei se ek ho sakta hai. Us cave ke andar bhi kaafi saare bodyguards Victor ko guard karte hai aur vo sabhi guards is brotherhood ka elite member hai aur combat mie bhi highly skilled hai.
Is par Aditya ne aage pucha.
Aditya-Toh kya tumhe pata chala ke hame kitne logo ko face karna hoga ?
Is par Jacker ne apne sir ko haan mei hilate hue kaha.
Jacker-Yes Prince, Mujhe pata chala hai ke cave ke bahar ke side par 60 patrolling members hai. Lekin cave ke andar kitne hai yeh pata nahi chal paya. Ham sirf guess kar sakte hai ke cave ke andar bhi at least 30 members ho sakte hai. Ham sirf 4 hai aur hamara aise directly attack karna sahi nahi hoga. Mera yeh plan hai ke ham cave ke paas wale area mei chup kar rahenge aur cave ke activities ko observe karenge. Victor jaisa person hamesha ke liye us cave mei nahi reh sakta hai. Usse kabhi na kabhi bahar toh aana hi hoga aur jab vo bahar aayega ham us par attack kar denge.
Yeh sab keh kar vo sabhi jungle ke aur bhi andar aa gaye the.
Jaldi hi unhe vo jagah bhi mil gayi jaha par vo cave bani hui thi. Sabhi us cave se kaafi distance par jo small trees bane hue the uske andar chup gaye aur us cave ko dekhne lag gaye.
Aise hi chupe hue inhe 2 din ho gaye the. Lekin unhe kahi se bhi waha par Victor ke hone ke traces nahi mil paa rahe the.
Is par Aditya ne un sabhi se phir se kuch baato ke baremei pucha jispar Lucy ne usse sab kuch bata diya.
Asal mei yeh tino bhi Gladstone City se belong karte the par jab awha par Dark Elves ka attack hua tha tab sabhi apni jaan bachane ke liye waha se bhag gaye the. Aise hi jab vo River Cove City mei aaye tab unhe City Hall se yeh mission mila.
Yeh sab sunkar Aditya ne kuch socha aur phir kaha.
Aditya-Agar tum jo bhi keh rahe ho vo sach hai toh Victor ka itna time andar rehna impossible hai. Yeh bhi ho sakta hai ke vo is cave mei naa ho yaa phir is cave mei andar aur bahar jaane ke liye koi aur secret passage ho.
Is par Jacker ne kaha.
Jacker-Par Prince mujhe jo intel mili hai usse yahi pata chala hai ke yeh Brotherhood ki sab se old cave hai aur sabh new members ko yahi aana padta hai gand mei select hone ke liye.
Yeh sunkar Aditya ne kaha.
Aditya-Phir hamare paas koi second option nahi hai. Mein ne suna hai ke rabbits apni cave ke andar jaan bachane ke liye kaafi saare dusre entrance bhi bana kar rakhte hai. Victor bhi kisi rabbit se kam nahi hai. Victor kabhi bhi is cave mei khud ko trap kar ken ahi rakhega. Agar mein sahi hu toh is cave se nikalne ke liye koi dusra exit bhi hoga.
Aditya ki baat sunkar Lucy ne kaha.
Lucy-Agar aisa hua toh yeh baat Victor ke sab se bade safeguard ko pata hogi aur uske baad Brotherhood ke most important person ko pata hogi. Aise mei ham usse kabhi bh dhund nahi payenge.
Gilder-Yeh darpok chuha.
Gilder ne yeh baat kuch gusse mei kahi thi.
Last ke 2 din vo sabhi sirf cave ke entrance ko hi observe kar rahe the. Par ab jab unhe pata chala ke unke is sab se unhe koi benefit nahi hua hai toh is baat par Gilder kaafi gussa ho gaya tha.
Jacker ne Aditya ko dekha aur usse pucha.
Jacker-Prince ab ham kya kare ?
Aditya ne bhi kuch soch kar haste hue kaha.
Aditya-Ham charge karenge.
Yeh keh kar Aditya ne apne sword ko nikaala aur khada ho gaya.
Wahi Aditya ko khade hote dekh kar baki sabhi bhi khade hog aye.
Lucy ne Aditya ko dekhte hue kaha.
Lucy-Par Prince ham sirf 4 hai aur hame abhi tak yeh bhi pata nahi chal paya hai ek ham kitne logo ke saath battle karne wale hai.
Lekin Jacker Aditya ke face ko hi dekh kar bata sakta tha ke uske paas zarur koi plan hai.
Jacker ne Aditya ko dekhte hue usse pucha.
Jacker-Prince hame kya karna hoga ?
Aditya ne kuch soch kar un tino par hi ek spell ko cast kiya.
Uske aisa karte hi un tino ke aaspas ek small tornado create hua aur dekhte hi dekhte un tino ke samne hi 3 shadows create hone lag gayi.
Abhi Aditya ne jis spell ko cast kiya tha vo ek Elemental Spell thi aur isse Physical Avatar kaha jata tha. Yeh har tarah ke element se kisi ka bhi clone bana sakti thi. Yeh clones real person ki tarah chal aur bol bhi sakte the. Lekin zyada der ke liye nahi. Yeh ek tarah ki distraction spell thi. Iska use apne opponent ko distract karne ke liye kiya jata tha.
Is sab ke baad Aditya ne in tino ko apne plan ke baremei bataya aur yeh tino bhi careful ho kar uske plan ko sunne lag gaye. Ab in tino ke mind mei Aditya ki capabilities par koi bhi doubt nahi tha.
Jaha bahar yeh mercenaries aur Aditya milkar cave par attack karne ka plan kar rahe the wahi cave ke andar Victor kisi special guest se mil raha tha. Is guest ne abhi ek hooded cloak pehna hua tha aur apne haato par bhi usne gloves pehne hue the. Uske skin ka koi bhi part expose nahi tha. Uske baremei jo bhi information mil sakti thi vo yeh thi ke uske haato mei ek blue gemstone tha.
Uske samne jo table tha uspar ek pouch rakha hua tha aur saath mei ek crystal jo blackish purple light ko emit kar raha tha. Us crystal ki wajah se cave ke us part mei candles ki light hone ke baad bhi aisa feel ho raha tha jaise vo cave ka part kisi mysterious darkness mei hai.
“Victor is pouch mei 500 gold colins se bhi zyada ke precious gemstones hai. Yeh tumahra reward hai. Tumhe bas yeh karna hai ke kaise bhi kar ke tumhe in crystals ko us East Cove Magic Academy ke andar pohochana hai. Waha par jo hamara benefactor hai vo isse receive kar lega.”
Yeh baat us aaye hue guest ne Victor se kahi thi.
“Yeh my lord!”
Yeh keh kar Victor us pouch ko apne haato mei tightly pakad leta hai. Uski aankho mie lalach clearly dikh rahi thi. Usne apne pure life mei sirf ek hi baat ki care ki thi aur vo baat thi money. Money se uske dil ko satisfaction milta tha.
Agar baat money ki ho toh vo khud ke bachho ko bhi sell karne se piche nahi hat sakta tha. Agar us bachhe ki usse koi high price dene ke liye ready ho toh vo kuch bhi soche bina usse sell kar sakta tha.
“Na mujhe nirash karna aur na hi Masterko !”
Us guest ne yeh baat kaafi strong tone mei kahi thi. Agar abhi Aditya yap hir Raj yaha hote toh vo unhe yeh pehchanen mei zara bhi time nahi lagta ke is guest ne apne real aawaz ko mask kar liya hai.
“Mein apni taraf se sab kuch try karunga.”
Yeh keh kar Victor apne ghutne par baith gaya. Jab kuch der baad usne apne sir ko upar utha kar dekha toh vo guest waha se gayab ho gaya tha.
Victor apni jagah par kaafi shock tha aur saath hi vo us person ki kaafi respect bhi karne lag gaya tha. Uske mutabik us person jaisa skill shayad hi kisi ke paas ho.
Victor ne us pouch ko table par rakha aur usse open kiya. Us candle light mie jo us pouch mei gemstones the vo kuch shine kar rahe the.
“Ohh yeh toh Cats Eye Stone hai aur yeh Blue Gemstone aur yeh Fire Diamond……Kitne khubsurat hai yeh. Saath hi is mission ke liye 500 gold coins mile hai. Master sach mei kaafi dayalu hai mujh par.”
Victor kaafi time tak un gemstones ko aise hi dekhta raha.
Jab Aditya aur yeh tino mercenaries yaha par aa rahe the tab Aditya in tino ko kaafi observe kar raha tha. Jaha Jacker aur Lucy kaafi kam baat karte hai wahi par Gilder ek open minded person hai. Is liye Aditya ko Gilder kabhi kabhi bachho jaise behave kar raha hai aisa lagta hai. Lekin Aditya yeh baat bhi achhe se pata thi ke Gilder dil se bura nahi hai.
Jaldi hi Aditya aur baki sabhi cave ke kaafi paas wale area mei aa gaye the.
Waha par ek bada sa tree tha jiski height kuch 200 ft ki thI. Uska trunk itna bada tha ke agar usse puri tarah se circle karna hua toh uske liye 3 logo ko gale lagana pad sakta tha. Lekin uske baad bhi tino ke haat ek dusre ko touch nahi kar sakte the. Wahi upar ki taraf is tree ki branches itni dense thi ke waha par koi chup jaaye toh kisi ko bhi jaldi pata nahi chal sakta tha. Aditya ke saath saath yeh tino bhi us tree par chad gaye.
Cave ki entry ko ek bada sa natural stone cover kar raha tha. Us stone par kaafi thick tree roots bhi aa gaye the. Saath hi uske upar grass bhi uug aayi thi. Is liye us stone ke aaspas kahi par bhi koi opening nahi thi.
Tabhi Gilder ne us stone ko aur bhi observe karte hue dekha aur Aditya ko kuch dikhate hue kaha.
Gilder-Prince waha par dekhiye stone ke niche ke area ko, Shayad wahi cave ka entrance hai.
Aditya ne Gilder ke point kiye hue direction mei dekha aur tab uski nazar stone ke niche wale part par gayi jaha par grass ka kuch part nahi tha. Yaani yahi se gang members aate aur jaate the.
Tabhi Lucy ne kaha.
Lucy-Prince mujhe waha par kuch strange dikh raha hai.
Lucy ki baat par Aditya ne jaldi se uski taraf dekha aur kaha.
Aditya-Kya tum waha par kisi strange aura ko dekh paa rahi ho
Is par Lucy ne apne sir ko haa mei hilaya.
Yeh baat kuch rare thi. Aise kaafi kam log hote the jo special aankho ke saath born hote the. Inhe “Eyes of Mana” kaha jata tha.
Yahi baat Lucy ke saath thi. Vo bhi inhi Eyes Of Mana ke saath born hui thi. Par vo ek commoner thi jo ek gift ke saath born hui thi lekin uske paas koi status nahi tha aur naa hi koi finance. Upar se naa hi koi aisa jo usse guide kar sake. Issi wajah se vo ab tak ek average mercenary hi ban paayi thi. Agar usse sahi time par koi guide karne wala mil jata toh vo aaj ek mercenary yaa phir ek average Mage Warrior nahi ban kar reh jaati. Vo zarur ek powerful Battle Mage yaa phir ek powerful Mage Warrior ban sakti thi.
Aditya ne Jacker ne pucha.
Aditya-Waha par koi bhi hiding spot kyo nazar nahi aa raha hai ?
Yeh sunkar Jacker ne kaha.
Jacker-Prince mein ne suna hai ke Brotherhood gang is area mei itna careless hai ke unhe pata hai ke unke against is city mei koi kuch bhi nahi kar sakta hai. Is liye yeh apna sab kuch khane pine ke liye lagne wala saman issi city ke market se lekar jaate hai. Jab mein ne aaspas inquiry ki tab mujhe pata chala ke almost 30-40 logo ke khane ka saman aur fruits ko yaha se le jaya jata hai.
Jacker ki baat sunkar Aditya ne apne sir ko haan mei hilaya.
Wahi Lucy ki baat ko sunkar vo kuch alert ho gaya tha. Gladstone City ki battle ke baad uska experience kaafi badh gaya tha. Saath hi Raj ki tarah hi vo bhi kaafi saari baato ko observe karne lag gaya tha. Jab Lucy ne aura ki baat ki thi tabhi Aditya ko us cave entrance par doubt ho gaya tha ke waha par zarur unhone kisi na kisi spell ko active rakha hoga.
Aditya apni jagah par khada hua aur usne apne haat ko aage karte hue apne aaspas flow hone wale wind current ko us bade se stone ki taraf direct kiya.
Kyo ki Aditya ne is wind current ko detection ke liye bheja tha is liye uska flow itna strong nahi tha. Agar yeh kisi ke bhi paas se flow ho jaaye toh bhi us person ko yeh normal wind flow hi lag sakta tha.
Jaise hi wind current ne us bade se stone ko hit kiya waise hi Aditya ko us stone ke paas active rakhi hui ddetection spell sense hui.
Apne haat ke ishare se usne yeh baat baki tino ko bhi bata diya aur phir sabhi us tree ke upar se niche aa gaye.
Sab se pehle Aditya ne un shadows ko aage bheja agar koi bahar ki taraf guard kar raha ho toh unhe distract kar sake.
Vo tino shadows kaafi speed ke saath aage badh gayi aur jaise vo us bade se stone ke samne aaye waise hi Jacker ki shadow ne zor se chillate hue kaha.
“Victor, darkpok bahar aa kar mujh se fight karo. Dekho tumhari death aa kar bahar khadi hai.”
“Victor bahar aa darpok.”
“Victor bahar aa kar apne baap se milo.”
Jacker ki shadow ki kahi hui baate us area mei jaise gunjhne lag gayi thi.
Tabhi cave ke andar se kaafi saare gang members bahar aane lag gaye. Un sabhi mei ek Madman tha jo ek horse par baith kar bahar aa raha tha.
Usne bahar aa kar zor se chillate hue kaha.
“Koun hai jisne abhi yeh saari baate kahi thi ?”
“Maaro usse! Maaro usse!”
“Isse arrows ke saath shoot karo. Isse ek porcupine mei badal denge.”
“Nahi isse zinda rakh kar iske skin ko nikaalenge tabhi yeh sab yaad rakh payega.”
Aisi hi kaaafi saari baate bahar aaye hue gang members kar rahe the. Vo sabhi kaafi gusse mei the.
Jacker ki shadow ne uske haat mei jo hammer tha usse usne zor se ground par patak diya. Vo shadow puri tarah se real Jacker ki taraf behave kar rahi thi.
Us shadow ne phir se zor se chillate hue kaha.
“Victor us cave se bahar aao. Agar tumhare andar himmat hai toh mere saath ek dual karo.”
Jacker ki baat ko sunkar aaspas jitney bhi gang members the vo sabhi uski taraf aane lag gaye.
Un sabhi ko Jacker ki shadow ki kahi hui baato ko sunkar gussa aa raha tha.
Un sabhi ke haato mei impressive weapons the. Jo shadow ke paas khade the unke haato mei steel se bane hue weapons the wahi unhone armour bhi pehna hua tha. Wahi piche ki taraf jo gang members the unhone leather armour pehna hua tha aur unke haato mei long bows the aur unhone usse in tino shadows par point kiya hua tha.
Mercenaries ki shadows ko almost 70 ke upar se gang members ne surround kar liya tha.
Yahi Aditya ko chahiye tha. Vo cave ke bahar hi Victor ke force ke sab se bade part ko eliminate karna chahta tha aur usse uska plan success hote hue dikh bhi raha tha.
Jaise hi bahar aaye hue sabhi gang members ne mercenaries ki shadows ko surround kar liya waise hi yaha par Aditya ne bhi apne powers ko release kar diya.
Uske apne powers ko release karte hi uske pure body ko fire ne cover kar liya tha aur usne apne right haat mei apni sword ko pakad rakha hua tha.
Abhi kisi bhi gang member ki nazar apne piche ke area mei nahi gayi thi.
Kyo ki abhi Aditya aur baki sabhi ek small hill par the is liye unke paas high ground tha. Ussi ka benefit lete hue Aditya ne free fall aur jaise hi vo us hill ke middle area mei aaya waise hi usne apne legs ko hill par zor se push kiya jiske wajah se vo kaafi speed ke saath us Madman ki taraf badhne lag gaya.
Tabhi suddenly us Madman ke aankho ke samne kuch flash hua. Par jo hona tha v oho chuka tha.
Aditya ki speed kaafi fast hone ki wajah se abhi Aditya us Madman ki taraf apni back kar ke khada tha. Usne apne sword ko halke se wave kiya aur uspar lage hue blood ko clean kar diya. Issi ke saath Aditya ne apne sword ko uske sheath mei rakh diya.
Wahi uske piche vo Madman pehle toh shock hua lekin abhi vo aage kuch keh pata usse pehle hi uska sir uske body se kat kar niche gir gaya.
Is sab ki wajah se waha ka atmosphere kaafi calm ho gaya tha. Koi bhi gang member abhi jo bhi unki aankho ke samne hua usse achhe se samajh hi nahi paa raha tha.
Lekin abhi jo hua usse sabhi gang members puri tarah se samajh paate usse pehle hi phir se unke back se unpar attack hona start hua.
Yeh Jacker, Lucy aur Gilder the. Jaha Jacker aur Lucy aage aa kar sabhi gang members ko maa rahe the wahi Gilder piche se unhe back up de raha tha. Apne longbow skills ke saath vo har ek gang member ko arrows se shoot karne lag gaya tha.
Ab Aditya bhi in sabhi mei join hua aur usne apne fist ko fire se cover kar liya tha. Uske har ek punch par vo apne opponent ke chest mei hole bana raha tha.
Aditya ki aisi ruthlessness dekh kar ek pal ke liye toh yeh tino mercenaries bhi shock ho gaye the. Lekin zyada time ke liye nahi. Unhe pata tha ke yeh surprise element zyada time ke liye work nahi kar sakta tha. Is liye vo jaldi se jaldi in sabhi gang members ko yahi maar dena chahte the.
Kuch der baad waha par kaafi saari dead bodies giri hui dikh rahi thi. Yeh sabhi gang members hi the aur Aditya aur tino mercenaries bhi abhi tak puri tarah the thik the. Unhe kahi par bhi koi injury nahi hui thi.
Ab Aditya aur baki sabhi us cave ki taraf badh gaye.
Cave ke andar bhi kaafi saare gang members the aur unhone cave ke bahar se aane wali chikho ko soon liya tha. Par jab sab kuch calm hua toh unhe kuch ajeeb lagne laga.
Kuch der baad unhe bahar se Jacker ke heavy steps sunayi dene lag gaye.
Jacker us bade se stone ke samne aa kar khada hua aur apne Mana ko circulate karte hue usne us stone par apne shield ke saath charge kiya.
Boom!
Jaise hi Jacker ki shield us bade se stone ke saath crash hui waise hi vo stone ek blast ke saath destroy ho gaya.