• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Rudra (adventure story) ( Completed )

Kya me is story me magic aur super natural power add karu

  • Yes

  • No

Results are only viewable after voting.

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,484
18,155
144
Click Here for index

Dhamesh singh (dad) died

Jyoti singh (mom) died

Rudra (hero)

Rahul (side hero)

Anjali (rudra's love interest and sister of rahul) died

Sanjana (mother of rahul and anjali) died

Siddharth (father of rahul) died

Bade papa= sujit singh sodhi (died but his body captured by igris) unexplored character

Mahamahim (friend of igris) unexplored character

Sura (friend of igris) unexplored character

Aacharya (friend of igris) unexplored character

Balveer (son of sujit singh sodhi) 1st villain

niraj pandey (rahul ke chacha) 2nd villain

Choudhary (died but his body captured by myasur) unexplored character 3rd villain

Mr. X (kaal) slave of mayasur 4th villain

Mohini (another asur and slave of mayasur) 5th villain

Daitya (somer relationship with rahul and rudra) unexplored character

Paritosh thakur (famous business man friend of raj singh) unexplored character

Raj singh (city ka mla) unexplored character

abhay = CBI chief ki post par hai (friend of siddharth)

Abhi (cbi officer and friend of Rudra)

Sam cbi officer and junior of abhi

Arun cbi officer and junior of abhi

Dev cbi officer and junior of abhi

Sangeeta cbi officer and junior of abhi

Ram sharma (criminal killed by rudra (beast) brother of sahdev)

Sahdev UCA ka agent "agent lion" and friend of rudra

Some secret police services

STF (secret task force)

SST (secret service team)

UCA (under cover agency)

Bhau another villain of story killer by rudra (beast)

Ranga another villain of story killer by rudra (beast)

Lucky hacker from underworld killed by bhau

Shankar mahadevan (olg PM of india killed by abhi slave of bhau)

Trilochan another villain of story killer by rudra and also slave of mohini

Ojha slave of trilochan another villain of story killer by rudra

Sukka guardian of rudra in isla planet

Zeba guardian of rudra in isla planet

Friends of rudra in isla planet

harry isla ke main city ka prince unexplored character

simona Sirius desh ki princess unexplored character

somi Sirius desh ki second princess unexplored character

kayko argon desh ka prince unexplored character

sayli sinour desh ki princess unexplored character

Another characters

Lord of the spiritual beasts (rahul)

Lord of dragons

Lord of demon warriors (agrasen)

Lord of demon magicians

Professor albus principal of royal magic academy in isla

Professor snape professor and co founder of royal magic academy in isla

Professor Hagrid professor in royal magic academy in isla

Professor oak professor and Co founder of the royal magic academy in isla

Professor nura professor and Co founder of the royal magic academy in isla

There are more characters are comming in story

Main villain???
 
Last edited:

Naik

Well-Known Member
22,461
79,368
258
Update 141

Ab meri shiksha ki shuruaat ho gayi thi har din aacharya mujhe mayavi sjaktiyon ke kuch naye taur tarike sikhate aur mere andar ki aniyantrit shakti ko niyantrit karne ke liye bhi mera margdarshan karte toh in dino me meri aur un baki 5 shishyon me bhi maitri ho chuki thi

Mene ab tak unhe kewal itna bataya tha ki me maharaj viraj ka putra hoon aur uske baad mere saath hui har ghatna ke baare me bhi unhe bataya lekin mene abhi tak unhe meri asli pahchaan ke baare me nahi bataya tha

Toh wahi ab meri shiksha ki shuruaat hue 6 mahine ka samay ho gaya tha in 6 mahinon me aacharya yuhan ne mere andar ke mayavi shaktiyon ko ek alag hi star tak badha diya tha unke dwara diya hua gyan mere andar ke urja ko aur bhi jyada badha diya tha

Aage badhne se pahle un 5chon shishyon ka ek short introduction

P) Pruthvik :- kushal dhanurdhar

J) Jwala :- kushal talwaarbaj

N) Neera :- mahan jadugar

B) Bizli :- mahan yodha

V) Vayu :- jadui hathiyaar banane me parangat

In pachon ke naam aacharya ne hi rakhe the inke andar ke tatvon ko pahchaan kar

Ab aage

Is waqt me aur pruthvik gufa ke dusri taraf yudh aabhyas kar rahe the ki tabhi waha par vayu aa gaya

V :- (hum dono se) aacharya ne hum sabko ekatrit hone ka aadesh diya hai jaldi chalo

Uski baat sun kar hum doni bhi uske saath gupah ke andar chal pade jaha aacharya ke saath baki sab bhi maujood the

Aacharya :- mujh se milne se pahle tum sab ki pahchaan jo bhi thi jaisi bhi thi tum sab ne use bhulake apne aap ko mere aur meri shiksha ke adheen kar diya isliye mujhe tum sabhi pr garv hai mere shishyon (kuch soch ke) aaj me tum sabko mere dwara lagaye sare bandhano se mukt karta hu aaj se tum sabhi is duniya me mere shishyon ke roop me alag pahchaan banaoge aaj tum sabki shiksha khatam hui mene tumhe jitna shikhana tha utna shikha diya hai ab tumhe us shiksha ka kaise istemaal karna hai woh tum jano ab se tum aajad ho

Aacharya ki har ek baat sidha hum sabke hrudyon pe prahar kar rahi thi bhale hi mujhe 6 mahine hue the phir bhi mera judaav aacharya aur baki sabhi se ho gaya tha jaha aacharya ko me apne pita ke sthaan par maanta tha toh baki 5chon ko apne bhai bahan ke roop me toh wahi baki 5chon toh bachpan se aacharya ke saath the unke liye ye kisi jhatke se kam nahi tha lekin phir bhi hum sabhi ne ise guru aadesh samajh kar swikaar kar liya

Me :- thik hai aacharya parantu hum abhi tak aajad nahi hue hai guru shishya ke nate ka sabse bada karya shesh hai aap humse humara kartavya aur jag ka sabse bada punya nahi chin sakte

Meri baat sun kar jaha aacharya ke mukh par muskaan cha gayi thi toh wahi baki pachon mujhe shock se dekh rahe the lekin jald hi woh bhi mere kahne ka arth samajh kar mere saath khade ho gaye the

Aacharya :- tum kis punya ki baat kar rahe ho rudra

Me :- har guru ka kartavyw hota hai ki woh apne sabhi shishyon ko ek smaan maan kar unhe shiksha pradaan kare aur har shishya ka kartavya hota hai har guru aadesh bhagwaan ka aadesh samajh kar us par amar kare

Aacharya :- woh tum sab puri nishtha aur mehanat se karte ho

Me :- lekin kisi bhi shishya ka ek kartavya aur hota hai ki apne guru ke dwara diye gaye shiksha ka karj woh guru dakshina dekar utaare aur wahi uske jeevan ka sabse bada kartavya aur punya hai

P :- sahi kaha rudra ne guruvar boliye aadesh dijiye

Me :- (apne ghutno pe baith ke) boliye aacharya aapne hum sab ko shishya banane se pahle hi guru dakshina ke baare me soch liya tha ab batane me kya harz hai

Aacharya :- tumhe kaise pata

Me :- aap jante hai mujhse kuch bhi anjaan nahi hai ab boliye

Mujhe ghutnon par baitha dekh kar baki 5chon bhi apme ghutnon par baith gaye

Sab ek saath :- BOLIYE GURUVAR AADESH DIJIYE

Hum sab ko ek saath aise dekh kar aacharya ke aakhon me khushi ke aasu aa gaye

Aacharya :- agar tum sab yahi chahte ho toh thik hai lekin mujhe guru dakshina dene se pahle sabko mera itihaas janna hoga

Kahani aacharya ke jubani

Me aacharya yuhan is grah se door kruk grah ke ekaki raja ka raj guru aur raj salahakar tha mene use aur uske sare vansh uske sare pariwaar ko mene apni shiksha se apne gyan se sawara apne vidyaon se waha ke har ek shipahi ko puri sena ke saman shaktishali banaya tha apni shaktiyon se uske pure rajya ko nawaja tha

Lekin phir bhi jab mujhe uske madad ki jarurat thi toh usne mujhe bhikari bol ke apni raj sabha aur rajya se nishkashit kar diya aur woh itne pe bhi nahi mana toh usne mujhe maarne ke liye apne sabse shaktishali sipahiyon ko bhej diya lekin woh ye bhul gaya ki unhe yudhkala shikhane wala me hi hoon

Aur isi wajah se mujhe uske grah ko chodke is grah par aa gaya jaha mene apne badle ki aag ko shant karne ke liye yojna banane laga jis liye me yaha waha bhatak raha tha ki tabhi meri nazar ek bache par gayi jo pahle se hi shaktishali tha jise bas sahi shiksha ki jarurat thi jo me use dene laga aur aise hi woh 1 balak ki sankhya ab 5 ki ban gayi thi sab ko mene aisa taiyar kiya tha

Jisse woh akele puri sena par bhari pade aur jab ek saath ho jayenge toh pure grah ko tabah kar sakenge woh 5chon ab mera ghamand ban gaye the jis wajah se ab me apne badle ke liye taiyar tha ki tabhi mere samne rudra aaya

Jisne un 5chon ko ek saath ek pal me hara diya ya yu kahu usne mere ghamand ko hara diya lekin jab mujhe uski asliyat ka pata chala toh mano mujhe bramhastra mil gaya tha uski shakti itni thi ki pure bramhand ko akela tabah kar sakta hai

Lekin uske baad woh 6 mahine jab woh humare saath raha toh in 6 mahino me main apne sabhi shishyon ko apne putra saman samajhne laga tha jisse ab mujhe lagne laga ki me bhi wahi kar raha hoon jo sabne rudra ke saath kiya lekin jab woh sabhi 6 ke 6 mere saamne apne ghutno pe baith ke mujhse guru dakshina dene ke liye utsah dikha rahe the toh mujhe pata chala ki mene koi astra shastra nahi balki 6 mahan manushyon ko banaya hai

(rudra's pov)

Aacharya :- yahi meri kahani hai jo ki abhi adhuri hai aur use pura tum 6 karoge (mujh se) me chahta hoon tum kewal wahi shaktiyon ka istemaal karoge jo tumhe mere dwara prapt hui hai

Me :- me aapko wachan deta hoon unki barbaadi ke har kan me aapka ansh chalkega

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahot khoob shaandar update
Tow sabki shiksha poori huwi or ab guru dakshina Lene ka time h or woh Acharya ke saath huwe na insafi ka badla
Dekhte kia hota h
 
  • Like
Reactions: VAJRADHIKARI

Naik

Well-Known Member
22,461
79,368
258
Update 142

Aacharya :- yahi meri kahani hai jo ki abhi adhuri hai aur use pura tum 6 karoge (mujh se) me chahta hoon tum kewal wahi shaktiyon ka istemaal karoge jo tumhe mere dwara prapt hui hai

Me :- me aapko wachan deta hoon unki barbaadi ke har kan me aapka ansh chalkega

Aacharya :- is din ke liye mene tum sabke liye kuch khas taiyar kiya hai

Itna bolke aacharya ne ek sandook la kar hum sab ke saamne rakh diya jisme se unhone sabko unke hathiyaar diye jise dekh kar woh 5chon khus aur utsahit ho gaye wahi aacharya ne mujhe dekh kar bas muskura diye jaise puch rahe ho ki me tumhe kya de sakta hoon toh isi baat ka jawab mene bhi isharon me has kar kaha samay aane par mang lunga

Wahi phir hum sab nikal pade kruk grah ke aur hum sabhi jaise hi gupaha ke bahar pahuche waise hi urja golon me badal gaye jisse antariksh me safar karne ke liye asan ho aur jab hum kruk grah pahuche

Jaha pahuchte hi hum sabhi shocked rah gaye waha ke aisho aaram waha ki aakarshit kar dene wali chavi hum sabko uski sundarta me mohit kar rahi thi

P :- kya mohak drushya hai is grah ko dekhke hi lag raha hai jaise ki swarg aa gaye ho

J :- sahi kaha tumne pruthvik aisa lag raha hai is swarg me bas jaye

Me :- pata hai na jo swarg me baste hai unhe swarg wasi kaha jata hai toh banna hai swarg wasi

N :- tum itne gusse me kyu ho kya is jagah ka man mohak dikhava tumhare man ko nahi lubha raha hai

Me :- mere man me bhi is sundarta ko dekh kar iski taarif karne ka man kar raha hai lekin jab yaad aata hai ki sundarta ki neev mere guru ke apmaan par tiki hai toh is sundarta ko apne pairon se raundane ka ji karta hai

P :- sahi kaha rudra hum bhatak gaye the lekin abhi nahi ab tum humare pratinidhi ho batao aakraman ki shurwaat kaha se karni hai

Me :- sabse pahle apne shatru ko pahchanna jaroori hai isiliye hume kuch guptcharon ki jarurat hai

N :- acha aur is nayi duniya me tumhe guptchar kaise milenge

Me :- jo aadmi apne guru ko aise apmanit kar sakta hai woh apne praja par kitna prem karta hoga ye toh tum soch sakte ho

P :- lekin phir bhi kya koi hai aisa jo uske khilaf apna muh khol sake

Me :- are mere murkh mitra tumse kisne kaha ki guptchar banne ke liye juban honi chahiye agar saamne wale ki bhasha samajh sako toh gunga aadmi bhi bahut kuch bol deta hai aur waise bhi me unse sahayta mangne ja raha hu jo ki bol sakte hai

P :- aur aisa kon hai

Me :- abhi batata hu vayu mere bhai apne jadu se tune hathiyaar bahut bana liye ab thode sikke bana sakte ho

V :- kabhi koshis nahi ki

Me :- toh aaj karle

N :- tum logon ko rishwat doge

Me :- nahi aajadi

N :- matlab

Me :- samajh jaogi

Itni der me vayu ne bahit sare sikke bana liye the jinhe leke me pass ke hi ek dukan me chala gaya jaha par bahut sare pashu pakshi maujood the

Me :- ( Dukandar se) are bhai kuch pakshi chahiye milenge kya

Dukandar :- are kyu nahi milenhe meri dukan se aaj tak koi girahik khali hath nahi gaya hai

Me :- ye toh achi baat hai toh chalo ab jaldi dukan me jitne bhi panchi hai un sabko mujhe dedo

Meri baat sunkar toh us Dukandar ki siti hi baj gayi wahi jab vayu ne apna jhola bhar ke silke uske saamne rakhe toh uski siti piti gul ho gayi toh wahi me un sabhi panchiyon ko leke mruk grah ke sabse unche pahad par aa gaya jaha se pure kruk grah saaf dikh raha tha khaas kar woh rajmahal

Phir mene ek ek karke sare pinjre khol diye jisse sare panchi pinjare se nikal kar mere saamne aa gaye jinhe dekh ke jaha woh pancho shocked the toh wahi me muskura raha tha jiske baad me unhi panchiyon ki bhasha me baat karne laga

Me :- toh aajad hawa me saas leke kaisa lag raha hai

Panchi :- acha laga mahoday lekin aap humari boli kaise jaante ho kon hai aap aur aap yaha aaye kis maksad se ho

Me :- are panchi ji aap ho itne se aur sawal itne sare karte ho waise aapko chudane ke piche mera swarh hai mujhe kuch aise dosto ki jarurat hai jo mujhe is grah ke raja ki taakat kamjori aur sari visheshta bata sake

Panchi :- waise me tumhari madad karne se mana kar dena chahta hoon lekin us durjan ke aatank ne mujhe woh himmat di hai ki me tumhara saath du us durjan ki barbadi me usne na jane kitni baar humare pariwaar aur doston ko kewal manoranjan ke liye mara hai

Me :- ye toh bura hua ab jao aur tum usko marte huye dekh kar manoranjit ho jao

Panchi :- jaisa aap kahe mahoday

Uskw itna bolte hi woh aur sare panchi udte hue chale gaye us mahal ke taraf toh wahi mere sabhi saathi sirf muje dekh rahe the jaise koi ajuba dekh liya ho

Me :- aise kya dekh rahe ho

N :- tum inki bhasha kaise jaante ho

Me :- aacharya ne mujhe bataya tha ki man se boli gayi baat juban ki baat se jyada ache se samjh aati hai

V :- ha ye baat toh unhone sabko kahi thi

Me :- ha lekin tum log is baat ka matlab nahi samajh paye

P :- acha toh tum batao ki kya matlab hai us baat m

Me :- matlab saaf hai jab hum apne man se bolenge toh hume kisi bhi bhasha / juban ki jarurat nahi hai jaise abhi maine kiya apne man ki tarangon ko un panchiyon ke man ke tarangon se jod diya hai jisse woh meri baat na sirf sun sakte hai balki mere bhavnaon ko bhi samajh sakte hai

V :- TELEPATHY ye mene kitabon me bhi padha hai aur aacharya se sikhne ki bhi jidd ki thi

P :- tih unhone kya kaha tha

V :- wahi man se boli gayi baat juban ki baat se jyada ache se samjh aati hai " tab iska matlab me nahi samajh paya tha lekin aaj se me bhi iski practice karunga

Abhi hum sab baate kar rahe the ki tabhi aasman se humare guptcharon ka jhund udte hue aane laga

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahot badhiya shaandar update
Rudra & team pahoch gayi
Dekhte h udte huwe guptcharon ne kia khaber layi h durjan ki
 
  • Like
Reactions: VAJRADHIKARI

VAJRADHIKARI

Hello dosto
1,484
18,155
144
Update 143

Abhi hum sab baate kar rahe the ki tabhi aasman se humare guptcharon ka jhund udte hue aane laga

Me (panchi se) :- kya khabar hai

Panchi :- kruk grah ke raja durjan is waqt aaram se apne mahal me baith kar rajsi aishwarya ka luft utha raha hai aur mafi chahenge lekin uski kamjori hume nahi mili

Me :- koi bat nahi woh apne mahal me hi hai tumne is baat ki pusti kar di wahi kafi hai (apne sathiyon se) chalo dosto ab usse bhi milke aate hain

Panchi :- apna dhyan rakhiyega mahoday use shiksha dene wale is pure grah ke sabse shaktishali yodha hai

Panchi ki baat sun kar hum sabke chehron par muskaan aa gayi

Me :- jaante hain aacharya yuhan ki baat kar rahe ho na tum hum dekh lenge

Itna bolke hum nikal gaye mahal ki taraf

P :- ab kya karna hai rudra

Me :- pahle sandesha bhijwao use ki uske rajya par humla hone wala hai

N :- hum sidha humla kyu nahi karte aise toh hum use taiyar hone ka mauka de rahe hai

Me :- ha sahi kaha me use taiyar hone ka mauka de raha hu yaad hai na hume is pure yudh me apne guruwar ke pratiroop ko darshana hai aur woh kabhi bhi kisi par piche se waar nahi karte hai

V :- sahi kaha lekin uske pass humara sandesha kaise pahuchyenge

Me :- pruthvik hai na (P. Se) uthao dhanush lagao nishana bilkul uske sabha ke bich me aur woh bhi khas teer se

P :- samajh gaya me tum kis teer ki baat kar rahe

Itna bolke usne apna right hath aage kiya aur kuch mantra bolne laga jisse uske hathon me guruwar ka diya hua dhanush uske haath me aa gaya aur usne jaise hi dhanush ki pratyancha khichi toh uske dhanush me apne ap tir aa gaya aur usne woh raj mahal ki aur chala diya

Toh wahi raj mahal me is waqt raja durjan apni sabha me baitha hua tha aur uske saamne raj nartkiya apna nritya pradarshan kar rahi thi aur raja sang sare mantri bhi is pradarshan ka luft uthane me lagr the ki tabhi bich sabha me pruthvik dwara choda gaya tir aake girta hai jisse waha nritya kar rahi sabhi striyon ki chikh nikal gayi jise sun ke waha sabha me maujood sabka dhyan bhi us tir ki aur chala jata hai aur use dekh kar raja ne sabhi striyon ko jane ki anumati de di jisse woh sabhi waha se nikal gayi

Unke jane ke baad raja bhadak utha

Durjan :- kisme itni hummat aa gayi jo mere sabha par waar kare

Jaha woh bhadak raha tha toh wahi shayad uska mantri jiske kapdon se woh pradhan lag raha tha

Pradhan :- bich me rokne le liye maafi chahunga maharaj (tir uthate hue) lekin aap tir ko pahchaan nahi pa rahe hai

Itna bol ke usne us tir ko durjan ke paas le gaya aur jab durjan aur sabhi mantriyon ne us tir ko dhyan se dekha toh unko aisa jhatka laga jaise ki unhone jite ji koi bhoot dekh liya ho

Durjan :- ye toh aacharya yuhan ka khas baan hai toh kya woh abhi bhi jeewit hai

Pradhan :- aapko abhi bhi sandeh hai maharaj unke alawa aur kon ho sakta hai jo aise achanak se hum par humla kare

Durjan :- ab hume yudh ke liye taiyar rahna hoga yudh kabhi bhi aarambh ho sakta hai

Pradhan :- yudh aarambh ho gaya hai tabhi toh ye teer yudh ki ghoshna ke swaroop me chalaya gaya hai

Toh wahi unke isi sab baat chit me kab raat ho jati hai maalum nahi padta aur Wahi dusri taraf

Is waqt me apne doston ke sath usi pahaad ki choti par baithe hue mahal me ho rahe halchal dekh raha tha ki tabhi mere guptcharon ka jhund udte hue humare pass aata dikha

Me :- (panchi se) kya hua aise kyu ude aa rahe ho kahi kuch gadbad toh nahi hui

Panchi :- woh sab chodo pahle ye batao ki aacharya kaha hai hum yaha unse hi milne aaye hai humne suna hai aacharya ne khud apne khas baan se yudh ki ghoshna ki hai aur pure kruk grah me bas tum 6 hi aise hi jinhone durjan ke khilaaf astra uthaye hai

Me :- nahi guruvar humare Saath nahi aaye hai hum yaha kewal unki guru dakshina lene aaye hai

Panchi :- (udas hote hue) ohoo woh tumhare sath nahi aaye (achanak se) matlab tum sabhi unke shishya ho aur unka badla lene aaye ho hum bhi isme tumhare saath hai

Me :- badla nahi guru dakshina jo kewal hum 6 lenge

Panchi :- thik hai hum tumhare guru dakshina ke bich nahi aayenge lekin tumhe wachan dena hoga ki tum hume aachary se milaoge

Me :- (kuch soch kar) ye wachan me nahi de sakta mevtoh abhi unka shishya bana hoon ye wachan tumhe woh (pruthvik ke taraf ishara kar ke) de sakta hai woh guruvar ka khas hai

Mere itna bolte hi sare panchi pruthvik ke taraf jane lage to wahi jaise hi sare panchiyon ne pruthvik ko gher liya baki charo daudkar mere pass aaye

N :- panchiyon ne kya bataya aur ye achanak pruthvik ke sar pe kyu udne lage

Toh mene unhe sab bata diya jise sunkar woh sabhi hasne lage

J :- ye majak masti ek taraf lekin ab aage kya hoga

Me :- aage woh durjan apne shaktiyon aur jasooson dware is pure grah par aise logon ki talash karega jo ki aaj se pahle yaha dekhe bhi nahj gaye the

N :- matlab ab hume chupna hoga

Me :- hum kyu chupne lage hum kal uske darbar me jakar use lalkarenge

V :- toh kal hum aakrsman karenge

Me :- bilkul kal humare guruvar ke hue apman ke pratishodh ka aarambh hoga

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj ke liye itna hi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
Bhupinder Singh

Well-Known Member
2,014
5,036
158

Nice update
 
  • Like
Reactions: VAJRADHIKARI

park

Well-Known Member
12,949
15,359
228

Nice and superb update.....
 
  • Like
Reactions: VAJRADHIKARI
Top