UPDATE*83
Aur jaise hi palta to jo dikhayi diya samne vo dekh kar to mere pairo tale jamin hi khisak gayi….meri ankho se anshoo jhar jhar kar ke bahne lage……aur mai rote huye jor jor se chilla utha……..
Mai—Divyaaaaaaaaaaaa……………
Udhar Ruchi aur Payal bhi Rajgarh Pahuch chuki hain…
Ab se 3 ghante pahle……….
Ruchi ne police station pahuch kar TBM ke baare me jankari puchhi lekin kisi ne kuch bhi batane me apni asmarthata jahir ki……
Tab tak Payal bhi ruchi ko phone kar ke uska pata liya aur uske pass aa gayi…..
Payal—didi ab kya kare….mujhe to kuch samajh nahi aa raha hai…..
Ruchi—ab to ek hi rasta hai vidhya mousi ke ghar chal ke pata karte hain…shayad vaha ho….
Payal—chalo phir jaldi……
Phir vo dono vidhya mousi ke ghar jake pata kiya to malum hua ki Raj sahit sabhi log jungle me camping ke liye gaye hain…..raat vahi rukenge…..
Payal—Jungle chalte hain…..
Chandan—madam ye jungle behad khatarnak hai….jo bhi uske andar gaya aaj tak jinda nahi louta….
Payal (jor se)—chup kar…nahi to tujhe yahi jaan se maar dungi…..mere jinda rahte raj ko kuch nahi ho sakta …mai jaungi jungle me abhi aur isi waqt……
Ruchi—chandan tum sab force ke sath hamare pichhe chalo….TBM bhi pakka vahi hoga……
Chandan—ek baar phir soch lo madam…vaha jana raat me khatre se khali nahi hai….
Ruchi—mai betu ke liye har khatra uthane ko taiyar hu.. tumhe jitna kaha hai bas utna karo….
Chandan—ok madam
Uske baad Ruchi aur Payal apne sath 30 hawal dar leke jungle ki taraf chal diye.......
Mai haweli ka darwaja band karke jaise hi palta to meri nazar Divya par gayi jo kuch dekhte huye ro rahi thi…..
Jab maine uski nazaro ka pichha kiya to jo mujhe dikhayi diya usse dekh kar mere pairo tale jamin khisak gayi….
Samne ki deewar par meri aur Divya ki Tasweer lagi huyi thi……
Mere hairan hone ki koi seema hi nahi thi….mai divya ki tasveer ko hi gaur se dekh raha tha ki meri ankho ke samne kuch seen kisi film ki bhaanti chalne lage aur meri ankho se anshuo ki jal dhara bahne lagi……
Mai aur Divya hall me baithe huye hain….divya mere kandhe par apna sar tikaye huye hai….
Saajan—Divya janti ho aaj maine tumhari ek paintings banayi hai…aisa lagta hai jaise tum sakshat uss tasweer ke andar ho….
Divya—maine bhi tumhari tasweer banayi hai…ise ham hall me dono tasweer ek hi jagah lagayenge….
Saajan—ha divya….ye tasweere hamesha hame hamare pyar ki yaad dilayengi….ham rahe ya na rahe ye jarur rahengi…..
Divya—tumhari inhi bato se mujhe darr lagta hai..saajan mai tumhare bina ek pal bhi nahi jee sakti…meri haalat to uss machhli ki tarah hai ki jise pani se bahar nikalne par vo tadap kar mar jati hai….
Saajan—mai bhi to tumhare bina adhura hu divya….mera koi vajud hi nahi hai tumhare bagair….
Divya—chalo ham in tasweero ko yaha hall me laga dete hain…ye hamare pyar ki pahli nishani hai….jo hamare marne ke baad bhi in tasweero me hamare amar prem ko jinda rakhegi…..
Saajan—ha divya…ye haweli bhi to hamare prem ki pahli yaadgar jagah hai….dekhna divya mai agar kisi bhi janam me yaha tumhari is tasweer ko dekhunga to ek pal me hi tumhe pahchan lunga…..
Divya—mai to sirf tumhari hu aur har janam me kewal saajan ki hi rahungi….
Meri ankho se ye seen khatam hote hi mai jor se rote huye chilla pada….
Mai (rote huye)—Divyaaaaaaaaaaaaaaa………….
Mai turant Divya ke samne jakar baith gaya….jo mujhe dekhte huye apni ankho se ganga jamuna baha rahi thi…
Mai-"Apne ahsaas se Chhukar, mujhe Sandal kar do,
Mai Sadiyo se Adhura hu, mujhe Mukammal kar do…
Na Tumhe Hosh Rahe aur Na mujhe Hosh Rahe
Is Kadar Toot ke Chaho, Ki mujhe Pagal kar do…
Tum Hatheli ko Mere Pyar ki Mehndi se Rang do,
Apni Ankho me Mere Naam ka Kaajal kar do…
Dhoop hi Dhoop hu main, Toot ke Barso Mujh Par..
Main to Sahra hu, Mujhe Pyar ka Baadal kar do….
Tere Saaye me Mere Khwab Mahak Uthenge,
Mere Chehre Pe Ummido bhara Aanchal kar do….
Apne Hotho se Koi Muhar Laga do Mujh Par,
Ek Nazar Pyar se Dekho, Aur Mujhe Ghayal kar do”….
Divya—"Mohabbat Mujhe Thi Tujhi Se Sanam,
Yaado Me Teri Yeh Dil Tadapta Raha....
Mout Bhi Meri Chahat Ko Rok Na Saki,
Kabra Me Bhi Yeh Dil Dhadakta Raha"….
Aur iske sath hi Divya meri baho me sama gayi….na mere anshoo ruk rahe the aur na hi Divya ke…..
Aaj mujhe behad sukun mahsus ho raha tha….aaj mujhe mere jeene ka maqsad mil gaya tha….aaj mera pyar mujhe phir se mil gaya tha…..
Na jane kitni hi der tak ham ek dusre ko baho me samete huye rote rahe….aaj mere dil ka adhurapan dur ho gaya tha lekin kuch abhi bhi baki tha jo mai janta tha kyo hai
Divya (rote huye)—mai bahut tadpi hu saajan apke liye….bachpan se lekar abhi tak judai ki aag me jal rahi thi…ab mujhe chhod ke mat jana…ab nahi sahi jati ye judai….
Mai—ab mai tumhe nahi chhodunga …..bhagwan ko akhir hamare pyar par taras aa hi gaya….hamne apne pyar ke liye phir se janam le hi liya….
Divya—kya ye samaj hame ek hone dega…saajan..kahi ham phir se alag to nahi ho jayenge….
Mai—ham jarur ek honge divya…..ham Prem ka ek naya itihas banayenge….jo aaj tak kabhi kisi yug me nahi hua vo Prem ki maha gatha likhenge ham…
Divya—magar hamare ghar wale, rishtedar maanenge kya, aur ye samaj, kanoon hame jeene bhi nahi dega…
Mai—mujh par bharosa hai….apne pyar par bharosa hai..?
Divya—khud se bhi jyada..saajan aap par bharosa hai mujhe....isi bharose par to bachpan se lekar aaj tak jeeti aa rahi hu...
Mai—to phir sab mujh par chhod do.....akhir jab upar wale ne hame in tasweero ko maadhyam bana ke milaya hai to jarur ham ek honge.....
Divya—haa saajan….hamari in tasweero ne hame mila hi diya….hame in tasweer ka shukriya ada karna chahiye jinki vajah se ham phir aaj ek ho gaye….
“Hamara bhi to shukriya ada kijiye sarkar, akhir maine hi to is jagah ki aaj tak hifajat ki hai, yaha se har kisi ko door rakha…Yaha tak ki Raj Mahal se lage is jungle tak me kisi ko aane nahi diya..aur jo aaya vo jinda nahi gaya”
Ham awaz ki disha me turant palat gaye …aur samne wale ko dekhte hi……
Dono ek sath—aaaaaappppp…………
“Ha tum dono mujhe ….Pari ko kaise bhool sakte ho”…….
Next Mega Update Only For ‘Pari’………….