• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RAKSHAK-THE SPECTRE

Yes or No

  • Yes

    Votes: 116 96.7%
  • No

    Votes: 4 3.3%
  • Other

    Votes: 5 4.2%

  • Total voters
    120
  • Poll closed .

Naik

Well-Known Member
20,714
76,281
258
Update 32

Retreat.

Border of Mist Basin.

Hera aur baki sabhi Mist Basin ke border par khade the. Vo abhi bhi yahi soch rahe the ke unhe andar jana chahiye yaa nahi.

Tabhi un sabhi ko apne piche se kaafi saare footsteps apni taraf aate hue sunayi diye.

Sabhi ne palat kar dekha toh Aditya aur Abhay apne saath kuch 10-15 Elite Mage Warriors ko lekar aaye the.

Unke saath mei Flamingo Mercenary Band bhi tha.

Paas aane par Aditya ne Hera ko dekha aur kaha.

Aditya-Professor hera yeh sabhi Elite Mage Warriors hai. In sabhi ki help ke saath ham aage badh sakte hai.

Hera ne Aditya ki baat suni aur apne sir ko haan mei hilaya. Aage toh vo badhna hi chahti thi. Lekin abhi tak unke paas koi plan nahi tha ke aage kaise badhna hai. Upar se yeh white mist saamne sab kuch block kar rahi thi. Is wajah se unhe yeh tak pata nahi chal paa raha tha ke unhe jana kis direction mei hai.

Agar vo yaha par ek bhi wrong step lete hai toh kaafi kuch ho sakta tha. Ek pal ke liye Hera retreat karne ke barmei soch rahi thi kyo ki ab situation uske bhi haato se bahar ho gayi thi. Upar se usse yaha aane ke baad se kaafi negative energy feel ho rahi thi.

Baar baar usse aisa feel ho raha tha ke koi hai jo unke movement par nazar rakhe hai.

Lekin asia sirf Hera hi feel nahi kar paa rahi thi balki waha par jitney bhi log the un sabhi ko bhi aisa hi feel ho raha tha ke koi hai jo unhe is fog ke hote hue bhi dekh raha hai.

Upar se aisa lag raha tha ke har bitne wale pal ke saath yeh fog dense hota jaa raha hai. Agar vo jaldi hi kuch nahi karte hai toh vo yaha par phas sakte the.

Kuch der aise hi soch kar Hera ne sabhi se kaha.

Hera-Sabhi meri baat suno. Hame yahi se retreat karna hoga. Yeh mission ab kaafi dangerous ho gaya hai. Saath hi hame ab is sab ke liye professionals aur experts ki zarurat hai. Ham abhi yaha se nikal rahe hai.

Hera ki baat sabhi ko sahi lag rahi thi.

After all Raj aur uske friends Magic Academy ke students the. Agar unhe kuch bhi hota hai toh Magic Academy ki image par sawal uth sakta hai.

Jaldi hi sabhi waha se nikalne lag gaye.

Is sab ke baremei jab Shade ko pata chala toh vo un sabhi par attack karne ke baremei soch raha tha par usne khud ko rok liya. Waise bhi agar vo attack karta toh Hera aur baki sabhi ko uske waha hone ke proofs mil sakte the aur phir Swarndesh ki Royal Family powerful Mages aur Mage Warriors ko bhej sakti thi uske mage tower ko destroy karne aur usse capture karne ke liye.

Abhi Hera aur baki sabhi us narrow path se aage badh hi rahe the ke suddenly Hera ko us path ke centre mei jalne ke spots dikhe.

Usne jab us jagah par apna haath rakha toh ek pal mei hi usne apne haat ko piche khinch liya.

Uski is harkat par sabhi shock the. Aditya ne aage aa kar pucha.

Aditya-Kya baat hai professor, aapne suddenly apne haat ko piche kyo khinch liya ?

Hera ne Aditya ko dekhte hue kaha.

Hera-Yaha par kisi forbidden spell ko use kiya gaya hai. Shayad uske help se yaha par kisi ko maara gaya hai.

Hera ki baat par sabhi shock the. Lekin Raj ke face par ke expressions kaafi cold ho gaye the.

Usne waise hi cold tone mei kaha.

Raj-Zarur is forbidden spell ko Bell ne use kiya hoga. Bhul gaye vo carriage se yaha tak aaya tha aur hame yaha aate hue raaste mei koi bhi aisa carriage nahi dikha jo return jaa raha ho. Iska yahi meaning hai ke Bell ne us forbidden spell ko use kar ke us coachman ko maar diya hai aur saath mei uske carriage ko bhi destroy kar diya.

Jaise hi Raj ne apni baat ko complete kiya waise hi ek pal ke liye sabhi ko apne upar ek great pressure feel hua. Yeh pressure Raj ki body se release ho raha tha.

Yeh pressure itna strong tha ke Hera ko chod kar baki sabhi logo ko aisa feel ho raha tha ke jaise unhe saans lena bhi hard jaa raha ho.

Par Raj ke shoulder par jaise hi Roshni ne apna haat rakha waise hi Raj hosh mei aa gaya. Uske hosh mei aate hi vo pressure bhi gayab ho gaya.

Raj ko Bell par kaafi gussa aa raha tha. Par abhi vo khud kuch kar nahi sakta tha. After all vo ek level 2 Mage Warrior tha aur Bell ek level 6 Magician. Agar vo akele uske saath fight karta bhi hai toh bhi uske us battle ke jitney ke chances kaafi kam the. Upar se Bell ek experience magician tha.

Apne gusse ko shant karne ke liye Raj ne ek gehri saans li aur phir waha se sabhi nikal gaye.

Par is sab mei Raj ke body se release hone wale pressure ko mage tower mei Shade ne bhi feel kiya tha aur vo khud bhi kaafi shock tha ke ek teenage ladka jo abhi sirf level 2 Mage Warrior hai vo itna strong kaise ho sakta hai.

Ab usse Bell par bhi gussa aane laga tha. Bell ne usse kaha tha ke yeh sabhi bachhe hai par Shade ko yeh sabhi kahi se bhi bacche nahi dikh rahe the. Specially Raj, Raj ke powers ko feel kar ke vo kaafi shocked tha aur aage agar koi situation ho jaati hai is sab ke liye usne apne mage tower ke aaspas kuch spells ko cast kar diya.

Yaha sabhi forest se bahar aa gaye the. Jaha Hera ke saath Roshni aur Ekant Magic Academy chale gaye wahi Raj, Aditya, Abhay aur Riya apne apne ghar ki taraf chale gaye.

Koi bhi kisi bhi tarah ke baat karne ke mood mei nahi tha.

Raj ne ghar aane ke baad apni maa Dipali se bhi baat nahi ki thi aur apne room mei chala gaya.

Uske mind mei abhi bhi yahi baat ghum rahi thi ke Bell ne khud ko bachane ke liye ek aise person ko maar diya jo uske liye puri tarah se harmless tha.

Apne mind ko calm karne ke liye Raj fresh hua aur apne room mei aa kar meditate karne baith gaya.

Kuch hi der mei Raj ka mind calm ho gaya tha aur vo deep mediation mei chala gaya tha.

Abhi Raj apne deep meditation ke bich tha ke tabhi uski aankho ke samne kuch visions dikhne start hue. In sabhi mei 1st vision Aatm-Ling ka tha. Par sirf wahi ek vision tha jo usse clear dikha tha uske baad ke jitney bhi visions usse dikhe vo sabhi clear nahi the. Lekin Raj samajh raha tha ke yeh sabhi visions usse great destruction ke dikh rahe hai par yeh hai kaha ke yeh vo samajh nahi paa raha tha.

Is wajah se uska mind phir se disturb hone lag gaya tha. Par suddenly uske haat par jo Aatm-Ling ka mark bana hua tha vo halka sa shine hua aur Raj ka mind ek pal mei hi calm ho gaya tha.

Issi ke saath Raj pehle se bhi deep meditation mei chala gaya.

Almost Raj ne raat tak meditation kiya.

Raj apne meditation se bahar aaya aur aaa kar apne room ke window se bahar aasman ko dekhte hue kuch sochne lag gaya.

Raj-Agar Victor ke paas se mile hue paper aur uspar jo map hai waha par sach mei Aatm-Ling hua toh yeh sach mei kaafi badi baat hai. Hame kuch bhi kar ke vo Aatm-Ling baki kisi ke bhi haat lagne se pehle waha se nikaal kar usse ek safe jagah par rakhna hoga. Aatm-Ling ka kisi bhi wrong haato mei jana matlab har jagah destruction fail jana. Nahi nahi, Agar yeh visions mujhe dikh rahe hai iska kuch na kuch meaning hoga. Mujhe kuch bhi kar ke is problem ko solve karna hoga. Par Victor ko vo paper mila kaha se hoga. Mere past life ke history ke mutabik aise papers ancient times mei exist hua karte the. Aise mei yeh paper Space-Time ko break kar ke yaha kaise aa sakta hai. Kahi is paper ko koi yaha par lekar toh nahi aaya hai ? Lagta hai ab mujhe is sab ke baremei sabhi ke saath baat karni hogi.

Yeh sab kuch Raj apne mind mei keh raha tha.

Aatm-Ling ka is world mei hona hi uske liye aur is world ke liye kaafi badi baat thi aur kaafi serious bhi.

Raj achhe se janta tha ke us Aatm-Ling se kya kuch nahi ho sakta hai.

Wahi Hera ne Dean ke aane ke Magic Academy aane ke baad aaj jo bhi hua tha vo us sab ke baremei bata diya. Yeh sab sunkar Dean pehle kuch surprise hue the. Par zyada time ke liye nahi.

Uske baad un dono mei kaati der tak is matter par discussion hua.

Agle din breakfast karte hue Raj ne apne baba se us paper se related kuch baate ki jispar Senapati Dipak ne kaha ke vo uske is matter ko lekar Royal Palace mei zarur baat karenge aur sabhi ke liye ek meeting ko arrange karenge. After all us paper ke baremei sabhi ko janna tha. Par Raj ke sivaye kisi ko bhi uske origin yaa phir uspar jo likha hua tha vo kahi se bhi pata nahi chal paya tha. Wahi sabhi is baat se bhi confuse the ke Raj kaise us paper par jo bhi likha hua tha vo read kar sakta tha. Aisi aur bhi kayi saari baate thi jo baki sabhi logo ko Raj se janni thi.

Yaha Shade ke mage tower mei Bell abhi bhi us pond ke andar tha aur ek coma jaisi state mei chala gaya tha.

Us pond ke aaspas kaafi Dark Energy fluctuate ho rahi thi.

Yeh sab sirf necromancers hi kar sakte the. Necromancers’ dead bodies aur souls ko capture karte the. Is wajah se vo kabhi bhi kisi aisi jagah par nahi jaa sakte the jaha par Pure Energy fluctuate hoti ho.

Agar koi Necromancer ban jata hai toh usse koi bhi apne country mei nahi rakh sakta tha. Country hi nahi balki har country mei us necromancer ko maarne ke liye rewards rakhe jaate the. Even Necromancers ki souls tak after life mei nahi jaa sakti thi aur vo hamesha ke liye Limbo (Death aur After Life ke bich ki state jismei Necromancer ki soul trap ho jaati hai.) mei hi trap ho jaati hai. Yahi tha unke immortality ka secret.

Us dark pond mei Bell ek coma jaisi state mei tha. Jaha uska life force har bitne wale pal ke saath end ho raha tha wahi uski soul Dark Energy ki wajah se aur bhi strong hoti jaa rahi thi aur vo khud Bell ki body ke saath kaafi strongly bind kar rahi thi. Agar koi Necromancer khud ki soul ko jo Dark Energy se powered up hui hoti hai usse khud ke hi body ke saath strongly bind kar leta hai toh uski body bhi Dark Energy ki wajah se aur bhi strong hone lag jaati hai. Par agar Necromancer ki body Dark Energy ko achhe se handle nahi kar paayi toh vo ek skeleton mei change ho jaati.

Wahi agar Necromancer ki body ne Dark Energy ko apne andar adapt kar liya toh vo kisi bhi normal living being se kaafi strong ho jaati hai. Normal attacks se us body ko koi bhi hurt nahi kar sakta tha sir Pure Energy se hi us body ko hurt yaa phir destroy kiya jaa sakta tha.

Jab Bell coma jasi state mei tha tab vo yeh achhe se feel kar sakta tha ke uski soul Dark Energy ko absorb karne ke baad aur bhi powerful hoti chali jaa rahi hai.

Abhi Bell ek aisi jagah par tha jaha par sirf darkness hi darkness thi. Vo jaise us jagah mei yaha se waha float kar raha tha.

Tabhi usse kisi ki aawaz sunayi deti hai.

“Are murkh yeh kya anarth kar diya tumne.”

Yeh aawas sunkar Bell ek pal ke liye shock aur surprise ho jata hai.

Vo apne aaspas dekhne lag gaya tha par usse koi bhi nahi dikh raha tha.

Tabhi suddenly uske samne ek light se bana hua humanoid shape apne samne form hota hua dikha.

Us humanoid shape se nikalne wali light aur energy jaise Bell ko kaari zyada hurt kar rahi thi.

Vo kaafi zor zor se chikhne lag gaya tha.

Tabhi phir se us humanoid shape ne usse kuch kaha.

“Murkh tumne us MRITYU ka hi tyag kar diya jisse jivan SAFAL, SAAKAR aur PURN hota hai. MRITYU jivan ke PRAVAAS ko PURN karta hai. Tumne us MRITYU ko chod kar is ABHISHAPIT JIVAN ka chunav kiya jo tumhe kabhi bhi PARMATMA tak nahi lekar jaane wala hai. Dhikkar hai tumhare is VICHAR par. Lekin tum yeh baat bhul gaye ke har sansaar ka ek NIYAM hota hai jiska janm hua hai uski mrityu ho kar rahegi. Agar tum sahi marg par chal kar AMARTVA ko prapt kar lete toh kadachit PARMATMA se mil sakte the lekin tumne aisa nahi kiya aur yeh ADHARM kar baithe. Lekin is baat ko achhe se smaran rakh lena ke is sansaar mei RAKSHAK ka janm ho chuka hai aur sahi samay aane par vo tumhe tumhare ANT tak zaror pohochayega.”

Yeh keh kar vo humanoid gayab ho gaya aur Bell pure time zor zor se chillata hi reh gaya. Us humanoid ki baate jaise Bell ke mind mei zor zor se baj rahi thi.

Usse yeh pata hi nahi chal paya ke uske saath abhi hua kya.

Royal Palace.

Abhi ek bade se court hall mei Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ke saath Swarndesh ke kaafi saare important figures baithe hue the.

Maharaj Shekhar ke samne ek young ladka apne haat mei ek paper lekar uspar jo bhi report aayi hui thi uske baremei read kar raha tha.

Puri report read karne ke baad vo hall ke corner mei jaa kar khada ho gaya.

Tab Maharaj Shekhar ne sabhi ko dekhte hue kaha.

M.S-Ab hame sabhi countries ke andar aur bahar jo bhi chal raha hai uski report pata chal gayi hai. MI3 ke intelligence ki report ke mutabik in Dark Elves ke haat kuch aisa laga hai jiski wajah se unki strength aur bhi badh gayi hai. Saath hi mein ne is sab ke baremei ek letter likh kar Elf Kingdom ko bhi bhej diya hai. Hame is war mei shayad ab unki help leni hogi. Saath hi mujhe yeh bhi pata chala hai ke south ke side mei jo small countries hai unke bich bhi tension badhta jaa raha hai. Upar se yeh Magic Academy ke ek level 6 magician ke baremei bhi pata chala hua hai. Waise hame uske upar sirf doubt tha par kal jab vo Magic Academy se bhaag gaya tab yeh prove ho gaya ke vo Dark Magic ki practice kar raha tha.

Aaye hue sabhi Dukes aur Arch-Duke kaafi shock ho gaye the. Lekin sab se bada shock unhe Bell ki baat ka laga tha. Unhone kabhi nahi socha tha ke ek level 6 magician jo unke hi best Magic Academy se tha vo kabhi bhi Dark Magic ki taraf badhega. Dark Elves ki situation ko vo handle kar bhi sakte the par ek badi Magic Academy ke magician ka unhe hi aisa dhoka dena unke liye kaafi badi baat thi.

Tabhi ek duke apni seat se khada hota hai aur Maharaj Shekhar se kehta hai.

“Maharaj shayad ham sabhi Dark Elves ki situation handle kar sakte hai par hamari hi Magic Academy ke level 6 magician ka aise Dark Magic ki practice karne wali baat agar bahar pata chal jaati hai toh yeh hamare liye bilkul bhi achha nahi ho sakta hai. Saath mei hame yeh bhi soch kar chalna hoga ke Bell is sab mei akela nahi hoga jo Magic Academy mei Dark Magic ki practice kar raha hoga. Yeh sab kuch hame Gladstone City ki situation ki tarah hi lag raha hai. Vo Dark Elves phir se hame ek bade war mei busy rakh sake aur vo issi bich apne real motive ko pura kar lenge. Zarur yeh Dark Elves kuch bada karne ke baremei soch rahe hai.”

Yeh sab sunkar Maharaj Shekhar ne bhi apne sir ko haan mei hilate hue kaha.

M.S-Mujhe bhi kaafi time se yahi lag raha hai. Kyo ki Gladstone City mei uski haar kaafi badi thi. Saath hi unhone uske baad koi bhi movement nahi ki aur suddenly unhone ek war like situation bana di hai. Saath hi yeh Bell ka Dark Magic ki practice karne wali baat bhi abhi haal hi mei samne aayi hai. Lekin Dark Elves ka aisa kounsa motive ho sakta hai ?

Maharaj Shekhar ki baat par har koi sochne lag gaya tha. Tabhi Senapati Dipak ko Raj ki vo paper wali baat yaad aayi. Unhone Maharaj ko dekhte hue kaha.

S.D-Maharaj shayad mujhe doubt hai ke Dark Elves kya karna chahte hai.

Is par sabhi ne Senapati Dipak ko sabhi ne dekha.

Wahi Senapati Dipak ne aage kaha.

S.D-Maharaj aap ko yaad hoga ke River Town ke forest se Prince aur Flamingo Mercenary Band ne milkar Victor ko maara tha jiske paas se hame Occult Stone mila tha aur saath mei vo mysterious paper bhi jispar northern forest ka map bana hua hai. Mujhe doubt hai Dark Elves zarur us forest mei jana chahte hai. Zarur us mysterious forest ke baremei unhe kuch pata chala hoga. Yaa phir waha par koi aisi chiz hogi unhe aur bhi powerful bana sakti hai.

Sabhi ko Senapati Dipak ki baat sahi lagi rahi thi. Upar se baki aisa kuch bhi nahi tha Human Continent ke andar jiske liye Dark Elves war like situation ko create karenge.

Kuch der sabhi baato ko soch kar Maharaj Shekhar ne kaha.

M.S-Thik hai, Mein MI3 ko yeh order paas karta hu ke vo us mysterious forest ke aaspas ke area ko achhe se check kare aur jaldi se mujhe ek detailed report de. Isse hame aage ki planning mei help ho sakti hai.
Bahot behtareen shaandaar update bhai
Raj & company n bahot sahi decision lia ander na jaane ka
Raj n gusse m jo pressure release huwa uske sabki halat kharab hone lagi thi or uska pressure mage tower m Shade n bhi mahsoos kia
Raj ko fir visual dikha Atm-Linga ka jo shayad Raj ko bula raha h
Dekhte h maharah or senapati ko MI3 wale kia pata kerke batate h
Bahot khoob shaandaar
Lajawab update bhai
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,612
174
Well sabhi ke liye kuch aa raha hai and isse ek tarah ka teaser ki tarah samajhna. Baki jab yeh kab aayega uske dates mein apne profile wall par post kar dunga.

vj4u Naina Rudrathakur Xabhi Lovekillsyou I AM JD AvniTaneja aalu A.B.KING Indian Princess

Baki sabhi ko bhi tag karna guys.

Characters.

RAJ.

de9fa92991ece14726305b112064d632

053d4606d5c8fb230907459d8e171374 4f09dc9f5280b6d42afcd3c42a6ccdca
Aditya

f9741d1435cb53df3638bfd3c89e3fa5

Abhay

dc594dcd626bea3d399bd671bfe8d3f7
best image hosting

Roshni

94367d7271e2393f1761617c6e21145c

Riya

65dfe41e9e86f794224e10e29b857fb8
upload images for free

UPDATES ON

MONDAY,

WEDNESDAY,

FRIDAY,

AT 10-10:30 PM.
Superb Jay Bhai... Ispr niche yah bhi Aap likh sakte ho ki aage ke kuchh updates baad ise Hinglish me likha gya hai, Taki kisi or ko teaser padh kr ye na lage ki puri story Hindi me hai...
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,612
174
Training Sabhi ne bahut hi jyada serious hokr karni suru kr di hai, Raj ne to Apne sarir me extra vajan bandh kr training karni suru kr di hai, mujhe is pure update me sabse jyada khas lga Raj and company ka dedication Jo vo apni training me lga rhe hai, Vahi mujhe Raj ke papa Deepak ji ke gyan ne bahut prabhavit kiya hai, jis tarah se vo Har ek chhoti si chhoti jankari ko Raj ko sajha kr rhe hai vo kabil-e-tarif hai bhai, mujhe padh kr Bahut anand aaya bhai...

Jaha ek taraf Raj ko defense ki training ke bare me btaya vahi attack ki training ka kaha, yah sach hi kaha hai ki sward or sarir ke sath mind jabtk ek nhi honge tb tk Raj sward skill me master nhi kr payega...

Sward ko Raj apne sarir ka ek hissa maan kr hi Uspr maharat hasil kr sakta hai, 3 ghante defence or 3 ghante attack ki practice karne ke baad bhi Raj lga hua hai yah dekh S.D. ko apne bete pr garv or ashcharya dono hota hai, uski will power un imaginable hai unke liye...

Vahi Raj un sabhi bato ko soch kr practice karne me kami nhi rakhna chahta, use pta hai aage chal kar vo kyA banne vala hai or uski kiske sath fight hone vali hai sath hi pure universe ka bhar aane vala hai to vo jitna gyan or practice ka Samay mil rha hai usko jaya nhi hone dena chahta...

Mujhe lagta hai jald hi Raj ko kuchh aisa milega jispr usko jyada samay tk practice karne milega...

Kya Kabhi Raj ke mata pita yah jaan payenge Ki yah Raj ka punarjanam hai or use Apne pichhle janm ki sari baate yaad hai...

Abhay ko DEEPAK ji ne koi drop sward arts karke sikhayi hai Jiski Vo practice kr rha hai Man lgakr...

Vahi Aditya apne family se mili virasat ki koi fire sward skill ko sikh rha hai or uske pita shekhar ji use uski kuchh barikiyo ko bhi bta rhe hai, sath hi Unhone DEEPAK ji ke kathin parishram ki prasansha bhi ki...

Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing with awesome writing skills bhai
Update 34

Father and Son

Bell ke incident ko hue ab 2 months tak ka time ho gaya tha. Kisi ko bhi Bell Mist Basin area mei kaha ho sakta hai iske koi clues nahi mil paaye. Lekin waha par ab tak jitni bhi search team gayi thi unki reports mei ek baat common thi aur vo yeh ke waha par Dark Energy ka fluctuation kaafi badh raha hai. Saath hi repot mei yeh bhi mention kiya gaya tha ke Mist Basin mei paaye jane wale beasts bhi us Dark Energy ki wajah se affect hue hai aur kabhi bhi capital par attack kar sakte hai. Is liye capital bhi ready ho gayi thi. Kaafi saare Mage Warriors aur Battle Mages ko capital ki jo City Wall thi us par position kiya gaya tha aur sabhi ko alert rehne ke liye kaha gaya tha.

Capital mei abhi bhi ordinary life shanti se chal rahi thi. Kisi ko bhi is baat ki koi bhi khabar nahi lagne di gayi thi ke capital ke internal matters mei ho kya raha hai.

Upar se Royal Palace mei Magic Academy se ek letter yeh bhi aaya tha ke vo students ko aur bhi achha experience dene ke liye capital ke west mei jo forest area hai waha par ek official trip karna chahte hai aur uske liye Royal Palace se unhe permission chahiye thi.

Capital ke west side wala forest other sides se kaafi dangerous tha. Waha par magical beasts other sides se kaafi strong aur dangerous the. Is wajah se west side ke forest ke entrance par kaafi strong spell formation ko set-up kiya gaya tha jo kisi bhi high level beast ko sense kar ke spell formation ko activate kar sakta tha aur apne lightning strike se unhe maar bhi sakta tha.

Lekin is time par Royal Palace se abhi tak Magic Academy ko koi bhi answer nahi mila tha is liye is trip ko aage kar diya gaya.

Yaha in 2 months mei kaafi kuch change ho gaya tha.

Raj aur uske friends ab Level 2 ke peak par pohochne wale the. Par shayad next level par breakthrough karne ke liye unhe kisi extreme situation yaa emotion ki zarurat thi jo unhe level 3 mei breakthrough karne ke liye help kar sake.

Har koi apne training ko kaafi seriously lene lag gaya tha. Raj ne bhi apne sword arts ki practice aur spell casting ke training ko aur bhi extreme level par le gaya tha. Ab uske apne body par weights lagana start kar diya tha jisse vo apne physical training ko ek level upar le gaya tha.

Issi bich Raj ne Senapati Dipak ke saath phir se apni sword arts ki training start kar di thi.

Raj ko achhe se pata tha ke uske baba is pure human continent mei most powerful sword user hai. Even demons bhi unse direct fight nahi karna chahte the. Saath hi Senapati Dipak ko ek aur naam se jana jata tha aur vo tha Sword Saint. Yeh title unhe tab mila tha jab magical beasts ne Swarndesh par attack kiya tha aur un sabhi ke against Senapati Dipak ne apne sword skills ko use kiya tha jo human continent par unmatchable thi. Aaj tak unhone apne under 8 disciples ko train kiya tha aur vo sabhi apni apni human countries mei ek powerful aur strong sword user hai. Wahi ab unka 9th disciple Abhay ek dual sword user tha jise unhone Raindrop style sword art se train karne ka decision liya tha jismei Abhay ne unki expectation ko kaafi achhe se match kiya hai.

Rahi baat Raj ki toh vo unhi ka beta tha is wajah se vo abhi se hi sword arts mei unhe rival kar raha tha.

Raj ki bhi sword par mastery abhi se kaafi best thi. Even same generation mei human continent mei aisa koi bhi Mage Warrior nahi tha jo Raj ko sword skills mei beat kar sake.

Aaj afternoon mei jab Raj aur Senapati Dipak ne lunch kiya tab kuch der ki rest ke baad dono bhi apne mansion ke training yard mei aaye.

Senapati Dipak Raj ke sword skills ke basic foundation ko check karna chahte the aur yeh bhi dekhna chahte the ke Raj ne ab tak apne sword par kitni mastery hasil ki hui hai.

Unhone Raj ko dekha aur kaha.

S.D-Raj tumhe toh pata hai ke swords ko short weapons mei consider kiya jata hai. Vo light aur agile ke saath vo single edge aur double edges ke saath hoti hai. Unka usage kisi bhi dusre weapon se kaafi zyada precise aur profound rehta hai. Phir chahe baat slash karne ki ho, stab karne ki ho, chop karne ki ho, scap karne ki ho yaa phir tap karne ki ho. Ek sword user is sab se easily apne opponent ko maar sakta hai. Lekin agar koi incorrect way mei training kar raha ho toh vo khud ko bhi hurt kar sakta hai. Yeh sach mei ek weapon of war hai.

Yeh keh kar Senapati Dipak apne bete ki taraf dekhne lag gaye.

Wahi Raj apne blood ko jaise boil hote hue feel kar sakta tha. Usne shine hote hue aankho se dekhte hue apne baba se pucha.

Raj-Baba aaj mein kis tarah ke sword technique ko sikhne wala hu ?

Ispar Senapati Dipak smile karne lag gaye aur unhone Raj ko dekhte hue kaha.

S.D-Sword Technique? Uske liye tumhe kuch years aur wait karna hoga.

Raj ne confuse hote hue kaha.

Raj-Kuch aur years wait karna hoga?

Is par Senapati Dipak kuch serious hue aur unhone Raj ko dekhte hue kaha.

S.D-Raj sword techniques special nahi hoti hai. Special hoti hai sword skills mei tumhari basics ki understanding. Wahi se new sword techniques ka janam hota hai. Jab tum basic skills ko master kar lete ho tab sword movements apne aap tumhare body ke saath janam lene lagte hai. Issi liye tumhe sab se pehle apne body ko control karna sikhna hoga. Jab tumhari body aur tumhre haat extremely agile aur tum apne strength ko fully control kar paoge tab tumhari body apne aap hi tumhari understanding ke saath new sword techniques ko create karegi aur saath hi tum easily new sword techniques ko bhi sikh paaoge. Par sirf body ko hi strong karna enough nahi hai. Tumhe sword ko sikhne ke liye sab se pehle apne mind ko bhi prepare karna hoga.

Senapati Dipak ki kuch baate jaise Raj ke mind ke upar se hi chali gayi. Vo kuch confuse feel karne lag gaya tha. Usne Senapati Dipak ko dekhte hue unse pucha.

Raj-Baba aap ne kaha ke mujhe koi bhi technique sikhne se pehle apne body ko train kar ke strong karna hoga yeh mein samajh gaya. Lekin mind wali baat mei kuch samjha nahi. Mujhe kis baat ke liye apne mind ko prepare kar ke rakhna hoga ?

S.D-Itni jaldi bhi kya hai.

Yeh keh kar Senapati Dipak apne bete ko dekhne lag gaye. Tabhi suddenly unke haat mei ek book aayi. Usse unhone Raj ki taraf toss kiya aur usse dekhte hue kaha.

S.D-Pehle is book mei diye hue basic body stances ko achhe se read karo aur observe karo. Ismei basic body stances ke 16 techniques hai. Yeh sab se simplest lekin most fundamental method hai kisi bhi body mei se powerful strength ko release karne ke liye. Jab tum in 16 basic body stances ko puri tarah se master kar loge tab tumhari body apne aap ko apne aaspas ke danger ko sense kar payegi aur saath hi top ki strength ko bhi release kar payegi. Ek baat yaad rakhna tumhari khud ki sword tumhari body hi create kari hai. Agar tumhari body hi tumhare puri tarah se control mei nahi hogi toh tumhari khud ki sword tumahre control mei kaise reh payegi ? Is liye sab se pehle apne mind ko har situation mei calm rakhna sikho.

Yeh keh kar Senapati Dipak Raj ko dekhne lag gaye. Unhe lag raha tha ke kahi Raj ke liye abhi yeh sab baate zyada profound naa ho jaaye.

Wahi Raj yeh samajh raha tha ke knife ko sharp karte rehne se cutting process slow nahi hoti hai.

Raj ne us book ko open kiya aur usse read karte hue usne kaha.

Raj-Thik hai baba.

Yeh keh kar Raj us book ko kaafi focus ho kar read karne lag gaya. Vo un sabhi mysterious basic body stances ko observe aur review karne lag gaya tha.

Sab kuch read karne ke baad us book ke profound secrets ko memorize karne ke baad Raj waise hi khud ko train karne lag gaya. Senapati Dipak wahi par ruke hue the aur Raj ko training karte hue dekh rahe the. Jab bhi Raj kahi par mistake karta toh vo usse point out karte yaa phir vo kuch jagaho Raj ko khud hi perform kar ke show karte the taaki Raj achhe se samajh sake.

Actually, Raj ki jo footstep technique is basic body stance ke kuch aspect se match kar rahi thi is liye Raj kaafi jaldi aur effectively in basic body stances ko sikh raha tha.

2 ghanto ke baad.

S.D-Thik hai ab kuch der rest karo. Future mei tum daily ke 2 ghante is basic body stances ko practice karne mei guzaroge. Jab tak mein is baat se conform naa ho jaau ke tumhari body next level sword technique ke liye ready hai tumhe iski practice karte rehni hai. Sword ke saath training karne ke liye apne body ko prepare karna sirf ek aspect hai. Tumhe sword ko wield karne ke liye apne mind ko bhi prepare karna hoga.

Yeh keh kar Senapati Dipak ne apne haat ko wave kiya aur unke haato mei 2 swords aayi. Unhe Raj ki taraf toss karte hue unhone kaha.

S.D-Inhe catch karo.

Raj ne easily un dono swords ko hawa mei hi catch kar liya.

Issi ke saath Senapati Dipak ne Raj ko apne piche aane ka ishara kiya aur vo Raj ko lekar apne mansion ke piche jo forest ka area tha uske andar jaane lag gaye.

Kuch der aise hi andar jaane ke baad Raj ko ek bada sa open area dikha jaha par kaafi saare metal puppets lage hue dikhe aur un sabhi ke haato mei swords thi.

S.D-Yeh High Mind Puppets hai jo khud ko apne opponent ki strength ke saath adjust kar sakte hai. Jab tak inka opponent level 5 ki stage ko surpaas nahi kar deta hai tab tak yeh apne aap ko apne opponent jitna strong kar sakte hai yaa phir kuch seals ko open kar kar ke inka user inhe apne se strong bhi rakh sakta hai. In metal puppets ki body kaafi strong aur extremely tough bhi hai.

Raj un sabhi metal puppets ko achhe se observe kar raha tha. Un puppets ke kuch body parts par usse red spots dikhe.

Wahi Senapati Dipak bhi Raj ko un puppets ko observe karte hue dekh rahe the. Unhe samajh mei aa gaya tha ke Raj unse aage kya puchne wala hai.

Wahi Raj ne apne baba ko dekha aur unse kaha.

Raj-Baba in pupest par bane hue yeh red spost…

Abhi Raj aage kuch kehne hi wala tha ke tabhi Senapati Dipak ne uski baat ko complete karte hue kaha.

S.D-Yeh sabhi metal puppets ke body parts ke vital parts hai. Jaao aur un mei se ek metal puppet ke sir par bane hue us red spot ko stab karni ki koshish karo. Lekin tumhe apne strike ko fast rakhna hoga.

Un metal puppets ki puri body par 10 red spots bane hue the. Yeh red spots un puppets ke sir, throat, chest, dono arms aur hands, back aur body ke kuch aur parts par bane hue the.

Apne baba ki baat sunkar Raj kaafi speed se move hote hue aage badha. Usne apne right haat ko piche kiya aur straight line mei us metal puppet ke sir par bane hue red spot ki taraf stab kiya.

Lekin jab Raj ki sword almost us metal puppet ke sir par bane hue red spot par stab hone wali thi tabhi us metal puppet ne halke se apne sir ko move kiya aur Raj ka strike us metal puppet ke face ko halka sa touch karte hue aage badha.

Yeh dekh kar Raj bhi surprise hua tha. After all uski speed sach mei kaafi fast thi. Aise mei last moment par us metal puppet ne apne sir ko halke se side mei kar ke Raj ke sword ko uske sir par bane hue red spot mei stab hone se rok diya tha. Ek tarah se yeh safe dodge tha.

Wahi Raj ne surprise hote kaha.

Raj-Par…

Raj janta tha ke uska aim clearly vo red spot tha. Lekin itne pass aane ke baad bhi vo metal puppet usse fast react hote hue usne apne sir ko side mei kiya aur Raj ke strike ko fail kar diya.

Yeh dekh kar Senapati Dipak kuch smile karne lag gaye aur chalte hue Raj ke paas aaye. Unhone Raj ko dekhte hue kaha.

S.D-Toh kuch samjhe ? Waise toh tum us metal puppet ke sir par bane hue red spot par stab karna chahte the lekin us puppet ne tumse bhi fast react karte hue apne sir ko bacha liya. Par sirf tumhari movement speed fast hona hi sab kuch nahi hota hai. Tumhara reaction time bhi utna yaa phir usse speed hona chahiye. Issi liye tumhe apne body par perfect control hona chahiye. Saath hi tumhe countless times khud ko train karna hoga. Har ek sword technique ko tum 13 specific movements mei specify kar sakte ho. Jaise chop, pierce, scrape, sweep, break, tap, cleave, support, intercept, twist, lift, draw aur sheath. Ismei chop, pierce, scrape, sweep, tap, cleave yeh movements attack karne ke liye use kiye jaate hai. Wahi support, break, intercept, twist, lift, draw aur sheath yeh user khud ko defend karne ke liye use karta hai.

Senapati Dipak ne ussi metal puppet ki taraf ishara karte hue Raj se kaha.

S.D-Yeh puppet abhi move nahi kar raha hai lekin future mei yeh move bhi karega aur tumhare attack se khud ko defend kar ke tum par attack bhi karegai. Par abhi ke liye tum is puppet ke red spots par chop, pierce, scrape, sweep, cleave aur tap in movements ko iske against use karo. Mein khud tumhe har ek single movement ke secrets ke baremei sikhaunga saath hi tumhe yeh bhi sikhaunga ke apne har attack mei harmony ke saath kaise move karte hai. Har ek single basic movement ko tumhe at least 10 million times practice karna hoga. Future mei jab yeh puppets move honge tab yeh bhi tum par apni sword techniques se tum par attack karenge. Tab tum support, intercept, twist, lift, draw, break aur sheath movements ko use karoge apne aap ko defend karne ke liye. Un movements ko bhi tum at least 10 millions times practice karoge. Saath hi tum in puppets ko hand to hand combat ki practice ke liye aur footstep technique ko practice karne ke liye bhi use kar sakte ho. Attack aur Defend, jab tum in 2 aspect ke saath khud ko familiar kar loge tab yeh puppet tumhare saath apni peak strength par battle karega. Tab tumhe in sabhi 13 movements ko use kar ke iske saath fight karni hogi. Jab yeh sabhi 13 movements naa sirf tumhare mind balki tumhare body, muscle aur body ke har ek part mei perfectly fit nahi ho jaate hai aur perfectly accurate nahi ho jaate tab tak tumhe iski practice karte rehni hai. Jab tum in sabhi 13 movements ke will ko apne mind mei absorb kar loge tabhi tumhara mind bhi sword ke saath training karne ke liye ready hoga.

Raj apne baba ki baato ko apni saans ko jaise rok kar soon raha tha.

Uske mind mei yahi chal raha tha.

“Body ko prepare karna, Mind ko prepare karna.”

Senapati Dipak ne aage kaha.

S.D-Iske baad hi tumhari real sword training start hogi. Sword techniques kaafi complicated hoti hai lekin vo bhi in basic 13 movements se hi create hui hoti hai. Agar tum in basic movements ko memorize aur absorb nahi kar paaye toh tum kasie apne sword training mei koi achievement paa sakoge ? Jab tum in sabhi basic movements ke saath achhe se familiar ho jaoge tab tum khud ko sword training ke Basic level par pohoch gaye ho yeh consider kar paoge. Har technique ke 3 levels hote hai. Basic Level, Advance Level, One With World. Advance level par footstep technique ke liye body par precise control hona chahiye. But Advance level ke sword technique ke liye body aur sword dono par precise control ki requirement honi chahiye aur uske aage unhe merge karna v otoh 10 times harder hai. Wahi baat rahi One With World hone ki toh vo toh kaafi dur ki baat hai.

Yeh sab keh kar Senapati Dipak kuch serious ho gaye aur unhone Raj ko dekhte hue usse pucha.

S.D-Raj bete tum jis path par chalne wale ho tum usse achhe se samajhte hon a ?

Is par Raj ne bhi heavy ho kar kaha.

Raj-Haan baba mein janta hu.

Senapati Dipak Raj ko sword training ke baremei bata rahe the par Raj janta tha ke uske baba ki yeh baat naa sirf sword training balki uske Rakshak hone par bhi laagu hoti hai. Vo Rakshak ke liye chuna gaya hai. Aage chal kar ek pure universe ke protection ki responsibility uspar aane wali hai. Aise mei vo kahi se bhi weak nahi reh sakta tha. Usse yeh pata tha ke aage chal kar uski life mei Arindam ke saath battle toh hone hi wali hai par usse yeh bhi pata tha ke Arindam ek Demi-God level ka demon tha jo Firmoon Universe mei sabhi demons ka Emperor tha. Aise mei Raj agar weak reh gaya toh Firmoon Universe ko destroy hone se koi bhi bacha nahi sakta tha. Is liye Raj khud ko strong karne ke liye kitni bhi hard training se guzarne ke liye ready tha. Vo Arindam ko harane ke liye uske paas jitna bhi knowledge hai uska use karna chahta tha.

Raj ne yeh sab soch kar ek gehri saans chodi aur phir Senapati Dipak ko dekhte hue usne unse pucha.

Raj-Baba One With World ki level par pohochne ke liye mujhe kitna time lag sakta hai ?

Is par Senapati Dipak ne kaha.

S.D-Mein bhi is sab mei kuch keh nahi sakta hu. Mein ne 6 years tak ka time spend kiya tha in 13 basic movements ko puri tarah se master karne ke liye aur uske baad ke 6 years lage the One With Sword ke level par pohochne ke liye.

Raj-12 Years…

Raj yeh sab sunkar kaafi shock aur surprise ho gaya tha. Uske baba jo human continent ke no-1 sword user the aur sabhi unhe Sword Saint ke title se jaante the. Even apne 30s mei hone ke baad bhi unke jaise peerless talent ko bhi 12 years ka time laga tha. Aise mei ordinary warriors jo apni puri life practice mei bita dete hai vo kabhi bhi One With World ki level par pohoch nahi paate hai.

Raj ko aise shock aur surprise dekh kar Senapati Dipak smile karne lag gaye aur unhone Raj ke sir par apna haat rakha aur usse kaha.

S.D-Zyada socho mat. Ham single single steps lenge. Chalo ab ham ab attack ke movements ki practice start karte hai.

Issi ke saath Raj apne baba Senapati Dipak ki guidance mei 13 Basic Sword Movements ki practice start kar di thi.

Yeh kaafi boring tha aur kaafi thaka dene wala bhi.

Par Raj ki sikhne ki will kaafi high thi. Apni past life mei vo ek anath tha par lekin is life mei uske paas vo sab kuch hai jo uske past life mei nahi tha. Is liye vo kisi bhi situation ke liye ready tha yeh sab aise hi rakhne ke liye. Raj easily give up karne walo mei se nahi tha.

2 ghante attack movements ko practice karne ke baad Raj agle 2 ghante defend movements ko practice karne mei lag gaya.

Senapati Dipak phir se kuch distance par khade ho kar Raj ke training ko dekh rahe the.

Tabhi unhe piche se kisine aawaz lagayi.

Yeh koi aur nahi balki Dipali thi.

Vo chalte hue aa kar Senapati Dipak ke side mei khadi hui aur vo bhi Raj ko training karte hue dekhne lag gayi.

Senapati Dipak ne Dipali ko dekhte hue kaha.

S.D-Dipali, tumhe pata hai mein ne yeh kabhi expect hi nahi kiya tha. Mein ne really yeh kabhi expect nahi kiya tha ke hamare bete mein itni strong willpower hogi. Mein toh iske liye bhi prepare tha ke yeh kuch time baad yeh kahega ke mein thak gaya hu aur mein usse rest karne ke liye kehne wala tha. Par mujhe nahi pata tha Raj ki will itni strong hai.

Yeh sab sunkar Dipali ne Senapati Dipak se kaha.

Dipali-Yeh toh kuch bhi nahi hai. Mein ne Aditya se suna tha ke uske kisi Footstep Technique ko create kiya aur usse master karne ke liye usne apne cloths ke andar body weights ko pehen rakha hai. Saath hi vo us Footstep Technique ko perfect karne mei laga hua hai. Is Footstep Technique ko vo morning mei 6 ghante practice karta hai aur ab dekho piche 6 ghanto se sword ke saath practice kiye jaa raha hai. 12 ghante vo bhi itne young age mei practice karna sach mei kaafi badi baat hai.

S.D-Mujhe achhe se yaad hai jab mein iski age ka tha toh mere pita jo ek small Duke the vo mujhe bhi aise hi training dete the. Lekin unhone kabhi bhi mujhe forceful training karne ke liye nahi kaha. Vo mujhe training karne ke benefits batate the. Par ek din magical beasts ke attack mei battlefield par unki death ho gayi. Uske baad se maa bhi bimaar rehti thi aur issi wajah se vo bhi kuch time baad mujhe akela chod kar chali gayi. Lekin mujhe aaj bhi apne pita ki baate yaad hai aur wahi baate mein Raj ko bhi aage pass on karna chahta hu. Mein chahta hu ke vo khud se in sabhi baato ke importance ko samjhe naa ke mere force karne par. Isse uska mind aur bhi strong hoga. Raj ke janam ke baad jab mujhe yeh pata chala tha ke Raj Mana ko wield nahi kar sakta hai tab mujhe kaafi tension rehta tha aur aage Raj life mei kya karega iske baremei sochta rehta tha. Par jab se vo bhi Mana ko wield karne lag gaya hai tab se yeh tension kuch kam ho gaya hai. Ab mein sure hu ke Raj aage chal kar apni life mei kuch great achieve karne wala hai.

Dipali-Is baat par mein bhi believe karti hu.

Wahi Royal Palce mei bhi Aditya apne palace ke courtyard mei Maharaj Shekhar se pass on hui sword technique ki practice kar raha tha.

Jab Maharaj Shekhar waha aaye aur unhone Aditya ko apni practice karte hue dekha tab unhone usse kaha.

M.S-Aditya mein ne tumhe hamari family mei pass on hone wali sab se powerful fire sword technique pass on ki hui hai. Ab bas tumhe isse master karna hai aur kuch nahi. Yeh tumhare fire element ko aur bhi strong karegi aur iske support mei tumhara wind element kaafi kaam aayega. Yaad rakhna yeh kaafi profound sword technique hai jo hamari generations se pass on hoti aayi hai aur ab tum iske new wielder ho. Tum chahe toh in sabhi moves ko master kar sakte ho yaa phir tum in sabhi ke secret ko samajh kar apna ek True Move create kar sakte ho.

Is par Aditya ne apne sword practice ko rok diya aur Maharaj Shekhar ko dekhte hue usne kaha.

Aditya-Pitaji mein aap ki is baat ko achhe se yaad rakhunga. Waise bhi ham sabhi apni training ko kaafi serious le rahe hai. Raj ne toh apni physical training ko aur bhi extreme kar diya hai. Saath hi Dipak Uncle bhi usse kuch new sword arts mei train karne wale hai. Upar se usne create ki hui yeh Footstep Technique sach mei kaafi outstanding hai. Yeh body ke har ek muscle ko jaise train karti hai aur isse practice karne ke baad meri movement speed bhi kaafi badh gayi hai.

Maharaj Shekhar ne yeh sunkar smile kiya aur kaha.

M.S-Raj bilkul tumhare Dipak uncle ki tarah hi hai. Vo bhi Raj ki age mei aise hi tha.

Maharaj Shekhar ki baat par Aditya ne unse pucha.

Aditya-Waise pitaji mein ne suna hai ke Dipak uncle ko sabhi Sword Saint kehte hai toh kya vo sach mei human continent ke sab se best sword user hai ? Kya sword arts mei vo aap se bhi best hai ?

M.S-Haan, Dipak sach mei human continent mei sab se best sword user hai. Even uske saath toh demons bhi head on battle nahi karna chahte hai. Shayad human continent par sirf mein hi hu jo usse power ke maamle mei equal hu. Dipak aaj jo bhi hai vo sab uske hard work ki wajah se hai.

Yaha Abhay forest ke ek open area mei khada tha aur uske haato mei uski dual swords thi jinke saath vo apne Raindrop Style ki practice kar raha tha. Uske mind mei Senapati Dipak ki kahi hui baate hi chal rahi thi ke kaise vo aur sword merge ho sakte hai aur isse usse battle mei kya benefits ho sakta hai.

Ab tak har koi samajh gaya tha ke Abhay ek talented sword wielder hai aur Sword Way ko kaafi achhe se samajh sakta hai. Abhay Raindrop Style ke secrets ko samajh kar usmei apne variations ko bhi add karna chahta tha aur unhe master bhi karna chahta tha. Yahi ab uske life ke sab se bade goals mei se ek tha.

Aise hi sabhi apni apni practice mei lage hue the. Koi bhi khud ko kisi se bhi piche nahi rehne dena chahta tha.

Wahi Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak aaj kal kisi baat se kaafi tension mei rehte the. Lekin abhi tak unhone us baat ko kisi ke saath bhi share nahi kiya hua tha.
Akhir or kya paresani Hui hai jisko maharaj or senapati ji ne kisi ko bhi nhi btaya hai abhi tk, Dekhte hai Vo kab tk btate hai...

Yah accha kiya aapne Jo ise ek hi update me cover karne ki Kosis ki... Sukriya Jay Bhaaya...
 
Lib am

Well-Known Member
3,257
11,248
143

Maharaj aur senapati dono apne beto ko best fighter bante dekhna chahte hai magar apni mehnat se naa ki kisi shortcut se. Raj ko bhi apni jimmedariyo ka ahsaas hai isliye wo apni poori shamta se apna prashiksha kar raha hai aur yahi haal, very nice update
 
Rohit1988

Well-Known Member
2,230
7,191
158

Fantastic update
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,094
203
Update 33

Training.

Aaj Magic Academy daily ki tarah cheerful nahi thi. Baki aaj vo kaafi calm thi. Even Magic Academy ke andar aaj students bhi kaafi kam the.

Aaj Dean se sabhi classes ko off rakha hua tha aur saath mei Magic Academy ke sabhi high level members ke saath unki unke Mage Tower meeting chal rahi thi.

Tabhi Magic Academy mei Raj, Aditya, Abhay aur Riya aate hai aur practice ground ki taraf chale jaate hai.

Waise bhi aaj ke practice ka plan Aditya aur Abhay ka tha.

Wahi unhe raaste mei Roshni aur Ekant bhi mile.

Practice ground par aane ke baad Raj ne Aditya ko dekhte hue pucha.

Raj-Toh koun kiske saath practice karne wala hai, yaa phir ham sabhi apni apni practice karenge jaise daily karte hai.

Is par sab se Roshni ne Riya ko dekhte hue kaha.

Roshni-Ham dono apne spell casting ki practice karne wale hai aur uske baad ham apne Mana Base ko aur bhi refine karne wale hai.

Yeh keh kar Roshni aur Riya waha se kuch distance par bane hue ek room ki taraf chale gaye jo unke spell casting ki practice ke liye bana hua tha.

Ab waha par sirf ladke hi bache hue the.

Raj ne sabhi ko dekha aur kaha.

Raj-Well mein ek new footwork style par focus karna chahta hu jo ham sabhi ko close combat mei kuch help kar sake. After all ham Mage Warriors hai aur Mage ki tarah distance par reh kar battle nahi kar sakte hai. Is liye mein ne kuch footwork’s styles co create kiya hai aur unhe perfect karna chahta hu. Agar tum sabhi bhi aana chahte ho toh aa sakte ho.

Is par Abhay ne kaha.

Abhay-Yeh baat toh hai. Ham sabhi ko apne opponent se fast aur quick hona hoga. Strong toh ham apni daily training se bhi ho sakte hai but ham jab Gladstone City mei the tab hamari speed kaafi kam thi. Agar kabhi Holmes jaise Battle Mage ko face karna hua toh hamara reaction time kaafi fast hona chahiye. Tabhi ham uske jaise Battle Mage ke saath controlled fight kar sakte hai.

Aditya-Well yeh mere liye bhi achha hoga. Jab mein Occult Victor ke saath fight kar raha tha tab uski speed mujhse halki si fast thi. Par agar mein bhi apne speed ko achhe se master kar lu toh mein apne se higher level opponent ke saath battle kar sakta hu.

Ekant in sabhi ko dekh raha tha. Kyo ki vo ek Half-Elf tha is liye uski speed pehle se hi in sabhi se kuch fast thi. Upar se uski Physique bhi normal human se strong thi jo uske speed ke saath comparable thi.

Issi ke saath sabhi practice ground ke 2nd section mei aa gaye jaha par kaafi saare wooden pillars lage hue the. Par in sabhi mei ek baat baat uncommon thi aur vo yeh thi ke yeh sabhi different heights ke the. Koi bhi same height ka wooden pillar nahi tha. Saath hi inke bich ka distance par uneven tha. Upar se inmei se kuch wooden pillar par red cloths lage hue the. In sabhi ke baremei Raj ko achhe se pata tha.

Yeh red cloths Mage Warriors ke attention ke liye lagaaye gaye the. Agar in par training karte hue koi bhi step rakhta tha toh usse apni practice start se start karni padti thi.

Aisa is liye kyo ki yeh ek special wooden pillars ka set-up tha.

Isse Thousand Star Array kaha jata tha.

Yeh ek tarah ki formation thi jo trainer ke movements ko record aur observe kar sakti thi aur jab bhi koi trainer apni practice complete karta tha tab uske mind mei ek information bej sakta tha ke usse kaha kaha par khud ko improve karna hai.

Is formation ko Dean se specially khud se set-up kiya tha Senapati Dipak ke kehne par.

Raj ne apne pocket mei se kuch papers ko nikala aur unhe sabhi mei distribute kar diya aur unhe dekhte hue usne kaha.

Raj-Ismei mein ne kuch footwork ke positions ko draw kiya hua hai. Isse tumhe visualise karne mei easy hoga aur saath mei tumhe kaie move karna hai is sab ke baremei bhi mention kiya hua hai.

Raj ki baat sukar sabhi ne us paper ko dekha aur uspar jo drawings bani hui thi unhe observe karne lag gaye. Saath hi uske niche jo information di hui thi usse read karne lag gaye.

Raj ne sach mei ek kaafi acchi footwork style ko create kiya hua tha. Yeh sab dekh kar hi samajh gaye the ke agar yeh Raj Magic Academy ko de deta hai toh isse unhe kaafi benefit ho sakta tha.

Lekin jaise Raj ne kaha tha ke vo abhi bhi isse improve karne mei laga hua hai toh sabhi uske is baat ka hi wait kar rahe the.

Issi ke saath sabhi ne apni apni jagah ko choose kiya aur ek ke baad ek jump laga kar un wooden pillars par aane lag gaye. Par upar aane par unhe ek surprise mila. Vo yeh ke is pillar par sirf ek pair rakhne jitni hi jagah thi.

Isse ke saath yeh sabhi samajh gaye the ke yeh training jitni dikh rahi thi usse bhi hard hone wali hai. Lekin koi bhi piche nahi hatna chahta tha.

Sabhi ne apni apni position ko perform karne lag gaye par ek step ke baad har ko pillar se niche girne lag gaya tha.

Aisa is liye kyo ki koi pillar small hota toh koi pillar slippery hota. Is sab mei unhe koi bhi judgement nahi mil paa rahi thi. Par sabhi phir se pillar par aate aur starting se apni practice ko start karte.

Har footwork technique ki apni mysteries hoti hai aur naturally iske effects bhi battles mei different hote hai.

Issi ke saath kuch time bitne ke baad sabhi is footwork technique ke essence ko samajhna start karne lag gaye the.

Afternoon tak Raj aur baki sabhi un wooden pillars par kisi flash ki tarah yaha se waha move ho rahe the. Koi bhi ek dusre ko obstacle nahi ban raha tha. Raj toh jaise ek pal mei hi kitney wooden pillars par move ho raha tha aur uske piche piche Ekant tha. Aditya aur Abhay ki speed evenly match kar rahi thi. Dono bhi same speed ke saath move ho rahe the.

Unke face aur body par lagi hui kuch minor injuries hi yeh bata rahi thi ke vo kaafi time pillars se niche gir gaye the. Sabhi ke haato par scratches lage hue the. Par koi bhi rukhne ka naam nahi le raha tha. Dekhne se aisa lag raha tha jaise unhe is sab mei maza aa raha hai.

Ab tak Roshni aur Riya bhi waha par aa gayi thi aur sabhi ladko ko aisi speed ke saath move hote hue dekh kar vo dono bhi kaafi surprise thi. Roshni aur Riya ko aisa lag raha tha jaise un sabhi wooden pillars par countless flashes move ho rahe ho.

Raj aur baki sabhi ladko ne un dono ko waha par dekha toh sabhi ne apni practice ko rok diya aur sabhi ek ke baad ek jump kar ke unke paas aaye.

Raj ki body puri tarah se pasine se bhig gayi thi aur same condition baki sabhi ladko ki bhi thi.

Raj ne un dono ko dekhte hue unhe bhi wahi footwork technique ka paper diya par usne unki technique koo kuch alter kiya tha unki feminine physique ko dekhte hue.

Unki technique unhe fast ke saath nimble bana sakti thi. Isse vo close combat mei apne opponent ke dangerous attacks ko easily dodge kar sakti thi.

Raj ne Roshni aur Riya ko bhi wahi baat batayi jo usne Aditya, Abhay aur Ekant ko batayi thi.

Is par Roshni aur Riya pehle toh kuch shock hui. Kyo ki koi bhi physical practice ki technique create karna kaafi hard hota tha aur Raj jo unki hi similar age ka ladka tha usne ek footwork technique ko create kiya tha. Yeh baat sach mei kaafi impressive thi.

Raj ne sabhi ko dekha aur kaha.

Raj-Well mein ham sabhi ko aur bhi strong karne ke liye kaafi saari baato par work kar raha hu. Taki ham jaldi hi capable Mage Warriors ban sake aur apni family, apne log aur apne country ko protect kar sake. Ham sabhi ko pata hai ke Dark Elves ne phir se war like situation bana di hai aur is baar vo all out war chahte hai. Par hame yeh reason nahi pata hai ke unka real motive kya hai is war ke piche. Uapr se is Bell ke matter ne mujhe aur bhi hard work karne par focus kar diya hai. Is sab mei mein ne ek kaafi badi baat ko notice kiya hai. Agar mein us par kuch solution nikaal paau toh yeh ham sabhi ke liye kaafi revolutionary hoga. Par abhi mein uspar kuch bhi nahi keh sakta hu.

Issi ke saath Raj ne sabhi ko rest karne ke liye kaha.

Sabhi chalte hue ek resting room mei aaye aur waha rakhi chairs par baith gaye.

Raj aur baki ladko ko waha baithte hi jaise aankh lag gayi thi. Unke body mei kaafi pain bhi ho raha tha par unhone kisi bhi healing spell ko cast nahi kiya. Vo sabhi is pain ko feel kar ke khud ko aur bhi strong banana chahte the.

Yaha Dean ke Mage Tower mei sabhi kaafi serious meeting mei lage hue the. Even Hera bhi is meeting mei aayi hui thi aur Magic Academy ke sabhi high level officials ko Mist Basin aur baki jo unke paas proofs the un sabhi ke baremei report kar rahi thi.

Sabhi ke face par yeh sab sunkar kaafi serious expressions bane hue the. Koi bhi yeh nahi soch sakta tha ke Bell aise Dark Magic ki practice karna start kar sakta hai. Bell aur Dean ke relations kaafi achhe the. Even Bell kaafi saare professors aur students ki help ki hui thi kaafi saare magic ke related matters mei. Lekin suddenly Bell aise Dark Magic ki practice kyo karne lag gaya yeh koi bhi samajh nahi paa raha tha.

Sab kuch sunne ke baad Dean ne kaha.

Dean-Well ab ham kuch nahi kar sakte hai. Bell jis path par chal raha hai waha se return nahi aaya jaa sakta hai. Even ham sabhi ke paas uske against ek strong evidence hai uska hi personal student Derris jo uski is sab mei help kar raha tha. Ab bas hame uske location ke baremei pata lagana hai aur vo Mist Basin mei kaha ho sakta hai yeh dhundna hai. Ham aise hi kisi bhi team ko form kar ke Mist Basin ke andar nahi bhej sakte hai. After all Bell ek level 6 Magician hai aur usse apni ab tak life mei kaafi saari battles ka experience hai. Aise mei kisi bhi team ko form kar ke bhejna hamare liye hi hurtful ho sakta hai. Mein Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak se is sab par baat karunga. Bell ko ham aise hi open nahi chod sakte hai. Usse Magic Academy mei bohot se secrets pata hai. Aise mei agar vo sach mei Dark Elves se mila hua hai toh vo hamare liye sab se bada danger ban sakta hai. Hame jaldi hi kuch karna hoga.

Issi ke saath yeh meeting yahi end ho jaati hai.

Kyo ki is baat ko top secret rakha gaya tha is liye abhi tak Bell ka matter public nahi hua tha aur capital mei rehne walo ke liye sab kuch normal tha.

Aise hi yeh din bhi bit gaya. Evening hote hote Raj aur uske sabhi friends sabhi apne ghar chale gaye.

Raj bhi apne ghar aa kar fresh hua aur apne study room mei aa kar apne thesis aur baki sabhi baato par kuch sochne laga.

Usse new aur effective battle techniques ko create karna tha jo unhe sabhi types ki battle mei upper hand de sake. Par battle technique ko create karna itna bhi easy nahi tha. Usse ek strong foundation dene ki zarurat thi.

Raj is sab baato par kaafi der tak sochta raha aur usse kuch ideas bhi aaye lekin vo puri tarah se perfect nahi the. Par Raj janta tha ke time ke saath vo un sabhi ideas ko perfect kar lega.

Agle din Dean Royal Palace aaye the Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak se milne aur unke saath meeting karne ke liye. Tino bhi court hall mei baith kar Bell ke is matter par kaafi kuch discussion kar rahe the. Par unhe koi bhi ek point nahi mil raha tha ke Bell unke haat kaise lag sakta hai. Unhe pata tha ke Bell Mist Basin se bahar nahi aayega aur vo bina kisi plan ke kisi bhi team ko Mist Basin ke andar nahi bhejna chahte the.

Yaha Shade ke mage tower mei Bell abhi bhi us pond mei hi tha aur ab tak vo half se bhi zyada transform ho gaya tha. Dark Energy uske soul ko har pal strong banati jaa rahi thi.
Awesome update
 
Fabulous update
 
Bahot khoob shaandaar update bhai
Training tow badi zaberdast kari hbin longo n iske results achche hi milenge
Shaandaar
 
Iss tarah or itni bareeki k samjhane wala banda ho or samne wala bhi samajhne knliye tayyar ho tow usko uske goal ko paane se koyi nahi rok sakta or yaha Raj or uske dost peeche hatne wale nahi Raj n apne bana ko bhi surprise ker dia itni hard training se
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Bahot khoob shaandaar lajawab update bhai
 
Top