Update 2
Khel.
Kyo ki Aditya magic ko use kar sakta tha is liye usne abhi tak kuch small spells ko seekh liya tha jaise Fireball.
Aditya andhere se nikal kar bahar ki taraf aata hai aur us Dark Elf ke samne kuch hi distance par khada ho jata hai.
Jab us Dark Elf ne Aditya ko aise apne samne dekha toh vo kuch surprise hua par jaldi hi usne apne aap ko sambhala aur apne haato mei ko bow and arrow tha use Aditya ki taraf aim kiya. Pal bhar mei bhi usne Aditya ke sir ko target karte hue us arrow ko release kar diya.
Apne taraf aate hue arrow ko dekh kar Aditya ne apne haat ko upar uthaya aur usse apni taraf aane wale arrow ki taraf karte hue apne haat se ek fireball ko release kar diya.
Ek small marble ke size ka fireball Aditya ke haato se nikal kar us Dark Elf ke chode hue arrow ki taraf jaane lag gaya.
Aditya ke spellcasting ko dekh kar us Dark Elf ne apne aap se kaha.
“Tumhari spellcasting itni bhi buri nahi hai. Par koi idiot hi ho sakta hai jo ek anti-magic arrow ko magic se rokne ki koshish kar sakta hai.”
Agle hi pal vo arrow aur vo fireball dono bhi ek dusre ke paas se guzar gaye. Un dono ke bich ka distance kuch centimetres ka hi tha.
Aditya aur vo Dark Elf yeh dekh rahe the ke us arrow ka tip aur vo fireball ek dusre ke side se guzar rahe hai. Jaise hi us arrow ka pichla part aur fireball paas mei aaye waise hi vo fireball explode ho gaya.
Boom!
Hawa mei ek halka sa blast hua. Yeh blast utna loud nahi tha wahi us blast ki wajah se us arrow ke aaspas ki hawa expand ho gayi thi jiske wajah se vo har direction mie fail gayi. Iske wajah se vo arrow bhi dusri jagah par chala gaya.
Is academy ke teachers aur students ke saath fight karne ke liye Dark Elves ne anti-magic weapons ko use karna sahi samjha tha. Is wajah se unhe apne magic ko zyada use nahi karna pad sakta tha. Agar koi bada khatra unki taraf aata hai toh vo apne magic aur in anti-magic weapons ke saath us khatre ka samna kar sakte the.
Yaha agar Aditya apne fireball ko directly us arrow ki taraf fire karta toh vo arrow us fireball ko destroy karte hue aage badh jata.
Yeh karne ke bajaye Aditya ne fireball ke explosion ke force ko use kar ke us arrow ke direction ko change kar diya.
Vo arrow aa kar Aditya ke 7 inch side mei gir gaya.
“Huh?”
Vo Dark Elf apne aim ko aise miss hota hua dekh kar kuch surpise hua.
Usne jaldi se ek aur arrow ko load kiya.
Lekin Raj ab us Dark Elf ko koi chance nahi dena chahta tha. Usne Abhay ki taraf dekh kar usse ishara kiya.
Jaise hi Abhay ko Raj ka ishara mila waise hi Abhay ne bhi ek small spell ko cast kar diya.
Earth Spike!
Agar koi is spell ko cast karta hai toh is spell ke wajah se ground mei se solid stone ke spikes nikalte hai jinki height 2 feet tak hoti thi.
Jaise us fireball ke baremei us Dark Elf ko jaldi pata nahi chal paya waise hi uske pairo ke niche se upar aane wale earth spikes ke baremei bhi usse pata nahi chal paya. Us Dark Elf ke saath abhi ek aur baat buri yeh hui ke usne abhi light sole ke shoes pehne hue the. V almost puri tarah se unprotected tha.
Earth Spikes ground se nikal kar us Dark Elf ke ankle mei ghus gaye aur uske pairo ke upar aane lag gaye.
Iske wajah se hone wale pain ko sirf wahi feel kar sakta tha jo is sab se guzar raha ho.
“Ahh!”
Ek Dark Elf warrior jo kaafi extensive aur formidable training se guzra hua tha vo bhi iske pain ko jhel nahi paya. Vo kuch kuch chillate hue piche ki taraf girne lag gaya.
Tabhi ek aur Earth Spike ground mei se nikal kar bahar aaya.
Us Earth Spike ki timing itni perfect thi ke jaise Raj ko pehle se hi pata tha ke Dark Elf kaise react karne wala hai. Usne Abhay ko pehel hi ishare se yeh bata diya tha ke dusra Earth Spike kaha par cast karna hai. Vo Earth Spike su Dark Elf ke back ki taraf badh raha tha.
Jaise hi vo Dark Elf us Earth Spike ke upar gira waise hi vo bina koi aawaz kiye mar gaya.
Jab unhe laga ke unke samne jo dark elf hai vo puri tarah se mar gaya hai tabhi Raj aur Aditya ne baki students ko bahar aane ke liye kaha.
Jab sabhi students bahar aaye tab Aditya ke kehne par jinhe bhi Lesser Invisibility ki spell aati thi unhe apne aur apne aaspas ke sabhi students par cast karne ke liye kaha.
Yeh ek basic spell thi jo user ke aaspas ke darkness ko use kar ke usse kuch had tak invisible kar deti thi. Par is spell ka use karne ke baad user ko andhere mei hi rehna padta trha. Agar user kisi light wale area mei chala jata hai toh yeh spell work karna band kar deti hai.
Roshni ne bhi khud par aur Raj par is spell ko cast kiya.
Ab sabhi students darkness ki help se portal tower ki taraf badhne lag gaye the.
Jab vo garden wale area mei aaye tab unhe unke teachers ki kuch dead bodies dikhi.
Har ek student ki aankho mei abhi aansu aa gaye the. Jab unhone apne teachers ko is halat mei dekha.
Raj ne phir sabhi ko chalne ka ishara kiya.
Jaise hi vo sabhi kuch aage gaye unhe unki young aur khubsurat teacher Vera dikhi jo wahi par giri hui thi. Usne abhi ek night dress pehna hua tha aur shayad uspar bhi kisi Dark Elf ne attack kiya hua tha.
Us Dark Elf par uski khubsurati ka bhi koi effect nahi hua tha aur us dark elf ne apne knife ko Vera ke pet mei ghusa diya tha. Uske baad us dark elf ne waise hi Vera ke body ko garden mei phek diya tha. Lekin Vera ki kismet shayad achhi thi is liye abhi bhi uski saanse chal rahi thi. Par uski injury se abhi bhi blood nikal raha tha.
Jab Vera ko kisi ke aane ki aahat hui toh usne halke se apni aankho ko open kiya aur apne samne dekhne lag gayi.
Uske samne uske sabhi students khade the.
Raj aur Aditya jaldi se Vera ke paas aaye aur usse check karne lag gaye.
Jab un dono ko laga ke Vera ko bachaya jaa sakta hai toh Aditya ne Riya ko bulaya jo kuch had tak healing magic ko cast kar sakti thi.
Riya ne jaldi se Lesser Healing ki spell ko cast kiya aur Vera ke blood ko rok diya.
Sabhi students ne jaise taise Vera ko us garden se bahar laya . Tabhi unhe aur bhi kuch dark elves aaspas ghumte hue dikhe.
Jaldi hi Raj ne sabhi ko ishara kiya aur uske ishare ko dekh kar sabhi students andhre mei chup gaye.
Kuch der yaha waha ghumne ke baad vo dark elves waha se chale gaye.
Raj aur baki sabhi students ab darkness mei se hi aage badhne lag gaye the.
Jaldi hi sabhi ke samne portal tower aa gaya tha.
Portal tower ko build karna kaafi expensive hota tha. Ek small portal tower kisi bhi object ko 300 miles ke distance tak bhej sakta tha. Lekin iske baad bhi si small portal tower ko build karne ke liye 10,000 ke uapr gold coins ka use hua tha. Yeh amount Gladstone City ke half tax ki amount thi.
Yeh building kaafi costly thi par kaafi useful bhi thi. Yeh koi treasure nahi balki information ke transportation ke liye banayi gayi thi.
Issi wajah se yeh portal power dark elves ke liye bhi important tha. Raj portal tower ke samne 3 dark elves warriors ko dekh sakta tha jo waha par khade the. Agar unhe yaha se nikalna hai toh unhe in sabhi dark elves ko harana hoga.
Yeh tino dark elves is portal tower ko kuch bhi hone se bachane ke liye the. Agar Raj sahi hai toh yeh dark elves apne mage ka wait kar rahe the jo si portal tower ko activate kar sakta tha. Vo dark elf mage city ki bahar khadi dark elves army ko yaha ke halat ki report dega jiske baad dark elves ki army Gladstone City par attack kar degi.
In 3 dark elves warriors mei se ek warrior ne apne haato mei ek shield ko pakad kar rakha hua tha jispar runes bane hue the. Us warrior ne apne aap ko prui tarah se anti magic armour mei cover kar liya tha. Even uska face bhi nahi dikh paa raha tha.
Raj aur Aditya ko yeh dekhte hi pata chal gaya tha ke yeh warrior kaafi strong hai. Isse kisi bhi normal trick se haraya nahi jaa sakta tha.
Uske saath jo 2 aur dark elves the vo Raj aur Aditya ko itne powerful nahi lag rahe the. Lekin vo armoured warrior un sabhi ke liye bada khatra ban sakta tha.
Raj ne jaldi se Aditya aur Abhay ko apne paas aaane ke liye kaha.
Jab vo dono bhi Raj ke paas aaye tab usne unhe kaha.
Raj-Mein bahar jaa kar un sabhi dark elves ka dhyan apni taraf khinch leta hu. Tum dono bas mere ishare ko dekhte rehna aur ishara milte hi apne magic ko use karna.
Raj ki baat ko sunkar Aditya aur Abhay dono bhi usse mana karne wale the par Raj ne un dono ki baat ko bich mei hi kaat kar rok diya.
Uske baad Raj un jhadiyo mei se bahar aa gaya.
Chand ki roshni mei usne un dark elves ko dekhte hue kaha.
Raj-Aye dark elves tum yaha par kya kar rahe ho ?
Raj ki aawaz unchi nahi thi par un tino dark elves ne uski aawaz ko clearly soon liya tha. Un tino ne apne sir ko ghuma kar Raj ko apne red aankho se dekhne lag gaye.
Ek young ladke ko kahi se unke samne dekh kar tino bhi dark elves kuch confuse se ho gaye the.
Sahi mayne mei unka Operation Magic Academy kaafi ache se chal raha tha. Academy ke students abhi young the aur magic ko abhi ache se use nahi kar sakte the. Is liye sabhi dark elves ne in students ko sacrifice ke last part ke liye rakha hua tha.
Wahi in tino dark elves mei se jisne armour pehna hua tha uska naam Jiggs tha. Jiggs ek Level 3 ka Mage Warrior tha. Usse kaafi saari battle skills aati thi. Upar se vo puri tarah se ek anti magic armour se cover tha. Aise mei uspar kisi bhi spell ka koi bhi effect nahi ho sakta tha.
Jab Jiggs ne kisi ki aawaz suni toh usse laga ke koi teacher unke haato se bacha hua hai aur ab unki taraf aaya hai un sabhi se fight karne ke liye. Lekin jab usne apne samne Raj ko dekha toh vo kaafi nirash sa ho gaya.
Jo mage is portal tower ko guard kar raha tha at least usne Jiggs par ek Level 4 ki spell ko cast kiya tha jise Jiggs ne ek charge, ek shield strike aura pen sword k eek single strike se us mage ko maar diya tha.
Jiggs ke liye yeh kaafi distressful tha.
Ek Mage Warrior jisse ache se fight bhi na karna aata ho uske saath fight karne mei koi bhi dischaspi nahi rakhta tha.
Jiggs ke samne ko ladka khada tha vo abhi bhi apni teenage mei trha. Upar se Jiggs yeh dekh kar hi bata sakta tha ke uske samne jo ladka khada hai vo is academy ka koi student hai. Lekin Jiggs ne is portal tower ke guard ko kaafi ache se handle kar liya that oh vo ek ladke ko kaise na handle kar pata ?
Is wajah se Jiggs ne jaldi koi action nahi liya aur Raj ko ache se dekha aur phir haste hue kaha.
“Young ladke kuch din ke magic aur training kar ke tum khud ko powerful samajh rahe ho ? Is gire hue guard ko dekho jo tumhari age se bhi zyada time se ek Mage Warrior tha lekin phir bhi mara gaya.”
Yeh keh kar Jiggs ne us guard ke dead body ko ek kick maari aur vo jaa ka Raj ke samne gir gayi. Jab Raj ne us dead body ko dekha toh usne usse jaldi se pehchan liya tha. Yeh dead body Master Feal ki thi. Vo ke 50 years ke person the aur unke paas 30 years tak ke Mage warrior hone ka experience tha.
Raj-Kisi bhi person ki strength uske magic power par depend nahi karti hai balki us par depend karti hai ke usne magic ko study kaise kiya hua hai. Kya hai, talent ka hona bhi toh kaafi important hai. Tum sabhi dark elves ko mein dikhata hu ke real Mage Warriors kaise fight karte hai.
Raj ki aawaz kaafi cold aur calm thi. Jaise hi Raj ne apni baat puri ki waise hi usne apne ek pair ko niche ground par tap kiya. Yeh vo dark elves notice nahi par paaye par Raj ke friends ko uska ishara mil gaya tha.
Jiggs ne Raj ko dekhte hue kaha.
“Agar aisi baat hai toh mein bhi tumhara yeh talent.”
Yeh keh kar Jiggs ne apne saath ko order kiya.
“Sherman jao aur mere liye is ladke ka sir kaat kar laao.”
Us par Sherman ne kaha.
“Jaisa aap kahe!”
Yeh keh kar vo dark elf warrior Sherman Jiggs ke haato se uski shield lekar Raj ki taraf badh gaya. Jab vo Raj se kuch 20 steps ki distance par tha tab usne us shield ko apne samne kiya aur Raj ki taraf speed se badhne lag gaya. Saath hi usne apne battle skill ko charge kiya.
Lesser Charge!
Is battle skill ko dark elves apne breathing technique ke saath use karte the. Isse unki body mei kaafi explosive strength aati thi. Lekin yeh strength kaafi kam time ke liye body mei reh paati thi is liye is battle skill ko use karne ke baad dark elves ko jaldi se apne opponent ko harana padta tha.
Waise bhi dark elves ki physical quality kisi bhi human Mage Warrior se kaafi achhi hoti thi. Is wajah se unki speed bhi kisi human Mage Warrior se kaafi thi aur ab jab Sherman ne jab apni battle skill Lesser Charge ko use kiya tab uski speed aur bhi badh gayi thi.
Yeh skill dark elves kisi bhi normal Mage Warrior ke against use karte the. Upar se Sherman ke haato mei Jiggs ki anti magic shield thi toh uspar kisi bhi magic spell ka effect nahi ho sakta tha. Agar Sherman Raj ke paas pohoch jata hai toh vo Raj ke sir ko sirf apne single strike se cut kar sakta tha.
Haan, single strike se hi.
Andhre mei se sabhi students us dark elf ko Raj ki taraf speed se aate hue dekh rahe the. Wahi Aditya aur Abhay bhi apne spell ko cast karne ke liye ready the bas vo dark elf sahi jagah par aana baki reh gaya tha.
Raj ne phir se apne pair ko ground par tap kiya aur uska ishara milte hi Abhay ne apne spell ko cast kar liya tha.
Is wajah se vo dark elf warrior Sherman Raj ke paas bhi nahi aa paya tha.
Jaise hi dark elf ne half distance ko pura kiya waise hi uski speed apne top par aa gayi thi lekin uske saath hi uske steps jaise aage badhne ke liye struggle karne lag gaye the. Ground par uske footprints kaafi deep hone lag gaye the. Is wajah se usse aage badhne mei problem hone lag gayi thi.
Raj se kuch 5 steps ke distance par aa kar us dark elf ke pairo ke niche jo solid ground tha vo ab soft ho gaya tha. Is wajah se vo dark elf warrior wahi par ruk gaya.
Naa sirf vo aage badh paa raha tha balki vo jis strength ko use kar kea age badh raha tha uske wajah se uske pair puri tarah se grpund mei dhas gaye the.
Sherman kisi lightning ki speed se Raj ki taraf aa raha tha. Lekin jab uska pair ground mei dhas gaya tab waha par jaise kuch break hone ki aawaz aayi thi. Yeh kuch aur nahi Sherman ke pelvic bone ke break hone ki aawaz thi.
Lekin isse bhi bura hona abhi baaki tha. Kuch palo pehle jo ground soft tha vo agle hi pal mei phir se solid ho gaya tha
“Ahhhh!”
Jis speed se Sherman aage badh raha tha uske wajah se uska pelvoc bone break hua tha uske wajah se usse kaafi pain hone lag gaya tha aur vo pure zor ke saath chillaya tha. Koi bhi uske aawaz mei jo pain tha usse ache se feel kar sakta tha.
Kuch der chillane ke baad vo dark elf warrior shant ho gaya aur usne apne sir ko ek taraf jhuka diya. Vo dark elf warrior usse hone wale pain ki wajah se behosh ho gaya tha.
Ek dark elf warrior Sherman ek simple spell se haar gaya tha.
Abhay ne jis spell ko use kiya tha usse Mud Mash kehte the.
Isse jis jagah par bhi cast kiya gaya ho vo jagah soft ho jaati thi.
Yeh sab dekh kar Jiggs ab Raj ko seriously lene lag gaya tha. Usne toh Raj ko spell bhi cast karte hue nah dekha tha.
“Ladke, ab tumne mujhe gussa dila diya hai.”
Sherman ki halat dekh kar Jiggs ko Raj par gussa aa gaya tha. Usne yeh baat Raj se kaafi cold tone mei kahi thi.
Jiggs ke samne jo ladka khada tha vo uski nazar mei ek Low Level Mage Warrior tha. Usne Sherman ko apni strength se nahi balki trick se haraya tha.
Par ab Jiggs kaafi serious ho gaya tha.
Usne apne waist par lagi hui sword nikali aur apne side mei khade dusre saathi se kaha.
“Terry is portal tower ko guard karo. Mein isse dekhta hu.”
“Yes Commander.”
Terry ne yeh baat kuch zor se kahi thi.Usse pata tha ke Jiggs kisi bhi Low Level Mage Warrior ke against kisi ko saath lekar nahi attack karega. Vo ek prideful warrior tha.
Jiggs ne apne haat ko wave kiya aur Serman ke haato mei uski jo shield thi vo uske haato mei aa gayi thi.
Jiggs ki shield ab halke white light se glow hone lag gayi thi. Yeh ek warrior ka aura tha jo ek Level 3 Mage Warrior hi release kar sakta tha.
Jiggs slowly Raj ki taraf apne haato mei jo sword thi usse ghumate hue aane lag gaya. Vo Raj ki taraf is tarah se badh raha tha jaise vo kisi garden mei chal raha ho.
Raj ne phir se apne pair ko ground par tap kiya. Is baar yeh ishara Aditya ke liye tha.
Jaise hi Aditya ko uska ishara mila waise Aditya ne Fireball ko cast kiya.
Fireball!
Aditya ke spell cast karte hi uske haat mei se ek white marble ke size ka fireball nikal kar speed se Jiggs ki taraf badhne lag gaya tha.
Suddenly aaye hue us fireball ko dekh kar Jiggs surprise zarur hua tha par jaldi hhi uske apni shield ko apne samne kar diya. Ek small bang ke saath vo fireball jaa kar Jiggs ke shield ko laga aur destroy ho gaya. Us fireball ki wajah se Jiggs ke shield par ek scratch tak nahi aaya tha. Even vo fireball Jiggs ke shield ke white glow tak ko kam nahi kar paya tha.
Waise bhi Aditya ka fireball kaafi weak tha. Ek aise fireball se ek Level 3 Mage Warrior khud ko easily bacha sakta sakta tha.
Jiggs ne aise show kiya ke usse pata chal gaya hai ke Raj ke mind mei kya chal raha hai. Usne Raj ko dekha aur kaha.
“Agar tum aur tumhare friends aise spells se attack karne wale hai toh tumhe struggle karne ki zarurat nahi hai. Tum sabhi ko bas apne gardan ko samne karna hai aur mei uske upar se apni sword ghuma dunga.”
Ji haan, ek Level 3 Mage Warrior hone ke wajah se Jiggs ko pehle hi Raj aur baki sabhi students ko sense kar liya tha. Puri tarah se anti magic armour mei cover hone ke wajah se Jiggs jaise unbeatable ho gaya tha. Jaise koi tank ho.
Jiggs ki baat sunkar Raj surprise hua tha par jab usse yaad aaya ke Jiggs ke high level warrior hai toh uske liye Raj aur baki sabhi students ko sense kar pana kaafi easy tha.
Jiggs ki baat sunkar Raj ne usse dekhte hue kaha.
Raj-Aditya, Abhay bahar aao.
Raj ki baat sunkar Aditya aur Abhay bahar aaye aur dono bhi uske ek ek side mei aa kar khade ho gaye.
Aditya aur Abhay dono bhi attack karne ke liye ready the.
Tabhi Raj ne kaha.
Raj-Aditya abhi..!
Jaise hi Raj ne yeh kaha waise hi Aditya ne ek hi pal mei 9 fireballs ko cast kiya.
Aditya ki spell casting ki speed dekh kar Jiggs bhi kuch surprise ho gaya tha. Kyo ki Aditya ne in fireballs ko sirf 1 ya 2 seconds ke andar hi cast kar liya tha.
Ek ke piche ek sabhi fireballs aage badh gaye. Har ek ki flying trajectory kaafi alag thi. Kuch random pattern mei ghum rahe the par un sabhi ka destination ek hi tha aur vo tha Jiggs.
Vo sabhi fireballs aa kar Jiggs ke different different areas par aa kar land ho gaye. Kuch Jiggs ke chest par toh kuch ghum kar uske back aur gardan ke bich jo helmet ka part thaw aha par land hue. Kuch toh us jagha par jaa kar land hue jo helmet mei aankho se dekhne ke liye hoti hai.
Boom!
Boom!
Boom!
Boom!
Vo sabhi fireballs ek ke baad ek balst hone lag gaye. Uske wajah se flames ka kuch part Jiggs ko hurt karne mei successful ho gaya tha.
“Damm it, tum sabhi ke in small tricks ne mere patient ko end kar diya hai.”
Jiggs ne yeh baat kuch kuch gusse mei chillate hue kaha tha. Usse jo fireballs hit kiye the vo sabhi weak zarur the par un sabhi ne Jiggs ko hurt zarur kiya tha.
Sherman ke saath jo hua vo Jiggs pehle jo dekh chuka tha is liye vo gusse mei aage nahi badhna chahta tha. Balki vo Raj, Aditya aur Abhay ki taraf halki halki jog karte hue jaane lag gaya.
Raj ne Aditya ko dekh kar phir se ishara kiya.
Uski ishare par Aditya ne phir se 9 fireballs ko cast kiya jo phir se random pattern mei travel karte hue Jiggs par jaa lag gaye.
Jiggs ne apna sabak seekh liya tha. Usne apne shield ko apne samne kiya aur samne se aane wale fireballs se usne khud ko bacha liya.
Un fireballs ki power limited thi. Even agar vo fireballs aa kar Jiggs ke body parts ko lag bhi jaate toh bhi uski body uske aura ke wajah se protected thi. Zyada se zyada uski body ka kuch part burn ho jata. Jo 1 ya 2 hours ke time mei heal ho sakti thi. Zaruri yeh tha ke uski aankho ko kuch na ho.
Boom!
Boom!
Boom!
Vo fireballs phir se blast hue. Unhone Jiggs ko hurt nahi kiya par unke force ne usse halke tension mei daal diya tha.
“Yeh students! Mein inke sir ko apne haato se crush karunga.”
Gusse ki wajah se Jiggs ne apni speed badha di.
Aise attacks se toh koi shant person bhi gussa ho sakta tha.
Kyo ki Aditya kaafi jaldi jaldi mei spells ko cast kar raha tha is liye vo ab thak sa gaya tha aur saath mei vo apne Mana Limit par aa gaya tha.
Yeh dekh kar Raj ne jaldi se Mana Potions ko nikala aur usse Aditya ko pine ke liye diya. Jab Aditya ne Mana Potion ko piya toh uska Mana kuch had tak restore ho gaya tha.
Iske baad Raj ne Abhay ko dekha aur usse ishare se apne spell ko cast karne ke liye kaha.
Greece!
Jaise hi user is spell ko cast karta tha vo aim ki hui jagah ko slippery bana deta tha. Jaise ke vo jagah kisi oil se cover ho gayi ho.
Pal bhar mei hi Jiggs jis ground par jog karte hue Raj aur bakiyo ki taraf badh raha tha uske pairo ke niche ka ground aise slippery hua jaise waha par ice form hui ho.
Kyo ki apne face ko kuch na ho is liye Jiggs ne apne samne ke area ko apni shield se cover kar liya tha. Is wajah se usse uske samne kya hua hai yeh pata nahi chal paa raha tha. Saath hi constant fireballs ke attack ne uske gusse ko aur bhi badha diya tha.
Kisi bhi battle mei mind ko cool rakhna yeh sab se sahi tarika hota tha kyo ki gusse mei mind koi bhi sahi discission nahi le sakta tha.
Jiggs ne ground mei aaye hue change ko notice kar liya tha. Par usse dar Mud Mash se tha. Is liye usne apne footsteps ko pehle se hi halka kar liya tha.
Par uske wajah se vo slip ho gaya aur gir gaya jo usne bilkul bhi socha hua nahi tha. Jiggs jaise taise uth toh gaya par vo apna balance nahi sambhal paa raha tha. Usne jo heavy armour pehna hua tha uske wajah se usse problem hone lag gayi thi. Issi ke saath Jiggs phir se piche ki taraf gir gaya.
Ab Jiggs ne pehne hue armour par aate hai
Aisa koi bhi armour nahi bana tha jiske joints metal ke bane hue ho. Aise parts mei soft leather ki hi zarurat hoti thi taaki movements karne mei koi bhi problem na ho. Specially pairo ke bich ka area.
Jo sab se dangerous bhi tha.
Raj ne phir se Abhay ki taraf dekha aur usse ishara kiya.
Raj ke ishare par Abhay ne ek aur spel ko cast kiya.
Vector Throw!
Yeh ke Level 1 spell thi. Yeh kisi bhi throw kiye hue object ki speed badha sakti thi. Object ka weight jitna light hoga vo utha hi speed se travel kar sakta tha.
Abhay is spell se familiar tha. Agar kisi stone ka weight 2 pounds tak ka ho toh yeh spell us stone ko 160 f/s ki speed se throw kar sakti thi.
Ek 2 pound ka stone 160 f/s ki speed se aa kar body ke kisi delicate part ko lag jaaye toh usse hone wala pain kitna ho sakta hai yeh koi bhi nahi soch sakta tha.
Abhay ne yeh spell cast kar ke apne haat ko ground ki taraf kiya aur kuch stones jo feast ke size ke the vo udte hue ek arc mei aage badhne lag gaye aur Jiggs ke un body parts par hit karne lag gaye jo armour se protected nahi the.
Bam!
Ek bada sa stone kaafi speed se aa kar Jiggs ke dono pairo ke bich wale area mei aa kar zor se lag gaya.
Par Jiggs abhi chillane hi wala tha ke tabhi ek aur stone udte hue aa kar uske helmet ko zor se lag gaya.
Vo stone aa kar Jiggs ke helmet ko itne strong force se laga tha ke uske lagte hi helmet ke andar Jiggs ka sir bhi ghumne jaisa ho gaya tha. Upar se uske pairo ke bich wale area se aane wala pain ab usse feel hona start ho gaya tha.
“Ghuhh!”
Jiggs apne chikh ko dabane ki koshish kar raha tha. Vo Raj aur uske friends ko yeh show nahi karna chahta tha ke unke attacks ke wajah se vo hurt hua hai.
Jiggs ne apne haato mei jo shield thi usse chod diya aur apne dono haato se apne genitals ko pakad kar waise hi pade pade yaha se waha hone lag gaya. Usse yeh tak feel nahi ho paa raha tha ke uske genitals kitne hurt hue hai. Lekin usse hone wala pain kaafi zyada tha.
Earth Spike!
Jab Raj ne dekha ke Jiggs apne hosh mei nahi hai tabhi Raj ne Abhay ko ishara kiya. Uske ishare ko samajh kar Abhay ne bhi jaldi se apne spell ko cast kiya.
Kyo ki Jiggs abhi apni back par leta hua tha is liye jaise hi Abhay ne apne spell ko cast kiya waise hi uske gardan ka vo part jaha par uska helmet nahi aata tha waha se ek stone spike nikla aur vo Jiggs ke gale ke samne se bahar aaya. Yeh earth Spike kuch 2 feet tak tall tha.
Wahi is suddenly hue attack se Jiggs khud ko bacha nahi pata aur wahi par mara gaya.
Wahi portal tower ke gate par khade dark elf warrior Terry ke aankho ke samne abhi jo kuch bhi hua uspar vo trust hi nahi kar paa raha tha.
Uska commander ek aise ladke se haar gaya tha jo usse kaafi distance par khada tha. Saath hi us ladke ne khud se ek bhi spell ko cast nahi kiya tha. Jo bhi spell cast hue vo uske dosto ne kiya. Lekin ishare sabhi issi ladke ke the ke unhe kab spell ko cast karna hai.
Yeh kaise possible ho sakta hai ?
Wahi andhere mei bhi jo students the vo sabhi bhi yeh sab dekh kar shock the. Raj, Aditya aur Abhay ne sirf low level spells ko use kiya aur ek Level 3 dark elf Mage Warrior ko maar diya tha. Vo bhi ek aise warrior ko jo sir se lekar pair tak puri tarah se armour se cover tha. Aisa kuch bhi unhone aaj tak nahi dekha hua tha aur na hi suna hua tha.
Perfect timing, impressive spellcasting skills, formidable observation of human behaviour. In sabhi ka use kar ke Raj ne Aditya aur Abhay ki help se ek small platoon ke commander ko aise maar diya tha jaise vo uske saath khel raha ho. Roshni aur baki students agar yeh sab kuch apni aankho se nahi dekhte toh is baat par kabhi bh trust nahi karte. Roshni ki aankhe kaafi sharp thi. Vo yeh pehle hi jaan gayi thi ke Raj starting se hi in dark elf warriors ke saath khel raha hai.
Raj ki aisi personality dekh kar vo khud bhi andar tak hil gayi thi.
3 powerful mage warriors mei se 2 ko Raj ne apne friends ki help se aise hi maar diya tha.
Raj ka dhayn is baat par bilkul bhi nahi tha ke agar aage chal kar koi is baat ko soon leta hai toh vo uske baremei kya sochega. Usse bas itna hi dikh raha tha ke usne Aditya aur Abhay ki help se dark elf ko maar diya tha.
Lekin Raj Jiggs ko bhi itni jaldi is liye maar paya kyo ki vo arrogant tha. Jiggs ko lag raha tha ke Raj aur baki students ko abhi apne teen age mei hai vo uska abhi kya hi kar sakte hai. Vo yahi soche jaa raha tha ke vo in sabhi ko easily crush kar dega jaise yeh sabhi koi bug ho. Usne naa Raj ko, na Aditya ko aur na hi Abhay ko apne equal samjha.
Dusre words mei kaha jaaye toh vo reckless tha.
Lagataar spell casting ki wajah se Aditya aur Abhay ab thak gaye the. Par vo abhi bhi khud ko itni jaldi free nahi kar sakte the. Kyo ki Terry abhi bhi unke samne khada tha. Par unke paas abhi bhi itna Mana tha ke vo usse maar sake.
Raj bhi Terry ko dekh raha tha ke kab vo us par attack karega.
Terry ek Level 2 dark elf mage warrior tha. Agar vo sab se pehle attack karta hai toh Raj uske weakness ka use kar ke usse hara sakta tha. Isse Raj Terry ko bhi ek hi strike mei maar sakta tha jaise usne Sherman aur Jiggs ke saath kiya tha.
Terry ne apne thuk ko nigal liya aur usne ek step piche liya. Vo palat kar waha se aise bhaga jaise vo pehle kabhi waha par tha hi nahi. Aage andhere mei jaa kar vo kahi gayab ho gaya.
Raj ko yeh sahi nahi lag raha tha.
Usse yeh samajh mei aa gaya tha ke yeh dark elf apne baki sathiyo ko yaha par jo kuch bhi hua hai vo batane ke liye gaya hai. Agar aisa hota hai toh uske baki saathi bhi yaha par aa jayenge aur un sabhi ko Raj aur baki students mil kar bhi face nahi kar sakte the. Un sabhi ko jaldi se portal tower ka use kar ke yaha se jana tha.
Raj ne baki sabhi students ko ishare se bahar aane ke liye kaha.
Uske ishare par sabh bahar aane lag gaye.
Un sabhi ke saath Roshni bhi bahar aayi.
Us Chandni raat mei Rsohni ki aankhe jaise halke se chamak rahi thi.
Vo smile karte hue Raj ke paas aayi aur usne usse kaha.
Roshni-Raj mein ne aaj tak kabhi tumhe magic use karte hue nahi dekha hai. Par aaj jo tumne bina magic ka use kiye hue in dark elf warriors ko mara hai vo sach mei kaabil ke tarif hai. Aisa lagta hai jaise magic ko tumhare alawa koi aur achhe se use hi nahi kar sakta hai.
Roshni ke face par Raj ke liye admiration clearly dikh sakta tha.
Par Raj jaise kuch palo ke liye Roshni ki smile mei kahi kho sa gaya tha. Lekin jaldi hi usne khud ko hosh mei laya.
Usne sabhi ko dekha aur kaha.
Raj-Hame jaldi se portal tower ka use karna hoga. Us bhage hue dark elf ke saath uske saathi yaha par aate hi honge.
Raj ki baat par sabhi students ne apne sir ko haa mei hilaya.
Tabhi Vera jo ab kuch had tak hosh mei aa gayi thi usne Raj ko dekhte hue usse pucha.
“Raj agar tum portal tower ko use karne wale ho toh in sabhi ko kaha par bhejne wale ho ?”
Is par Raj ne kaha.
“Well mein aap ke saath in sabhi ko Bell Tower mei bhejne wala hu. Waha par jaane ke baad aap sabhi ko waha ki bell baja deni hai. Isse city ke logo ko pata chal jayega key aha par kya ho raha hai.
Raj ki baat sunkar Vera ne apne sir ko haa mei hilaya.
Iske baad Raj ne sabhi ko portal tower ke andar jaane ke liye kaha aur waha par bane hue bade se circle mei khade hone ke liye kaha.
Jab sabhi us bade se circle mei khade hue tab sabhi ek dsure ko dekhne lag gaye the. Kyo ki kisi ko bhi yeh pata nahi tha ke portal tower kaise kaam karta hai.
Tabhi Aditya aage aaya aur usne sabhi ko dekhte hue kaha.
Aditya-Is magic circle ke us taraf dekho. Waha par ek rune bana hua hai jo tum sabhi ko bell tower mei teleport kar dega. Tum mei se kisi ek ko usmei apne Mana ko flow karna hoga taki vo activate ho sake.
Aditya ki baat sunkar un sabhi students mei se ek student aage aaya aur us rune mei apne Mana ko flow karne lag gaya.
Jaise hi usne apne Mana ko us rune mei flow kiya waise hi vo bada sa magic circle chamakne lag gaya.
Jab vo magic circle puri tarah se chamakne lag gaya tab sabhi students ne Raj aur uske friends ko bye kiya aur dekhte hi dekhte waha par ek white light chamakne lag gayi aur sabhi students Vera ke saath waha se gayab ho gaye.
Ab waha par sirf Raj, Aditya, Abhay, Roshni aur Riya hi bache hue the.