Update 17
Entrance Exam.
Jaldi hi Raj ka carriage East Cove Magic Academy ke gate ke samne aa kar ruk gaya.
Apne carriage se bahar aate hue Raj ne apne haato mei papers ka bada sa bundle liya hua tha. Yeh sab uske theory papers the.
Un sabhi papers ke bundle ko ek submission tower mei submit kar ke Raj test ground ki taraf chala gaya.
Waha par pehle se hi uske sabhi friends aa gaye the aur un sabhi ke paas aate hue Raj ne kaha.
Raj-So sabhi ne apne theories ko submit kar diya ?
Is par sabhi ne apne sir ko haan mei hiliya aur phir sabhi chalte hue aa kar ek aur line mei khade hi gaye.
Wasie hi toh Aditya aur Raj ek Prince aur Young Master the lekin yeh titles East Cove Magic Academy ke bahar tak hi the. Academy mei enter karne ke baad vo aur baki sabhi aaye hue students ek hi level par the. Unhe bhi un sabhi process se ho kar jana hoga jo baki sabhi aaye hue students ke liye tha.
Yeh sab academy mei is liye tha taki koi bhi academy ke andar discrimination na start kar sake aur har koi apne aap ko equally present kar sake.
Jaldi hi Raj aur uske friends ka bhi number aaya.
Tower ke window par un sabhi ko ek form fill karne ke liye diya jismei unhe apne Main Element Affinity ke baremei likhna tha. Saath hi unhe yeh bhi likhna tha ke unhone pehle se kis level tak ke spell ko master kiya hua hai.
In sabhi baato se academy mei aaye hue sabhi students mei se sabhi ko filter kar sakti thi aur unhe different different classes mei divide kar sakti thi.
East Cove Magic Academy mei students sirf Mage Warriors hi banne ke liye nahi aate the. Kuch students sirf Mage banne ke liye aate the taki vo Magic ke subject mei apni research kar sake. Unhe sirf apne magic theories ko submit karna hota tha.
Sabhi ne apne apne forms ko fill kar liya aur unhe phir se submit kar liya.
Form ke submit ho jaane par sabhi ko token numbers mile aur uske baad unhe sirf apna number aane tak wait karna tha.
Raj aur uske friends test ground ke waiting area mei aa gaye.
Kaafi saare students jo Raj aur uske friends ke hi age ke waha par pehle se hi khade the.
Wahi test ground ke andar kaafi saare wooden targets bane hue the.
Yeh sabhi students ke test ke liye the.
Jaldi hi test bhi start hui aur sabhi apni pani baari ke liye ready hog aye.
Dekhte hi dekhte aaye hue students mei se kuch students waha par ground mei bane hue ek bade se circle mei jaa kar khade hote aur apni master ki hui spell se un wooden targets par attack karte. Circle se wooden targets ka distance kuch 100 metres tak ka tha. Yeh ek Level 0 spell ki best attack range thi. Iske aage ke distance mei Level 0 spells useless thi. Issi liye academy ne entry test ke liye inhe rakha hua tha. Agar koi students itne distance tak bhi apne spell ko fire nahi kar paya toh uske academy mei entry ke koi bhi chances nahi the.
Wahi us circle ke side par ek line ko banaya gaya tha.
Yaha se jo bhi students apne weapons se wooden target par attack karna chahte the vo yaha se kar sakte the.
Jo students weapon ka use kar ke minimum 3 wooden targets ko destroy kar sakte the wahi academy mei enter kar sakte the. Lekin yeh karna itha bhi easy nahi tha.
Yeh wooden targets kaafi special the. Ek certain amount tak ke strength ko vo sabhi absorb kar sakte the. Even magic ko bhi vo absorb kar sakte the. East Cove Magic Academy ke history mei kaafi kam students test ke is part ko choose kiya tha aur jinhone bhi isse choose kiya tha vo sabhi aaj apne apne peak level par the.
Issi wajah se har ek student jaa kar long range circle mei hi khada rehta tha. 100 metres ka distance hone ke baad bhi usmei unke pass hone ke chances kuch zyada the.
Raj aur uske friends sabhi students ko kaafi achhe se observe kar rahe the.
Abhi tak jitney bhi students gaye the unmei se koi bhi us weapon test ke liye nahi gaya tha.
Yeh dekh kar Raj aur uske friends ne ek dusre ko dekha aur phir apne aap mei hi smile karne lag gaye.
Time aise hi aage badh raha tha aur uske saath test bhi. Early morning mei start hui test ab almost afternoon hone mei aane wali thi aur abhi tak Raj aur uske friends mei se kisi ka bhi number nahi aaya tha.
Wahi har ek students apne full potential se khud ko present kar raha tha. Yeh un sabhi ke liye best chance tha jo agar unhone miss kar diya toh unhe direct next year tak wait karna pad sakta tha.
Aise hi sabhi apni apni test dete gaye aur jaldi hi Raj aur uske friends ka number aaya.
Sab se pehle number Abhay ka tha.
Abhay aa kar us weapon test ke line ke samne khada ho gaya.
Abhay ko waha par khada dekh Raj aur uske friends ko chod kar baki sabhi aaye hue students kaafi shock ho gaye.
Wahi Raj aur uske friends ke face par ek smile thi.
Abhay ko waha par khade dekh kar test lene wale teacher ne kaha.
“Tum weapon ka use karne wale ho ?”
Is sawal par Abhay ne apne sir ko haan mei hilaya aur suddenly uske dono haato mei 2 swords aa gayi.
Jab sabhi ne un swords ko aise Abhay ke haato mei aate hue dekha toh sabhi aur bhi shock hog aye.
Students mei bhi kaafi discussion hone lag gaya. Tabhi students mei se kisi ne kaha.
“Yeh toh Soul Weapons hai.”
Soul Weapons us type ke weapons hote the jinke saath user khud ki soul power use karke weapons ke saath vo ek pact bana leta hai. Iski wajah se vo weapons hamesha hi uske soul mei hi rehte hai aur user ke bulane par vo unke haato mei aa jate hai. Wahi un weapons ko koi aur user se chhura bhi nahi sakta tha. Jab tak weapons ke user ki death nahi hoti hai yaa phir user khud se kisi ko un weapons ko nahi deta hai tab tak vo weapons user se connect hi rehte hai.
Yaha Abhay ne apne mind ko puri tarah se clear kar liya tha aur vo sabhi wooden targets par focus kar raha tha.
Jaise hi teacher ne Abhay ko start karne ka ishara kiya waise hi Abhay ne apne sword arts ka use kiya.
Rain Drop Style-Countless Slashes!
Issi ke saath Abhay apni jagah se itne speed mei move hua ke uske piche us jagah par uski blur afterimage reg gayi thi. Palak jhapakte hi Abhay ground ke dusre end par khada tha aur uske piche jo 10 wooden targets the unmei se 5 wahi par destroy ho gayi thi.
Abhay ki moments aur uske powerful sword strikes ko dekh kar almost har koi shock tha.
Specially test lene wale teachers aur baki aaye hue students.
Abhay ki swords skills ko dekh kar hi har koi samajh gaya tha ke vo apne sword arts mei kitna powerful hai.
Jaldi hi teacher ne apne aap ko sambhal liya aur Abhay ko ek bade se table ke samne aane ke liye kaha.
Kyo ki Abhay ne apne sword arts ko use karte hue bilkul bhi magic ka use nahi kiya tha is liye test lene wale teachers ko uske Mana ka level bhi check karna tha. Mana ke level ko check karne ke liye academy ne ke Mana sensitive crystal ball ko test area mei rakha hua tha taki vo kisi bhi students ke Mana level ko check kar sakte ke uske body mei sufficient Mana hai yan ahi.
Abhay ne aa kar us crystal ball par apna haat rakha aur phir apne Mana ko circulate karne lag gaya.
Uske aisa karte hi vo crystal ball shine hone lag gaya aur usse dekh kar teacher ne apne sir ko haan mei hilaya aur Abhay ko passing area mei jaa kar baithne ke liye kaha.
Issi ke saath Abhay pass ho gaya tha.
Yaha Abhay ke performance ko dekh kar uske sabhi friends usse thumbs up kar rahe the. After all yeh sab kuch Abhay ke hardcore training ka effect tha.
Abhay aa kar passing area mei khada ho gaya aur ab apne friends ke performance ko dekhna chahta tha. Waise toh usse bhi pata tha ke uski tarah uske friends ka performance bhi same shocking hone wala tha. Lekin is test ke saath Abhay khud ko bhi evaluate karna chahta tha aur dekhna chahta tha ke vo khud ko aur kaha par improve kar sakta hai.
Kuch der baad hi Riya ka number aaya.
Riya chalte hue aa kar us long range wale circle mei khadi ho gayi. Usse bhi teacher ne pucha ke vo long range spell ko use karne wali hai jis par Riya ne apne sir ko haan mei hilaya aur uske sir hilane par teacher ne usse jo bhi rules the vo bata diye.
Issi ke saath teacher ne test start hone ka ishara kiya.
Teacher ke ishare par Riya ne apne dono haato ko utha kar unne sabhi wooden targets ki taraf aim kiya aur phir apne spell ko cast kiya.
Water Grenade!
Riya ke yeh spell cast karte hi uske haato mei se tennis ball ke size se kuch size ke water balls release hone lag gaye aur jaa kar un wooden targets ko hit karne lag gaye.
Lekin yeh Water Grenade spell kaafi strong thi aur is liye jaise hi Riya ke yeh water grenades wooden targets ko hit karte waise hi vo blast hote jaa rahe the.
Dekhte hi dekhte Riya ne bhi apne bhai ki tarah 5 wooden targets ko destroy kar diya.
Riya ke results ko dekh kar phir se teacher ke saath baki students shock aur surprise ho gaye the. Baki aaye hue students yahi sochte the ke unke spells un wooden targets ko sir hit kar jaaye aur uske saath vo is test mei pass ho sakte the. Lekin yaha par na sirf Riya ke spell ne wooden targets ko hit kiya tha balki unhe destroy bhi kar diya tha. Yeh sach mei un sabhi ke liye kaafi badi baat thi.
Issi ke saath Riya bhi passing area mei aa kar apne bhai Abhay ek saath khadi ho gayi.
Riya ke kuch students ke baad bhi ek ladke ka number aaya.
Yeh ladka ordinary family se dikha raha tha lekin dikhne mei kaafi handsome tha. Jab waha aaye hue baki ladkiyo ne usse dekha toh unki aankhe usse dekh kar jaise chamakne lag gayi thi.
Agar koi dikhne mei average se kuch aage toh chal sakta tha. Par yeh ladka usse bhi aage tha. Uske hairs clouded grey colour ke the, uski aankhe deep green colour ki thi aur uske facial features bhi kaafi achhe the. Vo sach mei sabhi ke attention ke liye worthy tha.
Yeh ladka bhi jaa kar Abhay ki hi tarah us line ke samne khada ho gaya.
Us ladke ki body ko dekh kar koi bhi bata sakta tha ke yeh movement mei kaafi agile hoga. Uske body ka structure kuch slim tha par uske haat strength ko show kar rahe the.
Us teacher ke ishare par vo ladka kaafi speed se move hote hue aage badha aur usne apne hand to hand combat art ko use karte hue un sabhi wooden targets par apne punches aur kicks se strike karne lag gaya.
Uske sabhi strikes kisi bhi tarah ke destructive nature ko show nahi kar rahe the lekin uska har ek strike un wooden targets ke pressure points ko hit kar raha tha.
Sabhi 10 wooden targets mei se usne 6 wooden targets ko hit kiya tha aur un sabhi ke pressure points par hole ban gaye the.
Us ladke ka har ek strike dangerous tha aur yeh sab uske sharp mind ko bhi show kar raha tha.
Sabhi us ladke ke us performance ko dekh kar clap karne lag gaye.
Uske baad usne apne haato ko crystal par rakh kar apne Mana ko level ko check kiya aur issi ke saath vo bhi is test ko pass ho gaya tha.
Wahi Raj aur uske friends is ladke ko notice kar rahe the.
Tabhi Raj ko kuch dikha.
Us ladke ke ears kuch pointy the.
Jaise hi Raj ne yeh dekha usse samajhne mei der nahi lagi ke yeh ladka ek Hlaf-Elf hai.
Hlaf elf yeh vo log the jo half human aur half elf hote the.
Pure elves ko yeh log bilkul bhi pasand nahi the. Is liye in jaise logo ko human countries mei rehne ke liye jagah di gayi thi.
Vo ladka aa kar Abhay aur Riya ke side mei khada ho gaya.
Tabhi Aditya ka number aaya.
Aditya bhi us line wali jagah par aa kar khada hua aur usne apne sword ko uske sheath mei se nikala.
Apne sword ko utha kar Aditya ne apna sword stance liya aur teacher ke ishare ka wait karne lag gaya.
Jaise hi teacher ne ishara kiya waise hi Aditya itne speed se move ke dekhne wale ko laga k evo apni jagah se gayab hi ho gaya hai.
Wahi full speed ke saath aage badh kar Aditya ne bhi apen sword ko horizontally strike kiya.
Aditya ke is single strike mei uske 8 wooden targets ko half mei cut kar diya tha aur vo jaa kar ground ke dusre end par ruk gaya.
Aditya ke is performance par ek baar phir se har koi shant ho gaya tha. Lekin jaldi hi har ek student zor se clap karne lag gaya tha. Yeh aaj ke is test ke best performance mei se ek tha.
Issi ke saath Aditya ne bhi apne Mana ke level ko check kiya aur jaa kar Abhay aur Riya ke saath khada ho gaya.
Uske baad kuch students ka number tha aur unke baad number aaya Roshni ka.
Roshni bhi Riya ki tarah chalte hue long range ki jagah par jaa kar khadi hui aur jaise hi usse teacher ne ishara kiya waise hi usne bhi water type spell ko cast kiya.
Yeh spell dikhne mei kaafi normal lag rahi thi par jaise hi vo water ball aage badha waise hi usne 6 wooden targets ko apne nadar le liye.
Un wooden targets ke andar aate hi Roshni ne kaha.
Water Cage!
Yeh kehte hi Roshni ne jo aage haat kiya hua tha usse fist bana kar close kar liya. Uske aisa karne par vo water ball jisne apne andar un wooden targets ko trap kiya hua tha vo kuch heavy sa hone lag gaya aur kuch hi palo mei Roshni ne us water ball ko dekhte hue apne fingers se snap kiya.
Roshni ke snap karne par us water ball ke andar ka water kaafi speed ke saath rotate karne laga aur dekhte hi dekhte us water ball ne apne andar ke sabhi wooden targets ko destroy kar diya.
Issi ke saath Roshni bhi is test mei pass ho gayi thi aur vo bhi aa kar apne baki friends ke saath khadi ho gayi.
Isse ke saath phir se baki students ka number aaya aur kuch der baad Raj ka number aaya.
Raj na number aane par Raj bhi chalte hue weapon test ke line par aa kar khada ho gaya.
Raj apni sword ko nikaal kar teacher ke ishare ka wait kar raha tha
Jaise hi us teacher ne ishara kiya waise hi Raj bhi kaafi speed se aage badh gaya.
Raj ki speed itni thi ke uske aage badhne par piche uske afterimages ban rahe the.
Jaise hi Raj wooden targets ke paas aaya waise hi usne bhi apne sword ko horizontally wave kiya aur uske single strike mei Raj ne 10 mei se 9 wooden targets ko half mei cut kar diya tha.
Yeh ek record ho gaya tha.
Kisi ko bhi yeh batane ki zarurat nahi thi ke is test mei Raj hi 1st aane wala tha.
Raj bhi chalte hue us crystal ke saamne aaya aur apne haat ko usne us crystal par rakha aur apne Mana ko level ko check kar ke waha se apne friends ke saath aa kar khada ho gaya.
Mana ke level ko check karte hue usne apne aap ko kaafi restricted rakha hua tha.
Issi ke saath East Cove Magic Academy ki test end ho gayi thi aur kuch din ke baad sabhi ke results aane wale the.
Raj aur uske friends kuch der baate karne ke baad apne apne ghar chale gaye.
Raj apne carriage mei baith kar ghar aaya aur aane ke baad usne apni maa ko test mei jo bhi hua tha vo sab kuch bata diya.
Is par Dipali ne kaha.
Dipali-Par Raj tumne koi spell kyo nahi use ki ?
Toh Raj ne kaha.
Raj-Pehle mein bhi yahi soch raha tha ke koi spell use karu par baad mei mein ne apne is sword ko dekha aur socha kyo na baba ne sikhaye hue sword art ko use kar ke dekhu. Is liye mein ne koi bhi spell use nahi ki.
Raj ki baat apr Dipali ne smile karte hue kaha.
Dipali-Chalo koi baat nahi. Waise bhi tumhare baba aur tumhe dono ko bhi swords kuch zyada hi pasand hai. Upar se tumne aise single edge sword ko choose kiya hai jise zyada koi use nahi karta hai.
Raj ne phir apne sword ko dekha aur kaha.
Raj-Pata nahi maa jab mein us underground hall mei tha aur is sword ne mujhe choose kiya tha tab mujhe aisa laga ke yeh sword mere liye hi bani hui hai.
Aise un dono mei aur kuch der baate hoti rahi aur phir Raj uth kar apne study room mei aaya. Waha aa kar Raj apne kuch theories par kaam karne lag gaya.
Yeh din bhi aise hi beet gaya aur agle 2 dino mei academy se sabhi ke entrance exam ke results bhi aa gaye the.
Aaj phir se East Cove Magic Academy ke ground mei kaafi crowd jama ho gaya tha apne apne result ko dekhne ke liye.
Ek bade se board par select hue students ke naam lagaye hue the.
Jaldi hi Raj aur uske friends ko bhi apne apne naam us board par dikhe aur wahi hua jaisa sabhi ne socha tha Raj is test mei 1st tha wahi Aditya 2nd rank par tha.
Top 10 ki rank mei Raj aur uske friends hi the.
Kyo ki East Cove Magic Academy ek free style learning academy thi. Is lilye yaha par kisi bhi normal school ya academy ki tarah zyada classes nahi hote the.
Yaha par har student ko apne magic ko aur apne skills ko khud se hi develop karna padta tha aur agar unhe kahi par doubt ho toh un sabhi ko sahi se direction dene ke liye kaafi saare mages aur professors the.
East Cove Magic Academy ka campus kaafi bada tha. Par iske itne bade campus hone ke piche bhi ek bada secrete tha.
East Cove Magic Academy mei har Mage ke apne apne tower the aur har tower uske owner ke capabilities aur uske Mage level ko dekh kar build kiye gaye the.
Jaise East Cove Magic Academy ke dean ek level 7 ke Battle Mage the aur unka tower yaha par sab se powerful aur bada tha.
Waise toh yaha ke students ke liye kuch kuch lectures hote the lekin vo bhi kaafi rare hote te. Sirf kuch hi lectures hote the vo bhi kisi bade aur major topic par yaa phir kaafi saare students mil kar kisi topic ko choose kare us par.
Raj aur uske friends ko East Cove Magic Academy mei aaye hue kuch 2 weeks ho gaye the.
Raj abhi ek hall ke corner mei baith kar ek level 4 Mage ka lecture soon raha tha jo Mana ke Precise control ke upar tha. Waise toh Raj ne is sab ke baremei book mei read kiya hua tha lekin usse apni understanding ko aur bhi new heights par lekar jana tha is liye vo is lecture ko attend kar raha tha.
Waise bhi Raj East Cove Magic Academy mei aa kar kisi bhi detail ko miss nahi karna chahta tha.
Abhi jo Mage lecture de raha tha uska naam Deris tha. Yeh Bell naam ke Mage ka personal student tha. Kyo ki Bell hamesha se hi apne tower mei busy rehta tha is liye jab bhi usse koi lecture dena hota tha vo apni jagah par Deris ko bhej deta tha.
Level 1 ke hall mei Deris sab se strong ek Level 4 Mage Student tha.
Raj uske lecture ko achhe se soon raha tha jo spell casting ke baremei tha aur us lecture mei Raj ko kuch aur information bhi mili ke vo kaha kaha par khud ko improve kar sakta hai.
Lecture ke baad waha baithe almost sabhi students Deris ke aaspas jama hog aye aur apne apne sawal puchne lag gaye. Raj ne kuch der un sabhi students ke sawalo ko suna aur phir halke se smile karne lag gaya.
Kyo ki yeh sabhi sawal kaafi basic aur simple theory par the.
Raj aur kuch der wahi par ruka raha aur phir waha se nikal kar library ki taraf chala gaya. Usse kuch books ki zarurat thi.
Yaha hall mei Deris sabhi ke sawalo ko answer de raha tha aur yeh sab karte hue uske face par ek smile bhi thi.
Tabhi Usne apni aankhi ke corner se kisi ko hall se bahar jaate hue notice kiya. Yeh koi aur nahi balki Raj tha. Usse Raj ka aise waha se chale jana kuch ajeeb laga kyo ki uske lecture ke baad aisa kabhi hua hi nahi tha ke koi student bina koi usse sawal puche waha se chala jaaye.
Upar se pata nahi kyo uske master ne usse Raj ke baremei pata karne ke liye kaha tha.
Raj ek entrance test ke baremei bhi Deris ne suna hua tha ke kaise sirf apne single sword tsrike mei hi usne 10 mei se 9 wooden targets ko destroy kar diya tha.
Wahi campus ke dusre side mei ek training ground bana hua tha aur waha par abhi kuch students ka group khada tha. Is group mei Aditya, Abhay aur vo half elf ladka bhi tha.
Wahi in sabhi new students ke samne ek Mage Warrior khada tha. Inka naam hai Vishal. Yeh Swarndesh ke Elite Mage Warriors mei se ek the.
Yeh almost har type ke weapon ko chala sakte the phir chahe ho sword ho yaa phir sspear.
Pro.Vishal ne sabhi ko dekhte hue kaha.
“Toh students jaise ke tum sabhi ko pata hai ke hamare Swarndesh mei sabhi Mage ko warriors ki training compulsory hai wahi Warriors ko mages ki training. Issi wahaj se unhe Mage Warrior kaha jata hai. Saath hi mein yeh dekh sakta hu ke tum sabhi ne apne apne prime weapons ko bhi choose kar liya hai aur agar nahi bhi kiya hoga toh bhi koi baat nahi jaise jaise training aage badhti jaayegi waise waise tumhe apne aap apne prime weapon ke baremei pata chalte jayega ke tumhara prime weapon kounsa hai.”
“Waise mein ne suna hai us year ke kuch students ne entrance exam mei weapon ka use kar bhi wooden targets ko destroy kar ke pass hue hai. Specially Aditya, Abhay aur tum Ekant, mein ne suna hai tumne combat arts ka use kiya tha wooden targets ko hit karne ke liye aur Abhay tumne dual swords ka use kiya tha wahi Aditya tumne apne single strike mei 8 wooden targets ko destroy kar diya tha. Wahi Raj naam ke ladke ne toh apne single sword strike mei 10 mei se 9 wooden targets ko destroy kar diya hai. Yeh ek record hai East Cove Magic Academy mei. Waie kaha hai vo ?”
Pro.Vishal ke sawal par Aditya ne aage aate hue kaha.
Aditya-Professor Raj abhi Magic Control ke lecture ko attend kar raha hai.
Aditya ki baat par Pro.Vishal ne usse dekha aur kaha.
“Ohh! Chalo koi baat nahi, aage kabhi na kabhi ham usse mil hi sakte hai. Waise Aditya tumne bhi aur Abhay ne bhi sword arts ka use kiya than a. Toh kya tum dono mujhe bata sakte ho ke itna high level sword art tumne kaha se sikha hai ?”
Is par Aditya aage aaya aur usne kaha.
Aditya-Professor mein ne yeh sword art apne pita se sikha hai. Wahi Abhay Senapati Dipak ka student hai.
Aditya ke is baat par Pro.Vishal sab samajh gaye the ke yeh dono apne sword arts mei baki sabhi se itne aage kyo hai. After all ek Swarndesh ke maharaj ka beta hai toh dusra Senapati Dipak ka student. Aise mei inka apne generation mei strong hona koi badi baat nahi thi.
Phir Pro.Vishal ne Aditya ko dekha aur usse pucha.
“Well Aditya tumhare form mei likha tha ke tumhari affinity Fire element aur Wind element mei baki elements se sab zyada hai. Lekin mein yeh puchna chahta hu ke tum apne Prime Element mei kise choose karna chahoge. Fire Element ko yaa phir Wind Element ko. Dono ke bhi apne apne pros aur cons hai. Jaise Fire element ki attack potency Wind element se strong hai lekin Fire element movement ke aspect mei Wind element se slow hai. Wahi Wind element ki movement aspect strong hai par firing aur striking mei Wind element Fire element jitna strong nahi hai. Toh tum batao ke tum kis element ko apna Prime Element choose karna chahte ho ?”
Pro.Vishal ki baat sunkar Aditya ne unhe kuch serious hote hue dekha aur kaha.
Aditya-Pro.Vishal mein Fire Element ko apna Prime Element choose karna chahunga. Waise bhi mere pita bhi Fire Style Sword Art ke user hai aur unka Prime Element Fire hai is liye mein bhi isse hi choose karna chahunga. Rahi baat Wind element ki toh mein is element ko supportive element ki tarah use karna chahunga. Agar dekha jaaye toh Fire Element ko Wind Element kaafi support kar sakta hai. Vo mere har ek attack ko aur bhi strong kar sakta hai. Mera yahi goal hai ke mein apne pita ko surpass kar saku.
Aditya ki baat sunkar Pro.Vishal ke face par smile aa gayi thi aur unhone Aditya ko dekhte hue kaha.
“Ohh toh tum Maharaj Shekhar ko surpass karna chahte ho. Well kaafi high goal hai tumhara. Waise yeh kaafi hard hai lekin phir bhi mein tumhe iske liye best of luck dena chahunga.”
Uske baad Pro.Vishal ne Abhay ko dekha aur usse bhi same sawal pucha.
Us par Abhay ne kaha.
Abhay-Professor mein apne Prime Element mei Earth Element ko choose karna chahunga. Meri Affinity Fire, Water aur Earth element ke saath hai par in sabhi mei Earth Element ke saath affinity sab se zyada hai. Wahi usse kam Water Element ke saath hai aur Fire ke saath almost negligible hai. Is wajah se mein bhi Aditya ki tarah hi apne Earth Element ko apna Prime Element karna chahta hu aur Water Element ko apna supportive element ko rakhna chahta hu.
Pro.Vishal ne Abhay ke answer par apne sir ko haan mei hilaya aur usse bhi best of luck kiya. Aise hi professor ne same sawal sabhi students ko pucha aur uske baad sabhi ko ek normal exercise karne ke liye kaha.
Yeh exercise normal hi thi lekin jin students ko in sabhi mei problem aa rahi thi unhe Pro.Vishal kaafi achhe se explain kar rahe the.