Naik
Well-Known Member
- 21,519
- 77,394
- 258
Intresting story h dekhte h aage kia padhne ko milta hUpdate 2
Jab William ne apni Aankhen Kholi to usne apne aap ko ek sunhare Badal (golden cloud) per baitha hua Paya.
Sabse pahla khyal William Ko aaya ki vah Sapna dekh raha hai, per turant hi uska yah khyal Tut Gaya jab use Dhyan aaya ki kaise vah belle ko bachane ke liye khud ki Jaan ki kurbani de Gaya.
"Are han yah Sapna nahin ho sakta main to mar chuka hun", William ne dhire se khud se kaha. Uske hath apne aap hi apni chest per Dil ki Dhadkan mahsus karne ke liye chale Gaye, per William ko kuchh mahsus hi nahin hua.
William ne ek ahh bhari aur badalon per baith Gaya, use bahut chinta ho rahi thi ki operation successful hua hoga ya nahin, aur kya hospital ke director ne apna promise pura Kiya hoga ya nahin.
"Main ummid Karta Hun ki belle Tum safe hogi."
William ke samne ek golden portal banane Laga William jaanta tha ki uski jindagi ki journey khatm ho chuki hai ya khatm hone wali hai, isse pahle William ne kabhi Bhi Bhagwan per Bharosa nahin kiya tha kyunki jab William zinda tha god ne William ke liye kuchh nahin Kiya.
William sirf punar janm per yakin Karta tha. Kyunki William ko comics, novels, cultivation, history ya fantasy stories padhna bahut pasand tha.
"Agar god sach mein hote Hain to use mere punch ke liye taiyar rahana chahie", golden portal ko banta dekhne ke bad William ne khud se kaha."agar mujhe pata chala ki God ne belle ko bhi maar Diya hai to main God Ko chhodunga nahin".
Vah sunhara Badal jis per William baitha hua tha William ke sath golden portal ke andar chala Gaya.
William Apne aaspaas ke mahaul dekhne ke liye Jaise hi apna sar ghumata hai vah golden cloud speed badha deta h.
Thodi der mein William dekh raha tha ki samne ek bahut bada planet hai jo bilkul earth ki tarah dikh raha tha.
William ne vaha khud Ko Akela nahin Paya, William ki tarah hi vahan per bahut se log Khade the jo us bade planet ko dekh rahe the.
William ki tarah hi vah sabhi golden cloud per baithe hue the. In sabhi logon mein kuchh William ke barabar the to kuchh log Willian se chhote bhi the to kuchh budhe bhi the.
William ko ek bacche ko dekh ker bahut bura lag raha tha kyunki vah uske chhote Bhai ki age ke barabar tha aur vah is kam umra me hi bhagwan ko pyara ho gaya. William Apne chhote bhai bahanon se bahut pyar karta tha. William apne bhai bahanon ke sath anath aashram mein rahata tha. Anath aashram mein sabhi ko bahut kam khana milta tha. William ne hamesha apne bhai bahanon ka pet bharane ke liye apne khane me se bhi unhen deta tha.
Itne sare logon ki bheed mein ek aadami tha Jo sabko lead kar raha tha aur UN golden clouds ki command bhi usi ke hathon mein thi.
Hello everyone", use budhe aadami ne kaha Jo golden clouds ko command kar raha tha," main jaanta hun ki aap sabhi ke dimag mein bahut sare sawal chal rahe hain per main ummid kar raha hun ki aap sabhi mujhse vahi puche jiske jawab mein jaanta hun, aap me se Kaun mujhse sawal puchna chahta hai"
Me," ek patale duble ladke ne kaha.
"Pucho"
"Kya aap God Ho"
"Nahi" us budhe aadami ne kaha," main Bus Gods ka helper hun".
" Aapka matlab hai ki ek se jyada gods hote hain" ek khubsurat ladki ne kaha.
( My advice- please religion ko lekar ladne mat lag Jana just read karo aur maje lo)
Vah Budha aadami baten करते-करते sabhi ko us planet per le aaya tha Jo Earth jaisa dikhta hai aur abhi UN sabhi ko Apne samne ek temple dikhai de raha tha.
"Haan" Budha aadami muskuraya aur fir bola," bahut sare gods hote Hain unmen se kuchh purane Hain to kuchh naye gods Hain, o han main aapko batana chahunga ki is temple ka naam temple of ten thousand gods hain, halanki is temple ka naam temple of ten thousand gods hain per yahan gods ki sankhya kitni hai yah koi nahin jaanta ."
"Itne sare God kyon Hain" ek ladki ne apne curiosity ke chalte poochha." Kya yahan koi ek true god nahin hai"
"Achcha sawal hai, tum jarur Earth se aaye Ho. kya main Sahi hun?" Us budhe aadami ne poocha.
Yes" use ladke ne kaha.
"Okay chalo man lete Hain ki ek planet hai Earth, Jahan sirf ek true god hain, per baki World ka kya, agar har EK world ke pass ek true God hai to iska matlab yah nahin ki yahan bahut sare God Hain, is temple mein jitne bhi gods hain vah sabhi true gods hai." Us budhe aadami ne kaha.
Vah ladka Jo sawal poochh raha tha chup ho gaya vah samajh gaya ki old man kya kahana chahta hai.
" Ab suno ek God logon ke belief se Banta hai jitne jyada logo ke believe honge utane jyada God honge example ke liye log love per yakin rakhte Hain to iska matlab hai ki ek Love of God bhi honge ya Shayad love of goddess." Use budhe aadami ne samjhate hue bataya," Jaise Jaise samay bitata hai God bante Hain aur gayab bhi hote Hain kyunki Jaise hi sabhi log kisi ek god ko bhul jaenge vah God gayab bhi ho jaega."
old man ne aage kaha " ab aap sabhi suniye aap jab is temple ke andar jaenge to aapke punarjanm se pahle aapko kisi ek god ko apna patron God chunna hoga. Uske bad aap apne punarjanm ke liye jaenge."
Bheed mein se ek ladke ne kaha Jo Shayad kuchh jyada hi novels padhta tha, " yah to bilkul kahaniyon ki tarah hai jismein aap kisi ek god ko chunte Ho aur jab dobara janm lete Hain to aap us God ki shaktiyan istemal kar sakte hain".
"Han kuchh ISI tarah se Hain ab mere pass jyada samay nahin bacha hai main aap sabhi ko is temple ke andar bhej raha hun aap jakar apna petron god chuniye." Old man ne kaha.
Carry on brother
Very nice update