• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RAKSHAK-THE SPECTRE

Yes or No

  • Yes

    Votes: 116 96.7%
  • No

    Votes: 4 3.3%
  • Other

    Votes: 5 4.2%

  • Total voters
    120
  • Poll closed .

ArpitLegend

New Member
71
168
33
waiting gif GIF
 

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,096
218
Zabardast update
Chapter 1

Gladstone City War.

Update 1

End and New Beginning.

Sham ka waqt tha aur Raj apne physics lab se nikal kar apne ghar jane ke ki taiyari karne lag gaya. Lab se bahar nikal kar vo road ke side se chalte hue apne ghar ki taraf nikal gaya. Uske mind mei abhi kal kis kis project par kaam karna hai is sab ke thoughts the. Abhi vo aise sochte hue chal hi raha tha ke tabhi uski nazar ek road cross karne wali ladki par gayi. Vo ladki road ko cross karte hue kisi se phone par baat kar rahi thi is liye usse apni taraf aane wala truck ke baremei jaldi pata nahi chal paya. Jab Raj ne yeh dekha tab vo jaldi se bhagte hue us ladki ki taraf jane lag gaya. Raj sahi time par us ladki ke samne aaya aur usne usse piche ki taraf push kar diya par jab tak vo khud ko us truck ke samne se hata pata tab tak der ho chuki thi. Us truck ne Raj ko zor se takkar mari aur Raj dur udte hue jaa kar gir gaya.

Uske sir se blood nikalne lag gaya tha aur uski aankhe bhi bhari hone lag gayi thi.

Small Flashback.

Raj hamari story ka hero. Uski age abhi 28 years ki thi. Raj ek anath tha. Janam ke baad hi usse kisi ne ek anathalay ke samne chod diiya tha. Raj ussi anathalay mei pala aur bada hua. Wahi reh kar usne apni 12th tak ki study ko complete kiya. Science usse kaafi pasand tha is liye apne 12th ke baad usne apne aage ki study ke liye Physics ko choose kiya. Saath hi usne ek part time job bhi karna start kar diya tha. Waise toh Raj ke kaafi sare dost the par usse kabhi pyar nahi hua tha. Uska yahi manna tha ke pyar uske ek kaabil scientist banne ke goal ke bich mei aa sakta hai.

Flashback end.

Ab rak Raj ka kaafi blood beh chuka tha. Uske aaspas kaafi saare logo ki bhid jama ho gayi thi. Ussi mei se kisi ne ambulance ko phone laga diya tha. Par usse bhi aane mei kuch der ho gayi thi. Jab tak ambulance aayi tab tak Raj apni aankhri saanse gin raha tha. Uske aankho ke samne uski ab tak ki life kisi film ki tarah chal rahi thi. Apne aankri palo mei bhi usse apni death ka dukh nahi tha par usse itna zarur dukh tha ke vo kabhi apne dream ko pura nahi kar paya.
Jab tak Raj ko hospital le jaya jata tab tak vo mar chuka tha.

Kehte hai bhagwan ne sirf yahi nahi aisi anginak duniyao ko banaya hua hai. Raj ki soul marne ke baad ek aisi jagah par ghum rahi thi jaha par sirf darkness thi. Ek soul hone baad bhi Raj jaise sab kuch feel kar sakta tha.

Abhi Raj ki soul vo kaha hai yeh samajhne ki koshish hi kar rahi thi ke tabhi us darkness ko chirte hue ek golden light ray aayi aur usne Raj ki soul ko waha se lekar chali gayi.

Jab Raj ki soul ne apni aankho ko open kiya tab usne apne aap ko kisi cave jaisi jagah par paya. Raj ki soul ko kaafi distance par ek light ka dot dikh raha tha.


Kyo ki Raj ke soul ke aaspas kuch bhi nahi tha is liye uski soul udte hue us light ke dot ki taraf jaane lag gayi.

Raj ki soul ko us light ke dot tak ka safar aisa feel ho raha tha jaise vo kitne years se yeh kar raha hai. Usse lag raha tha ke uski death ke baad vo swarg ya narak mei chala jayega jaise usne apne grantho mei padha tha. Par uske saath aisa kuch bhi nahi hua.

Jaise jaise Raj ki soul us light dot ke paas aati gayi waise waise uski nazar weak hone lag gayi aur kuch palo ke baad usne apni aankho ko close kar liya tha.

Ab aate hai is new world par jise sabhi Firmoon Universe ke naam se jante the.

Firmoon Universe ek magical universe tha jismei almost har koi magic kar sakta tha.

Yaha par jitney bhi life forms hai vo is liye magic ko use kar sakte the kyo ki yaha par MANA exist karta tha.

Mana is world ke magic ka source tha. Iski ki help se har koi magic kar sakta tha. Har koi issi ke saath hi paida hota tha. Par har kisi ka mana same level par nahi hota tha. Lekin isse training kar ke badhaya jaa sakta tha.

Is universe mei kaafi types ki lifeforms aur unke sabhi ke almost apne apne planets the.
Jaise Humans, Elves, Beast Humans, Giants, Dwarfs and Dragon Humans.

Jaise sab se pehle aate hai Humans, Elves aur Beast Humans ke planet par. Yeh tino types ke lifeforms ek hi planet par rehti hai. Lekin in tino ke continents different the.

Yeh jis planet par rehte hai waha par kabhi sabhi lifeforms rehte the. Lekin kisi wajah se baki sabhi lifeforms ke log is planet ko chod kar dusre planets par chale gaye aur ab is planet par reh gaye Humans, Elves aur Beast Humans.

Is planet ke jungles mei Beast Humans rehte the. Yeh dikhne mei almost humans ki tarah hi the bas inmei kuch characteristics kisi beast se resemble karte the.

Humans, Elves aur Beast Humans ke bich kaafi achhe relations the. Tino types ke logo ne mil kar magic mei kaafi kuch explore kar liya tha. Saath hi new invenstions bhi kiye hue the.

Kyo ki in tino ke bich ka resemblance kaafi close tha saath hi tino bhi ek dusre ke logo ko kaafi support karte the is liye in tino liferforms ke bich ke relations aur bhi achhe bante chale gaye.

Ab aate hai Human continent ke sab se powerful human country par jo baki sabhi human countries mei sab se powerful tha. Is ka naam tha Swarndesh.

Swarndesh ko sab se powerful Human country is liye kaha jata tha kyo ki uske Maharaj aur Senapati is planet ke sab se powerful HUMANS the.

Kyo ki humans baki lifeforms ke mukable physical quality mei kaafi weak the is liye Swarndesh ke maharaj ne idea nikala aur apne warriors ko Mage Warriors mei badal diya. Unhone Mages aur Warriors in dono ko hi ek level par laa kar rakh diya aur dono ko ek dusre ke training ko follow karne ke liye kaha.

Jaldi hi unhe is sab ke kaafi achhe results mile.
In sabhi changes ko dekh kar Swarndesh ki hi tarah baki sabhi humans countries ne bhi aisa hi karna start kar diya. Is sab ke wajah se Human, Elves aur Beast Humans ke bich jo physical power ka gap tha vo ab mit gaya tha.

Ab baat karte hai Swarndesh ke maharaj ki.
Swarndesh ke maharaj ka naam hai Shekhar.
Maharaj Shekhar ek powerful Mage Warrior hai aur ek achhe raja bhi. Unhone apne country ke har ek corner mei magic school ko open kiya hua hai taki har koi magic ko achhe se learn kar sake. Maharaj Shekhar ko ek ladka bhi tha. Maharaj Shekhar ke patni ka naam tha Suman aur unke ladke ka naam tha Aditya.

Maharani Suman.

Yeh apne naam ki hi tarah kaafi khubsurat hai. Lekin yeh sirf khubsurat hi nahi balki kaafi sharp person bhi hai. Inka mind kaafi tez tha aur agar kabhi Maharaj Shekhar ko kisi bhi suggestion ki zarurat hoti thi vo Maharani Suman se zarur baat karte the. Maharani Suman ke paas Healing powers thi. Jo kaafi rare maani jaati thi.
Ab aate Swarndesh ke Senapati par. Jo hai Senapati Dipak.

Agar Maharaj Shekhar ko power mei koi rival kar sakta hai toh vo Senapati Dipak hi the. Yeh kehna sahi hoga ke Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak ki powers ek hi level par thi. Saath hi Senapati Dipak hamare hero ke pita hai.

Ab baat karte hai Senapati Dipka ke patni ki yaani hamare hero ke maa ki.

Inka naam hai Dipali.

Dipali ek sundar aur sushil ladki thi. Ek din jab Maharaj Shekhar aur Senapati Dipak Swarndesh ki sair par nikle the tab pehli baar Senapati Dipak ko Dipali dikhi thi aur uhhe vo apni pehli nazar mei hi pasand aa gayi thi. Uske baad Senapati Dipak ne uske baremei pata kiya aur ek achha din dekh kar uske ghar aa gaye apna rishta lekar. Wahi Dipali ke mata pita ko yeh jaan kar kaafi khushi hui ke unki beti ko Senapati ne pasand kiya hai. Jaldi hi dono ki shadi bhi ho gayi aur time ke saath Dipali Maharani Suman ki kaafi achhi dost bhi ban gayi.

Aaj Senapati Dipak apne room ke bahar yaha se waha ghum rahe the. Apne room ke andar se unhe apni patni ke chillane ki aawaz aa rahi thi lekin vo abhi apne room mei jaa nahi sakte the. Kyo ki unki patni abhi un dono ke bachhe ko janam de rahi thi.

Kuch hi der baad room ke andar se ek bachhe ke rone ki aawaz sunayi dene lag gayi. Yeh aawaz sunte hi Senapati Dipak apni jagah par hi ruk gaye aur apne room ke door ko dekhne lag gaye.
Door ko open kar ke ek lady bahar aayi aur usne unhe dekh kar kaha.

“Mubarako Senapati ji aap ko beta hua hai.”

Yeh sunte hi Senapati Dipak ne apne gale mei jo gold ki chain pehni hui thi usse nikal kar us lady ko de di aur khud jaldi se apne room ke andar chale gaye.

Room mei unki patni abhi apne bed par leti hui thi aur unke side mei unka bachha tha. Senapati Dipak ki aahat par unke patni ne apni aankho ko open kiya aur Senapati Dipak ko unke bete ko dekhta paya.

Senapati Dipak halke se aage badhe aur unhone sab se pehle apni patni ke sir par pyar se haat rakha aur usse sehlane lag gaye. Unke face par khushi saaf dikh sakti thi. Unki khushi ko dekh kar unki patni bhi kaafi khush thi.

Senapati Dipak apne bachhe ko utha kar usse dekhne lag gaye. Vo bachha abhi so raha tha par uske face par ek alag hi chamak thi. Senapati Dipak jaise us bachhe ke face ko dekhne mei kahi kho se gaye the. Par jaldi hi unhe hosh aaya aur unhone us bachhe ko phir se apni patni ke side mei rakh diya.

Dono ki aankho ko khushi saaf dikh rahi thi. Senapati Dipak ne apne patni ko aaram karne ke liye kaha aur khud waha se bahar aa gaye.
Senapati Dipak ke bete ka naam Raj rakha gaya.
Par jaldi hi ek ajeeb baat sabhi ke samne aayi aur vo yeh ke Raj ke paas jaise koi bhi magical powers nahi thi.

Senapati Dipak ne is baat ko har tarah se check kiya ke kahi unse koi galti toh nahi ho rahi hai par har baar yahi result samne aaya ke Raj ke body mei Mana nahi hai.

Yeh baat Senapati Dipak ke liye kaafi badi thi. Unhone kabhi bhi yeh nahi socha tha ke koi bina Mana ke bhi paida ho sakta hai. Lekin is sab ke baad bhi unka Raj ke liye pyar kam nahi hua.
Unhone Raj ko bachpan se hi training dena start kar diya tha.

Time ke saath Raj bhi unki training ko kaafi achhe se follow karne lag gaya tha. Abhi toh vo chota tha is liye Senapati Dipak usse zyada training nahi karwate the. Par jaise jaise Raj ki age badhti gayi waise waise Raj ki training bhi badhti gayi.
Raj ke janam ko ab 12 years ho gaye the. Raj ab kaafi natkhat aur shararti ho gaya tha. Ghar mei yaha se waha bhagte rehna usse achha lagta tha. Dipali ka pura din bhi Raj ke piche bhagne mei bhi nikal jata tha. Raj jaise uski puri duniya bhi ban gaya tha.

Physical training ke saath saath Raj ko books padhna bhi achha lagta tha.

Waqt ke saath saath Raj bada hota gaya aur uski shararte bhi kam hoto gayi. Ab Dipak usse sword arts mei bhi train karne lag gaye the. Saath hi Raj ko magic ke baremei janne mei bhi kaafi dilchaspi thi.

Raj ke ghar mei magic se related book ki ek badi library thi. Agar Raj apni training nahi kar raha hota tha toh vo issi library mei hi hota tha.
Yaha Aditya bhi bada ho raha tha aur uski Raj ke saath kaafi achhi dosti thi. Dono bhi Dost kam aur bhai zyada lagte the.

Raj aur Aditya dono bhi kaafi smart the. Magic ki studies mei dono bhi apni age se aage hi chale gaye the.

Is sab mei shayad Raj Aditya se ek step aage tha.
Raj ke janam ke 15 years ke baad usse Aditya ke saath Swarndesh ke border par bane hue ek Magic School mei bhej diya gaya taki vo ek normal person ki tarah magic ki study kar sake.
Waha par kuch logo ko chod kar yeh kisi ko bhi pata nahi tha ke Aditya aur Raj unke Swarndesh ke Maharaj aur Senapati ke bete hai.

Sabhi students ki tarah hi Raj aur Aditya bhi apni normal life jine lag gaye the. Issi bich Raj aur Aditya ki ek ladki ke saath dosti hui jiska naam tha Roshni.

Roshni is school ke sab se powerful aur honhaar students mei se ek thi.

Saath hi Roshni kaafi khubsurat bhi thi. Waise toh vo zyada kisi se baat nahi karti thi par usse Raj aur Aditya ka behaviour achha laga tha jiske chalte uski aur in dono ki dosti ho gayi thi.
Waise is magic school mei Raj aur Aditya ke 2 aur dost the jinka naam tha Abhay aur Riya. Yeh dono bhi bhai behen the.

Yeh magic school Swarndesh ke northwest mei bani ek Gladstone City mei tha. Is school ka naam tha Lower Magic Academy of Flemings.
Abhi raat ka time tha aur thand bhi kaafi badh gayi thi.

Tabhi ek ladka jo apne room mei soya hua tha vo kisi wajah se uth jata hai. Uski puri body pasine se bhig gayi thi.

Yeh ladka koi aur nahi balki Aditya tha.

Abhi kuch der pehle Aditya ko kuch aisa feel hua jiske wajah se vo dar kar uth gaya tha.

Aditya jaldi se uth kar apne room ki window ki taraf aaya aur usse open kar ke vo bahar ki taraf dekhne lag gaya. Bahar raat ki wajah se kaafi andhera tha aur sirf chand ki roshni mei hi kuch kuch jagaho par dekha jaa sakta tha.

Jab Aditya ne apne room ke window ko open kiya tha tab bahar se uske room mei achhi thandi hawa aane lag gayi thi.

Abhi tak Aditya ne apne aap ko shant kar liyta tha. Usse ab yaad bhi nahi aa raha tha ke vo kiske dar ke wajah se uth kar baith gaya tha. Abhi Aditya apni window se bahar dekh hi raha tha ke tabhi usse us andheri raat mei koi kahi jata hua dikha.

Par yeh jo koi bhi tha uski speed kaafi fast thi.
Aditya ko pehle yeh kuch samajh mei nahi aaya aur vo apne room se nikal kar bahar ki taraf aane lag gaya.

Abhi Aditya jis building mei tha vo sabhi students ki building thi jaha par is academy ke sabhi studenst rehte the.

Aditya apne room se nikal kar corridor mei aaya aur building ke bahar ki taraf jaane lag gaya.
Abhi vo bahar aaya hi tha ke tabhi usse kisi ne ek andheri jagah mei khinch liya.

Jab Aditya ne piche mud kar dekha toh usse apne piche Raj dikha jo kuch dara hua bhi dikh raha tha.

Raj ko aise dara hua dekh kar usne usse pucha.

Aditya-Kya baat hai Raj tum aise dare hue kyo lag rahe ho aur tumne mujhe aisi andheri jagah mei kyo khinch liya hai ?

Aditya ke sawal par Raj ne dhire se kaha.

Raj-Yaha par Dark Elves ne attack kar diya hai aur almost sabhi teachers ko bhi maar diya hai. Lekin unhone abhi tak kisi bhi student ko nahi mara hai. Hame jaldi se yeh baat sabhi ko batani hogi aur yaha se nikalna hoga. Nahi toh ham sabhi bhi maare jayenge.

Raj ki baat sunkar Aditya bhi dar gaya tha aur phir Raj ne ishare se hi usse ek jagah dekhne ko kaha. Jab Aditya ne su taraf dekha tab usse kuch hi distance par kuch jhadiya dikhi aur unhe unke academy ke teachers ki dead bodies padi hui thi.
Dark Elves ek aisi lifeform thi jo Humans, Elves aur Beast Humans ke dushman the. Vo dikhne mei toh elves jaise hi the par vo dark magic ko use karte the. Yeh sabhi Dark Elves is planet ke sab se thandi jagaho par rehte the.

In Dark Elves ko is planet par raaj karna tha aur is wajah se inki aur baki sabhi lifeforms ki kaafi bar war hui thi. Un sabhi wars mei Dark Elves haarte hi aaye the. Is liye unhone is baar sab se pehle Humans ko apna target banaya tha.

Raj aur Aditya chupke se us andheri jagah se bahar aate hai aur jaldi se apne building ke andar chale jaate hai.

Dono bhi upar ki taraf bhag rahe the taki vo building ke upar jaa kar academy ko achhe se dekh sake. Saath hi unhe yeh bhi pata karna tha ke sabhi Dark Elves ki position kya hai.

Aditya ne Raj ke saath bhagte hue usse pucha.

Aditya-Raj tum kab bahar aaye the ?

Is par Raj ne kaha.

Raj-Mein soya hi kab tha. Na jaane aaj mujhe neend hi nahi aa rahi thi, baar baar aisa feel ho raha tha jaise kuch bura hone wala hai. Is wajah se mein apni room se bahar aaya aur bahar ke garden mei kuch walk karne ke baremei sochne laga. Par jab mei bahar aaya tab mein ne kisi ko bahar ki taraf jaate hue dekha aur uske piche chala gaya. Wahi par mujhe Dark Elves dikhe par unhone jo person bahar jaa raha tha usne un Dark Elves ke haato mei kuch diya. Mein us person ko dekh nahi paya kyo ki usne apne upar ek chadar le kar rakhi thi. Uske baad un Dark Elves ne almost sabhi teachers ko maar diya.

Jaldi hi Raj aur Aditya building ke terrace par aa gaye aur waha se niche dekhne lag gaye.

Chand ki roshni mei unhe kuch had tak dikh raha tha. Jab unki nazar unke samne ke building samne wale garden mei gayi tab waha ka nazara dekh kar dono bhi shock ho gaye the. Kyo ki waha par is academy ke principle ki dead body giri hui thi.

Raj aur Aditya ne har taraf dekha lekin chand ki roshni kaafi kam hone ki wajah se unhe zyada kuch nahi dikh paya. Par ab unhe yeh samajh mej aa gaya tha ke ab Dark Elves ab unki hi taraf aane wale hai.

Unke aane se pehle unhe kuch na kuch karna tha nahi toh aaj vo bhi in sabhi ke tarah mare jaane wale the.

Is duniya mei agar sab se dangerous koi tha toh uska naam tha Arindam. Jise sabhi King of Darkness kehte the.

Yeh abhi tak kisi ko bhi pata nahi tha ke vo is planet par kaha rehta hai aur kaha hai. Par uske baremek har kisi ne soon rakha hua tha. Uska dar logo mei is had tak tha ke koi bhi uska naam bhi nahi lena chahta tha.

Arindam ek Demi-god tha. Vo Dark Army ke Overlord mei se ek tha.

Raj aur Aditya ke paas kaafi Kam time tha aur unhe jo bhi karna tha jaldi se jaldi karna tha. Nahi toh vo in duniya mei aankhri saans lene wale the.
Raj aur Aditya dono bhi terrace se niche aa gaye aur dono ne ek dusre ko dekha.

Raj ne Aditya se kaha.

Raj-Hame jaldi se jaldi sabhi students ko jaga kar unhe is sab ke baremei batana hoga.

Aditya-Tum sahi keh rahe ho. Ham abhi utne kaabil nahi hai ke ham akele Dark Elves ka samna kar sake. Hame sabhi ko utha kar hame city ke bell tower ki taraf jana hoga. Ek baar ham us bell tower ke bell ko baja dete hai toh Gladstone City ke sabhi logo ko pata chal jayega ke yaha par kya hua hai.

Is par Raj ne kaha.

Raj-Thik hai. Mein Roshni ke wing ki taraf jata hu tum Abhay aur Riya ke wing ki taraf jao. Hamare paas time kam aur yeh sab kuch hame chupke se karna hoga.

Raj ki baat sunkar Aditya ne apne sir ko haan mei hilaya aur waha se chala gaya. Wahi Raj bhi Roshni ko wing ki taraf chala gaya.

Raj aur Aditya jis building mei rehte the vo Roshni, Abhay aur Riya ke building se alag thi. Raj aur Aditya chup ke se apne building se nikal jaate hai apne dosto ko bachane ke liye.

Abhay aur Riya ki building Aditya ke side par thi. Is liye vo jaldi hi unke building ke andar chala gaya tha. Wahi Raj abhi bhi chup kar Roshni ki building ki taraf jaa raha tha.

Abhi Raj andhere ke help se aage badh raha tha ke usse kisi ke waha par aane ki aahat sunayi di.
Raj jaldi hi paas ke jhadiyon mei chup gaya aur dekhne lag gaya ke koun aa raha hai.

Dekhte hi dekhte andhere mei se 2 Dark Elves aaye aur apne aaspas dekhne lag gaye. Un dono mei se ek ne dusre se kaha.

“Mein ne suna hai ke yaha par is academy ke sabhi students rehte hai. Toh hamne unhe abhi tak mara kyo nahi hai ?”

Is par dusre Dark Elves ne kaha.

“Yaha par sabhi young humans hai. Unhe ham sabhi last mei marne wale hai. Taki ham jo sacrifice karne wale hai uski power badha sake. Jab ham is Gladstone City mei rehne wale jo kuch 150,000 ke aaspas log hai unhe sacrifice karne ke baad hamare Dark Elves ki Goddess Spider Queen Lolth ham sabhi ko blessing degi. Iske baad ham sabhi Dark Elves is planet par sab se powerful ho jayenge.”

Yeh sunkar pehle wale Dark Elf ne kaha.

“Tum sahi keh rahe ho. Lekin hame jaldi se jaldi portal tower ko activate karna hoga. Taki hamari Dark Elves ki army jo city ke bahar hai vo city ke andar aa sake.”

Yeh keh kar vo dono bhi Dark Elves waha se chale gaye.

Wahi Raj ne un dono Dark Elves ke muu se hi unke plan ko soon liya tha. Ab vo kisi bhi kimat par der nahi kar sakta tha.

Raj kuch der wahi jhadiyon mei ruka raha aur dekhne laga ke kahi koi waha par aa toh nahi raha hai aur phir se vo Roshni ke wing ki taraf chala gaya.

Jaldi hi Raj bhi Roshni ke wing mei aa gaya tha aur jaldi jaldi vo Roshnin ke room ki taraf jaane lag gaya.

Par abhi vo upar jaa hi raha tha ke tabhi vo ek room ke samne ruk gaya.

Yeh room ek special room tha. Yaha par academy ke sabhi gadgest, books aur Mana Potions rakhe hue the.

Raj apne aaspas dekhta hai aur jaldi se us room mei chala jata hai.

Andar aane ke baad Raj ne ek cabinet ko open kiya jiske andar kuch magical bands the.

In bands ko fine gold aur purple copper se banaya hua tha. Iske wajah se vo halke purple colour ke the. Un band spar magical runes bane hue the. Runes hi un magical bands mei magic ko flow karte the. Is liye vo magical bands silver light ke saath chamak rahe the. Saath hi us light ke wajah se vo kaffi khubsurat bhi dikh rahe the.

In bands ko The Bands of Protection kaha jata tha.

Yeh sirf Level 2 ke barrier ko activate kar sakte the.

In bands ko is academy ke ek mage ne banaya hua tha aur usse apne is kaam par kaafi proud feel hota tha.

Kyo ki ab jab Raj ne Dark Elves ke muu se hi unke plan ke baremei soon liya tha toh usse is sab ke baremei Aditya ko batana kaafi zaruri tha.

Un bands ko dekh kar Raj ne apne aap se kaha.
Raj-In bands ko ek baar hi use kiya jaa sakta hai. Par abhi ke liye yeh hame kaafi hai.

Raj ko jin bhi chizo ko zarurat thi vo usse sab issi room mei mil gayi thi.

Us room se nikal kar Raj phir se Roshni ke room ki taraf badh gaya.


Raj jaldi jaldi 2nd floor par gaya jaha par Roshni ka room tha. Usne apne aaspas dekha ke koi usse dekh toh nahi raha hai aur uske baad hi Raj ne Roshni ke room ke door ko halke se knock kiya.

Jab kuch der baad bhi Roshni ne door open nahi kiya toh Raj ne apne saath us room se extra key lekar aaya hua tha unhe nikal kar Roshni ke room ki keys ko dhundne lag gaya. Jaise hi usse Roshni ke room ki keys mili waise hi usne us key ki help se Roshni ke room ke door ko open kiya.
Door ko halke se open kar ke Raj room ke andar chala gaya aur apne piche halke se door ko close bhi kar diya.

Uske baad Raj ne palat kar room ko dekha.
Yeh room kaafi open tha. Ek bada sa bed chod kar yaha par zyada kuch furniture nahi tha. Waha par ek bade se mirror ke samne ek book ko open kar ke rakha hua tha. Saath hi uske side mei ek bread ka piece bhi rakha hua tha. Shayad Roshni ne usse half khaa liya tha.
Roshni abhi apne bed par ek blanket ko lekar gehri neend mei soyi hui thi. Kyo ki winter ka season chal raha tha is liye usne apne aap ko tightly blanket ke andar dhak liya tha.

Yeh ek bada difference tha nobles aur ordinary logo ke bich. Aditya aur Raj dono bhi Maharaj aur Senapati ke bete the is liye unke room mei sab kuch achha tha. Wahi Roshni ko apne test mei sab se high performance par yaha aayi hui thi uske paas aisa kuch bhi nahi tha. Raj ko kabhi bhi yeh baat achhi nahi lagi thi. Par vo apne aur Aditya ke secret ko aise hi open nahi kar sakta tha. Is wajah se vo hamesha hi chup rehta tha.

Raj slowly Roshni ke paas aaya aur usse uthane lag gaya.

Raj-Roshni, Roshni utho !

Raj Roshni jo gehri neend mei soyi hui thi usse hila kar uthane lag gaya.

Phele toh Roshni nahi uthi par jab Raj ne usse zor se hilaya tab vo jaldi se uth kar baith gayi aur Raj ko dekhne lag gayi.

Usne Raj ko apne room mei dekha aur usse shock hote hue pucha.

Roshni-Raj ! Tum is time par yaha kya kar rahe ho ?

Raj-Hamare paas zyada time nahi hai. Hame abhi yaha ke sabhi students ko utha kar yaha se nikalna hoga. Hamare academy par Dark Elves ne attack kar diya hai aur unhone sabhi teachers ko bhi pehle hi maar diya hai.

Raj ki baat ko sunkar Roshni kaafi dar gayi. Usse pata tha ke Dark Elves kitne dangerous type ke lifeforms the aur is planet par puri tarah se darkness lana chahte the.

Roshni jaldi se uth gayi aur usne apne side mei rakhe hue dress mei se ek normal dress ko pehen liya. Tab tak Raj bhi window se bahar Dark Elves ke moments ko dekhne ki koshish karne lag gaya.

Jab Roshni ready ho kar bahar aayi tab vo aur Raj jaldi se apne room mei se nikal kar waha ke sabhi students ko yeh batane ke liye chale gaye.
Pehle toh unki baat par koi bhi trust nahi kar paa raha tha lekin jab Raj ne sabhi ko apne room ke windows ko open kar ke dekhne ke liye kaha tab un sabhi ko garden mei jo Principle ki dead body padi hui thi vo dikh gayi.


Iske baad sabhi koi bhi aawaz kiye bina apne wing se nikalne lag gaye. Dusre wing se Aditya, Abhay aur Riya bhi bahar aa gaye the.

Abhi tak toh unhe waha par koi bhi Dark Elf nazar nahi aaya tha.

Aditya se milne ke baad Raj ne usse Dark Elves ke plan ke baremei bata diya tha.

Isse sunkar Aditya ne Raj se kaha.

Aditya-Agar tum jo keh rahe ho vo sahi hai toh yeh kaafi badi baat hai aur abhi ham mei se koi bhi utna powerful nahi hai ke vo itne saare Dark Elves ka samna kar sake. Agar ham yaha se nikal kar Old City ki taraf jaate hai toh waha par ek Military Intelligence ka base hai. Agar ham sahi time par waha pohoch paaye toh ham yeh sab rok sakte hai. Lekin hame sab se pehle us portal tower ka kuch karna hoga nahi toh Dark Elves ki army uski help se yaha aa jayegi aur phir kuch bhi nahi bachega.

Raj bhi Aditya ki baat ko sunkar serious ho gaya tha. Tabhi usne apne pant ki pocket se sabhi magic bands nikaale aur unhe Roshni, Aditya, Abhay aur Riya ko pehen ne ke liye de diya. Uske baad Raj ne Aditya ko dekha aur usse kaha.
Raj-Dekho Aditya tum is Swarndesh ke prince ho aur mere baba is Swarndesh ke Senapati hai. Aise mei ab yeh responsibility ham dono par aa gayi hai aur ab hame hi mil kar kuch karna hoga. Mujhe lagta hai ke agar ham charo milkar kaam karte hai toh ham us portal tower ko destroy kar sakte hai. Par usse pehle hame sabhi students ko us portal tower ki help se yaha se dur bhejna hoga.

Raj ki baat ko sunkar Aditya kuch der sochne laga aur phir kuch der baad usne Raj ki baat ko apne sir ko haan mei hilakar support kiya.

Iske baad Raj aur Aditya sabhi students ko small smaal groups mei devide kar dete hai. Taki unpar kisi bhi Dark Elf ki nazar na jaa sake.

Raj yeh dekh kar hi bata sakta tha ke yaha par jo Dark Elves aaye hue hai vo elites aur kaafi powerful hai.

Unke jaise bachhe abhi itne powerful opponent ka samna nahi kar sakte the.

Sabhi students raak ke andhere mei portal tower ki taraf badhne lag gaye.

Jab sabhi students academy ke garden mei aaye toh unhe waha par ek Dark Elf khada dikha jo shayad kisi ka wait kar raha tha.

Aditya ne sabhi ko haat se rukne ka ishara kiya.


Abhi Aditya kaafi shant dikh raha tha.
 
Top