Update 34
Father and Son
Bell ke incident ko hue ab 2 months tak ka time ho gaya tha. Kisi ko bhi Bell Mist Basin area mei kaha ho sakta hai iske koi clues nahi mil paaye. Lekin waha par ab tak jitni bhi search team gayi thi unki reports mei ek baat common thi aur vo yeh ke waha par Dark Energy ka fluctuation kaafi badh raha hai. Saath hi repot mei yeh bhi mention kiya gaya tha ke Mist Basin mei paaye jane wale beasts bhi us Dark Energy ki wajah se affect hue hai aur kabhi bhi capital par attack kar sakte hai. Is liye capital bhi ready ho gayi thi. Kaafi saare Mage Warriors aur Battle Mages ko capital ki jo City Wall thi us par position kiya gaya tha aur sabhi ko alert rehne ke liye kaha gaya tha.
Capital mei abhi bhi ordinary life shanti se chal rahi thi. Kisi ko bhi is baat ki koi bhi khabar nahi lagne di gayi thi ke capital ke internal matters mei ho kya raha hai.
Upar se Royal Palace mei Magic Academy se ek letter yeh bhi aaya tha ke vo students ko aur bhi achha experience dene ke liye capital ke west mei jo forest area hai waha par ek official trip karna chahte hai aur uske liye Royal Palace se unhe permission chahiye thi.
Capital ke west side wala forest other sides se kaafi dangerous tha. Waha par magical beasts other sides se kaafi strong aur dangerous the. Is wajah se west side ke forest ke entrance par kaafi strong spell formation ko set-up kiya gaya tha jo kisi bhi high level beast ko sense kar ke spell formation ko activate kar sakta tha aur apne lightning strike se unhe maar bhi sakta tha.
Lekin is time par Royal Palace se abhi tak Magic Academy ko koi bhi answer nahi mila tha is liye is trip ko aage kar diya gaya.
Yaha in 2 months mei kaafi kuch change ho gaya tha.
Raj aur uske friends ab Level 2 ke peak par pohochne wale the. Par shayad next level par breakthrough karne ke liye unhe kisi extreme situation yaa emotion ki zarurat thi jo unhe level 3 mei breakthrough karne ke liye help kar sake.
Har koi apne training ko kaafi seriously lene lag gaya tha. Raj ne bhi apne sword arts ki practice aur spell casting ke training ko aur bhi extreme level par le gaya tha. Ab uske apne body par weights lagana start kar diya tha jisse vo apne physical training ko ek level upar le gaya tha.
Issi bich Raj ne Senapati Dipak ke saath phir se apni sword arts ki training start kar di thi.
Raj ko achhe se pata tha ke uske baba is pure human continent mei most powerful sword user hai. Even demons bhi unse direct fight nahi karna chahte the. Saath hi Senapati Dipak ko ek aur naam se jana jata tha aur vo tha Sword Saint. Yeh title unhe tab mila tha jab magical beasts ne Swarndesh par attack kiya tha aur un sabhi ke against Senapati Dipak ne apne sword skills ko use kiya tha jo human continent par unmatchable thi. Aaj tak unhone apne under 8 disciples ko train kiya tha aur vo sabhi apni apni human countries mei ek powerful aur strong sword user hai. Wahi ab unka 9th disciple Abhay ek dual sword user tha jise unhone Raindrop style sword art se train karne ka decision liya tha jismei Abhay ne unki expectation ko kaafi achhe se match kiya hai.
Rahi baat Raj ki toh vo unhi ka beta tha is wajah se vo abhi se hi sword arts mei unhe rival kar raha tha.
Raj ki bhi sword par mastery abhi se kaafi best thi. Even same generation mei human continent mei aisa koi bhi Mage Warrior nahi tha jo Raj ko sword skills mei beat kar sake.
Aaj afternoon mei jab Raj aur Senapati Dipak ne lunch kiya tab kuch der ki rest ke baad dono bhi apne mansion ke training yard mei aaye.
Senapati Dipak Raj ke sword skills ke basic foundation ko check karna chahte the aur yeh bhi dekhna chahte the ke Raj ne ab tak apne sword par kitni mastery hasil ki hui hai.
Unhone Raj ko dekha aur kaha.
S.D-Raj tumhe toh pata hai ke swords ko short weapons mei consider kiya jata hai. Vo light aur agile ke saath vo single edge aur double edges ke saath hoti hai. Unka usage kisi bhi dusre weapon se kaafi zyada precise aur profound rehta hai. Phir chahe baat slash karne ki ho, stab karne ki ho, chop karne ki ho, scap karne ki ho yaa phir tap karne ki ho. Ek sword user is sab se easily apne opponent ko maar sakta hai. Lekin agar koi incorrect way mei training kar raha ho toh vo khud ko bhi hurt kar sakta hai. Yeh sach mei ek weapon of war hai.
Yeh keh kar Senapati Dipak apne bete ki taraf dekhne lag gaye.
Wahi Raj apne blood ko jaise boil hote hue feel kar sakta tha. Usne shine hote hue aankho se dekhte hue apne baba se pucha.
Raj-Baba aaj mein kis tarah ke sword technique ko sikhne wala hu ?
Ispar Senapati Dipak smile karne lag gaye aur unhone Raj ko dekhte hue kaha.
S.D-Sword Technique? Uske liye tumhe kuch years aur wait karna hoga.
Raj ne confuse hote hue kaha.
Raj-Kuch aur years wait karna hoga?
Is par Senapati Dipak kuch serious hue aur unhone Raj ko dekhte hue kaha.
S.D-Raj sword techniques special nahi hoti hai. Special hoti hai sword skills mei tumhari basics ki understanding. Wahi se new sword techniques ka janam hota hai. Jab tum basic skills ko master kar lete ho tab sword movements apne aap tumhare body ke saath janam lene lagte hai. Issi liye tumhe sab se pehle apne body ko control karna sikhna hoga. Jab tumhari body aur tumhre haat extremely agile aur tum apne strength ko fully control kar paoge tab tumhari body apne aap hi tumhari understanding ke saath new sword techniques ko create karegi aur saath hi tum easily new sword techniques ko bhi sikh paaoge. Par sirf body ko hi strong karna enough nahi hai. Tumhe sword ko sikhne ke liye sab se pehle apne mind ko bhi prepare karna hoga.
Senapati Dipak ki kuch baate jaise Raj ke mind ke upar se hi chali gayi. Vo kuch confuse feel karne lag gaya tha. Usne Senapati Dipak ko dekhte hue unse pucha.
Raj-Baba aap ne kaha ke mujhe koi bhi technique sikhne se pehle apne body ko train kar ke strong karna hoga yeh mein samajh gaya. Lekin mind wali baat mei kuch samjha nahi. Mujhe kis baat ke liye apne mind ko prepare kar ke rakhna hoga ?
S.D-Itni jaldi bhi kya hai.
Yeh keh kar Senapati Dipak apne bete ko dekhne lag gaye. Tabhi suddenly unke haat mei ek book aayi. Usse unhone Raj ki taraf toss kiya aur usse dekhte hue kaha.
S.D-Pehle is book mei diye hue basic body stances ko achhe se read karo aur observe karo. Ismei basic body stances ke 16 techniques hai. Yeh sab se simplest lekin most fundamental method hai kisi bhi body mei se powerful strength ko release karne ke liye. Jab tum in 16 basic body stances ko puri tarah se master kar loge tab tumhari body apne aap ko apne aaspas ke danger ko sense kar payegi aur saath hi top ki strength ko bhi release kar payegi. Ek baat yaad rakhna tumhari khud ki sword tumhari body hi create kari hai. Agar tumhari body hi tumhare puri tarah se control mei nahi hogi toh tumhari khud ki sword tumahre control mei kaise reh payegi ? Is liye sab se pehle apne mind ko har situation mei calm rakhna sikho.
Yeh keh kar Senapati Dipak Raj ko dekhne lag gaye. Unhe lag raha tha ke kahi Raj ke liye abhi yeh sab baate zyada profound naa ho jaaye.
Wahi Raj yeh samajh raha tha ke knife ko sharp karte rehne se cutting process slow nahi hoti hai.
Raj ne us book ko open kiya aur usse read karte hue usne kaha.
Raj-Thik hai baba.
Yeh keh kar Raj us book ko kaafi focus ho kar read karne lag gaya. Vo un sabhi mysterious basic body stances ko observe aur review karne lag gaya tha.
Sab kuch read karne ke baad us book ke profound secrets ko memorize karne ke baad Raj waise hi khud ko train karne lag gaya. Senapati Dipak wahi par ruke hue the aur Raj ko training karte hue dekh rahe the. Jab bhi Raj kahi par mistake karta toh vo usse point out karte yaa phir vo kuch jagaho Raj ko khud hi perform kar ke show karte the taaki Raj achhe se samajh sake.
Actually, Raj ki jo footstep technique is basic body stance ke kuch aspect se match kar rahi thi is liye Raj kaafi jaldi aur effectively in basic body stances ko sikh raha tha.
2 ghanto ke baad.
S.D-Thik hai ab kuch der rest karo. Future mei tum daily ke 2 ghante is basic body stances ko practice karne mei guzaroge. Jab tak mein is baat se conform naa ho jaau ke tumhari body next level sword technique ke liye ready hai tumhe iski practice karte rehni hai. Sword ke saath training karne ke liye apne body ko prepare karna sirf ek aspect hai. Tumhe sword ko wield karne ke liye apne mind ko bhi prepare karna hoga.
Yeh keh kar Senapati Dipak ne apne haat ko wave kiya aur unke haato mei 2 swords aayi. Unhe Raj ki taraf toss karte hue unhone kaha.
S.D-Inhe catch karo.
Raj ne easily un dono swords ko hawa mei hi catch kar liya.
Issi ke saath Senapati Dipak ne Raj ko apne piche aane ka ishara kiya aur vo Raj ko lekar apne mansion ke piche jo forest ka area tha uske andar jaane lag gaye.
Kuch der aise hi andar jaane ke baad Raj ko ek bada sa open area dikha jaha par kaafi saare metal puppets lage hue dikhe aur un sabhi ke haato mei swords thi.
S.D-Yeh High Mind Puppets hai jo khud ko apne opponent ki strength ke saath adjust kar sakte hai. Jab tak inka opponent level 5 ki stage ko surpaas nahi kar deta hai tab tak yeh apne aap ko apne opponent jitna strong kar sakte hai yaa phir kuch seals ko open kar kar ke inka user inhe apne se strong bhi rakh sakta hai. In metal puppets ki body kaafi strong aur extremely tough bhi hai.
Raj un sabhi metal puppets ko achhe se observe kar raha tha. Un puppets ke kuch body parts par usse red spots dikhe.
Wahi Senapati Dipak bhi Raj ko un puppets ko observe karte hue dekh rahe the. Unhe samajh mei aa gaya tha ke Raj unse aage kya puchne wala hai.
Wahi Raj ne apne baba ko dekha aur unse kaha.
Raj-Baba in pupest par bane hue yeh red spost…
Abhi Raj aage kuch kehne hi wala tha ke tabhi Senapati Dipak ne uski baat ko complete karte hue kaha.
S.D-Yeh sabhi metal puppets ke body parts ke vital parts hai. Jaao aur un mei se ek metal puppet ke sir par bane hue us red spot ko stab karni ki koshish karo. Lekin tumhe apne strike ko fast rakhna hoga.
Un metal puppets ki puri body par 10 red spots bane hue the. Yeh red spots un puppets ke sir, throat, chest, dono arms aur hands, back aur body ke kuch aur parts par bane hue the.
Apne baba ki baat sunkar Raj kaafi speed se move hote hue aage badha. Usne apne right haat ko piche kiya aur straight line mei us metal puppet ke sir par bane hue red spot ki taraf stab kiya.
Lekin jab Raj ki sword almost us metal puppet ke sir par bane hue red spot par stab hone wali thi tabhi us metal puppet ne halke se apne sir ko move kiya aur Raj ka strike us metal puppet ke face ko halka sa touch karte hue aage badha.
Yeh dekh kar Raj bhi surprise hua tha. After all uski speed sach mei kaafi fast thi. Aise mei last moment par us metal puppet ne apne sir ko halke se side mei kar ke Raj ke sword ko uske sir par bane hue red spot mei stab hone se rok diya tha. Ek tarah se yeh safe dodge tha.
Wahi Raj ne surprise hote kaha.
Raj-Par…
Raj janta tha ke uska aim clearly vo red spot tha. Lekin itne pass aane ke baad bhi vo metal puppet usse fast react hote hue usne apne sir ko side mei kiya aur Raj ke strike ko fail kar diya.
Yeh dekh kar Senapati Dipak kuch smile karne lag gaye aur chalte hue Raj ke paas aaye. Unhone Raj ko dekhte hue kaha.
S.D-Toh kuch samjhe ? Waise toh tum us metal puppet ke sir par bane hue red spot par stab karna chahte the lekin us puppet ne tumse bhi fast react karte hue apne sir ko bacha liya. Par sirf tumhari movement speed fast hona hi sab kuch nahi hota hai. Tumhara reaction time bhi utna yaa phir usse speed hona chahiye. Issi liye tumhe apne body par perfect control hona chahiye. Saath hi tumhe countless times khud ko train karna hoga. Har ek sword technique ko tum 13 specific movements mei specify kar sakte ho. Jaise chop, pierce, scrape, sweep, break, tap, cleave, support, intercept, twist, lift, draw aur sheath. Ismei chop, pierce, scrape, sweep, tap, cleave yeh movements attack karne ke liye use kiye jaate hai. Wahi support, break, intercept, twist, lift, draw aur sheath yeh user khud ko defend karne ke liye use karta hai.
Senapati Dipak ne ussi metal puppet ki taraf ishara karte hue Raj se kaha.
S.D-Yeh puppet abhi move nahi kar raha hai lekin future mei yeh move bhi karega aur tumhare attack se khud ko defend kar ke tum par attack bhi karegai. Par abhi ke liye tum is puppet ke red spots par chop, pierce, scrape, sweep, cleave aur tap in movements ko iske against use karo. Mein khud tumhe har ek single movement ke secrets ke baremei sikhaunga saath hi tumhe yeh bhi sikhaunga ke apne har attack mei harmony ke saath kaise move karte hai. Har ek single basic movement ko tumhe at least 10 million times practice karna hoga. Future mei jab yeh puppets move honge tab yeh bhi tum par apni sword techniques se tum par attack karenge. Tab tum support, intercept, twist, lift, draw, break aur sheath movements ko use karoge apne aap ko defend karne ke liye. Un movements ko bhi tum at least 10 millions times practice karoge. Saath hi tum in puppets ko hand to hand combat ki practice ke liye aur footstep technique ko practice karne ke liye bhi use kar sakte ho. Attack aur Defend, jab tum in 2 aspect ke saath khud ko familiar kar loge tab yeh puppet tumhare saath apni peak strength par battle karega. Tab tumhe in sabhi 13 movements ko use kar ke iske saath fight karni hogi. Jab yeh sabhi 13 movements naa sirf tumhare mind balki tumhare body, muscle aur body ke har ek part mei perfectly fit nahi ho jaate hai aur perfectly accurate nahi ho jaate tab tak tumhe iski practice karte rehni hai. Jab tum in sabhi 13 movements ke will ko apne mind mei absorb kar loge tabhi tumhara mind bhi sword ke saath training karne ke liye ready hoga.
Raj apne baba ki baato ko apni saans ko jaise rok kar soon raha tha.
Uske mind mei yahi chal raha tha.
“Body ko prepare karna, Mind ko prepare karna.”
Senapati Dipak ne aage kaha.
S.D-Iske baad hi tumhari real sword training start hogi. Sword techniques kaafi complicated hoti hai lekin vo bhi in basic 13 movements se hi create hui hoti hai. Agar tum in basic movements ko memorize aur absorb nahi kar paaye toh tum kasie apne sword training mei koi achievement paa sakoge ? Jab tum in sabhi basic movements ke saath achhe se familiar ho jaoge tab tum khud ko sword training ke Basic level par pohoch gaye ho yeh consider kar paoge. Har technique ke 3 levels hote hai. Basic Level, Advance Level, One With World. Advance level par footstep technique ke liye body par precise control hona chahiye. But Advance level ke sword technique ke liye body aur sword dono par precise control ki requirement honi chahiye aur uske aage unhe merge karna v otoh 10 times harder hai. Wahi baat rahi One With World hone ki toh vo toh kaafi dur ki baat hai.
Yeh sab keh kar Senapati Dipak kuch serious ho gaye aur unhone Raj ko dekhte hue usse pucha.
S.D-Raj bete tum jis path par chalne wale ho tum usse achhe se samajhte hon a ?
Is par Raj ne bhi heavy ho kar kaha.
Raj-Haan baba mein janta hu.
Senapati Dipak Raj ko sword training ke baremei bata rahe the par Raj janta tha ke uske baba ki yeh baat naa sirf sword training balki uske Rakshak hone par bhi laagu hoti hai. Vo Rakshak ke liye chuna gaya hai. Aage chal kar ek pure universe ke protection ki responsibility uspar aane wali hai. Aise mei vo kahi se bhi weak nahi reh sakta tha. Usse yeh pata tha ke aage chal kar uski life mei Arindam ke saath battle toh hone hi wali hai par usse yeh bhi pata tha ke Arindam ek Demi-God level ka demon tha jo Firmoon Universe mei sabhi demons ka Emperor tha. Aise mei Raj agar weak reh gaya toh Firmoon Universe ko destroy hone se koi bhi bacha nahi sakta tha. Is liye Raj khud ko strong karne ke liye kitni bhi hard training se guzarne ke liye ready tha. Vo Arindam ko harane ke liye uske paas jitna bhi knowledge hai uska use karna chahta tha.
Raj ne yeh sab soch kar ek gehri saans chodi aur phir Senapati Dipak ko dekhte hue usne unse pucha.
Raj-Baba One With World ki level par pohochne ke liye mujhe kitna time lag sakta hai ?
Is par Senapati Dipak ne kaha.
S.D-Mein bhi is sab mei kuch keh nahi sakta hu. Mein ne 6 years tak ka time spend kiya tha in 13 basic movements ko puri tarah se master karne ke liye aur uske baad ke 6 years lage the One With Sword ke level par pohochne ke liye.
Raj-12 Years…
Raj yeh sab sunkar kaafi shock aur surprise ho gaya tha. Uske baba jo human continent ke no-1 sword user the aur sabhi unhe Sword Saint ke title se jaante the. Even apne 30s mei hone ke baad bhi unke jaise peerless talent ko bhi 12 years ka time laga tha. Aise mei ordinary warriors jo apni puri life practice mei bita dete hai vo kabhi bhi One With World ki level par pohoch nahi paate hai.
Raj ko aise shock aur surprise dekh kar Senapati Dipak smile karne lag gaye aur unhone Raj ke sir par apna haat rakha aur usse kaha.
S.D-Zyada socho mat. Ham single single steps lenge. Chalo ab ham ab attack ke movements ki practice start karte hai.
Issi ke saath Raj apne baba Senapati Dipak ki guidance mei 13 Basic Sword Movements ki practice start kar di thi.
Yeh kaafi boring tha aur kaafi thaka dene wala bhi.
Par Raj ki sikhne ki will kaafi high thi. Apni past life mei vo ek anath tha par lekin is life mei uske paas vo sab kuch hai jo uske past life mei nahi tha. Is liye vo kisi bhi situation ke liye ready tha yeh sab aise hi rakhne ke liye. Raj easily give up karne walo mei se nahi tha.
2 ghante attack movements ko practice karne ke baad Raj agle 2 ghante defend movements ko practice karne mei lag gaya.
Senapati Dipak phir se kuch distance par khade ho kar Raj ke training ko dekh rahe the.
Tabhi unhe piche se kisine aawaz lagayi.
Yeh koi aur nahi balki Dipali thi.
Vo chalte hue aa kar Senapati Dipak ke side mei khadi hui aur vo bhi Raj ko training karte hue dekhne lag gayi.
Senapati Dipak ne Dipali ko dekhte hue kaha.
S.D-Dipali, tumhe pata hai mein ne yeh kabhi expect hi nahi kiya tha. Mein ne really yeh kabhi expect nahi kiya tha ke hamare bete mein itni strong willpower hogi. Mein toh iske liye bhi prepare tha ke yeh kuch time baad yeh kahega ke mein thak gaya hu aur mein usse rest karne ke liye kehne wala tha. Par mujhe nahi pata tha Raj ki will itni strong hai.
Yeh sab sunkar Dipali ne Senapati Dipak se kaha.
Dipali-Yeh toh kuch bhi nahi hai. Mein ne Aditya se suna tha ke uske kisi Footstep Technique ko create kiya aur usse master karne ke liye usne apne cloths ke andar body weights ko pehen rakha hai. Saath hi vo us Footstep Technique ko perfect karne mei laga hua hai. Is Footstep Technique ko vo morning mei 6 ghante practice karta hai aur ab dekho piche 6 ghanto se sword ke saath practice kiye jaa raha hai. 12 ghante vo bhi itne young age mei practice karna sach mei kaafi badi baat hai.
S.D-Mujhe achhe se yaad hai jab mein iski age ka tha toh mere pita jo ek small Duke the vo mujhe bhi aise hi training dete the. Lekin unhone kabhi bhi mujhe forceful training karne ke liye nahi kaha. Vo mujhe training karne ke benefits batate the. Par ek din magical beasts ke attack mei battlefield par unki death ho gayi. Uske baad se maa bhi bimaar rehti thi aur issi wajah se vo bhi kuch time baad mujhe akela chod kar chali gayi. Lekin mujhe aaj bhi apne pita ki baate yaad hai aur wahi baate mein Raj ko bhi aage pass on karna chahta hu. Mein chahta hu ke vo khud se in sabhi baato ke importance ko samjhe naa ke mere force karne par. Isse uska mind aur bhi strong hoga. Raj ke janam ke baad jab mujhe yeh pata chala tha ke Raj Mana ko wield nahi kar sakta hai tab mujhe kaafi tension rehta tha aur aage Raj life mei kya karega iske baremei sochta rehta tha. Par jab se vo bhi Mana ko wield karne lag gaya hai tab se yeh tension kuch kam ho gaya hai. Ab mein sure hu ke Raj aage chal kar apni life mei kuch great achieve karne wala hai.
Dipali-Is baat par mein bhi believe karti hu.
Wahi Royal Palce mei bhi Aditya apne palace ke courtyard mei Maharaj Shekhar se pass on hui sword technique ki practice kar raha tha.
Jab Maharaj Shekhar waha aaye aur unhone Aditya ko apni practice karte hue dekha tab unhone usse kaha.
M.S-Aditya mein ne tumhe hamari family mei pass on hone wali sab se powerful fire sword technique pass on ki hui hai. Ab bas tumhe isse master karna hai aur kuch nahi. Yeh tumhare fire element ko aur bhi strong karegi aur iske support mei tumhara wind element kaafi kaam aayega. Yaad rakhna yeh kaafi profound sword technique hai jo hamari generations se pass on hoti aayi hai aur ab tum iske new wielder ho. Tum chahe toh in sabhi moves ko master kar sakte ho yaa phir tum in sabhi ke secret ko samajh kar apna ek True Move create kar sakte ho.
Is par Aditya ne apne sword practice ko rok diya aur Maharaj Shekhar ko dekhte hue usne kaha.
Aditya-Pitaji mein aap ki is baat ko achhe se yaad rakhunga. Waise bhi ham sabhi apni training ko kaafi serious le rahe hai. Raj ne toh apni physical training ko aur bhi extreme kar diya hai. Saath hi Dipak Uncle bhi usse kuch new sword arts mei train karne wale hai. Upar se usne create ki hui yeh Footstep Technique sach mei kaafi outstanding hai. Yeh body ke har ek muscle ko jaise train karti hai aur isse practice karne ke baad meri movement speed bhi kaafi badh gayi hai.
Maharaj Shekhar ne yeh sunkar smile kiya aur kaha.
M.S-Raj bilkul tumhare Dipak uncle ki tarah hi hai. Vo bhi Raj ki age mei aise hi tha.
Maharaj Shekhar ki baat par Aditya ne unse pucha.
Aditya-Waise pitaji mein ne suna hai ke Dipak uncle ko sabhi Sword Saint kehte hai toh kya vo sach mei human continent ke sab se best sword user hai ? Kya sword arts mei vo aap se bhi best hai ?
M.S-Haan, Dipak sach mei human continent mei sab se best sword user hai. Even uske saath toh demons bhi head on battle nahi karna chahte hai. Shayad human continent par sirf mein hi hu jo usse power ke maamle mei equal hu. Dipak aaj jo bhi hai vo sab uske hard work ki wajah se hai.
Yaha Abhay forest ke ek open area mei khada tha aur uske haato mei uski dual swords thi jinke saath vo apne Raindrop Style ki practice kar raha tha. Uske mind mei Senapati Dipak ki kahi hui baate hi chal rahi thi ke kaise vo aur sword merge ho sakte hai aur isse usse battle mei kya benefits ho sakta hai.
Ab tak har koi samajh gaya tha ke Abhay ek talented sword wielder hai aur Sword Way ko kaafi achhe se samajh sakta hai. Abhay Raindrop Style ke secrets ko samajh kar usmei apne variations ko bhi add karna chahta tha aur unhe master bhi karna chahta tha. Yahi ab uske life ke sab se bade goals mei se ek tha.
Aise hi sabhi apni apni practice mei lage hue the. Koi bhi khud ko kisi se bhi piche nahi rehne dena chahta tha.
Wahi Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak aaj kal kisi baat se kaafi tension mei rehte the. Lekin abhi tak unhone us baat ko kisi ke saath bhi share nahi kiya hua tha.